📖 Surah 92 Al-Lail Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- وَاللَّيْلِ إِذَا يَغْشَىٰ
- وَالنَّهَارِ إِذَا تَجَلَّىٰ
- وَمَا خَلَقَ الذَّكَرَ وَالْأُنْثَىٰ
- إِنَّ سَعْيَكُمْ لَشَتَّىٰ
- فَأَمَّا مَنْ أَعْطَىٰ وَاتَّقَىٰ
- وَصَدَّقَ بِالْحُسْنَىٰ
- فَسَنُيَسِّرُهُ لِلْيُسْرَىٰ
- وَأَمَّا مَنْ بَخِلَ وَاسْتَغْنَىٰ
- وَكَذَّبَ بِالْحُسْنَىٰ
- فَسَنُيَسِّرُهُ لِلْعُسْرَىٰ
- وَمَا يُغْنِي عَنْهُ مَالُهُ إِذَا تَرَدَّىٰ
- إِنَّ عَلَيْنَا لَلْهُدَىٰ
- وَإِنَّ لَنَا لَلْآخِرَةَ وَالْأُولَىٰ
- فَأَنْذَرْتُكُمْ نَارًا تَلَظَّىٰ
- لَا يَصْلَاهَا إِلَّا الْأَشْقَى
- الَّذِي كَذَّبَ وَتَوَلَّىٰ
- وَسَيُجَنَّبُهَا الْأَتْقَى
- الَّذِي يُؤْتِي مَالَهُ يَتَزَكَّىٰ
- وَمَا لِأَحَدٍ عِنْدَهُ مِنْ نِعْمَةٍ تُجْزَىٰ
- إِلَّا ابْتِغَاءَ وَجْهِ رَبِّهِ الْأَعْلَىٰ
- وَلَسَوْفَ يَرْضَىٰ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Wallaili izaa yaghshaa
- Wannahaari izaa tajalla
- Wa maa khalaqaz zakara wal unthaa
- Inna sa'yakum lashattaa
- Fa ammaa man a'taa wattaqaa
- Wa saddaqa bil husnaa
- Fasanu yassiruhoo lilyusraa
- Wa ammaa man bakhila wastaghnaa
- Wa kazzaba bil husnaa
- Fasanu yassiruhoo lil'usraa
- Wa maa yughnee 'anhu maaluhooo izaa taraddaa
- Inna 'alainaa lal hudaa
- Wa inna lanaa lal Aakhirata wal oolaa
- Fa anzartukum naaran talazzaa
- Laa yaslaahaaa illal ashqaa
- Allazee kazzaba wa tawallaa
- Wa sa yujannnabuhal atqaa
- Allazee yu'tee maalahoo yatazakkaa
- Wa maa li ahadin 'indahoo min ni'matin tujzaaa
- Illab tighaaa'a wajhi rabbihil a 'laa
- Wa lasawfa yardaa
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Qasam hai raat ki jabke woh chaa jaaye.2. Aur din ki jabke woh roshan ho.
3. Aur us zaat ki jisne nar (male) aur maada (female) ko paida kiya.
4. Dar haqeeqat tum logon ki koshishein mukhtalif qisam ki hain.
5. To jisne (rah e khuda mein) maal diya aur (khuda ki nafarmani se) parheiz kiya,
6. Aur bhalayi ko sach mana,
7. Usko hum aasan raaste ke liye sahulat denge.
8. Aur jisne bukhl (kanjoosi) kiya aur (apney khuda se) be niyazi (beparwayi) barti,
9. Aur bhalayi ko jhutlaya,
10. Usko hum sakht raaste ke liye sahulat denge.
11. Aur uska maal aakhir uske kis kaam aayega jabke woh halaak ho jaye?
12. Beshak raasta batana hamare zimme hai,
13. Aur dar haqeeqat aakhirat aur duniya dono ke hum hi maalik hain.
14. Pas maine tumko khabardaar kardiya hai bhadakti hui aag se.
15. Usmein nahin jhulsega magar woh intihayi badbakth.
16. Jisne jhutlaya aur mooh phera.
17. Aur us se door rakkha jayega woh nihayat parheizgaar,
18. Jo paakiza hone ki khatir apna maal deta hai.
19. Uspar kisi ka koi ehsan nahin hai jiska badla usey dena ho.
20. Woh to sirf apne Rubb-e-bartrar ki raza joyi ke liye yeh kaam karta hai.
21. Aur zaroor woh (us se) khush hoga.
Comments
Post a Comment