📖 Surah 61 As-Saff Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- سَبَّحَ لِلَّهِ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ ۖ وَهُوَ الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لِمَ تَقُولُونَ مَا لَا تَفْعَلُونَ
- كَبُرَ مَقْتًا عِنْدَ اللَّهِ أَنْ تَقُولُوا مَا لَا تَفْعَلُونَ
- إِنَّ اللَّهَ يُحِبُّ الَّذِينَ يُقَاتِلُونَ فِي سَبِيلِهِ صَفًّا كَأَنَّهُمْ بُنْيَانٌ مَرْصُوصٌ
- وَإِذْ قَالَ مُوسَىٰ لِقَوْمِهِ يَا قَوْمِ لِمَ تُؤْذُونَنِي وَقَدْ تَعْلَمُونَ أَنِّي رَسُولُ اللَّهِ إِلَيْكُمْ ۖ فَلَمَّا زَاغُوا أَزَاغَ اللَّهُ قُلُوبَهُمْ ۚ وَاللَّهُ لَا يَهْدِي الْقَوْمَ الْفَاسِقِينَ
- وَإِذْ قَالَ عِيسَى ابْنُ مَرْيَمَ يَا بَنِي إِسْرَائِيلَ إِنِّي رَسُولُ اللَّهِ إِلَيْكُمْ مُصَدِّقًا لِمَا بَيْنَ يَدَيَّ مِنَ التَّوْرَاةِ وَمُبَشِّرًا بِرَسُولٍ يَأْتِي مِنْ بَعْدِي اسْمُهُ أَحْمَدُ ۖ فَلَمَّا جَاءَهُمْ بِالْبَيِّنَاتِ قَالُوا هَٰذَا سِحْرٌ مُبِينٌ
- وَمَنْ أَظْلَمُ مِمَّنِ افْتَرَىٰ عَلَى اللَّهِ الْكَذِبَ وَهُوَ يُدْعَىٰ إِلَى الْإِسْلَامِ ۚ وَاللَّهُ لَا يَهْدِي الْقَوْمَ الظَّالِمِينَ
- يُرِيدُونَ لِيُطْفِئُوا نُورَ اللَّهِ بِأَفْوَاهِهِمْ وَاللَّهُ مُتِمُّ نُورِهِ وَلَوْ كَرِهَ الْكَافِرُونَ
- هُوَ الَّذِي أَرْسَلَ رَسُولَهُ بِالْهُدَىٰ وَدِينِ الْحَقِّ لِيُظْهِرَهُ عَلَى الدِّينِ كُلِّهِ وَلَوْ كَرِهَ الْمُشْرِكُونَ
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا هَلْ أَدُلُّكُمْ عَلَىٰ تِجَارَةٍ تُنْجِيكُمْ مِنْ عَذَابٍ أَلِيمٍ
- تُؤْمِنُونَ بِاللَّهِ وَرَسُولِهِ وَتُجَاهِدُونَ فِي سَبِيلِ اللَّهِ بِأَمْوَالِكُمْ وَأَنْفُسِكُمْ ۚ ذَٰلِكُمْ خَيْرٌ لَكُمْ إِنْ كُنْتُمْ تَعْلَمُونَ
- يَغْفِرْ لَكُمْ ذُنُوبَكُمْ وَيُدْخِلْكُمْ جَنَّاتٍ تَجْرِي مِنْ تَحْتِهَا الْأَنْهَارُ وَمَسَاكِنَ طَيِّبَةً فِي جَنَّاتِ عَدْنٍ ۚ ذَٰلِكَ الْفَوْزُ الْعَظِيمُ
- وَأُخْرَىٰ تُحِبُّونَهَا ۖ نَصْرٌ مِنَ اللَّهِ وَفَتْحٌ قَرِيبٌ ۗ وَبَشِّرِ الْمُؤْمِنِينَ
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا كُونُوا أَنْصَارَ اللَّهِ كَمَا قَالَ عِيسَى ابْنُ مَرْيَمَ لِلْحَوَارِيِّينَ مَنْ أَنْصَارِي إِلَى اللَّهِ ۖ قَالَ الْحَوَارِيُّونَ نَحْنُ أَنْصَارُ اللَّهِ ۖ فَآمَنَتْ طَائِفَةٌ مِنْ بَنِي إِسْرَائِيلَ وَكَفَرَتْ طَائِفَةٌ ۖ فَأَيَّدْنَا الَّذِينَ آمَنُوا عَلَىٰ عَدُوِّهِمْ فَأَصْبَحُوا ظَاهِرِينَ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Sabbaha lillaahi maa fisamaawaati wa maa fil ardi wa huwal 'Azeezul Hakeem
- Yaa ayyuhal lazeena aamanoo lima taqooloona maa laa taf'aloon
- Kabura maqtan 'indal laahi an taqooloo maa laa taf'aloon
- Innal laaha yuhibbul lazeena yuqaatiloona fee sabeelihee saffan ka annahum bunyaanum marsoos
- Wa iz qaala Moosa liqawmihee yaa qawmi lima tu'zoonanee wa qat ta'lamoona annee Rasoolul laahi ilaikum falammaa zaaghooo azaaghal laahu quloobahum; wallaahu laa yahdil qawmal faasiqeen
- Wa iz qaala 'Eesab-nu-Maryama yaa Banee Israaa'eela innee Rasoolul laahi ilaikum musaddiqal limaa baina yadayya minat Tawraati wa mubashshiram bi Rasooliny yaatee mim ba'dis muhooo Ahmad; falammaa jaaa'ahum bil baiyinaati qaaloo haazaa sihrum mubeen
- Wa man azlamu mimma nif taraa 'alal laahil kaziba wa huwa yud'aaa ilal Islaam; wallaahu laa yahdil qawmaz zaalimeen
- Yureedoona liyutfi'oo nooral laahi bi afwaahihim wallaahu mutimmu noorihee wa law karihal kaafiroon
- Huwal lazee arsala Rasoolahoo bilhudaa wa deenil haqqi liyuzhirahoo 'alad deeni kullihee wa law karihal mushrikoon
- Yaaa ayyuhal lazeena aamanoo hal adullukum 'alaa tijaaratin tunjeekum min 'azaabin aleem
- Tu'minoona billaahi wa Rasoolihee wa tujaahidoona fee sabeelil laahi bi amwaalikum wa anfusikum; zaalikum khairul lakum in kuntum ta'lamoon
- Yaghfir lakum zunoobakum wa yudkhilkum Jannaatin tajree min tahtihal anhaaru wa masaakina taiyibatan fee Jannaati 'Adn; zaalikal fawzul 'Azeem
- Wa ukhraa tuhibboonahaa nasrum minal laahi wa fat hun qareeb; wa bashshiril mu 'mineen
- Yaaa ayyuhal lazeena aamanoo koonooo ansaaral laahi kamaa qaala 'Eesab-nu-Maryama lil Hawaariyyeena man ansaareee ilal laah; qaalal Hawaariyyoona nahnu ansaa rul laahi fa aamanat taaa'ifatum mim Banee Israaa'eela wa kafarat taaa'ifatun fa ayyadnal lazeena aamanoo 'alaa 'aduwwihim fa asbahoo zaahireen
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Allah ki tasbeeh ki hai har us cheez ne jo aasmano aur zameen mein hai, Aur woh gaalib (Mighty) aur Hakeem (wise) hai.2. Aey logon jo iman laye ho, tum kyun woh baat kehte ho jo karte nahin ho?
3. Allah ke nazdeek yeh sakht na pasandeeda harakat hai ke tum kaho woh baat jo karte nahin.
4. Allah ko to pasand woh log hain jo uski raah mein is tarah saff-basta(row) hokar ladte hain goya ke woh ek sisa pilayi hui deewar hain
5. Aur yaad karo Moosa ki woh baat jo usne apni qaum se kahi thi “Aey meri qaum ke logon, tum kyun mujhe aziyat(takleef) dete ho halaanke tum khoob jaante ho ke main tumhari taraf Allah ka bheja hua Rasool hoon? Phir jab unhon ne tedh ikhtiyar ki (deviated) to Allah ne unke dil tedhey (deviant) kardiye, Allah faasiqon ko hidayat nahin deta.
6. Aur yaad karo Isa ibn-e-Maryam ki woh baat jo usne kahi thi ke “Aey bani Israel, main tumhari taraf Allah ka bheja hua Rasool hoon, Tasdeeq (verify/confirm) karne wala hoon us Taurat ko jo mujhse pehle aayi hui maujood hai, aur basharat (glad tidings) dene wala hoon ek rasool ki jo mere baad aayega jis ka naam Ahmed hoga. Magar jab woh unke paas khuli khuli nishaniyan lekar aaya to unhon ne kaha yeh to sareeh dhoka hai.
7. Ab bhala us shaks se bada zalim aur kaun hoga jo Allah par jhutey bohtan bandhey halaanke usey Islam (Allah ke aage sar-e-itaat jhuka deney) ki dawat di jaa rahi ho? Aise zalimon ko Allah hidayat nahin diya karta.
8. Yeh log apni mooh ki phoonkon (blows) se Allah ke noor ko bujhana chahte hain, Aur Allah ka faisla yeh hai ke woh apne noor ko poora phayla kar rahega khwa kafiron ko yeh kitna hi nagawar ho.
9. Wahi to hai jisne apne Rasool ko hidayat aur deen-e-haqq ke saath bheja hai taa-ke usey pooray ke pooray deen par gaalib karde khwa mushrikeen ko yeh kitna hi nagawar ho.
10. Aey logon jo iman laye ho, main bataun tumko woh tijarat jo tumhein azaab-e-aleem se bacha de?
11. Imaan lao Allah aur uske Rasool par, Aur jihad karo Allah ki raah mein apne maalon se aur apni jaano se, yahi tumhare liye behtar hai agar tum jaano.
12. Allah tumhare gunaah maaf kardega, aur tumko aise baaghon mein daakhil karega jinke nichey nehrein behti hongi, aur abadi(eternal) qayaam ki jannaton mein behtareen ghar tumhein ata farmaeyga. Yeh hai badi kamayabi.
13. Aur woh dusri cheez jo tum chahte ho woh bhi tumhein dega, Allah ki taraf se nusrat (victory) aur kareeb hi mein haasil ho jane wali fatah. Aey Nabi ehle iman ko iski basharat de do.
14. Aey logon jo iman laye ho, Allah ke madadgaar bano , jis tarah Isa ibn-e-Maryam ne hawariyon(disciples) ko khitaab karke kaha tha “Kaun hai Allah ki taraf (bulane) mein mera madadgaar”. Aur hawariyon (disciples) ne jawab diya tha : “hum hai Allah ke madadgaar”. Us waqt bani Israel ka ek giroh iman laya aur dusre giroh ne inkaar kiya. Phir humne iman laane walon ki unke dushmano ke muqable mein taeed ki (aided) aur wahi gaalib hokar rahe.
Comments
Post a Comment