📖 Surah 66 At-Tahrim Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- يَا أَيُّهَا النَّبِيُّ لِمَ تُحَرِّمُ مَا أَحَلَّ اللَّهُ لَكَ ۖ تَبْتَغِي مَرْضَاتَ أَزْوَاجِكَ ۚ وَاللَّهُ غَفُورٌ رَحِيمٌ
- قَدْ فَرَضَ اللَّهُ لَكُمْ تَحِلَّةَ أَيْمَانِكُمْ ۚ وَاللَّهُ مَوْلَاكُمْ ۖ وَهُوَ الْعَلِيمُ الْحَكِيمُ
- وَإِذْ أَسَرَّ النَّبِيُّ إِلَىٰ بَعْضِ أَزْوَاجِهِ حَدِيثًا فَلَمَّا نَبَّأَتْ بِهِ وَأَظْهَرَهُ اللَّهُ عَلَيْهِ عَرَّفَ بَعْضَهُ وَأَعْرَضَ عَنْ بَعْضٍ ۖ فَلَمَّا نَبَّأَهَا بِهِ قَالَتْ مَنْ أَنْبَأَكَ هَٰذَا ۖ قَالَ نَبَّأَنِيَ الْعَلِيمُ الْخَبِيرُ
- إِنْ تَتُوبَا إِلَى اللَّهِ فَقَدْ صَغَتْ قُلُوبُكُمَا ۖ وَإِنْ تَظَاهَرَا عَلَيْهِ فَإِنَّ اللَّهَ هُوَ مَوْلَاهُ وَجِبْرِيلُ وَصَالِحُ الْمُؤْمِنِينَ ۖ وَالْمَلَائِكَةُ بَعْدَ ذَٰلِكَ ظَهِيرٌ
- عَسَىٰ رَبُّهُ إِنْ طَلَّقَكُنَّ أَنْ يُبْدِلَهُ أَزْوَاجًا خَيْرًا مِنْكُنَّ مُسْلِمَاتٍ مُؤْمِنَاتٍ قَانِتَاتٍ تَائِبَاتٍ عَابِدَاتٍ سَائِحَاتٍ ثَيِّبَاتٍ وَأَبْكَارًا
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا قُوا أَنْفُسَكُمْ وَأَهْلِيكُمْ نَارًا وَقُودُهَا النَّاسُ وَالْحِجَارَةُ عَلَيْهَا مَلَائِكَةٌ غِلَاظٌ شِدَادٌ لَا يَعْصُونَ اللَّهَ مَا أَمَرَهُمْ وَيَفْعَلُونَ مَا يُؤْمَرُونَ
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ كَفَرُوا لَا تَعْتَذِرُوا الْيَوْمَ ۖ إِنَّمَا تُجْزَوْنَ مَا كُنْتُمْ تَعْمَلُونَ
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا تُوبُوا إِلَى اللَّهِ تَوْبَةً نَصُوحًا عَسَىٰ رَبُّكُمْ أَنْ يُكَفِّرَ عَنْكُمْ سَيِّئَاتِكُمْ وَيُدْخِلَكُمْ جَنَّاتٍ تَجْرِي مِنْ تَحْتِهَا الْأَنْهَارُ يَوْمَ لَا يُخْزِي اللَّهُ النَّبِيَّ وَالَّذِينَ آمَنُوا مَعَهُ ۖ نُورُهُمْ يَسْعَىٰ بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَبِأَيْمَانِهِمْ يَقُولُونَ رَبَّنَا أَتْمِمْ لَنَا نُورَنَا وَاغْفِرْ لَنَا ۖ إِنَّكَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
- يَا أَيُّهَا النَّبِيُّ جَاهِدِ الْكُفَّارَ وَالْمُنَافِقِينَ وَاغْلُظْ عَلَيْهِمْ ۚ وَمَأْوَاهُمْ جَهَنَّمُ ۖ وَبِئْسَ الْمَصِيرُ
- ضَرَبَ اللَّهُ مَثَلًا لِلَّذِينَ كَفَرُوا امْرَأَتَ نُوحٍ وَامْرَأَتَ لُوطٍ ۖ كَانَتَا تَحْتَ عَبْدَيْنِ مِنْ عِبَادِنَا صَالِحَيْنِ فَخَانَتَاهُمَا فَلَمْ يُغْنِيَا عَنْهُمَا مِنَ اللَّهِ شَيْئًا وَقِيلَ ادْخُلَا النَّارَ مَعَ الدَّاخِلِينَ
- وَضَرَبَ اللَّهُ مَثَلًا لِلَّذِينَ آمَنُوا امْرَأَتَ فِرْعَوْنَ إِذْ قَالَتْ رَبِّ ابْنِ لِي عِنْدَكَ بَيْتًا فِي الْجَنَّةِ وَنَجِّنِي مِنْ فِرْعَوْنَ وَعَمَلِهِ وَنَجِّنِي مِنَ الْقَوْمِ الظَّالِمِينَ
- وَمَرْيَمَ ابْنَتَ عِمْرَانَ الَّتِي أَحْصَنَتْ فَرْجَهَا فَنَفَخْنَا فِيهِ مِنْ رُوحِنَا وَصَدَّقَتْ بِكَلِمَاتِ رَبِّهَا وَكُتُبِهِ وَكَانَتْ مِنَ الْقَانِتِينَ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Yaaa ayyuhan nabiyyu lima tuharrimu maaa ahallal laahu laka tabtaghee mardaata azwaajik; wallaahu ghafoorur raheem
- Qad faradal laahu lakum tahillata aymaanikum; wallaahu mawlaakum wa huwal 'aleemul hakeem
- Wa iz asarran nabiyyu ilaa ba'di azwaajihee hadeesan falammaa nabba at bihee wa azharahul laahu 'alaihi 'arrafa ba'dahoo wa a'rada 'am ba'din falammaa nabba ahaa bihee qaalat man amba aka haaza qaala nabba aniyal 'aleemul khabeer
- In tatoobaaa ilal laahi faqad saghat quloobukumaa wa in tazaaharaa 'alaihi fa innal laaha huwa mawlaahu wa jibreelu wa saalihul mu'mineen; wal malaaa'ikatu ba'da zaalika zaheer
- 'Asaa rabbuhooo in tallaqakunna anyyubdilahooo azwaajan khairam minkunna muslimaatim mu'minaatin qaanitaatin taaa'ibaatin 'aabidaatin saaa'ihaatin saiyibaatinw wa abkaaraa
- Yaaa ayyuhal lazeena aamanoo qooo anfusakum wa ahleekum naaranw waqoodu han naasu wal hijaaratu 'alaihaa malaaa'ikatun ghilaazun shidaadul laa ya'soonal laaha maa amarahum wa yaf'aloona maa yu'maroon
- Yaaa ayyuhal lazeena kafaroo la ta'tazirul yawma innamaa tujzawna maa kuntum ta'maloon
- Yaaa ayyuhal lazeena aamanoo toobooo ilal laahi tawbatan nasoohan 'asaa rabbukum any-yukaffira 'ankum sayyi aatikum wa yudkhilakum jannaatin tajree min tahtihal anhaaru yawma laa yukhzil laahun nabiyya wallazeena aamanoo ma'ahoo nooruhum yas'aa baina aydeehim wa bi aymaanihim yaqooloona rabbanaaa atmim lanaa nooranaa waghfir lana innaka 'alaa kulli shai'in qadeer
- Yaaa ayyuhan nabiyyu jaahidil kuffaara walmunaa-fiqeena waghluz 'alaihim; wa ma'waahum jahannamu wa bi'sal maseer
- Darabal laahu masalal lillazeena kafarum ra ata Noohinw wamra ata Loot, kaanataa tahta 'abdaini min 'ibaadinaa saalihaini fakhaanataahumaa falam yughniyaa 'anhumaa minal laahi shai anw-wa qeelad khulan naara ma'ad Daakhileen
- Wa darabal laahu masalal lil lezeena aamanumra ata Fir'awn; iz qaalat rab bibni lee 'indaka baitan fil jannati wa najjinee min Fir'awna wa 'amalihee wa najjinee minal qawmiz zaalimeen
- Wa Maryamab nata 'Imraanal lateee ahsanat farjahaa fanafakhnaa feehee mir roohinaa wa saddaqat bi kalimaati Rabbihaa wa Kutubihee wakaanat minal qaaniteen (End Juz 28)
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Aey Nabi, Tum kyun us cheez ko haraam karte ho jo Allah ne tumhare liye halal ki hai? (kya is liye ke) tum apni biwiyon ki khushi chahte ho? Allah maaf karne wala aur Reham farmane wala hai.2. Allah ne tum logon ke liye apni qasamo ki pabandi se nikalne ka tareeqa mukarrar kardiya hai Allah tumhara maula (guardian) hai aur wahi Aleem-o-Hakeem(All-Knowing, Most Wise) hai.
3. (Aur yeh maamla bhi kaabil-e-tawajjuh hai ke ) Nabi ne ek baat apni ek biwi se raaz mein kahi thi phir jab us biwi ne (kisi aur par) woh raaz zaahir kardiya, aur Allah ne Nabi ko is (ifshaey raaz) ki ittila de di , to nabi ne uspar kisi hadd tak (us biwi ko) khabardaar kiya aur kisi hadd tak us se dar-guzar kiya. Phir jab Nabi ne usey (ifshaey raaz ki ) yeh baat batayi to usne pucha aapko iski kisne khabar di? Nabi ne kaha “Mujhe usne khabar di jo sab kuch jaanta hai aur khoob bakhabar hai”
4. Agar tum dono Allah se tauba karti ho (to yeh tumhare liye behtar hai) kyunke tumhare dil seedhi raah se hath gaye hain, aur agar Nabi ke muqable mein tumne baham jattah-bandi ki(support one another) to jaan rakkho ke Allah uska maula(Protector) hai aur uske baad Jibrael aur tammam saaleh ehle iman aur sab malaika uske saathi aur madadgaar hai.
5. Baeed(door) nahin ke agar Nabi tum sab biwiyon ko talaq de de to Allah usey aisi biwiyan tumhare badle mein ata farma de jo tumse behtar hon, sacchi musalman ,ba-imaan, itaat guzar , tauba guzar, ibaadat guzar, aur rozedar, khwa shohar deedha ho ya bakira (both previously wedded ones and virgins)
6. Aey logon jo iman laye ho , bachao apne aap ko aur apne ehal-o-ayal (gharwalon) ko us aag se jiska indhan (fuel) Insan aur patthar honge, jispar nihayat tundh-khu (fierce) aur sakht-gir (stern) Farishte mukarrar honge jo kabhi Allah ke hukm ki na farmani nahin karte aur jo hukm bhi unhein diya jata hai usey baja latey hain.
7. (Us waqt kaha jayega ke) aey kafiron aaj maazratein(excuses) pesh na karo, tumhein to waisa hi badla diya jaa raha hai jaise tum amal kar rahe thay.
8. Aey logon jo iman laye ho, Allah se tauba karo, khaalis tauba, baeed(door) nahin ke Allah tumhari buraiyan tumse door karde aur tumhein aisi jannaton mein daakhil farmade jinke nichey nehrein beh rahi hongi, yeh woh din hoga jab Allah apne Nabi ko aur un logon ko jo uske saath iman laye hain ruswa na karega, unka noor unke aage aage aur unke dayein (right) jaanib daud raha hoga aur woh keh rahe honge ke aey hamare Rubb, hamara noor hamare liye mukammal karde aur humse darguzar farma , tu har cheez par qudrat rakhta hai.
9. Aey Nabi , kuffar aur munafikeen se jihad karo aur unke saath sakhti se pesh aao, unka thikana jahannum hai aur woh bahut bura thikana hai.
10. Allah kafiron ke maamle mein Nooh aur Lut ki biwiyon ko bataur-e-misaal pesh karta hai, woh hamare do saleh bando ki zaujiyat (marriage/wedlock) mein thi, magar unhon ne apne in shoharon se khayanat (treachery) ki aur woh Allah ke muqable mein unke kuch bhi na kaam aa sakey. Dono se kehdiya gaya ke jao aag mein jaane walon ke saath tum bhi chali jao.
11. Aur ehle iman ke maamle mein Allah Firoun ki biwi ki misaal pesh karta hai jabke usne dua ki “Aey mere Rubb,mere liye apne haan jannat mein ek ghar bana de aur mujhe Firoun aur iske amal se bacha le aur zalim qaum se mujhko najaat de.”
12. Aur Imran ki beti Maryam ki misaal deta hai jisne apni sharmgaah ki hifazat ki thi, phir humne uske andar apni taraf se rooh phoonk di aur usne apne Rubb ke irshadaat aur uski kitaabon ki tasdeeq ki aur woh itaat guzar (obedient) logon mein se thi.
Comments
Post a Comment