📖 Surah 70 Al-Ma'arij Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. سَأَلَ سَائِلٌ بِعَذَابٍ وَاقِعٍ

  2. لِلْكَافِرِينَ لَيْسَ لَهُ دَافِعٌ

  3. مِنَ اللَّهِ ذِي الْمَعَارِجِ

  4. تَعْرُجُ الْمَلَائِكَةُ وَالرُّوحُ إِلَيْهِ فِي يَوْمٍ كَانَ مِقْدَارُهُ خَمْسِينَ أَلْفَ سَنَةٍ

  5. فَاصْبِرْ صَبْرًا جَمِيلًا

  6. إِنَّهُمْ يَرَوْنَهُ بَعِيدًا

  7. وَنَرَاهُ قَرِيبًا

  8. يَوْمَ تَكُونُ السَّمَاءُ كَالْمُهْلِ

  9. وَتَكُونُ الْجِبَالُ كَالْعِهْنِ

  10. وَلَا يَسْأَلُ حَمِيمٌ حَمِيمًا

  11. يُبَصَّرُونَهُمْ ۚ يَوَدُّ الْمُجْرِمُ لَوْ يَفْتَدِي مِنْ عَذَابِ يَوْمِئِذٍ بِبَنِيهِ

  12. وَصَاحِبَتِهِ وَأَخِيهِ

  13. وَفَصِيلَتِهِ الَّتِي تُؤْوِيهِ

  14. وَمَنْ فِي الْأَرْضِ جَمِيعًا ثُمَّ يُنْجِيهِ

  15. كَلَّا ۖ إِنَّهَا لَظَىٰ

  16. نَزَّاعَةً لِلشَّوَىٰ

  17. تَدْعُو مَنْ أَدْبَرَ وَتَوَلَّىٰ

  18. وَجَمَعَ فَأَوْعَىٰ

  19. إِنَّ الْإِنْسَانَ خُلِقَ هَلُوعًا

  20. إِذَا مَسَّهُ الشَّرُّ جَزُوعًا

  21. وَإِذَا مَسَّهُ الْخَيْرُ مَنُوعًا

  22. إِلَّا الْمُصَلِّينَ

  23. الَّذِينَ هُمْ عَلَىٰ صَلَاتِهِمْ دَائِمُونَ

  24. وَالَّذِينَ فِي أَمْوَالِهِمْ حَقٌّ مَعْلُومٌ

  25. لِلسَّائِلِ وَالْمَحْرُومِ

  26. وَالَّذِينَ يُصَدِّقُونَ بِيَوْمِ الدِّينِ

  27. وَالَّذِينَ هُمْ مِنْ عَذَابِ رَبِّهِمْ مُشْفِقُونَ

  28. إِنَّ عَذَابَ رَبِّهِمْ غَيْرُ مَأْمُونٍ

  29. وَالَّذِينَ هُمْ لِفُرُوجِهِمْ حَافِظُونَ

  30. إِلَّا عَلَىٰ أَزْوَاجِهِمْ أَوْ مَا مَلَكَتْ أَيْمَانُهُمْ فَإِنَّهُمْ غَيْرُ مَلُومِينَ

  31. فَمَنِ ابْتَغَىٰ وَرَاءَ ذَٰلِكَ فَأُولَٰئِكَ هُمُ الْعَادُونَ

  32. وَالَّذِينَ هُمْ لِأَمَانَاتِهِمْ وَعَهْدِهِمْ رَاعُونَ

  33. وَالَّذِينَ هُمْ بِشَهَادَاتِهِمْ قَائِمُونَ

  34. وَالَّذِينَ هُمْ عَلَىٰ صَلَاتِهِمْ يُحَافِظُونَ

  35. أُولَٰئِكَ فِي جَنَّاتٍ مُكْرَمُونَ

  36. فَمَالِ الَّذِينَ كَفَرُوا قِبَلَكَ مُهْطِعِينَ

  37. عَنِ الْيَمِينِ وَعَنِ الشِّمَالِ عِزِينَ

  38. أَيَطْمَعُ كُلُّ امْرِئٍ مِنْهُمْ أَنْ يُدْخَلَ جَنَّةَ نَعِيمٍ

  39. كَلَّا ۖ إِنَّا خَلَقْنَاهُمْ مِمَّا يَعْلَمُونَ

  40. فَلَا أُقْسِمُ بِرَبِّ الْمَشَارِقِ وَالْمَغَارِبِ إِنَّا لَقَادِرُونَ

  41. عَلَىٰ أَنْ نُبَدِّلَ خَيْرًا مِنْهُمْ وَمَا نَحْنُ بِمَسْبُوقِينَ

  42. فَذَرْهُمْ يَخُوضُوا وَيَلْعَبُوا حَتَّىٰ يُلَاقُوا يَوْمَهُمُ الَّذِي يُوعَدُونَ

  43. يَوْمَ يَخْرُجُونَ مِنَ الْأَجْدَاثِ سِرَاعًا كَأَنَّهُمْ إِلَىٰ نُصُبٍ يُوفِضُونَ

  44. خَاشِعَةً أَبْصَارُهُمْ تَرْهَقُهُمْ ذِلَّةٌ ۚ ذَٰلِكَ الْيَوْمُ الَّذِي كَانُوا يُوعَدُونَ

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Sa'ala saaa'ilun bi 'azaabinw waaqi'

  2. Lil kaafireena laisa lahoo daafi'

  3. Minal laahi zil ma'aarij

  4. Ta'rujul malaaa'ikatu war Roohu ilaihi fee yawmin kaana miqdaaruhoo khamseena alfa sanah

  5. Fasbir sabran jameelaa

  6. Inaahum yarawnahoo ba'eedaa

  7. Wa naraahu qareebaa

  8. Yawma takoonus samaaa'u kalmuhl

  9. Wa takoonul jibaalu kal'ihn

  10. Wa laa yas'alu hameemun hameemaa

  11. Yubassaroonahum; ya waddul mujrimu law yaftadee min 'azaabi yawma'izim bibaneeh

  12. Wa saahibatihee wa akheeh

  13. Wa faseelathil latee tu'weeh

  14. Wa man fil ardi jamee'an summa yunjeeh

  15. Kallaa innahaa lazaa

  16. Nazzaa'atal lishshawaa

  17. Tad'oo man adbara wa tawallaa

  18. Wa jama'a fa aw'aa

  19. Innal insaana khuliqa haloo'aa

  20. Izaa massahush sharru jazoo'aa

  21. Wa izaa massahul khairu manoo'aa

  22. Illal musalleen

  23. Allazeena hum 'alaa Salaatihim daaa'imoon

  24. Wallazeena feee amwaalihim haqqun ma'loom

  25. Lissaaa 'ili walmahroom

  26. Wallazeena yusaddiqoona bi yawmid Deen

  27. Wallazeena hum min 'azaabi Rabbihim mushfiqoon

  28. Inna 'azaaba Rabbihim ghairu ma' moon

  29. Wallazeena hum li furoojihim haafizoon

  30. Illaa 'alaaa azwaajihim aw maa malakat aymaanuhum fa innahum ghairu maloomeen

  31. Famanib taghaa waraaa'a zaalika fa ulaaa'ika humul 'aadoon

  32. Wallazeena hum li amaanaatihim wa 'ahdihim raa'oon

  33. Wallazeena hum bi shahaadaatihim qaaa'imoon

  34. Wallazeena hum 'alaa salaatihim yuhaafizoon

  35. Ulaaa'ika fee jannaatim mukramoon

  36. Famaa lil lazeena kafaroo qibalaka muhti'een

  37. 'Anil yameeni wa 'anish shimaali 'izeen

  38. Ayatma'u kullum ri'im minhum anyyudkhala jannata Na'eem

  39. Kallaaa innaa khalaq nahum mimmaa ya'lamoon

  40. Falaaa uqsimu bi Rabbil mashaariqi wal maghaaribi innaa laqaadiroon

  41. 'Alaaa an nubaddila khairan minhum wa maa nahnu bi masbooqeen

  42. Fazarhum yakhoodoo wa yal'aboo hattaa yulaaqoo yawma humul lazee yoo'adoon

  43. Yawma yakhrujoona minal ajdaasi siraa'an ka anna hum ilaa nusubiny yoofidoon

  44. Khaashi'atan absaaruhum tarhaquhum zillah; zaalikal yawmul lazee kaanoo yoo'adoon

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Maangne wale ne azaab maanga hai (woh azaab) jo zaroor waqey hone wala hai

2. Kafiron ke liye hai, koi usey dafa karne wala nahin.

3. Us khuda ki taraf se hai jo urooj ke zeeno (buland darjaat) ka maalik hai.

4. Malaika aur rooh (Jibrael) uske huzoor chadh kar jaate hain ek aise din mein jiski miqdar pacchas hazaar saal hai

5. Pas aey Nabi, sabr karo, shaista sabr

6. Yeh log usey dur samajhte hain

7. Aur hum usey qareeb dekh rahe hain.

8. (woh azaab us roz hoga) jis roz Aasmaan pigli huey chandi ki tarah ho jayega

9. Aur pahad rang-bi-rang ke dhunke huey oon (wool) jaise ho jayenge

10. Aur koi jigri dost apne jigri dost ko na puchega

11. Halaanke woh ek dusre ko dikhaye jayenge, mujrim chahega ke us din ke azaab se bachne ke liye apni aulad ko

12. Apni biwi ko, apne bhai ko

13. Apne qareeb-tareen khandaan ko jo usey panaah dene wala tha

14. Aur rooh-e-zameen ke sab logon ko fidiya (badle) mein de de aur yeh tadbeer usey najaat dila de.

15. Hargiz nahin woh to bhadakti hui aag ki lapat hogi

16. Jo gosht posht ko chaat jayegi

17. Pukar pukar kar apni taraf bulayegi har us shaks ko jisne haqq se mooh moda aur peeth pheri

18. Aur maal jamaa kiya aur seint seint kar (amassed wealth) rakkha

19. Insan thud-dila (impatient) paida kiya gaya hai

20. Jab uspar museebat aati hai to ghabra uthta hai

21. Aur jab usey khushhaali naseeb hoti hai to bukhl karne lagta hai

22. Magar woh log (is aieb se bache huey hain) jo namaz padne wale hain

23. Jo apni namaz ki hamesha pabandi karte hai

24. Jinke maal-on mein

25. Saahil (maangne wale) aur mehroom ka ek haqq mukarrar hai.

26. Jo roz-e-jaza ko barhaqq maante hain

27. Jo apne Rubb ke azaab se darte hain

28. Kyunke unke Rubb ka azaab aisi cheez nahin hai jis se koi bekhauf ho

29. Jo apni sharmgahon ki hifazat karte hain

30. Ba-juz apne biwion ya apni mamluka aurton ke jinse mehfooz na rakhne mein un par koi malamat nahin

31. Albatta jo iske alawa kuch aur chahe wahi hadd se tajawuz karne wala hai.

32. Jo apne amanaton ki hifazat aur apne ahad (covenant) ka paas karte hai.

33. Jo apni gawahiyon mein raast baazi (upright) par qayam rehte hain.

34. Aur jo apni namaz ki hifazat karte hain

35. Yeh log izzat ke saath jannat ke baaghon mein rahenge.

36. Pas aey Nabi , kya baat hai ke yeh munkireen dayein(left) aur bayein(right) se

37. Giroh (crowds) dar giroh(crowds) tumhari taraf daude chale aa rahe hain?

38. Kya inmein se har ek yeh lalaj rakhta hai ke woh niyamat bhari jannat mein daakhil kardiya jayega?

39. Hargiz nahin humne jis cheez se inko paida kiya hai usey yeh khud jaante hain

40. Pas nahin, main qasam khata hoon mashrikon aur maghribon ke maalik ki hum is par qaadir hain

41. Ke inki jagah inse behtar log le aayein aur koi humse baazi le jaane wala nahin hai

42. Lihaza inhein apni behuda baaton aur apne khel mein pada rehne do yahan tak ke yeh apne us din ko pahunch jayenge jiska inse waada kiya jaa raha hai.

43. Jab yeh apni qabron se nikal kar is tarah daude jaa rahe honge jaise apne buthon(idols) ke aasthano (altars) ki taraf daud rahe hoon

44. Inki nigaahein jhuki hui hongi, zillat in par chaa rahi hogi, woh din hai jiska inse waada kiya jaa raha hai.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments