📖 Surah 56 Al-Waqi'ah Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- إِذَا وَقَعَتِ الْوَاقِعَةُ
- لَيْسَ لِوَقْعَتِهَا كَاذِبَةٌ
- خَافِضَةٌ رَافِعَةٌ
- إِذَا رُجَّتِ الْأَرْضُ رَجًّا
- وَبُسَّتِ الْجِبَالُ بَسًّا
- فَكَانَتْ هَبَاءً مُنْبَثًّا
- وَكُنْتُمْ أَزْوَاجًا ثَلَاثَةً
- فَأَصْحَابُ الْمَيْمَنَةِ مَا أَصْحَابُ الْمَيْمَنَةِ
- وَأَصْحَابُ الْمَشْأَمَةِ مَا أَصْحَابُ الْمَشْأَمَةِ
- وَالسَّابِقُونَ السَّابِقُونَ
- أُولَٰئِكَ الْمُقَرَّبُونَ
- فِي جَنَّاتِ النَّعِيمِ
- ثُلَّةٌ مِنَ الْأَوَّلِينَ
- وَقَلِيلٌ مِنَ الْآخِرِينَ
- عَلَىٰ سُرُرٍ مَوْضُونَةٍ
- مُتَّكِئِينَ عَلَيْهَا مُتَقَابِلِينَ
- يَطُوفُ عَلَيْهِمْ وِلْدَانٌ مُخَلَّدُونَ
- بِأَكْوَابٍ وَأَبَارِيقَ وَكَأْسٍ مِنْ مَعِينٍ
- لَا يُصَدَّعُونَ عَنْهَا وَلَا يُنْزِفُونَ
- وَفَاكِهَةٍ مِمَّا يَتَخَيَّرُونَ
- وَلَحْمِ طَيْرٍ مِمَّا يَشْتَهُونَ
- وَحُورٌ عِينٌ
- كَأَمْثَالِ اللُّؤْلُؤِ الْمَكْنُونِ
- جَزَاءً بِمَا كَانُوا يَعْمَلُونَ
- لَا يَسْمَعُونَ فِيهَا لَغْوًا وَلَا تَأْثِيمًا
- إِلَّا قِيلًا سَلَامًا سَلَامًا
- وَأَصْحَابُ الْيَمِينِ مَا أَصْحَابُ الْيَمِينِ
- فِي سِدْرٍ مَخْضُودٍ
- وَطَلْحٍ مَنْضُودٍ
- وَظِلٍّ مَمْدُودٍ
- وَمَاءٍ مَسْكُوبٍ
- وَفَاكِهَةٍ كَثِيرَةٍ
- لَا مَقْطُوعَةٍ وَلَا مَمْنُوعَةٍ
- وَفُرُشٍ مَرْفُوعَةٍ
- إِنَّا أَنْشَأْنَاهُنَّ إِنْشَاءً
- فَجَعَلْنَاهُنَّ أَبْكَارًا
- عُرُبًا أَتْرَابًا
- لِأَصْحَابِ الْيَمِينِ
- ثُلَّةٌ مِنَ الْأَوَّلِينَ
- وَثُلَّةٌ مِنَ الْآخِرِينَ
- وَأَصْحَابُ الشِّمَالِ مَا أَصْحَابُ الشِّمَالِ
- فِي سَمُومٍ وَحَمِيمٍ
- وَظِلٍّ مِنْ يَحْمُومٍ
- لَا بَارِدٍ وَلَا كَرِيمٍ
- إِنَّهُمْ كَانُوا قَبْلَ ذَٰلِكَ مُتْرَفِينَ
- وَكَانُوا يُصِرُّونَ عَلَى الْحِنْثِ الْعَظِيمِ
- وَكَانُوا يَقُولُونَ أَئِذَا مِتْنَا وَكُنَّا تُرَابًا وَعِظَامًا أَإِنَّا لَمَبْعُوثُونَ
- أَوَآبَاؤُنَا الْأَوَّلُونَ
- قُلْ إِنَّ الْأَوَّلِينَ وَالْآخِرِينَ
- لَمَجْمُوعُونَ إِلَىٰ مِيقَاتِ يَوْمٍ مَعْلُومٍ
- ثُمَّ إِنَّكُمْ أَيُّهَا الضَّالُّونَ الْمُكَذِّبُونَ
- لَآكِلُونَ مِنْ شَجَرٍ مِنْ زَقُّومٍ
- فَمَالِئُونَ مِنْهَا الْبُطُونَ
- فَشَارِبُونَ عَلَيْهِ مِنَ الْحَمِيمِ
- فَشَارِبُونَ شُرْبَ الْهِيمِ
- هَٰذَا نُزُلُهُمْ يَوْمَ الدِّينِ
- نَحْنُ خَلَقْنَاكُمْ فَلَوْلَا تُصَدِّقُونَ
- أَفَرَأَيْتُمْ مَا تُمْنُونَ
- أَأَنْتُمْ تَخْلُقُونَهُ أَمْ نَحْنُ الْخَالِقُونَ
- نَحْنُ قَدَّرْنَا بَيْنَكُمُ الْمَوْتَ وَمَا نَحْنُ بِمَسْبُوقِينَ
- عَلَىٰ أَنْ نُبَدِّلَ أَمْثَالَكُمْ وَنُنْشِئَكُمْ فِي مَا لَا تَعْلَمُونَ
- وَلَقَدْ عَلِمْتُمُ النَّشْأَةَ الْأُولَىٰ فَلَوْلَا تَذَكَّرُونَ
- أَفَرَأَيْتُمْ مَا تَحْرُثُونَ
- أَأَنْتُمْ تَزْرَعُونَهُ أَمْ نَحْنُ الزَّارِعُونَ
- لَوْ نَشَاءُ لَجَعَلْنَاهُ حُطَامًا فَظَلْتُمْ تَفَكَّهُونَ
- إِنَّا لَمُغْرَمُونَ
- بَلْ نَحْنُ مَحْرُومُونَ
- أَفَرَأَيْتُمُ الْمَاءَ الَّذِي تَشْرَبُونَ
- أَأَنْتُمْ أَنْزَلْتُمُوهُ مِنَ الْمُزْنِ أَمْ نَحْنُ الْمُنْزِلُونَ
- لَوْ نَشَاءُ جَعَلْنَاهُ أُجَاجًا فَلَوْلَا تَشْكُرُونَ
- أَفَرَأَيْتُمُ النَّارَ الَّتِي تُورُونَ
- أَأَنْتُمْ أَنْشَأْتُمْ شَجَرَتَهَا أَمْ نَحْنُ الْمُنْشِئُونَ
- نَحْنُ جَعَلْنَاهَا تَذْكِرَةً وَمَتَاعًا لِلْمُقْوِينَ
- فَسَبِّحْ بِاسْمِ رَبِّكَ الْعَظِيمِ
- فَلَا أُقْسِمُ بِمَوَاقِعِ النُّجُومِ
- وَإِنَّهُ لَقَسَمٌ لَوْ تَعْلَمُونَ عَظِيمٌ
- إِنَّهُ لَقُرْآنٌ كَرِيمٌ
- فِي كِتَابٍ مَكْنُونٍ
- لَا يَمَسُّهُ إِلَّا الْمُطَهَّرُونَ
- تَنْزِيلٌ مِنْ رَبِّ الْعَالَمِينَ
- أَفَبِهَٰذَا الْحَدِيثِ أَنْتُمْ مُدْهِنُونَ
- وَتَجْعَلُونَ رِزْقَكُمْ أَنَّكُمْ تُكَذِّبُونَ
- فَلَوْلَا إِذَا بَلَغَتِ الْحُلْقُومَ
- وَأَنْتُمْ حِينَئِذٍ تَنْظُرُونَ
- وَنَحْنُ أَقْرَبُ إِلَيْهِ مِنْكُمْ وَلَٰكِنْ لَا تُبْصِرُونَ
- فَلَوْلَا إِنْ كُنْتُمْ غَيْرَ مَدِينِينَ
- تَرْجِعُونَهَا إِنْ كُنْتُمْ صَادِقِينَ
- فَأَمَّا إِنْ كَانَ مِنَ الْمُقَرَّبِينَ
- فَرَوْحٌ وَرَيْحَانٌ وَجَنَّتُ نَعِيمٍ
- وَأَمَّا إِنْ كَانَ مِنْ أَصْحَابِ الْيَمِينِ
- فَسَلَامٌ لَكَ مِنْ أَصْحَابِ الْيَمِينِ
- وَأَمَّا إِنْ كَانَ مِنَ الْمُكَذِّبِينَ الضَّالِّينَ
- فَنُزُلٌ مِنْ حَمِيمٍ
- وَتَصْلِيَةُ جَحِيمٍ
- إِنَّ هَٰذَا لَهُوَ حَقُّ الْيَقِينِ
- فَسَبِّحْ بِاسْمِ رَبِّكَ الْعَظِيمِ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Izaa waqa'atil waaqi'ah
- Laisa liwaq'atihaa kaazibah
- Khafidatur raafi'ah
- Izaa rujjatil ardu rajjaa
- Wa bussatil jibaalu bassaa
- Fakaanat habaaa'am mumbassaa
- Wa kuntum azwaajan salaasah
- Fa as haabul maimanati maaa as haabul maimanah
- Wa as haabul mash'amati maaa as haabul mash'amah
- Wassaabiqoonas saabiqoon
- Ulaaa'ikal muqarraboon
- Fee Jannaatin Na'eem
- Sullatum minal awwaleen
- Wa qaleelum minal aa khireen
- 'Alaa sururim mawdoonah
- Muttaki'eena 'alaihaa mutaqabileen
- Yatoofu 'alaihim wildaa num mukhalladoon
- Bi akwaabinw wa abaareeq, wa kaasim mim ma'een
- Laa yusadda'oona 'anhaa wa laa yunzifoon
- Wa faakihatim mimmaa yatakhaiyaroon
- Wa lahmi tairim mimmaa yashtahoon
- Wa hoorun'een
- Ka amsaalil lu'lu'il maknoon
- Jazaaa'am bimaa kaanoo ya'maloon
- Laa yasma'oona feehaa laghwanw wa laa taaseemaa
- Illaa qeelan salaaman salaamaa
- Wa as haabul yameeni maaa as haabul Yameen
- Fee sidrim makhdood
- Wa talhim mandood
- Wa zillim mamdood
- Wa maaa'im maskoob
- Wa faakihatin kaseerah
- Laa maqtoo'atinw wa laa mamnoo'ah
- Wa furushim marfoo'ah
- Innaaa anshaanaahunna inshaaa'aa
- Faja'alnaahunna abkaaraa
- 'Uruban atraabaa
- Li as haabil yameen
- Sullatum minal awwa leen
- Wa sullatum minal aakhireen
- Wa as haabush shimaali maaa as haabush shimaal
- Fee samoominw wa hameem
- Wa zillim miny yahmoom
- Laa baaridinw wa laa kareem
- Innahum kaanoo qabla zaalika mutrafeen
- Wa kaanoo yusirroona 'alal hinsil 'azeem
- Wa kaanoo yaqooloona a'izaa mitnaa wa kunnaa turaabanw wa izaaman'ainnaa lamab'oosoon
- Awa aabaaa'unal awwaloon
- Qul innal awwaleena wal aakhireen
- Lamajmoo'oona ilaa meeqaati yawmim ma'loom
- Summa innakum ayyuhad daaalloonal mukazziboon
- La aakiloona min shaja rim min zaqqoom
- Famaali'oona minhal butoon
- Fashaariboona 'alaihi minal hameem
- Fashaariboona shurbal heem
- Haazaa nuzuluhum yawmad deen
- Nahnu khalaqnaakum falaw laa tusaddiqoon
- Afara'aytum maa tumnoon
- 'A-antum takhluqoo nahooo am nahnul khaaliqoon
- Nahnu qaddarnaa baina kumul mawta wa maa nahnu bimasbooqeen
- 'Alaaa an nubaddila amsaalakum wa nunshi'akum fee maa laa ta'lamoon
- Wa laqad 'alimtumun nash atal oolaa falaw laa tazakkaroon
- Afara'aytum maa tahrusoon
- 'A-antum tazra'oonahooo am nahnuz zaari'ooon
- Law nashaaa'u laja'al naahu hutaaman fazaltum tafakkahoon
- Innaa lamughramoon
- Bal nahnu mahroomoon
- Afara'aytumul maaa'allazee tashraboon
- 'A-antum anzaltumoohu minal muzni am nahnul munziloon
- Law nashaaa'u ja'alnaahu ujaajan falaw laa tashkuroon
- Afara'aytumun naaral latee tooroon
- 'A-antum anshaatum shajaratahaaa am nahnul munshi'oon
- Nahnu ja'alnaahaa tazkira tanw wa mataa'al lilmuqween
- Fasabbih bismi Rabbikal 'azeem
- Falaa uqsimu bimaawaa qi'innujoom
- Wa innahoo laqasamul lawta'lamoona'azeem
- Innahoo la quraanun kareem
- Fee kitaabim maknoon
- Laa yamassuhooo illal mutahharoon
- Tanzeelum mir Rabbil'aalameen
- Afabihaazal hadeesi antum mudhinoon
- Wa taj'aloona rizqakum annakum tukazziboon
- Falaw laaa izaa balaghatil hulqoom
- Wa antum heena'izin tanzuroon
- Wa nahnu aqrabu ilaihi minkum wa laakil laa tubsiroon
- Falaw laaa in kuntum ghaira madeeneen
- Tarji'oonahaaa in kuntum saadiqeen
- Fa ammaaa in kaana minal muqarrabeen
- Farawhunw wa raihaa nunw wa jannatu na'eem
- Wa ammaaa in kaana min as haabil yameen
- Fasalaamul laka min as haabil yameen
- Wa ammaaa in kaana minal mukazzibeenad daaalleen
- Fanuzulum min hameem
- Wa tasliyatu jaheem
- Inna haaza lahuwa haqqul yaqeen
- Fasabbih bismi rabbikal 'azeem
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Jab woh hone wala waqia pesh aa jayega2. To koi uske waquh(occurrence) ko jhutlane wala na hoga.
3. Woh tah-o-baala (pasth aur buland) kardene wali aafat hogi.
4. Zameen us waqt ek baar hi hila daali jayegi
5. Aur pahad is tarah reza reza kardiye jayenge
6. Ke paraganda (scattered) gubar (dust) ban kar reh jayenge.
7. Tum log us waqt teen girohon (jamaat) mein takseem ho jaaoge.
8. Dayein bazu wale, so dayein bazu walon (ki khush-naseebi ) ka kya kehna.
9. Aur bayein bazu wale, to bayein bazu walon (ki badh-naseebi ka) kya thikana.
10. Aur aage wale to phir aage wale hi hain.
11. Wahi to muqarrab (nearest to Allah) log hain
12. Niyamat bhari jannaton mein rahenge.
13. Aglon mein se bahut honge.
14. Aur pichlon mein se kam.
15. Murassasa takhaton par (On thrones decorated)
16. Takiye lagaye aamne saamne baithengey.
17. Unki majlison mein abadi ladke sharab-e-chashma jaari se
18. Labrez pyale aur kantar (jugs) aur sagar liye daudte phirte honge.
19. Jise pee kar na unka sar chakrayega na unki aqal mein fatur (drunkenness) aayega.
20. Aur woh unke saamne tarah tarah ke lazeez phal (fruits) pesh karenge jise chahe chun lein.
21. Aur parindon ke gosht pesh karenge ke jis parindey ka chahein istemal karein.
22. Aur unke liye khubsurat aankhon wali hoorein hongi.
23. Aisi haseen jaise chupa kar rakkhe huey moti.
24. Yeh sab kuch un aamal ki jaza ke taur par unhein milega jo woh duniya mein karte rahe thay.
25. Wahan woh koi behuda kalaam ya gunah ki baat na sunenge.
26. Jo baat bhi hogi theek theek hogi.
27. Aur daayein bazu wale, daayein bazu walon ki khush nasibi ka kya kehna.
28. Woh be-khaar (thornless) beriyon(lote trees)
29. Aur teh bah teh chadey huey kelon (bananas).
30. Aur door tak phayli hui chaaon (shadow).
31. Aur har dum rawan (gushing) paani
32. Aur kabhi khatam na hone wale
33. Aur bay rok-tok milne wale ba-kasrat phalon (fruits)
34. Aur unchi nishist gaahon (exalted thrones) mein hongay.
35. Unki biwiyon ko hum khaas taur par naye sirey se paida karenge.
36. Aur unhein bakira (virgins) bana denge.
37. Apne shoharon ki aashik aur umar mein humsin (equal age).
38. Yeh kuch daayein bazu walon ke liye hai.
39. Woh aglon mein se bahut honge.
40. Aur pichlon mein se bhi bahut.
41. Aur baayein (left) bazu wale, bayein bazu walon ki badnasibi ka kya puchna.
42. Woh luu ki lapat (midst of scorching wind) aur khaulte (boiling) huey paani,
43. Aur kaalay dhuwon (smoke) ke saaye mein honge,
44. Jo na thanda hoga na aaram de.
45. Yeh woh log honge jo is anjaam ko pahunchne se pehle khush haal thay.
46. Aur gunaah-e-azeem par israr karte thay.
47. Kehte thay “kya jab hum mar kar khaak ho jayenge aur haddiyon ka panjar reh jayenge to phir utha khade kiye jayenge?
48. Aur kya hamare woh baap dada bhi uthaye jayenge jo pehle guzar chuke hain?”
49. Aye Nabi in logon se kaho, yaqeenan agle aur pichle sab,
50. Ek din zaroor jama kiye jaane wale hain jiska waqt muqarrar kiya jaa chuka hai.
51. Phir aey gumrahon aur jhutlane walon!
52. Tum shajar-e-zaqqum ki giza khane wale ho
53. Usi se tum pait bharogey
54. Aur upar se khaulta (boiling) hua paani
55. Toans (thirst) lage huey ount (camel) ki tarah piogey.
56. Yeh hai baayein walon ki ziyafat ka saamaan roz-e-jaza mein.
57. Humne tumhein paida kiya hai phir kyun tasdeek (confirm) nahin karte?
58. Kabhi tumne gaur kiya, yeh nutfa (sperm) jo tum daltey ho,
59. Usse baccha tum banate ho ya uske banane wale hum hain?
60. Humne tumhare darmiyan maut ko takseem kiya hai, aur hum is se aajiz nahin hai.
61. Ke tumhari shaklein badal dein aur kisi aisi shakal mein tumhein paida kardein jisko tum nahin jante.
62. Apni pehli paidaish ko to tum jaante ho, phir kyun sabaq nahin lete?
63. Kabhi tumne socha, yeh beej (seed) jo tum botey ho,
64. Inse khetiyan tum ugatey ho ya unke ugane wale hum hain?
65. Hum chahein to un khetoun ko bhus (rubble) bana kar rakh dein aur tum tarah tarah ki baatein banate reh jao.
66. Ke hum par to ulti chatti pad gayi (Lo! we are laden with debt!)
67. Balke hamare to naseeb hi phootey huey hain.
68. Kabhi tumne aankhein khol kar dekha, yeh pani jo tum peetey ho,
69. Isey tumne baadal se barsaya hai ya iske barsane wale hum hain?
70. Hum chahein to isey sakht khari(bitter) bana kar rakh dein, phir kyun tum shukar-guzar nahin hote?
71. Kabhi tumne khayal kiya, yeh aag jo tum sulgate ho,
72. Iska darakht tumne paida kiya hai ya iske paida karne wale hum hain?
73. Humne usko yaad-dihani(reminder) ka zariya aur haajat-mandon (needy) ke liye saaman-e-zeist (provision) banaya hai.
74. Pas aey Nabi, apne Rubb-e-azeem ke naam ki tasbeeh karo.
75. Pas nahin main qasam khata hoon taaron ke mawake (setting or the mansions, etc.) ki
76. Agar tum samjho to yeh bahut badi qasam hai
77. Ke yeh ek buland paya Quran hai,
78. Ek mehfooz kitaab mein sabt (inscribed)
79. Jise mutahreen (pure) ke siwa koi choo nahin sakta.
80. Yeh Rubb-ul- Aalameen ka naazil karda hai.
81. Phir kya is kalam ke saath tum be-atnayi (indifferent) barat-te ho,
82. Aur is niyamat mein apna hissa tumne yeh rakkha hai ke isey jhutlate ho?
83. To jab marne wale ki jaan halaq tak pahunch chuki hoti hai
84. Aur tum aankhon se dekh rahe hote ho ke woh marr raha hai,
85. Us waqt tumhare ba-nisbat hum uske zyada kareeb hote hain magar tumko nazar nahin aatey.
86. Ab agar tum kisi ke mahkoom (anyones authority) nahin ho aur apne is khayal mein sacche ho,
87. Us waqt uski nikalti hui jaan ko wapas kyun nahin le aatey?
88. Phir woh marne wala agar muqarrabin (near to Allah) mein se hon
89. To uske liye rahat aur umda rizq aur niyamat bhari jannat hai
90. Aur agar woh ashaab-e-yameen (people of right hand) mein se ho
91. To uska istaqbal (welcome) yun hota hai ke salaam hai tujhey, tu ashab-ul-yameen (People on the Right) mein se hai.
92. Aur agar woh jhutlane wale gumraah logon mein se ho
93. To uski tawazu ke liye khaulta (boiling) pani hai
94. Aur jahannum mein jhonka jaana.
95. Yeh sab kuch qataii haqq hai.
96. Pas aey Nabi apne Rubb-e-Azeem ke naam ki tasbeeh karo.
Comments
Post a Comment