📖 Surah 53 An-Najm Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. وَالنَّجْمِ إِذَا هَوَىٰ

  2. مَا ضَلَّ صَاحِبُكُمْ وَمَا غَوَىٰ

  3. وَمَا يَنْطِقُ عَنِ الْهَوَىٰ

  4. إِنْ هُوَ إِلَّا وَحْيٌ يُوحَىٰ

  5. عَلَّمَهُ شَدِيدُ الْقُوَىٰ

  6. ذُو مِرَّةٍ فَاسْتَوَىٰ

  7. وَهُوَ بِالْأُفُقِ الْأَعْلَىٰ

  8. ثُمَّ دَنَا فَتَدَلَّىٰ

  9. فَكَانَ قَابَ قَوْسَيْنِ أَوْ أَدْنَىٰ

  10. فَأَوْحَىٰ إِلَىٰ عَبْدِهِ مَا أَوْحَىٰ

  11. مَا كَذَبَ الْفُؤَادُ مَا رَأَىٰ

  12. أَفَتُمَارُونَهُ عَلَىٰ مَا يَرَىٰ

  13. وَلَقَدْ رَآهُ نَزْلَةً أُخْرَىٰ

  14. عِنْدَ سِدْرَةِ الْمُنْتَهَىٰ

  15. عِنْدَهَا جَنَّةُ الْمَأْوَىٰ

  16. إِذْ يَغْشَى السِّدْرَةَ مَا يَغْشَىٰ

  17. مَا زَاغَ الْبَصَرُ وَمَا طَغَىٰ

  18. لَقَدْ رَأَىٰ مِنْ آيَاتِ رَبِّهِ الْكُبْرَىٰ

  19. أَفَرَأَيْتُمُ اللَّاتَ وَالْعُزَّىٰ

  20. وَمَنَاةَ الثَّالِثَةَ الْأُخْرَىٰ

  21. أَلَكُمُ الذَّكَرُ وَلَهُ الْأُنْثَىٰ

  22. تِلْكَ إِذًا قِسْمَةٌ ضِيزَىٰ

  23. إِنْ هِيَ إِلَّا أَسْمَاءٌ سَمَّيْتُمُوهَا أَنْتُمْ وَآبَاؤُكُمْ مَا أَنْزَلَ اللَّهُ بِهَا مِنْ سُلْطَانٍ ۚ إِنْ يَتَّبِعُونَ إِلَّا الظَّنَّ وَمَا تَهْوَى الْأَنْفُسُ ۖ وَلَقَدْ جَاءَهُمْ مِنْ رَبِّهِمُ الْهُدَىٰ

  24. أَمْ لِلْإِنْسَانِ مَا تَمَنَّىٰ

  25. فَلِلَّهِ الْآخِرَةُ وَالْأُولَىٰ

  26. وَكَمْ مِنْ مَلَكٍ فِي السَّمَاوَاتِ لَا تُغْنِي شَفَاعَتُهُمْ شَيْئًا إِلَّا مِنْ بَعْدِ أَنْ يَأْذَنَ اللَّهُ لِمَنْ يَشَاءُ وَيَرْضَىٰ

  27. إِنَّ الَّذِينَ لَا يُؤْمِنُونَ بِالْآخِرَةِ لَيُسَمُّونَ الْمَلَائِكَةَ تَسْمِيَةَ الْأُنْثَىٰ

  28. وَمَا لَهُمْ بِهِ مِنْ عِلْمٍ ۖ إِنْ يَتَّبِعُونَ إِلَّا الظَّنَّ ۖ وَإِنَّ الظَّنَّ لَا يُغْنِي مِنَ الْحَقِّ شَيْئًا

  29. فَأَعْرِضْ عَنْ مَنْ تَوَلَّىٰ عَنْ ذِكْرِنَا وَلَمْ يُرِدْ إِلَّا الْحَيَاةَ الدُّنْيَا

  30. ذَٰلِكَ مَبْلَغُهُمْ مِنَ الْعِلْمِ ۚ إِنَّ رَبَّكَ هُوَ أَعْلَمُ بِمَنْ ضَلَّ عَنْ سَبِيلِهِ وَهُوَ أَعْلَمُ بِمَنِ اهْتَدَىٰ

  31. وَلِلَّهِ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ لِيَجْزِيَ الَّذِينَ أَسَاءُوا بِمَا عَمِلُوا وَيَجْزِيَ الَّذِينَ أَحْسَنُوا بِالْحُسْنَى

  32. الَّذِينَ يَجْتَنِبُونَ كَبَائِرَ الْإِثْمِ وَالْفَوَاحِشَ إِلَّا اللَّمَمَ ۚ إِنَّ رَبَّكَ وَاسِعُ الْمَغْفِرَةِ ۚ هُوَ أَعْلَمُ بِكُمْ إِذْ أَنْشَأَكُمْ مِنَ الْأَرْضِ وَإِذْ أَنْتُمْ أَجِنَّةٌ فِي بُطُونِ أُمَّهَاتِكُمْ ۖ فَلَا تُزَكُّوا أَنْفُسَكُمْ ۖ هُوَ أَعْلَمُ بِمَنِ اتَّقَىٰ

  33. أَفَرَأَيْتَ الَّذِي تَوَلَّىٰ

  34. وَأَعْطَىٰ قَلِيلًا وَأَكْدَىٰ

  35. أَعِنْدَهُ عِلْمُ الْغَيْبِ فَهُوَ يَرَىٰ

  36. أَمْ لَمْ يُنَبَّأْ بِمَا فِي صُحُفِ مُوسَىٰ

  37. وَإِبْرَاهِيمَ الَّذِي وَفَّىٰ

  38. أَلَّا تَزِرُ وَازِرَةٌ وِزْرَ أُخْرَىٰ

  39. وَأَنْ لَيْسَ لِلْإِنْسَانِ إِلَّا مَا سَعَىٰ

  40. وَأَنَّ سَعْيَهُ سَوْفَ يُرَىٰ

  41. ثُمَّ يُجْزَاهُ الْجَزَاءَ الْأَوْفَىٰ

  42. وَأَنَّ إِلَىٰ رَبِّكَ الْمُنْتَهَىٰ

  43. وَأَنَّهُ هُوَ أَضْحَكَ وَأَبْكَىٰ

  44. وَأَنَّهُ هُوَ أَمَاتَ وَأَحْيَا

  45. وَأَنَّهُ خَلَقَ الزَّوْجَيْنِ الذَّكَرَ وَالْأُنْثَىٰ

  46. مِنْ نُطْفَةٍ إِذَا تُمْنَىٰ

  47. وَأَنَّ عَلَيْهِ النَّشْأَةَ الْأُخْرَىٰ

  48. وَأَنَّهُ هُوَ أَغْنَىٰ وَأَقْنَىٰ

  49. وَأَنَّهُ هُوَ رَبُّ الشِّعْرَىٰ

  50. وَأَنَّهُ أَهْلَكَ عَادًا الْأُولَىٰ

  51. وَثَمُودَ فَمَا أَبْقَىٰ

  52. وَقَوْمَ نُوحٍ مِنْ قَبْلُ ۖ إِنَّهُمْ كَانُوا هُمْ أَظْلَمَ وَأَطْغَىٰ

  53. وَالْمُؤْتَفِكَةَ أَهْوَىٰ

  54. فَغَشَّاهَا مَا غَشَّىٰ

  55. فَبِأَيِّ آلَاءِ رَبِّكَ تَتَمَارَىٰ

  56. هَٰذَا نَذِيرٌ مِنَ النُّذُرِ الْأُولَىٰ

  57. أَزِفَتِ الْآزِفَةُ

  58. لَيْسَ لَهَا مِنْ دُونِ اللَّهِ كَاشِفَةٌ

  59. أَفَمِنْ هَٰذَا الْحَدِيثِ تَعْجَبُونَ

  60. وَتَضْحَكُونَ وَلَا تَبْكُونَ

  61. وَأَنْتُمْ سَامِدُونَ

  62. فَاسْجُدُوا لِلَّهِ وَاعْبُدُوا ۩

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Wannajmi izaa hawaa

  2. Maa dalla saahibukum wa maa ghawaa

  3. Wa maa yyantiqu 'anilhawaaa

  4. In huwa illaa Wahyuny yoohaa

  5. 'Allamahoo shadeedul quwaa

  6. Zoo mirratin fastawaa

  7. Wa huwa bil ufuqil a'laa

  8. Summa danaa fatadalla

  9. Fakaana qaaba qawsaini aw adnaa

  10. Fa awhaaa ilaa 'abdihee maaa awhaa

  11. Maa kazabal fu'aadu maa ra aa

  12. Afatumaaroonahoo 'alaa maayaraa

  13. Wa laqad ra aahu nazlatan ukhraa

  14. 'Inda sidratil muntaha

  15. 'Indahaa jannatul maawaa

  16. Iz yaghshas sidrata maa yaghshaa

  17. Maa zaaghal basaru wa maa taghaa

  18. Laqad ra aa min aayaati Rabbihil kubraaa

  19. Afara'aytumul laata wal 'uzzaa

  20. Wa manaatas saalisatal ukhraa

  21. A-lakumuz zakaru wa lahul unsaa

  22. Tilka izan qismatun deezaa

  23. In hiya illaaa asmaaa'un sammaitumoohaaa antum wa aabaaa'ukum maaa anzalal laahu bihaa min sultaan; inyyattabi'oona illaz zanna wa maa tahwal anfusu wa laqad jaaa'ahum mir Rabbihimul hudaa

  24. Am lil insaani maa taman naa

  25. Falillaahil aakhiratu wal oolaa

  26. Wa kam mim malakin fissamaawaati laa tughnee shafaa'atuhum shai'an illaa mim ba'di anyyaazanal laahu limany yashaaa'u wa yardaa

  27. Innal lazeena laa yu'minoona bil aakhirati la yusammoonal malaaa'ikata tasmiyatal unsaa

  28. Wa maa lahum bihee min 'ilmin iny yattabi'oona illaz zanna wa innaz zanna laa yughnee minal haqqi shai'aa

  29. Fa a'rid 'am man tawallaa 'an zikrinaa wa lam yurid illal hayaatad dunyaa

  30. Zalika mablaghuhum minal 'ilm; inna rabbaka huwa a'lamu biman dalla 'an sabee lihee wa huwa a'lamu bimanih tadaa

  31. Wa lillaahi maa fis samaawaati wa maa fil ardi liyajziyal lazeena asaaa'oo bimaa 'amiloo wa yajziyal lazeena ahsanoo bilhusnaa

  32. Allazeena yajtaniboona kabaaa'iral ismi walfawaa hisha illal lamam; inna rabbaka waasi'ul maghfirah; huwa a'lamu bikum iz ansha akum minal ardi wa iz antum ajinnatun fee butooni umma haatikum falaa tuzakkooo anfusakum huwa a'lamu bimanit taqaa

  33. Afara'ayatal lazee tawallaa

  34. Wa a'taa qaleelanw wa akdaa

  35. A'indahoo 'ilmul ghaibi fahuwa yaraa

  36. Am lam yunabbaa bimaa fee suhuhfi Moosa

  37. Wa Ibraaheemal lazee waffaaa

  38. Allaa taziru waaziratunw wizra ukhraa

  39. Wa al laisa lil insaani illaa maa sa'aa

  40. Wa anna sa'yahoo sawfa yuraa

  41. Summa yujzaahul jazaaa 'al awfaa

  42. Wa anna ilaa rabbikal muntahaa

  43. Wa annahoo huwa adhaka wa abkaa

  44. Wa annahoo huwa amaata wa ahyaa

  45. Wa annahoo khalaqaz zawjainiz zakara wal unsaa

  46. Min nutfatin izaa tumnaa

  47. Wa anna 'alaihin nash atal ukhraa

  48. Wa annahoo huwa aghnaa wa aqnaa

  49. Wa annahoo huwa rabbush shi'raa

  50. Wa annahooo ahlak a 'Aadanil oolaa

  51. Wa samooda famaaa abqaa

  52. Wa qawma Noohim min qablu innahum kaanoo hum azlama wa atghaa

  53. Wal mu'tafikata ahwaa

  54. Faghashshaahaa maa ghashshaa

  55. Fabi ayyi aalaaa'i Rabbika tatamaaraa

  56. Haazaa nazeerum minan nuzuril oolaa

  57. Azifatil aazifah

  58. Laisa lahaa min doonil laahi kaashifah

  59. Afamin hazal hadeesi ta'jaboon

  60. Wa tadhakoona wa laa tabkoon

  61. Wa antum saamidoon

  62. Fasjudoo lillaahi wa'budoo (make sajda)

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Qasam hai taare (star) ki jabke woh guroob hua.

2. Tumhara rafeeq (companion) na bhatka hai na behka(deluded) hai.

3. Woh apni khwahish-e-nafs se nahin bolta.

4. Yeh to ek wahee (Inspiration /revelation) hai jo uspar naazil ki jaati hai.

5. Usey zabardast quwwat wale ne taleem di hai.

6. Jo bada sahib-e-hikmat hai.

7. Woh saamne aa khada hua jabke woh baalaey ufuq par tha (highest part of the horizon).

8. Phir kareeb aaya aur upar muallak ho gaya (approached and descended).

9. Yahan tak ke do kamano (bow lengths) ke barabar ya is se kuch kam faasla reh gaya.

10. Tab usne Allah ke banday ko wahee (revelation) pahunchayi jo wahee (revelation) bhi usey pahunchani thi.

11. Nazar ne jo kuch dekha, dil ne usmein jhoot na milaya.

12. Ab kya tum us cheez par us se jhagadte ho jise woh aankhon se dekhta hai?

13. Aur ek martaba phir usne

14. Sidratul muntaha ke paas usko (Farishtey Jibrael) dekha.

15. Jahan paas hi jannat-ul-maawa hai.

16. Us waqt sidrah par chaa raha tha jo kuch ke chaa raha tha.

17. Nigaah na chundhyayi (waver / swerve) na hadd se mutajawiz (transgress) hui.

18. Aur usne apne Rubb ki badi badi nishaniyan dekhi.

19. Ab zara batao , tumne kabhi is Laat aur is Uzza (names of pagan idols)

20. Aur tisri (third) ek aur devi Manaat ki haqeeqat par kuch gaur bhi kiya?

21. Kya betay (sons) tumhare liye hain aur betiyan (daughters) khuda ke liye?

22. Yeh to badi dhandhli (unjust/unfair) ki takseem hui !

23. Darasal yeh kuch nahin hain magar bas chandh naam jo tumne aur tumhare baap dada ne rakh liye hain. Allah ne inke liye koi sanad naazil nahin ki. Haqeeat yeh hai ke log mehez weham-o-gumaan ki pairvi kar rahe hain aur khwahishaat-e-nafs ke mureed baney huey hain, halanke unke Rubb ki taraf se unke paas hidayat aa chuki hai.

24. Kya Insan jo kuch chaahe uske liye wahi haqq hai.

25. Duniya aur aakhirat ka maalik to Allah hi hai.

26. Aasmano mein kitne hi Farishte maujood hain, unki shafaa-at (intercession) kuch bhi kaam nahin aa sakti jab tak ke Allah kisi aise shaks ke haqq mein uski ijazat na de jiske liye woh koi arzdaasht (plea) sunna chahe aur usko pasand kare.

27. Magar jo log aakhirat ko nahin maante woh farishton ko deviyon (godess) ke naamo se mausoom karte hain.

28. Halaanke is maamle ka koi ilm (knowledge) unhein haasil nahin hai. Woh mehez gumaan ki pairvi kar rahe hain, aur gumaan haqq ki jagah kuch bhi kaam nahin de sakta.

29. Pas aey Nabi, jo shaks hamare zikr se mooh pherta hai, aur duniya ki zindagi ke siwa jise kuch matloob nahin hai, usey uske haal par chodh do.

30. In logon ka mablag-e-ilm (utmost of their knowledge) bas yahi kuch hai, yeh baat tera Rubb hi zyada jaanta hai ke uske raaste se kaun bhatak gaya hai aur kaun seedhe raaste par hai.

31. Aur zameen aur aasmaano ki har cheez ka maalik Allah hi hai. Taa-ke Allah burayi karne walon ko unke amal ka badla de aur un logon ko acchi jaza se nawaze jinhon ne neik rawayya ikhtiyar kiya hai.

32. Jo badey badey gunahon aur khule khule qabeeh afaal (shameful deeds) se parheiz karte hain, illa yeh ke kuch kasoor unse sarzad ho jaaye. Bila shubhah tere Rubb ka daaman-e-magfirat bahut waseeh hai. Woh tumhein us waqt se khoob jaanta hai jab usne zameen se tumhein paida kiya, aur jab tum apni maaon (mothers) ke paiton (wombs) mein abhi janin (fetuses) hi thay. Pas apne nafs ki paaki ke daawe na karo. Wahi behtar jaanta hai ke waqayi muttaqi kaun hai.

33. Phir aey Nabi, tumne us shaks ko bhi dekha jo raah-e-khuda se phir gaya.

34. Aur thoda sa dekar ruk gaya.

35. Kya uske paas gaib ka ilm hai ke woh haqeeqat ko dekh raha hai?

36. Kya usey un baaton ki koi khabar nahin pahunchi jo moosa ke saheefon

37. Aur us Ibrahim ke saheefon mein bayan hui hai jisne wafa ka haqq ada kardiya?

38. Yeh ke koi boojh uthane wala dusre ka boojh nahin uthayega.

39. Aur yeh ke Insan ke liye kuch nahin hai magar woh jiski usne saii(koshish /Strive) ki hai.

40. Aur yeh ke uski saii (koshih/strive/effort) anqareeb dekhi jayegi.

41. Aur uski poori jaza usey di jayegi.

42. Aur yeh ke aakhir-e-kaar pahunchna tere Rubb hi ke paas hai.

43. Aur yeh ke usi ne hasaya aur usi ne rulaya.

44. Aur yeh ke usi ne maut di aur usi ne zindagi bakshi.

45. Aur yeh ke usi ne narr (male) aur maada (female) ka joda paida kiya.

46. Ek boond (sperm-drop) se jab woh tapkayi jaati hai.

47. Aur yeh ke dusri zindagi bakshna bhi usi ke zimme hai.

48. Aur yeh ke usi ne gani (enriches) kiya aur jaidad bakshi.

49. Aur yeh ke wahi sheraa (Sirius / mighty star) ka Rubb hai.

50. Aur yeh ke usi ne Aad-e-oola (people of Aad) ko halaak kiya.

51. Aur samood ko aisa mitaya ke unmein se kisi ko baki na choda.

52. Aur unse pehle qaum-e-Nooh ko tabaah kiya kyunke woh thay hi sakht zalim-o-sarkash log.

53. Aur aundhi girne wali bastiyon ko utha phenka. (Qaum-e-Lut)

54. Phir chaa diya unpar woh kuch jo (tum jaante hi ho ke) kya chaa diya.

55. Pas aey mukhatib, apne Rubb ki kin kin niyamaton mein tu shakk karega?

56. Yeh ek tambeeh (warning) hai pehle aaye huey tambihaat(warnings) mein se.

57. Aane wali ghadi qareeb aa lagi hai.

58. Allah ke siwa koi usko hatane wala nahin.

59. Ab kya yahi woh baatein hain jinpar tum izhaar- e-taajub karte ho?

60. Hanste(laugh) ho aur rotey (weep) nahin ho?

61. Aur gaa (singing) bajaa kar inhein taalte ho?

62. Jhuk jao Allah ke aage aur bandagi baja laaoo (ayat-e-sajda)

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments