📖 Surah 84 Al-Inshiqaq Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- إِذَا السَّمَاءُ انْشَقَّتْ
- وَأَذِنَتْ لِرَبِّهَا وَحُقَّتْ
- وَإِذَا الْأَرْضُ مُدَّتْ
- وَأَلْقَتْ مَا فِيهَا وَتَخَلَّتْ
- وَأَذِنَتْ لِرَبِّهَا وَحُقَّتْ
- يَا أَيُّهَا الْإِنْسَانُ إِنَّكَ كَادِحٌ إِلَىٰ رَبِّكَ كَدْحًا فَمُلَاقِيهِ
- فَأَمَّا مَنْ أُوتِيَ كِتَابَهُ بِيَمِينِهِ
- فَسَوْفَ يُحَاسَبُ حِسَابًا يَسِيرًا
- وَيَنْقَلِبُ إِلَىٰ أَهْلِهِ مَسْرُورًا
- وَأَمَّا مَنْ أُوتِيَ كِتَابَهُ وَرَاءَ ظَهْرِهِ
- فَسَوْفَ يَدْعُو ثُبُورًا
- وَيَصْلَىٰ سَعِيرًا
- إِنَّهُ كَانَ فِي أَهْلِهِ مَسْرُورًا
- إِنَّهُ ظَنَّ أَنْ لَنْ يَحُورَ
- بَلَىٰ إِنَّ رَبَّهُ كَانَ بِهِ بَصِيرًا
- فَلَا أُقْسِمُ بِالشَّفَقِ
- وَاللَّيْلِ وَمَا وَسَقَ
- وَالْقَمَرِ إِذَا اتَّسَقَ
- لَتَرْكَبُنَّ طَبَقًا عَنْ طَبَقٍ
- فَمَا لَهُمْ لَا يُؤْمِنُونَ
- وَإِذَا قُرِئَ عَلَيْهِمُ الْقُرْآنُ لَا يَسْجُدُونَ ۩
- بَلِ الَّذِينَ كَفَرُوا يُكَذِّبُونَ
- وَاللَّهُ أَعْلَمُ بِمَا يُوعُونَ
- فَبَشِّرْهُمْ بِعَذَابٍ أَلِيمٍ
- إِلَّا الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ لَهُمْ أَجْرٌ غَيْرُ مَمْنُونٍ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Izas samaaa'un shaqqat
- Wa azinat li Rabbihaa wa huqqat
- Wa izal ardu muddat
- Wa alqat maa feehaa wa takhallat
- Wa azinat li Rabbihaa wa huqqat
- Yaaa ayyuhal insaanu innaka kaadihun ilaa Rabbika kad han famulaaqeeh
- Fa ammaa man ootiya kitaabahoo biyameenih
- Fasawfa yuhaasab hisaabany yaseeraa
- Wa yanqalibu ilaaa ahlihee masrooraa
- Wa ammaa man ootiya kitaabahoo waraaa'a zahrih
- Fasawfa yad'oo thubooraa
- Wa yaslaa sa'eeraa
- Innahoo kaana feee ahlihee masrooraa
- Innahoo zanna an lany yahoor
- Balaaa inna Rabbahoo kaana bihee baseeraa
- Falaaa uqsimu bishshafaq
- Wallaili wa maa wasaq
- Walqamari izat tasaq
- Latarkabunna tabaqan 'an tabaq
- Famaa lahum laa yu'minoon
- Wa izaa quri'a 'alaihimul Quraanu laa yasjudoon (make sajda)
- Balil lazeena kafaroo yukazziboon
- Wallaahu a'lamu bimaa yoo'oon
- Fabashshirhum bi'azaabin aleem
- Illal lazeena aamanoo wa 'amilus saalihaati lahum ajrun ghairu mamnoon
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Jab asmaan phatt jayega,2. Aur apne Rubb ke farmaan ki tameel karega aur uske liye haqq yahi hai (ke apne Rubb ka hukm maane ).
3. Aur jab zameen phayla di jayegi,
4. Aur jo kuch uske andar hai usey bahar phenk kar khaali ho jayegi,
5. Aur apne Rubb ke hukm ki tameel karegi aur uske liye haqq yahi hai (ke uski tameel kare)
6. Aey Insan tu kashaan kashaan apne Rubb ki taraf chala jaa raha hai (striving unto your Lord) aur us se milne wala hai.
7. Phir jiska naam-e-aamal uske seedhe haath mein diya gaya,
8. Us se halka hisaab liya jayega,
9. Aur woh apne logon ki taraf khush khush paltega.
10. Raha woh shaks jiska naam-e-aamal uski peeth ke pichey diya jayega,
11. To woh maut ko pukarega,
12. Aur bhadakti hui aag mein jaa padega,
13. Woh apne ghar walon mein magan tha.
14. Usne samjha tha ke usey kabhi palatna nahin hai.
15. Palatna kaise na tha, uska Rubb uske kartoot dekh raha tha.
16. Pas nahin main qasam khata hoon shafaq (twilight) ki,
17. Aur raat ki aur jo kuch woh sameit leti hai,
18. Aur chaand ki jabke woh maah-e-kaamil (full) ho jata hai.
19. Tumko zaroor darja ba darja ek haalat se dusri haalat ki taraf guzarte chale jana hai.
20. Phir in logon ko kya ho gaya hai ke yeh iman nahin latey,
21. Aur jab Quran inke saamne padha jata hai to sajda nahin karte?
22. Balke yeh munkireen to ulta jhutlate hain.
23. Halaanke jo kuch yeh (apne naam-e-aamal mein) jama kar rahe hain Allah usey khoob jaanta hai.
24. Lihaza inko dardnaak azaab ki basharat dedo.
25. Albatta jo log iman le aaye hain aur jinho ne neik aamal kiye hain unke liye kabhi khatam na hone wala ajar hai.
Comments
Post a Comment