📖 Surah 8 Al-Anfal Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. يَسْأَلُونَكَ عَنِ الْأَنْفَالِ ۖ قُلِ الْأَنْفَالُ لِلَّهِ وَالرَّسُولِ ۖ فَاتَّقُوا اللَّهَ وَأَصْلِحُوا ذَاتَ بَيْنِكُمْ ۖ وَأَطِيعُوا اللَّهَ وَرَسُولَهُ إِنْ كُنْتُمْ مُؤْمِنِينَ

  2. إِنَّمَا الْمُؤْمِنُونَ الَّذِينَ إِذَا ذُكِرَ اللَّهُ وَجِلَتْ قُلُوبُهُمْ وَإِذَا تُلِيَتْ عَلَيْهِمْ آيَاتُهُ زَادَتْهُمْ إِيمَانًا وَعَلَىٰ رَبِّهِمْ يَتَوَكَّلُونَ

  3. الَّذِينَ يُقِيمُونَ الصَّلَاةَ وَمِمَّا رَزَقْنَاهُمْ يُنْفِقُونَ

  4. أُولَٰئِكَ هُمُ الْمُؤْمِنُونَ حَقًّا ۚ لَهُمْ دَرَجَاتٌ عِنْدَ رَبِّهِمْ وَمَغْفِرَةٌ وَرِزْقٌ كَرِيمٌ

  5. كَمَا أَخْرَجَكَ رَبُّكَ مِنْ بَيْتِكَ بِالْحَقِّ وَإِنَّ فَرِيقًا مِنَ الْمُؤْمِنِينَ لَكَارِهُونَ

  6. يُجَادِلُونَكَ فِي الْحَقِّ بَعْدَمَا تَبَيَّنَ كَأَنَّمَا يُسَاقُونَ إِلَى الْمَوْتِ وَهُمْ يَنْظُرُونَ

  7. وَإِذْ يَعِدُكُمُ اللَّهُ إِحْدَى الطَّائِفَتَيْنِ أَنَّهَا لَكُمْ وَتَوَدُّونَ أَنَّ غَيْرَ ذَاتِ الشَّوْكَةِ تَكُونُ لَكُمْ وَيُرِيدُ اللَّهُ أَنْ يُحِقَّ الْحَقَّ بِكَلِمَاتِهِ وَيَقْطَعَ دَابِرَ الْكَافِرِينَ

  8. لِيُحِقَّ الْحَقَّ وَيُبْطِلَ الْبَاطِلَ وَلَوْ كَرِهَ الْمُجْرِمُونَ

  9. إِذْ تَسْتَغِيثُونَ رَبَّكُمْ فَاسْتَجَابَ لَكُمْ أَنِّي مُمِدُّكُمْ بِأَلْفٍ مِنَ الْمَلَائِكَةِ مُرْدِفِينَ

  10. وَمَا جَعَلَهُ اللَّهُ إِلَّا بُشْرَىٰ وَلِتَطْمَئِنَّ بِهِ قُلُوبُكُمْ ۚ وَمَا النَّصْرُ إِلَّا مِنْ عِنْدِ اللَّهِ ۚ إِنَّ اللَّهَ عَزِيزٌ حَكِيمٌ

  11. إِذْ يُغَشِّيكُمُ النُّعَاسَ أَمَنَةً مِنْهُ وَيُنَزِّلُ عَلَيْكُمْ مِنَ السَّمَاءِ مَاءً لِيُطَهِّرَكُمْ بِهِ وَيُذْهِبَ عَنْكُمْ رِجْزَ الشَّيْطَانِ وَلِيَرْبِطَ عَلَىٰ قُلُوبِكُمْ وَيُثَبِّتَ بِهِ الْأَقْدَامَ

  12. إِذْ يُوحِي رَبُّكَ إِلَى الْمَلَائِكَةِ أَنِّي مَعَكُمْ فَثَبِّتُوا الَّذِينَ آمَنُوا ۚ سَأُلْقِي فِي قُلُوبِ الَّذِينَ كَفَرُوا الرُّعْبَ فَاضْرِبُوا فَوْقَ الْأَعْنَاقِ وَاضْرِبُوا مِنْهُمْ كُلَّ بَنَانٍ

  13. ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمْ شَاقُّوا اللَّهَ وَرَسُولَهُ ۚ وَمَنْ يُشَاقِقِ اللَّهَ وَرَسُولَهُ فَإِنَّ اللَّهَ شَدِيدُ الْعِقَابِ

  14. ذَٰلِكُمْ فَذُوقُوهُ وَأَنَّ لِلْكَافِرِينَ عَذَابَ النَّارِ

  15. يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِذَا لَقِيتُمُ الَّذِينَ كَفَرُوا زَحْفًا فَلَا تُوَلُّوهُمُ الْأَدْبَارَ

  16. وَمَنْ يُوَلِّهِمْ يَوْمَئِذٍ دُبُرَهُ إِلَّا مُتَحَرِّفًا لِقِتَالٍ أَوْ مُتَحَيِّزًا إِلَىٰ فِئَةٍ فَقَدْ بَاءَ بِغَضَبٍ مِنَ اللَّهِ وَمَأْوَاهُ جَهَنَّمُ ۖ وَبِئْسَ الْمَصِيرُ

  17. فَلَمْ تَقْتُلُوهُمْ وَلَٰكِنَّ اللَّهَ قَتَلَهُمْ ۚ وَمَا رَمَيْتَ إِذْ رَمَيْتَ وَلَٰكِنَّ اللَّهَ رَمَىٰ ۚ وَلِيُبْلِيَ الْمُؤْمِنِينَ مِنْهُ بَلَاءً حَسَنًا ۚ إِنَّ اللَّهَ سَمِيعٌ عَلِيمٌ

  18. ذَٰلِكُمْ وَأَنَّ اللَّهَ مُوهِنُ كَيْدِ الْكَافِرِينَ

  19. إِنْ تَسْتَفْتِحُوا فَقَدْ جَاءَكُمُ الْفَتْحُ ۖ وَإِنْ تَنْتَهُوا فَهُوَ خَيْرٌ لَكُمْ ۖ وَإِنْ تَعُودُوا نَعُدْ وَلَنْ تُغْنِيَ عَنْكُمْ فِئَتُكُمْ شَيْئًا وَلَوْ كَثُرَتْ وَأَنَّ اللَّهَ مَعَ الْمُؤْمِنِينَ

  20. يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا أَطِيعُوا اللَّهَ وَرَسُولَهُ وَلَا تَوَلَّوْا عَنْهُ وَأَنْتُمْ تَسْمَعُونَ

  21. وَلَا تَكُونُوا كَالَّذِينَ قَالُوا سَمِعْنَا وَهُمْ لَا يَسْمَعُونَ

  22. إِنَّ شَرَّ الدَّوَابِّ عِنْدَ اللَّهِ الصُّمُّ الْبُكْمُ الَّذِينَ لَا يَعْقِلُونَ

  23. وَلَوْ عَلِمَ اللَّهُ فِيهِمْ خَيْرًا لَأَسْمَعَهُمْ ۖ وَلَوْ أَسْمَعَهُمْ لَتَوَلَّوْا وَهُمْ مُعْرِضُونَ

  24. يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اسْتَجِيبُوا لِلَّهِ وَلِلرَّسُولِ إِذَا دَعَاكُمْ لِمَا يُحْيِيكُمْ ۖ وَاعْلَمُوا أَنَّ اللَّهَ يَحُولُ بَيْنَ الْمَرْءِ وَقَلْبِهِ وَأَنَّهُ إِلَيْهِ تُحْشَرُونَ

  25. وَاتَّقُوا فِتْنَةً لَا تُصِيبَنَّ الَّذِينَ ظَلَمُوا مِنْكُمْ خَاصَّةً ۖ وَاعْلَمُوا أَنَّ اللَّهَ شَدِيدُ الْعِقَابِ

  26. وَاذْكُرُوا إِذْ أَنْتُمْ قَلِيلٌ مُسْتَضْعَفُونَ فِي الْأَرْضِ تَخَافُونَ أَنْ يَتَخَطَّفَكُمُ النَّاسُ فَآوَاكُمْ وَأَيَّدَكُمْ بِنَصْرِهِ وَرَزَقَكُمْ مِنَ الطَّيِّبَاتِ لَعَلَّكُمْ تَشْكُرُونَ

  27. يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَخُونُوا اللَّهَ وَالرَّسُولَ وَتَخُونُوا أَمَانَاتِكُمْ وَأَنْتُمْ تَعْلَمُونَ

  28. وَاعْلَمُوا أَنَّمَا أَمْوَالُكُمْ وَأَوْلَادُكُمْ فِتْنَةٌ وَأَنَّ اللَّهَ عِنْدَهُ أَجْرٌ عَظِيمٌ

  29. يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِنْ تَتَّقُوا اللَّهَ يَجْعَلْ لَكُمْ فُرْقَانًا وَيُكَفِّرْ عَنْكُمْ سَيِّئَاتِكُمْ وَيَغْفِرْ لَكُمْ ۗ وَاللَّهُ ذُو الْفَضْلِ الْعَظِيمِ

  30. وَإِذْ يَمْكُرُ بِكَ الَّذِينَ كَفَرُوا لِيُثْبِتُوكَ أَوْ يَقْتُلُوكَ أَوْ يُخْرِجُوكَ ۚ وَيَمْكُرُونَ وَيَمْكُرُ اللَّهُ ۖ وَاللَّهُ خَيْرُ الْمَاكِرِينَ

  31. وَإِذَا تُتْلَىٰ عَلَيْهِمْ آيَاتُنَا قَالُوا قَدْ سَمِعْنَا لَوْ نَشَاءُ لَقُلْنَا مِثْلَ هَٰذَا ۙ إِنْ هَٰذَا إِلَّا أَسَاطِيرُ الْأَوَّلِينَ

  32. وَإِذْ قَالُوا اللَّهُمَّ إِنْ كَانَ هَٰذَا هُوَ الْحَقَّ مِنْ عِنْدِكَ فَأَمْطِرْ عَلَيْنَا حِجَارَةً مِنَ السَّمَاءِ أَوِ ائْتِنَا بِعَذَابٍ أَلِيمٍ

  33. وَمَا كَانَ اللَّهُ لِيُعَذِّبَهُمْ وَأَنْتَ فِيهِمْ ۚ وَمَا كَانَ اللَّهُ مُعَذِّبَهُمْ وَهُمْ يَسْتَغْفِرُونَ

  34. وَمَا لَهُمْ أَلَّا يُعَذِّبَهُمُ اللَّهُ وَهُمْ يَصُدُّونَ عَنِ الْمَسْجِدِ الْحَرَامِ وَمَا كَانُوا أَوْلِيَاءَهُ ۚ إِنْ أَوْلِيَاؤُهُ إِلَّا الْمُتَّقُونَ وَلَٰكِنَّ أَكْثَرَهُمْ لَا يَعْلَمُونَ

  35. وَمَا كَانَ صَلَاتُهُمْ عِنْدَ الْبَيْتِ إِلَّا مُكَاءً وَتَصْدِيَةً ۚ فَذُوقُوا الْعَذَابَ بِمَا كُنْتُمْ تَكْفُرُونَ

  36. إِنَّ الَّذِينَ كَفَرُوا يُنْفِقُونَ أَمْوَالَهُمْ لِيَصُدُّوا عَنْ سَبِيلِ اللَّهِ ۚ فَسَيُنْفِقُونَهَا ثُمَّ تَكُونُ عَلَيْهِمْ حَسْرَةً ثُمَّ يُغْلَبُونَ ۗ وَالَّذِينَ كَفَرُوا إِلَىٰ جَهَنَّمَ يُحْشَرُونَ

  37. لِيَمِيزَ اللَّهُ الْخَبِيثَ مِنَ الطَّيِّبِ وَيَجْعَلَ الْخَبِيثَ بَعْضَهُ عَلَىٰ بَعْضٍ فَيَرْكُمَهُ جَمِيعًا فَيَجْعَلَهُ فِي جَهَنَّمَ ۚ أُولَٰئِكَ هُمُ الْخَاسِرُونَ

  38. قُلْ لِلَّذِينَ كَفَرُوا إِنْ يَنْتَهُوا يُغْفَرْ لَهُمْ مَا قَدْ سَلَفَ وَإِنْ يَعُودُوا فَقَدْ مَضَتْ سُنَّتُ الْأَوَّلِينَ

  39. وَقَاتِلُوهُمْ حَتَّىٰ لَا تَكُونَ فِتْنَةٌ وَيَكُونَ الدِّينُ كُلُّهُ لِلَّهِ ۚ فَإِنِ انْتَهَوْا فَإِنَّ اللَّهَ بِمَا يَعْمَلُونَ بَصِيرٌ

  40. وَإِنْ تَوَلَّوْا فَاعْلَمُوا أَنَّ اللَّهَ مَوْلَاكُمْ ۚ نِعْمَ الْمَوْلَىٰ وَنِعْمَ النَّصِيرُ

  41. وَاعْلَمُوا أَنَّمَا غَنِمْتُمْ مِنْ شَيْءٍ فَأَنَّ لِلَّهِ خُمُسَهُ وَلِلرَّسُولِ وَلِذِي الْقُرْبَىٰ وَالْيَتَامَىٰ وَالْمَسَاكِينِ وَابْنِ السَّبِيلِ إِنْ كُنْتُمْ آمَنْتُمْ بِاللَّهِ وَمَا أَنْزَلْنَا عَلَىٰ عَبْدِنَا يَوْمَ الْفُرْقَانِ يَوْمَ الْتَقَى الْجَمْعَانِ ۗ وَاللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ

  42. إِذْ أَنْتُمْ بِالْعُدْوَةِ الدُّنْيَا وَهُمْ بِالْعُدْوَةِ الْقُصْوَىٰ وَالرَّكْبُ أَسْفَلَ مِنْكُمْ ۚ وَلَوْ تَوَاعَدْتُمْ لَاخْتَلَفْتُمْ فِي الْمِيعَادِ ۙ وَلَٰكِنْ لِيَقْضِيَ اللَّهُ أَمْرًا كَانَ مَفْعُولًا لِيَهْلِكَ مَنْ هَلَكَ عَنْ بَيِّنَةٍ وَيَحْيَىٰ مَنْ حَيَّ عَنْ بَيِّنَةٍ ۗ وَإِنَّ اللَّهَ لَسَمِيعٌ عَلِيمٌ

  43. إِذْ يُرِيكَهُمُ اللَّهُ فِي مَنَامِكَ قَلِيلًا ۖ وَلَوْ أَرَاكَهُمْ كَثِيرًا لَفَشِلْتُمْ وَلَتَنَازَعْتُمْ فِي الْأَمْرِ وَلَٰكِنَّ اللَّهَ سَلَّمَ ۗ إِنَّهُ عَلِيمٌ بِذَاتِ الصُّدُورِ

  44. وَإِذْ يُرِيكُمُوهُمْ إِذِ الْتَقَيْتُمْ فِي أَعْيُنِكُمْ قَلِيلًا وَيُقَلِّلُكُمْ فِي أَعْيُنِهِمْ لِيَقْضِيَ اللَّهُ أَمْرًا كَانَ مَفْعُولًا ۗ وَإِلَى اللَّهِ تُرْجَعُ الْأُمُورُ

  45. يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِذَا لَقِيتُمْ فِئَةً فَاثْبُتُوا وَاذْكُرُوا اللَّهَ كَثِيرًا لَعَلَّكُمْ تُفْلِحُونَ

  46. وَأَطِيعُوا اللَّهَ وَرَسُولَهُ وَلَا تَنَازَعُوا فَتَفْشَلُوا وَتَذْهَبَ رِيحُكُمْ ۖ وَاصْبِرُوا ۚ إِنَّ اللَّهَ مَعَ الصَّابِرِينَ

  47. وَلَا تَكُونُوا كَالَّذِينَ خَرَجُوا مِنْ دِيَارِهِمْ بَطَرًا وَرِئَاءَ النَّاسِ وَيَصُدُّونَ عَنْ سَبِيلِ اللَّهِ ۚ وَاللَّهُ بِمَا يَعْمَلُونَ مُحِيطٌ

  48. وَإِذْ زَيَّنَ لَهُمُ الشَّيْطَانُ أَعْمَالَهُمْ وَقَالَ لَا غَالِبَ لَكُمُ الْيَوْمَ مِنَ النَّاسِ وَإِنِّي جَارٌ لَكُمْ ۖ فَلَمَّا تَرَاءَتِ الْفِئَتَانِ نَكَصَ عَلَىٰ عَقِبَيْهِ وَقَالَ إِنِّي بَرِيءٌ مِنْكُمْ إِنِّي أَرَىٰ مَا لَا تَرَوْنَ إِنِّي أَخَافُ اللَّهَ ۚ وَاللَّهُ شَدِيدُ الْعِقَابِ

  49. إِذْ يَقُولُ الْمُنَافِقُونَ وَالَّذِينَ فِي قُلُوبِهِمْ مَرَضٌ غَرَّ هَٰؤُلَاءِ دِينُهُمْ ۗ وَمَنْ يَتَوَكَّلْ عَلَى اللَّهِ فَإِنَّ اللَّهَ عَزِيزٌ حَكِيمٌ

  50. وَلَوْ تَرَىٰ إِذْ يَتَوَفَّى الَّذِينَ كَفَرُوا ۙ الْمَلَائِكَةُ يَضْرِبُونَ وُجُوهَهُمْ وَأَدْبَارَهُمْ وَذُوقُوا عَذَابَ الْحَرِيقِ

  51. ذَٰلِكَ بِمَا قَدَّمَتْ أَيْدِيكُمْ وَأَنَّ اللَّهَ لَيْسَ بِظَلَّامٍ لِلْعَبِيدِ

  52. كَدَأْبِ آلِ فِرْعَوْنَ ۙ وَالَّذِينَ مِنْ قَبْلِهِمْ ۚ كَفَرُوا بِآيَاتِ اللَّهِ فَأَخَذَهُمُ اللَّهُ بِذُنُوبِهِمْ ۗ إِنَّ اللَّهَ قَوِيٌّ شَدِيدُ الْعِقَابِ

  53. ذَٰلِكَ بِأَنَّ اللَّهَ لَمْ يَكُ مُغَيِّرًا نِعْمَةً أَنْعَمَهَا عَلَىٰ قَوْمٍ حَتَّىٰ يُغَيِّرُوا مَا بِأَنْفُسِهِمْ ۙ وَأَنَّ اللَّهَ سَمِيعٌ عَلِيمٌ

  54. كَدَأْبِ آلِ فِرْعَوْنَ ۙ وَالَّذِينَ مِنْ قَبْلِهِمْ ۚ كَذَّبُوا بِآيَاتِ رَبِّهِمْ فَأَهْلَكْنَاهُمْ بِذُنُوبِهِمْ وَأَغْرَقْنَا آلَ فِرْعَوْنَ ۚ وَكُلٌّ كَانُوا ظَالِمِينَ

  55. إِنَّ شَرَّ الدَّوَابِّ عِنْدَ اللَّهِ الَّذِينَ كَفَرُوا فَهُمْ لَا يُؤْمِنُونَ

  56. الَّذِينَ عَاهَدْتَ مِنْهُمْ ثُمَّ يَنْقُضُونَ عَهْدَهُمْ فِي كُلِّ مَرَّةٍ وَهُمْ لَا يَتَّقُونَ

  57. فَإِمَّا تَثْقَفَنَّهُمْ فِي الْحَرْبِ فَشَرِّدْ بِهِمْ مَنْ خَلْفَهُمْ لَعَلَّهُمْ يَذَّكَّرُونَ

  58. وَإِمَّا تَخَافَنَّ مِنْ قَوْمٍ خِيَانَةً فَانْبِذْ إِلَيْهِمْ عَلَىٰ سَوَاءٍ ۚ إِنَّ اللَّهَ لَا يُحِبُّ الْخَائِنِينَ

  59. وَلَا يَحْسَبَنَّ الَّذِينَ كَفَرُوا سَبَقُوا ۚ إِنَّهُمْ لَا يُعْجِزُونَ

  60. وَأَعِدُّوا لَهُمْ مَا اسْتَطَعْتُمْ مِنْ قُوَّةٍ وَمِنْ رِبَاطِ الْخَيْلِ تُرْهِبُونَ بِهِ عَدُوَّ اللَّهِ وَعَدُوَّكُمْ وَآخَرِينَ مِنْ دُونِهِمْ لَا تَعْلَمُونَهُمُ اللَّهُ يَعْلَمُهُمْ ۚ وَمَا تُنْفِقُوا مِنْ شَيْءٍ فِي سَبِيلِ اللَّهِ يُوَفَّ إِلَيْكُمْ وَأَنْتُمْ لَا تُظْلَمُونَ

  61. وَإِنْ جَنَحُوا لِلسَّلْمِ فَاجْنَحْ لَهَا وَتَوَكَّلْ عَلَى اللَّهِ ۚ إِنَّهُ هُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ

  62. وَإِنْ يُرِيدُوا أَنْ يَخْدَعُوكَ فَإِنَّ حَسْبَكَ اللَّهُ ۚ هُوَ الَّذِي أَيَّدَكَ بِنَصْرِهِ وَبِالْمُؤْمِنِينَ

  63. وَأَلَّفَ بَيْنَ قُلُوبِهِمْ ۚ لَوْ أَنْفَقْتَ مَا فِي الْأَرْضِ جَمِيعًا مَا أَلَّفْتَ بَيْنَ قُلُوبِهِمْ وَلَٰكِنَّ اللَّهَ أَلَّفَ بَيْنَهُمْ ۚ إِنَّهُ عَزِيزٌ حَكِيمٌ

  64. يَا أَيُّهَا النَّبِيُّ حَسْبُكَ اللَّهُ وَمَنِ اتَّبَعَكَ مِنَ الْمُؤْمِنِينَ

  65. يَا أَيُّهَا النَّبِيُّ حَرِّضِ الْمُؤْمِنِينَ عَلَى الْقِتَالِ ۚ إِنْ يَكُنْ مِنْكُمْ عِشْرُونَ صَابِرُونَ يَغْلِبُوا مِائَتَيْنِ ۚ وَإِنْ يَكُنْ مِنْكُمْ مِائَةٌ يَغْلِبُوا أَلْفًا مِنَ الَّذِينَ كَفَرُوا بِأَنَّهُمْ قَوْمٌ لَا يَفْقَهُونَ

  66. الْآنَ خَفَّفَ اللَّهُ عَنْكُمْ وَعَلِمَ أَنَّ فِيكُمْ ضَعْفًا ۚ فَإِنْ يَكُنْ مِنْكُمْ مِائَةٌ صَابِرَةٌ يَغْلِبُوا مِائَتَيْنِ ۚ وَإِنْ يَكُنْ مِنْكُمْ أَلْفٌ يَغْلِبُوا أَلْفَيْنِ بِإِذْنِ اللَّهِ ۗ وَاللَّهُ مَعَ الصَّابِرِينَ

  67. مَا كَانَ لِنَبِيٍّ أَنْ يَكُونَ لَهُ أَسْرَىٰ حَتَّىٰ يُثْخِنَ فِي الْأَرْضِ ۚ تُرِيدُونَ عَرَضَ الدُّنْيَا وَاللَّهُ يُرِيدُ الْآخِرَةَ ۗ وَاللَّهُ عَزِيزٌ حَكِيمٌ

  68. لَوْلَا كِتَابٌ مِنَ اللَّهِ سَبَقَ لَمَسَّكُمْ فِيمَا أَخَذْتُمْ عَذَابٌ عَظِيمٌ

  69. فَكُلُوا مِمَّا غَنِمْتُمْ حَلَالًا طَيِّبًا ۚ وَاتَّقُوا اللَّهَ ۚ إِنَّ اللَّهَ غَفُورٌ رَحِيمٌ

  70. يَا أَيُّهَا النَّبِيُّ قُلْ لِمَنْ فِي أَيْدِيكُمْ مِنَ الْأَسْرَىٰ إِنْ يَعْلَمِ اللَّهُ فِي قُلُوبِكُمْ خَيْرًا يُؤْتِكُمْ خَيْرًا مِمَّا أُخِذَ مِنْكُمْ وَيَغْفِرْ لَكُمْ ۗ وَاللَّهُ غَفُورٌ رَحِيمٌ

  71. وَإِنْ يُرِيدُوا خِيَانَتَكَ فَقَدْ خَانُوا اللَّهَ مِنْ قَبْلُ فَأَمْكَنَ مِنْهُمْ ۗ وَاللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٌ

  72. إِنَّ الَّذِينَ آمَنُوا وَهَاجَرُوا وَجَاهَدُوا بِأَمْوَالِهِمْ وَأَنْفُسِهِمْ فِي سَبِيلِ اللَّهِ وَالَّذِينَ آوَوْا وَنَصَرُوا أُولَٰئِكَ بَعْضُهُمْ أَوْلِيَاءُ بَعْضٍ ۚ وَالَّذِينَ آمَنُوا وَلَمْ يُهَاجِرُوا مَا لَكُمْ مِنْ وَلَايَتِهِمْ مِنْ شَيْءٍ حَتَّىٰ يُهَاجِرُوا ۚ وَإِنِ اسْتَنْصَرُوكُمْ فِي الدِّينِ فَعَلَيْكُمُ النَّصْرُ إِلَّا عَلَىٰ قَوْمٍ بَيْنَكُمْ وَبَيْنَهُمْ مِيثَاقٌ ۗ وَاللَّهُ بِمَا تَعْمَلُونَ بَصِيرٌ

  73. وَالَّذِينَ كَفَرُوا بَعْضُهُمْ أَوْلِيَاءُ بَعْضٍ ۚ إِلَّا تَفْعَلُوهُ تَكُنْ فِتْنَةٌ فِي الْأَرْضِ وَفَسَادٌ كَبِيرٌ

  74. وَالَّذِينَ آمَنُوا وَهَاجَرُوا وَجَاهَدُوا فِي سَبِيلِ اللَّهِ وَالَّذِينَ آوَوْا وَنَصَرُوا أُولَٰئِكَ هُمُ الْمُؤْمِنُونَ حَقًّا ۚ لَهُمْ مَغْفِرَةٌ وَرِزْقٌ كَرِيمٌ

  75. وَالَّذِينَ آمَنُوا مِنْ بَعْدُ وَهَاجَرُوا وَجَاهَدُوا مَعَكُمْ فَأُولَٰئِكَ مِنْكُمْ ۚ وَأُولُو الْأَرْحَامِ بَعْضُهُمْ أَوْلَىٰ بِبَعْضٍ فِي كِتَابِ اللَّهِ ۗ إِنَّ اللَّهَ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيمٌ

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Yas'aloonaka 'anil anfaali qulil anfaalu lillaahi war Rasooli fattaqul laaha wa aslihoo zaata bainikum wa atee'ul laaha wa Rasoolahooo in kuntum mu'mineen

  2. Innamal mu'minoonal lazeena izaa zukiral laahu wajilat quloobuhum wa izaa tuliyat 'alaihim Aayaatuhoo zaadat hum eemaananw wa 'alaa Rabbihim yatawakkaloon

  3. Allazeena yuqeemoonas Salaata wa mimmaa razaqnaahum yunfiqoon

  4. Ulaaa'ika humul mu'minoona haqqaa; lahum darajaatun 'inda Rabbihim wa magh firatunw wa rizqun kareem

  5. Kaamaaa akhrajaka Rabbuka mim baitika bilhaqq; wa inna fareeqam minal mu'mineena lakaarihoon

  6. Yujaadiloonaka fil haqqi ba'da maa tabaiyana ka'annamaa yasaaqoona ilal mawti wa hum yanzuroon

  7. Wa iz ya'idukumul laahu ihdat taaa'ifataini annahaa lakum wa tawaddoona anna ghaira zaatish shawkati takoonu lakum wa yureedul laahu ai yuhiqqal haqqa bikalimaatihee wa yaqta'a daabiral kaafireen

  8. Liyuhiqqal haqqa wa yubtilal baatila wa law karihal mujrimoon

  9. Iz tastagheesoona Rabbakum fastajaaba lakum annee mumiddukum bi alfim minal malaaa'ikati murdifeen

  10. Wa maa ja'alahul laahu illaa bushraa wa litatma'inna bihee quloobukum; wa man nasru illaa min 'indil laah; innal laaha Azeezun Hakeem (section 1)

  11. Iz yughashsheekumun nu'assa amanatam minhu wa yunazzilu 'alaikum minas samaaa'i maaa'al liyutah hirakum bihee wa yuzhiba 'ankum rijzash Shaitaani wa liyarbita 'ala quloobikum wa yusabbita bihil aqdaam

  12. Iz yoohee Rabbuka ilal malaaa'ikati annee ma'akum fasabbitul lazeena aamanoo; sa ulqee fee quloobil lazeena kafarur ru'ba fadriboo fawqal a'naaqi wadriboo minhum kulla banaan

  13. Zaalika bi annahum shaaaqqul laaha wa Rasoolah; wa mai yushaqiqil laaha wa Rasoolahoo fa innal laaha shadeedul 'iqaab

  14. Zaalikum fazooqoohu wa anna lilkaafireena 'azaaban Naar

  15. Yaaa aiyuhal lazeena aamanoo izaa laqeetumul lazeena kafaroo zahfan falaa tuwalloohumul adbaar

  16. Wa mai yuwallihim yawma'izin duburahooo illaa mutaharrifal liqitaalin aw mutahaiyizan ilaa fi'atin faqad baaa'a bighadabim minal laahi wa ma'waahu Jahannamu wa bi'sal maseer

  17. Falam taqtuloohum wa laakinnal laaha qatalahum; wa maa ramaita iz ramaita wa laakinnal laaha ramaa; wa liyubliyal mu'mineena minhu balaaa'an hasanaa; innal laaha Samee'un Aleem

  18. Zaalikum wa annal laaha moohinu kaidil kaafireen

  19. In tastaftihoo faqad jaaa'akumul fathu wa in tantahoo fahuwa khairul lakum wa in ta'oodoo na'ud wa lan tughniya 'ankum fi'atukum shai'anw wa law kasurat wa annal laaha ma'al mu'mineen (section 2)

  20. Yaaa aiyuhal lazeena aamanoo atee'ul laaha wa Rasoolahoo wa laa tawallaw 'anhu wa antum tasma'oon

  21. Wa laa takoonoo kallazeena qaaloo sami'naa wa hum laa yasma'oon

  22. Inna sharrad dawaaabbi 'indal laahis summul bukmul lazeena laa ya'qiloon

  23. Wa law 'alimal laahu feehim khairal la asma'ahum; wa law asma'ahum latawallaw wa hum mu'ridoon

  24. Yaaa aiyuhal lazeena aamanus tajeeboo lillaahi wa lir Rasooli izaa da'aakum limaa yuhyeekum wa'lamooo annal laaha yahoolu bainal mar'i wa qalbihee wa anahooo ilaihi tuhsharoon

  25. Wattaqoo fitnatal laa tuseebannal lazeena zalamoo minkum khaaaassatanw wa'lamooo annal laaha shadeedul 'iqaab

  26. Wazkurooo iz antum qaleelum mustad 'afoona filardi takhaafoona ai yatakhat tafakumun naasu fa aawaakum wa aiyadakum binasrihee wa razaqakum minat taiyibaati la'allakum tashkuroon

  27. Yaaa aiyuhal lazeena aamanoo laa takhoonal laaha war Rasoola wa takhoonooo amaanaatikum wa antum ta'lamoon

  28. Wa'lamooo annamaaa amwaalukum wa awlaadukum fitnatunw wa annal laaha 'indahooo ajrun azeem (section 3)

  29. Yaaa aiyuhal lazeena aamanooo in tattaqul laaha yaj'al lakum furqaananw wa yukaffir 'ankum saiyi aatikum wa yaghfir lakum; wallaahu zul fadlil 'azeem

  30. Wa iz yamkuru bikal lazeena kafaroo liyusbitooka aw yaqtulooka aw yukhrijook; wa yamkuroona wa yamkurul laahu wallaahu khairul maakireen

  31. Wa izaa tutlaa 'alaihim Aayaatunaa qaaloo qad sami'naa law nashaaa'u laqulnaa misla haazaaa in haazaaa illaaa asaateerul awwaleen

  32. Wa iz qaalul laahumma in kaana haazaa huwal haqqa min 'indika fa amtir 'alainaa hijaaratam minas samaaa'i awi'tinaa bi 'azaabin aleem

  33. Wa maa kaanal laahu liyu'az zibahum wa anta feehim; wa maa kaanal laahu mu'az zibahum wa hum yastaghfiroon

  34. Wa maa lahum allaa yu'az zibahumul laahu wa hum yasuddoona 'anil Masjidil-Haraami wa maa kaanooo awliyaaa'ah; in awliyaaa' uhooo illal muttaqoona wa laakinna aksarahum laa ya'lamoon

  35. Wa maa kaana Salaatuhum 'indal Baiti illa mukaaa anw-wa tasdiyah; fazooqul 'azaaba bimaa kuntum takfuroon

  36. Innal lazeena kafaroo yunfiqoona amwaalahum liyasuddoo 'an sabeelil laah; fasayunfiqoonahaa summa takoonu 'alaihim hasratan summa yughlaboon; wal lazeena kafarooo ilaa Jahannnama yuhsharoona

  37. Liyameezal laahul khabeesa minat taiyibi wa yaj'alal khabeesa ba'dahoo 'ala ba'din fayarkumahoo jamee'an fayaj'alahoo fee Jahannnam; ulaaa'ika humul khaasiroon (section 4)

  38. Qul lillazeena kafarooo iny yantahoo yughfar lahum maa qad salafa wa iny ya'oodoo faqad madat sunnatul awwaleen

  39. Wa qaatiloohum hattaa laa takoona fitnatunw wa yakoonaddeenu kulluhoo lillaah; fainin tahaw fa innallaaha bimaa ya'maloona Baseer

  40. Wa in tawallaw fa'lamooo annal laaha mawlaakum; ni'mal mawlaa wa ni'man naseer (End Juz 9)

  41. Wa'lamooo annamaa ghanimtum min sha'in fa anna lillaahi khumusahoo wa lir Rasooli wa lizil qurba walyataamaa walmasaakeeni wabnis sabeeli in kuntum aamantum billaahi wa maaa anzalnaa 'ala 'abdinaa yawmal Furqaani yawmaltaqal jam'aan; wal laahu 'alaa kulli shai'in Qadeer

  42. Iz antum bil'udwatid dunyaa wa hum bil'udwatil quswaa warrakbu asfala minkum; wa law tawaa'attum lakhtalaftum fil mee'aadi wa laakil liyaqdiyal laahu amran kaana maf'oolal liyahlika man halaka 'am baiyinatinw wa yahyaa man haiya 'am baiyinah; wa innal laaha la Samee'un 'Aleem

  43. Iz yureekahumul laahu fee manaamika qaleela; wa law araakahum kaseeral lafashiltum wa latanaaza'tum fil amri wa laakinnal laaha sallam; innahoo 'aleemum bizaatis sudoor

  44. Wa iz yureekumoohum izil taqaitum feee a'yunikum qaleelanw wa yuqallilukum feee a'yunihim liyaqdiyal laahu amran kaana maf'oolaa; wa ilal laahi turja'ul umoor (section 5)

  45. Yaaa aiyuhal lazeena aamanooo izaa laqeetum fi'atan fasbutoo wazkurul laaha kaseeral la'allakum tuflihoon

  46. Wa atee'ul laaha wa Rasoolahoo wa laa tanaaza'oo fatafshaloo wa tazhaba reehukum wasbiroo; innal laaha ma'as saabireen

  47. Wa laa takoonoo kallazeena kharajoo min diyaarihim bataranw wa ri'aaa'an naasi wa yasuddoona 'an sabeelil laah; wallaahu bimaa ya'maloona muheet

  48. Wa iz zaiyana lahumush shaitaanu a'maalahum wa qaala laa ghaaliba lakumul yawma minan naasi wa innee jaarul lakum falammaa taraaa'atil fi'ataani nakasa 'alaa aqibaihi wa qaala innee bareee'um minkum innee araa maa laa tarawna inneee akhaaful laah; wallaahu shadeedul 'iqaab (section 6)

  49. Iz yaqoolul munaafiqoona wallazeena fee quloobihim maradun gharra haaa'ulaaa'i deenuhum; wa mai yatawakkal 'alal laahi fa innal laaha 'azee zun Hakeem

  50. Wa law taraaa iz yatawaf fal lazeena kafarul malaaa'ikatu yadriboona wujoohahum wa adbaarahum wa zooqoo 'azaabal hareeq

  51. Zaalika bimaa qaddamat aideekum wa anal laaha laisa bizallaamil lil 'abeed

  52. Kadaabi Aali Fir'awna wal lazeena min qablihim; kafaroo bi Aayaatil laahi fa akhazahu mul laahu bizunoobihim; innal laaha qawiyyun shadeedul 'iqaab

  53. Zaalika bi annal laaha lam yakumu ghaiyiran ni'matan an'amahaa 'alaa qawmin hattaa yughaiyiroo maa bianfusihim wa annallaaha samee'un 'Aleem

  54. Kadaabi Aali Fir'awna wallazeena min qablihim; kazzaboo bi Aayaati Rabbihim faahlaknaahum bizunoobihim wa aghraqnaa Aala Fir'awn; wa kullun kaanoo zaalimeen

  55. Inna sharrad dawaaabbi 'indal laahil lazeena kafaroo fahum laa yu'minoon

  56. Allazeena'aahatta min hum summa yanqudoona 'ahdahum fee kulli marratinw wa hum laa yattaqoon

  57. Fa immaa tasqafannahum fil harbi fasharrid bihim man khalfahum la'allahum yazzakkaroon

  58. Wa immaa takhaafana min qawmin khiyaanatan fambiz ilaihim 'alaa sawaaa'; innal laaha laayuhibbul khaaa'ineen (section 7)

  59. Wa laa yahsabannal lazeena kafaroo sabaqooo; innahum laa yu'jizoon

  60. Wa a'iddoo lahum mastata'tum min quwwatinw wa mirribaatil khaili turhiboona bihee 'aduwwal laahi wa 'aduwwakum wa aakhareena min doonihim laa ta'lamoo nahum Allaahu ya'lamuhum; wa maa tunfiqoo min shai'in fee sabeelil laahi yuwaffa ilaikum wa antum laa tuzlamoon

  61. Wa in janahoo lissalmi fajnah lahaa wa tawakkal 'alal laah; innahoo Huwas Samee'ul 'Aleem

  62. Wa iny yureedooo any-yakhda'ooka fainna hasbakal laah; Huwal lazeee aiyadaka binasrihee wa bilmu'mineen

  63. Wa allafa baina quloobihim; law anfaqta maa fil ardi jamee'am maaa allafta baina quloobihim wa laakinnallaaha allafa bainahum; innaahoo 'Azeezun Hakeem

  64. Yaaa aiyuhan Nabiyyu hasbukal laahu wa manittaba 'aka minal mu'mineen (section 8)

  65. Yaaa aiyuhan Nabiyyu harridil mu'mineena 'alal qitaal; iny-yakum minkum 'ishroona saabiroona yaghliboo mi'atayn; wa iny-yakum minkum mi'atuny yaghlibooo alfam minal lazeena kafaroo bi anahum qawmul laa yafqahoon

  66. Al'aana khaffafal laahu 'ankum wa 'alima anna feekum da'faa; fa-iny yakum minkum mi'atun saabiratuny yaghliboo mi'atayn; wa iny-yakum minkum alfuny yaghlibooo alfaini bi iznil laah; wallaahu ma'as saabireen

  67. Maa kaana li Nabiyyin ai yakoona lahooo asraa hatta yuskhina fil ard; tureedoona aradad dunyaa wallaahu yureedul Aakhirah; wallaahu 'Azeezun Hakeem

  68. Law laa Kitaabum minal laahi sabaqa lamassakum fee maaa akhaztum 'azaabun 'azeem

  69. Fakuloo mimmaa ghanimtum halaalan taiyibaa; watta qullaah; innal laaha Ghafoorur Raheem (section 9)

  70. Yaaa aiyuhan Nabiyyu qul liman feee aideekum minal asraaa iny-ya'lamillahu fee quloobikum khairany yu'tikum khayram mimmaaa ukhiza minkum wa yaghfir lakum; wallaahu Ghafoorur Raheem

  71. Wa iny-yureedoo khiyaa nataka faqad khaanullaaha min qablu fa amkana minhum; wallaahu 'Aleemun Hakeem

  72. Innal lazeena aamanoo wa haajaroo wa jaahadoo bi amwaalihim wa anfusihim fee sabeelil laahi wallazeena aawaw wa nasarooo ulaaa'ika ba'duhum awliyaaa'u ba'd; wallazeena aamanoo wa lam yuhaajiroo maa lakum minw walaayatihim min shai'in hatta yuhaajiroo; wa inistan sarookum fid deeni fa'alaiku munnasru illaa 'alaa qawmin bainakum wa bainahum meesaaq; wallaahu bimaa ta'maloona Baseer

  73. Wallazeena kafaroo ba'duhum awliyaaa'u ba'd; illaa taf'aloohu takun fitnatun fil ardi wa fasaadun kabeer

  74. Wallazeena aamanoo wa haajaroo wa jaahadoo fee sabeelil laahi wallazeena aawaw wa nasarooo ulaaa'ika humul mu'minoona haqqaa; lahum maghfiratunw wa rizqun kareem

  75. Wallazeena aamanoo min ba'du wa haajaroo wa jaahadoo ma'akum fa Ulaaa'ika minkum; wa ulul arhaami baduhum awlaa biba'din fee Kitaabil laah; innal laaha bikulli shai'in 'Aleem (section 10)

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

    1. Tumse anfal (booty of war/ganimat ke maal) ke mutaaliq puchte hain? Kaho “yeh anfal to Allah aur uske Rasool ke hain, pas tum log Allah se daro aur apne aapas ke taaluqaat durust karo aur Allah aur uske Rasool ki itaat karo agar tum momin ho”.

    2. Sacche ehle iman to woh log hain jinke dil Allah ka zikr sunkar laraz (darr) jaate hain aur jab Allah ki aayaat unke saamne padi jaati hai to unka iman badh jata hai aur woh apne Rubb par aitamaad (bharosa) rakhte hain.

    3. Jo namaz qayam karte hain aur jo kuch humne unko diya hai usmein se (hamari raah mein) kharch karte hain.

    4. Aise hi log haqiqi momin hain. Unke liye unke Rubb ke paas badey darje hain, kasooron se darguzar hai aur behtareen rizq hai.

    5. (Is maal e ganimat ke maamle mein bhi waisi hi surat pesh aa rahi hai jaisi us waqt pesh aayi thi jabke) tera Rubb tujhey haqq ke saath tere ghar se nikal laya tha aur momino mein se ek giroh ko yeh sakht nagawar tha.

    6. Woh us haqq ke maamle mein tujhse jhagad rahe thay daraan haal(whereas) yeh ke woh saaf saaf numayan ho chuka tha, unka haal yeh tha ke goya woh aankhon dekhe maut ki taraf haanke (driven) jaa rahe hain.

    7. Yaad karo woh mauqa jabke Allah tumse waada kar raha tha ke dono girohon mein se ek tumhein mil jayega. Tum chahte thay ke kamzor giroh tumhein mile magar Allah ka irada yeh tha ke apne irshadaat se haqq ko haqq kar dikhaye aur kafiron ki jadd kaat de.

    8. Taa-ke haqq haqq hokar rahe aur baatil baatil hokar reh jaaye khwa mujrimon ko yeh kitna hi nagawar ho.

    9. Aur woh mauqa yaad karo jabke tum apne Rubb se faryaad kar rahye thay jawab mein usne farmaya ke main tumhari madad ke liye pai dar pai ek hazaar Farishte bhej raha hoon.

    10. Yeh baat Allah ne tumhein sirf is liye bata di ke tumhein khush-khabri ho aur tumhare dil is se mutmaeen ho jayein. Warna madad to jab bhi hoti hai Allah hi ki taraf se hoti hai. Yaqeenan Allah zabardast aur dana (wise) hai.

    11. Aur woh waqt jabke Allah apni taraf se gunoodgi (neend/drowsiness) ki shakal mein tumpar itminaan o be-khaufi ki kaifiyat taari kar raha tha, aur aasmaan se tumhare upar pani barsa raha tha taa-ke tumhein paak kare aur tumse Shaytan ki daali hui najasat door kare aur tumhari himmat bandhaye aur iske zariye se tumhare qadam jamadey.

    12. Aur woh waqt jabke tumhara Rubb farishton ko ishara kar raha tha ke “ main tumhare saath hoon, tum ehle iman ko saabit qadam rakkho, main abhi in kafiron ke dilon mein roab (terror) daale deta hoon. Pas tum unki gardano par zarb (strike) aur jod jod par chot lagao”.

    13. Yeh is liye ke in logon ne Allah aur uske Rasool ka muqabla kiya. Aur jo Allah aur uske Rasool ka muqabla kare Allah uske liye nihayat sakhtgeer (severe in punishment) hai.

    14. Yeh hai tum logon ki saza, ab iska maza chakkho, aur tumhein maloom ho ke haqq ka inkar karne walon ke liye dozakh ka azaab hai.

    15. Aey iman laane walon, jab tum ek lashkar ki surat mein kuffar se do-char (encounter) ho to unke muqable mein pusht na phero (turn your backs).

    16. Jisne aise mauqe par peeth pehri, illa yeh ke jungi chaal ke taur par aisa kare ya kisi dusri fauj se jaa milne ke liye, to woh Allah ke gazab mein ghir jayega, uska thikana jahannum hoga. Aur woh bahut buri jaaye baaz gasth (evil destination) hai.

    17. Pas haqeeqat yeh hai ke tumne unhein qatal nahin kiya balke Allah ne unko qatal kiya, aur tu ne nahin phenka balke Allah ne phenka (aur mominon ke haath jo is kaam mein istemal kiye gaye) to yeh is liye tha ke Allah momino ko ek behtareen aazmaish se kamiyabi ke saath guzaar de. Yakeenan Allah sunne wala aur janne wala hai.

    18. Yeh maamla to tumhare saath hai aur kafiron ke saath maamla yeh hai ke Allah unki chaalon ko kamzoor karne wala hai.

    19. (In kafiron se kehdo) “agar tum faisla chahte thay to lo , faisla tumhare saamne aa gaya. Ab baaz aa jao to tumhare hi liye behtar hai. Warna phir palat kar usi himakat (foolishness) ka iaada (repeat) karoge to hum bhi isi saza ka iaada karenge aur tumhari jamiat, khwa woh kitni hi zyada ho, tumhare kuch kaam na aa sakegi. Allah momino ke saath hai”

    20. Aey iman laane walon, Allah aur uske Rasool ki itaat karo aur hukm sunne ke baad us se sartabi (turn away) na karo.

    21. Un logon ki tarah na ho jao jinhon ne kaha ke humne suna, halanke woh nahin sunte.

    22. Yaqeenan khuda ke nazdeek badhtareen qisam ke jaanwar woh behre gungey log hain jo aqal se kaam nahin lete.

    23. Agar Allah ko maloom hota ke unmein kuch bhi bhalayi hai to woh zaroor unhein sunne ki taufeeq deta, (lekin bhalayi ke bagair) agar woh unko sunwata to woh berukhi ke saath mooh pher jaate.

    24. Aey iman laane walon, Allah aur uske Rasool ki pukar par labbaik kaho jabke Rasool tumhein us cheez ki taraf bulaye jo tumhein zindagi bakshne wali hai, aur jaan rakkho ke Allah aadmi aur uske dil ke darmiyan hayal hai, aur usi ki taraf tum sametay jaaoge.

    25. Aur bacho us fitne se jiski shamat makhsoos taur par sirf unhi logon tak mehdood na rahegi jinhon ne tum mein se gunaah kiya ho, aur jaan rakkho ke Allah sakht saza dene wala hai.

    26. Yaad karo woh waqt jabke tum thode thay, zameen mein tumko be-zoar samjha jata tha, tum darte rehte thay ke kahin log tumhein mita na dein. Phir Allah ne tumko jaaye panaah muhaiyaa kardi, apni madad se tumhare haath mazboot kiye aur tumhein accha rizq pahunchaya, shayad ke tum shukar-guzar bano.

    27. Aey iman laane walon, jaante boojhte Allah aur uske Rasool ke saath khayanat (unfaithful/ betray) na karo, apni amanaton mein gaddari ke murtakib na ho.

    28. Aur jaan rakkho ke tumhare maal aur tumhari aulad haqeeqat mein samaan e aazmaish hain aur Allah ke paas ajar dene ke liye bahut kuch hai.

    29. Aey iman laane walon, agar tum khuda-tarsi ikhtiyar karoge to Allah tumhare liye kasauti (criterion) baham pahuncha dega aur tumhari buraiyon ko tumse door kardega, aur tumhare kasoor maaf kardega. Allah bada fazl farmane wala hai.

    30. Woh waqt bhi yaad karne ke qabil hai jabke munkireen e haqq tere khilaf tadbeerein soch rahe thay ke tujhey qaid kardein ya qatal kar dalein ya jila-watan (watan se nikal) kardein. Woh apni chaalein chal rahe thay aur Allah apni chaal chal raha tha. Aur Allah sabse behtar chaal chalne wala hai.

    31. Jab unko hamari aayaat sunayi jaati thi to kehte thay ke “ haan sun liya humne. Hum chahein to aisi hi baatein hum bhi bana sakte hain. Yeh to wahi purani kahaniyan hain jo pehle se log kehte chale aa rahe hain”.

    32. Aur woh baat bhi yaad hai jo unhon ne kahi thi ke “khudaya agar yeh waqayi haqq hai aur teri taraf se hai to humpar aasmaan se patthar barsa de, ya koi dardnaak azaab humpar le aa”.

    33. Us waqt to Allah unpar azaab naazil karne wala na tha jabke tu unke darmiyan maujood tha, aur na Allah ka yeh qaida hai ke log istegfar kar rahe hon aur woh unko azaab de de.

    34. Lekin ab kyun na woh unpar azaab naazil kare jabke woh masjid e haraam ka raasta roak rahe hain, halanke woh is masjid ke jaiz mutawalli(guardians) nahin hain. Iske jaiz mutawalli to sirf ehle taqwa hi ho skate hain magar aksar log is baat ko nahin jaante.

    35. Baytullah ke paas un logon ki namaz kya hoti hai, bas seetiyan (whistles) bajate aur taaliyan peethte hain. Pas ab lo, is azaab ka mazaa chakko apne us inkar e haqq ki padash mein jo tum karte rahe ho.

    36. Jin logon ne haqq ko maanne se inkar kiya hai woh apne maal khuda ke raaste se roakne ke liye sarf (kharch) kar rahe hain aur abhi aur kharch karte rahenge, magar aakhir e kaar yahi koshishein unke liye pachtawe ka sabab banenge, phir woh magloob honge, phir yeh kafir jahannum ki taraf gher laye jayenge.

    37. Taa-ke Allah gandagi ko pakeezgi se chaant kar alag kare aur har qisam ki gandagi ko mila kar ikattha kare phir is palande (bundles) ko jahannum mein jhonk de, yahi log asli diwaliye(losers) hain.

    38. (Aey Nabi), un kafiron se kaho ke agar ab bhi baaz aa jayein to jo kuch pehle ho chuka hai us se darguzar karliya jayega, lekin agar yeh usi pichli rawish ka iaada karenge to guzishta qaumon ke saath jo kuch ho chuka hai woh sab ko maloom hai.

    39. Aey iman laane walon, in kafiron se jung karo yahan tak ke fitna baki na rahe aur deen poora ka poora Allah ke liye ho jaaye, phir agar woh fitne se ruk jayein to unke amal ka dekhne wala Allah hai.

    40. Aur agar woh na maanein to jaan rakkho ke Allah tumhara sarparast hai aur woh behtareen haami o madadgaar hai.

    41. Aur tumhein maloom ho ke jo kuch maal e ganimat tumne haasil kiya hai uska paanchwa (fifth) hissa Allah aur uske Rasool aur rishtedaaron aur yateemon aur miskeeno aur musafiron ke liye hai. Agar tum iman laye ho Allah par aur us cheez par jo faisle ke roz , yaani dono faujon ki mutbhed (battle) ke din, humne apne banday par naazil ki thi, (to yeh hissa ba-khushi ada karo). Allah har cheez par qaadir hai.

    42. Yaad karo woh waqt jabke tum waadi ke is janib thay aur woh dusri janib padao (camp) daale huey thay aur qafila (caravan) tumse nichey (sahil) ki taraf tha. Agar kahin pehle se tumhare aur unke darmiyan muqable ki qarardaad (mutual appointment) ho chuki hoti to tum zaroor is mauqe par pehlu tahi (decline) kar jaate. Lekin jo kuch pesh aaya woh is liye tha ke jis baat ka faisla Allah kar chuka tha usey zahoor mein le aaye taa-ke jise halaak hona hai to daleel e roshan ke saath halaak ho aur jise zinda rehna hai woh daleel e roshan ke saath zinda rahe. Yakeenan khuda sunne wala aur jaanne wala hai.

    43. Aur yaad karo woh waqt jabke (aey Nabi),khuda unko tumhare khwab mein thoda dikha raha tha. Agar kahin woh tumhein unki tadaad zyada dikha deta to zaroor tum log himmat haar jaate aur ladayi ke maamle mein jhagda shuru kardete. Lekin Allah hi ne is se tumhein bachaya. Yakeenan woh seeno ka haal tak jaanta hai.

    44. Aur yaad karo jabke muqable ke waat khuda ne tum logon ki nigaahon mein dushmano ko thoda dikhaya aur unki nigaahon mein tumhein kam karke pesh kiya, taa-ke jo baat honi thi usey Allah zahoor mein le aaye. Aur aakhir e kaar saare maamlaat Allah hi ki taraf rujoo karte hain.

    45. Aey iman laane walon, jab kisi giroh se tumhara muqabla ho to saabit qadam raho aur Allah ko kasrat se yaad karo, tawaqqu hai ke tumhein kamiyabi naseeb hogi.

    46. Aur Allah aur uske Rasool ki itaat karo aur aapas mein jhagdo nahin warna tumhare andar kamzori paida ho jayegi aur tumhari hawa ukhad jayegi. Sabr se kaam lo, yakeenan Allah sabr karne walon ke saath hai.

    47. Aur un logon ke se rang-dhang na ikhtiyar karo jo apne gharon se itraate (exulting/ boastfully) aur logon ko apni shaan dikhate huey nikle aur jinki rawish yeh hai ke Allah ke raaste se roakte hain. Jo kuch woh kar rahe hain woh Allah ki giraft se bahar nahin hai.

    48. Zara khayal karo us waqt ka jabke shaytan ne in logon ke kartoot inki nigaahon mein khushnuma bana kar dikhaye thay aur inse kaha tha ke aaj koi tumpar gaalib nahin aa sakta, aur yeh ke main tumhare saath hoon. Magar jab dono girohon ka aamna saamna hua to woh ultey paaon phir gaya aur kehne laga ke mera tumhara saath nahin hai, main woh kuch dekh raha hoon jo tum log nahin dekhte. Mujhe khuda se darr lagta hai aur khuda badi sakht saza dene wala hai.

    49. Jabke munafiqeen aur woh sab log jinke dilon ko roag laga hua hai, keh rahe thay ke in logon ko to inke deen ne khabat (delusion) mein mubtala kar rakkha hai, halanke agar koi Allah par bharosa kare to yakeenan Allah bada zabardast aur dana hai.

    50. Kaash tum us haalat ko dekh sakte jabke Farishte maktool kafiron ki roohein qabz kar rahe thay, woh unke chehron aur unke kulhon (backs) par zarb lagate jaate thay aur kehte jaate thay “ lo ab jalne ki saza bhugto

    51. Yeh woh jaza hai jiska samaan tumhare apne haathon ne peshgi muhaiyya kar rakkha tha. Warna Allah to apne bandon par zulm karne wala nahin hai.”

    52. Yeh maamla unke saath usi tarah pesh aaya jis tarah aale Firoun aur unse pehle ke dusre logon ke saath pesh aata raha hai, ke unhon ne Allah ki aayaat ko maanne se inkar kiya aur Allah ne unke gunahon par unhein pakad liya. Allah quwwat rakhta ahi aur sakht saza dene wala hai.

    53. Yeh Allah ki is sunnat ke mutabiq hua ke woh kisi niyamat ko jo usne kisi qaum ko ata ki ho us waqt tak nahin badalta jab tak ke woh qaum khud apne tarz-e-amal ko nahin badal deti. Allah sab kuch sunne aur jaanne wala hai.

    54. Aale Firoun aur unse pehle ki qaumon ke saath jo kuch pesh aaya woh isi zaabtey(rule/law) ke mutabiq tha. Unhon ne apne Rubb ki aayaat ko jhutlaya, tab humne unke gunahon ki padash mein unhein halaak kiya aur aale-Firoun ko garq kardiya, Yeh sab zalim log thay.

    55. Yaqeenan Allah ke nazdeek zameen par chalne wali makhlooq mein sabse badhtar woh log hain jinhon ne haqq ko maanne se inkar kardiya phir kisi tarah woh usey qabool karne par tayyar nahin hain.

    56. (khusoosan) unmein se woh log jinke saath tu ne muahida (covenant/treaty) kiya phir woh har mauqe par usko todhte hain aur zara khuda ka khauf nahin karte.

    57. Pas agar yeh log tumhein ladayi mein mil jayein to inki aisi khabar lo ke inke baad jo dusre log aisi rawish ikhtiyar karne wale hon unke hawaas bakhta (admonished) ho jayein. Tawakku hai ke badh-ahadon ke is anjaam se woh sabaq lenge.

    58. Aur agar kabhi kisi qaum se khayanat (treachery) ka andesha ho to uske muhaiday ko elaniya (publicly) uske aage phenk do, yaqeenan Allah khayano (treacherous) ko pasand nahin karta.

    59. Munkireen e haqq is galat fahmi mein na rahein ke woh baazi le gaye, yaqeenan woh humko hara nahin sakte.

    60. Aur tum log, jahan tak tumahre bas chale, zyada se zyada taaqat aur tayyar bandhey rehne wale ghodey (well-readied horses ) unke muqable ke liye muhayya rakkho, taa-ke iske zariye se Allah ke aur apne dushmano ko aur un dusre aadaa (others besides them) ko khauf-zadah karo jinhein tum nahin jaante magar Allah jaanta hai. Allah ki raah mein jo kuch tum kharch karoge uska poora poora badal tumhari taraf paltaya jayega aur tumhare saath hargiz zulm na hoga.

    61. Aur (aey Nabi), agar dushman sulah o salamati ki taraf mayal hon to tum bhi uske liye aamada ho jao aur Allah par bharosa karo, yaqeenan wahi sab kuch sunne aur jaane wala hai.

    62. Aur agar woh dhoke ki niyat rakhte hon to tumhare liye Allah kafi hai. Wahi to hai jisne apni madad se aur momino ke zariye se tumhari taeed ki (strengthened you).

    63. Aur momino ke dil ek dusre ke saath joad diye. Tum rooh e zameen ki saari daulat bhi kharch kar daalte to in logon ke dil na joad sakte thay magar woh Allah hai jisne in logon ke dil joadey. Yaqeenan woh bada zabardast aur dana hai.

    64. Aey Nabi, tumhare liye aur tumhare pairow (followers) ehle iman ke liye to bas Allah kafi hai.

    65. Aey Nabi, momino ko jung par ubharo. Agar tum mein se bees (twenty) aadmi saabir (who persevere) hon to do saw (two hundred) par gaalib aayenge, aur agar saw aadmi aise hon to munkireen e haqq mein se hazaar aadmiyon par bhaari rahenge, kyunke woh aise log hain jo samajh nahin rakhte.

    66. Accha, ab Allah ne tumhara boojh halka kiya aur usey maloom hua ke abhi tum mein kamzori hai. Pas agar tum mein se saw (hundred) aadmi saabir hon to woh do saw par aur hazaar aadmi aise hon to do hazaar par Allah ke hukm se gaalib aayenge. Aur Allah un logon ke saath hai jo sabr karne wale hain.

    67. Kisi Nabi ke liye yeh zeba nahin hai ke uske paas qaidi hon jab tak ke woh zameen mein dushmano ko acchi tarah kuchal na de. Tum log duniya ke faiyde chahte ho, halanke Allah ke peshe nazar aakhirat hai. Aur Allah gaalib aur hakeem hai.

    68. Agar Allah ka nawishta (decree) pehle na likha jaa chuka hota to jo kuch tum logon ne liya hai uski padash mein tumko badi saza di jati.

    69. Pas jo kuch tumne maal haasil kiya hai usey khao ke woh halal aur paak hai aur Allah se darte raho. Yakeenan Allah darguzar karne wala aur reham farmane wala hai.

    70. Aey Nabi, tum logon ke qabze mein jo qaidi hain unse kaho agar Allah ko maloom hua ke tumhare dilon mein kuch khair hai to woh tumhein us se badh chadh kar dega jo tumse liya gaya hai aur tumhari khataein maaf karega. Allah darguzar karne wala aur reham farmane wala hai.

    71. Lekin agar woh tere saath khayanat (betrayal) ka irada rakhte hain to is se pehle woh Allah ke saath khayanat kar chuke hain. Chunanchey usi ki saza Allah ne unhein di ke woh tere qaabu mein aa gaye. Allah sab kuch jaanta hai aur hakeem hai.

    72. Jin logon ne iman qabool kiya aur hijrat ki aur Allah ki raah mein apni jaanein ladayin aur apne maal khapaye , aur jin logon ne hijrat karne walon ko jagah di aur unki madad ki, wahi dar-asal ek dusre ke wali (allies/dost) hain. Rahe woh log jo iman to le aaye magar hijrat karke (daar ul Islam mein) aa nahin gaye to unse tumhara wilayat (alliance) ka koi taaluq nahin hai jab tak ke woh hijrat karke na aa jayein. Haan agar woh deen ke maamle mein tumse madad maangein to unki madad karna tumpar farz hai lekin kisi aisi qaum ke khilaf nahin jis se tumhara muhaida ho. Jo kuch tum karte ho Allah usey dekhta hai.

    73. Jo log munkir e haqq hain woh ek dusre ki himayat karte hain, agar tum yeh na karoge to zameen mein fitna aur bada fasaad barpa hoga.

    74. Jo log iman laye aur jinhon ne Allah ki raah mein ghar baar chode aur jidd o jahad ki aur jinhon ne panaah di aur madad ki wahi sacche momin hain. Unke liye khataon se darguzar hai aur behtareen rizq hai.

    75. Aur jo log baad mein iman laye aur hijrat karke aa gaye aur tumhare saath milkar jidd o jahad karne lage woh bhi tumhi mein shamil hain. Magar Allah ki kitaab mein khoon ke rishtedar ek dusre ke zyada haqdaar hain.Yakeenan Allah har cheez ko jaanta hai.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments