📖 Surah 63 Al-Munafiqoon Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- إِذَا جَاءَكَ الْمُنَافِقُونَ قَالُوا نَشْهَدُ إِنَّكَ لَرَسُولُ اللَّهِ ۗ وَاللَّهُ يَعْلَمُ إِنَّكَ لَرَسُولُهُ وَاللَّهُ يَشْهَدُ إِنَّ الْمُنَافِقِينَ لَكَاذِبُونَ
- اتَّخَذُوا أَيْمَانَهُمْ جُنَّةً فَصَدُّوا عَنْ سَبِيلِ اللَّهِ ۚ إِنَّهُمْ سَاءَ مَا كَانُوا يَعْمَلُونَ
- ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمْ آمَنُوا ثُمَّ كَفَرُوا فَطُبِعَ عَلَىٰ قُلُوبِهِمْ فَهُمْ لَا يَفْقَهُونَ
- وَإِذَا رَأَيْتَهُمْ تُعْجِبُكَ أَجْسَامُهُمْ ۖ وَإِنْ يَقُولُوا تَسْمَعْ لِقَوْلِهِمْ ۖ كَأَنَّهُمْ خُشُبٌ مُسَنَّدَةٌ ۖ يَحْسَبُونَ كُلَّ صَيْحَةٍ عَلَيْهِمْ ۚ هُمُ الْعَدُوُّ فَاحْذَرْهُمْ ۚ قَاتَلَهُمُ اللَّهُ ۖ أَنَّىٰ يُؤْفَكُونَ
- وَإِذَا قِيلَ لَهُمْ تَعَالَوْا يَسْتَغْفِرْ لَكُمْ رَسُولُ اللَّهِ لَوَّوْا رُءُوسَهُمْ وَرَأَيْتَهُمْ يَصُدُّونَ وَهُمْ مُسْتَكْبِرُونَ
- سَوَاءٌ عَلَيْهِمْ أَسْتَغْفَرْتَ لَهُمْ أَمْ لَمْ تَسْتَغْفِرْ لَهُمْ لَنْ يَغْفِرَ اللَّهُ لَهُمْ ۚ إِنَّ اللَّهَ لَا يَهْدِي الْقَوْمَ الْفَاسِقِينَ
- هُمُ الَّذِينَ يَقُولُونَ لَا تُنْفِقُوا عَلَىٰ مَنْ عِنْدَ رَسُولِ اللَّهِ حَتَّىٰ يَنْفَضُّوا ۗ وَلِلَّهِ خَزَائِنُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَلَٰكِنَّ الْمُنَافِقِينَ لَا يَفْقَهُونَ
- يَقُولُونَ لَئِنْ رَجَعْنَا إِلَى الْمَدِينَةِ لَيُخْرِجَنَّ الْأَعَزُّ مِنْهَا الْأَذَلَّ ۚ وَلِلَّهِ الْعِزَّةُ وَلِرَسُولِهِ وَلِلْمُؤْمِنِينَ وَلَٰكِنَّ الْمُنَافِقِينَ لَا يَعْلَمُونَ
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تُلْهِكُمْ أَمْوَالُكُمْ وَلَا أَوْلَادُكُمْ عَنْ ذِكْرِ اللَّهِ ۚ وَمَنْ يَفْعَلْ ذَٰلِكَ فَأُولَٰئِكَ هُمُ الْخَاسِرُونَ
- وَأَنْفِقُوا مِنْ مَا رَزَقْنَاكُمْ مِنْ قَبْلِ أَنْ يَأْتِيَ أَحَدَكُمُ الْمَوْتُ فَيَقُولَ رَبِّ لَوْلَا أَخَّرْتَنِي إِلَىٰ أَجَلٍ قَرِيبٍ فَأَصَّدَّقَ وَأَكُنْ مِنَ الصَّالِحِينَ
- وَلَنْ يُؤَخِّرَ اللَّهُ نَفْسًا إِذَا جَاءَ أَجَلُهَا ۚ وَاللَّهُ خَبِيرٌ بِمَا تَعْمَلُونَ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Izaa jaaa'akal munaafiqoona qaaloo nashhadu innaka la rasoolul laah; wallaahu ya'lamu innaka la rasooluhoo wallaahu yashhadu innal munaafiqeena lakaaziboon
- Ittakhazoo aymaanahum junnatan fasaddoo 'an sabeelil laah; innahum saaa'a maa kaanoo ya'maloon
- Zaalika bi annahum aamanoo summa kafaroo fatubi'a 'alaa quloobihim fahum laa yafqahoon
- Wa izaa ra aytahum tu'jibuka ajsaamuhum wa iny yaqooloo tasma' liqawlihim ka'annahum khushubum musannadah; yahsaboona kulla saihatin 'alaihim; humul 'aduwwu fahzarhum; qaatalahumul laahu annaa yu'fakoon
- Wa izaa qeela lahum ta'aalaw yastaghfir lakum rasoolul laahi lawwaw ru'oo sahum wa ra aytahum yasuddoona wa hum mustakbiroon
- Sawaaa'un 'alaihim as taghfarta lahum am lam tastaghfir lahum lany yaghfiral laahu lahum; innal laaha laa yahdil qawmal faasiqeen
- Humul lazeena yaqooloona laa tunfiqoo 'alaa man inda Rasoolil laahi hatta yanfaddoo; wa lillaahi khazaaa' inus samaawaati wal ardi wa laakinnal munaafiqeena la yafqahoon
- Yaqooloona la'ir raja'naaa ilal madeenati la yukhrijannal a'azzu minhal azall; wa lillaahil 'izzatu wa li Rasoolihee wa lilmu'mineena wa laakinnal munaafiqeena laa ya'lamoon
- Yaaa ayyuhal lazeena aamanoo la tulhikum amwaalukum wa laa awlaadukum 'anzikril laah; wa mai-yaf'al zaalika fa-ulaaa'ika humul khaasiroon
- Wa anfiqoo mim maa razaqnaakum min qabli any-ya'tiya ahadakumul mawtu fa yaqoola rabbi law laaa akhkhartaneee ilaaa ajalin qareebin fa assaddaqa wa akum minassaaliheen
- Wa lany yu 'akhkhiral laahu nafsan izaa jaaa'a ajaluhaa; wallaahu khabeerum bimaa ta'maloon
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Aey Nabi, jab yeh munafiq (hypocrites) tumhare paas aate hain to kehte hain “hum gawahi dete hain ke aap yaqeenan Allah ke Rasool hain, “haan, Allah jaanta hai ke tum zaroor uske Rasool ho, magar Allah gawahi deta hai ke yeh munafiq qataii jhootey hain2. Inhon ne apni qasamo ko dhaal bana rakkha hai aur is tarah yeh Allah ke raaste se khud rukte aur duniya ko roakte hain. Kaisi buri harkatein hain jo yeh log kar rahe hain.
3. Yeh sab kuch is wajah se hai ke in logon ne iman la kar phir kufr kiya is liye inke dilon par mohar laga di gayi, ab yeh kuch nahin samajhte.
4. Inhein dekho to inke jussey(jism/bodies) tumhein badey shaandaar nazar aayein bolein to tum inki batein sunte reh jao, magar asal mein yeh goya lakhdi ke kunde hain(beams of timber) jo deewar ke saath chun kar rakh diye gaye hon. Har zoar ki aawaz ko yeh apne khilaf samajhte hain. Yeh pakke dushman hain inse bachh kar raho. Allah ki maar inpar yeh kidhar ultey phiraye jaa rahe hain.
5. Aur jab inse kaha jata hai ke aao taa-ke Allah ka Rasool tumhare liye magfirat ki dua kare, To sar jhatakte hain aur tum dekhte ho ke woh bade ghamand ke saath aane se rukte hai.
6. Aey Nabi, tum chahe inke liye magfirat ki dua karo ya na karo, inke liye yaksan hai , Allah hargiz inhein maaf nahin karega. Allah faasik logon(transgressing folk) ko hargiz hidayat nahin deta.
7. Yeh wahi log hain jo kehte hain ke Rasool ke saathiyon par kharch karna bandh kardo taa-ke yeh muntashir ho jayein. Halaanke zameen aur aasmaano ke khazano ka maalik Allah hi hai, magar yeh munafik samajhte nahin hain.
8. Yeh kehte hain ke hum medina wapas pahunch jayein to jo izzat wala hai woh zaleel ko wahan se nikal bahar karega. Halaanke izzat to Allah aur uske Rasool aur momineen ke liye hai, magar yeh munafiq jaante nahin hain.
9. Aey logon jo iman laye ho , tumhare maal aur tumhari auladein tumko Allah ki yaad se gaafil na kardein. Jo log aisa karein wahi khasare (nuqsan /loss) mein rehne wale hain.
10. Jo rizq humne tumhein diya hai usmein se kharch karo qabl iske ke tum mein se kisi ki maut ka waqt aa jaaye aur us waqt woh kahey “ Aey mere Rubb, kyun na tu ne mujhe thodi si mahulat aur de di ke main sadaqa deta aur saleh logon mein shamil ho jata”
11. Halanke jab kisi ki mahulat-e-amal poori hone ka waqt aa jata hai to Allah us ko hargiz mazeed mahulat nahin deta, aur jo kuch tum karte ho, Allah us se bakhabar hai.
Comments
Post a Comment