📖 Surah 68 Al-Qalam Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. ن ۚ وَالْقَلَمِ وَمَا يَسْطُرُونَ

  2. مَا أَنْتَ بِنِعْمَةِ رَبِّكَ بِمَجْنُونٍ

  3. وَإِنَّ لَكَ لَأَجْرًا غَيْرَ مَمْنُونٍ

  4. وَإِنَّكَ لَعَلَىٰ خُلُقٍ عَظِيمٍ

  5. فَسَتُبْصِرُ وَيُبْصِرُونَ

  6. بِأَيْيِكُمُ الْمَفْتُونُ

  7. إِنَّ رَبَّكَ هُوَ أَعْلَمُ بِمَنْ ضَلَّ عَنْ سَبِيلِهِ وَهُوَ أَعْلَمُ بِالْمُهْتَدِينَ

  8. فَلَا تُطِعِ الْمُكَذِّبِينَ

  9. وَدُّوا لَوْ تُدْهِنُ فَيُدْهِنُونَ

  10. وَلَا تُطِعْ كُلَّ حَلَّافٍ مَهِينٍ

  11. هَمَّازٍ مَشَّاءٍ بِنَمِيمٍ

  12. مَنَّاعٍ لِلْخَيْرِ مُعْتَدٍ أَثِيمٍ

  13. عُتُلٍّ بَعْدَ ذَٰلِكَ زَنِيمٍ

  14. أَنْ كَانَ ذَا مَالٍ وَبَنِينَ

  15. إِذَا تُتْلَىٰ عَلَيْهِ آيَاتُنَا قَالَ أَسَاطِيرُ الْأَوَّلِينَ

  16. سَنَسِمُهُ عَلَى الْخُرْطُومِ

  17. إِنَّا بَلَوْنَاهُمْ كَمَا بَلَوْنَا أَصْحَابَ الْجَنَّةِ إِذْ أَقْسَمُوا لَيَصْرِمُنَّهَا مُصْبِحِينَ

  18. وَلَا يَسْتَثْنُونَ

  19. فَطَافَ عَلَيْهَا طَائِفٌ مِنْ رَبِّكَ وَهُمْ نَائِمُونَ

  20. فَأَصْبَحَتْ كَالصَّرِيمِ

  21. فَتَنَادَوْا مُصْبِحِينَ

  22. أَنِ اغْدُوا عَلَىٰ حَرْثِكُمْ إِنْ كُنْتُمْ صَارِمِينَ

  23. فَانْطَلَقُوا وَهُمْ يَتَخَافَتُونَ

  24. أَنْ لَا يَدْخُلَنَّهَا الْيَوْمَ عَلَيْكُمْ مِسْكِينٌ

  25. وَغَدَوْا عَلَىٰ حَرْدٍ قَادِرِينَ

  26. فَلَمَّا رَأَوْهَا قَالُوا إِنَّا لَضَالُّونَ

  27. بَلْ نَحْنُ مَحْرُومُونَ

  28. قَالَ أَوْسَطُهُمْ أَلَمْ أَقُلْ لَكُمْ لَوْلَا تُسَبِّحُونَ

  29. قَالُوا سُبْحَانَ رَبِّنَا إِنَّا كُنَّا ظَالِمِينَ

  30. فَأَقْبَلَ بَعْضُهُمْ عَلَىٰ بَعْضٍ يَتَلَاوَمُونَ

  31. قَالُوا يَا وَيْلَنَا إِنَّا كُنَّا طَاغِينَ

  32. عَسَىٰ رَبُّنَا أَنْ يُبْدِلَنَا خَيْرًا مِنْهَا إِنَّا إِلَىٰ رَبِّنَا رَاغِبُونَ

  33. كَذَٰلِكَ الْعَذَابُ ۖ وَلَعَذَابُ الْآخِرَةِ أَكْبَرُ ۚ لَوْ كَانُوا يَعْلَمُونَ

  34. إِنَّ لِلْمُتَّقِينَ عِنْدَ رَبِّهِمْ جَنَّاتِ النَّعِيمِ

  35. أَفَنَجْعَلُ الْمُسْلِمِينَ كَالْمُجْرِمِينَ

  36. مَا لَكُمْ كَيْفَ تَحْكُمُونَ

  37. أَمْ لَكُمْ كِتَابٌ فِيهِ تَدْرُسُونَ

  38. إِنَّ لَكُمْ فِيهِ لَمَا تَخَيَّرُونَ

  39. أَمْ لَكُمْ أَيْمَانٌ عَلَيْنَا بَالِغَةٌ إِلَىٰ يَوْمِ الْقِيَامَةِ ۙ إِنَّ لَكُمْ لَمَا تَحْكُمُونَ

  40. سَلْهُمْ أَيُّهُمْ بِذَٰلِكَ زَعِيمٌ

  41. أَمْ لَهُمْ شُرَكَاءُ فَلْيَأْتُوا بِشُرَكَائِهِمْ إِنْ كَانُوا صَادِقِينَ

  42. يَوْمَ يُكْشَفُ عَنْ سَاقٍ وَيُدْعَوْنَ إِلَى السُّجُودِ فَلَا يَسْتَطِيعُونَ

  43. خَاشِعَةً أَبْصَارُهُمْ تَرْهَقُهُمْ ذِلَّةٌ ۖ وَقَدْ كَانُوا يُدْعَوْنَ إِلَى السُّجُودِ وَهُمْ سَالِمُونَ

  44. فَذَرْنِي وَمَنْ يُكَذِّبُ بِهَٰذَا الْحَدِيثِ ۖ سَنَسْتَدْرِجُهُمْ مِنْ حَيْثُ لَا يَعْلَمُونَ

  45. وَأُمْلِي لَهُمْ ۚ إِنَّ كَيْدِي مَتِينٌ

  46. أَمْ تَسْأَلُهُمْ أَجْرًا فَهُمْ مِنْ مَغْرَمٍ مُثْقَلُونَ

  47. أَمْ عِنْدَهُمُ الْغَيْبُ فَهُمْ يَكْتُبُونَ

  48. فَاصْبِرْ لِحُكْمِ رَبِّكَ وَلَا تَكُنْ كَصَاحِبِ الْحُوتِ إِذْ نَادَىٰ وَهُوَ مَكْظُومٌ

  49. لَوْلَا أَنْ تَدَارَكَهُ نِعْمَةٌ مِنْ رَبِّهِ لَنُبِذَ بِالْعَرَاءِ وَهُوَ مَذْمُومٌ

  50. فَاجْتَبَاهُ رَبُّهُ فَجَعَلَهُ مِنَ الصَّالِحِينَ

  51. وَإِنْ يَكَادُ الَّذِينَ كَفَرُوا لَيُزْلِقُونَكَ بِأَبْصَارِهِمْ لَمَّا سَمِعُوا الذِّكْرَ وَيَقُولُونَ إِنَّهُ لَمَجْنُونٌ

  52. وَمَا هُوَ إِلَّا ذِكْرٌ لِلْعَالَمِينَ

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Noon; walqalami wa maa yasturoon

  2. Maa anta bini'mati Rabbika bimajnoon

  3. Wa inna laka la ajran ghaira mamnoon

  4. Wa innaka la'alaa khuluqin 'azeem

  5. Fasatubsiru wa yubsiroon

  6. Bi ayyikumul maftoon

  7. Innaa Rabbaka Huwa a'lamu biman dalla 'an sabeelihee wa Huwa a'lamu bilmuhtadeen

  8. Falaa tuti'il mukazzibeen

  9. Waddoo law tudhinu fa-yudhinoon

  10. Wa laa tuti' kulla hallaa fim maheen

  11. Hammaazim mash shaaa'im binameem

  12. Mannaa'il lilkhairi mu'tadin aseem

  13. 'Utullim ba'da zaalika zaneem

  14. An kaana zaa maalinw-wa baneen

  15. Izaa tutlaa 'alaihi aayaatunaa qaala asaateerul awwaleen

  16. Sanasimuhoo 'alal khurtoom

  17. Innaa balawnaahum kamaa balawnaaa As-haabal jannati iz 'aqsamoo la-yasri munnahaa musbiheen

  18. Wa laa yastasnoon

  19. Fataafa 'alaihaa taaa'i fum mir rabbika wa hum naaa'imoon

  20. Fa asbahat kassareem

  21. Fatanaadaw musbiheen

  22. Anighdoo 'alaa harsikum in kuntum saarimeen

  23. Fantalaqoo wa hum yatakhaafatoon

  24. Al laa yadkhulannahal yawma 'alaikum miskeen

  25. Wa ghadaw 'alaa hardin qaadireen

  26. Falammaa ra awhaa qaalooo innaa ladaaalloon

  27. Bal nahnu mahroomoon

  28. Qaala awsatuhum alam aqul lakum law laa tusabbihoon

  29. Qaaloo subhaana rabbinaaa innaa kunnaa zaalimeen

  30. Fa aqbala ba'duhum 'alaa ba'diny yatalaawamoon

  31. Qaaloo yaa wailanaaa innaa kunnaa taagheen

  32. 'Asaa rabbunaaa any yubdilanaa khairam minhaaa innaaa ilaa rabbinaa raaghiboon

  33. Kazaalikal azaab, wa la'azaabul aakhirati akbar; law kaanoo ya'lamoon

  34. Inna lilmuttaqeena 'inda rabbihim jannaatin na'eem

  35. Afanaj'alul muslimeena kalmujrimeen

  36. Maa lakum kaifa tahkumoon

  37. Am lakum kitaabun feehi tadrusoon

  38. Inna lakum feehi lamaa takhaiyaroon

  39. Am lakum aymaanun 'alainaa baalighatun ilaa yawmil qiyaamati inna lakum lamaa tahkumoon

  40. Salhum ayyuhum bizaa lika za'eem

  41. Am lahum shurakaaa'u fal ya'too bishurakaaa 'ihim in kaanoo saadiqeen

  42. Yawma yukshafu 'an saaqinw wa yud'awna ilas sujoodi falaa yastatee'oon

  43. Khaashi'atan absaaruhum tarhaquhum zillatunw wa qad kaanoo yud'awna ilassujoodi wa hum saalimoon

  44. Fazarnee wa many yukazzibu bihaazal hadeesi sanastad rijuhum min haisu laa ya'lamoon

  45. Wa umlee lahum; inna kaidee mateen

  46. Am tas'aluhum ajran fahum min maghramin musqaloon

  47. Am 'indahumul ghaibu fahum yaktuboon

  48. Fasbir lihukmi rabbika wa laa takun kasaahibil hoot; iz naadaa wa huwa makzoom

  49. Law laaa an tadaara kahoo ni'matum mir rabbihee lanubiza bil'araaa'i wa huwa mazmoom

  50. Fajtabaahu rabbuhoo faja'alahoo minas saaliheen

  51. Wa iny-yakaadul lazeena kafaroo la-yuzliqoonaka biabsaarihim lammaa sami'uz-Zikra wa yaqooloona innahoo lamajnoon

  52. Wa maa huwa illaa zikrul lil'aalameen

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Noon, Qasam hai qalam ki aur us cheez ki jise likhne wale likh rahe hain,

2. Tum apne Rubb ke fazl se majnoon(deewane) nahin ho

3. Aur yaqeenan tumhare liye aisa ajar(reward) hai jiska silsila kabhi khatm hone wala nahin

4. Aur beshak tum akhlaaq ke bade martabe par ho,

5. Anqareeb tum bhi dekh loge aur woh bhi dekh lenge

6. Ke tum mein se kaun junoon(madness) mein mubtala hai.

7. Tumhara Rubb un logon ko bhi khoob jaanta hai jo uski raah se bhatkey huey hain , aur wahi unko bhi acchi tarah jaanta hai jo raah-e-raast par hai

8. Lihaza tum in jhutlane walon ke dabao mein hargiz na aao.

9. yeh to chahte hain ke kuch tum mudahnat (narmi) karo to yeh bhi mudahnat(narmi) karein

10. Hargiz na dabo kisi aise shaks se jo bahut kasme khane wala be-waqaat (bahut zyada kasmein khane wala) aadmi hai

11. Taaney deta hai , chugliyan khata phirta hai

12. Bhalayi se roakta hai , zulm-o-zyadti mein hadd se guzar jaane wala hai, sakht bad-amal hai , jafa-kaar hai,

13. Aur in sab uyub (aib) ke saath bad-asl hai (illegitimate pretender)

14. Is bina par ke woh bahut maal-o-aulad rakhta hai

15. Jab hamari aayaat usko sunayi jaati hai to kehta hai yeh to agle waqton ke afsane hain

16. Anqareeb hum iski sund (snout) par daag lagayenge

17. Humne in (ehle makkah) ko usi taraah aazmaish mein dala hai jis tarah ek baagh (garden) ke maalikon ko aazmaish mein dala tha, jab unhon ne qasam khayi ke subah sawere zaroor apne baagh ke phal todenge.

18. Aur woh koi istasna (exception) nahin kar rahe thay

19. Raat ko woh soye padey thay ke tumhare Rubb ki taraf se ek balaa is baagh par phir gayi

20. Aur uska haal aisa ho gaya jaise kati hui fasal ho

21. Subah un logon ne ek dusre ko pukara

22. Kaha agar phal todne hai ho to sawere sawere apni kheti ki taraf nikal chalo

23. Chunanchey woh chal padey aur aapas mein chupke chupke kehte jaate thay

24. Ke aaj koi miskeen tumhare paas baag mein na aane paye,

25. Woh kuch na dene ka faisla kiye huey subah sawere jaldi jaldi is tarah wahan gaye jaise ke woh (phal todne par) qaadir hain.

26. Magar jab baagh ko dekha to kehne lage “hum raasta bhool gaye hain,

27. Nahin balke hum mehroom reh gaye”

28. Un mein jo sabse behtar aadmi tha usne kaha “maine tumse kaha na tha ke tum tasbeeh kyun nahin karte?”

29. Woh pukar utthey paak hai hamara Rubb, waqayi hum gunahgaar thay,

30. Phir unmein se har ek dusre ko malamat karne laga

31. Aakhir ko unhon ne kaha “afsos hamare haal par, beshak hum sarkash ho gaye thay,

32. Baeed (door) nahin ke hamara Rubb humein badle mein is se behtar baagh ata farmaye, hum apne Rubb ki taraf rujoo karte hain

33. Aisa hota hai azaab aur aakhirat ka azaab is se bhi bada hai, kaash yeh log isko jaante

34. Yaqeenan khuda-tars logon ke liye unke Rubb ke yahan niyamat bhari jannatein hain

35. Kya hum farma-bardaaron ka haal mujrimon sa kardein?

36. Tum logon ko kya ho gaya hai, tum kaise hukm lagate ho?

37. Kya tumhare paas koi kitaab hai jismein tum yeh padhte ho

38. Ke tumhare liye zaroor wahan wahi kuch hai jo tum apne liye pasand karte ho?

39. Ya phir kya tumhare liye roz-e-qayamat tak humpar kuch ahad-o-payman(covenant) saabit hai ke tumhein wahi kuch milega jiska tum hukm lagao?

40. Inse pucho tum mein se kaun iska zaamin (gurantee/responsible) hai?

41. Ya phir inke thehraey huey kuch sahreek hain (jinhon ne iska zimma liya ho)? Yeh baat hai to layein apne shareekon ko agar yeh sacche hain

42. Jis roz sakht waqt aa padega aur logon ko sajda karne ke liye bulaya jayega to yeh log sajda na kar sakenge.

43. Inki nigaahein nichey hongi, zillat in par chaa rahi hogi. Yeh jab sahi-o-saalim thay us waqt inhein sajde ke liye (bulaya jata tha) aur yeh inkar karte thay.

44. Pas aey Nabi, tum is kalaam ke jhutlane walon ka maamla mujhpar chodh do hum aise tarike se inko batadreej tabahi ki taraf le jayenge ke inko khabar bhi na hogi

45. Main inki rassi daraaz kar raha hoon, meri chaal badi zabardast hai,

46. Kya tum inse koi ajar (compensation) talab kar rahe ho ke yeh is chatti ke boojh (feel burdened with debt) taley dabey jaa rahe hoon?

47. Kya inke paas gaib ka ilm hai jise yeh likh rahe hoon?

48. Pas apne Rubb ka faisla saadir hone tak sabr karo aur machli wale (younis alai salam) ki tarah na ho jao, jab usne pukara tha aur woh gham se bhara hua tha,

49. Agar uske Rubb ki meharbani uske shamil-e-haal na ho jaati to woh mazmoom(disgrace) hokar chatyal maidan mein phenk diya jata .

50. Aakhir-e-kaar uske Rubb ne usey barguzida (exalted) farma liya aur usey saleh bandon mein shamil kardiya.

51. Jab yeh kafir log kalam-e-naseehat (Quran)sunte hain to tumhein aisi nazaron se dekhte hain ke goya tumhare qadam ukhad denge, Aur kehte hain ke yeh zaroor dewana hai

52. Halaanke yeh to saare jahaan walon ke liye ek naseehat hai.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments