📖 Surah 58 Al-Mujadilah Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. قَدْ سَمِعَ اللَّهُ قَوْلَ الَّتِي تُجَادِلُكَ فِي زَوْجِهَا وَتَشْتَكِي إِلَى اللَّهِ وَاللَّهُ يَسْمَعُ تَحَاوُرَكُمَا ۚ إِنَّ اللَّهَ سَمِيعٌ بَصِيرٌ

  2. الَّذِينَ يُظَاهِرُونَ مِنْكُمْ مِنْ نِسَائِهِمْ مَا هُنَّ أُمَّهَاتِهِمْ ۖ إِنْ أُمَّهَاتُهُمْ إِلَّا اللَّائِي وَلَدْنَهُمْ ۚ وَإِنَّهُمْ لَيَقُولُونَ مُنْكَرًا مِنَ الْقَوْلِ وَزُورًا ۚ وَإِنَّ اللَّهَ لَعَفُوٌّ غَفُورٌ

  3. وَالَّذِينَ يُظَاهِرُونَ مِنْ نِسَائِهِمْ ثُمَّ يَعُودُونَ لِمَا قَالُوا فَتَحْرِيرُ رَقَبَةٍ مِنْ قَبْلِ أَنْ يَتَمَاسَّا ۚ ذَٰلِكُمْ تُوعَظُونَ بِهِ ۚ وَاللَّهُ بِمَا تَعْمَلُونَ خَبِيرٌ

  4. فَمَنْ لَمْ يَجِدْ فَصِيَامُ شَهْرَيْنِ مُتَتَابِعَيْنِ مِنْ قَبْلِ أَنْ يَتَمَاسَّا ۖ فَمَنْ لَمْ يَسْتَطِعْ فَإِطْعَامُ سِتِّينَ مِسْكِينًا ۚ ذَٰلِكَ لِتُؤْمِنُوا بِاللَّهِ وَرَسُولِهِ ۚ وَتِلْكَ حُدُودُ اللَّهِ ۗ وَلِلْكَافِرِينَ عَذَابٌ أَلِيمٌ

  5. إِنَّ الَّذِينَ يُحَادُّونَ اللَّهَ وَرَسُولَهُ كُبِتُوا كَمَا كُبِتَ الَّذِينَ مِنْ قَبْلِهِمْ ۚ وَقَدْ أَنْزَلْنَا آيَاتٍ بَيِّنَاتٍ ۚ وَلِلْكَافِرِينَ عَذَابٌ مُهِينٌ

  6. يَوْمَ يَبْعَثُهُمُ اللَّهُ جَمِيعًا فَيُنَبِّئُهُمْ بِمَا عَمِلُوا ۚ أَحْصَاهُ اللَّهُ وَنَسُوهُ ۚ وَاللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ شَهِيدٌ

  7. أَلَمْ تَرَ أَنَّ اللَّهَ يَعْلَمُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ ۖ مَا يَكُونُ مِنْ نَجْوَىٰ ثَلَاثَةٍ إِلَّا هُوَ رَابِعُهُمْ وَلَا خَمْسَةٍ إِلَّا هُوَ سَادِسُهُمْ وَلَا أَدْنَىٰ مِنْ ذَٰلِكَ وَلَا أَكْثَرَ إِلَّا هُوَ مَعَهُمْ أَيْنَ مَا كَانُوا ۖ ثُمَّ يُنَبِّئُهُمْ بِمَا عَمِلُوا يَوْمَ الْقِيَامَةِ ۚ إِنَّ اللَّهَ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيمٌ

  8. أَلَمْ تَرَ إِلَى الَّذِينَ نُهُوا عَنِ النَّجْوَىٰ ثُمَّ يَعُودُونَ لِمَا نُهُوا عَنْهُ وَيَتَنَاجَوْنَ بِالْإِثْمِ وَالْعُدْوَانِ وَمَعْصِيَتِ الرَّسُولِ وَإِذَا جَاءُوكَ حَيَّوْكَ بِمَا لَمْ يُحَيِّكَ بِهِ اللَّهُ وَيَقُولُونَ فِي أَنْفُسِهِمْ لَوْلَا يُعَذِّبُنَا اللَّهُ بِمَا نَقُولُ ۚ حَسْبُهُمْ جَهَنَّمُ يَصْلَوْنَهَا ۖ فَبِئْسَ الْمَصِيرُ

  9. يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِذَا تَنَاجَيْتُمْ فَلَا تَتَنَاجَوْا بِالْإِثْمِ وَالْعُدْوَانِ وَمَعْصِيَتِ الرَّسُولِ وَتَنَاجَوْا بِالْبِرِّ وَالتَّقْوَىٰ ۖ وَاتَّقُوا اللَّهَ الَّذِي إِلَيْهِ تُحْشَرُونَ

  10. إِنَّمَا النَّجْوَىٰ مِنَ الشَّيْطَانِ لِيَحْزُنَ الَّذِينَ آمَنُوا وَلَيْسَ بِضَارِّهِمْ شَيْئًا إِلَّا بِإِذْنِ اللَّهِ ۚ وَعَلَى اللَّهِ فَلْيَتَوَكَّلِ الْمُؤْمِنُونَ

  11. يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِذَا قِيلَ لَكُمْ تَفَسَّحُوا فِي الْمَجَالِسِ فَافْسَحُوا يَفْسَحِ اللَّهُ لَكُمْ ۖ وَإِذَا قِيلَ انْشُزُوا فَانْشُزُوا يَرْفَعِ اللَّهُ الَّذِينَ آمَنُوا مِنْكُمْ وَالَّذِينَ أُوتُوا الْعِلْمَ دَرَجَاتٍ ۚ وَاللَّهُ بِمَا تَعْمَلُونَ خَبِيرٌ

  12. يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِذَا نَاجَيْتُمُ الرَّسُولَ فَقَدِّمُوا بَيْنَ يَدَيْ نَجْوَاكُمْ صَدَقَةً ۚ ذَٰلِكَ خَيْرٌ لَكُمْ وَأَطْهَرُ ۚ فَإِنْ لَمْ تَجِدُوا فَإِنَّ اللَّهَ غَفُورٌ رَحِيمٌ

  13. أَأَشْفَقْتُمْ أَنْ تُقَدِّمُوا بَيْنَ يَدَيْ نَجْوَاكُمْ صَدَقَاتٍ ۚ فَإِذْ لَمْ تَفْعَلُوا وَتَابَ اللَّهُ عَلَيْكُمْ فَأَقِيمُوا الصَّلَاةَ وَآتُوا الزَّكَاةَ وَأَطِيعُوا اللَّهَ وَرَسُولَهُ ۚ وَاللَّهُ خَبِيرٌ بِمَا تَعْمَلُونَ

  14. أَلَمْ تَرَ إِلَى الَّذِينَ تَوَلَّوْا قَوْمًا غَضِبَ اللَّهُ عَلَيْهِمْ مَا هُمْ مِنْكُمْ وَلَا مِنْهُمْ وَيَحْلِفُونَ عَلَى الْكَذِبِ وَهُمْ يَعْلَمُونَ

  15. أَعَدَّ اللَّهُ لَهُمْ عَذَابًا شَدِيدًا ۖ إِنَّهُمْ سَاءَ مَا كَانُوا يَعْمَلُونَ

  16. اتَّخَذُوا أَيْمَانَهُمْ جُنَّةً فَصَدُّوا عَنْ سَبِيلِ اللَّهِ فَلَهُمْ عَذَابٌ مُهِينٌ

  17. لَنْ تُغْنِيَ عَنْهُمْ أَمْوَالُهُمْ وَلَا أَوْلَادُهُمْ مِنَ اللَّهِ شَيْئًا ۚ أُولَٰئِكَ أَصْحَابُ النَّارِ ۖ هُمْ فِيهَا خَالِدُونَ

  18. يَوْمَ يَبْعَثُهُمُ اللَّهُ جَمِيعًا فَيَحْلِفُونَ لَهُ كَمَا يَحْلِفُونَ لَكُمْ ۖ وَيَحْسَبُونَ أَنَّهُمْ عَلَىٰ شَيْءٍ ۚ أَلَا إِنَّهُمْ هُمُ الْكَاذِبُونَ

  19. اسْتَحْوَذَ عَلَيْهِمُ الشَّيْطَانُ فَأَنْسَاهُمْ ذِكْرَ اللَّهِ ۚ أُولَٰئِكَ حِزْبُ الشَّيْطَانِ ۚ أَلَا إِنَّ حِزْبَ الشَّيْطَانِ هُمُ الْخَاسِرُونَ

  20. إِنَّ الَّذِينَ يُحَادُّونَ اللَّهَ وَرَسُولَهُ أُولَٰئِكَ فِي الْأَذَلِّينَ

  21. كَتَبَ اللَّهُ لَأَغْلِبَنَّ أَنَا وَرُسُلِي ۚ إِنَّ اللَّهَ قَوِيٌّ عَزِيزٌ

  22. لَا تَجِدُ قَوْمًا يُؤْمِنُونَ بِاللَّهِ وَالْيَوْمِ الْآخِرِ يُوَادُّونَ مَنْ حَادَّ اللَّهَ وَرَسُولَهُ وَلَوْ كَانُوا آبَاءَهُمْ أَوْ أَبْنَاءَهُمْ أَوْ إِخْوَانَهُمْ أَوْ عَشِيرَتَهُمْ ۚ أُولَٰئِكَ كَتَبَ فِي قُلُوبِهِمُ الْإِيمَانَ وَأَيَّدَهُمْ بِرُوحٍ مِنْهُ ۖ وَيُدْخِلُهُمْ جَنَّاتٍ تَجْرِي مِنْ تَحْتِهَا الْأَنْهَارُ خَالِدِينَ فِيهَا ۚ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمْ وَرَضُوا عَنْهُ ۚ أُولَٰئِكَ حِزْبُ اللَّهِ ۚ أَلَا إِنَّ حِزْبَ اللَّهِ هُمُ الْمُفْلِحُونَ

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Qad sami'al laahu qawlal latee tujaadiluka fee zawjihaa wa tashtakeee ilal laahi wallaahu yasma'u tahaawurakumaa; innal laaha samee'um baseer

  2. Allazeena yuzaahiroona minkum min nisaaa'ihim maa hunnaa ummahaatihim in ummahaatuhum illal laaa'ee waladnahum; wa innaahum la yaqooloona munkaram minal qawli wa zooraa; wa innal laaha la'afuwwun ghafoor

  3. Wallazeena yuzaahiroona min nisaaa'ihim summa ya'oodoona limaa qaaloo fatahreeru raqabatim min qabli any-yatamaaassaa; zaalikum too'azoona bih; wallaahu bimaa ta'maloona khabeer

  4. Famal lam yajid fa siyaamu shahraini mutataabi'ayni min qabli any-yatamaaassaa famal lam yastati' fa-it'aamu sitteena miskeena; zaalika litu'minoo billaahi wa rasoolih'wa tilka hudoodul laah; wa lilkaafireena 'azaabun aleem

  5. Innal lazeena yuhaaaddoonal laaha wa Rasoolahoo kubitoo kamaa kubital lazeena min qablihim; wa qad anzalnaaa aayaatim baiyinaat; wa lilkaa fireena 'azaabum muheen

  6. Yawma yab'asuhumul laahu jamee'an fayunabbi'uhum bimaa 'amiloo; ahsaahul laahu wa nasooh; wallaahu 'alaa kulli shai'in shaheed

  7. Alam tara annal laaha ya'lamu maa fis samaawaati wa maa fil ardi maa yakoonu min najwaa salaasatin illaa Huwa raabi'uhum wa laa khamsatin illaa huwa saadisuhum wa laaa adnaa min zaalika wa laaa aksara illaa huwa ma'ahum ayna, maa kaanoo summa yunabbi'uhum bimaa 'amiloo yawmal qiyaamah; innal laaha bikulli shai'in aleem

  8. Alam tara ilal lazeena nuhoo 'anin najwaa summa ya'oodoona limaa nuhoo 'anhu wa yatanaajawna bil ismi wal'udwaani wa ma'siyatir rasooli wa izaa jaaa'ooka haiyawka bimaa lam yuhai yika bihil laahu wa yaqooloona fee anfusihim law laa yu'azzibunal laahu bimaa naqool; hasbuhum jahannnamu yaslawnahaa fabi'sal maseer

  9. Yaaa ayyuhal lazeena aamanoo izaa tanaajaytum falaa tatanaajaw bil ismi wal 'udwaani wa ma'siyatir rasooli wa tanaajaw bil birri wattaqwaa wattaqul laahal lazeee ilaihi tuhsharoon

  10. Innaman najwaa minash shaitaani liyahzunal lazeena aamanoo wa laisa bidaaarrihim shai'an illaa bi-iznil laah; wa 'alal laahi falyatawakkalil mu'minoon

  11. Yaaa ayyuhal lazeena aamanoo izaa qeela lakum tafassahoo fil majaalisi fafsahoo yafsahil laahu lakum wa izaa qeelan shuzoo fanshuzoo yarfa'il laahul lazeena aamanoo minkum wallazeena ootul 'ilma darajaat; wallaahu bimaa ta'maloona khabeer

  12. Yaaa ayyuhal lazeena aamanooo izaa naajitumur Rasoola faqaddimoo baina yadai najwaakum sadaqah; zaalika khairul lakum wa athar; fa il lam tajidoo fa innal laaha ghafoorur Raheem

  13. 'A-ashfaqtum an tuqaddimoo baina yadai najwaakum sadaqaat; fa-iz lam taf'aloo wa taabal laahu 'alaikum fa aqeemus Salaata wa aatuz Zakaata wa atee'ul laaha wa rasoolah; wallaahu khabeerum bimaa ta'maloon

  14. Alam tara ilal lazeena tawallaw qawman ghadibal laahu 'alaihim maa hum minkum wa laa minhum wa yahlifoona 'alal kazibi wa hum ya'lamoon

  15. A'addal laahu lahum 'azaaban shadeedan innahum saaa'a maa kaanoo ya'maloon

  16. Ittakhazooo aymaanahum junnatan fasaddoo 'an sabeelil laahi falahum 'azaabum muheen

  17. Lan tughniya 'anhum amwaaluhum wa laaa awladuhum minal laahi shai'aa; ulaaa 'ika As haabun Naari hum feehaa khaalidoon

  18. Yawma yab'asuhumul laahujamee'an fa yahlifoona lahoo kamaa yahlifoona lakum wa yahsaboona annahum 'alaa shai'; alaaa innahum humul kaaziboon

  19. Istahwaza 'alaihimush shaitaanu fa ansaahum zikral laah; ulaaa'ika hizbush shaitaaan; alaaa innaa hizbash shaitaani humul khaasiroon

  20. Innal lazeena yuhaaaddoonal laaha wa Rasoolahooo ulaaa'ika fil azalleen

  21. Katabal laahu la aghlibanna ana wa Rusulee; innal laaha qawiyyun 'Azeez

  22. Laa tajidu qawmany yu'minoona billaahi wal yawmil aakhiri yuwaaaddoona man haaaddal laaha wa Rasoolahoo wa law kaanooo aabaaa'ahum aw abnaaa'ahum aw ikhwaa nahum aw 'asheeratahum; ulaaa'ika kataba fee quloobihi mul eemaana wa ayyadahum biroohimminhu wa yudkhilu hum jannatin tajree min tahtihal anhaaru khaalideena feehaa; radiyal laahu 'anhum wa radoo 'anhu; ulaaa 'ika hizbul laah; alaaa inna hizbal laahi humul muflihoon

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Allah ne sun li us aurat ki baat jo apne shohar kay maamle mein tumse takrar kar rahi hai aur Allah se faryaad kiye jaati hai. Allah tum dono ki guftagu sun raha hai. Woh sab kuch sunney aur dekhne wala hai.

2. Tum mein se jo log apni biwiyon se zihar (divorce their wives by declaring them to be their mothers) karte hai unki biwiyan unki maayein (mothers) nahin hain. Unki maayein to wahi hai jinhon ne unko jana hai. Yeh log ek sakht na pasandeeda aur jhooti baat kehte hain. Aur haqeeqat yeh hai ke Allah bada maaf karne wala aur darguzar farmane wala hai.

3. Jo log apni biwiyon se zihar karein phir apni us baat se ruju (to go back) karein jo unhon ne kahi thi, to qabl iske ke dono ek dursre ko haath lagayein ,ek ghulaam azad karna hoga. Isse tumko naseehat ki jaati hai, Aur jo kuch tum karte ho Allah us se bakhabar hai.

4. Aur jo shaks ghulaam na paye woh do mahine ke pai dar pai (consecutively) rozey rakkhe qabl iske ke dono ek dusre ko haath lagayein aur jo is par bhi qaadir na ho woh 60 miskeeno ko khana khilaye. Yeh hukm is liye diya jaa raha hai ke tum Allah aur uske Rasool par iman lao. Yeh Allah ki mukarrar ki hui hadein(bounds) hain, aur kafiron ke liye dardnaak saza hai.

5. Jo log Allah ki aur uske Rasool ki mukhalifat karte hain woh usi tarah zaleel-o-khwar kardiye jayenge jis tarah unse pehle ke log zaleel-o-khwar kiye jaa chuke hain. Humne saaf saaf aayaat naazil kardi hain , aur kafiron ke liye zillat ka azaab hai.

6. Us din (yeh zillat ka azaab hona hai) jab Allah in sabko phir se zinda karke uthayega aur inhein bata dega ke woh kya kuch karke aaye hain. Woh bhool gaye hain magar Allah ne in sabka kiya dhara gin gin kar mehfooz kar rakkha hai. Aur Allah ek ek cheez par shahid (witness) hai.

7. Kya tumko khabar nahin hai ke zameen aur aasmaano ki har cheez ka Allah ko ilm hai? Kabhi aisa nahin hota ke teen aadmiyon mein koi sargoshi(whispering) ho aur unke darmiyan chautha (fourth) Allah na ho, ya paanch aadmiyon mein sargoshi ho aur unke andar chatta (sixth) Allah na ho, khufiya baat karne wala khwa is se kam ho ya zyada jahan kahin bhi woh ho, Allah unke saath hota hai. Phir qayamat ke roz woh unko bata dega ke unhon ne kya kuch kiya hai. Allah har cheez ka ilm rakhta hai.

8. Kya tumne dekha nahin un logon ko jinhein sargoshiyan karne se mana kardiya gaya tha phir bhi woh wahi harakat kiye jaate hain jis se unhein mana kiya gaya tha? Yeh log chup chup kar aapas mein gunaah aur zyadati aur Rasool ki nafarmani ki baatein karte hain. Aur jab tumhare paas aatey hain to tumhein us tarikey se salaam karte hain jis taraah Allah ne tumpar salaam nahin kiya hai, aur apne dilon mein kehte hain ke “hamari in baaton par Allah humein azaab kyun nahin deta”. Unke liye jahannum hi kafi hai, usi ka woh indhan (fuel) banenge, bada hi bura anjaam hai unka.

9. Aye logon jo iman laye ho jab tum apas mein posheeda baat karo to gunaah aur zyadati aur Rasool ki nafarmani ki baatein nahin, balkey neki aur taqwa ki baatein karo aur us khuda se darte raho jiske huzoor tumhein hashr mein pesh hona hai.

10. Kana-phusi (Whispering) to ek shaytani kaam hai, aur woh is liye ki jaati hai ke iman laane wale log us se ranjeedha hon, halanke yeh izan-e-khuda woh unhein kuch bhi nuksaan nahin pahuncha sakti, aur momino ko Allah hi par bharosa rakhna chahiye.

11. Aey logon jo iman laye ho, jab tumse kaha jaaye ke apni majlison mein kushadgi paida karo (Make room) to jagah kushada kardiya karo, Allah tumhein kushadgi bakhshega. Aur jab tumse kaha jaaye ke uth jao to uth jaya karo tum mein se jo log iman rakhne wale hain aur jinko ilm bakhsha gaya hai, Allah unko buland darje ata farmayega. Aur jo kuch tum karte ho Allah ko uski khabar hai.

12. Aey logon jo iman laye ho, jab tum Rasool se takhliye (privacy) mein baat karo to baat karne se pehle kuch sadaqa do. Yeh tumhare liye behtar aur pakeeza tarr hai. Albatta agar tum sadaqa dene ke liye kuch na paao to Allah Gafoor-o-Raheem hai.

13. Kya tum darr gaye is baat se ke takhliye (privacy) mein guftagu karne se pehle tumhein sadaqaat dene honge? Accha, agar tum aisa na karo aur Allah ne tumko is se maaf kardiya to namaz qayam karte raho, zakat dete raho aur Allah aur uske Rasool ki itaat karte raho. Tum jo kuch karte ho Allah us se bakhabar hai.

14. Kya tumne dekha nahin un logon ko jinhon ne dost banaya hai ek aise giroh(people) ko jo Allah ka magzoob (gazabnaak/ Wrath) hai? Woh na tumhare hain na unke, aur woh jaan boojh kar jhooti baat par kasmein khate hain.

15. Allah Ne unke liye sakht azaab muhayya kar rakkha hai. Badey hi bure kartoot hain jo woh kar rahe hain.

16. Unhon ne apni qasamo ko dhaal bana rakkha hai jiski aadh(shield) mein woh Allah ki raah se logon ko roakte hain. Ispar unke liye zillat ka azaab hai.

17. Allah se bachane ke liye na unke maal kuch kaam aayege na unki aulad .Woh dozakh ke yaar hain, usi mein woh hamesha rahenge.

18. Jis roz Allah un sab ko uthayega, woh uske saamne bhi usi taraah kasmein kahyenge jis tarah tumhare saamne khate hain, aur apne nazdeek yeh samajhenge ke is se unka kuch kaam ban jayega. Khoob jaan lo woh parle daraje ke jhootey hain.

19. Shaytaan unpar musallat ho chuka hai aur usne khuda ki yaad unke dil se bhula di hai.Woh shaytan ki party ke log hain. Khabardaar ho, shaytan ki party wale hi khasare mein rehne wale hai.

20. Yaqeenan zaleel tareen makhlooqat mein se hain woh log jo Allah aur uske Rasool ka muqabla karte hain.

21. Allah ne likh diya hai ke main aur mere Rasool gaalib hokar rahenge. Fil waqey Allah zabardast aur zorawar (most strong) hai.

22. Tum kabhi yeh na paoge ke jo log Allah aur aakhirat par iman rakhne wale hain woh un logon se muhabbat karte hon jinhon ne Allah aur uske rasool ki mukhalifat ki hai , khwa woh unke baap hoon, ya unke betay, ya unke bhai ya unke ehle khandaan. Yeh woh log hain jinke dilon mein Allah ne iman sabt (inscribe/written) kardiya hai aur apni taraf se ek rooh ata karke unko quwwat bakshi hai, Woh unko aise jannaton mein daakhil karega jinke nichey nehrein behti hongi. Unmein woh hamesha rahenge. Allah unse razi(pleased) hua aur woh Allah se raazi huey. Woh Allah ki party ke log hain. Khabardar raho, Allah ki party wale hi falaah paane wale hai.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments