📖 Surah 67 Al-Mulk Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. تَبَارَكَ الَّذِي بِيَدِهِ الْمُلْكُ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ

  2. الَّذِي خَلَقَ الْمَوْتَ وَالْحَيَاةَ لِيَبْلُوَكُمْ أَيُّكُمْ أَحْسَنُ عَمَلًا ۚ وَهُوَ الْعَزِيزُ الْغَفُورُ

  3. الَّذِي خَلَقَ سَبْعَ سَمَاوَاتٍ طِبَاقًا ۖ مَا تَرَىٰ فِي خَلْقِ الرَّحْمَٰنِ مِنْ تَفَاوُتٍ ۖ فَارْجِعِ الْبَصَرَ هَلْ تَرَىٰ مِنْ فُطُورٍ

  4. ثُمَّ ارْجِعِ الْبَصَرَ كَرَّتَيْنِ يَنْقَلِبْ إِلَيْكَ الْبَصَرُ خَاسِئًا وَهُوَ حَسِيرٌ

  5. وَلَقَدْ زَيَّنَّا السَّمَاءَ الدُّنْيَا بِمَصَابِيحَ وَجَعَلْنَاهَا رُجُومًا لِلشَّيَاطِينِ ۖ وَأَعْتَدْنَا لَهُمْ عَذَابَ السَّعِيرِ

  6. وَلِلَّذِينَ كَفَرُوا بِرَبِّهِمْ عَذَابُ جَهَنَّمَ ۖ وَبِئْسَ الْمَصِيرُ

  7. إِذَا أُلْقُوا فِيهَا سَمِعُوا لَهَا شَهِيقًا وَهِيَ تَفُورُ

  8. تَكَادُ تَمَيَّزُ مِنَ الْغَيْظِ ۖ كُلَّمَا أُلْقِيَ فِيهَا فَوْجٌ سَأَلَهُمْ خَزَنَتُهَا أَلَمْ يَأْتِكُمْ نَذِيرٌ

  9. قَالُوا بَلَىٰ قَدْ جَاءَنَا نَذِيرٌ فَكَذَّبْنَا وَقُلْنَا مَا نَزَّلَ اللَّهُ مِنْ شَيْءٍ إِنْ أَنْتُمْ إِلَّا فِي ضَلَالٍ كَبِيرٍ

  10. وَقَالُوا لَوْ كُنَّا نَسْمَعُ أَوْ نَعْقِلُ مَا كُنَّا فِي أَصْحَابِ السَّعِيرِ

  11. فَاعْتَرَفُوا بِذَنْبِهِمْ فَسُحْقًا لِأَصْحَابِ السَّعِيرِ

  12. إِنَّ الَّذِينَ يَخْشَوْنَ رَبَّهُمْ بِالْغَيْبِ لَهُمْ مَغْفِرَةٌ وَأَجْرٌ كَبِيرٌ

  13. وَأَسِرُّوا قَوْلَكُمْ أَوِ اجْهَرُوا بِهِ ۖ إِنَّهُ عَلِيمٌ بِذَاتِ الصُّدُورِ

  14. أَلَا يَعْلَمُ مَنْ خَلَقَ وَهُوَ اللَّطِيفُ الْخَبِيرُ

  15. هُوَ الَّذِي جَعَلَ لَكُمُ الْأَرْضَ ذَلُولًا فَامْشُوا فِي مَنَاكِبِهَا وَكُلُوا مِنْ رِزْقِهِ ۖ وَإِلَيْهِ النُّشُورُ

  16. أَأَمِنْتُمْ مَنْ فِي السَّمَاءِ أَنْ يَخْسِفَ بِكُمُ الْأَرْضَ فَإِذَا هِيَ تَمُورُ

  17. أَمْ أَمِنْتُمْ مَنْ فِي السَّمَاءِ أَنْ يُرْسِلَ عَلَيْكُمْ حَاصِبًا ۖ فَسَتَعْلَمُونَ كَيْفَ نَذِيرِ

  18. وَلَقَدْ كَذَّبَ الَّذِينَ مِنْ قَبْلِهِمْ فَكَيْفَ كَانَ نَكِيرِ

  19. أَوَلَمْ يَرَوْا إِلَى الطَّيْرِ فَوْقَهُمْ صَافَّاتٍ وَيَقْبِضْنَ ۚ مَا يُمْسِكُهُنَّ إِلَّا الرَّحْمَٰنُ ۚ إِنَّهُ بِكُلِّ شَيْءٍ بَصِيرٌ

  20. أَمَّنْ هَٰذَا الَّذِي هُوَ جُنْدٌ لَكُمْ يَنْصُرُكُمْ مِنْ دُونِ الرَّحْمَٰنِ ۚ إِنِ الْكَافِرُونَ إِلَّا فِي غُرُورٍ

  21. أَمَّنْ هَٰذَا الَّذِي يَرْزُقُكُمْ إِنْ أَمْسَكَ رِزْقَهُ ۚ بَلْ لَجُّوا فِي عُتُوٍّ وَنُفُورٍ

  22. أَفَمَن يَمْشِى مُكِبًّا عَلَىٰ وَجْهِهِۦٓ أَهْدَىٰٓ أَمَّن يَمْشِى سَوِيًّا عَلَىٰ صِرَٰطٍۢ مُّسْتَقِيمٍۢ

  23. قُلْ هُوَ الَّذِي أَنْشَأَكُمْ وَجَعَلَ لَكُمُ السَّمْعَ وَالْأَبْصَارَ وَالْأَفْئِدَةَ ۖ قَلِيلًا مَا تَشْكُرُونَ

  24. قُلْ هُوَ الَّذِي ذَرَأَكُمْ فِي الْأَرْضِ وَإِلَيْهِ تُحْشَرُونَ

  25. وَيَقُولُونَ مَتَىٰ هَٰذَا الْوَعْدُ إِنْ كُنْتُمْ صَادِقِينَ

  26. قُلْ إِنَّمَا الْعِلْمُ عِنْدَ اللَّهِ وَإِنَّمَا أَنَا نَذِيرٌ مُبِينٌ

  27. فَلَمَّا رَأَوْهُ زُلْفَةً سِيئَتْ وُجُوهُ الَّذِينَ كَفَرُوا وَقِيلَ هَٰذَا الَّذِي كُنْتُمْ بِهِ تَدَّعُونَ

  28. قُلْ أَرَءَيْتُمْ إِنْ أَهْلَكَنِىَ ٱللَّهُ وَمَن مَّعِىَ أَوْ رَحِمَنَا فَمَن يُجِيرُ ٱلْكَـٰفِرِينَ مِنْ عَذَابٍ أَلِيمٍۢ

  29. قُلْ هُوَ الرَّحْمَٰنُ آمَنَّا بِهِ وَعَلَيْهِ تَوَكَّلْنَا ۖ فَسَتَعْلَمُونَ مَنْ هُوَ فِي ضَلَالٍ مُبِينٍ

  30. قُلْ أَرَأَيْتُمْ إِنْ أَصْبَحَ مَاؤُكُمْ غَوْرًا فَمَنْ يَأْتِيكُمْ بِمَاءٍ مَعِينٍ

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Tabaarakal lazee biyadihil mulku wa huwa 'alaa kulli shai-in qadeer

  2. Allazee khalaqal mawta walhayaata liyabluwakum ayyukum ahsanu 'amalaa; wa huwal 'azeezul ghafoor

  3. Allazee khalaqa sab'a samaawaatin tibaaqa; maa taraa fee khalqir rahmaani min tafaawut farji'il basara hal taraa min futoor

  4. Summar ji'il basara karrataini yanqalib ilaikal basaru khaasi'anw wa huwa haseer

  5. Wa laqad zaiyannas samaaa'ad dunyaa bimasaa beeha wa ja'alnaahaa rujoomal lish shayaateeni wa a'tadnaa lahum 'azaabas sa'eer

  6. Wa lillazeena kafaroo bi rabbihim 'azaabu jahannama wa bi'sal maseer

  7. Izaaa ulqoo feehaa sami'oo lahaa shaheeqanw wa hiya tafoor

  8. Takaadu tamayyazu minal ghaizz kullamaaa ulqiya feehaa fawjun sa alahum khazanatuhaaa alam ya'tikum nazeer

  9. Qaaloo balaa qad jaaa'anaa nazeerun fakazzabnaa wa qulnaa maa nazzalal laahu min shai in in antum illaa fee dalaalin kabeer

  10. Wa qaaloo law kunnaa nasma'u awna'qilu maa kunnaa feee as haabis sa'eer

  11. Fa'tarafoo bizambihim fasuhqal li as haabis sa'eer

  12. Innal lazeena yakhshawna rabbahum bilghaibi lahum maghfiratunw wa ajrun kabeer

  13. Wa asirroo qawlakum awijharoo bih; innahoo 'aleemum bizaatis sudoor

  14. Alaa ya'lamu man khalaqa wa huwal lateeful khabeer

  15. Huwal lazee ja'ala lakumul arda zaloolan famshoo fee manaakibihaa wa kuloo mir rizqih; wa ilaihin nushoor

  16. 'A-amintum man fissamaaa'i aiyakhsifa bi kumul arda fa izaa hiya tamoor

  17. Am amintum man fissamaaa'i ai yursila 'alaikum haasiban fasata'lamoona kaifa nazeer

  18. Wa laqad kazzabal lazeena min qablihim fakaifa kaana nakeer

  19. Awalam yaraw ilat tairi fawqahum saaaffaatinw wa yaqbidn; maa yumsikuhunna il'lar rahmaan; innahoo bikulli shai im baseer

  20. Amman haazal lazee huwa jundul lakum yansurukum min doonir rahmaan; inilkaafiroona illaa fee ghuroor

  21. Amman haazal lazee yarzuqukum in amsaka rizqah; bal lajjoo fee 'utuwwinw wa nufoor

  22. Afamai yamshee mukibban 'alaa wajhihee ahdaaa ammany yamshee sawiyyan 'alaa siratim mustaqeem

  23. Qul huwal lazee ansha akum wa ja'ala lakumus sam'a wal absaara wal af'idata qaleelam maa tashkuroon

  24. Qul huwal lazee zara akum fil ardi wa ilaihi tuhsharoon

  25. Wa yaqooloona mataa haazal wa'du in kuntum saadiqeen

  26. Qul innamal 'ilmu 'indallaahi wa innamaaa ana nazeerum mubeen

  27. Falammaa ra-awhu zulfatan seee'at wujoohul lazeena kafaroo wa qeela haazal lazee kuntum bihee tadda'oon

  28. Qul ara'aytum in ahlaka niyal laahu wa mam ma'iya aw rahimanaa famai-yujeerul kaafireena min 'azaabin aleem

  29. Qul huwar rahmaanu aamannaa bihee wa 'alaihi tawakkalnaa fasata'lamoona man huwa fee dalaalim mubeen

  30. Qul ara'aytum in asbaha maaa'ukum ghawran famai ya'teekum bimaaa'im ma'een

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Nihayat buzurg-o-bartar hai woh jiske haath mein qayinaat ki sultanat hai , aur woh har cheez par qudrat rakhta hai.

2. Jisne maut aur zindagi ko ijaat kiya taa-ke tum logon ko aazma kar dekhey tum mein se kaun behtar amal karne wala hai, aur woh zabardast bhi hai aur darguzar farmane wala bhi.

3. Jisne teh-bar-teh saat (seven) aasmaan banaye tum Rehman ki takhleeq (creation) mein kisi qisam ki be-rabti (disparity) na paoge phir palat kar dekho, kahin tumhein koi khalal(flaw) nazar aata hai?

4. Baar baar nigaah daudao tumhari nigaah thak kar na-murad palat aayegi.

5. Humne tumhare kareeb ke aasmaan ko azeem-o-shaan chiragon se aarasta(adorned /beautify) kiya hai aur unhein shayateen ko maar bhagane ka zariya bana diya hai. In shaytano ke liye bhadakti hui aag humne muhayya kar rakkhi hai.

6. Jin logon ne apne Rubb se kufr kiya hai unke liye jahannum ka azaab hai aur woh bahut hi bura thikana hai.

7. Jab woh usmein phenke jayenge to uski dhahadne (roar) ki haulnaak aawaz sunenge aur woh josh kha rahi hogi.

8. Shiddat-e-gazab se phati jaati hogi, har baar jab koi anbwah(multitude/group) us mein dala jayega uske kaarinde(keepers) un logon se puchenge “kya tumhare paas koi khabardaar karne wala nahin aaya tha?”

9. Woh jawab denge “haan ,khabardaar karne wala hamare paas aaya tha,magar humne usey jhutla diya aur kaha Allah ne kuch bhi naazil nahin kiya hai, tum badi gumraahi mein padey huey ho”

10. Aur woh kahenge “kaash hum sunte ya samajhte to aaj is bhadakti hui aag ke sazawaron mein na shamil hote”

11. Is taraah woh apne kasoor ka khud aitraaf (confess) kar lenge, laanat hai in dozakhiyon par

12. Jo log be-dekhe apne Rubb se darte hai , yaqeenan unke liye magfirat hai aur bada ajar

13. Tum khwa chupke se baat karo ya unchi aawaz se (Allah ke liye yaksan hai) woh to dilon ka haal tak jaanta hai

14. Kya wahi na jaanega jisne paida kiya hai? Halanke woh baareek-bein aur bakhabar hai.

15. Wahi to hai jisne tumhare liye zameen ko taabe kar rakkha hai , chalo uski chaati par aur khao khuda ka rizq, usi ke huzoor tumhein dobara zinda hokar jana hai,

16. Kya tum is se be-khauf ho ke woh jo aasmaan mein hai tumhein zameen mein dhasa de aur yakayak yeh zameen jhakoley khane lage(shake/rock violently)

17. Kya tum is se be-khauf ho ke woh jo aasmaan mein hai tumpar pathrao karne wali hawa bhej de? Phir tumhein maloom ho jayega ke meri tambeeh(warning) kaisi hoti hai.

18. Inse pehle guzre huey log jhutla chuke hai phir dekhlo ke meri giraft kaisi sakht thi.

19. Kya yeh log apne upar udney wale parindon ko par phaylaye aur sukedte nahin dekhte? Rehman ke siwa koi nahin jo inhein thamey huey ho. Wahi har cheez ka nigehbaan hai.

20. Batao, aakhir woh kaunsa lashkar tumhare paas hai jo Rehman ke muqable mein tumhari madad kar sakta hai? Haqeeqat yeh hai ke yeh munkireen (inkar karne wale) dhoke mein padey huey hain

21. Ya phir batao, kaun hai jo tumhein rizq de sakta hai agar Rehman apna rizq roak le? Dar-asal yeh log sarkashi aur haqq se gurez par adey huey hai.

22. Bhala socho, jo shaks mooh aundhaey (grovelling) chal raha ho woh zyada sahih raah paane wala hai ya woh jo sar uthaye seedha ek hamwar sadak par chal raha ho?

23. Inse kaho Allah hi hai jisne tumhein paida kiya, tumko sunney aur dekhne ki taaqatein di aur sochne samajhne wale dil diye, magar tum kam hi shukr ada karte ho.

24. Inse kaho, Allah hi hai jisne tumhein zameen mein phaylaya hai aur usi ki taraf tum sametay jaaoge.

25. Yeh kehte hain “Agar tum sacche ho to batao yeh waada kab poora hoga?”

26. Kaho “Iska ilm to Allah ke paas hai, main to bas saaf saaf khabardaar kardene wala hoon

27. Phir jab yeh us cheez ko qareeb dekh lenge to un sab logon ke chehre bigad jayenge jinhon ne inkar kiya hai, aur us waqt unse kaha jayega ke yahi hai woh cheez jiske liye tum takazey kar rahe (ask for) thay.

28. Inse kaho, kabhi tumne yeh bhi socha ke Allah khwa mujhe aur mere saathiyon ko halaak karde ya hum par Reham kare, kafiron ko dardnaak azaab se kaun bacha lega?

29. Inse kaho, woh bada Raheem hai, usi par hum iman laye hain, aur usi par hamara bharosa hai, ankareeb tumhein maloom ho jayega ke sareeh gumraahi (manifest error) mein pada hua kaun hai.

30. Inse kaho, kabhi tumne yeh bhi socha ke agar tumhare kuwon (wells) ka pani zameen mein utar jaaye to kaun hai jo is pani ki behti hui sotein(flowing water) tumhein nikal kar la dega?

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments