📖 Surah 72 Al-Jinn Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. قُلْ أُوحِيَ إِلَيَّ أَنَّهُ اسْتَمَعَ نَفَرٌ مِنَ الْجِنِّ فَقَالُوا إِنَّا سَمِعْنَا قُرْآنًا عَجَبًا

  2. يَهْدِي إِلَى الرُّشْدِ فَآمَنَّا بِهِ ۖ وَلَنْ نُشْرِكَ بِرَبِّنَا أَحَدًا

  3. وَأَنَّهُ تَعَالَىٰ جَدُّ رَبِّنَا مَا اتَّخَذَ صَاحِبَةً وَلَا وَلَدًا

  4. وَأَنَّهُ كَانَ يَقُولُ سَفِيهُنَا عَلَى اللَّهِ شَطَطًا

  5. وَأَنَّا ظَنَنَّا أَنْ لَنْ تَقُولَ الْإِنْسُ وَالْجِنُّ عَلَى اللَّهِ كَذِبًا

  6. وَأَنَّهُ كَانَ رِجَالٌ مِنَ الْإِنْسِ يَعُوذُونَ بِرِجَالٍ مِنَ الْجِنِّ فَزَادُوهُمْ رَهَقًا

  7. وَأَنَّهُمْ ظَنُّوا كَمَا ظَنَنْتُمْ أَنْ لَنْ يَبْعَثَ اللَّهُ أَحَدًا

  8. وَأَنَّا لَمَسْنَا السَّمَاءَ فَوَجَدْنَاهَا مُلِئَتْ حَرَسًا شَدِيدًا وَشُهُبًا

  9. وَأَنَّا كُنَّا نَقْعُدُ مِنْهَا مَقَاعِدَ لِلسَّمْعِ ۖ فَمَنْ يَسْتَمِعِ الْآنَ يَجِدْ لَهُ شِهَابًا رَصَدًا

  10. وَأَنَّا لَا نَدْرِي أَشَرٌّ أُرِيدَ بِمَنْ فِي الْأَرْضِ أَمْ أَرَادَ بِهِمْ رَبُّهُمْ رَشَدًا

  11. وَأَنَّا مِنَّا الصَّالِحُونَ وَمِنَّا دُونَ ذَٰلِكَ ۖ كُنَّا طَرَائِقَ قِدَدًا

  12. وَأَنَّا ظَنَنَّا أَنْ لَنْ نُعْجِزَ اللَّهَ فِي الْأَرْضِ وَلَنْ نُعْجِزَهُ هَرَبًا

  13. وَأَنَّا لَمَّا سَمِعْنَا الْهُدَىٰ آمَنَّا بِهِ ۖ فَمَنْ يُؤْمِنْ بِرَبِّهِ فَلَا يَخَافُ بَخْسًا وَلَا رَهَقًا

  14. وَأَنَّا مِنَّا الْمُسْلِمُونَ وَمِنَّا الْقَاسِطُونَ ۖ فَمَنْ أَسْلَمَ فَأُولَٰئِكَ تَحَرَّوْا رَشَدًا

  15. وَأَمَّا الْقَاسِطُونَ فَكَانُوا لِجَهَنَّمَ حَطَبًا

  16. وَأَنْ لَوِ اسْتَقَامُوا عَلَى الطَّرِيقَةِ لَأَسْقَيْنَاهُمْ مَاءً غَدَقًا

  17. لِنَفْتِنَهُمْ فِيهِ ۚ وَمَنْ يُعْرِضْ عَنْ ذِكْرِ رَبِّهِ يَسْلُكْهُ عَذَابًا صَعَدًا

  18. وَأَنَّ الْمَسَاجِدَ لِلَّهِ فَلَا تَدْعُوا مَعَ اللَّهِ أَحَدًا

  19. وَأَنَّهُ لَمَّا قَامَ عَبْدُ اللَّهِ يَدْعُوهُ كَادُوا يَكُونُونَ عَلَيْهِ لِبَدًا

  20. قُلْ إِنَّمَا أَدْعُو رَبِّي وَلَا أُشْرِكُ بِهِ أَحَدًا

  21. قُلْ إِنِّي لَا أَمْلِكُ لَكُمْ ضَرًّا وَلَا رَشَدًا

  22. قُلْ إِنِّي لَنْ يُجِيرَنِي مِنَ اللَّهِ أَحَدٌ وَلَنْ أَجِدَ مِنْ دُونِهِ مُلْتَحَدًا

  23. إِلَّا بَلَاغًا مِنَ اللَّهِ وَرِسَالَاتِهِ ۚ وَمَنْ يَعْصِ اللَّهَ وَرَسُولَهُ فَإِنَّ لَهُ نَارَ جَهَنَّمَ خَالِدِينَ فِيهَا أَبَدًا

  24. حَتَّىٰ إِذَا رَأَوْا مَا يُوعَدُونَ فَسَيَعْلَمُونَ مَنْ أَضْعَفُ نَاصِرًا وَأَقَلُّ عَدَدًا

  25. قُلْ إِنْ أَدْرِي أَقَرِيبٌ مَا تُوعَدُونَ أَمْ يَجْعَلُ لَهُ رَبِّي أَمَدًا

  26. عَالِمُ الْغَيْبِ فَلَا يُظْهِرُ عَلَىٰ غَيْبِهِ أَحَدًا

  27. إِلَّا مَنِ ارْتَضَىٰ مِنْ رَسُولٍ فَإِنَّهُ يَسْلُكُ مِنْ بَيْنِ يَدَيْهِ وَمِنْ خَلْفِهِ رَصَدًا

  28. لِيَعْلَمَ أَنْ قَدْ أَبْلَغُوا رِسَالَاتِ رَبِّهِمْ وَأَحَاطَ بِمَا لَدَيْهِمْ وَأَحْصَىٰ كُلَّ شَيْءٍ عَدَدًا

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Qul oohiya ilaiya annna hustama'a nafarum minal jinni faqaalooo innaa sami'naa quraanan ajaba

  2. Yahdeee ilar rushdi fa aamannaa bihee wa lan nushrika bi rabbinaaa 'ahada

  3. Wa annahoo Ta'aalaa jaddu Rabbinaa mat'takhaza saahibatanw wa laa walada

  4. Wa annahoo kaana yaqoolu safeehunaa 'al allahi shatata

  5. Wa annaa zanannaaa al lan taqoolal insu wal jinnu 'al allahi kaziba

  6. Wa annahoo kaana rijaalum minal insi ya'oozoona bi rijaalim minal jinni fa zaadoohum rahaqa

  7. Wa annahum zannoo kamaa zanantum al lany yab'asal laahu 'ahada

  8. Wa annaa lamasnas samaaa'a fa wajadnaahaa muli'at harasan shadeedanw wa shuhuba

  9. Wa annaa kunnaa naq'udu minhaa maqaa'ida lis'sam'i famany yastami'il 'aana yajid lahoo shihaabar rasada

  10. Wa annaa laa nadreee asharrun ureeda biman fil ardi 'am 'araada bihim rabbuhum rashada

  11. Wa annaa minnas saalihoona wa minnaa doona zaalika kunnaa taraaa'iqa qidada

  12. Wa annaa zanan naaa al lan nu'jizal laaha fil ardi wa lan nu'jizahoo haraba

  13. Wa annaa lammaa sami'nal hudaaa aamannaa bihee famany yu'min bi rabbihee falaa yakhaafu bakhsanw wa laa rahaqa

  14. Wa annaa minnal muslimoona wa minnal qaasitoona faman aslama fa ulaaa'ika taharraw rashada

  15. Wa ammal qaasitoona fa kaanoo li jahannama hataba

  16. Wa alla wis taqaamoo 'alat tareeqati la asqaynaahum maa'an ghadaqa

  17. Linaftinahum feeh; wa many yu'rid 'an zikri rabbihee yasluk hu 'azaaban sa'ada

  18. Wa annal masaajida lil laahi falaa tad'oo ma'al laahi 'ahada

  19. Wa annahoo lammaa qaama 'abdul laahi yad'oohu kaadoo yakoonoona 'alaihi libada

  20. Qul innamaaa ad'oo rabbee wa laaa ushriku biheee 'ahada

  21. Qul innee laaa amliku lakum darranw wa laa rashada

  22. Qul innee lany yujeeranee minal laahi 'ahadunw, wa lan ajida min doonihee multahada

  23. Illaa balaagham minal laahi wa risaalaatih; wa many ya'sil laaha wa rasoolahoo fa inna lahoo naara jahannama khaalideena feehaaa 'abada

  24. Hattaaa izaa ra aw maa yoo'adoona fasaya'lamoona man ad'afu naasiranw wa aqallu 'adada

  25. Qul in adreee a qareebum maa too'adoona am yaj'alu lahoo rabbeee 'amada

  26. 'Aalimul ghaibi falaa yuzhiru alaa ghaibiheee 'ahada

  27. Illaa manir tadaa mir rasoolin fa innahoo yasluku min baini yadaihi wa min khalfihee rasada

  28. Liya'lama an qad ablaghoo risaalaati rabbihim wa ahaata bi maa ladaihim wa ahsaa kulla shai'in 'adada

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Aey Nabi ,kaho, meri taraf wahee (revelation) bheji gayi hai ke Jinno ke ek giroh (group) ne gaur se suna phir (jaa kar apne qaum ke logon se) kaha: “humne ek bada hi ajeeb Quran suna hai

2. Jo raah-e-raast ki taraf rehnumayi karta hai is liye hum uspar iman le aaye hain aur ab hum hargiz apne Rubb ke saath kisi ko shareek nahin karenge

3. Aur yeh ke hamare Rubb ki shaan bahut aala-o-Arfa hai , usne kisi ko biwi ya beta nahin banaya

4. Aur yeh ke hamare nadaan log Allah ke baare mein bahut khilaf-e-haqq baatein karte rahe hain

5. Aur yeh ke humne samjha tha ke Insan aur jinn kabhi khuda ke baare mein jhoot nahin bol saktey

6. Aur yeh ke Insano mein se kuch log jinno mein se kuch logon ki panaah (refuge) maanga karte thay, is tarah unhon ne jinno ka guroor aur zyada badha diya

7. Aur yeh ke Insano ne bhi wahi gumaan kiya jaisa tumhara gumaan tha ke Allah kisi ko Rasool bana kar na bhejega

8. Aur yeh ke humne aasmaan ko tatola to dekha ke woh pehrey-daaron (terrible guards) se patha pada hai aur shahabon (shooting meteors) ki baarish ho rahi hai.

9. Aur yeh ke pehle hum sun-gun lene ke liye aasmaan mein baithnay ki jagah paa lete thay, magar ab jo chori chupey sunne ke koshish karta hai woh apne liye ghaath mein ek shahabe saaqib (shooting meteors) laga hua paata hai.

10. Aur yeh ke hamari samajh mein na aata tha ke aaya zameen walon ke saath koi bura maamla karne ka irada kiya gaya hai ya unka Rubb unhein raah-e-raast dikhana chahta hai

11. Aur yeh ke hum mein se kuch log saleh (upright) hain aur kuch is se farotar hai,hum mukhtalif tarikon mein batey huey hain.

12. Aur yeh ke hum samajhte thay ke na zameen mein hum Allah ko aajiz (frustrate) kar sakte hain aur na bhaag kar usey hara saktey hai,

13. Aur yeh ke humne jab hidayat ki taleem suni to hum uspar iman le aaye ab jo koi bhi apne Rubb par iman le aayega usey kisi haq-talfi ya zulm ka khauf na hoga.

14. Aur yeh ke hum mein se kuch muslim (Allah ke itaat guzar) hain aur kuch haqq se munharif (deviant) to jinhon ne Islam (itaat ka raasta) ikhtiyar kar liya unhon ne najaat ki raah dhund li

15. Aur jo haqq se muhnarif hain woh jahannum ka indhan(fuel) banney wala hai,

16. Aur (aey nabi kaho mujhpar yeh wahee bhi ki gayi hai ke) log agar raah-e-raast par saabit qadami (keep firmly) se chalte to hum unhein khoob sairaab karte (provide abundant rain)

17. Taa-ke is niyamat se unki aazmaish karein aur jo apne Rubb ke zikr se mooh moadega uska Rubb usey sakht azaab mein mubtala kardega.

18. Aur yeh ke masjidein Allah ke liye hai, lihaza unmein Allah ke saath kisi aur ko na pukaro,

19. Aur yeh ke jab Allah ka banda usko pukarne ke liye khada hua to log uspar toot padne ke liye tayyar ho gaye,

20. Aey Nabi ,kaho ke main to apne Rubb ko pukarta hoon aur uske saath kisi ko shareek nahin karta,

21. Kaho main tum logon ke liye na kisi nuksan ka ikhtiyar rakhta hoon na kisi bhalayi ka

22. Kaho mujhe Allah ke giraft se koi nahin bacha sakta aur na main uske daaman ke siwa koi jaaye panaah (refuge) paa sakta hoon.

23. Mera kaam iske siwa kuch nahin hai ke Allah ki baat aur uske paigamaat pahuncha doon. Ab jo bhi Allah aur uske Rasool ki baat na maanega uske liye jahannum ki aag hai aur aise log usmein hamesha rahenge.

24. (Yeh log apni is rawish se baaz na aeyenge) yahan tak ke jab us cheez ko dekh lenge jiska inse waada kiya jaa raha hai to inhein maloom ho jayega ke kiske madadgaar kamzoar hain aur kiska jattha taadad mein kam hai.

25. Kaho, main nahin jaanta ke jis cheez ka waada tumse kiya jaa raha hai woh qareeb hai ya mera Rubb uske liye koi lambi muddat muqarrar famata hai.

26. Woh aalimul gaib hai , apne gaib par kisi ko muttala (reveal/disclose) nahin karta

27. Siwai us Rasool ke jise usne (gaib ka koi ilm dene ke liye) pasand karliya ho, to uske aage aur pichey woh muhafiz (guards) laga deta hai

28. Taa-ke woh jaan le ke unhon ne apne Rubb ke paigamaat pahuncha diye, aur woh unke pooray maahol ka ihata (encompass) kiye huey hai aur ek ek cheez ko us ne gin rakkha hai.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments