📖 Surah 78 An-Naba Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. عَمَّ يَتَسَاءَلُونَ

  2. عَنِ النَّبَإِ الْعَظِيمِ

  3. الَّذِي هُمْ فِيهِ مُخْتَلِفُونَ

  4. كَلَّا سَيَعْلَمُونَ

  5. ثُمَّ كَلَّا سَيَعْلَمُونَ

  6. أَلَمْ نَجْعَلِ الْأَرْضَ مِهَادًا

  7. وَالْجِبَالَ أَوْتَادًا

  8. وَخَلَقْنَاكُمْ أَزْوَاجًا

  9. وَجَعَلْنَا نَوْمَكُمْ سُبَاتًا

  10. وَجَعَلْنَا اللَّيْلَ لِبَاسًا

  11. وَجَعَلْنَا النَّهَارَ مَعَاشًا

  12. وَبَنَيْنَا فَوْقَكُمْ سَبْعًا شِدَادًا

  13. وَجَعَلْنَا سِرَاجًا وَهَّاجًا

  14. وَأَنْزَلْنَا مِنَ الْمُعْصِرَاتِ مَاءً ثَجَّاجًا

  15. لِنُخْرِجَ بِهِ حَبًّا وَنَبَاتًا

  16. وَجَنَّاتٍ أَلْفَافًا

  17. إِنَّ يَوْمَ الْفَصْلِ كَانَ مِيقَاتًا

  18. يَوْمَ يُنْفَخُ فِي الصُّورِ فَتَأْتُونَ أَفْوَاجًا

  19. وَفُتِحَتِ السَّمَاءُ فَكَانَتْ أَبْوَابًا

  20. وَسُيِّرَتِ الْجِبَالُ فَكَانَتْ سَرَابًا

  21. إِنَّ جَهَنَّمَ كَانَتْ مِرْصَادًا

  22. لِلطَّاغِينَ مَآبًا

  23. لَابِثِينَ فِيهَا أَحْقَابًا

  24. لَا يَذُوقُونَ فِيهَا بَرْدًا وَلَا شَرَابًا

  25. إِلَّا حَمِيمًا وَغَسَّاقًا

  26. جَزَاءً وِفَاقًا

  27. إِنَّهُمْ كَانُوا لَا يَرْجُونَ حِسَابًا

  28. وَكَذَّبُوا بِآيَاتِنَا كِذَّابًا

  29. وَكُلَّ شَيْءٍ أَحْصَيْنَاهُ كِتَابًا

  30. فَذُوقُوا فَلَنْ نَزِيدَكُمْ إِلَّا عَذَابًا

  31. إِنَّ لِلْمُتَّقِينَ مَفَازًا

  32. حَدَائِقَ وَأَعْنَابًا

  33. وَكَوَاعِبَ أَتْرَابًا

  34. وَكَأْسًا دِهَاقًا

  35. لَا يَسْمَعُونَ فِيهَا لَغْوًا وَلَا كِذَّابًا

  36. جَزَاءً مِنْ رَبِّكَ عَطَاءً حِسَابًا

  37. رَبِّ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَمَا بَيْنَهُمَا الرَّحْمَٰنِ ۖ لَا يَمْلِكُونَ مِنْهُ خِطَابًا

  38. يَوْمَ يَقُومُ الرُّوحُ وَالْمَلَائِكَةُ صَفًّا ۖ لَا يَتَكَلَّمُونَ إِلَّا مَنْ أَذِنَ لَهُ الرَّحْمَٰنُ وَقَالَ صَوَابًا

  39. ذَٰلِكَ الْيَوْمُ الْحَقُّ ۖ فَمَنْ شَاءَ اتَّخَذَ إِلَىٰ رَبِّهِ مَآبًا

  40. إِنَّا أَنْذَرْنَاكُمْ عَذَابًا قَرِيبًا يَوْمَ يَنْظُرُ الْمَرْءُ مَا قَدَّمَتْ يَدَاهُ وَيَقُولُ الْكَافِرُ يَا لَيْتَنِي كُنْتُ تُرَابًا

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. 'Amma Yatasaa-aloon

  2. 'Anin-nabaa-il 'azeem

  3. Allazi hum feehi mukh talifoon

  4. Kallaa sa y'alamoon

  5. Thumma kallaa sa y'alamoon

  6. Alam naj'alil arda mihaa da

  7. Wal jibaala au taada

  8. Wa khalaq naakum azwaaja

  9. Waja'alna naumakum subata

  10. Waja'alnal laila libasa

  11. Waja'alnan nahara ma 'aasha

  12. Wa banaina fauqakum sab 'an shi daada

  13. Waja'alna siraajaw wah haaja

  14. Wa anzalna minal m'usiraati maa-an thaj-jaaja

  15. Linukh rija bihee habbaw wana baata

  16. Wa jan naatin alfafa

  17. Inna yaumal-fasli kana meeqaata

  18. Yauma yun fakhu fis-soori fataa' toona afwaaja

  19. Wa futiha tis samaa-u fakaanat abwaaba

  20. Wa suyyi raatil jibaalu fa kaanat saraaba

  21. Inna jahan nama kaanat mirsaada

  22. Lit taa gheena ma aaba

  23. Laa bitheena feehaa ahqaaba

  24. Laa ya zooqoona feeha bar daw walaa sharaaba

  25. Illa hamee maw-wa ghas saaqa

  26. Jazaa-aw wi faaqa

  27. Innahum kaanu laa yarjoona hisaaba

  28. Wa kazzabu bi aayaa tina kizzaba

  29. Wa kulla shai-in ahsai naahu kitaa ba

  30. Fa zooqoo falan-nazee dakum ill-laa azaaba (section 1)

  31. Inna lil mutta qeena mafaaza

  32. Hadaa-iqa wa a'anaa ba

  33. Wa kaawa 'iba at raaba

  34. Wa ka'san di haaqa

  35. Laa yasma'oona fiha lagh waw walaa kizzaba

  36. Jazaa-am mir-rabbika ataa-an hisaaba

  37. Rabbis samaa waati wal ardi wa maa baina humar rahmaani laa yam likoona minhu khitaaba

  38. Yauma yaqoo mur roohu wal malaa-ikatu saf-fal laa yatakallamoona ill-laa man azina lahur rahmaanu wa qaala sawaaba

  39. Zaalikal yaumul haqqu faman shaa-at ta khaaza ill-laa rabbihi ma-aaba

  40. In naa anzar naakum azaaban qareebaiy-yauma yan zurul marr-u maa qaddamat yadaahu wa ya qoolul-kaafiru yaa lai tanee kuntu turaaba (section 2)

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Yeh log kis cheez ke baare mein pooch-gajj kar rahe hain?

2. Kya us badi khabar ke baare mein.

3. Jiske mutaaliq yeh mukhtalif che-mei-goiyan (disagreement) karne mein lage huey hain?

4. Hargiz nahin an-qareeb inhein maloom ho jayega.

5. Haan hargiz nahin, an-qareeb inhein maloom ho jayega.

6. Kya yeh waqiya nahin hai ke humne zameen ko farsh banaya.

7. Aur pahadon ko mekhon (pegs) ki tarah gaad diya.

8. Aur tumhein (mardon aur auraton ke) jodon ki shakal mein paida kiya.

9. Aur tumhari neend ko baais e sukoon banaya.

10. Aur raat ko purda posh.

11. Aur din ko maash (livelihood) ka waqt banaya.

12. Aur Tumhare upar saat mazboot asmaan qayam kiye.

13.Aur ek nihayat roshan aur garm chirag paida kiya.

14. Aur baadalon se lagataar baarish barsayi.

15. Taa-ke iske zariye se galla (grain) aur sabzi.

16. Aur ghaney baagh ugaye?

17. Beshak faisle ka din ek mukarrar waqt hai.

18. Jis roz soor mein phook maar di jayegi tum fauj dar fauj nikal aaoge.

19. Aur asmaan khol diya jayega hatta ke woh darwaze hi darwaze ban kar reh jayega.

20. Aur pahad chalaye jayenge yahan tak ke woh saraab (mirage) ho jayenge.

21. Dar haqeeqat jahannum ek ghaath (ambush) hai.

22. Sarkashon ka thikana.

23. Jismein woh muddaton padey rahenge.

24. Uske andar kisi thandak aur peene ke qabil kisi cheez ka maza woh na chakhenge.

25. kuch milega to bas garam pani aur zakhmon ka dho-wan (peep).

26. (Unke kartooton) ka bharpur badla.

27. Woh kisi hisab ki tawakku na rakhte thay.

28. Aur hamari aayaat ko unhon ne bilkul jhutla diya tha.

29. Aur haal yeh tha ke humne har cheez gin gin kar likh rakkhi thi.

30. Ab chakho maza, Hum tumhare liye azaab ke siwa kisi cheez mein hargiz izafa na karenge.

31. Yakeenan muttakiyon (pious) ke liye kamrani ka ek Muqaam hai.

32. Baagh aur angoor.

33. Aur naukhez humsin (hum-umar) ladkiyan.

34. Aur jhalakte huey jaam.

35. Wahan koi lagv (vain) aur jhoothi baat woh na sunenge.

36. Jazaa aur kafi inaam tumhare Rubb ki taraf se.

37. Us nihayat meharbaan khuda ki taraf se jo zameen aur asmaano ka aur inke darmiyan ki har cheez ka maalik hai jiske saamne kisi ko bolne ka yara (dare/power) nahin.

38. Jis roz rooh aur malaika saff basta khade honge. Koi na bolega siwaye uske jise Rehman ijazat de aur jo theek baat kahey.

39. Woh din bar-haqq hai, ab jiska jee chahe apne Rubb ki taraf palatne ka raasta ikhtiyar karle.

40. Humne tum logon ko us azaab se dara diya hai jo qareeb aa laga hai. Jis roz aadmi woh sab kuch dekh lega jo uske haathon ne aage bheja hai, aur kafir pukar uthega ke kaash main khaaq (mitti) hota.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments