📖 Surah 65 At-Talaq Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. يَا أَيُّهَا النَّبِيُّ إِذَا طَلَّقْتُمُ النِّسَاءَ فَطَلِّقُوهُنَّ لِعِدَّتِهِنَّ وَأَحْصُوا الْعِدَّةَ ۖ وَاتَّقُوا اللَّهَ رَبَّكُمْ ۖ لَا تُخْرِجُوهُنَّ مِنْ بُيُوتِهِنَّ وَلَا يَخْرُجْنَ إِلَّا أَنْ يَأْتِينَ بِفَاحِشَةٍ مُبَيِّنَةٍ ۚ وَتِلْكَ حُدُودُ اللَّهِ ۚ وَمَنْ يَتَعَدَّ حُدُودَ اللَّهِ فَقَدْ ظَلَمَ نَفْسَهُ ۚ لَا تَدْرِي لَعَلَّ اللَّهَ يُحْدِثُ بَعْدَ ذَٰلِكَ أَمْرًا

  2. فَإِذَا بَلَغْنَ أَجَلَهُنَّ فَأَمْسِكُوهُنَّ بِمَعْرُوفٍ أَوْ فَارِقُوهُنَّ بِمَعْرُوفٍ وَأَشْهِدُوا ذَوَيْ عَدْلٍ مِنْكُمْ وَأَقِيمُوا الشَّهَادَةَ لِلَّهِ ۚ ذَٰلِكُمْ يُوعَظُ بِهِ مَنْ كَانَ يُؤْمِنُ بِاللَّهِ وَالْيَوْمِ الْآخِرِ ۚ وَمَنْ يَتَّقِ اللَّهَ يَجْعَلْ لَهُ مَخْرَجًا

  3. وَيَرْزُقْهُ مِنْ حَيْثُ لَا يَحْتَسِبُ ۚ وَمَنْ يَتَوَكَّلْ عَلَى اللَّهِ فَهُوَ حَسْبُهُ ۚ إِنَّ اللَّهَ بَالِغُ أَمْرِهِ ۚ قَدْ جَعَلَ اللَّهُ لِكُلِّ شَيْءٍ قَدْرًا

  4. وَاللَّائِي يَئِسْنَ مِنَ الْمَحِيضِ مِنْ نِسَائِكُمْ إِنِ ارْتَبْتُمْ فَعِدَّتُهُنَّ ثَلَاثَةُ أَشْهُرٍ وَاللَّائِي لَمْ يَحِضْنَ ۚ وَأُولَاتُ الْأَحْمَالِ أَجَلُهُنَّ أَنْ يَضَعْنَ حَمْلَهُنَّ ۚ وَمَنْ يَتَّقِ اللَّهَ يَجْعَلْ لَهُ مِنْ أَمْرِهِ يُسْرًا

  5. ذَٰلِكَ أَمْرُ اللَّهِ أَنْزَلَهُ إِلَيْكُمْ ۚ وَمَنْ يَتَّقِ اللَّهَ يُكَفِّرْ عَنْهُ سَيِّئَاتِهِ وَيُعْظِمْ لَهُ أَجْرًا

  6. أَسْكِنُوهُنَّ مِنْ حَيْثُ سَكَنْتُمْ مِنْ وُجْدِكُمْ وَلَا تُضَارُّوهُنَّ لِتُضَيِّقُوا عَلَيْهِنَّ ۚ وَإِنْ كُنَّ أُولَاتِ حَمْلٍ فَأَنْفِقُوا عَلَيْهِنَّ حَتَّىٰ يَضَعْنَ حَمْلَهُنَّ ۚ فَإِنْ أَرْضَعْنَ لَكُمْ فَآتُوهُنَّ أُجُورَهُنَّ ۖ وَأْتَمِرُوا بَيْنَكُمْ بِمَعْرُوفٍ ۖ وَإِنْ تَعَاسَرْتُمْ فَسَتُرْضِعُ لَهُ أُخْرَىٰ

  7. لِيُنْفِقْ ذُو سَعَةٍ مِنْ سَعَتِهِ ۖ وَمَنْ قُدِرَ عَلَيْهِ رِزْقُهُ فَلْيُنْفِقْ مِمَّا آتَاهُ اللَّهُ ۚ لَا يُكَلِّفُ اللَّهُ نَفْسًا إِلَّا مَا آتَاهَا ۚ سَيَجْعَلُ اللَّهُ بَعْدَ عُسْرٍ يُسْرًا

  8. وَكَأَيِّنْ مِنْ قَرْيَةٍ عَتَتْ عَنْ أَمْرِ رَبِّهَا وَرُسُلِهِ فَحَاسَبْنَاهَا حِسَابًا شَدِيدًا وَعَذَّبْنَاهَا عَذَابًا نُكْرًا

  9. فَذَاقَتْ وَبَالَ أَمْرِهَا وَكَانَ عَاقِبَةُ أَمْرِهَا خُسْرًا

  10. أَعَدَّ اللَّهُ لَهُمْ عَذَابًا شَدِيدًا ۖ فَاتَّقُوا اللَّهَ يَا أُولِي الْأَلْبَابِ الَّذِينَ آمَنُوا ۚ قَدْ أَنْزَلَ اللَّهُ إِلَيْكُمْ ذِكْرًا

  11. رَسُولًا يَتْلُو عَلَيْكُمْ آيَاتِ اللَّهِ مُبَيِّنَاتٍ لِيُخْرِجَ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ مِنَ الظُّلُمَاتِ إِلَى النُّورِ ۚ وَمَنْ يُؤْمِنْ بِاللَّهِ وَيَعْمَلْ صَالِحًا يُدْخِلْهُ جَنَّاتٍ تَجْرِي مِنْ تَحْتِهَا الْأَنْهَارُ خَالِدِينَ فِيهَا أَبَدًا ۖ قَدْ أَحْسَنَ اللَّهُ لَهُ رِزْقًا

  12. اللَّهُ الَّذِي خَلَقَ سَبْعَ سَمَاوَاتٍ وَمِنَ الْأَرْضِ مِثْلَهُنَّ يَتَنَزَّلُ الْأَمْرُ بَيْنَهُنَّ لِتَعْلَمُوا أَنَّ اللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ وَأَنَّ اللَّهَ قَدْ أَحَاطَ بِكُلِّ شَيْءٍ عِلْمًا

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Yaaa ayyuhan nabiyyu izaa tallaqtummun nisaaa'a fatalliqoohunna li'iddatihinna wa ahsul'iddata wattaqul laaha rabbakum; laa tukhri joohunna min bu-yootihinna wa laa yakhrujna illaaa any ya'teena bifaahishatim mubaiyinah; wa tilka hudoodul laah; wa many yata'adda hudoodal laahi faqad zalama nafsah; laa tadree la'allal laaha yuhdisu ba'dazaalika amraa

  2. Fa izaa balaghna ajalahunna fa amsikoohunna bima'roofin aw faariqoohunna bima'roofinw wa ashhidoo zawai 'adlim minkum wa aqeemush shahaadata lillaah; zaalikum yoo'azu bihee man kaana yu'minu billaahi wal yawmil aakhir; wa many yattaqil laaha yaj'al lahoo makhrajaa

  3. Wa yarzuqhu min haisu laa yahtasib; wa many yatawakkal 'alal laahi fahuwa hasbuh; innal laaha baalighu amrih; qad ja'alal laahu likulli shai'in qadraa

  4. Wallaaa'ee ya'isna minal maheedi min nisaaa 'ikum inir tabtum fa'iddatuhunna salaasatu ashhurinw wallaaa'ee lam yahidn; wa ulaatul ahmaali ajaluhunna any yada'na hamlahun; wa many yattaqil laaha yaj'al lahoo min amrihee yusraa

  5. Zaalika amrul laahi anzalahoo ilaikum; wa many yattaqil laaha yukaffir 'anhu saiyi aatihee wa yu'zim lahoo ajraa

  6. Askinoohunna min haisu sakantum minw wujdikum wa laa tudaaarroohunna litudaiyiqoo 'alaihinn; wa in kunna ulaati hamlin fa anfiqoo 'alaihinna hattaa yada'na hamlahunn; fain arda'na lakum fa aatoo hunna ujoorahunn; wa'tamiroo bainakum bima'roofinw wa in ta'aasartum fasaturdi'u lahooo ukhraa

  7. Liyunfiq zoo sa'atim min sa'atih; wa man qudira 'alaihi rizquhoo falyunfiq mimmaaa aataahul laah; laa yukalliful laahu nafsan illaa maaa aataahaa; sa yaj'alul laahu ba'da'usriny yusraa

  8. Wa ka ayyim min qaryatin 'atat 'an amri Rabbihaa wa Rusulihee fahaasabnaahaa hisaaban shadeedanw wa 'azzabnaahaa 'azaaban nukraa

  9. Fazaaqat wabbala amrihaa wa kaana 'aaqibatu amrihaa khusraa

  10. A'addal laahu lahum 'azaaban shadeeda; fattaqul laaha yaaa ulil albaab illazeena aammanoo; qad anzalal laahu ilaikum zikraa

  11. Rasoolany yatloo 'alaikum aayaatil laahi mubaiyinaatil liyukhrijal lazeena aamanoo wa 'amilus saalihaati minaz zulumaati ilan noor; wa many yu'min billaahi wa ya'mal saalihany yudkhilhu jannaatin tajree min tahtihal anhaaru khaalideena feehaa abadaa qad ahsanal laahu lahoo rizqaa

  12. Allaahul lazee khalaqa Sab'a Samaawaatinw wa minal ardi mislahunna yatanazzalul amru bainahunna lita'lamooo annal laaha 'alaa kulli shai'in Qadeerunw wa annal laaha qad ahaata bikulli shai'in 'ilmaa

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Aey Nabi, jab tum log auraton ko talaq do to unhein unki iddat (waiting-period) ke liye talaq diya karo aur iddat ke zamane ka theek theek shumaar karo, aur Allah se daro jo tumhara Rubb hai (zamana-e-iddat mein) na tum unhein unke gharon se nikalo aur na woh khud nikley, illa yeh ke woh kisi sareeh burayi ki murtakib ho (manifestly evil deed). Yeh Allah ki muqarrar karda hadein hain, aur jo koi Allah ki hadon (bounds/limits) se tajawuz karega woh apne upar khud zulm karega. Tum nahin jaante shayad iske baad Allah (muwafikat/reconciliation ki) koi surat paida karde.

2. Phir jab woh apni (iddat ki) muddat ke khaatmay par pahunchey to ya unhein bhale tarike se (apne nikaah mein ) roak rakkho , ya bhale tarike par unse juda ho jao, aur do aise aadmiyon ko gawah bana lo jo tum mein se sahib-e-adal hon, aur (aey gawah banne walon)gawahi theek theek Allah ke liye ada karo. yeh baatein hain jinki tum logon ko naseehat ki jaati hai, har us shaks ko jo Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta ho. Jo koi Allah se darte huey kaam karega Allah uske liye mushkilat se nikalne ka koi raasta paida kardega.

3. Aur usey aise raaste se rizq dega jidhar uska gumaan (imagination) bhi na jata ho. Jo Allah par bharosa kare uske liye woh kafi hai. Allah apna kaam poora karke rehta hai, Allah ne har cheez ke liye ek taqdeer muqarrar kar rakkhi hai.

4. Aur tumhari auraton mein se jo haiz (menstruation) se mayous ho chuki hon unke maamle mein agar tum logon ko koi shak lahik hai to (tumhein maloom ho ke ) unki iddat teen mahiney hai aur yahi hukm unka hai jinhein abhi haiz na aaya ho.Aur haamila(pregnant) aurton ki iddat ki hadd yeh hai ke unka waze hamal (delivery) ho jaaye. Jo shakhs Allah se dare uske maamle mein woh sahulat paida kardeta hai.

5. Yeh Allah ka hukm hai jo usne tumhari taraf naazil kiya hai. Jo Allah se darega Allah uski buraiyon ko us se door kardega aur usko bada ajar dega.

6. Unko (zamana-e-iddat mein ) usi jagah rakkho jahan tum rehtey ho, jaisi kuch bhi jagah tumhe muyassar ho, aur unhein tangg karne ke liye unko na satao. Aur agar woh haamila hon to unpar us waqt tak kharch karte raho jab tak unka waze hamal(delivered their burden) na ho jaaye. Phir agar woh tumhare liye (bachhey ko ) doodh pilayein to unki ujrat (recompense) unhein do, aur bhaley tareeqe se (ujrat ka maamla) bahami guft-o-shaneed se tai karlo. Lekin agar tumne (ujrat tai karne mein) ek dusre ko tangg kiya to bachhey ko koi aur aurat doodh pila legi.

7. Khushaal aadmi apni khushhaali ke mutabiq nafqa de, aur jisko rizq kam diya gaya ho woh usi maal mein se kharch kare jo Allah ne usey diya hai. Allah ne jisko jitna kuch diya hai us se ziyada ka woh usey mukallaf (burden) nahi karta. Baeed(door) nahin ke Allah tangdasti ke baad farakh dasti bhi ataa farmade.

8. Kitni hi bastiyan hain jinhon ne apne Rubb aur uske Rasoolon ke hukm se sartabi (rebel) ki to humne unse sakht muhasiba kiya aur unko buri tarhaan saza di.

9. Unhon ne apne kiya ka maza chakkh liya aur unka anjaam-e-kaar ghaata hi ghaata(utter loss) hai.

10. Allah ne (aakhirat mein ) unke liye sakht azaab muhaiyya kar rakkha hai. Pas Allah se daro aey sahib-e-aqal logon jo iman laye ho. Allah ne tumhari taraf ek naseehat naazil kardi hai.

11. Ek aisa rasool jo tumko Allah ki saaf saaf hadayat deney wali aayaat sunataa hai taa-ke iman laane walon aur neik amal karne walon ko tarikiyon (darkness) se nikaal kar roshni mein le aaye. Jo koi Allah par iman laye aur neik amal kare Allah usey aisi jannaton mein daakhil karega jinke nichey nehrein behti hongi. Yeh log inmein hamesha hamesha rahenge. Allah ne aise shakhs ke liye behtareen rizq rakkha hai.

12. Allah woh hai jisne saat aasmaan banaye aur zameen ki qisam se bhi unhi ke manind (like them). Unke darmiyan hukm naazil hota rehta hai. (yeh baat tumhein is liye batayi jaa rahi hai ) taa-ke tum jaan lo ke Allah har cheez par qudrat rakhta hai, aur yeh ke Allah ka ilm har cheez par muheet (encompassing) hai.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments