📖 Surah 52 At-Tur Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. وَالطُّورِ

  2. وَكِتَابٍ مَسْطُورٍ

  3. فِي رَقٍّ مَنْشُورٍ

  4. وَالْبَيْتِ الْمَعْمُورِ

  5. وَالسَّقْفِ الْمَرْفُوعِ

  6. وَالْبَحْرِ الْمَسْجُورِ

  7. إِنَّ عَذَابَ رَبِّكَ لَوَاقِعٌ

  8. مَا لَهُ مِنْ دَافِعٍ

  9. يَوْمَ تَمُورُ السَّمَاءُ مَوْرًا

  10. وَتَسِيرُ الْجِبَالُ سَيْرًا

  11. فَوَيْلٌ يَوْمَئِذٍ لِلْمُكَذِّبِينَ

  12. الَّذِينَ هُمْ فِي خَوْضٍ يَلْعَبُونَ

  13. يَوْمَ يُدَعُّونَ إِلَىٰ نَارِ جَهَنَّمَ دَعًّا

  14. هَٰذِهِ النَّارُ الَّتِي كُنْتُمْ بِهَا تُكَذِّبُونَ

  15. أَفَسِحْرٌ هَٰذَا أَمْ أَنْتُمْ لَا تُبْصِرُونَ

  16. اصْلَوْهَا فَاصْبِرُوا أَوْ لَا تَصْبِرُوا سَوَاءٌ عَلَيْكُمْ ۖ إِنَّمَا تُجْزَوْنَ مَا كُنْتُمْ تَعْمَلُونَ

  17. إِنَّ الْمُتَّقِينَ فِي جَنَّاتٍ وَنَعِيمٍ

  18. فَاكِهِينَ بِمَا آتَاهُمْ رَبُّهُمْ وَوَقَاهُمْ رَبُّهُمْ عَذَابَ الْجَحِيمِ

  19. كُلُوا وَاشْرَبُوا هَنِيئًا بِمَا كُنْتُمْ تَعْمَلُونَ

  20. مُتَّكِئِينَ عَلَىٰ سُرُرٍ مَصْفُوفَةٍ ۖ وَزَوَّجْنَاهُمْ بِحُورٍ عِينٍ

  21. وَالَّذِينَ آمَنُوا وَاتَّبَعَتْهُمْ ذُرِّيَّتُهُمْ بِإِيمَانٍ أَلْحَقْنَا بِهِمْ ذُرِّيَّتَهُمْ وَمَا أَلَتْنَاهُمْ مِنْ عَمَلِهِمْ مِنْ شَيْءٍ ۚ كُلُّ امْرِئٍ بِمَا كَسَبَ رَهِينٌ

  22. وَأَمْدَدْنَاهُمْ بِفَاكِهَةٍ وَلَحْمٍ مِمَّا يَشْتَهُونَ

  23. يَتَنَازَعُونَ فِيهَا كَأْسًا لَا لَغْوٌ فِيهَا وَلَا تَأْثِيمٌ

  24. وَيَطُوفُ عَلَيْهِمْ غِلْمَانٌ لَهُمْ كَأَنَّهُمْ لُؤْلُؤٌ مَكْنُونٌ

  25. وَأَقْبَلَ بَعْضُهُمْ عَلَىٰ بَعْضٍ يَتَسَاءَلُونَ

  26. قَالُوا إِنَّا كُنَّا قَبْلُ فِي أَهْلِنَا مُشْفِقِينَ

  27. فَمَنَّ اللَّهُ عَلَيْنَا وَوَقَانَا عَذَابَ السَّمُومِ

  28. إِنَّا كُنَّا مِنْ قَبْلُ نَدْعُوهُ ۖ إِنَّهُ هُوَ الْبَرُّ الرَّحِيمُ

  29. فَذَكِّرْ فَمَا أَنْتَ بِنِعْمَتِ رَبِّكَ بِكَاهِنٍ وَلَا مَجْنُونٍ

  30. أَمْ يَقُولُونَ شَاعِرٌ نَتَرَبَّصُ بِهِ رَيْبَ الْمَنُونِ

  31. قُلْ تَرَبَّصُوا فَإِنِّي مَعَكُمْ مِنَ الْمُتَرَبِّصِينَ

  32. أَمْ تَأْمُرُهُمْ أَحْلَامُهُمْ بِهَٰذَا ۚ أَمْ هُمْ قَوْمٌ طَاغُونَ

  33. أَمْ يَقُولُونَ تَقَوَّلَهُ ۚ بَلْ لَا يُؤْمِنُونَ

  34. فَلْيَأْتُوا بِحَدِيثٍ مِثْلِهِ إِنْ كَانُوا صَادِقِينَ

  35. أَمْ خُلِقُوا مِنْ غَيْرِ شَيْءٍ أَمْ هُمُ الْخَالِقُونَ

  36. أَمْ خَلَقُوا السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ ۚ بَلْ لَا يُوقِنُونَ

  37. أَمْ عِنْدَهُمْ خَزَائِنُ رَبِّكَ أَمْ هُمُ الْمُصَيْطِرُونَ

  38. أَمْ لَهُمْ سُلَّمٌ يَسْتَمِعُونَ فِيهِ ۖ فَلْيَأْتِ مُسْتَمِعُهُمْ بِسُلْطَانٍ مُبِينٍ

  39. أَمْ لَهُ الْبَنَاتُ وَلَكُمُ الْبَنُونَ

  40. أَمْ تَسْأَلُهُمْ أَجْرًا فَهُمْ مِنْ مَغْرَمٍ مُثْقَلُونَ

  41. أَمْ عِنْدَهُمُ الْغَيْبُ فَهُمْ يَكْتُبُونَ

  42. أَمْ يُرِيدُونَ كَيْدًا ۖ فَالَّذِينَ كَفَرُوا هُمُ الْمَكِيدُونَ

  43. أَمْ لَهُمْ إِلَٰهٌ غَيْرُ اللَّهِ ۚ سُبْحَانَ اللَّهِ عَمَّا يُشْرِكُونَ

  44. وَإِنْ يَرَوْا كِسْفًا مِنَ السَّمَاءِ سَاقِطًا يَقُولُوا سَحَابٌ مَرْكُومٌ

  45. فَذَرْهُمْ حَتَّىٰ يُلَاقُوا يَوْمَهُمُ الَّذِي فِيهِ يُصْعَقُونَ

  46. يَوْمَ لَا يُغْنِي عَنْهُمْ كَيْدُهُمْ شَيْئًا وَلَا هُمْ يُنْصَرُونَ

  47. وَإِنَّ لِلَّذِينَ ظَلَمُوا عَذَابًا دُونَ ذَٰلِكَ وَلَٰكِنَّ أَكْثَرَهُمْ لَا يَعْلَمُونَ

  48. وَاصْبِرْ لِحُكْمِ رَبِّكَ فَإِنَّكَ بِأَعْيُنِنَا ۖ وَسَبِّحْ بِحَمْدِ رَبِّكَ حِينَ تَقُومُ

  49. وَمِنَ اللَّيْلِ فَسَبِّحْهُ وَإِدْبَارَ النُّجُومِ

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Wat-Toor

  2. Wa kitaabim mastoor

  3. Fee raqqim manshoor

  4. Wal baitil ma'moor

  5. Wassaqfil marfoo'

  6. Wal bahril masjoor

  7. Inna 'azaaba Rabbika lawaaqi'

  8. Maa lahoo min daafi'

  9. Yawma tamoorus samaaa'u mawraa

  10. Wa taseerul jibaalu sairaa

  11. Fawailuny yawma 'izil lil mukaazzibeen

  12. Allazeena hum fee khawdiny yal'aboon

  13. Yawma yuda'-'oona ilaa naari jahannama da'-'aa

  14. Haazihin naarul latee kuntum bihaa tukazziboon

  15. Afasihrun haazaaaa am antum laa tubsiroon

  16. Islawhaa fasbirooo aw laa tasbiroo sawaaa'un 'alaikum innamaa tujzawna maa kuntum ta'maloon

  17. Innal muttaqeena fee jannaatinw wa na'eem

  18. Faakiheena bimaaa aataahum rabbuhum wa waqaahum rabbuhum 'azaabal jaheem

  19. Kuloo washraboo haneee 'am bimaa kuntum ta'maloon

  20. Muttaki'eena 'alaa sururim masfoofatinw wa zawwaj naahum bihoorin 'een

  21. Wallazeena aamanoo wattaba'at hum zurriyyatuhum bieemaanin alhaqnaa bihim zurriyyatahum wa maaa alatnaahum min 'amalihim min shai'; kullum ri'im bimaa kasaba raheen

  22. Wa amdadnaahum bifaa kihatinw wa lahmim mimmaa yashtahoon

  23. Yatanaaza'oona feehaa kaasal laa laghwun feehaa wa laa taaseem

  24. Wa yatoofu 'alaihim ghilmaanul lahum ka annahum lu'lu'um maknoon

  25. Wa aqbala ba'duhum 'alaa ba'diny yatasaaa'aloon

  26. Qaalooo innaa kunnaa qablu feee ahlinaa mushfiqeen

  27. Famannnal laahu 'alainaa wa waqaanaa 'azaabas samoom

  28. Innaa kunnaa min qablu nad'oohu innahoo huwal barrur raheem

  29. Fazakkir famaaa anta bini'mati rabbika bikaahininw wa laa majnoon

  30. Am yaqooloona shaa'irun natarabbasu bihee raibal manoon

  31. Qul tarabbasoo fa innee ma'akum minal mutarabbiseen

  32. Am taamuruhum ahlaamuhum bihaazaaa am hum qawmun taaghoon

  33. Am yaqooloona taqawwalah; bal laa yu'minoon

  34. Falyaatoo bihadeesim misliheee in kaanoo saadiqeen

  35. Am khuliqoo min ghairi shai'in am humul khaaliqoon

  36. Am khalaqus samaawaati wal ard; bal laa yooqinoon

  37. Am'indahum khazaaa'inu rabbika am humul musaitiroon

  38. Am lahum sullamuny yastami'oona feehi falyaati mustami'uhum bisultaanim mubeen

  39. Am lahul banaatu wa lakumul banoon

  40. Am tas'aluhum ajran fahum mim maghramim musqaloon

  41. Am 'indahumul ghaibu fahum yaktuboon

  42. Am yureedoona kaidan fallazeena kafaroo humul makeedoon

  43. Am lahum ilaahun ghairul laa; subhaanal laahi 'ammaa yushrikoon

  44. Wa iny yaraw kisfam minas samaaa'i saaqitany yaqooloo sahaabum markoom

  45. Fazarhum hatta yulaaqoo yawmahumul lazee feehi yus'aqoon

  46. Yawma laa yughnee 'anhum kaiduhum shai'anw wa laa hum yunsaroon

  47. Wa inna lillazeena zalamoo 'azaaban doona zalika wa laakinna aksarahum laa ya'lamoon

  48. Wasbir lihukmi rabbika fa innaka bi-a'yuninaa wa sabbih bihamdi rabbika heena taqoom

  49. Wa minal laili fasabbihhu wa idbaaran nujoom

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Qasam hai Tur (pahad ka naam) ki

2. Aur ek aisi khuli kitaab ki

3. Jo raqeeq jild (fine parchment) mein likkhi hui hai.

4. Aur aabaad (much-frequented) ghar ki.

5. Aur unchi chath (canopy) ki.

6. Aur mauj-zan samandar (swelling sea) ki.

7. Ke tere Rubb ka azaab zaroor waqeh hone wala hai.

8. Jise koi dafa karne wala nahin.

9. Woh us roz waqeh hoga jab aasmaan buri tarah dagmagayega.

10. Aur pahad udey udey phirenge.

11. Tabahi hai us roz un jhutlane walon ke liye.

12. Jo aaj khel ke taur par apni hujjat baaziyon mein lage huey hain.

13. Jis din unhein dhakke maar maar kar naar-e-jahannum (fire of hell) ki taraf le chala jayega.

14. Us waqt unse kaha jayega ke “ yeh wahi aag hai jise tum jhutlaya karte thay.

15. Ab batao yeh jaadu hai ya tumhein soojh nahin raha hai?

16. Jao ab jhulso iske andar, tum khwa sabr karo ya na karo, tumhare liye yaksan hai, tumhein waisa hi badla diya jaa raha hai jaise tum amal kar rahe thay.

17. Muttaqi log wahan baaghon (gardens) aur niyamaton mein honge.

18. Lutf le rahe honge un cheezon se jo unka Rubb unhein dega, aur unka Rubb unhein dozakh ke azaab se bacha lega.

19. (Unse kaha jayega) khao aur peo mazey se apne un aamaal ke siley mein jo tum karte rahe ho.

20. Woh aamne saamne bichey huey takhaton(thrones) par takiye(couches) lagaye baithe honge aur hum khoobsurat aankhon wali hoorein unse biyah (marry) denge.

21. Jo log iman laye hain aur unki aulad bhi kisi darja-e-imaan mein unke naksh-e-qadam par chali hai unki us aulad ko bhi hum (jannat mein) unke saath mila denge aur unke amaal mein koi ghaata(loss) unko na denge. Har shaks apne kasb ke aevaz rehan hai (Every person is pledged to what he did).

22. Hum unko har tarah ke phal (fruits) aur gosht , jis cheez ko bhi unka ji chahega khoob diye chale jayenge.

23. Wahan woh ek dusre se jaam-e-sharaab lapak lapak kar le rahe honge jis mein na yawa-goyi (ill speech) hogi na badh-kirdari.

24. Aur unki khidmat mein woh ladke daudte phir rahe honge jo unhi ke liye makhsoos honge, aise khoobsurat jaise chupa kar rakkhe huey moti.

25. Yeh log apas mein ek dusre se (duniya mein guzre huey) halaat puchenge.

26. Yeh kahenge ke hum pehle apne ghar walon mein darte huey zindagi basar karte thay.

27. Aakhir e kaar Allah ne hum par fazl farmaya aur humein jhulsa dene wali hawa ke azaab se bacha liya.

28. Hum pichli zindagi mein usi se duaein maangte thay, woh waqayi bada hi Mohsin (beneficent) aur Raheem hai.

29. Pas aey nabi, tum naseehat kiye jao, apne Rubb ke fazl se na tum kaahin (soothsayer) ho aur na majnoon (madman).

30. Kya yeh log kehte hain ke yeh shaks shayar hai jiske haqq mein hum gardish-e-ayyam (misfortune) ka intezaar kar rahe hain?

31. Inse kaho, accha intezaar karo, main bhi tumhare saath intezaar karta hoon.

32. Kya inki aqalein(minds) inhein aisi hi baatein karne ke liye kehti hain? Ya dar-haqeeqat yeh inaad (transgression) mein hadd se guzare huey log hain?

33. Kya yeh kehte hain ke is shaks ne yeh quraan khud ghadh (invented/fabricated) liya hai? Asal baat yeh hai ke yeh iman nahin lana chahte.

34. Agar yeh apne is qaul (saying) mein sacche hain to isi shaan ka ek kalaam bana layein.

35. Kya yeh kisi khaliq ke bagair khud paida ho gaye hain? Ya yeh khud apne khaliq hain?

36. Ya zameen aur aasmaano ko inhon ne paida kiya hai? Asal baat yeh hai ke yeh yaqeen nahin rakhte.

37. Kya tere Rubb ke khazane inke kabze mein hain? Ya unpar inhi ka hukm chalta hai?

38. Kya inke paas koi seedi(ladder) hai jispar chadh kar yeh ilm-e-baala ki sun-gun lete hain? In mein se jisne sun-gun li ho woh laye koi khuli daleel.

39. Kya Allah ke liye to hain betiyan aur tum logon ke liye hain betay (sons).

40. Kya tum inse koi ajar maangte ho ke yeh zabardasti padi hui chatti ke boojh taley dabey jaate hain (burdened with a load of debt)?

41. Kya inke paas gaib ke haqaiq ka ilm hai ke uski bina par yeh likh rahe hon?

42. Kya yeh koi chaal chalna chahte hain? (agar yeh baat hai) to kufr karne walon par inki chaal ulti hi padegi.

43. Kya Allah ke siwa yeh koi aur maabood rakhte hain? Allah paak hai us shirk se jo yeh log kar rahe hain.

44. Yeh log aasmaan ke tukde bhi girte huey dekh lein to kahenge yeh baadal hain jo umdey chale aa rahe hain.

45. Pas aey nabi, inhein inke haal par chodh do yahan tak ke yeh apne us din ko pahunch jayein jismein yeh maar giraye jayenge.

46. Jis din na inki apni koi chaal inke kisi kaam aayegi na koi inki madad ko aayega.

47. Aur us waqt ke aane se pehle bhi zalimon ke liye ek azaab hai, magar in mein se aksar jaante nahin hain.

48. Aey Nabi , apne Rubb ka faisla aane tak sabr karo. Tum hamari nigaah mein ho. Tum jab utho to apne Rubb ki hamd ke saath uski tasbeeh karo.

49. Raat ko bhi uski tasbeeh kiya karo aur sitare jab palat-te hain us waqt bhi.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments