📖 Surah 57 Al-Hadid Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- سَبَّحَ لِلَّهِ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۖ وَهُوَ الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ
- لَهُ مُلْكُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۖ يُحْيِي وَيُمِيتُ ۖ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
- هُوَ الْأَوَّلُ وَالْآخِرُ وَالظَّاهِرُ وَالْبَاطِنُ ۖ وَهُوَ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيمٌ
- هُوَ الَّذِي خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ فِي سِتَّةِ أَيَّامٍ ثُمَّ اسْتَوَىٰ عَلَى الْعَرْشِ ۚ يَعْلَمُ مَا يَلِجُ فِي الْأَرْضِ وَمَا يَخْرُجُ مِنْهَا وَمَا يَنْزِلُ مِنَ السَّمَاءِ وَمَا يَعْرُجُ فِيهَا ۖ وَهُوَ مَعَكُمْ أَيْنَ مَا كُنْتُمْ ۚ وَاللَّهُ بِمَا تَعْمَلُونَ بَصِيرٌ
- لَهُ مُلْكُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۚ وَإِلَى اللَّهِ تُرْجَعُ الْأُمُورُ
- يُولِجُ اللَّيْلَ فِي النَّهَارِ وَيُولِجُ النَّهَارَ فِي اللَّيْلِ ۚ وَهُوَ عَلِيمٌ بِذَاتِ الصُّدُورِ
- آمِنُوا بِاللَّهِ وَرَسُولِهِ وَأَنْفِقُوا مِمَّا جَعَلَكُمْ مُسْتَخْلَفِينَ فِيهِ ۖ فَالَّذِينَ آمَنُوا مِنْكُمْ وَأَنْفَقُوا لَهُمْ أَجْرٌ كَبِيرٌ
- وَمَا لَكُمْ لَا تُؤْمِنُونَ بِاللَّهِ ۙ وَالرَّسُولُ يَدْعُوكُمْ لِتُؤْمِنُوا بِرَبِّكُمْ وَقَدْ أَخَذَ مِيثَاقَكُمْ إِنْ كُنْتُمْ مُؤْمِنِينَ
- هُوَ الَّذِي يُنَزِّلُ عَلَىٰ عَبْدِهِ آيَاتٍ بَيِّنَاتٍ لِيُخْرِجَكُمْ مِنَ الظُّلُمَاتِ إِلَى النُّورِ ۚ وَإِنَّ اللَّهَ بِكُمْ لَرَءُوفٌ رَحِيمٌ
- وَمَا لَكُمْ أَلَّا تُنْفِقُوا فِي سَبِيلِ اللَّهِ وَلِلَّهِ مِيرَاثُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۚ لَا يَسْتَوِي مِنْكُمْ مَنْ أَنْفَقَ مِنْ قَبْلِ الْفَتْحِ وَقَاتَلَ ۚ أُولَٰئِكَ أَعْظَمُ دَرَجَةً مِنَ الَّذِينَ أَنْفَقُوا مِنْ بَعْدُ وَقَاتَلُوا ۚ وَكُلًّا وَعَدَ اللَّهُ الْحُسْنَىٰ ۚ وَاللَّهُ بِمَا تَعْمَلُونَ خَبِيرٌ
- مَنْ ذَا الَّذِي يُقْرِضُ اللَّهَ قَرْضًا حَسَنًا فَيُضَاعِفَهُ لَهُ وَلَهُ أَجْرٌ كَرِيمٌ
- يَوْمَ تَرَى الْمُؤْمِنِينَ وَالْمُؤْمِنَاتِ يَسْعَىٰ نُورُهُمْ بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَبِأَيْمَانِهِمْ بُشْرَاكُمُ الْيَوْمَ جَنَّاتٌ تَجْرِي مِنْ تَحْتِهَا الْأَنْهَارُ خَالِدِينَ فِيهَا ۚ ذَٰلِكَ هُوَ الْفَوْزُ الْعَظِيمُ
- يَوْمَ يَقُولُ الْمُنَافِقُونَ وَالْمُنَافِقَاتُ لِلَّذِينَ آمَنُوا انْظُرُونَا نَقْتَبِسْ مِنْ نُورِكُمْ قِيلَ ارْجِعُوا وَرَاءَكُمْ فَالْتَمِسُوا نُورًا فَضُرِبَ بَيْنَهُمْ بِسُورٍ لَهُ بَابٌ بَاطِنُهُ فِيهِ الرَّحْمَةُ وَظَاهِرُهُ مِنْ قِبَلِهِ الْعَذَابُ
- يُنَادُونَهُمْ أَلَمْ نَكُنْ مَعَكُمْ ۖ قَالُوا بَلَىٰ وَلَٰكِنَّكُمْ فَتَنْتُمْ أَنْفُسَكُمْ وَتَرَبَّصْتُمْ وَارْتَبْتُمْ وَغَرَّتْكُمُ الْأَمَانِيُّ حَتَّىٰ جَاءَ أَمْرُ اللَّهِ وَغَرَّكُمْ بِاللَّهِ الْغَرُورُ
- فَالْيَوْمَ لَا يُؤْخَذُ مِنْكُمْ فِدْيَةٌ وَلَا مِنَ الَّذِينَ كَفَرُوا ۚ مَأْوَاكُمُ النَّارُ ۖ هِيَ مَوْلَاكُمْ ۖ وَبِئْسَ الْمَصِيرُ
- أَلَمْ يَأْنِ لِلَّذِينَ آمَنُوا أَنْ تَخْشَعَ قُلُوبُهُمْ لِذِكْرِ اللَّهِ وَمَا نَزَلَ مِنَ الْحَقِّ وَلَا يَكُونُوا كَالَّذِينَ أُوتُوا الْكِتَابَ مِنْ قَبْلُ فَطَالَ عَلَيْهِمُ الْأَمَدُ فَقَسَتْ قُلُوبُهُمْ ۖ وَكَثِيرٌ مِنْهُمْ فَاسِقُونَ
- اعْلَمُوا أَنَّ اللَّهَ يُحْيِي الْأَرْضَ بَعْدَ مَوْتِهَا ۚ قَدْ بَيَّنَّا لَكُمُ الْآيَاتِ لَعَلَّكُمْ تَعْقِلُونَ
- إِنَّ الْمُصَّدِّقِينَ وَالْمُصَّدِّقَاتِ وَأَقْرَضُوا اللَّهَ قَرْضًا حَسَنًا يُضَاعَفُ لَهُمْ وَلَهُمْ أَجْرٌ كَرِيمٌ
- وَالَّذِينَ آمَنُوا بِاللَّهِ وَرُسُلِهِ أُولَٰئِكَ هُمُ الصِّدِّيقُونَ ۖ وَالشُّهَدَاءُ عِنْدَ رَبِّهِمْ لَهُمْ أَجْرُهُمْ وَنُورُهُمْ ۖ وَالَّذِينَ كَفَرُوا وَكَذَّبُوا بِآيَاتِنَا أُولَٰئِكَ أَصْحَابُ الْجَحِيمِ
- اعْلَمُوا أَنَّمَا الْحَيَاةُ الدُّنْيَا لَعِبٌ وَلَهْوٌ وَزِينَةٌ وَتَفَاخُرٌ بَيْنَكُمْ وَتَكَاثُرٌ فِي الْأَمْوَالِ وَالْأَوْلَادِ ۖ كَمَثَلِ غَيْثٍ أَعْجَبَ الْكُفَّارَ نَبَاتُهُ ثُمَّ يَهِيجُ فَتَرَاهُ مُصْفَرًّا ثُمَّ يَكُونُ حُطَامًا ۖ وَفِي الْآخِرَةِ عَذَابٌ شَدِيدٌ وَمَغْفِرَةٌ مِنَ اللَّهِ وَرِضْوَانٌ ۚ وَمَا الْحَيَاةُ الدُّنْيَا إِلَّا مَتَاعُ الْغُرُورِ
- سَابِقُوا إِلَىٰ مَغْفِرَةٍ مِنْ رَبِّكُمْ وَجَنَّةٍ عَرْضُهَا كَعَرْضِ السَّمَاءِ وَالْأَرْضِ أُعِدَّتْ لِلَّذِينَ آمَنُوا بِاللَّهِ وَرُسُلِهِ ۚ ذَٰلِكَ فَضْلُ اللَّهِ يُؤْتِيهِ مَنْ يَشَاءُ ۚ وَاللَّهُ ذُو الْفَضْلِ الْعَظِيمِ
- مَا أَصَابَ مِنْ مُصِيبَةٍ فِي الْأَرْضِ وَلَا فِي أَنْفُسِكُمْ إِلَّا فِي كِتَابٍ مِنْ قَبْلِ أَنْ نَبْرَأَهَا ۚ إِنَّ ذَٰلِكَ عَلَى اللَّهِ يَسِيرٌ
- لِكَيْلَا تَأْسَوْا عَلَىٰ مَا فَاتَكُمْ وَلَا تَفْرَحُوا بِمَا آتَاكُمْ ۗ وَاللَّهُ لَا يُحِبُّ كُلَّ مُخْتَالٍ فَخُورٍ
- الَّذِينَ يَبْخَلُونَ وَيَأْمُرُونَ النَّاسَ بِالْبُخْلِ ۗ وَمَنْ يَتَوَلَّ فَإِنَّ اللَّهَ هُوَ الْغَنِيُّ الْحَمِيدُ
- لَقَدْ أَرْسَلْنَا رُسُلَنَا بِالْبَيِّنَاتِ وَأَنْزَلْنَا مَعَهُمُ الْكِتَابَ وَالْمِيزَانَ لِيَقُومَ النَّاسُ بِالْقِسْطِ ۖ وَأَنْزَلْنَا الْحَدِيدَ فِيهِ بَأْسٌ شَدِيدٌ وَمَنَافِعُ لِلنَّاسِ وَلِيَعْلَمَ اللَّهُ مَنْ يَنْصُرُهُ وَرُسُلَهُ بِالْغَيْبِ ۚ إِنَّ اللَّهَ قَوِيٌّ عَزِيزٌ
- وَلَقَدْ أَرْسَلْنَا نُوحًا وَإِبْرَاهِيمَ وَجَعَلْنَا فِي ذُرِّيَّتِهِمَا النُّبُوَّةَ وَالْكِتَابَ ۖ فَمِنْهُمْ مُهْتَدٍ ۖ وَكَثِيرٌ مِنْهُمْ فَاسِقُونَ
- ثُمَّ قَفَّيْنَا عَلَىٰ آثَارِهِمْ بِرُسُلِنَا وَقَفَّيْنَا بِعِيسَى ابْنِ مَرْيَمَ وَآتَيْنَاهُ الْإِنْجِيلَ وَجَعَلْنَا فِي قُلُوبِ الَّذِينَ اتَّبَعُوهُ رَأْفَةً وَرَحْمَةً وَرَهْبَانِيَّةً ابْتَدَعُوهَا مَا كَتَبْنَاهَا عَلَيْهِمْ إِلَّا ابْتِغَاءَ رِضْوَانِ اللَّهِ فَمَا رَعَوْهَا حَقَّ رِعَايَتِهَا ۖ فَآتَيْنَا الَّذِينَ آمَنُوا مِنْهُمْ أَجْرَهُمْ ۖ وَكَثِيرٌ مِنْهُمْ فَاسِقُونَ
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اتَّقُوا اللَّهَ وَآمِنُوا بِرَسُولِهِ يُؤْتِكُمْ كِفْلَيْنِ مِنْ رَحْمَتِهِ وَيَجْعَلْ لَكُمْ نُورًا تَمْشُونَ بِهِ وَيَغْفِرْ لَكُمْ ۚ وَاللَّهُ غَفُورٌ رَحِيمٌ
- لِئَلَّا يَعْلَمَ أَهْلُ الْكِتَابِ أَلَّا يَقْدِرُونَ عَلَىٰ شَيْءٍ مِنْ فَضْلِ اللَّهِ ۙ وَأَنَّ الْفَضْلَ بِيَدِ اللَّهِ يُؤْتِيهِ مَنْ يَشَاءُ ۚ وَاللَّهُ ذُو الْفَضْلِ الْعَظِيمِ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Sabbaha lillaahi maa fissamaawaati wal ard; wa Huwal 'Azeezul Hakeem
- Lahoo mulkus samaawaati wal ard; yuhyee wa yumeet; wa Huwa 'alaa kulli shai'in Qadeer
- Huwal Awwalu wal'Aakhiru waz Zaahiru wal Baatinu wa huwa bikulli shai'in Aleem
- Huwal lazee khalaqas samaawaati wal arda fee sittati ayyaamin summas tawaa 'alal 'Arsh; ya'lamu maa yaliju filardi wa maa yakhruju minhaa wa maa yanzilu minas samaaa'i wa maa ya'ruju feeha wa Huwa ma'akum ayna maa kuntum; wallaahu bimaa ta'maloona Baseer
- Lahoo mulkus samaawaati wal ard; wa ilal laahi turja'ul umoor
- Yoolijul laila fin nahaari wa yoolijun nahaara fil lail; wa Huwa 'Aleemum bizaatis sudoor
- Aaaminoo billaahi wa Rasoolihee wa anfiqoo mimmaa ja'alakum mustakh lafeena feehi fallazeena aamanoo minkum wa anfaqoo lahum ajrun kabeer
- Wa maa lakum laa tu'minoona billaahi war Rasoolu yad'ookum li tu'minoo bi Rabbikum wa qad akhaza meesaaqakum in kuntum mu'mineen
- Huwal lazee yunazzilu 'alaa 'abdiheee Aayaatim baiyinaatil liyukhrijakum minaz zulumaati ilan noor; wa innal laaha bikum la Ra'oofur Raheem
- Wa maa lakum allaa tunfiqoo fee sabeelil laahi wa lillaahi meeraasus samaawaati wal-ard; laa yastawee minkum man anfaqa min qablil fat-hi wa qaatal; ulaaa'ika a'zamu darajatam minal lazeena anfaqoo min ba'du wa qaataloo; wa kullanw wa'ad allaahul husnaa; wallaahu bimaa ta'maloona Khabeer
- Man zal lazee yuqridul laaha qardan hasanan fa yudaa'ifahoo lahoo wa lahooo ajrun kareem
- Yawma taral mu'mineena walmu'minaati yas'aa nooruhum baina aydeehim wa bi aymaanihim bushraakumul yawma jannaatun tajree min tahtihal anhaaru khaalideena feeha; zaalika huwal fawzul 'azeem
- Yawma yaqoolul munaafiqoona walmunaafiqaatu lil lazeena aamanu unzuroonaa naqtabis min noorikum qeelarji'oo waraaa'akum faltamisoo nooran faduriba bainahum bisooril lahoo baabun, baatinuhoo feehir rahmatu wa zaahiruhoo min qibalihi-'azaab
- Yunaadoonahum alam nakum ma'akum qaaloo balaa wa laakinnakum fatantum anfusakum wa tarabbastum wartabtum wa gharratkumul amaaniyyu hatta jaaa'a amrul laahi wa gharrakum billaahil gharoor
- Fal Yawma laa yu'khazu minkum fidyatunw wa laa minal lazeena kafaroo; ma'waakumun Naaru hiya maw laakum wa bi'sal maseer
- Alam ya'ni lil lazeena aamanooo an takhsha'a quloobuhum lizikril laahi wa maa nazala minal haqqi wa laa yakoonoo kallazeena ootul Kitaaba min qablu fataala 'alaihimul amadu faqasat quloobuhum wa kaseerum minhum faasiqoon
- I'lamooo annal laaha yuhyil arda ba'da mawtihaa; qad baiyannaa lakumul Aayaati la'allakum ta'qiloon
- Innal mussaddiqeena wal mussaddiqaati wa aqradul laaha qardan hassanany yudaa'afu lahum wa lahum ajrun kareem
- Wallazeena aamanoo billaahi wa Rusuliheee ulaaa'ika humus siddeeqoon; wash shuhadaaa'u 'inda Rabbihim lahum ajruhum wa nooruhum; wallazeena kafaroo wa kazzaboo bi aayaatinaaa ulaaa'ika As haabul jaheem
- I'lamooo annamal hayaa tud dunyaa la'ibunw wa lahwunw wa zeenatunw wa tafaakhurum bainakum wa takaasurun fil amwaali wal awlaad, kamasali ghaisin a'jabal kuffaara nabaatuhoo summa yaheeju fataraahu musfarran summa yakoonu hutaamaa; wa fil aakhirati 'azaabun shadeedunw wa magh firatum minal laahi wa ridwaan; wa mal haiyaa tuddun yaaa illaa mataa'ul ghuroor
- Saabiqooo ilaa maghfiratim mir Rabbikum wa jannatin 'arduhaa ka-'ardis samaaa'i wal ardi u'iddat lillazeena aamanoo billaahi wa Rusulih; zaalika fadlul laahi yu'teehi many yashaaa'; wal laahu zul fadlil 'azeem
- Maaa asaaba min museebatin fil ardi wa laa feee anfusikum illaa fee kitaabim min qabli an nabra ahaa; innaa zaalika 'alal laahi yaseer
- Likailaa ta'saw 'alaa maa faatakum wa laa tafrahoo bimaaa aataakum; wallaahu laa yuhibbu kulla mukhtaalin fakhoor
- Allazeeena yabkhaloona wa yaamuroonan naasa bil bukhl; wa many yatawalla fa innal laaha Huwal Ghaniyyul Hameed
- Laqad arsalnaa Rusulanaa bilbaiyinaati wa anzalnaa ma'ahumul Kitaaba wal Meezaana liyaqooman naasu bilqist, wa anzalnal hadeeda feehi baasun shadeedunw wa manaafi'u linnaasi wa liya'lamal laahu many yansuruhoo wa Rusulahoo bilghaib; innal laaha Qawiyyun 'Azeez
- Wa laqad arsalnaa Noohanw wa Ibraaheema wa ja'alnaa fee zurriyyatihiman nubuwwata wal Kitaaba faminhum muhtad; wa kaseerum minhum faasiqoon
- Summa qaffainaa 'alaa aasaarihim bi Rusulinaa wa qaffainaa bi 'Eesab ni Maryama wa aatainaahul Injeela wa ja'alnaa fee quloobil lazeenat taba'oohu ra'fatanw wa rahmatanw wa rahbaaniyyatan ibtada'ooha maa katabnaahaa 'alaihim illab tighaaa'a ridwaanil laahi famaa ra'awhaa haqqa ri'aayatihaa; fa aatainal lazeena aamanoo minhum ajrahum; wa kaseerum minhum faasiqoon
- Yaaa ayyuhal lazeena aamaanut taqullaaha wa aaminoo bi Rasoolihee yu'tikum kiflaini mir rahmatihee wa yaj'al lakum nooran tamshoona bihee wa yaghfir lakum; wallaahu Ghafoorur Raheem
- Li'alla ya'lama Ahlul kitaabi allaa yaqdiroona 'alaa shai'in min fadlil laahi wa annal fadla bi Yadil laahi yu'teehi many yashaaa'; wallaahu Zul fadilil 'azeem (End Juz 27)
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Allah ki tasbeeh ki hai har us cheez ne jo zameen aur aasmano mein hai, Aur wahi zabardast daana (wise) hai.2. Zameen aur aasmano ki sultanat ka maalik wahi hai, zindagi bakshta hai aur maut deta hai, aur har cheez par qudrat rakhta hai.
3. Wahi awwal bhi hai aur aakhir bhi, aur zaahir bhi hai aur makhfi (hidden) bhi , aur woh har cheez ka ilm rakhta hai.
4. Wahi hai jisne aasmano aur zameen ko chey (six) dino mein paida kiya aur phir arsh par jalwa farma hua. Uske ilm mein hai jo kuch zameen mein jata hai aur jo kuch us se nikalta hai, aur jo kuch aasmaan se utarta hai aur jo kuch usmein chadta hai. Woh tumhare saath hai jahan bhi tum ho. Jo kaam bhi karte ho usey woh dekh raha hai.
5. Wahi zameen aur aasmaano ki baadshahi ka maalik hai aur tamaam maamlaat faisle ke liye usi ki taraf ruju kiye jaate hain.
6. Wahi raat ko din mein aur din ko raat mein daakhil karta hai, aur dilon ke chupey huey raaz tak jaanta hai.
7. Imaan lao Allah aur uske Rasool par aur kharch karo un cheezon mein se jinpar usne tumko khalifa banaya hai. Jo log tum mein se iman layenge aur maal kharch karenge unke liye bada ajr hai.
8. Tumhein kya ho gaya hai ke tum Allah par iman nahin latey halanke Rasool tumhein apne Rubb par iman laane ki dawat de raha hai, aur woh tumse ahad (covenant) le chuka hai, agar tum waqayi maanne wale ho.
9. Woh Allah hi to hai jo apne banday par saaf saaf aayatein naazil kar raha hai taa-ke tumhein taarikhiyon (andhere) se nikal kar roshni mein le aaye. Aur haqeeat yeh hai ke Allah tumpar nihayat shafeeq aur meharbaan hai.
10. Aakhir kya wajah hai ke tum Allah ki raah mein kharch nahin karte halanke zameen aur aasmaano ki miraas (inheritance) Allah hi ke liye hai .Tum mein se jo log fatah ke baad kharch aur jihad karenge woh kabhi un logon ke barabar nahin ho sakte jinhon ne fatah se pehle kharch aur jihad kiya hai.Unka darja baad mein kharch aur jihad karne walon se badh-kar hai hai agarche Allah ne dono hi se acchey waade famaye hain. Jo kuch tum karte ho Allah us se ba-khabar hai.
11. Kaun hai jo Allah ko qarz de ? Accha qarz taa-ke Allah usey kai gunaa bada kar wapas de . Aur uske liye behtareen ajar hai.
12. Us din jabke tum momin mardon aur auraton ko dekhoge ke unka noor unke aage aage aur unke dayein (right) jaanib daud raha hoga (unse kaha jayega ke) aaj basharat (khush-khabri) hai. Tumhare liye jannatein hongi jinke nichey nehrein beh rahi hongi, jin mein woh hamesha rahenge. Yahi hai badi kamiyabi.
13. Us roz munafik mardon aur auraton ka haal yeh hoga ke woh momino se kahenge zara hamari taraf dekho taa-ke hum tumhare noor se kuch faida uthayein. Magar unse kaha jayega pichey hatt jao, Apna noor kahin aur talash karo. Phir unke darmiyan ek deewar hayal kardi jayegi jismein ek darwaza hoga us darwaze ke andar rehmat hogi aur bahar azaab.
14. Woh momino se pukar pukar kar kahenge kya hum tumhare saath na thay? Momin jawab denge haan, magar tumne apne aap ko khud fitne mein dala, mauqa parasti ki, shakk mein padey rahe, aur jhooti tawakkuat (expectations) tumhein fareb deti rahi Yahan tak ke Allah ka faisla aa gaya. Aur aakhri waqt tak woh bada dhoke baaz tumhein Allah ke maamle mein dhoka deta raha.
15. Lihaza aaj na tumse koi fidiya kabool kiya jayega aur na un logon se jinhon ne khula khula kufr kiya tha. Tumhara thikana jahannum hai. Wahi tumhari khabar-giri karne wali hai aur yeh badhtareen anjaam hai.
16. Kya iman laane walon ke liye abhi woh waqt nahin aaya ke unke dil Allah ke zikr se pighlein aur uske naazil karda haqq ke aage jhukein aur woh un logon ki tarah na ho jayein jinhein pehle kitaab di gayi thi, phir ek lambi muddat unpar guzar gayi to unke dil sakht ho gaye aur aaj unmein se aksar fasiq baney huey hain?
17. Khoob jaan lo ke Allah zameen ko uski maut ke baad zindagi bakshta hai, humne nishaniyan tumko saaf saaf dikha di hai, shayad ke tum aqal se kaam lo.
18. Mardon aur auraton mein se jo log sadaqaat dene wale hain aur jinhon ne Allah ko karz-e-hasan diya hai, unko yakeenan kai gunaa bada kardiya jayega aur unke liye behtareen ajar hai.
19. Aur jo log Allah aur uske Rasoolon par iman laye hain wahi apne Rubb ke nazdeek siddiq aur shaheed hain. Unke liye unka ajar aur unka noor hai. Aur jin logon ne kufr kiya hai aur hamari aayaat ko jhutlaya hai woh dozakhi hai.
20. Khoob jaan lo ke yeh duniya ki zindagi iske siwa kuch nahin ke ek khel aur dil-lagi aur zaahiri tip top aur tumhara aapas mein ek dusre par fakr jatana aur maal-o-aulad mein ek dusre se badh jane ki koshish karna hai.Iski misaal aisi hai jaise ek baarish ho gayi to us se paida hone wali nabataat(vegetation) ko dekh kar kaasht-kaar (kisan) khush ho gaye. Phir wahi kheti pak jaati hai aur tum dekhte ho ke woh zard (yellow) ho gayi phir woh bhus (chura chura /crumble) bankar reh jaati hai. Iske baraks aakhirat woh jagah hai jahan sakht azaab hai aur Allah ki magfirat aur uski khushnudi hai. Duniya ki zindagi ek dhoke ke tatti (means of deception) ke siwa kuch nahin.
21. Daudo (race) aur ek dusre se aage badhne ki koshish karo apne Rubb ki magfirat aur uski jannat ki taraf jiski wussat (vastness) aasman-o-zameen jaisi hai. Jo muhayya ki gayi hai un logon ke liye jo Allah aur uske Rasoolon par iman laye hoon. Yeh Allah ka fazl hai, jise chahta hai ata farmata hai, aur Allah badey fazl wala hai.
22. Koi museebat aisi nahin hai jo zameen mein ya tumhare apne nafs par naazil hoti ho aur humne usko paida karne se pehle ek kitaab mein likh na rakkha ho. Aisa karna Allah ke liye bahut aasaan kaam hai.
23. (Yeh sab kuch is liye hai) taa-ke jo kuch bhi nuksaan tumhein ho uspar tum dil-shikasta (grieve) na hon aur jo kuch Allah tumhein ata farmaye uspar phool na jao. Allah aise logon ko pasand nahin karta jo apne aap ko badi cheez samajhte hain aur fakr jatate hain.
24. Jo khud bukhl (niggard) karte hain aur dusron ko bukhl par uksate hain. Ab agar koi ru-gardani (mooh pherna) karta hai to Allah be-niyaz aur satoda siffat (Immensely Praiseworthy) hai.
25. Humne apne Rasoolon ko saaf saaf nishaniyon aur hidayat ke saath bheja, aur unke saath kitaab aur mizaan(balance) naazil ki taakay log insaaf par qayam hon. Aur loha (Iron) utara jis mein bada zoar hai aur logon ke liye munafa hai. Yeh is liye kiya gaya hai ke Allah ko maloom ho jaaye ke kaun usko dekhe bagair uski aur uske rasoolon ki madad karta hai. Yaqeenan Allah badi quwwat wala aur zabardast hai.
26. Humne Nooh aur Ibrahim ko bheja aur un dono ki nasal mein nabuwat aur kitaab rakh di phir unki aulad mein se kisi ne hidayat ikhtiyar ki aur bahut se faasiq ho gaye.
27. Unke baad humne pai dar pai (succession) apne Rasool bheje, aur in sabke baad Isa ibn-e-Maryam ko maboos kiya aur usko Injil ata ki, aur jin logon ne uski pairvi ikhtiyar ki unke dilon mein humne taras (tenderness ) aur reham daal diya.Aur rehbaniyat (monasticism) unhon ne khud ijaad karli, humne usey unpar farz nahin kiya tha. Magar Allah ki khushnudi ki talab mein unhon ne aap hi yeh bidaat nikali aur phir iski pabandi karne ka jo haqq tha usey ada na kiya. Unmein se jo log iman laye huey thay unka ajr humne unko ata kiya, magar unmein se aksar log faasiq hain.
28. Aey logon jo iman laye ho, Allah se daro aur uske Rasool par iman lao. Allah tumhein apni Rehmat ka dohra hissa ata farmyega aur tumhein wahi noor bakhshega jiski roshni mein tum chaloge. Aur tumhare kasoor maaf kardega.Allah bada maaf karne wala aur meharbaan hai.
29. (Tumko yeh rawish ikhtiyar karni chahiye) taa-ke ehle kitaab ko maalom ho jaaye ke Allah ke fazl par unka koi ijara (control/ikhtiyar) nahin hai, aur yeh ke Allah ka fazl uske apne hi haath mein hai, Jise chahta hai ata farmata hai. Aur woh badey fazal(bounty) wala hai.
Comments
Post a Comment