📖 Surah 64 At-Taghabun Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. يُسَبِّحُ لِلَّهِ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ ۖ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ ۖ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ

  2. هُوَ الَّذِي خَلَقَكُمْ فَمِنْكُمْ كَافِرٌ وَمِنْكُمْ مُؤْمِنٌ ۚ وَاللَّهُ بِمَا تَعْمَلُونَ بَصِيرٌ

  3. خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ بِالْحَقِّ وَصَوَّرَكُمْ فَأَحْسَنَ صُوَرَكُمْ ۖ وَإِلَيْهِ الْمَصِيرُ

  4. يَعْلَمُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَيَعْلَمُ مَا تُسِرُّونَ وَمَا تُعْلِنُونَ ۚ وَاللَّهُ عَلِيمٌ بِذَاتِ الصُّدُورِ

  5. أَلَمْ يَأْتِكُمْ نَبَأُ الَّذِينَ كَفَرُوا مِنْ قَبْلُ فَذَاقُوا وَبَالَ أَمْرِهِمْ وَلَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ

  6. ذَٰلِكَ بِأَنَّهُ كَانَتْ تَأْتِيهِمْ رُسُلُهُمْ بِالْبَيِّنَاتِ فَقَالُوا أَبَشَرٌ يَهْدُونَنَا فَكَفَرُوا وَتَوَلَّوْا ۚ وَاسْتَغْنَى اللَّهُ ۚ وَاللَّهُ غَنِيٌّ حَمِيدٌ

  7. زَعَمَ الَّذِينَ كَفَرُوا أَنْ لَنْ يُبْعَثُوا ۚ قُلْ بَلَىٰ وَرَبِّي لَتُبْعَثُنَّ ثُمَّ لَتُنَبَّؤُنَّ بِمَا عَمِلْتُمْ ۚ وَذَٰلِكَ عَلَى اللَّهِ يَسِيرٌ

  8. فَآمِنُوا بِاللَّهِ وَرَسُولِهِ وَالنُّورِ الَّذِي أَنْزَلْنَا ۚ وَاللَّهُ بِمَا تَعْمَلُونَ خَبِيرٌ

  9. يَوْمَ يَجْمَعُكُمْ لِيَوْمِ الْجَمْعِ ۖ ذَٰلِكَ يَوْمُ التَّغَابُنِ ۗ وَمَنْ يُؤْمِنْ بِاللَّهِ وَيَعْمَلْ صَالِحًا يُكَفِّرْ عَنْهُ سَيِّئَاتِهِ وَيُدْخِلْهُ جَنَّاتٍ تَجْرِي مِنْ تَحْتِهَا الْأَنْهَارُ خَالِدِينَ فِيهَا أَبَدًا ۚ ذَٰلِكَ الْفَوْزُ الْعَظِيمُ

  10. وَالَّذِينَ كَفَرُوا وَكَذَّبُوا بِآيَاتِنَا أُولَٰئِكَ أَصْحَابُ النَّارِ خَالِدِينَ فِيهَا ۖ وَبِئْسَ الْمَصِيرُ

  11. مَا أَصَابَ مِنْ مُصِيبَةٍ إِلَّا بِإِذْنِ اللَّهِ ۗ وَمَنْ يُؤْمِنْ بِاللَّهِ يَهْدِ قَلْبَهُ ۚ وَاللَّهُ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيمٌ

  12. وَأَطِيعُوا اللَّهَ وَأَطِيعُوا الرَّسُولَ ۚ فَإِنْ تَوَلَّيْتُمْ فَإِنَّمَا عَلَىٰ رَسُولِنَا الْبَلَاغُ الْمُبِينُ

  13. اللَّهُ لَا إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ ۚ وَعَلَى اللَّهِ فَلْيَتَوَكَّلِ الْمُؤْمِنُونَ

  14. يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِنَّ مِنْ أَزْوَاجِكُمْ وَأَوْلَادِكُمْ عَدُوًّا لَكُمْ فَاحْذَرُوهُمْ ۚ وَإِنْ تَعْفُوا وَتَصْفَحُوا وَتَغْفِرُوا فَإِنَّ اللَّهَ غَفُورٌ رَحِيمٌ

  15. إِنَّمَا أَمْوَالُكُمْ وَأَوْلَادُكُمْ فِتْنَةٌ ۚ وَاللَّهُ عِنْدَهُ أَجْرٌ عَظِيمٌ

  16. فَاتَّقُوا اللَّهَ مَا اسْتَطَعْتُمْ وَاسْمَعُوا وَأَطِيعُوا وَأَنْفِقُوا خَيْرًا لِأَنْفُسِكُمْ ۗ وَمَنْ يُوقَ شُحَّ نَفْسِهِ فَأُولَٰئِكَ هُمُ الْمُفْلِحُونَ

  17. إِنْ تُقْرِضُوا اللَّهَ قَرْضًا حَسَنًا يُضَاعِفْهُ لَكُمْ وَيَغْفِرْ لَكُمْ ۚ وَاللَّهُ شَكُورٌ حَلِيمٌ

  18. عَالِمُ الْغَيْبِ وَالشَّهَادَةِ الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Yusabbihu lillaahi maa fis samaawaati wa maa fil ardi lahul mulku wa lahul hamd, wa Huwa 'alaa kulli shai 'in Qadeer

  2. Huwal lazee khalaqakum faminkum kaafirunw wa min kum mu'min ; wallaahu bimaa ta'maloona Baseer

  3. Khalaqas samaawaati wal arda bilhaqqi wa sawwarakum fa ahsana suwarakum wa ilaihil maseer

  4. Ya'lamu maa fis samaawaati wal ardi wa ya'lamu maa tusirroona wa maa tu'linoon; wallaahu 'Aleemum bizaatis sudoor

  5. Alam ya'tikum naba'ul lazeena kafaroo min qablu fazaaqoo wabaala amrihim wa lahum 'azaabun aleem

  6. Zaalika bi annahoo kaanat ta'teehim Rusuluhum bilbaiyinaati faqaaloo a basharuny yahdoonanaa fakafaroo wa tawallaw; wastaghnal laah; wallaahu ghaniyyun hameed

  7. Za'amal lazeena kafarooo al-lany yub'asoo; qul balaa wa rabbee latub'asunna summa latunabba'unna bimaa 'amiltum; wa zaalika 'alal laahi yaseer

  8. Fa-aaminoo billaahi wa rasoolihee wannooril lazeee anzalnaa; wallaahu bima ta'maloona khabeer

  9. Yawma yajma'ukum li yawmil jam'i zaalika yawmut taghaabun; wa many-yumim billaahi wa ya'mal saalihany yukaffir 'anhu sayyi aatihee wa yudkhilhu jannaatin tajree min tahtihal anhaaru khaalideena feehaaa abadaa; zaalikal fawzul 'azeem

  10. Wallazeena kafaroo wa kazzaboo bi aayaaatinaaa ulaaa'ika ashaabun naari khaalideena feehaa wa bi'sal maseer

  11. Maaa asaaba mim musee batin illaa bi-iznil laah; wa many yu'mim billaahi yahdi qalbah; wallaahu bikulli shai'in Aleem

  12. Wa atee'ul laaha wa atee'ur Rasool; fa in tawallaitum fa innamaa 'alaa Rasoolinal balaaghul mubeen

  13. Allaahu laaa ilaaha illaa Hoo; wa 'alal laahi falyata wakkalil mu'minoon

  14. Yaaa ayyuhal lazeena aamanooo inna min azwaaji kum wa awlaadikum 'aduwwal lakum fahzaroohum; wa in ta'foo wa tasfahoo wa taghfiroo fa innal laaha ghafoorur Raheem

  15. Innamaa amwaalukum wa awlaadukum fitnah; wallaahu 'indahooo ajrun 'azeem

  16. Fattaqul laaha mastata'tum wasma'oo wa atee'oo wa anfiqoo khairal li anfusikum; wa many-yooqa shuh ha nafsihee fa-ulaaa'ika humul muflihoon

  17. In tuqridul laaha qardan hasanany yudaaifhu lakum wa yaghfir lakum; wallaahu Shakoorun Haleem

  18. 'Aalimul-Ghaibi wash-shahaadatil 'Azeezul Hakeem

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Allah ki tasbeeh kar rahi hai har woh cheez jo aasmano mein hai aur har woh cheez jo zameen mein hai usi ki baadshahi hai aur usi ke liye tareef hai aur woh har cheez par qaadir hai.

2. Wahi hai jisne tumko paida kiya, phir tum mein se koi kafir hai aur koi momin. Aur Allah woh sab kuch dekh raha hai jo tum karte ho.

3. Usne zameen aur aasmano ko barhaqq paida kiya hai, aur tumhari surat banayi aur badi umdah (excellent) banayi hai, aur usi ki taraf aakhir-e-kaar tumhein palatna hai.

4. Zameen aur aasmano ki har cheez ka usey ilm hai jo kuch tum chupatey ho aur jo kuch tum zaahir karte ho sab usko maloom hai. Aur woh dilon ka haal tak jaanta hai.

5. kya tumhein un logon ki koi khabar nahin pahunchi jinhon ne is se pehle kufar kiya aur phir apni shamat-e-aamaal (evil consequence) ka maza chakkh liya? Aur aage unke liye ek dardnaak azaab hai.

6. Is anjaam ke mustahiq woh is liye huey ke unke paas unke Rasool khuli khuli daleelein (clear signs) aur nishaniyan lekar aate rahe, magar unhon ne kaha" kya Insan humein hidayat denge ?" Is tarah unhon ne maanne se inkaar kardiya aur mooh phair liya. Tab Allah bhi unse be-parwa ho gaya aur Allah to hai hi be niyaz aur apni zaat mein aap Mahmood (Praiseworthy).

7. Munkireen ne badey daawey se kaha hai ke woh marne ke baad hargiz dobara na uthaye jayenge. Inse kaho" nahin, mere Rubb ki qasam tum zaroor uthaye jaaoge, phir zaroor tumhein bataya jayega ke tumne (duniya mein) kya kuch kiya hai aur aisa karna Allah ke liye bahut aasaan hai.

8. Pas iman lao Allah par, aur uske Rasool par, aur us roshni par jo humne naazil ki hai. Jo kuch tum karte ho Allah us se bakhabar hai.

9. (Iska pata tumhe us roz chal jayega ) jab ijtima (will assemble you) ke din woh tum sabko ikattha karega. Woh din hoga ek dusre ke muqable mein logon ki haar jeet ka. Jo Allah par iman laya hai aur neik amal karta hai, Allah uske gunah jhaad dega aur usey aisi jannaton mein daakhil karega jinke nichey nehrein behti hongi. Yeh log hamesha hamesha inmein rahenge. Yahi badi kamiyabi hai

10. Aur jin logon ne kufr kiya hai aur hamari aayaat ko jhutlaya hai woh dozakh ke bashindey(inmates ) honge, jismein woh hamesha rahenge. Aur woh badhtareen thikana hai.

11. Koi museebat kabhi nahi aati magar Allah ke izan(Allah’s leave) hi se aati hai. Jo shakhs Allah par iman rakhta ho Allah uske dil ko hidayat bakshta hai. Aur Allah ko har cheez ka ilm hai.

12. Allah ki itaat karo aur Rasool ki itaat karo lekin agar tum itaat se mooh moadtey ho to hamare Rasool par saaf saaf haqq pahuncha dene ke siwa koi zimmedari nahin hai.

13. Allah woh hai jiske siwa koi khuda nahi, lihaza iman laane walon ko Allah hi par bharosa rakhna chahiye.

14. Aey logon jo iman laye ho, tumhari biwiyon aur tumhari aulad mein se baaz tumhare dushman hain, inse hoshiyar raho. Aur agar tum Affu-o-darguzar (forgive and overlook) se kaam lo aur maaf kardo to Allah gafoor-o-Raheem hai.

15. Tumhare maal aur tumhari aulaad to ek aazmaish hai, aur Allah hi hai jiske paas bada ajar hai.

16. lihaza jahan tak tumhare bas mein ho Allah se darte raho, aur suno aur itaat karo, aur apne maal kharch karo, yeh tumhare hi liye behtar hai. Jo apne dil ki tanggi se mehfooz reh gaye bas wahi falaah paane wale hain.

17. Agar tum Allah ko qarz-e-hasan do to woh tumhein kayi guna (several fold) badha kar dega aur tumhare kasooron se dar guzar farmayega. Allah bada qadardaan aur burdbar(Most Forbearing) hai.

18. Haazir aur gayab har cheez ko jaanta hai, zabardast (mighty) aur daana(Most Wise) hai.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments