📖 Surah 60 Al-Mumtahanah Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَتَّخِذُوا عَدُوِّي وَعَدُوَّكُمْ أَوْلِيَاءَ تُلْقُونَ إِلَيْهِمْ بِالْمَوَدَّةِ وَقَدْ كَفَرُوا بِمَا جَاءَكُمْ مِنَ الْحَقِّ يُخْرِجُونَ الرَّسُولَ وَإِيَّاكُمْ ۙ أَنْ تُؤْمِنُوا بِاللَّهِ رَبِّكُمْ إِنْ كُنْتُمْ خَرَجْتُمْ جِهَادًا فِي سَبِيلِي وَابْتِغَاءَ مَرْضَاتِي ۚ تُسِرُّونَ إِلَيْهِمْ بِالْمَوَدَّةِ وَأَنَا أَعْلَمُ بِمَا أَخْفَيْتُمْ وَمَا أَعْلَنْتُمْ ۚ وَمَنْ يَفْعَلْهُ مِنْكُمْ فَقَدْ ضَلَّ سَوَاءَ السَّبِيلِ
- إِنْ يَثْقَفُوكُمْ يَكُونُوا لَكُمْ أَعْدَاءً وَيَبْسُطُوا إِلَيْكُمْ أَيْدِيَهُمْ وَأَلْسِنَتَهُمْ بِالسُّوءِ وَوَدُّوا لَوْ تَكْفُرُونَ
- لَنْ تَنْفَعَكُمْ أَرْحَامُكُمْ وَلَا أَوْلَادُكُمْ ۚ يَوْمَ الْقِيَامَةِ يَفْصِلُ بَيْنَكُمْ ۚ وَاللَّهُ بِمَا تَعْمَلُونَ بَصِيرٌ
- قَدْ كَانَتْ لَكُمْ أُسْوَةٌ حَسَنَةٌ فِي إِبْرَاهِيمَ وَالَّذِينَ مَعَهُ إِذْ قَالُوا لِقَوْمِهِمْ إِنَّا بُرَآءُ مِنْكُمْ وَمِمَّا تَعْبُدُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ كَفَرْنَا بِكُمْ وَبَدَا بَيْنَنَا وَبَيْنَكُمُ الْعَدَاوَةُ وَالْبَغْضَاءُ أَبَدًا حَتَّىٰ تُؤْمِنُوا بِاللَّهِ وَحْدَهُ إِلَّا قَوْلَ إِبْرَاهِيمَ لِأَبِيهِ لَأَسْتَغْفِرَنَّ لَكَ وَمَا أَمْلِكُ لَكَ مِنَ اللَّهِ مِنْ شَيْءٍ ۖ رَبَّنَا عَلَيْكَ تَوَكَّلْنَا وَإِلَيْكَ أَنَبْنَا وَإِلَيْكَ الْمَصِيرُ
- رَبَّنَا لَا تَجْعَلْنَا فِتْنَةً لِلَّذِينَ كَفَرُوا وَاغْفِرْ لَنَا رَبَّنَا ۖ إِنَّكَ أَنْتَ الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ
- لَقَدْ كَانَ لَكُمْ فِيهِمْ أُسْوَةٌ حَسَنَةٌ لِمَنْ كَانَ يَرْجُو اللَّهَ وَالْيَوْمَ الْآخِرَ ۚ وَمَنْ يَتَوَلَّ فَإِنَّ اللَّهَ هُوَ الْغَنِيُّ الْحَمِيدُ
- عَسَى اللَّهُ أَنْ يَجْعَلَ بَيْنَكُمْ وَبَيْنَ الَّذِينَ عَادَيْتُمْ مِنْهُمْ مَوَدَّةً ۚ وَاللَّهُ قَدِيرٌ ۚ وَاللَّهُ غَفُورٌ رَحِيمٌ
- لَا يَنْهَاكُمُ اللَّهُ عَنِ الَّذِينَ لَمْ يُقَاتِلُوكُمْ فِي الدِّينِ وَلَمْ يُخْرِجُوكُمْ مِنْ دِيَارِكُمْ أَنْ تَبَرُّوهُمْ وَتُقْسِطُوا إِلَيْهِمْ ۚ إِنَّ اللَّهَ يُحِبُّ الْمُقْسِطِينَ
- إِنَّمَا يَنْهَاكُمُ اللَّهُ عَنِ الَّذِينَ قَاتَلُوكُمْ فِي الدِّينِ وَأَخْرَجُوكُمْ مِنْ دِيَارِكُمْ وَظَاهَرُوا عَلَىٰ إِخْرَاجِكُمْ أَنْ تَوَلَّوْهُمْ ۚ وَمَنْ يَتَوَلَّهُمْ فَأُولَٰئِكَ هُمُ الظَّالِمُونَ
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِذَا جَاءَكُمُ الْمُؤْمِنَاتُ مُهَاجِرَاتٍ فَامْتَحِنُوهُنَّ ۖ اللَّهُ أَعْلَمُ بِإِيمَانِهِنَّ ۖ فَإِنْ عَلِمْتُمُوهُنَّ مُؤْمِنَاتٍ فَلَا تَرْجِعُوهُنَّ إِلَى الْكُفَّارِ ۖ لَا هُنَّ حِلٌّ لَهُمْ وَلَا هُمْ يَحِلُّونَ لَهُنَّ ۖ وَآتُوهُمْ مَا أَنْفَقُوا ۚ وَلَا جُنَاحَ عَلَيْكُمْ أَنْ تَنْكِحُوهُنَّ إِذَا آتَيْتُمُوهُنَّ أُجُورَهُنَّ ۚ وَلَا تُمْسِكُوا بِعِصَمِ الْكَوَافِرِ وَاسْأَلُوا مَا أَنْفَقْتُمْ وَلْيَسْأَلُوا مَا أَنْفَقُوا ۚ ذَٰلِكُمْ حُكْمُ اللَّهِ ۖ يَحْكُمُ بَيْنَكُمْ ۚ وَاللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٌ
- وَإِنْ فَاتَكُمْ شَيْءٌ مِنْ أَزْوَاجِكُمْ إِلَى الْكُفَّارِ فَعَاقَبْتُمْ فَآتُوا الَّذِينَ ذَهَبَتْ أَزْوَاجُهُمْ مِثْلَ مَا أَنْفَقُوا ۚ وَاتَّقُوا اللَّهَ الَّذِي أَنْتُمْ بِهِ مُؤْمِنُونَ
- يَا أَيُّهَا النَّبِيُّ إِذَا جَاءَكَ الْمُؤْمِنَاتُ يُبَايِعْنَكَ عَلَىٰ أَنْ لَا يُشْرِكْنَ بِاللَّهِ شَيْئًا وَلَا يَسْرِقْنَ وَلَا يَزْنِينَ وَلَا يَقْتُلْنَ أَوْلَادَهُنَّ وَلَا يَأْتِينَ بِبُهْتَانٍ يَفْتَرِينَهُ بَيْنَ أَيْدِيهِنَّ وَأَرْجُلِهِنَّ وَلَا يَعْصِينَكَ فِي مَعْرُوفٍ ۙ فَبَايِعْهُنَّ وَاسْتَغْفِرْ لَهُنَّ اللَّهَ ۖ إِنَّ اللَّهَ غَفُورٌ رَحِيمٌ
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَتَوَلَّوْا قَوْمًا غَضِبَ اللَّهُ عَلَيْهِمْ قَدْ يَئِسُوا مِنَ الْآخِرَةِ كَمَا يَئِسَ الْكُفَّارُ مِنْ أَصْحَابِ الْقُبُورِ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Yaa ayyuhal lazeena aamanoo laa tattakhizoo 'aduwwee wa 'aduwaakum awliyaaa'a tulqoona ilaihim bilmawaddati wa qad kafaroo bima jaaa'akum minal haqq, yukhrijoonar Rasoola wa iyyaakum an tu'minoo billaahi rabbikum in kuntum kharajtum jihaadan fee sabeelee wabtighaaa'a mardaatee; tusirroona ilaihim bilma waddati wa ana a'alamu bimaaa akhfaitum wa maaa a'lantum; wa many yaf'alhu minkum faqad dalla sawaaa'as sabeel
- Iny yasqafookum yakoonoo lakum a'daaa'anw wa yabsutooo ilaikum aydiyahum wa alsinatahum bissooo'i wa waddoo law takfuroon
- Lan tanfa'akum arhaamukum wa laaa awlaadukum; yawmal qiyaamati yafsilu bainakum; wallaahu bimaa ta'maloona baseer
- Qad kaanat lakum uswatun hasanatun feee Ibraaheema wallazeena ma'ahoo iz qaaloo liqawmihim innaa bura 'aaa'u minkum wa mimmaa ta'budoona min doonil laahi kafarnaa bikum wa badaa bainanaa wa bainakumul 'adaawatu wal baghdaaa'u abadan hattaa tu'minoo billaahi wahdahooo illaa qawla Ibraheema li abeehi la astaghfiranna laka wa maaa amliku laka minal laahi min shai; rabbanaa 'alaika tawakkalnaa wa ilaika anabnaa wa ilaikal maseer
- Rabbana laa taj'alnaa fitnatal lillazeena kafaroo waghfir lanaa rabbanaa innaka antal azeezul hakeem
- Laqad kaana lakum feehim uswatunhasanatul liman kaana yarjul laaha wal yawmal aakhir; wa many yatawalla fa innal laaha huwal ghaniyyul hameed
- Asal laahu any yaj'ala bainakum wa bainal lazeena 'aadaitum minhum mawaddah; wallahu qadeer; wallahu ghafoorur raheem
- Laa yanhaakumul laahu 'anil lazeena lam yuqaatilookum fid deeni wa lam yukhrijookum min diyaarikum an tabarroohum wa tuqsitooo ilaihim; innal laaha yuhibbul muqsiteen
- Innamaa yanhaakumul laahu 'anil lazeena qaatalookum fid deeni wa akhrajookum min diyaarikum wa zaaharoo 'alaa ikhraajikum an tawallawhum; wa many yatawallahum fa ulaaa'ika humuz zaalimoon
- Yaaa ayyuhal lazeena aamanoo izaa jaaa'akumul mu'minaatu muhaajiraatin famtahinoo hunn; Allaahu a'lamu bi eemaani hinn; fa in 'alimtumoo hunna mu'minaatin falaa tarji'oo hunna ilal kuffaar; laa hunna hillul lahum wa laa hum yahilloona lahunna wa aatoohum maa anfaqoo wa laa junaaha 'alaikum an tankihoohunna izaaa aataitumoohunna ujoorahunn; wa laa tumsikoo bi 'isamil kawaafir; was'aloo maaa anfaqtum walyas'aloo maaa anfaqoo; zaalikum hukmul laahi yahkumu bainakum; wallaahu 'aleemun hakeem
- Wa in faatakum shai'un min azwaajikum ilal kuffaari fa 'aaqabtum fa aatul lazeena zahabat azwaajuhum misla maaa anfaqoo; wattaqul laahal lazeee antum bihee mu'minoon
- Yaaa ayyuhan nabbiyyu izaa jaaa'akal mu'minaatu yubaayigh'naka 'alaaa allaa yushrikna billaahi shai 'anw wa laa yasriqna wa laa yazneena wa laa yaqtulna awlaadahunna wa laa ya'teena bibuhtaaniny yaftaree nahoo baina aydeehinna wa arjulihinna wa laa ya'seenaka fee ma'roofin fa baayigh' hunna wastaghfir lahunnal-laaha innal-laaha Ghafoorur Raheem
- Yaaa ayyuhal lazeena amanoo laa tatawallaw qawman ghadibal laahu 'alaihim qad ya'isoo minal aakhirati kamaa ya'isal kuffaaru min as haabil quboor
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Aey logon jo iman laye ho, agar tum meri raah mein jihad karne ke liye aur meri raza joee ki khatir (watan chodh kar gharon se) nikle ho to mere aur apne dushmano ko dost na banao. Tum unke saath dosti ki tarah (befriend) dalte ho, halaanke jo haqq tumhare paas aaya hai usko maanne se woh inkar kar chuke hain. Aur unki ravish yeh hai ke Rasool ko aur khud tumko sirf is kasoor par jila-watan (expel) karte hain ke tum apne Rubb, Allah par iman laye ho. Tum chupa kar unko dostana paigam bhejte ho, halaanke jo kuch tum chupa kar karte ho aur jo elania (openly) karte ho, har cheez ko main khoob jaanta hoon. Jo shaks bhi tum mein se aisa kare woh yaqeenan raah-e-raast se bhatak gaya.2. Unka rawayya to yeh hai ke agar tumpar qaabu paa jaayein to tumhare saath dushmani karein aur haath aur zuban se tumhein azaar (hurt) dein, woh to yeh chahte hain ke tum kisi tarah kafir ho jao.
3. Qayamat ke din na tumhari rishtedarian kisi kaam aayengi na tumhari aulad. Us roz Allah tumhare darmiyan judai daal dega. Aur wahi tumhare aamaal ka dekhne wala hai.
4. Tum logon ke liye Ibrahim aur uske saathiyon mein ek accha namuna hai ke unhon ne apni qaum se saaf keh diya “hum tumse aur tumhare in maboodon (deities) se jinko tum khuda ko chodh kar poojhte ho qataii bezaar hain. Humne tumse kufr kiya aur hamare aur tumhare darmiyaan hamesha ke liye adawat hogayi aur bair pad gaya (enmity and hatred) jabtak tum Allah wahid par iman na lao”.Magar Ibrahim ka apne baap se yeh kehna (issey mustasna hai) ke “ Main aapke liye magfirat ki darkhwast zaroor karunga, aur Allah se aap ke liye kuch haasil kar lena mere bas mein nahin hai”. (Aur Ibrahim va ashaab-e-Ibrahim ki dua yeh thi ke) “Aey hamare Rubb, tere hi upar humne bharosa kiya aur teri hi taraf humne ruju (turn) karliya aur tere hi huzoor humein palatna hai.
5. Aey hamare Rubb, humein kafiron ke liye fitna (trial/test) na bana de aur aey hamare Rubb, hamare kasooron se darguzar farma. Beshak tu hi zabardast (mighty) aur daana(wise) hai.
6. Inhi logon ke tarz-e-amal mein tumhare liye aur har us shaks ke liye accha namuna (example) hai jo Allah aur roz-e-aakhir ka umeedwar hon. Isse koi munharif ho (turns away) to Allah be niyaz (All-Sufficient) aur apni zaat mein aap mahmood hai.
7. Baeed nahin ke Allah kabhi tumhare aur un logon ke darmiyaan muhabbat daal de jinse aaj tumne dushmani mol li hai. Allah badi qudrat rakhta hai aur woh gafoor-o-raheem hai.
8. Allah tumhein is baat se nahin roakta ke tum un logon ke saath neki aur insaaf ka bartaao karo jinhon ne deen ke maamle mein tumse jung nahin ki hai aur tumhein tumhare gharon se nahin nikala hai. Allah insaaf karne walon ko pasand karta hai.
9. Woh tumhein jis baat se roakta hai woh to yeh hai ke tum un logon se dosti karo jinhon ne tumse deen ke maamle mein jung ki hai aur tumhein tumhare gharon se nikala hai aur tumhare ikhraaj (expulsion) mein ek dusre ki madad ki hai. Unse jo log dosti karein wahi zalim hain.
10. Aey logon jo iman laye ho, jab momin auratein hijrat karke tumhare paas aayein to (unke momin hone ki) jaanch padtaal karlo. Aur unke iman ki haqeeqat Allah hi behtar jaanta hai. Phir jab tumhein maloom ho jaaye ke woh momin hain to unhein kuffar ki taraf wapas na karo. Na woh kuffar ke liye halal hain aur na kuffar unke liye halal. Unke kafir shoharon ne jo mehar unko diye thay woh unhein pher do aur unse nikah kar lene par tumse koi gunaah nahin jabke tum unke mehar unko ada kardo. Aur tum khud bhi kafir auraton ko apne nikaah mein na roakey raho, jo mehar tumne apni kafir biwiyon ko diye thay woh tum wapas maang lo aur jo mehar kafiron ne apni musalmaan biwiyon ko diye thay unhein woh wapas maang lein. Yeh Allah ka hukm hai, woh tumhare darmiyaan faisla karta hai aur Allah Aleem-o-Hakeem (all knowing-most wise) hai.
11. Aur agar tumhari kafir biwiyon ke meharon mein se kuch tumhein kuffar se wapas na mile aur phir tumhari naubat aaye to jin logon ki biwiyan udhar reh gayi hain unko itni rakam ada kardo jo unke diye huey meharon ke barabar ho. Aur us khuda se darte raho jispar tum iman laye ho.
12. Aey nabi, Jab tumhare paas momin auratein bayt (pledge) karne ke liye aayein aur is baat ka ahad karein ke woh Allah ke saath kisi cheez ko shareek na karengi, chori na karengi, zina na karengi, apni aulad ko qatal na karengi, apne haath paaon ke aage koi bohtan (calumny) ghadh kar na layengi, Aur kisi amr-e-maaroof (anything known to be good) mein tumhari nafarmani na karengi, to unse bayt lelo aur unke haqq mein Allah se dua-e-magfirat karo. Yaqeenan Allah darguzar(maaf) farmane wala aur Reham karne wala hai.
13. Aey logon jo iman laye ho, un logon ko dost na banao jinpar Allah ne gazab farmaya hai, Jo aakhirat se usi tarah mayous hain jis tarah kabaron mein padey huey kafir mayous hain.
Comments
Post a Comment