📖 Surah 71 Nuh Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. إِنَّا أَرْسَلْنَا نُوحًا إِلَىٰ قَوْمِهِ أَنْ أَنْذِرْ قَوْمَكَ مِنْ قَبْلِ أَنْ يَأْتِيَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ

  2. قَالَ يَا قَوْمِ إِنِّي لَكُمْ نَذِيرٌ مُبِينٌ

  3. أَنِ اعْبُدُوا اللَّهَ وَاتَّقُوهُ وَأَطِيعُونِ

  4. يَغْفِرْ لَكُمْ مِنْ ذُنُوبِكُمْ وَيُؤَخِّرْكُمْ إِلَىٰ أَجَلٍ مُسَمًّى ۚ إِنَّ أَجَلَ اللَّهِ إِذَا جَاءَ لَا يُؤَخَّرُ ۖ لَوْ كُنْتُمْ تَعْلَمُونَ

  5. قَالَ رَبِّ إِنِّي دَعَوْتُ قَوْمِي لَيْلًا وَنَهَارًا

  6. فَلَمْ يَزِدْهُمْ دُعَائِي إِلَّا فِرَارًا

  7. وَإِنِّي كُلَّمَا دَعَوْتُهُمْ لِتَغْفِرَ لَهُمْ جَعَلُوا أَصَابِعَهُمْ فِي آذَانِهِمْ وَاسْتَغْشَوْا ثِيَابَهُمْ وَأَصَرُّوا وَاسْتَكْبَرُوا اسْتِكْبَارًا

  8. ثُمَّ إِنِّي دَعَوْتُهُمْ جِهَارًا

  9. ثُمَّ إِنِّي أَعْلَنْتُ لَهُمْ وَأَسْرَرْتُ لَهُمْ إِسْرَارًا

  10. فَقُلْتُ اسْتَغْفِرُوا رَبَّكُمْ إِنَّهُ كَانَ غَفَّارًا

  11. يُرْسِلِ السَّمَاءَ عَلَيْكُمْ مِدْرَارًا

  12. وَيُمْدِدْكُمْ بِأَمْوَالٍ وَبَنِينَ وَيَجْعَلْ لَكُمْ جَنَّاتٍ وَيَجْعَلْ لَكُمْ أَنْهَارًا

  13. مَا لَكُمْ لَا تَرْجُونَ لِلَّهِ وَقَارًا

  14. وَقَدْ خَلَقَكُمْ أَطْوَارًا

  15. أَلَمْ تَرَوْا كَيْفَ خَلَقَ اللَّهُ سَبْعَ سَمَاوَاتٍ طِبَاقًا

  16. وَجَعَلَ الْقَمَرَ فِيهِنَّ نُورًا وَجَعَلَ الشَّمْسَ سِرَاجًا

  17. وَاللَّهُ أَنْبَتَكُمْ مِنَ الْأَرْضِ نَبَاتًا

  18. ثُمَّ يُعِيدُكُمْ فِيهَا وَيُخْرِجُكُمْ إِخْرَاجًا

  19. وَاللَّهُ جَعَلَ لَكُمُ الْأَرْضَ بِسَاطًا

  20. لِتَسْلُكُوا مِنْهَا سُبُلًا فِجَاجًا

  21. قَالَ نُوحٌ رَبِّ إِنَّهُمْ عَصَوْنِي وَاتَّبَعُوا مَنْ لَمْ يَزِدْهُ مَالُهُ وَوَلَدُهُ إِلَّا خَسَارًا

  22. وَمَكَرُوا مَكْرًا كُبَّارًا

  23. وَقَالُوا لَا تَذَرُنَّ آلِهَتَكُمْ وَلَا تَذَرُنَّ وَدًّا وَلَا سُوَاعًا وَلَا يَغُوثَ وَيَعُوقَ وَنَسْرًا

  24. وَقَدْ أَضَلُّوا كَثِيرًا ۖ وَلَا تَزِدِ الظَّالِمِينَ إِلَّا ضَلَالًا

  25. مِمَّا خَطِيئَاتِهِمْ أُغْرِقُوا فَأُدْخِلُوا نَارًا فَلَمْ يَجِدُوا لَهُمْ مِنْ دُونِ اللَّهِ أَنْصَارًا

  26. وَقَالَ نُوحٌ رَبِّ لَا تَذَرْ عَلَى الْأَرْضِ مِنَ الْكَافِرِينَ دَيَّارًا

  27. إِنَّكَ إِنْ تَذَرْهُمْ يُضِلُّوا عِبَادَكَ وَلَا يَلِدُوا إِلَّا فَاجِرًا كَفَّارًا

  28. رَبِّ اغْفِرْ لِي وَلِوَالِدَيَّ وَلِمَنْ دَخَلَ بَيْتِيَ مُؤْمِنًا وَلِلْمُؤْمِنِينَ وَالْمُؤْمِنَاتِ وَلَا تَزِدِ الظَّالِمِينَ إِلَّا تَبَارًا

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Innaaa arsalnaa Noohan ilaa qawmihee an anzir qawmaka min qabli any yaatiyahum 'azaabun aleem

  2. Qaala yaa qawmi innee lakum nazeerum mubeen

  3. Ani'-budul laaha watta qoohu wa atee'oon

  4. Yaghfir lakum min zunoobikum wa yu'akhkhirkum ilaaa ajalim musammaa; innaa ajalal laahi izaa jaaa'a laa yu'akhkhar; law kuntum ta'lamoon

  5. Qaala rabbi innee da'awtu qawmee lailanw wa naharaa

  6. Falam yazid hum du'aaa 'eee illaa firaaraa

  7. Wa inee kullamaa da'awtuhum litaghfira lahum ja'alooo asaabi'ahum fee aazaanihim wastaghshaw siyaabahum wa asaarroo wastakbarus tikbaaraa

  8. Summa innee da'aw tuhum jihaara

  9. Summaa inneee a'lantu lahum wa asrartu lahum israaraa

  10. Faqultus taghfiroo Rabbakum innahoo kaana Ghaffaaraa

  11. Yursilis samaaa'a 'alaikum midraaraa

  12. Wa yumdidkum bi am waalinw wa baneena wa yaj'al lakum Jannaatinw wa yaj'al lakum anhaaraa

  13. Maa lakum laa tarjoona lillaahi waqaaraa

  14. Wa qad khalaqakum at waaraa

  15. Alam taraw kaifa khalaqal laahu sab'a samaawaatin tibaaqaa

  16. Wa ja'alal qamara feehinna nooranw wa ja'alash shamsa siraajaa

  17. Wallaahu ambatakum minal ardi nabaataa

  18. Summa yu'eedukum feehaa wa yukhrijukum ikhraajaa

  19. Wallaahu ja'ala lakumul arda bisaataa

  20. Litaslukoo minhaa subulan fijaajaa

  21. Qaala Noohur Rabbi innahum 'asawnee wattaba'oo mal lam yazid hu maaluhoo wa waladuhooo illaa khasaara

  22. Wa makaroo makran kubbaaraa

  23. Wa qaaloo laa tazarunna aalihatakum wa laa tazarunna Waddanw wa laa Suwaa'anw wa laa Yaghoosa wa Ya'ooqa wa Nasraa

  24. Wa qad adalloo kaseera; wa laa tazidiz zaalimeena illaa dalaalaa

  25. Mimmaa khateee' aatihim ughriqoo fa udkhiloo Naaran falam yajidoo lahum min doonil laahi ansaaraa

  26. Wa qaala Noohur Rabbi laa tazar 'alal ardi minal kaafireena daiyaaraa

  27. Innaka in tazarhum yudil loo 'ibaadaka wa laa yalidooo illaa faajiran kaffaaraa

  28. Rabbigh fir lee wa liwaa lidaiya wa liman dakhala baitiya mu'minanw wa lil mu'mineena wal mu'minaati wa laa tazidiz zaalimeena illaa tabaaraa

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Humne Nooh ko uski qaum ki taraf bheja (is hidayat ke saath) ke apni qaum ke logon ko khabardaar karde qabl iske ke unpar ek dardnaak azaab aaye.

2. Usne kaha “ Aey meri qaum ke logon, main tumhare liye ek saaf saaf khabardaar kar dene wala (paigambar) hoon.

3. (Tumko aagah karta hoon) ke Allah ki bandagi karo aur us se daro aur meri itaat (follow) karo

4. Allah tumhare gunaahon se darguzar farmayega aur tumhein ek waqt-e-mukarrar tak baki rakkhega. Haqeeqat yeh hai ke Allah ka mukarrar kiya hua waqt jab aa jata hai to phir taala nahin jata kaash tumhein iska ilm ho.

5. Usne arz kiya “Aey mere Rubb , maine apni qaum ke logon ko shab-o-roz (night and day) pukara.

6. Magar meri pukar ne unke farar hi mein izafa kiya.

7. Aur jab bhi maine unko bulaya taa-ke tu unhein maaf karde , unhon ne kaano mein ungliyan thoos li aur apne kapdon se mooh dhaank liye aur apni rawish par adh gaye aur bada takabbur (proudness) kiya

8. Phir maine unko haanke pukare (openly) ki dawat di,

9. Phir maine aelaniya (publicly) bhi unko tableeg ki aur chupke chupke bhi samjhaya

10. Maine kaha apne Rubb se maafi maango,beshak woh bada maaf karne wala hai

11. Woh tumpar aasmaan se khoob baarishein barsayega

12. Tumhein maal aur aulad se nawaze ga, tumhare liye baagh paida karega aur tumhare liye nehrein jaari kardega.

13. Tumhein kya ho gaya hai ke Allah ke liye tum kisi waqar (majesty) ki tawakku nahin rakhte?

14. Halaanke usne tarah tarah se tumhein banaya hai.

15. Kya dekhte nahin ho ke Allah ne kis tarah saat Aasmaan the-bar-teh banaye

16. Aur unmein chaand ko noor aur suraj ko chiraag banaya?

17. Aur Allah ne tumko zameen se ajeeb tarah ugaya

18. Phir woh tumhein isi zameen mein wapas le jayega aur is se yakayak tumko nikal khada karega,

19. Aur Allah ne zameen ko tumhare liye farsh ki tarah bicha diya

20. Taa-ke tum uske andar khule raaston mein chalo

21. Nooh ne kaha “mere Rubb, unhon ne meri baat radd kardi aur un (raheeson) ki pairvi ki jo maal aur aulad paa kar aur zyada na murad ho gaye hain.

22. In logon ne bada bhaari makr (plot) ka jaal phayla rakkha hai.

23. Inhon ne kaha hargiz na chodo apne maboodon (deities) ko, aur na chodo Wadd aur Suwa ko aur na Yagus aur Yaook aur Nasr ko (idol names).

24. Inhon ne bahut logon ko gumraah kiya hai, aur tu bhi in zalimon ko gumraahi ke siwa kisi cheez mein tarakki na de.

25. Apni khataon ki bina par hi woh garq (drown) kiye gaye aur Aag mein jhoonk diye gaye , phir unhon ne apne liye Allah se bachane wala koi madadgar na paya.

26. Aur Nooh ne kaha “Mere Rubb, In kafiron mein se koi zameen par basne wala na chodh

27. Agar tu ne inko chodh diya to yeh tere bandon ko gumraah karenge aur inki nasal se jo bhi paida hoga badkar aur sakht kafir hi hoga

28. Mere Rubb, mujhe aur mere waldain ko aur har us shaks ko jo mere ghar mein momin ki haisiyat se daakhil hua hai, Aur sab momin mardon aur auraton ko maaf farma de, Aur zalimon ke liye halakat ke siwa kisi cheez mein izafa na kar.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments