📖 Surah 89 Al-Fajr Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. وَالْفَجْرِ

  2. وَلَيَالٍ عَشْرٍ

  3. وَالشَّفْعِ وَالْوَتْرِ

  4. وَاللَّيْلِ إِذَا يَسْرِ

  5. هَلْ فِي ذَٰلِكَ قَسَمٌ لِذِي حِجْرٍ

  6. أَلَمْ تَرَ كَيْفَ فَعَلَ رَبُّكَ بِعَادٍ

  7. إِرَمَ ذَاتِ الْعِمَادِ

  8. الَّتِي لَمْ يُخْلَقْ مِثْلُهَا فِي الْبِلَادِ

  9. وَثَمُودَ الَّذِينَ جَابُوا الصَّخْرَ بِالْوَادِ

  10. وَفِرْعَوْنَ ذِي الْأَوْتَادِ

  11. الَّذِينَ طَغَوْا فِي الْبِلَادِ

  12. فَأَكْثَرُوا فِيهَا الْفَسَادَ

  13. فَصَبَّ عَلَيْهِمْ رَبُّكَ سَوْطَ عَذَابٍ

  14. إِنَّ رَبَّكَ لَبِالْمِرْصَادِ

  15. فَأَمَّا الْإِنْسَانُ إِذَا مَا ابْتَلَاهُ رَبُّهُ فَأَكْرَمَهُ وَنَعَّمَهُ فَيَقُولُ رَبِّي أَكْرَمَنِ

  16. وَأَمَّا إِذَا مَا ابْتَلَاهُ فَقَدَرَ عَلَيْهِ رِزْقَهُ فَيَقُولُ رَبِّي أَهَانَنِ

  17. كَلَّا ۖ بَلْ لَا تُكْرِمُونَ الْيَتِيمَ

  18. وَلَا تَحَاضُّونَ عَلَىٰ طَعَامِ الْمِسْكِينِ

  19. وَتَأْكُلُونَ التُّرَاثَ أَكْلًا لَمًّا

  20. وَتُحِبُّونَ الْمَالَ حُبًّا جَمًّا

  21. كَلَّا إِذَا دُكَّتِ الْأَرْضُ دَكًّا دَكًّا

  22. وَجَاءَ رَبُّكَ وَالْمَلَكُ صَفًّا صَفًّا

  23. وَجِيءَ يَوْمَئِذٍ بِجَهَنَّمَ ۚ يَوْمَئِذٍ يَتَذَكَّرُ الْإِنْسَانُ وَأَنَّىٰ لَهُ الذِّكْرَىٰ

  24. يَقُولُ يَا لَيْتَنِي قَدَّمْتُ لِحَيَاتِي

  25. فَيَوْمَئِذٍ لَا يُعَذِّبُ عَذَابَهُ أَحَدٌ

  26. وَلَا يُوثِقُ وَثَاقَهُ أَحَدٌ

  27. يَا أَيَّتُهَا النَّفْسُ الْمُطْمَئِنَّةُ

  28. ارْجِعِي إِلَىٰ رَبِّكِ رَاضِيَةً مَرْضِيَّةً

  29. فَادْخُلِي فِي عِبَادِي

  30. وَادْخُلِي جَنَّتِي

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Wal-Fajr

  2. Wa layaalin 'ashr

  3. Wash shaf'i wal watr

  4. Wallaili izaa yasr

  5. Hal fee zaalika qasamul lizee hijr

  6. Alam tara kaifa fa'ala rabbuka bi'aad

  7. Iramaa zaatil 'imaad

  8. Allatee lam yukhlaq misluhaa fil bilaad

  9. Wa samoodal lazeena jaabus sakhra bil waad

  10. Wa fir'awna zil awtaad

  11. Allazeena taghaw fil bilaad

  12. Fa aksaroo feehal fasaad

  13. Fasabba 'alaihim Rabbuka sawta 'azaab

  14. Inna Rabbaka labil mirsaad

  15. Fa ammal insaanu izaa mab talaahu Rabbuhoo fa akramahoo wa na' 'amahoo fa yaqoolu Rabbeee akraman

  16. Wa ammaaa izaa mabtalaahu faqadara 'alaihi rizqahoo fa yaqoolu Rabbeee ahaanan

  17. Kalla bal laa tukrimooo nal yateem

  18. Wa laa tahaaaddoona 'alaata'aamil miskeen

  19. Wa taakuloonat turaasa aklal lammaa

  20. Wa tuhibboonal maala hubban jammaa

  21. Kallaaa izaaa dukkatil ardu dakkan dakka

  22. Wa jaaa'a Rabbuka wal malaku saffan saffaa

  23. Wa jeee'a yawma'izim bi jahannnam; Yawma 'iziny yatazakkarul insaanu wa annaa lahuz zikraa

  24. Yaqoolu yaa laitanee qaddamtu lihayaatee

  25. Fa Yawma izil laa yu'azzibu 'azaabahooo ahad

  26. Wa laa yoosiqu wasaaqa hooo ahad

  27. Yaaa ayyatuhan nafsul mutma 'innah

  28. Irji'eee ilaa Rabbiki raadiyatam mardiyyah

  29. Fadkhulee fee 'ibaadee

  30. Wadkhulee jannatee

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Qasam hai fajr ki,

2. Aur dus raaton ki,

3. Aur jufft (even) aur taaq (odd) ki,

4. Aur Raat ki jabke woh ruksat ho rahi ho,

5. kya is mein kisi sahib-e-aqal ke liye koi qasam hai?

6. Tumne dekha nahin ke tumhare Rubb ne kya bartao kiya,

7. Unchey sutuno (pillars) wale Aad-e-iram ke saath

8. Jinke manind koi qaum duniya ke mulkon mein paida nahin ki gayi thi?

9. Aur Samood ke saath jinhon ne waadi mein chattane (rocks) tarashi thi?

10. Aur mekhon (stakes) wale Firoun ke saath?

11. Yeh woh log (thay) jinho ne duniya ke mulkon mein badi sarkashi ki thi.

12. Aur inmein bahut fasaad phaylaya tha.

13. Aakhir-e-kaar tumhare Rubb ne inpar azaab ka koda barsa diya.

14. Haqeeqat yeh hai ke tumhara Rubb ghaath lagaye huey hai.

15. Magar Insan ka haal yeh hai ke uska Rubb jab usko aazmaish mein daalta hai aur usey izzat aur niyamat deta hai to woh kehta hai ke mere Rubb ne mujhe izzatdaar bana diya.

16. Aur jab woh usko azmaish mein daalta hai aur uska rizq uspar tangg kardeta hai to woh kehta hai mere Rubb ne mujhe zaleel kardiya.

17. Hargiz nahin, balke tum yateem se izzat ka sulook nahin kartey,

18. Aur miskeen ko khana khilane par ek dusre ko nahin uksatey,

19. Aur Miras (inheritance) ka sara maal sameit kar kha jaate ho.

20. Aur maal ki muhabbat mein buri tarah giraftar ho.

21. Hargiz nahin jab zameen pai dar pai qoot qoot kar regzaar (pounded to powder) bana di jayegi

22. Aur tumhara Rubb jalwa farma hoga is haal mein ke Farishte saff dar saff khade honge.

23. Aur jahannum us roz saamne le aayi jayegi, us din Insan ko samajh ayegi aur us waqt uske samajhne ka kya haasil?

24. Woh kahega ke kaash maine apni is zindagi ke liye kuch peshgi samaan kiya hota.

25. Phir us din Allah jo azaab dega waisa azaab dene wala koi nahin.

26. Aur Allah jaisa bandhega waisa bandhne wala koi nahin.

27. (Dusri taraf irshad hoga) Aey nafsey mutmain (reassured soul/pious).

28. Chal apne Rubb ki taraf is haal mein ke tu (apne anjam-e-neik se) khush (Aur apne Rubb ke nazdeek) pasandeeda hai.

29. Shamil hoja mere (neik) bandon mein.

30. Aur daakhil hoja meri jannat mein.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments