📖 Surah 59 Al-Hashr Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- سَبَّحَ لِلَّهِ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ ۖ وَهُوَ الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ
- هُوَ الَّذِي أَخْرَجَ الَّذِينَ كَفَرُوا مِنْ أَهْلِ الْكِتَابِ مِنْ دِيَارِهِمْ لِأَوَّلِ الْحَشْرِ ۚ مَا ظَنَنْتُمْ أَنْ يَخْرُجُوا ۖ وَظَنُّوا أَنَّهُمْ مَانِعَتُهُمْ حُصُونُهُمْ مِنَ اللَّهِ فَأَتَاهُمُ اللَّهُ مِنْ حَيْثُ لَمْ يَحْتَسِبُوا ۖ وَقَذَفَ فِي قُلُوبِهِمُ الرُّعْبَ ۚ يُخْرِبُونَ بُيُوتَهُمْ بِأَيْدِيهِمْ وَأَيْدِي الْمُؤْمِنِينَ فَاعْتَبِرُوا يَا أُولِي الْأَبْصَارِ
- وَلَوْلَا أَنْ كَتَبَ اللَّهُ عَلَيْهِمُ الْجَلَاءَ لَعَذَّبَهُمْ فِي الدُّنْيَا ۖ وَلَهُمْ فِي الْآخِرَةِ عَذَابُ النَّارِ
- ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمْ شَاقُّوا اللَّهَ وَرَسُولَهُ ۖ وَمَنْ يُشَاقِّ اللَّهَ فَإِنَّ اللَّهَ شَدِيدُ الْعِقَابِ
- مَا قَطَعْتُمْ مِنْ لِينَةٍ أَوْ تَرَكْتُمُوهَا قَائِمَةً عَلَىٰ أُصُولِهَا فَبِإِذْنِ اللَّهِ وَلِيُخْزِيَ الْفَاسِقِينَ
- وَمَا أَفَاءَ اللَّهُ عَلَىٰ رَسُولِهِ مِنْهُمْ فَمَا أَوْجَفْتُمْ عَلَيْهِ مِنْ خَيْلٍ وَلَا رِكَابٍ وَلَٰكِنَّ اللَّهَ يُسَلِّطُ رُسُلَهُ عَلَىٰ مَنْ يَشَاءُ ۚ وَاللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
- مَا أَفَاءَ اللَّهُ عَلَىٰ رَسُولِهِ مِنْ أَهْلِ الْقُرَىٰ فَلِلَّهِ وَلِلرَّسُولِ وَلِذِي الْقُرْبَىٰ وَالْيَتَامَىٰ وَالْمَسَاكِينِ وَابْنِ السَّبِيلِ كَيْ لَا يَكُونَ دُولَةً بَيْنَ الْأَغْنِيَاءِ مِنْكُمْ ۚ وَمَا آتَاكُمُ الرَّسُولُ فَخُذُوهُ وَمَا نَهَاكُمْ عَنْهُ فَانْتَهُوا ۚ وَاتَّقُوا اللَّهَ ۖ إِنَّ اللَّهَ شَدِيدُ الْعِقَابِ
- لِلْفُقَرَاءِ الْمُهَاجِرِينَ الَّذِينَ أُخْرِجُوا مِنْ دِيَارِهِمْ وَأَمْوَالِهِمْ يَبْتَغُونَ فَضْلًا مِنَ اللَّهِ وَرِضْوَانًا وَيَنْصُرُونَ اللَّهَ وَرَسُولَهُ ۚ أُولَٰئِكَ هُمُ الصَّادِقُونَ
- وَالَّذِينَ تَبَوَّءُوا الدَّارَ وَالْإِيمَانَ مِنْ قَبْلِهِمْ يُحِبُّونَ مَنْ هَاجَرَ إِلَيْهِمْ وَلَا يَجِدُونَ فِي صُدُورِهِمْ حَاجَةً مِمَّا أُوتُوا وَيُؤْثِرُونَ عَلَىٰ أَنْفُسِهِمْ وَلَوْ كَانَ بِهِمْ خَصَاصَةٌ ۚ وَمَنْ يُوقَ شُحَّ نَفْسِهِ فَأُولَٰئِكَ هُمُ الْمُفْلِحُونَ
- وَالَّذِينَ جَاءُوا مِنْ بَعْدِهِمْ يَقُولُونَ رَبَّنَا اغْفِرْ لَنَا وَلِإِخْوَانِنَا الَّذِينَ سَبَقُونَا بِالْإِيمَانِ وَلَا تَجْعَلْ فِي قُلُوبِنَا غِلًّا لِلَّذِينَ آمَنُوا رَبَّنَا إِنَّكَ رَءُوفٌ رَحِيمٌ
- أَلَمْ تَرَ إِلَى الَّذِينَ نَافَقُوا يَقُولُونَ لِإِخْوَانِهِمُ الَّذِينَ كَفَرُوا مِنْ أَهْلِ الْكِتَابِ لَئِنْ أُخْرِجْتُمْ لَنَخْرُجَنَّ مَعَكُمْ وَلَا نُطِيعُ فِيكُمْ أَحَدًا أَبَدًا وَإِنْ قُوتِلْتُمْ لَنَنْصُرَنَّكُمْ وَاللَّهُ يَشْهَدُ إِنَّهُمْ لَكَاذِبُونَ
- لَئِنْ أُخْرِجُوا لَا يَخْرُجُونَ مَعَهُمْ وَلَئِنْ قُوتِلُوا لَا يَنْصُرُونَهُمْ وَلَئِنْ نَصَرُوهُمْ لَيُوَلُّنَّ الْأَدْبَارَ ثُمَّ لَا يُنْصَرُونَ
- لَأَنْتُمْ أَشَدُّ رَهْبَةً فِي صُدُورِهِمْ مِنَ اللَّهِ ۚ ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمْ قَوْمٌ لَا يَفْقَهُونَ
- لَا يُقَاتِلُونَكُمْ جَمِيعًا إِلَّا فِي قُرًى مُحَصَّنَةٍ أَوْ مِنْ وَرَاءِ جُدُرٍ ۚ بَأْسُهُمْ بَيْنَهُمْ شَدِيدٌ ۚ تَحْسَبُهُمْ جَمِيعًا وَقُلُوبُهُمْ شَتَّىٰ ۚ ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمْ قَوْمٌ لَا يَعْقِلُونَ
- كَمَثَلِ الَّذِينَ مِنْ قَبْلِهِمْ قَرِيبًا ۖ ذَاقُوا وَبَالَ أَمْرِهِمْ وَلَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ
- كَمَثَلِ الشَّيْطَانِ إِذْ قَالَ لِلْإِنْسَانِ اكْفُرْ فَلَمَّا كَفَرَ قَالَ إِنِّي بَرِيءٌ مِنْكَ إِنِّي أَخَافُ اللَّهَ رَبَّ الْعَالَمِينَ
- فَكَانَ عَاقِبَتَهُمَا أَنَّهُمَا فِي النَّارِ خَالِدَيْنِ فِيهَا ۚ وَذَٰلِكَ جَزَاءُ الظَّالِمِينَ
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اتَّقُوا اللَّهَ وَلْتَنْظُرْ نَفْسٌ مَا قَدَّمَتْ لِغَدٍ ۖ وَاتَّقُوا اللَّهَ ۚ إِنَّ اللَّهَ خَبِيرٌ بِمَا تَعْمَلُونَ
- وَلَا تَكُونُوا كَالَّذِينَ نَسُوا اللَّهَ فَأَنْسَاهُمْ أَنْفُسَهُمْ ۚ أُولَٰئِكَ هُمُ الْفَاسِقُونَ
- لَا يَسْتَوِي أَصْحَابُ النَّارِ وَأَصْحَابُ الْجَنَّةِ ۚ أَصْحَابُ الْجَنَّةِ هُمُ الْفَائِزُونَ
- لَوْ أَنْزَلْنَا هَٰذَا الْقُرْآنَ عَلَىٰ جَبَلٍ لَرَأَيْتَهُ خَاشِعًا مُتَصَدِّعًا مِنْ خَشْيَةِ اللَّهِ ۚ وَتِلْكَ الْأَمْثَالُ نَضْرِبُهَا لِلنَّاسِ لَعَلَّهُمْ يَتَفَكَّرُونَ
- هُوَ اللَّهُ الَّذِي لَا إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ ۖ عَالِمُ الْغَيْبِ وَالشَّهَادَةِ ۖ هُوَ الرَّحْمَٰنُ الرَّحِيمُ
- هُوَ اللَّهُ الَّذِي لَا إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ الْمَلِكُ الْقُدُّوسُ السَّلَامُ الْمُؤْمِنُ الْمُهَيْمِنُ الْعَزِيزُ الْجَبَّارُ الْمُتَكَبِّرُ ۚ سُبْحَانَ اللَّهِ عَمَّا يُشْرِكُونَ
- هُوَ اللَّهُ الْخَالِقُ الْبَارِئُ الْمُصَوِّرُ ۖ لَهُ الْأَسْمَاءُ الْحُسْنَىٰ ۚ يُسَبِّحُ لَهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۖ وَهُوَ الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Sabbaha lillaahi maa fissamaawaati wa maa fil ardi wa Huwal 'Azeezul Hakeem
- Huwal lazeee akharajal lazeena kafaroo min ahlil kitaabi min diyaarihim li awwalil Hashr; maa zanantum any yakhrujoo wa zannooo annahum maa ni'atuhum husoonuhum minal laahi faataahumul laahu min haisu lam yahtasiboo wa qazafa fee quloobihimur ru'ba yukhriboona bu yootahum bi aydeehim wa aydil mu'mineena fa'tabiroo yaaa ulil absaar
- Wa law laaa an katabal laahu 'alaihimul jalaaa'a la'azzabahum fid dunyaa wa lahum fil Aakhirati 'azaabun Naar
- Zaalika bi annahum shaaqqul laaha wa Rasoolahoo wa many yushaaaqqil laaha fa innal laaha shadeedul-'iqaab
- Maa qata'tum mil leenatin aw taraktumoohaa qaaa'imatan'alaaa usoolihaa fabi iznil laahi wa liyukhziyal faasiqeen
- Wa maaa afaaa'al laahu 'alaaa Rasoolihee minhum famaaa awjaftum 'alaihi min khailiinw wa laa rikaabinw wa laakinnal laaha yusallitu Rusulahoo 'alaa many yashaaa'; wallaahu 'alaa kulli shai'in Qadeer
- Maaa afaaa'al laahu 'alaa Rasoolihee min ahlil quraa falillaahi wa lir Rasooli wa lizil qurbaa wal yataamaa walmasaakeeni wabnis sabeeli kai laa yakoona doolatam bainal aghniyaaa'i minkum; wa maaa aataakumur Rasoolu fakhuzoohu wa maa nahaakum 'anhu fantahoo; wattaqul laaha innal laaha shadeedul-'iqaab
- Lilfuqaraaa'il Muhaaji reenal lazeena ukhrijoo min diyaarihim wa amwaalihim yabtaghoona fadlam minal laahi wa ridwaananw wa yansuroonal laaha wa Rasoolah; ulaaa'ika humus saadiqoon
- Wallazeena tabawwa'ud daara wal eemaana min qablihim yuhibboona man haajara ilaihim wa laa yajidoona fee sudoorihim haajatam mimmaa ootoo wa yu'siroona 'alaa anfusihim wa law kaana bihim khasaasah; wa many yooqa shuhha nafsihee fa ulaaa'ika humul muflihoon
- Wallazeena jaaa'oo min ba'dihim yaqooloona Rabbanagh fir lanaa wa li ikhwaani nal lazeena sabqoonaa bil eemaani wa laa taj'al fee quloobinaa ghillalil lazeena aamanoo rabbannaaa innaka Ra'oofur Raheem
- Alam tara ilal lazeena naafaqoo yaqooloona li ikhwaanihimul lazeena kafaroo min ahlil kitaabi la'in ukhrijtum lanakhrujanna ma'akum wa laa nutee'u feekum ahadan abadanw-wa in qootiltum lanansuran nakum wallaahu yashhadu innahum lakaaziboon
- La'in ukhrijoo laa yakhrujoona ma'ahum wa la'in qootiloo laa yansuroonahum wa la'in nasaroohum la yuwallunnal adbaara summa laa yunsaroon
- La antum ashaddu rahbatan fee sudoorihim minal laah; zaalika bi annahum qawmul laa yafqahoon
- Laa yuqaatiloonakum jamee'an illaa fee quram muhas sanatin aw minw waraaa'i judur; baasuhum bainahum shadeed; tahsabuhum jamee'anw-wa quloobuhum shatta; zaalika biannahum qawmul laa ya'qiloon
- Kamasalil lazeena min qablihim qareeban zaaqoo wabaala amrihim wa lahum 'azaabun aleem
- Kamasalish shaitaani izqaala lil insaanik fur falammaa kafara qaala innee bareee'um minka inneee akhaaful laaha rabbal 'aalameen
- Fakaana 'aaqibatahumaaa annahumaa fin naari khaalidaini feehaa; wa zaalika jazaaa'uz zaalimeen
- Yaaa ayyuhal lazeena aamanut taqul-laaha; waltanzur nafsum maa qaddamat lighadiw wattaqul laah; innal laaha khabeerum bimaa ta'maloon
- Wa laa takoonoo kallazeena nasul laaha fa ansaahum anfusahum; ulaaa'ika humul faasiqoon
- Laa yastaweee as-haabun naari wa ashaabul jannah; as haabul jannati humul faaa'izoon
- Law anzalnaa haazal quraana 'alaa jabilil lara aytahoo khaashi'am muta saddi'am min khashiyatil laah; wa tilkal amsaalu nadribuhaa linnaasi la'allahum yatafakkaroon
- Huwal-laahul-lazee laaa Ilaaha illaa Huwa 'Aalimul Ghaibi wash-shahaada; Huwar Rahmaanur-Raheem
- Huwal-laahul-lazee laaa Ilaaha illaa Huwal-Malikul Quddoosus-Salaamul Muminul Muhaiminul-'aAzeezul Jabbaarul-Mutakabbir; Subhaanal laahi 'Ammaa yushrikoon
- Huwal Laahul Khaaliqul Baari 'ul Musawwir; lahul Asmaaa'ul Husnaa; yusabbihu lahoo maa fis samaawaati wal ardi wa Huwal 'Azeezul Hakeem
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Allah hi ki tasbeeh ki hai har us cheez ne jo aasmaao aur zameen mein hai, aur wahi gaalib aur hakeem hai.2. Wahi hai jisne ehle kitaab kafiron ko pehle hi hamle mein unke gharon se nikaal bahar kiya.Tumhein hargiz yeh gumaan na tha ke woh nikal jayenge aur woh bhi yeh samjhe baitey thay ke unki gadiyan (fortresses) unhein Allah se bacha lengi.Magar Allah aise rukh se un par aaya jidhar unka khayal bhi na gaya tha. usne unke dilon mein roab (terror) daal diya, nateeja yeh hua ke woh khud apne haathon se bhi apne gharon ko barbaad kar rahe thay aur momino ke haathon bhi barbaad karwa rahe thay. Pas ibrat haasil karo aey deedha-e-beena (perceptive eyes) rakhne walon!
3. Agar Allah ne unke haqq mein jila watani (banishment) na likh di hoti to duniya hi mein woh unhein azaab de dalta. Aur aakhirat mein to unke liye dozakh ka azaab hai hi.
4. Yeh sab kuch is liye hua ke unhon ne Allah aur uske Rasool ka muqabla kiya. Aur jo bhi Allah ka muqabla kare Allah usko saza dene mein bahut sakht hai.
5. Tum logon ne khajooron (dates) ke jo darakht kaate ya jinko apne jadhon (roots) par khada rehne diya, yeh sab Allah hi ke izan se tha aur (Allah ne yeh izan is liye diya) taa-ke faasiqon ko zaleel-o-khaar kare
6. Aur jo maal Allah ne unke kabze se nikal kar apne Rasool ki taraf palta diye, woh aise maal nahin hai jinpar tumne apne ghodey (horses) aur ount (camels) daudaye hoon. Balke Allah apne Rasoolon ko jispar chahta hai tasallut (authority/galaba) ata farma deta hai. Aur Allah har cheez par qaadir hai.
7. Jo kuch bhi Allah in bastiyon ke logon se apne Rasool ki tarf palta de woh Allah , aur Rasool, aur rishtedaaron , aur yatama (orphans), aur masakeen, aur musafiron, ke liye hai taa-ke woh tumhare maaldaaron hi ke darmiyan gardish na karta rahe. Jo kuch Rasool tumhein de woh lelo aur jis cheez se woh tumko roak de us se ruk jao. Allah se daro, Allah sakht saza dene wala hai
8. (Neiz woh maal) un gareeb muhajireen ke liye hai jo apne gharon aur jaidaadon se nikaal bahar kaiye gaye hain. Yeh log Allah ka fazl aur uski khushnudi chahte hain aur Allah aur uske Rasool ki himayat par kamar-basata rehte hai. Yahi raast baaz (truthful ) log hain.
9. (Aur woh un logon ke liye bhi hai) jo in muhajireen ki aamad se pehle hi iman laa kar daar-ul-hijrat[ abode (of Hijrah)] mein muqeem thay. Yeh un logon se muhabbat karte hain jo hijrat karke inke paas aaye hain aur jo kuch bhi unko de diya jaaye uski koi hajat tak yeh apne dilon mein mehsoos nahin karte aur apni zaat par dusroon ko tarjeeh dete hain, khwa apni jagah khud mohtaj hon. Haqeeqat yeh hai ke jo log apne dil ki tangi se bacha liye gaye wahi falaah paane wale hain.
10. (Aur woh un logon ke liye bhi hai) jo in aglon ke baad aaye hain, jo kehte hain ke “Aey hamare Rubb, humein aur hamare un sab bhaiyon ko baksh de jo humse pehle iman laye hain aur hamare dilon mein ehle iman ke liye koi bugz (rancour) na rakh. Aey hamare Rubb, tu bada meharbaan aur raheem hai”.
11. Tumne dekha nahin un logon ko jinhon ne munafiqat (hypocrisy) ki rawish ikhtiyar ki hai? Yeh apne kafir ehle kitaab bhaiyon se kehte hain "agar tumhein nikala gaya to hum tumhare saath niklenge, aur tumahre maamle mein hum kisi ki baat hargiz na manenge, aur agar tumse jung ki gayi to hum tumhari madad karenge" magar Allah gawah hai ke yeh log qataii jhutey hain.
12. Agar woh nikaley gaye to yeh unke saath hargiz na niklenge, aur agar unse jung ki gayi to yeh unki hargiz madad na karenge, aur agar yeh unki madad karein bhi to peeth phair jayenge aur phir kahin se koi madad na payenge.
13. Inke dilon mein Allah se badh kar tumhara khauf hai, is liye ke yeh aise log hai jo samajh boojh nahin rakhte.
14. Yeh kabhi ikatthey hokar (khule maidan mein ) tumhara muqaabla na karenge, ladenge bhi to qilah band bastiyon (fortified townships) mein baith kar ya deewaron ke peechay chup kar. Yeh aapas ki mukhalifat mein badey sakht hain. Tum unhein ikhatta samajte ho magar inke dil ek dusre se phatey huey hain. Inka yeh haal is liye hai ke yeh be aqal log hain.
15. Yeh unhi logon ke manind hain jo inse thodi hi muddat pehle apne kiye ka maza chak chuke hain aur inke liye dardnaak azaab hai.
16. Inki misaal shaytan ki si hai ke pehle woh Insan se kehta hai kufr kar, aur jab Insan kufr kar baithta hai to woh kehta hai main tujhse bari-uz-zimma hoon, mujhe to Allah Rabb-ul-aalameen se darr lagta hai.
17. Phir dono ka anjaam yeh hona hai ke hamesha ke liye jahannum mein jayein, aur zalimon ki yahi jazaa hai.
18. Aey logon jo iman laye ho, Allah se daro, Aur har shaks yeh dekhe ke usne kal ke liye kya samaan kiya hai. Allah se darte raho, Allah yaqeenan tumhare un sab aamal se ba-khabar hai jo tum karte ho.
19. Un logon ki taraah na ho jao jo Allah ko bhool gaye to Allah ne unhein khud apna nafs bhula diya. yahi log faasiq hain.
20. Dozakh mein jaane wale aur jannat mein jaane wale kabhi yaksan nahin ho sakte. Jannat mein jaane wale hi asal mein kamiyaab hain.
21. Agar humne yeh Quran kisi pahad(mountain) par bhi utaar diya hota to tum dekhte ke woh Allah ke khauf se daba jaa raha hai, aur phata padta hai. Yeh misaalein hum logon ke saamne is liye bayaan karte hai ke woh (apne haalat par) gaur karein.
22. Woh Allah hi hai jiske siwa koi maabood nahin, gayab aur zaahir har cheez ka jaanne wala, wahi Rehman aur Raheem hai.
23. Woh Allah hi hai jiske siwa koi maabood nahin woh Badshah hai, nihayat muqaddas , sarasar salamati(all-peace), aman dene wala (Giver of security), nigehbaan, sab par gaalib, apna hukm ba-zoar naafiz karne wala, aur bada hi hokar rehne wala. Paak hai Allah us shirk se jo log kar rahe hain.
24. Woh Allah hi hai, jo takhleeq (creation) ka mansuba (plan) banane wala, aur usko naafiz karne wala, aur uske mutabik surat gari karne wala hai.Uske liye behtareen naam hain. Har cheez jo aasmano aur zameen mein hai uski tasbeeh kar rahi hai, aur woh zabardast aur Hakeem hai.
Comments
Post a Comment