📖 Surah 54 Al-Qamar Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. اقْتَرَبَتِ السَّاعَةُ وَانْشَقَّ الْقَمَرُ

  2. وَإِنْ يَرَوْا آيَةً يُعْرِضُوا وَيَقُولُوا سِحْرٌ مُسْتَمِرٌّ

  3. وَكَذَّبُوا وَاتَّبَعُوا أَهْوَاءَهُمْ ۚ وَكُلُّ أَمْرٍ مُسْتَقِرٌّ

  4. وَلَقَدْ جَاءَهُمْ مِنَ الْأَنْبَاءِ مَا فِيهِ مُزْدَجَرٌ

  5. حِكْمَةٌ بَالِغَةٌ ۖ فَمَا تُغْنِ النُّذُرُ

  6. فَتَوَلَّ عَنْهُمْ ۘ يَوْمَ يَدْعُ الدَّاعِ إِلَىٰ شَيْءٍ نُكُرٍ

  7. خُشَّعًا أَبْصَارُهُمْ يَخْرُجُونَ مِنَ الْأَجْدَاثِ كَأَنَّهُمْ جَرَادٌ مُنْتَشِرٌ

  8. مُهْطِعِينَ إِلَى الدَّاعِ ۖ يَقُولُ الْكَافِرُونَ هَٰذَا يَوْمٌ عَسِرٌ

  9. كَذَّبَتْ قَبْلَهُمْ قَوْمُ نُوحٍ فَكَذَّبُوا عَبْدَنَا وَقَالُوا مَجْنُونٌ وَازْدُجِرَ

  10. فَدَعَا رَبَّهُ أَنِّي مَغْلُوبٌ فَانْتَصِرْ

  11. فَفَتَحْنَا أَبْوَابَ السَّمَاءِ بِمَاءٍ مُنْهَمِرٍ

  12. وَفَجَّرْنَا الْأَرْضَ عُيُونًا فَالْتَقَى الْمَاءُ عَلَىٰ أَمْرٍ قَدْ قُدِرَ

  13. وَحَمَلْنَاهُ عَلَىٰ ذَاتِ أَلْوَاحٍ وَدُسُرٍ

  14. تَجْرِي بِأَعْيُنِنَا جَزَاءً لِمَنْ كَانَ كُفِرَ

  15. وَلَقَدْ تَرَكْنَاهَا آيَةً فَهَلْ مِنْ مُدَّكِرٍ

  16. فَكَيْفَ كَانَ عَذَابِي وَنُذُرِ

  17. وَلَقَدْ يَسَّرْنَا ٱلْقُرْءَانَ لِلذِّكْرِ فَهَلْ مِن مُّدَّكِرٍۢ

  18. كَذَّبَتْ عَادٌ فَكَيْفَ كَانَ عَذَابِي وَنُذُرِ

  19. إِنَّا أَرْسَلْنَا عَلَيْهِمْ رِيحًا صَرْصَرًا فِي يَوْمِ نَحْسٍ مُسْتَمِرٍّ

  20. تَنْزِعُ النَّاسَ كَأَنَّهُمْ أَعْجَازُ نَخْلٍ مُنْقَعِرٍ

  21. فَكَيْفَ كَانَ عَذَابِي وَنُذُرِ

  22. وَلَقَدْ يَسَّرْنَا الْقُرْآنَ لِلذِّكْرِ فَهَلْ مِنْ مُدَّكِرٍ

  23. كَذَّبَتْ ثَمُودُ بِالنُّذُرِ

  24. فَقَالُوا أَبَشَرًا مِنَّا وَاحِدًا نَتَّبِعُهُ إِنَّا إِذًا لَفِي ضَلَالٍ وَسُعُرٍ

  25. أَأُلْقِيَ الذِّكْرُ عَلَيْهِ مِنْ بَيْنِنَا بَلْ هُوَ كَذَّابٌ أَشِرٌ

  26. سَيَعْلَمُونَ غَدًا مَنِ الْكَذَّابُ الْأَشِرُ

  27. إِنَّا مُرْسِلُو النَّاقَةِ فِتْنَةً لَهُمْ فَارْتَقِبْهُمْ وَاصْطَبِرْ

  28. وَنَبِّئْهُمْ أَنَّ الْمَاءَ قِسْمَةٌ بَيْنَهُمْ ۖ كُلُّ شِرْبٍ مُحْتَضَرٌ

  29. فَنَادَوْا صَاحِبَهُمْ فَتَعَاطَىٰ فَعَقَرَ

  30. فَكَيْفَ كَانَ عَذَابِي وَنُذُرِ

  31. إِنَّا أَرْسَلْنَا عَلَيْهِمْ صَيْحَةً وَاحِدَةً فَكَانُوا كَهَشِيمِ الْمُحْتَظِرِ

  32. وَلَقَدْ يَسَّرْنَا الْقُرْآنَ لِلذِّكْرِ فَهَلْ مِنْ مُدَّكِرٍ

  33. كَذَّبَتْ قَوْمُ لُوطٍ بِالنُّذُرِ

  34. إِنَّا أَرْسَلْنَا عَلَيْهِمْ حَاصِبًا إِلَّا آلَ لُوطٍ ۖ نَجَّيْنَاهُمْ بِسَحَرٍ

  35. نِعْمَةً مِنْ عِنْدِنَا ۚ كَذَٰلِكَ نَجْزِي مَنْ شَكَرَ

  36. وَلَقَدْ أَنْذَرَهُمْ بَطْشَتَنَا فَتَمَارَوْا بِالنُّذُرِ

  37. وَلَقَدْ رَاوَدُوهُ عَنْ ضَيْفِهِ فَطَمَسْنَا أَعْيُنَهُمْ فَذُوقُوا عَذَابِي وَنُذُرِ

  38. وَلَقَدْ صَبَّحَهُمْ بُكْرَةً عَذَابٌ مُسْتَقِرٌّ

  39. فَذُوقُوا عَذَابِي وَنُذُرِ

  40. وَلَقَدْ يَسَّرْنَا الْقُرْآنَ لِلذِّكْرِ فَهَلْ مِنْ مُدَّكِرٍ

  41. وَلَقَدْ جَاءَ آلَ فِرْعَوْنَ النُّذُرُ

  42. كَذَّبُوا بِآيَاتِنَا كُلِّهَا فَأَخَذْنَاهُمْ أَخْذَ عَزِيزٍ مُقْتَدِرٍ

  43. أَكُفَّارُكُمْ خَيْرٌ مِنْ أُولَٰئِكُمْ أَمْ لَكُمْ بَرَاءَةٌ فِي الزُّبُرِ

  44. أَمْ يَقُولُونَ نَحْنُ جَمِيعٌ مُنْتَصِرٌ

  45. سَيُهْزَمُ الْجَمْعُ وَيُوَلُّونَ الدُّبُرَ

  46. بَلِ السَّاعَةُ مَوْعِدُهُمْ وَالسَّاعَةُ أَدْهَىٰ وَأَمَرُّ

  47. إِنَّ الْمُجْرِمِينَ فِي ضَلَالٍ وَسُعُرٍ

  48. يَوْمَ يُسْحَبُونَ فِي النَّارِ عَلَىٰ وُجُوهِهِمْ ذُوقُوا مَسَّ سَقَرَ

  49. إِنَّا كُلَّ شَيْءٍ خَلَقْنَاهُ بِقَدَرٍ

  50. وَمَا أَمْرُنَا إِلَّا وَاحِدَةٌ كَلَمْحٍ بِالْبَصَرِ

  51. وَلَقَدْ أَهْلَكْنَا أَشْيَاعَكُمْ فَهَلْ مِنْ مُدَّكِرٍ

  52. وَكُلُّ شَيْءٍ فَعَلُوهُ فِي الزُّبُرِ

  53. وَكُلُّ صَغِيرٍ وَكَبِيرٍ مُسْتَطَرٌ

  54. إِنَّ الْمُتَّقِينَ فِي جَنَّاتٍ وَنَهَرٍ

  55. فِي مَقْعَدِ صِدْقٍ عِنْدَ مَلِيكٍ مُقْتَدِرٍ

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Iqtarabatis Saa'atu wan shaqqal qamar

  2. Wa iny yaraw aayatany yu'ridoo wa yaqooloo sihrun mustamirr

  3. Wa kazzaboo wattaba'ooo ahwaaa'ahum; wa kullu amrin mustaqirr

  4. Wa laqad jaaa'ahum minal anbaaa'i maa feehi muzdajar

  5. Hikmatun baalighatun famaa tughnin nuzur

  6. Fatawalla 'anhum; yawma yad'ud daa'i ilaa shai 'in nukur

  7. Khushsha'an absaaruhum yakhrujoona minal ajdaasi ka annahum jaraadum muntashir

  8. Muhti'eena ilad daa'i yaqoolul kaafiroona haazaa yawmun 'asir

  9. Kazzabat qablahum qawmu Noohin fakazzaboo 'abdanaa wa qaaloo majnoonunw wazdujir

  10. Fada'aa Rabbahooo annee maghloobun fantasir

  11. Fafatahnaaa abwaabas samaaa'i bi maaa'in munhamir

  12. Wa fajjarnal arda 'uyoonan faltaqal maaa'u 'alaaa amrin qad qudir

  13. Wa hamalnaahu 'alaa zaati alwaahinw wa dusur

  14. Tajree bi a'yuninaa jazaaa'an liman kaana kufir

  15. Wa laqat taraknaahaa aayatan fahal min muddakir

  16. Fakaifa kaana 'azaabee wa nuzur

  17. Wa laqad yassarnal Qur'aana liz zikri fahal min muddakir

  18. Kazzabat 'Aadun fakaifa kaana 'azaabee wa nuzur

  19. Innaa arsalnaa 'alaihim reehan sarsaran fee Yawmi nahsin mustamirr

  20. Tanzi'un naasa ka annahum a'jaazu nakhlin munqa'ir

  21. Fakaifa kaana 'azaabee wa nuzur

  22. Wa laqad yassarnal Qur'aana liz zikri fahal min muddakir

  23. Kazzabat Samoodu binnuzur

  24. Faqaalooo a' basharan minnaa waahidan nattabi'uhooo innaa izal lafee dalaalinw wa su'ur

  25. 'A ulqiyaz zikru 'alaihi min baininaa bal huwa kazzaabun ashir

  26. Sa-ya'lamoona ghadan manil kazzaabul ashir

  27. Innaa mursilun naaqati fitnatan lahum fartaqibhum wastabir

  28. Wa nabbi'hum annal maaa'a qismatun bainahum kullu shirbin muhtadar

  29. Fa naadaw saahibahum fa ta'aataa fa 'aqar

  30. Fakaifa kaana 'azaabee wa nuzur

  31. Innaaa arsalnaa 'alaihim saihatanw waahidatan fakaanoo kahasheemil muhtazir

  32. Wa laqad yassarnal Qur'aana liz zikri fahal min muddakir

  33. Kazzabat qawmu lootin binnuzur

  34. Innaa arsalnaa 'alaihim haasiban illaaa aala Lootin najjainaahum bisahar

  35. Ni'matan min 'indinaa; kazaalika najzee man shakar

  36. Wa laqad anzarahum batshatanaa fatamaaraw binnuzur

  37. Wa laqad raawadoohu 'andaifeehee fatamasnaaa a'yunahum fazooqoo 'azaabee wa nuzur

  38. Wa laqad sabbahahum bukratan 'azaabun mustaqirr

  39. Fazooqoo 'azaabee wa nuzur

  40. Wa laqad yassarnal Qur'aana liz zikri fahal min muddakir

  41. Wa laqad jaaa'a Aala Fir'awnan nuzur

  42. Kazzaboo bi Aayaatinaa kullihaa fa akhaznaahum akhza 'azeezim muqtadir

  43. 'A kuffaarukum khairun min ulaaa'ikum am lakum baraaa'atun fiz Zubur

  44. Am yaqooloona nahnu jamee'un muntasir

  45. Sa yuhzamul jam'u wa yuwalloonad dubur

  46. Balis Saa'atu maw'iduhum was Saa'atu adhaa wa amarr

  47. Innal mujrimeena fee dalaalinw wa su'ur

  48. Yawma yus-haboona fin Naari 'alaa wujoohihim zooqoo massa saqar

  49. Innaa kulla shai'in khalaqnaahu bi qadar

  50. Wa maaa amrunaaa illaa waahidatun ka lamhin bil basar

  51. Wa laqad ahlaknaaa ashyaa'akum fahal min muddakir

  52. Wa kullu shai'in fa'aloohu fiz Zubur

  53. Wa kullu sagheerinw wa kabeerin mustatar

  54. Innal muttaqeena fee jannaatinw wa nahar

  55. Fee maq'adi sidqin 'inda Maleekin Muqtadir

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Qayamat ki ghadi kareeb aa gayi aur chaand phatt (split) gaya.

2. Magar in logon ka haal yeh hai ke khwa koi nishani dekh lein mooh moadh jaate hain aur kehte hain yeh to chalta hua jaadu hai.

3. Inhon ne (isko bhi) jhutla diya aur apni khwahishat-e-nafs hi ki pairwi ki.Har maamlay ko Aakhir-e-kaar ek anjaam par pahunch kar rehna hai.

4. In logon ke saamne (pichle qaumon ke) woh halaat aa chuke hain jinmein sarkashi se baaz rakhne ke liye kafi samaan-e-ibrat hai.

5. Aur aisi hikmat jo naseehat ke maqsad ko ba-darja-e-atam (consummate wisdom) poora karti hain magar tambihat(warnings) inpar kaargar nahin hoti.

6. Pas aey Nabi, inse rukh pher lo. Jis roz pukarne wala ek sakht nagawaar cheez ki taraf pukarega.

7. Log sehmi hui (down-cast) nigaahon ke saath apni qabraon se is tarah niklenge goya woh bikhri huyi tiddiyan (locusts) hain.

8. Pukarne wale ki taraf daudey jaa rahe honge Aur wahi munkireen (jo duniya mein iska inkar karte thay)us waqt kahenge ke yeh din to bada kathin hai.

9. Inse pehle Nooh ki qaum jhutla chuki hai. Unhon ne hamare banday ko jhoota karar diya aur kaha ke yeh deewana hai, aur woh buri tarah jhidka (rebuffed) gaya.

10. Aakhir-e-kaar usne apne Rubb ko pukara ke “main magloob ho chuka , ab tu inse inteqam le”

11. Tab humne mausla-dhaar baarish se aasmaan ke darwaze khol diye aur zameen ko phaad kar chasmon mein tabdeel kardiya.

12. Aur yeh saara pani us kaam ko poora karne ke liye mil gaya jo mukaddar ho chuka tha.

13. Aur Nooh ko humne ek takhaton(planks) aur keelon (nails) wali par sawar kardiya.

14. Jo hamari nigraani mein chal rahi thi .Yeh tha badla us shaks ki khatir jiski na-qadri ki gayi thi.

15. Us kashti ko humne ek nishani bana kar chodh diya, phir koi hai naseehat qabool karne wala?

16. Dekhlo, kaisa tha mera azaab aur kaisi thi meri tambihaat (warnings).

17. Humne is Quran ko naseehat ke liye aasaan zariya bana diya hai, phir kya hai koi naseehat qabool karne wala?

18. Aad ne jhutlaya, to dekhlo ke kaisa tha mera azaab aur kaisi thi meri tambihaat (warnings).

19. Humne ek paiham nahusat (unremitting misfortune) ke din sakht toofani hawa unpar bhej di jo logon ko utha utha kar is tarah phenk rahi thi

20. Jaise woh jadd (roots) se ukhade huey khajoor ke taney (trunks) hon.

21. Pas dekhlo ke kaisa tha mera azaab aur kaisi thi meri tambihaat (warnings).

22. Humne is Quran ko naseehat ke liye aasaan zariya bana diya hai, phir kya hai koi naseehat qabool karne wala?

23. Samood ne tambihaat ko jhutlaya.

24. Aur kehne lage “Ek akela aadmi jo hum hi mein se hai kya ab hum uske pichey chalein? Iska ittibaah hum qabool karlein to iske maani yeh honge ke hum behak gaye hain aur hamari aqal maari gayi hai.

25. Kya hamare darmiyan bas yahi ek shaks tha jispar khuda ka zikr naazil kiya gaya? nahin, balke yeh parle darje ka jhoota aur bar-khud galat (insolent liar)hai”

26. (Humne apne paigambar se kaha) “ Kal hi inhein maloom hua jata hai ke kaun parle darje ka jhoota aur bar khud galat hai.

27. Hum ountni (she-camel) ko inke liye fitna bana kar bhej rahe hain, ab zara sabr ke saath dekh ke inka kya anjaam hota hai.

28. Inko jata de ke pani inke aur ountni(she-camel) ke darmiyaan takseem hoga aur har ek apni baari ke din pani par aayega”

29. Aakhir-e-kaar un logon ne apne aadmi ko pukara aur usne is kaam ka beda uthaya aur ountni (she-camel) ko maar dala.

30. Phir dekh lo ke kaisa tha mera azaab aur kaisi thi meri tambeehat (warnings).

31. Humne unpar bas ek hi dhamaka chodha aur woh baade wale ki rondhi hui baad ke taraah bhus hokar reh gaya. (Lo! We sent upon them one Shout, and thay became as the dry twigs (rejected by) the builder of a cattle-fold)

32. Humne is Quran ko naseehat ke liye aasaan zariya bana diya hai, ab hai koi naseehat qabool karne wala?

33. Lut ki qaum ne tambihat ko jhutlaya.

34. Aur humne pattharao karne wali hawa is par bhej di. Sirf Lut ke ghar wale us se mehfooz rahe.

35. Unko humne apne fazl se raat ke pichle pehar bacha kar nikal diya. Yeh jaza dete hai hum har us shaks ko jo shukar-guzar hota hai.

36. Lut ne apni qaum ke logon ko hamari pakad se khabardaar kiya magar woh saari tambihat ko mashkuk (doubtful) samajh kar baaton mein udate rahe.

37. Phir unhon ne usey apne mehmano ki hifazat se baaz rakhne ki koshish ki. Aakhir-e-kaar humne unki aankhein moond-di (blinded), ke chakkho ab mera azaab aur meri tambihaat ka maza.

38. Subah sawere hi ek atal azaab ne unko aa liya.

39. Chakkho mazaa ab mere azaab ka aur meri tambihaat ka.

40. Humne is Quran ko naseehat ke liye aasaan zariya bana diya hai, pas hai koi naseehat qabool karne wala?

41. Aur aal-e-Firoun ke paas bhi tambihaat aayi thi.

42. Magar unhon ne hamari saari nishaniyon ko jhutla diya. Aakhir ko humne unhein pakda jis taraah koi zabardast qudrat wala pakadta hai.

43. Kya tumhare kuffar kuch un logon se behtar hain? Ya aasmani kitaabon mein tumhare liye koi maafi likhi hui hai?

44. Ya in logon ka kehna yeh hai ke hum ek mazboot jattha (jamaat) hain, apna bachao kar lenge?

45. Ankareeb yeh jattha(jamaat) shikhast kha jayega aur yeh sab peeth phair kar bhaagte nazar aayenge.

46. Balke inse nimatne ke liye asal waade ka waqt to qayamat hai aur woh badi aafat aur zyaada talkh-saa-at (badi sakht aur kadwi cheez) hai.

47. Yeh mujrim log dar haqeeqat galat fehmi mein mubtala hain aur inki aqal maari gayi hai.

48. Jis roz yeh mooh ke bal aag mein ghaseetey jayenge us roz inse kaha jayega ke ab chakkho jahannum ki lapat ka maza.

49. Humne har cheez ek taqdeer ke saath paida ki hai.

50. Aur hamara hukm bas ek hi hukm hota hai aur palak jhapakate (twinkling of an eye) woh amal mein aa jata hai.

51. Tum jaise bahut-son ko hum halak kar chuke hain. Phir hai koi naseehat qabool karne wala?

52. Jo kuch inhon ne kiya hai woh sab daftaron (office) mein darj hai.

53. Aur har choti badi baat likhi hui maujood hai.

54. Nafarmani se parheiz karne wale yaqeenan baaghon aur neharon mein honge.

55. Sacchi izzat ki jagah, badey zeeh-iqtedar baadshah ke kareeb.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments