📖 Surah 85 Al-Burooj Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. وَالسَّمَاءِ ذَاتِ الْبُرُوجِ

  2. وَالْيَوْمِ الْمَوْعُودِ

  3. وَشَاهِدٍ وَمَشْهُودٍ

  4. قُتِلَ أَصْحَابُ الْأُخْدُودِ

  5. النَّارِ ذَاتِ الْوَقُودِ

  6. إِذْ هُمْ عَلَيْهَا قُعُودٌ

  7. وَهُمْ عَلَىٰ مَا يَفْعَلُونَ بِالْمُؤْمِنِينَ شُهُودٌ

  8. وَمَا نَقَمُوا مِنْهُمْ إِلَّا أَنْ يُؤْمِنُوا بِاللَّهِ الْعَزِيزِ الْحَمِيدِ

  9. الَّذِي لَهُ مُلْكُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۚ وَاللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ شَهِيدٌ

  10. إِنَّ الَّذِينَ فَتَنُوا الْمُؤْمِنِينَ وَالْمُؤْمِنَاتِ ثُمَّ لَمْ يَتُوبُوا فَلَهُمْ عَذَابُ جَهَنَّمَ وَلَهُمْ عَذَابُ الْحَرِيقِ

  11. إِنَّ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ لَهُمْ جَنَّاتٌ تَجْرِي مِنْ تَحْتِهَا الْأَنْهَارُ ۚ ذَٰلِكَ الْفَوْزُ الْكَبِيرُ

  12. إِنَّ بَطْشَ رَبِّكَ لَشَدِيدٌ

  13. إِنَّهُ هُوَ يُبْدِئُ وَيُعِيدُ

  14. وَهُوَ الْغَفُورُ الْوَدُودُ

  15. ذُو الْعَرْشِ الْمَجِيدُ

  16. فَعَّالٌ لِمَا يُرِيدُ

  17. هَلْ أَتَاكَ حَدِيثُ الْجُنُودِ

  18. فِرْعَوْنَ وَثَمُودَ

  19. بَلِ الَّذِينَ كَفَرُوا فِي تَكْذِيبٍ

  20. وَاللَّهُ مِنْ وَرَائِهِمْ مُحِيطٌ

  21. بَلْ هُوَ قُرْآنٌ مَجِيدٌ

  22. فِي لَوْحٍ مَحْفُوظٍ

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Wassamaaa'i zaatil burooj

  2. Wal yawmil maw'ood

  3. Wa shaahidinw wa mashhood

  4. Qutila as haabul ukhdood

  5. Annaari zaatil waqood

  6. Iz hum 'alaihaa qu'ood

  7. Wa hum 'alaa maa yaf'aloona bilmu 'mineena shuhood

  8. Wa maa naqamoo minhum illaaa aiyu'minoo billaahil 'azeezil Hameed

  9. Allazee lahoo mulkus samaawaati wal ard; wallaahu 'alaa kulli shai 'in Shaheed

  10. Innal lazeena fatanul mu'mineena wal mu'minaati summa lam yatooboo falahum 'azaabu Jahannama wa lahum 'azaabul hareeq

  11. Innal lazeena aamanoo wa 'amilus saalihaati lahum Jannaatun tajree min tahtihal anhaar; zaalikal fawzul kabeer

  12. Inna batsha Rabbika lashadeed

  13. Innahoo Huwa yubdi'u wa yu'eed

  14. Wa Huwal Ghafoorul Wadood

  15. Zul 'Arshil Majeed

  16. Fa' 'aalul limaa yureed

  17. Hal ataaka hadeesul junood

  18. Fir'awna wa Samood

  19. Balil lazeena kafaroo fee takzeeb

  20. Wallaahu minw waraaa'ihim muheet

  21. Bal huwa Quraanum Majeed

  22. Fee Lawhim Mahfooz

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1: Qasam hai mazboot qalon (castle) wale aasman ki.

2: Aur us din ki jiska waada kiya gaya hai.

3: Aur dekhne wale ki aur dekhi jaane wali cheez ki.

4: ke maare gaye gaddey (pit) wale.

5: [Us gaddey (pit) wale] jismein khoob bhadakte huey indhan (fuel) ki aag thi.

6: Jabke woh us gaddey ke kinare par baithe huey thay,

7: Aur jo kuch woh iman laane walon ke saath kar rahe thay usey dekh rahe thay.

8: Aur un ehle iman se unki dushmani iske siwa kisi wajah se na thi ke woh us khuda par iman le aaye thay jo zabardast aur apni zaat mein aap mahmood (praiseworthy) hai.

9: Jo asmano aur zameen ki sultanat ka maalik hai, aur woh khuda sab kuch dekh raha hai

10: Jin logon ne momin mardon aur auraton par zulm o sitam toda aur phir us se taib (tauba/repent) na huey, yaqeenan unke liye jahannum ka azaab hai aur unke liye jalaye jaane ki saza hai.

11: Jo log iman laye aur jinho ne neik amal kiye yaqeenan unke liye jannat ke baagh hain jinke nichey nehrein behti hongi, yeh hai badi kamyabi.

12: Dar haqeeqat tumhare Rubb ki pakad badi sakht hai.

13: Wahi pehli baar paida karta hai aur wahi dobara paida karega.

14: Aur woh bakshne wala hai, muhabbat karne wala hai,

15: Arsh ka maalik hai, buzurg-o-bartar hai.

16: Aur jo kuch chahe kar daalne wala hai

17: Kya tumhein lashkaron ki khabar pahunchi hai?

18: Firoun aur Samood (ke lashkaron) ki?

19: Magar jinho ne kufr kiya hai woh jhutlane mein lage huey hain.

20: Halaanke Allah ne unko ghere mein le rakkha hai.

21: (Unke jhutlane se iss quran ka kuch nahin bigadta) balke yeh Quran buland paya hai,

22: Us loah mein (naqsh hai) jo mehfooz hai.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments