📖 Surah 83 Al-Mutaffifin Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. وَيْلٌ لِلْمُطَفِّفِينَ

  2. الَّذِينَ إِذَا اكْتَالُوا عَلَى النَّاسِ يَسْتَوْفُونَ

  3. وَإِذَا كَالُوهُمْ أَوْ وَزَنُوهُمْ يُخْسِرُونَ

  4. أَلَا يَظُنُّ أُولَٰئِكَ أَنَّهُمْ مَبْعُوثُونَ

  5. لِيَوْمٍ عَظِيمٍ

  6. يَوْمَ يَقُومُ النَّاسُ لِرَبِّ الْعَالَمِينَ

  7. كَلَّا إِنَّ كِتَابَ الْفُجَّارِ لَفِي سِجِّينٍ

  8. وَمَا أَدْرَاكَ مَا سِجِّينٌ

  9. كِتَابٌ مَرْقُومٌ

  10. وَيْلٌ يَوْمَئِذٍ لِلْمُكَذِّبِينَ

  11. الَّذِينَ يُكَذِّبُونَ بِيَوْمِ الدِّينِ

  12. وَمَا يُكَذِّبُ بِهِ إِلَّا كُلُّ مُعْتَدٍ أَثِيمٍ

  13. إِذَا تُتْلَىٰ عَلَيْهِ آيَاتُنَا قَالَ أَسَاطِيرُ الْأَوَّلِينَ

  14. كَلَّا ۖ بَلْ ۜ رَانَ عَلَىٰ قُلُوبِهِمْ مَا كَانُوا يَكْسِبُونَ

  15. كَلَّا إِنَّهُمْ عَنْ رَبِّهِمْ يَوْمَئِذٍ لَمَحْجُوبُونَ

  16. ثُمَّ إِنَّهُمْ لَصَالُو الْجَحِيمِ

  17. ثُمَّ يُقَالُ هَٰذَا الَّذِي كُنْتُمْ بِهِ تُكَذِّبُونَ

  18. كَلَّا إِنَّ كِتَابَ الْأَبْرَارِ لَفِي عِلِّيِّينَ

  19. وَمَا أَدْرَاكَ مَا عِلِّيُّونَ

  20. كِتَابٌ مَرْقُومٌ

  21. يَشْهَدُهُ الْمُقَرَّبُونَ

  22. إِنَّ الْأَبْرَارَ لَفِي نَعِيمٍ

  23. عَلَى الْأَرَائِكِ يَنْظُرُونَ

  24. تَعْرِفُ فِي وُجُوهِهِمْ نَضْرَةَ النَّعِيمِ

  25. يُسْقَوْنَ مِنْ رَحِيقٍ مَخْتُومٍ

  26. خِتَامُهُ مِسْكٌ ۚ وَفِي ذَٰلِكَ فَلْيَتَنَافَسِ الْمُتَنَافِسُونَ

  27. وَمِزَاجُهُ مِنْ تَسْنِيمٍ

  28. عَيْنًا يَشْرَبُ بِهَا الْمُقَرَّبُونَ

  29. إِنَّ الَّذِينَ أَجْرَمُوا كَانُوا مِنَ الَّذِينَ آمَنُوا يَضْحَكُونَ

  30. وَإِذَا مَرُّوا بِهِمْ يَتَغَامَزُونَ

  31. وَإِذَا انْقَلَبُوا إِلَىٰ أَهْلِهِمُ انْقَلَبُوا فَكِهِينَ

  32. وَإِذَا رَأَوْهُمْ قَالُوا إِنَّ هَٰؤُلَاءِ لَضَالُّونَ

  33. وَمَا أُرْسِلُوا عَلَيْهِمْ حَافِظِينَ

  34. فَالْيَوْمَ الَّذِينَ آمَنُوا مِنَ الْكُفَّارِ يَضْحَكُونَ

  35. عَلَى الْأَرَائِكِ يَنْظُرُونَ

  36. هَلْ ثُوِّبَ الْكُفَّارُ مَا كَانُوا يَفْعَلُونَ

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Wailul lil mutaffifeen

  2. Allazeena izak taaloo 'alan naasi yastawfoon

  3. Wa izaa kaaloohum aw wazanoohum yukhsiroon

  4. Alaa yazunnu ulaaa'ika annahum mab'oosoon

  5. Li Yawmin 'Azeem

  6. Yawma yaqoomun naasu li Rabbil 'aalameen

  7. Kallaaa inna kitaabal fujjaari lafee Sijjeen

  8. Wa maa adraaka maa Sijjeen

  9. Kitaabum marqoom

  10. Wailuny yawma'izil lil mukazzibeen

  11. Allazeena yukazziboona bi yawmid deen

  12. Wa maa yukazzibu biheee illaa kullu mu'tadin aseem

  13. Izaa tutlaa'alaihi aayaatunaa qaala asaateerul awwaleen

  14. Kallaa bal raana 'alaa quloobihim maa kaanoo yaksiboon

  15. Kallaaa innahum 'ar Rabbihim yawma'izil lamah jooboon

  16. Summa innahum lasaa lul jaheem

  17. Summa yuqaalu haazal lazee kuntum bihee tukazziboon

  18. Kallaaa inna kitaabal abraari lafee'Illiyyeen

  19. Wa maaa adraaka maa 'Illiyyoon

  20. Kitaabum marqoom

  21. Yashhadu hul muqarra boon

  22. Innal abraara lafee Na'eem

  23. 'Alal araaa'iki yanzuroon

  24. Ta'rifu fee wujoohihim nadratan na'eem

  25. Yusqawna mir raheeqim makhtoom

  26. Khitaamuhoo misk; wa fee zaalika falyatanaafasil Mutanaafisoon

  27. Wa mizaajuhoo min Tasneem

  28. 'Ainaiy yashrabu bihal muqarraboon

  29. Innal lazeena ajramoo kaanoo minal lazeena aamanoo yadhakoon

  30. Wa izaa marroo bihim yataghaamazoon

  31. Wa izan qalabooo ilaaa ahlihimun qalaboo fakiheen

  32. Wa izaa ra awhum qaalooo inna haaa'ulaaa'i ladaaal loon

  33. Wa maaa ursiloo 'alaihim haafizeen

  34. Fal yawmal lazeena aamanoo minal kuffaari yadhakoon

  35. 'Alal araaa'iki yanzuroon

  36. Hal suwwibal kuffaaru maa kaanoo yaf'aloon

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Tabahi hai dandi maarne walon [who give less (than due)] ke liye.

2. Jinka haal yeh hai ke jab logon se lete hain to poora poora lete hai,

3. Aur jab unko naap kar ya toal kardete hai to unhein ghata dete hai (cause loss).

4. Kya yeh log nahin samajhte ke ek badey din

5. Yeh utha kar laye jaane wale hain?

6. Us din jabke sab log Rabb-ul-aalameen ke saamne khade honge.

7. Hargiz nahin, yaqeenan badhkaaron ka naam-e-aamal qaid-khane ke daftar mein hai,

8. Aur tumhein kya maloom ke woh qaid-khane ka daftar kya hai?

9. Ek kitaab hai likhi hui.

10. Tabahi hai us roz jhutlane walon ke liye,

11. Jo roz-e-jaza ko jhutlate hain.

12. Aur usey nahin jhutlata magar har woh shaks jo hadd se guzar jaane wala badh-amal hai.

13. Usey jab hamari aayaat sunayi jaati hain to kehta hai yeh to agle waqton ki kahaniyan hain.

14. Hargiz nahin, balke dar-asal in logon ke dilon par inke bure aamal ka zang (rust) chadh gaya hai.

15. Hargiz nahin bil yaqeen us roz yeh apne Rubb ki deed (deedar) se mehroom rakkhe jayenge,

16. Phir yeh jahannum mein jaa padenge,

17. Phir inse kaha jayega ke yeh wahi cheez hai jise tum jhutlaya karte thay.

18. Hargiz nahin, beshak neik aadmiyon ka naam-e-aamal buland paya logon ke daftar mein hai,

19. Aur tumhein kya khabar ke kya hai woh buland paya logon ka daftar?

20. Ek likhi hui kitaab hai,

21. Jiski nigeh-daasht muqarrab Farishte karte hain.

22. Beshak neik log badey mazey mein honge,

23. Unchi masnadon (couches) par baithe nazare kar rahe honge,

24. Unke chehron par tum khushhaali ki raunak mehsoos karoge.

25. Unko nafees tareen sarband sharaab pilayi jayegi jispar mushk ki mohar (seal) lagi hogi.

26. Jo log dusron par baazi le jana chahte hon woh is cheez ko haasil karne mein baazi le jane ki koshish karein.

27. Us sharaab mein tasneem ki aamezish (mixture) hogi.

28. Yeh ek chashma hai jiske pani ke saath muqarrab log sharaab piyenge.

29. Mujrim log duniya mein iman laane walon ka mazaaq udate thay,

30. Jab unke paas se guzarte to aankhein maar maar kar unki taraf ishaare karte thay,

31. Apne gharon ki taraf palat-te to mazey lete huey palat-te thay.

32. Aur jab unhein dekhte to kehte thay ke yeh behke huey log hain.

33. Halaanke woh un par nigraan banakar nahin bheje gaye thay.

34. Aaj iman laane wale kuffar par hans rahe hain,

35. Masnadon par baithe huey unka haal dekh rahe hain.

36. Mil gaya na kafiron ko un harkaton ka sawab jo woh kiya karte thay.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments