📖 Surah 76 Al-Insan Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- هَلْ أَتَىٰ عَلَى الْإِنْسَانِ حِينٌ مِنَ الدَّهْرِ لَمْ يَكُنْ شَيْئًا مَذْكُورًا
- إِنَّا خَلَقْنَا الْإِنْسَانَ مِنْ نُطْفَةٍ أَمْشَاجٍ نَبْتَلِيهِ فَجَعَلْنَاهُ سَمِيعًا بَصِيرًا
- إِنَّا هَدَيْنَاهُ السَّبِيلَ إِمَّا شَاكِرًا وَإِمَّا كَفُورًا
- إِنَّا أَعْتَدْنَا لِلْكَافِرِينَ سَلَاسِلَ وَأَغْلَالًا وَسَعِيرًا
- إِنَّ الْأَبْرَارَ يَشْرَبُونَ مِنْ كَأْسٍ كَانَ مِزَاجُهَا كَافُورًا
- عَيْنًا يَشْرَبُ بِهَا عِبَادُ اللَّهِ يُفَجِّرُونَهَا تَفْجِيرًا
- يُوفُونَ بِالنَّذْرِ وَيَخَافُونَ يَوْمًا كَانَ شَرُّهُ مُسْتَطِيرًا
- وَيُطْعِمُونَ الطَّعَامَ عَلَىٰ حُبِّهِ مِسْكِينًا وَيَتِيمًا وَأَسِيرًا
- إِنَّمَا نُطْعِمُكُمْ لِوَجْهِ اللَّهِ لَا نُرِيدُ مِنْكُمْ جَزَاءً وَلَا شُكُورًا
- إِنَّا نَخَافُ مِنْ رَبِّنَا يَوْمًا عَبُوسًا قَمْطَرِيرًا
- فَوَقَاهُمُ اللَّهُ شَرَّ ذَٰلِكَ الْيَوْمِ وَلَقَّاهُمْ نَضْرَةً وَسُرُورًا
- وَجَزَاهُمْ بِمَا صَبَرُوا جَنَّةً وَحَرِيرًا
- مُتَّكِئِينَ فِيهَا عَلَى الْأَرَائِكِ ۖ لَا يَرَوْنَ فِيهَا شَمْسًا وَلَا زَمْهَرِيرًا
- وَدَانِيَةً عَلَيْهِمْ ظِلَالُهَا وَذُلِّلَتْ قُطُوفُهَا تَذْلِيلًا
- وَيُطَافُ عَلَيْهِمْ بِآنِيَةٍ مِنْ فِضَّةٍ وَأَكْوَابٍ كَانَتْ قَوَارِيرَا
- قَوَارِيرَ مِنْ فِضَّةٍ قَدَّرُوهَا تَقْدِيرًا
- وَيُسْقَوْنَ فِيهَا كَأْسًا كَانَ مِزَاجُهَا زَنْجَبِيلًا
- عَيْنًا فِيهَا تُسَمَّىٰ سَلْسَبِيلًا
- وَيَطُوفُ عَلَيْهِمْ وِلْدَانٌ مُخَلَّدُونَ إِذَا رَأَيْتَهُمْ حَسِبْتَهُمْ لُؤْلُؤًا مَنْثُورًا
- وَإِذَا رَأَيْتَ ثَمَّ رَأَيْتَ نَعِيمًا وَمُلْكًا كَبِيرًا
- عَالِيَهُمْ ثِيَابُ سُنْدُسٍ خُضْرٌ وَإِسْتَبْرَقٌ ۖ وَحُلُّوا أَسَاوِرَ مِنْ فِضَّةٍ وَسَقَاهُمْ رَبُّهُمْ شَرَابًا طَهُورًا
- إِنَّ هَٰذَا كَانَ لَكُمْ جَزَاءً وَكَانَ سَعْيُكُمْ مَشْكُورًا
- إِنَّا نَحْنُ نَزَّلْنَا عَلَيْكَ الْقُرْآنَ تَنْزِيلًا
- فَاصْبِرْ لِحُكْمِ رَبِّكَ وَلَا تُطِعْ مِنْهُمْ آثِمًا أَوْ كَفُورًا
- وَاذْكُرِ اسْمَ رَبِّكَ بُكْرَةً وَأَصِيلًا
- وَمِنَ اللَّيْلِ فَاسْجُدْ لَهُ وَسَبِّحْهُ لَيْلًا طَوِيلًا
- إِنَّ هَٰؤُلَاءِ يُحِبُّونَ الْعَاجِلَةَ وَيَذَرُونَ وَرَاءَهُمْ يَوْمًا ثَقِيلًا
- نَحْنُ خَلَقْنَاهُمْ وَشَدَدْنَا أَسْرَهُمْ ۖ وَإِذَا شِئْنَا بَدَّلْنَا أَمْثَالَهُمْ تَبْدِيلًا
- إِنَّ هَٰذِهِ تَذْكِرَةٌ ۖ فَمَنْ شَاءَ اتَّخَذَ إِلَىٰ رَبِّهِ سَبِيلًا
- وَمَا تَشَاءُونَ إِلَّا أَنْ يَشَاءَ اللَّهُ ۚ إِنَّ اللَّهَ كَانَ عَلِيمًا حَكِيمًا
- يُدْخِلُ مَنْ يَشَاءُ فِي رَحْمَتِهِ ۚ وَالظَّالِمِينَ أَعَدَّ لَهُمْ عَذَابًا أَلِيمًا
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Hal ataa 'alal insaani heenum minad dahri lam yakun shai'am mazkooraa
- Innaa khalaqnal insaana min nutfatin amshaajin nabta leehi faja'alnaahu samee'am baseeraa
- Innaa hadainaahus sabeela immaa shaakiranw wa immaa kafoora
- Innaaa a'tadnaa lilkaa fireena salaasila wa aghlaalanw wa sa'eeraa
- Innal abraara yashra boona min kaasin kaana mizaa juhaa kaafooraa
- 'Aynany yashrabu bihaa 'ibaadul laahi yufajjiroonahaa tafjeeraa
- Yoofoona binnazri wa yakhaafoona yawman kaana sharruhoo mustateeraa
- Wa yut''imoonat ta'aama 'alaa hubbihee miskeenanw wa yateemanw wa aseeraa
- Innaamaa nut'imukum li wajhil laahi laa nureedu minkum jazaaa'anw wa laa shukooraa
- Innaa nakhaafu mir Rabbinna Yawman 'aboosan qamtareeraa
- Fa waqaahumul laahu sharra zaalikal yawmi wa laqqaahum nadratanw wa surooraa
- Wa jazaahum bimaa sabaroo jannatanw wa hareeraa
- Muttaki'eena feeha 'alal araaa 'iki laa yarawna feehaa shamsanw wa laa zamhareeraa
- Wa daaniyatan 'alaihim zilaaluhaa wa zullilat qutoofu haa tazleela
- Wa yutaafu 'alaihim bi aaniyatim min fiddatinw wa akwaabin kaanat qawaareeraa
- Qawaareera min fiddatin qaddaroohaa taqdeeraa
- Wa yuskawna feehaa ka'asan kaana mizaajuhaa zanjabeelaa
- 'Aynan feeha tusammaa salsabeelaa
- Wa yatoofu 'alaihim wildaanum mukhalladoona izaa ra aytahum hasibtahum lu'lu 'am mansoora
- Wa izaa ra ayta samma ra ayta na'eemanw wa mulkan kabeera
- 'Aaliyahum siyaabu sundusin khudrunw wa istabraq, wa hullooo asaawira min fiddatinw wa saqaahum Rabbuhum sharaaban tahooraa
- Innaa haazaa kaana lakum jazaa 'anw wa kaana sa'yukum mashkooraa
- Innaa nahnu nazzalnaa 'alaikal quraana tanzeelaa
- Fasbir lihukmi Rabbika wa laa tuti' minhum aasiman aw kafooraa
- Wazkuris ma Rabbika bukratanw wa aseelaa
- Wa minal laili fasjud lahoo wa sabbihhu lailan taweelaa
- Inna haaa'ulaa'i yuhibboona 'aajilata wa yazaroona waraaa'ahum yawman saqeelaa
- Nahnu khalaqnaahum wa shadadnaaa asrahum wa izaa shi'naa baddalnaaa amsaala hum tabdeelaa
- Inna haazihee tazkiratun fa man shaaa'at takhaza ilaa rabbihee sabeela
- Wa maa tashaaa'oona illaa anyyashaaa'al laah; innal laahaa kaana'Aleeman Hakeema
- Yudkhilu mai yashaaa'u fee rahmatih; wazzaalimeena a'adda lahum 'azaaban aleemaa
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Kya Insan par (nahi) la mutanahi zamane ka ek waqt aisa bhi guzra hai jab woh koi qabil e zikr cheez na tha?2. Humne Insan ko ek makhlut nutfe (intermingled sperm) se paida kiya taa-ke uska imtihaan lein aur is garz ke liye humne usey sunne aur dekhne wala banaya.
3. Humne usey raasta dikha diya, khwa shukar karne wala baney ya kufr karne wala
4. Kufr karne walon ke liye humne zanjeerein aur tauq(fetters) aur bhadakti hui aag muhaiyya kar rakkhi hai
5. Neik log (jannat mein) sharaab ke aise sagar piyenge jinmein aabe kafoor ki aamezish (mixture) hogi
6. Yeh ek behta chashma (spring) hoga jiske pani ke saath Allah ke banday sharaab piyengey aur jahan chahenge ba-sahulat uski shakhein (nikal) lenge.
7. Yeh woh log honge jo (duniya mein) nazar poori karte hain, aur us din se darte hain jiski aafat har taraf phaili hui hogi.
8. Aur Allah ki muhabbat mein miskeen aur yateem aur qaidi ko khana khilate hai,
9. Aur unse kehte hai ke (hum tumhein sirf) Allah ki khatir khila rahe hain, hum tumse na koi badla chahte hai na shukriya,
10. Hume to apne Rubb se us din ke azaab ka khauf lahiq hai jo sakht museebat ka intihayi taweel din hoga
11. Pas Allah taala unhein us din ke sharr se bacha lega aur unhein taazgi aur suroor bakshega.
12. Aur unke sabr ke badle mein unhein jannat aur reshmi libaas ata karega
13. Wahan woh unchey masnadon par takiye lagaye baithe honge, na unhein dhoop ki garmi satayegi na jaade ki thirr (bitter cold).
14. Jannat ki chaaon unpar jhuki hui saaya kar rahi hogi,aur uske phal har waqt unke bas mein honge (ke jis tarah chahe unhein toad lein)
15. Unke aage chandi ke bartan aur shishey ke pyale gardish karaye jaa rahe honge
16. Shishey bhi woh jo chandi ki qisam ke honge,aur unko (muntazmin-e-jannat ne) theek andaze ke mutabik bhara hoga
17. Unko wahan aisi sharaab ke jaam pilaye jayenge jis mein soont (ginger) ki aamezish hogi
18. Yeh jannat ka ek chashma hoga jise salsabil kaha jata hai
19. Unki khidmat ke liye aise ladke daudte phir rahe honge jo hamesha ladke hi rahenge. Tum unhein dekho to samjho ke moti (pearls) hain jo bikher diye gaye hain
20. Wahan jidhar bhi tum nigaah daloge niyamatein hi niyamatein aur ek badi sultanat ka sar o samaan tumhein nazar aayega.
21. Unke upar bareek resham ke sabz libaas aur atlas o deba ke kapde (rich brocade) honge, unko chandi ke kangan pehnaye jayenge , aur unka Rubb unko nihayat pakeeza sharaab pilaeyga.
22. Yeh hai tumhari jaza aur tumhari kaar-guzari qabil-e-qadr thehri hai.
23. Aey Nabi, humne hi tumpar yeh Quran thoda thoda karke naazil kiya hai,
24. Lihaza tum apne Rubb ke hukm par sabr karo, aur in mein se kisi badh-amal ya munkir-e-haq ki baat na maano
25. Apne Rubb ka naam subh-o-shaam yaad karo
26. Raat ko bhi uske huzoor sajda reiz ho, Aur raat ke taveel auqat mein uski tasbeeh karte raho.
27. Yeh log to jaldi haasil hone wali cheez (duniya ) se muhabbat rakhte hain aur aage jo bhaari din aane wala hai usey nazar andaz kardete hain.
28. Humne hi inko paida kiya hai aur inke jodh bandh mazboot kiye hai, aur hum jab chahe inki shaklon ko badal kar rakh dein.
29. Yeh ek naseehat hai, ab jiska jee chahe apne Rubb ki taraf jaane ka raasta ikhtiyar karle.
30. Aur tumhare chahne se kuch nahin hota jab tak ke Allah na chahe, yaqeenan Allah bada Aleem-o-Haqeem hai.
31. Apni rehmat mein jisko chahta hai daakhil karta hai, Aur zalimon ke liye usne dardnaak azaab tayyar kar rakkha hai.
Comments
Post a Comment