📖 Surah 62 Al-Jumu'ah Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. يُسَبِّحُ لِلَّهِ مَا فِى ٱلسَّمَـٰوَٰتِ وَمَا فِى ٱلْأَرْضِ ٱلْمَلِكِ ٱلْقُدُّوسِ ٱلْعَزِيزِ ٱلْحَكِيمِ

  2. هُوَ الَّذِي بَعَثَ فِي الْأُمِّيِّينَ رَسُولًا مِنْهُمْ يَتْلُو عَلَيْهِمْ آيَاتِهِ وَيُزَكِّيهِمْ وَيُعَلِّمُهُمُ الْكِتَابَ وَالْحِكْمَةَ وَإِنْ كَانُوا مِنْ قَبْلُ لَفِي ضَلَالٍ مُبِينٍ

  3. وَآخَرِينَ مِنْهُمْ لَمَّا يَلْحَقُوا بِهِمْ ۚ وَهُوَ الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ

  4. ذَٰلِكَ فَضْلُ اللَّهِ يُؤْتِيهِ مَنْ يَشَاءُ ۚ وَاللَّهُ ذُو الْفَضْلِ الْعَظِيمِ

  5. مَثَلُ الَّذِينَ حُمِّلُوا التَّوْرَاةَ ثُمَّ لَمْ يَحْمِلُوهَا كَمَثَلِ الْحِمَارِ يَحْمِلُ أَسْفَارًا ۚ بِئْسَ مَثَلُ الْقَوْمِ الَّذِينَ كَذَّبُوا بِآيَاتِ اللَّهِ ۚ وَاللَّهُ لَا يَهْدِي الْقَوْمَ الظَّالِمِينَ

  6. قُلْ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ هَادُوا إِنْ زَعَمْتُمْ أَنَّكُمْ أَوْلِيَاءُ لِلَّهِ مِنْ دُونِ النَّاسِ فَتَمَنَّوُا الْمَوْتَ إِنْ كُنْتُمْ صَادِقِينَ

  7. وَلَا يَتَمَنَّوْنَهُ أَبَدًا بِمَا قَدَّمَتْ أَيْدِيهِمْ ۚ وَاللَّهُ عَلِيمٌ بِالظَّالِمِينَ

  8. قُلْ إِنَّ الْمَوْتَ الَّذِي تَفِرُّونَ مِنْهُ فَإِنَّهُ مُلَاقِيكُمْ ۖ ثُمَّ تُرَدُّونَ إِلَىٰ عَالِمِ الْغَيْبِ وَالشَّهَادَةِ فَيُنَبِّئُكُمْ بِمَا كُنْتُمْ تَعْمَلُونَ

  9. يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِذَا نُودِيَ لِلصَّلَاةِ مِنْ يَوْمِ الْجُمُعَةِ فَاسْعَوْا إِلَىٰ ذِكْرِ اللَّهِ وَذَرُوا الْبَيْعَ ۚ ذَٰلِكُمْ خَيْرٌ لَكُمْ إِنْ كُنْتُمْ تَعْلَمُونَ

  10. فَإِذَا قُضِيَتِ الصَّلَاةُ فَانْتَشِرُوا فِي الْأَرْضِ وَابْتَغُوا مِنْ فَضْلِ اللَّهِ وَاذْكُرُوا اللَّهَ كَثِيرًا لَعَلَّكُمْ تُفْلِحُونَ

  11. وَإِذَا رَأَوْا تِجَارَةً أَوْ لَهْوًا انْفَضُّوا إِلَيْهَا وَتَرَكُوكَ قَائِمًا ۚ قُلْ مَا عِنْدَ اللَّهِ خَيْرٌ مِنَ اللَّهْوِ وَمِنَ التِّجَارَةِ ۚ وَاللَّهُ خَيْرُ الرَّازِقِينَ

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Yusabbihu lilaahi maa fis samaawaati wa maa fil ardil Malikil Quddoosil 'Azeezil Hakeem

  2. Huwal lazee ba'asa fil ummiyyeena Rasoolam min hum yatloo 'alaihim aayaatihee wa yuzakkeehim wa yu'allimuhumul Kitaaba wal Hikmata wa in kaanoo min qablu lafee dalaalim mubeen

  3. Wa aakhareena minhum lammaa yalhaqoo bihim wa huwal 'azeezul hakeem

  4. Zaalika fadlul laahi yu'teehi many-yashaaa; wallaahu zul fadlil 'azeem

  5. Masalul lazeena hum milut tawraata summa lam yahmiloohaa kamasalil himaari yah milu asfaaraa; bi'sa masalul qawmil lazeena kaazzaboo bi aayaatil laah; wallaahu laa yahdil qawmazzaalimeen

  6. Qul yaaa ayyuhal lazeena haadoo in za'amtum annakum awliyaaa'u lillaahi min doonin naasi fatamannawul mawta in kuntum saadiqeen

  7. Wa laa yatamannaw nahooo abadam bimaa qaddamat aydeehim; wallaahu 'aleemum biz zaalimeen

  8. Qul innal mawtal lazee tafirroona minhu fa innahoo mulaaqeekum summa turaddoona ilaa 'Aalimil Ghaibi wash shahaadati fa yunabbi'ukum bimaa kuntum ta'maloon

  9. Yaaa ayyuhal lazeena aamanoo izaa noodiya lis-Salaati miny yawmil Jumu'ati fas'aw ilaa zikril laahi wa zarul bai'; zaalikum khayrul lakum in kuntum ta'lamoon

  10. Fa-izaa qudiyatis Salaatu fantashiroo fil ardi wabtaghoo min fadlil laahi wazkurul laaha kaseeral la'allakum tuflihoon

  11. Wa izaa ra'aw tijaaratan aw lahwanin faddooo ilaihaa wa tarakooka qaaa'imaa; qul maa 'indal laahi khairum minal lahwi wa minat tijaarah; wallaahu khayrur raaziqeen

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Allah ki tasbeeh kar rahi hai har woh cheez jo asmaano mein hai aur har woh cheez jo zameen mein hai, baadshah hai,Quddus(holy) hai,Zabardast aur Hakeem(wise) hai.

2. Wahi hai jisne ummiyon (gentiles/unlettered) ke ander ek Rasool khud unhi mein se uthaya, jo unhein uski aayaat sunata hai, unki zindagi sanwaarta hai,aur unko kitaab aur hikmat ki taleem deta hai, halaanke is se pehle woh khuli gumraahi me padey huey thay.

3. Aur(is Rasool ki baesat) un dusre logon ke liye bhi hai jo abhi unse nahi mile hain.

4. Allah Zabardast aur Hakeem hai yeh uska fazl hai jise chahta hai deta ha. Aur woh bada fazl farmane wala hai.

5. Jin logon ko Taurat ka hamil(charge) banaya gaya tha magar unhon ne uska baar na uthaya, unki misaal us gadhey (donkey) ki si hai jispar kitaabein ladni hui hon. Isse bhi zyada buri misaal hai un logon ki jinhon ne Allah ki aayaat ko jhutla diya hai. Aise zalimo ko Allah hidayat nahi diya karta.

6. Inse kaho, “aey logo jo yahudi ban gaye ho,agar tumhein yeh ghamand (arrogance) hai ke baki sab logon ko chodh kar bas tum hi Allah ke chahite (favourites) ho to maut ki tamanna karo agar tum apne is zaam(claim) me sacche ho.

7. lekin yeh hargiz iski tamanna na karenge apne kartooton ki wajah se jo yeh kar chuke hain. Aur Allah in zalimon ko khoob jaanta hai

8. Inse kaho , “jis maut se tum bhaagte ho woh to tumhe aakar rahegi. Phir tum uske saamne pesh kiye jaaoge jo poshida(hidden) aur zaahir ka janne wala hai. Aur woh tumhein bata dega ke tum kya kuch karte rahe ho.

9. Aey logon jo iman laye ho, jab pukara jaaye namaz ke liye jumaa ke din to Allah ke zikr ki taraf daudo aur khareed-o-farokht chodh do. Yeh tumhare liye zyada bethar hai agar tum jaano.

10. Phir jab namaz poori ho jaaye to zameen mein phayl jao aur Allah ka fazl talash karo aur Allah ko kasrat se yaad karte raho, shayad ke tumhein falaah (kamiyabi/prosperity) naseeb ho jaaye.

11. Aur jab unhon ne tijarat(business) aur khel tamasha hote dekha to uski taraf lapak gaye aur tumhein khada chodh diya. Inse kaho, jo kuch Allah ke paas hai woh khel tamashey aur tijarat se behtar hai aur Allah sabse behtar rizq(sustenance) dene wala hai.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments