📖 Surah 82 Al-Infitar Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- إِذَا السَّمَاءُ انْفَطَرَتْ
- وَإِذَا الْكَوَاكِبُ انْتَثَرَتْ
- وَإِذَا الْبِحَارُ فُجِّرَتْ
- وَإِذَا الْقُبُورُ بُعْثِرَتْ
- عَلِمَتْ نَفْسٌ مَا قَدَّمَتْ وَأَخَّرَتْ
- يَا أَيُّهَا الْإِنْسَانُ مَا غَرَّكَ بِرَبِّكَ الْكَرِيمِ
- الَّذِي خَلَقَكَ فَسَوَّاكَ فَعَدَلَكَ
- فِي أَيِّ صُورَةٍ مَا شَاءَ رَكَّبَكَ
- كَلَّا بَلْ تُكَذِّبُونَ بِالدِّينِ
- وَإِنَّ عَلَيْكُمْ لَحَافِظِينَ
- كِرَامًا كَاتِبِينَ
- يَعْلَمُونَ مَا تَفْعَلُونَ
- إِنَّ الْأَبْرَارَ لَفِي نَعِيمٍ
- وَإِنَّ الْفُجَّارَ لَفِي جَحِيمٍ
- يَصْلَوْنَهَا يَوْمَ الدِّينِ
- وَمَا هُمْ عَنْهَا بِغَائِبِينَ
- وَمَا أَدْرَاكَ مَا يَوْمُ الدِّينِ
- ثُمَّ مَا أَدْرَاكَ مَا يَوْمُ الدِّينِ
- يَوْمَ لَا تَمْلِكُ نَفْسٌ لِنَفْسٍ شَيْئًا ۖ وَالْأَمْرُ يَوْمَئِذٍ لِلَّهِ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Izas samaaa'un fatarat
- Wa izal kawaakibun tasarat
- Wa izal bihaaru fujjirat
- Wa izal qubooru bu'sirat
- 'Alimat nafsum maa qaddamat wa akhkharat
- Yaaa ayyuhal insaaanu maa gharraka bi Rabbikal kareem
- Allazee khalaqaka fasaw waaka fa'adalak
- Feee ayye sooratim maa shaaa'a rakkabak
- Kalla bal tukazziboona bid deen
- Wa inna 'alaikum lahaa fizeen
- Kiraaman kaatibeen
- Ya'lamoona ma taf'aloon
- Innal abraara lafee na'eem
- Wa innal fujjaara lafee jaheem
- Yaslawnahaa Yawmad Deen
- Wa maa hum 'anhaa bighaaa 'ibeen
- Wa maaa adraaka maa Yawmud Deen
- Summa maaa adraaka maa Yawmud Deen
- Yawma laa tamliku nafsul linafsin shai'anw walamru yawma'izil lillaah
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Jab aasmaan phatt jayega,2. Aur jab taare bikhar jayenge,
3. Aur jab samandar phaad diye jayenge,
4. Aur jab qabrein khol di jayengi
5. Us waqt har shaks ko uska agla pichla sab kiya dhara maloom ho jayega.
6. Aey Insan kis cheez ne tujhey apne us Rubb-e-kareem ki taraf se dhoke mein daal diya.
7. Jisne tujhey paida kiya, tujhey nek-suk se durust kiya(shaped you), tujhe mutanasib (well-proportioned) banaya.
8. Aur jis surat mein chaha tujhko jodh kar tayyar kiya?
9. Hargiz nahin balke (asal baat yeh hai ke) tum log jaza-o-saza ko jhutlate ho.
10. Halaanke tumpar nigraan muqarrar hain.
11. Aise muazzaz kaatib (recording).
12. Jo tumhare har fail (amal) ko jaante hain.
13. Yaqeenan neik log mazey mein honge.
14. Aur beshak badhkar log jahannum me jayenge.
15. Jaza ke din woh is mein daakhil honge.
16. Aur us se hargiz gayab na ho sakengey.
17. Aur tum kya jaante ho ke woh jaza ka din kya hai?
18. Haan tumhein kya khabar ke woh jaza ka din kya hai?
19. Yeh woh din hai jab kisi shaks ke liye kuch karna kisi ke bas mein na hoga, faisla us din bilkul Allah ke ikhtiyar mein hoga.
Comments
Post a Comment