📖 Surah 69 Al-Haqqah Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- الْحَاقَّةُ
- مَا الْحَاقَّةُ
- وَمَا أَدْرَاكَ مَا الْحَاقَّةُ
- كَذَّبَتْ ثَمُودُ وَعَادٌ بِالْقَارِعَةِ
- فَأَمَّا ثَمُودُ فَأُهْلِكُوا بِالطَّاغِيَةِ
- وَأَمَّا عَادٌ فَأُهْلِكُوا بِرِيحٍ صَرْصَرٍ عَاتِيَةٍ
- سَخَّرَهَا عَلَيْهِمْ سَبْعَ لَيَالٍ وَثَمَانِيَةَ أَيَّامٍ حُسُومًا فَتَرَى الْقَوْمَ فِيهَا صَرْعَىٰ كَأَنَّهُمْ أَعْجَازُ نَخْلٍ خَاوِيَةٍ
- فَهَلْ تَرَىٰ لَهُمْ مِنْ بَاقِيَةٍ
- وَجَاءَ فِرْعَوْنُ وَمَنْ قَبْلَهُ وَالْمُؤْتَفِكَاتُ بِالْخَاطِئَةِ
- فَعَصَوْا رَسُولَ رَبِّهِمْ فَأَخَذَهُمْ أَخْذَةً رَابِيَةً
- إِنَّا لَمَّا طَغَى الْمَاءُ حَمَلْنَاكُمْ فِي الْجَارِيَةِ
- لِنَجْعَلَهَا لَكُمْ تَذْكِرَةً وَتَعِيَهَا أُذُنٌ وَاعِيَةٌ
- فَإِذَا نُفِخَ فِي الصُّورِ نَفْخَةٌ وَاحِدَةٌ
- وَحُمِلَتِ الْأَرْضُ وَالْجِبَالُ فَدُكَّتَا دَكَّةً وَاحِدَةً
- فَيَوْمَئِذٍ وَقَعَتِ الْوَاقِعَةُ
- وَانْشَقَّتِ السَّمَاءُ فَهِيَ يَوْمَئِذٍ وَاهِيَةٌ
- وَالْمَلَكُ عَلَىٰ أَرْجَائِهَا ۚ وَيَحْمِلُ عَرْشَ رَبِّكَ فَوْقَهُمْ يَوْمَئِذٍ ثَمَانِيَةٌ
- يَوْمَئِذٍ تُعْرَضُونَ لَا تَخْفَىٰ مِنْكُمْ خَافِيَةٌ
- فَأَمَّا مَنْ أُوتِيَ كِتَابَهُ بِيَمِينِهِ فَيَقُولُ هَاؤُمُ اقْرَءُوا كِتَابِيَهْ
- إِنِّي ظَنَنْتُ أَنِّي مُلَاقٍ حِسَابِيَهْ
- فَهُوَ فِي عِيشَةٍ رَاضِيَةٍ
- فِي جَنَّةٍ عَالِيَةٍ
- قُطُوفُهَا دَانِيَةٌ
- كُلُوا وَاشْرَبُوا هَنِيئًا بِمَا أَسْلَفْتُمْ فِي الْأَيَّامِ الْخَالِيَةِ
- وَأَمَّا مَنْ أُوتِيَ كِتَابَهُ بِشِمَالِهِ فَيَقُولُ يَا لَيْتَنِي لَمْ أُوتَ كِتَابِيَهْ
- وَلَمْ أَدْرِ مَا حِسَابِيَهْ
- يَا لَيْتَهَا كَانَتِ الْقَاضِيَةَ
- مَا أَغْنَىٰ عَنِّي مَالِيَهْ ۜ
- هَلَكَ عَنِّي سُلْطَانِيَهْ
- خُذُوهُ فَغُلُّوهُ
- ثُمَّ الْجَحِيمَ صَلُّوهُ
- ثُمَّ فِي سِلْسِلَةٍ ذَرْعُهَا سَبْعُونَ ذِرَاعًا فَاسْلُكُوهُ
- إِنَّهُ كَانَ لَا يُؤْمِنُ بِاللَّهِ الْعَظِيمِ
- وَلَا يَحُضُّ عَلَىٰ طَعَامِ الْمِسْكِينِ
- فَلَيْسَ لَهُ الْيَوْمَ هَاهُنَا حَمِيمٌ
- وَلَا طَعَامٌ إِلَّا مِنْ غِسْلِينٍ
- لَا يَأْكُلُهُ إِلَّا الْخَاطِئُونَ
- فَلَا أُقْسِمُ بِمَا تُبْصِرُونَ
- وَمَا لَا تُبْصِرُونَ
- إِنَّهُ لَقَوْلُ رَسُولٍ كَرِيمٍ
- وَمَا هُوَ بِقَوْلِ شَاعِرٍ ۚ قَلِيلًا مَا تُؤْمِنُونَ
- وَلَا بِقَوْلِ كَاهِنٍ ۚ قَلِيلًا مَا تَذَكَّرُونَ
- تَنْزِيلٌ مِنْ رَبِّ الْعَالَمِينَ
- وَلَوْ تَقَوَّلَ عَلَيْنَا بَعْضَ الْأَقَاوِيلِ
- لَأَخَذْنَا مِنْهُ بِالْيَمِينِ
- ثُمَّ لَقَطَعْنَا مِنْهُ الْوَتِينَ
- فَمَا مِنْكُمْ مِنْ أَحَدٍ عَنْهُ حَاجِزِينَ
- وَإِنَّهُ لَتَذْكِرَةٌ لِلْمُتَّقِينَ
- وَإِنَّا لَنَعْلَمُ أَنَّ مِنْكُمْ مُكَذِّبِينَ
- وَإِنَّهُ لَحَسْرَةٌ عَلَى الْكَافِرِينَ
- وَإِنَّهُ لَحَقُّ الْيَقِينِ
- فَسَبِّحْ بِاسْمِ رَبِّكَ الْعَظِيمِ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Al haaaqqah
- Mal haaaqqah
- Wa maaa adraaka mal haaaqqah
- Kazzabat samoodu wa 'Aadum bil qaari'ah
- Fa-ammaa Samoodu fa uhlikoo bittaaghiyah
- Wa ammaa 'Aadun fa uhlikoo bi reehin sarsarin 'aatiyah
- Sakkhara haa 'alaihim sab'a la yaalinw wa samaaniyata ayyaamin husooman fataral qawma feehaa sar'aa ka annahum a'jaazu nakhlin khaawiyah
- Fahal taraa lahum min baaqiyah
- Wa jaaa'a Firawnu wa man qablahoo wal mu'tafikaatu bil khaati'ah
- Fa 'asaw Rasoola Rabbihim fa akhazahum akhzatar raabiyah
- Innaa lammaa taghal maaa'u hamalnaakum fil jaariyah
- Li naj'alahaa lakum tazki ratanw-wa ta'iyahaa uzununw waa'iyah
- Fa izaa nufikha fis soori nafkhatunw waahidah
- Wa humilatil ardu wal jibaalu fadukkataa dakkatanw waahidah
- Fa yawma'izinw waqa'atil waaqi'ah
- Wanshaqqatis samaaa'u fahiya yawma 'izinw-waahiyah
- Wal malaku 'alaaa arjaaa'ihaa; wa yahmilu 'Arsha Rabbika fawqahum yawma'izin samaaniyah
- Yawma'izin tu'radoona laa takhfaa min kum khaafiyah
- Fa ammaa man ootiya kitaabahoo biyameenihee fa yaqoolu haaa'umuq ra'oo kitaabiyah
- Innee zannantu annee mulaaqin hisaabiyah
- Fahuwa fee 'eeshatir raadiyah
- Fee jannnatin 'aaliyah
- Qutoofuhaa daaniyah
- Kuloo washraboo haneee'am bimaaa aslaftum fil ayyaamil khaliyah
- Wa ammaa man ootiya kitaabahoo bishimaalihee fa yaqoolu yaalaitanee lam oota kitaaabiyah
- Wa lam adri maa hisaabiyah
- Yaa laitahaa kaanatil qaadiyah
- Maaa aghnaa 'annee maaliyah
- Halaka 'annee sultaaniyah
- Khuzoohu faghullooh
- Summal Jaheema sallooh
- Summa fee silsilatin zar'uhaa sab'oona ziraa'an faslukooh
- Innahoo kaana laa yu'minu billaahil 'Azeem
- Wa laa yahuddu 'alaa ta'aamil miskeen
- Falaysa lahul yawma haahunaa hameem
- Wa laa ta'aamun illaa min ghisleen
- Laa ya'kuluhooo illal khaati'oon
- Falaaa uqsimu bimaa tubsiroon
- Wa maa laa tubsiroon
- Innahoo laqawlu Rasoolin kareem
- Wa maa huwa biqawli shaa'ir; qaleelan maa tu'minoon
- Wa laa biqawli kaahin; qaleelan maa tazakkaroon
- Tanzeelum mir rabbil 'aalameen
- Wa law taqawwala 'alainaa ba'dal aqaaweel
- La-akhaznaa minhu bilyameen
- Summa laqata'naa minhul wateen
- Famaa minkum min ahadin'anhu haajizeen
- Wa innahoo latazkiratul lilmuttaqeen
- Wa inna lana'lamu anna minkum mukazzibeen
- Wa innahu lahasratun 'alal kaafireen
- Wa innahoo lahaqqul yaqeen
- Fassabbih bismi Rabbikal 'Azeem
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Honi shudhni ! (Inevitable Reality) [sach-much hone wali]2. Kya hai woh honi shudni (Inevitable Reality)
3. Aur tum kya jaano ke woh kya hai honi shudhni ?
4. Samood aur Aad ne us achanak toot padne wali aafat ko jhutlaya
5. To Samood ek sakht haadse mein halaak kiye gaye
6. Aur Aad ek badi shadeed toofani aandhi (storm) se tabah kardiye gaye,
7. Allah taala ne usko musalsal saat (seven) raat aur aath (eight) din unpar musallat rakkha (tum wahan hote to) dekhte ke woh wahan is tarah pachade pade jaise woh khajoor ke bosheda (rotten) taney (trunks) hon.
8. Ab kya unmein se koi tumhein baki nazar aata hai?
9. Aur isi khata-e-azeem ka irtiqaab Firoun aur us se pehle ke logon ne aur talpat (overturned) ho jaane wali bastiyon ne kiya
10. Unsab ne apne Rubb ke rasool ki baat na maani to usne unko badi sakhti ke saath pakda.
11. Jab pani ka toofan hadd se guzar gaya to humne tumko kashti mein sanwar kardiya tha.
12. Taa-ke is waqea ko tumhare liye ek sabaq-aamoz yaadgaar bana dein aur yaad rakhne wale kaan iski yaad mehfooz rakkhein.
13. Phir jab ek dafa sur mein phoonk maar di jayegi.
14. Aur zameen aur pahadon ko utha kar ek hi chot mein reza reza kardiya jayega
15. Us roz woh hone wala waqea pesh aa jayega
16. Usdin Aasmaan phatega aur uski bandish dhili padh jayegi,
17. Farishtey uske atraf-o-jawanib mein honge aur aat (eight) Farishte us roz tere Rubb ka arsh apne upar uthaye huey honge
18. Woh din hoga jab tum log pesh kiye jaaoge, tumhara koi raaz bhi chupa na reh jayega
19. Us waqt jiska naam-e-aamal uske seedhe haath mein diya jayega woh kahega “lo dekho, padho mera naam-e-aamal,
20. Main samajhta tha ke mujhe zaroor apna hisaab milne wala hai”
21. Pas woh dil pasand aish mein hoga
22. Aali muqaam jannat mein
23. Jiske phalon ke guchhey jhuke pad rahe honge
24. (Aise logon se kaha jayega) mazey se khao aur peeo apne un aamal ke badle jo tumne guzre huey dino mein kiye hain.
25. Aur jiska naam-e-aamal uske bayein(left) haath mein diya jayega woh kahega “ kaash mera aamal nama mujhe na diya gaya hota
26. Aur main na jaanta ke mera hisaab kya hai
27. Kaash meri wahi maut (jo duniya mein aayi thi) faisla-kun hoti
28. Aaj mera maal mere kuch kaam na aaya
29. Mera sara iqtedaar khatam ho gaya
30. (Hukum hoga) pakdo isey aur iski gardan mein touk daal do
31. Phir isey jahannum mein jhoonk do
32. Phir isko satter(seventy) haath lambi zanjeer mein jakad do
33. Yeh na Allah buzurg-o-bartar par iman lata tha
34. Aur na miskeen ko khana khilane ki targeeb deta tha
35. Lihaza aaj na yahan iska koi yaar-e-gamkhaar hai
36. Aur na zakhmon ke dhowan (washing of wounds) ke siwa iske liye koi khana
37. Jise khatakaaron (sinners) ke siwa koi nahin khata.
38. Pas nahin, main qasam khata hoon un cheezon ki bhi jo tum dekhte ho
39. Aur unki bhi jinhein tum nahin dekhte
40. Yeh ek rasool-e-kareem ka qaul(speech ) hai
41. Kisi shayar ka qaul nahin hai, tum log kam hi iman latey ho
42. Aur na yeh kisi kaahin(soothsayer) ka qaul hai , tum log kam hi gaur karte ho
43. Yeh Rabb-ul aalameen ki taraf se naazil huwa hai
44. Aur agar is (Nabi) ne khud ghadh kar koi baat hamari taraf mansook ki hoti
45. To hum iska dayan (right) haath padkad lete
46. Aur iski rag-e-gardan(life vein) kaat daalte
47. Phir tum mein se koi(humein)is kaam se roakne wala na hota
48. Dar haqeeqat yeh parheizgar logon ke liye ek naseehat hai
49. Aur hum jaante hain ke tum mein se kuch log jhutlane wale hain
50. Aise kafiron ke liye yaqeenan yeh mujeeb-e-hasrat (cause of regret) hai
51. Aur yeh bilkul yaqeeni haqq hai
52. Pas aey nabi, apne Rubb-e-azeem ke naam ki tasbeeh karo.
Comments
Post a Comment