📖 Surah 98 Al-Bayyinah Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. لَمْ يَكُنِ الَّذِينَ كَفَرُوا مِنْ أَهْلِ الْكِتَابِ وَالْمُشْرِكِينَ مُنْفَكِّينَ حَتَّىٰ تَأْتِيَهُمُ الْبَيِّنَةُ

  2. رَسُولٌ مِنَ اللَّهِ يَتْلُو صُحُفًا مُطَهَّرَةً

  3. فِيهَا كُتُبٌ قَيِّمَةٌ

  4. وَمَا تَفَرَّقَ الَّذِينَ أُوتُوا الْكِتَابَ إِلَّا مِنْ بَعْدِ مَا جَاءَتْهُمُ الْبَيِّنَةُ

  5. وَمَا أُمِرُوا إِلَّا لِيَعْبُدُوا اللَّهَ مُخْلِصِينَ لَهُ الدِّينَ حُنَفَاءَ وَيُقِيمُوا الصَّلَاةَ وَيُؤْتُوا الزَّكَاةَ ۚ وَذَٰلِكَ دِينُ الْقَيِّمَةِ

  6. إِنَّ الَّذِينَ كَفَرُوا مِنْ أَهْلِ الْكِتَابِ وَالْمُشْرِكِينَ فِي نَارِ جَهَنَّمَ خَالِدِينَ فِيهَا ۚ أُولَٰئِكَ هُمْ شَرُّ الْبَرِيَّةِ

  7. إِنَّ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ أُولَٰئِكَ هُمْ خَيْرُ الْبَرِيَّةِ

  8. جَزَاؤُهُمْ عِنْدَ رَبِّهِمْ جَنَّاتُ عَدْنٍ تَجْرِي مِنْ تَحْتِهَا الْأَنْهَارُ خَالِدِينَ فِيهَا أَبَدًا ۖ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمْ وَرَضُوا عَنْهُ ۚ ذَٰلِكَ لِمَنْ خَشِيَ رَبَّهُ

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Lam ya kunil lazeena kafaru min ahlil kitaabi wal mushri keena mun fak keena hattaa ta-tiya humul bayyinah

  2. Rasoolum minal laahi yatlu suhufam mutahharah

  3. Feeha kutubun qaiyimah

  4. Wa maa tafarraqal lazeena ootul kitaaba il-la mim b'adi ma jaa-at humul baiyyinah

  5. Wa maa umiroo il-la liy'abu dul laaha mukhliseena lahud-deena huna faa-a wa yuqeemus salaata wa yu-tuz zakaata; wa zaalika deenul qaiyimah

  6. Innal lazeena kafaru min ahlil kitaabi wal mushri keena fee nari jahan nama khaali deena feeha; ulaa-ika hum shar rul ba reeyah

  7. Innal lazeena aamanu wa 'amilus saalihaati ula-ika hum khairul bareey yah

  8. Jazaaa'uhum 'inda Rabbihim Jannaatu 'adnin tajree min tahtihal anhaaru khaalideena feehaaa abadaa; radiyal-laah 'anhum wa radoo 'anh; zaalika liman khashiya Rabbah.

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Ehle kitaab aur Mushrikeen mein se jo log kafir thay (woh apne kufr se) baaz aane wale na thay jab tak ke unke paas dalil e roshan na aa jaaye.

2. (Yani) Allah ke taraf se ek Rasool jo paak sahife (scriptures) padh kar sunaye.

3. Jin mein bilkul raast aur durust tehrirein likhi hui ho.

4. Pehle jin logon ko kitaab di gayi thi unmein tafarqa barpa(split/divide) nahin hua magar iske baad ke unke paas (raah-e-raast ka) bayan e wazeh aa chuka tha.

5. Aur unko iske siwa koi hukm nahin diya gaya tha ke Allah ki bandagi karein apne deen ko uske liye khaalis karke. Bilkul yaksu hokar, Aur namaz qayam karein aur zakat dein yahi nihayat sahih-o-durust deen hai.

6. Ehle kitaab aur mushrikeen mein se jin logon ne kufr kiya hai woh yaqeenan jahannum ki aag mein jayenge aur hamesha usmein rahenge, yeh log badh-tareen e khalayek (creation) hain.

7. Jo log iman le aaye aur jinhon ne neik amal kiye woh yaqeenan behtareen e khalayeq hain.

8. Unki jaza unke Rubb ke yahan dayimi (eternal/hamesha) qayam ki jannatein hain jinke nichey nehrein beh rahi hongi. Woh unmein hamesha hamesh rahenge. Allah unse raazi hua aur woh Allah se raazi huey. Yeh kuch hai us shaks ke liye jisne apne Rubb ka khauf kiya ho.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments