📖 Surah 74 Al-Muddaththir Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- يَا أَيُّهَا الْمُدَّثِّرُ
- قُمْ فَأَنْذِرْ
- وَرَبَّكَ فَكَبِّرْ
- وَثِيَابَكَ فَطَهِّرْ
- وَالرُّجْزَ فَاهْجُرْ
- وَلَا تَمْنُنْ تَسْتَكْثِرُ
- وَلِرَبِّكَ فَاصْبِرْ
- فَإِذَا نُقِرَ فِي النَّاقُورِ
- فَذَٰلِكَ يَوْمَئِذٍ يَوْمٌ عَسِيرٌ
- عَلَى الْكَافِرِينَ غَيْرُ يَسِيرٍ
- ذَرْنِي وَمَنْ خَلَقْتُ وَحِيدًا
- وَجَعَلْتُ لَهُ مَالًا مَمْدُودًا
- وَبَنِينَ شُهُودًا
- وَمَهَّدْتُ لَهُ تَمْهِيدًا
- ثُمَّ يَطْمَعُ أَنْ أَزِيدَ
- كَلَّا ۖ إِنَّهُ كَانَ لِآيَاتِنَا عَنِيدًا
- سَأُرْهِقُهُ صَعُودًا
- إِنَّهُ فَكَّرَ وَقَدَّرَ
- فَقُتِلَ كَيْفَ قَدَّرَ
- ثُمَّ قُتِلَ كَيْفَ قَدَّرَ
- ثُمَّ نَظَرَ
- ثُمَّ عَبَسَ وَبَسَرَ
- ثُمَّ أَدْبَرَ وَاسْتَكْبَرَ
- فَقَالَ إِنْ هَٰذَا إِلَّا سِحْرٌ يُؤْثَرُ
- إِنْ هَٰذَا إِلَّا قَوْلُ الْبَشَرِ
- سَأُصْلِيهِ سَقَرَ
- وَمَا أَدْرَاكَ مَا سَقَرُ
- لَا تُبْقِي وَلَا تَذَرُ
- لَوَّاحَةٌ لِلْبَشَرِ
- عَلَيْهَا تِسْعَةَ عَشَرَ
- وَمَا جَعَلْنَا أَصْحَابَ النَّارِ إِلَّا مَلَائِكَةً ۙ وَمَا جَعَلْنَا عِدَّتَهُمْ إِلَّا فِتْنَةً لِلَّذِينَ كَفَرُوا لِيَسْتَيْقِنَ الَّذِينَ أُوتُوا الْكِتَابَ وَيَزْدَادَ الَّذِينَ آمَنُوا إِيمَانًا ۙ وَلَا يَرْتَابَ الَّذِينَ أُوتُوا الْكِتَابَ وَالْمُؤْمِنُونَ ۙ وَلِيَقُولَ الَّذِينَ فِي قُلُوبِهِمْ مَرَضٌ وَالْكَافِرُونَ مَاذَا أَرَادَ اللَّهُ بِهَٰذَا مَثَلًا ۚ كَذَٰلِكَ يُضِلُّ اللَّهُ مَنْ يَشَاءُ وَيَهْدِي مَنْ يَشَاءُ ۚ وَمَا يَعْلَمُ جُنُودَ رَبِّكَ إِلَّا هُوَ ۚ وَمَا هِيَ إِلَّا ذِكْرَىٰ لِلْبَشَرِ
- كَلَّا وَالْقَمَرِ
- وَاللَّيْلِ إِذْ أَدْبَرَ
- وَالصُّبْحِ إِذَا أَسْفَرَ
- إِنَّهَا لَإِحْدَى الْكُبَرِ
- نَذِيرًا لِلْبَشَرِ
- لِمَنْ شَاءَ مِنْكُمْ أَنْ يَتَقَدَّمَ أَوْ يَتَأَخَّرَ
- كُلُّ نَفْسٍ بِمَا كَسَبَتْ رَهِينَةٌ
- إِلَّا أَصْحَابَ الْيَمِينِ
- فِي جَنَّاتٍ يَتَسَاءَلُونَ
- عَنِ الْمُجْرِمِينَ
- مَا سَلَكَكُمْ فِي سَقَرَ
- قَالُوا لَمْ نَكُ مِنَ الْمُصَلِّينَ
- وَلَمْ نَكُ نُطْعِمُ الْمِسْكِينَ
- وَكُنَّا نَخُوضُ مَعَ الْخَائِضِينَ
- وَكُنَّا نُكَذِّبُ بِيَوْمِ الدِّينِ
- حَتَّىٰ أَتَانَا الْيَقِينُ
- فَمَا تَنْفَعُهُمْ شَفَاعَةُ الشَّافِعِينَ
- فَمَا لَهُمْ عَنِ التَّذْكِرَةِ مُعْرِضِينَ
- كَأَنَّهُمْ حُمُرٌ مُسْتَنْفِرَةٌ
- فَرَّتْ مِنْ قَسْوَرَةٍ
- بَلْ يُرِيدُ كُلُّ امْرِئٍ مِنْهُمْ أَنْ يُؤْتَىٰ صُحُفًا مُنَشَّرَةً
- كَلَّا ۖ بَلْ لَا يَخَافُونَ الْآخِرَةَ
- كَلَّا إِنَّهُ تَذْكِرَةٌ
- فَمَنْ شَاءَ ذَكَرَهُ
- وَمَا يَذْكُرُونَ إِلَّا أَنْ يَشَاءَ اللَّهُ ۚ هُوَ أَهْلُ التَّقْوَىٰ وَأَهْلُ الْمَغْفِرَةِ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Yaaa ayyuhal muddassir
- Qum fa anzir
- Wa rabbaka fakabbir
- Wa siyaabaka fatahhir
- Warrujza fahjur
- Wa laa tamnun tastaksir
- Wa li Rabbika fasbir
- Fa izaa nuqira fin naaqoor
- Fazaalika yawma 'iziny yawmun 'aseer
- 'Alal kaafireena ghairu yaseer
- Zarnee wa man khalaqtu waheedaa
- Wa ja'altu lahoo maalam mamdoodaa
- Wa baneena shuhoodaa
- Wa mahhattu lahoo tamheeda
- Summa yat ma'u an azeed
- Kallaaa innahoo kaana li Aayaatinaa 'aneedaa
- Sa urhiquhoo sa'oodaa
- Innahoo fakkara wa qaddar
- Faqutila kayfa qaddar
- Summa qutila kaifa qaddar
- Summa nazar
- Summa 'abasa wa basar
- Summaa adbara wastakbar
- Faqaala in haazaaa illaa sihruny yu'sar
- In haazaaa illaa qawlul bashar
- Sa usleehi saqar
- Wa maaa adraaka maa saqar
- Laa tubqee wa laa tazar
- Lawwaahatul lilbashar
- 'Alaihaa tis'ata 'ashar
- Wa maaja'alnaaa As-haaban naari illaa malaaa 'ikatanw wa maa ja'alnaa 'iddatahum illaa fitnatal lillazeena kafaroo liyastaiqinal lazeena ootul kitaaba wa yazdaadal lazeena aamanooo eemaananw wa laa yartaabal lazeena ootul kitaaba walmu'minoona wa liyaqoolal lazeena fee quloo bihim maradunw walkaafiroona maazaaa araadal laahu bihaazaa masalaa; kazaalika yudillul laahu mai yashaaa'u wa yahdee mai yashaaa'; wa maa ya'lamu junooda rabbika illaa hoo; wa maa hiya illaa zikraa lil bashar
- Kallaa walqamar
- Wallaili id adbar
- Wassub hi izaaa asfar
- Innahaa la ihdal kubar
- Nazeeral lilbashar
- Liman shaaa'a minkum any yataqaddama aw yata akhkhar
- Kullu nafsim bima kasabat raheenah
- Illaaa as haabal yameen
- Fee jannaatiny yata saaa'aloon
- 'Anil mujrimeen
- Maa salakakum fee saqar
- Qaaloo lam naku minal musalleen
- Wa lam naku nut'imul miskeen
- Wa kunnaa nakhoodu ma'al khaaa'ideen
- Wa kunnaa nukazzibu bi yawmid Deen
- Hattaaa ataanal yaqeen
- Famaa tanfa'uhum shafaa'atush shaafi'een
- Famaa lahum 'anittazkirati mu'rideen
- Ka annahum humurum mustanfirah
- Farrat min qaswarah
- Bal yureedu kullum ri'im minhum any yu'taa suhufam munashsharah
- Kallaa bal laa yakhaafoonal aakhirah
- Kallaaa innahoo tazkirah
- Fa man shaaa'a zakarah
- Wa maa yazkuroona illaaa any yashaaa'al laah; Huwa ahlut taqwaa wa ahlul maghfirah
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Aey oad lapeit (enveloped) kar laitney wale2. Utho aur khabardaar karo
3. Aur apne Rubb ki badayi ka elan karo
4. Aur apne kapde paak rakho
5. Aur gandagi se dur raho
6. Aur ehsan na karo zyada haasil karne ke liye
7. Aur apne Rubb ki khatir sabr karo
8. Accha jab soor mein phook maari jayegi
9. Woh din bada hi sakht din hoga
10. Kafiron ke liye halka na hoga
11. Chodh do mujhe aur us shaks ko jise maine akela paida kiya hai,
12. Bahut sa maal usko diya
13. Uske saath haazir rehne wale bete diye
14. Aur uske liye riyasat ki raah hamwar ki
15. Phir woh tama (greedily desire rakhta hai ke main usey aur zyada doon
16. Hargiz nahin woh hamari aayaat se inaath (stubbornly oppose) rakhta hai.
17. Main to usey ankareeb ek kathin chadhai chadwaunga
18. Usne socha aur kuch baat banane ki koshish ki
19. To khuda ki maar uspar, kaisi baat banane ki koshish ki
20. Haan, khuda ki maar uspar , kaisi baat banane ki koshish ki,
21. Phir(logon ki taraf) dekha
22. Phir peshani sukedi aur mooh banaya
23. Phir palta aur takabbur mein padh gaya
24. Aakhir e kaar bola ke yeh kuch nahin hai magar ek jaadu jo pehle se chala aa raha hai
25. Yeh to ek Insani kalaam hai
26. Anqareeb main usey dozakh mein jhonk dunga
27. Aur tum kya jaano ke kya hai woh dozakh?
28. Na baki rakkhe na chodey
29. Khaal (skin) jhulas dene wali
30. Unnis (ninteen) karkoon uspar muqarrar hain
31. Humne dozakh ke yeh karkoon Farishte banaye hain,aur unki tadaad ko kafiron ke liye fitna bana diya hai,taa-key ehle kitaab ko yaqeen aa jaaye aur iman laane walon ka iman badhey, Aur ehle kitaab aur mominin kisi shakk mein na rahe, aur dil ke bimar aur kuffar yeh kahein ke bhala Allah ka is ajeeb baat se kya matlab ho sakta hai. Is tarah Allah jise chahta hai gumraah kardeta hai aur jise chahta hai hidayat baksh deta hai aur tere Rubb ke lashkaron(soldiers) ko khud uske siwa koi nahin jaanta, aur is dozak ka zikr iske siwa kisi garz ke liye nahin kiya gaya hai ke logon ko is se naseehat ho
32. Hargiz nahin,qasam hai chaand ki
33. Aur Raat ki jabke woh palat-ti hai
34. Aur subah ki jabke woh roshan hoti hai
35. Yeh dozakh bhi badi cheezon mein se ek hai
36. Insano ke liye darawa
37. Tum mein se har us shaks ke liye darawa jo aage badhna chahe ya pichey reh jana chahe
38. Har mutanaffis, apne kasb ke badle rehan hai (hostage to one’s deeds)
39. Dayein bazu walon ke siwa
40. Jo jannaton mein honge, wahan woh
41. Mujrimon se puchenge
42. Tumhein kya cheez dozakh mein le gayi?
43. woh kahenge “hum namaz padne walon mein se na thay
44. Aur miskeen ko khana nahin khilate thay
45. Aur haqq ke khilaf batein banane walon ke saath milkar hum bhi batein banane lagte thay
46. Aur roz-e-jaza ko jhoot karar dete thay
47. Yahan tak ke humein us yaqeeni cheez se saabqa pesh aa gaya”
48. Us waqt sifarish karne walon ki sifarish unke kisi kaam na ayegi
49. Aakhir in logon ko kya ho gaya hai ke yeh is naseehat se mooh moad rahe hain
50. Goya yeh jungli gadhey hain
51. Jo Sher se darr kar bhaag padey hain
52. Balke inmein se to har ek yeh chahta hai ke uske naam khule khat bhejey jaaye,
53. Hargiz nahin, Asal baat yeh hai ke yeh aakhirat ka khauf nahin rakhtey
54. Hargiz nahin,yeh to ek naseehat hai
55. Ab jiska jee chahe is se sabaq haasil karle
56. Aur yeh koi sabaq haasil na karenge illa yeh ke Allah hi aisa chahe woh iska haqqdar hai ke us se taqwa kiya jaaye aur woh iska ehal hai ke (taqwa karne walon ko) baksh de.
Comments
Post a Comment