📖 Surah 81 At-Takwir Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- إِذَا الشَّمْسُ كُوِّرَتْ
- وَإِذَا النُّجُومُ انْكَدَرَتْ
- وَإِذَا الْجِبَالُ سُيِّرَتْ
- وَإِذَا الْعِشَارُ عُطِّلَتْ
- وَإِذَا الْوُحُوشُ حُشِرَتْ
- وَإِذَا الْبِحَارُ سُجِّرَتْ
- وَإِذَا النُّفُوسُ زُوِّجَتْ
- وَإِذَا الْمَوْءُودَةُ سُئِلَتْ
- بِأَيِّ ذَنْبٍ قُتِلَتْ
- وَإِذَا الصُّحُفُ نُشِرَتْ
- وَإِذَا السَّمَاءُ كُشِطَتْ
- وَإِذَا الْجَحِيمُ سُعِّرَتْ
- وَإِذَا الْجَنَّةُ أُزْلِفَتْ
- عَلِمَتْ نَفْسٌ مَا أَحْضَرَتْ
- فَلَا أُقْسِمُ بِالْخُنَّسِ
- الْجَوَارِ الْكُنَّسِ
- وَاللَّيْلِ إِذَا عَسْعَسَ
- وَالصُّبْحِ إِذَا تَنَفَّسَ
- إِنَّهُ لَقَوْلُ رَسُولٍ كَرِيمٍ
- ذِي قُوَّةٍ عِنْدَ ذِي الْعَرْشِ مَكِينٍ
- مُطَاعٍ ثَمَّ أَمِينٍ
- وَمَا صَاحِبُكُمْ بِمَجْنُونٍ
- وَلَقَدْ رَآهُ بِالْأُفُقِ الْمُبِينِ
- وَمَا هُوَ عَلَى الْغَيْبِ بِضَنِينٍ
- وَمَا هُوَ بِقَوْلِ شَيْطَانٍ رَجِيمٍ
- فَأَيْنَ تَذْهَبُونَ
- إِنْ هُوَ إِلَّا ذِكْرٌ لِلْعَالَمِينَ
- لِمَنْ شَاءَ مِنْكُمْ أَنْ يَسْتَقِيمَ
- وَمَا تَشَاءُونَ إِلَّا أَنْ يَشَاءَ اللَّهُ رَبُّ الْعَالَمِينَ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Izash shamsu kuwwirat
- Wa izan nujoomun kadarat
- Wa izal jibaalu suyyirat
- Wa izal 'ishaaru 'uttilat
- Wa izal wuhooshu hushirat
- Wa izal bihaaru sujjirat
- Wa izan nufoosu zuwwijat
- Wa izal maw'oodatu su'ilat
- Bi ayyi zambin qutilat
- Wa izas suhufu nushirat
- Wa izas samaaa'u kushitat
- Wa izal jaheemu su'-'irat
- Wa izal jannatu uzlifat
- 'Alimat nafsum maaa ahdarat
- Falaaa uqsimu bil khunnas
- Al jawaaril kunnas
- Wallaili izaa 'as'as
- Wassubhi izaa tanaffas
- Innahoo laqawlu rasoolin kareem
- Zee quwwatin 'inda zil 'arshi makeen
- Mutaa'in samma ameen
- Wa maa saahibukum bimajnoon
- Wa laqad ra aahu bilufuqil mubeen
- Wa maa huwa 'alal ghaibi bidaneen
- Wa maa huwa biqawli shaitaanir rajeem
- Fa ayna tazhaboon
- In huwa illaa zikrul lil'aalameen
- Liman shaaa'a minkum ai yastaqeem
- Wa maa tashaaa'oona illaaa ai yashaaa 'al laahu Rabbul 'Aalameen
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Jab Suraj lapeit diya jayega.2. Aur jab taare bikhar jayenge.
3. Aur jab pahad chalaye jayenge,
4. Aur jab dus mahine ki hamila ountniyan (she-camels) apne haal par chod di jayengi.
5. Aur jab jungli jaanwar sameit kar ikhattey kardiye jayenge.
6. Aur jab samandar bhadka diye jayenge.
7. Aur jab jaane (Jismon se) jodh di jayengi.
8. Aur jab zinda gaadi hui (buried) ladki se pucha jayega,
9. ke woh kis kasoor mein maari gayi?
10. Aur jab aamal-naame (scrolls of deeds) khole jayenge,
11. Aur jab aasmaan ka purda hata diya jayega,
12. Aur jab Jahannum dehkayi jayegi,
13. Aur jab Jannat qareeb le aayi jayegi,
14. Us waqt har shaks ko maloom ho jayega ke woh kya lekar aaya hai.
15. Pas nahin main qasam khata hoon.
16. Palatne aur chup jaane wale taaron ki.
17. Aur Raat ki jabke woh ruksat hui.
18. Aur subah ki jabke usne saans liya.
19. Yeh fil waqey ek buzurg paigam-bar ka qaul (word) hai.
20. Jo badi tawanai (might) rakhta hai, Arsh wale ke yahan buland martaba hai.
21. Wahan uska hukm mana jata hai, Woh ba-aitamad (trustworthy) hai.
22. Aur (aey ehle Makkah) tumhara rafeeq (companion) majnoon(mad) nahin hai.
23. Usne us paigambar ko roshan ufaq (clear horizon) par dekha hai.
24. Aur woh gaib (ke is ilm ko logon tak pahunchane) ke maamle mein bakheel nahin hai.
25. Aur yeh kisi shaitan-e-mardood ka qaul nahin hai.
26. Phir tum log kidhar chale jaa rahe ho?
27. Yeh to saare jahan walon ke liye ek naseehat hai.
28. Tum mein se har us shaks ke liye jo raah-e-raast par chalna chahta ho.
29. Aur tumhare chahney se kuch nahin hota jab tak Allah Rabb-ul-Aalameen na chahe.
Comments
Post a Comment