📖 Surah 87 Al-A'ala Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الْأَعْلَى
- الَّذِي خَلَقَ فَسَوَّىٰ
- وَالَّذِي قَدَّرَ فَهَدَىٰ
- وَالَّذِي أَخْرَجَ الْمَرْعَىٰ
- فَجَعَلَهُ غُثَاءً أَحْوَىٰ
- سَنُقْرِئُكَ فَلَا تَنْسَىٰ
- إِلَّا مَا شَاءَ اللَّهُ ۚ إِنَّهُ يَعْلَمُ الْجَهْرَ وَمَا يَخْفَىٰ
- وَنُيَسِّرُكَ لِلْيُسْرَىٰ
- فَذَكِّرْ إِنْ نَفَعَتِ الذِّكْرَىٰ
- سَيَذَّكَّرُ مَنْ يَخْشَىٰ
- وَيَتَجَنَّبُهَا الْأَشْقَى
- الَّذِي يَصْلَى النَّارَ الْكُبْرَىٰ
- ثُمَّ لَا يَمُوتُ فِيهَا وَلَا يَحْيَىٰ
- قَدْ أَفْلَحَ مَنْ تَزَكَّىٰ
- وَذَكَرَ اسْمَ رَبِّهِ فَصَلَّىٰ
- بَلْ تُؤْثِرُونَ الْحَيَاةَ الدُّنْيَا
- وَالْآخِرَةُ خَيْرٌ وَأَبْقَىٰ
- إِنَّ هَٰذَا لَفِي الصُّحُفِ الْأُولَىٰ
- صُحُفِ إِبْرَاهِيمَ وَمُوسَىٰ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Sabbihisma Rabbikal A'laa
- Allazee khalaqa fasawwaa
- Wallazee qaddara fahadaa
- Wallazeee akhrajal mar'aa
- Faja'alahoo ghusaaa'an ahwaa
- Sanuqri'uka falaa tansaaa
- Illaa maa shaaa'al laah; innahoo ya'lamul jahra wa maa yakhfaa
- Wa nu-yassiruka lilyusraa
- Fazakkir in nafa'atizzikraa
- Sa yazzakkaru maiyakhshaa
- Wa yatajannabuhal ashqaa
- Allazee yaslan Naaral kubraa
- Summa laa yamootu feehaa wa laa yahyaa
- Qad aflaha man tazakkaa
- Wa zakaras ma Rabbihee fasallaa
- Bal tu'siroonal hayaatad dunyaa
- Wal Aakhiratu khairunw wa abqaa
- Inna haazaa lafis suhu fil oolaa
- Suhufi Ibraaheema wa Moosaa
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. (Aey Nabi) Apne Rubb-e-bartar ke naam ki tasbeeh karo.2. Jisne paida kiya aur tanasub (proportion) qayam kiya.
3. Jisne taqdeer banayi phir raah dikhayi.
4. Jisne nabataat (pasture) ugayi,
5. Phir unko siyah kuda karkat bana diya.
6. Hum tumhein padhwa denge phir tum nahin bhoologe.
7. Siwaye uske jo Allah chahe. Woh zaahir ko bhi jaanta hai aur jo kuch posheeda (hidden) hai usko bhi.
8. Aur hum tumhein aasaan tarikey ki sahulat dete hain,
9. Lihaza tum naseehat karo agar naseehat nafey (faiydamand) ho.
10. Jo shaks darta hai woh naseehat qabool karlega.
11. Aur us se guraiz (avoid) karega woh intihayi bad-bakht,
12. Jo badi aag mein jayega,
13. Phir na usmein maarega aur na jiyega.
14. Falah paa gaya woh jisne pakeezgi ikhtiyar ki,
15. Aur apne Rubb ka naam yaad kiya phir namaz padhi.
16. Magar tum log duniya ki zindagi ko tarjeeh dete ho,
17. halaanke aakhirat behtar hai aur baki rehne wali hai.
18. Yahi baat pehle aaye huey saheefon (scriptures) mein bhi kahi gayi thi.
19. Ibrahim aur Moosa ke saheefon mein.
Comments
Post a Comment