📖 Surah 50 Qaf Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- ق ۚ وَالْقُرْآنِ الْمَجِيدِ
- بَلْ عَجِبُوا أَنْ جَاءَهُمْ مُنْذِرٌ مِنْهُمْ فَقَالَ الْكَافِرُونَ هَٰذَا شَيْءٌ عَجِيبٌ
- أَإِذَا مِتْنَا وَكُنَّا تُرَابًا ۖ ذَٰلِكَ رَجْعٌ بَعِيدٌ
- قَدْ عَلِمْنَا مَا تَنْقُصُ الْأَرْضُ مِنْهُمْ ۖ وَعِنْدَنَا كِتَابٌ حَفِيظٌ
- بَلْ كَذَّبُوا بِالْحَقِّ لَمَّا جَاءَهُمْ فَهُمْ فِي أَمْرٍ مَرِيجٍ
- أَفَلَمْ يَنْظُرُوا إِلَى السَّمَاءِ فَوْقَهُمْ كَيْفَ بَنَيْنَاهَا وَزَيَّنَّاهَا وَمَا لَهَا مِنْ فُرُوجٍ
- وَالْأَرْضَ مَدَدْنَاهَا وَأَلْقَيْنَا فِيهَا رَوَاسِيَ وَأَنْبَتْنَا فِيهَا مِنْ كُلِّ زَوْجٍ بَهِيجٍ
- تَبْصِرَةً وَذِكْرَىٰ لِكُلِّ عَبْدٍ مُنِيبٍ
- وَنَزَّلْنَا مِنَ السَّمَاءِ مَاءً مُبَارَكًا فَأَنْبَتْنَا بِهِ جَنَّاتٍ وَحَبَّ الْحَصِيدِ
- وَالنَّخْلَ بَاسِقَاتٍ لَهَا طَلْعٌ نَضِيدٌ
- رِزْقًا لِلْعِبَادِ ۖ وَأَحْيَيْنَا بِهِ بَلْدَةً مَيْتًا ۚ كَذَٰلِكَ الْخُرُوجُ
- كَذَّبَتْ قَبْلَهُمْ قَوْمُ نُوحٍ وَأَصْحَابُ الرَّسِّ وَثَمُودُ
- وَعَادٌ وَفِرْعَوْنُ وَإِخْوَانُ لُوطٍ
- وَأَصْحَابُ الْأَيْكَةِ وَقَوْمُ تُبَّعٍ ۚ كُلٌّ كَذَّبَ الرُّسُلَ فَحَقَّ وَعِيدِ
- أَفَعَيِينَا بِالْخَلْقِ الْأَوَّلِ ۚ بَلْ هُمْ فِي لَبْسٍ مِنْ خَلْقٍ جَدِيدٍ
- وَلَقَدْ خَلَقْنَا الْإِنْسَانَ وَنَعْلَمُ مَا تُوَسْوِسُ بِهِ نَفْسُهُ ۖ وَنَحْنُ أَقْرَبُ إِلَيْهِ مِنْ حَبْلِ الْوَرِيدِ
- إِذْ يَتَلَقَّى الْمُتَلَقِّيَانِ عَنِ الْيَمِينِ وَعَنِ الشِّمَالِ قَعِيدٌ
- مَا يَلْفِظُ مِنْ قَوْلٍ إِلَّا لَدَيْهِ رَقِيبٌ عَتِيدٌ
- وَجَاءَتْ سَكْرَةُ الْمَوْتِ بِالْحَقِّ ۖ ذَٰلِكَ مَا كُنْتَ مِنْهُ تَحِيدُ
- وَنُفِخَ فِي الصُّورِ ۚ ذَٰلِكَ يَوْمُ الْوَعِيدِ
- وَجَاءَتْ كُلُّ نَفْسٍ مَعَهَا سَائِقٌ وَشَهِيدٌ
- لَقَدْ كُنْتَ فِي غَفْلَةٍ مِنْ هَٰذَا فَكَشَفْنَا عَنْكَ غِطَاءَكَ فَبَصَرُكَ الْيَوْمَ حَدِيدٌ
- وَقَالَ قَرِينُهُ هَٰذَا مَا لَدَيَّ عَتِيدٌ
- أَلْقِيَا فِي جَهَنَّمَ كُلَّ كَفَّارٍ عَنِيدٍ
- مَنَّاعٍ لِلْخَيْرِ مُعْتَدٍ مُرِيبٍ
- الَّذِي جَعَلَ مَعَ اللَّهِ إِلَٰهًا آخَرَ فَأَلْقِيَاهُ فِي الْعَذَابِ الشَّدِيدِ
- قَالَ قَرِينُهُ رَبَّنَا مَا أَطْغَيْتُهُ وَلَٰكِنْ كَانَ فِي ضَلَالٍ بَعِيدٍ
- قَالَ لَا تَخْتَصِمُوا لَدَيَّ وَقَدْ قَدَّمْتُ إِلَيْكُمْ بِالْوَعِيدِ
- مَا يُبَدَّلُ الْقَوْلُ لَدَيَّ وَمَا أَنَا بِظَلَّامٍ لِلْعَبِيدِ
- يَوْمَ نَقُولُ لِجَهَنَّمَ هَلِ امْتَلَأْتِ وَتَقُولُ هَلْ مِنْ مَزِيدٍ
- وَأُزْلِفَتِ الْجَنَّةُ لِلْمُتَّقِينَ غَيْرَ بَعِيدٍ
- هَٰذَا مَا تُوعَدُونَ لِكُلِّ أَوَّابٍ حَفِيظٍ
- مَنْ خَشِيَ الرَّحْمَٰنَ بِالْغَيْبِ وَجَاءَ بِقَلْبٍ مُنِيبٍ
- ادْخُلُوهَا بِسَلَامٍ ۖ ذَٰلِكَ يَوْمُ الْخُلُودِ
- لَهُمْ مَا يَشَاءُونَ فِيهَا وَلَدَيْنَا مَزِيدٌ
- وَكَمْ أَهْلَكْنَا قَبْلَهُمْ مِنْ قَرْنٍ هُمْ أَشَدُّ مِنْهُمْ بَطْشًا فَنَقَّبُوا فِي الْبِلَادِ هَلْ مِنْ مَحِيصٍ
- إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَذِكْرَىٰ لِمَنْ كَانَ لَهُ قَلْبٌ أَوْ أَلْقَى السَّمْعَ وَهُوَ شَهِيدٌ
- وَلَقَدْ خَلَقْنَا السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ وَمَا بَيْنَهُمَا فِي سِتَّةِ أَيَّامٍ وَمَا مَسَّنَا مِنْ لُغُوبٍ
- فَاصْبِرْ عَلَىٰ مَا يَقُولُونَ وَسَبِّحْ بِحَمْدِ رَبِّكَ قَبْلَ طُلُوعِ الشَّمْسِ وَقَبْلَ الْغُرُوبِ
- وَمِنَ اللَّيْلِ فَسَبِّحْهُ وَأَدْبَارَ السُّجُودِ
- وَاسْتَمِعْ يَوْمَ يُنَادِ الْمُنَادِ مِنْ مَكَانٍ قَرِيبٍ
- يَوْمَ يَسْمَعُونَ الصَّيْحَةَ بِالْحَقِّ ۚ ذَٰلِكَ يَوْمُ الْخُرُوجِ
- إِنَّا نَحْنُ نُحْيِي وَنُمِيتُ وَإِلَيْنَا الْمَصِيرُ
- يَوْمَ تَشَقَّقُ الْأَرْضُ عَنْهُمْ سِرَاعًا ۚ ذَٰلِكَ حَشْرٌ عَلَيْنَا يَسِيرٌ
- نَحْنُ أَعْلَمُ بِمَا يَقُولُونَ ۖ وَمَا أَنْتَ عَلَيْهِمْ بِجَبَّارٍ ۖ فَذَكِّرْ بِالْقُرْآنِ مَنْ يَخَافُ وَعِيدِ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Qaaaf; wal Qur aanil Majeed
- Bal 'ajibooo an jaa'ahum munzirum minhum faqaalal kaafiroona haazaa shai'un 'ajeeb
- 'A-izaa mitnaa wa kunnaa turaaban zaalika raj'um ba'eed
- Qad 'alimnaa maa tanqu-sul-ardu minhum wa 'indanaa Kitaabun Hafeez
- Bal kazzaboo bilhaqqi lammaa jaaa'ahum fahum feee amrim mareej
- Afalam yanzurooo ilas samaaa'i fawqahum kaifa banainaahaa wa zaiyannaahaa wa maa lahaa min furooj
- Wal arda madadnaahaa wa alqainaa feehaa rawaasiya wa ambatnaa feehaa min kulli zawjim baheej
- Tabsiratanw wa zikraa likulli 'abdim muneeb
- Wa nazzalnaa minas samaaa'i maaa'am mubaarakan fa ambatnaa bihee jannaatinw wa habbal haseed
- Wannakhla baasiqaatil laha tal'un nadeed
- Rizqal lil'ibaad, wa ahyainaa bihee baldatam maitaa; kazaalikal khurooj
- Kazzabat qablahum qawmu Noohinw wa Ashaabur Rassi wa Samood
- Wa 'Aadunw wa Fir'awnu wa ikhwaanu loot
- Wa Ashaabul Aykati wa qawmu Tubba'; kullun kazzabar Rusula fahaqqa wa'eed
- Afa'a yeenaa bilkhalqil awwal; bal hum fee labsim min khalqin jadeed
- Wa laqad khalaqnal insaana wa na'lamu maa tuwaswisu bihee nafsuhoo wa Nahnu aqrabu ilaihi min hablil wareed
- 'Iz yatalaqqal mutalaqqi yaani 'anil yameeni wa 'anish shimaali qa'eed
- Maa yalfizu min qawlin illaa ladaihi raqeebun 'ateed
- Wa jaaa'at sakratul mawti bilhaqq; zaalika maa kunta minhu taheed
- Wa nufikha fis Soor; zaalika yawmul wa'eed
- Wa jaaa'at kullu nafsim ma'ahaa saaa'iqunw wa shaheed
- Laqad kunta fee ghaf latim min haazaa fakashafnaa 'anka ghitaaa'aka fabasarukal yawma hadeed
- Wa qaala qareenuhoo haazaa maa ladaiya 'ateed
- Alqiyaa fee Jahannama kulla kaffaarin 'aneed
- Mannaa'il lilkhayri mu'tadim mureeb
- Allazee ja'ala ma'al laahi ilaahan aakhara fa alqiyaahu fil'azaabish shadeed
- Qaala qareenuhoo Rabbanaa maaa atghaituhoo wa laakin kaana fee dalaalin ba'eed
- Qaala laa takhtasimoo ladaayya wa qad qaddamtu ilaikum bilwa'eed
- Maa yubaddalul qawlu ladaiya wa maaa ana bizal laamil lil'abeed
- Yawma naqoolu li'jahannama halim talaati wa taqoolu hal mim mazeed
- Wa uzlifatil jannatu lil muttaqeena ghaira ba'eed
- Haaza maa too'adoona likulli awwaabin hafeez
- Man khashiyar Rahmaana bilghaibi wa jaaa'a biqalbim muneeb
- Udkhuloohaa bisalaamin zaalika yawmul khulood
- Lahum maa yashaaa'oona feehaa wa ladainaa mazeed
- Wa kam ahlaknaa qablahum min qarnin hum ashaddu minhum batshan fanaqqaboo fil bilaad, hal mim mahees
- Inna fee zaalika lazikraa liman kaana lahoo qalbun aw alqas sam'a wa huwa shaheed
- Wa laqad khalaqnas samaawaati wal arda wa maa bainahumaa fee sittati ayyaamin wa maa massanaa mil lughoob
- Fasbir 'alaa maa yaqooloona wa sabbih bihamdi Rabbika qabla tuloo'ish shamsi wa qablal ghuroob
- Wa minal laili fasabbih hu wa adbaaras sujood
- Wastami' yawma yunaa dil munaadi mim makaanin qareeb
- Yawma yasmaoonas sai hata bilhaqq zaalika yawmul khurooj
- Innaa Nahnu nuhyee wa numeetu wa ilainal maseer
- Yawma tashaqqaqul ardu 'anhum siraa'aa; zaalika hashrun 'alainaa yaseer
- Nahnu a'lamu bimaa yaqooloona wa maaa anta 'alaihim bijabbaarin fazakkir bil quraani many yakhaafu wa'eed
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Qaaf, Qasam hai quran-e-majeed ki2. Balke in logon ko taajub is baat par hua ke ek khabardaar karne wala khud inhi mein se inke paas aa gaya, phir munkireen kehne lage “yeh to ajeeb baat hai
3. Kya jab hum mar jayenge aur khaak (mitti) ho jayenge (to dobara uthaye jayenge)? Yeh wapasi to aqal se baeed hai”
4. Zameen inke jism mein se jo kuch khati hai woh sab hamare ilm mein hai aur hamare paas ek kitaab hai jismein sab kuch mehfooz hai.
5. Balke in logon ne to jis waqt haqq inke paas aaya usi waqt usey saaf jhutla diya. Isi wajah se ab yeh uljhan mein padey huey hain.
6. Accha, to kya inhon ne kabhi apne upar aasmaan ki taraf nahin dekha? Kis tarah humne usey banaya aur aarasta (zeenat/ beautify) kiya, aur usmein kahin koi rakhna(cracks/rifts) nahin hai.
7. Aur zameen ko humne bichaya aur is mein pahad jamaye aur uske andar har taraah ki khush manzar nabataat uga di.
8. Yeh saari cheezein aankhein kholne wali aur sabaq dene wali hain har us banday ke liye jo (haqq ki taraf) rujoo karne wala ho.
9. Aur aasmaan se humne barkat wala pani naazil kiya,phir us se baagh aur fasal ke galley.
10. Aur buland-o-baala khajoor ke darakht paida kardiye jinpar phalon(fruits) se ladey khoshey teh-bar-teh lagte (fruit arranged in layers) hain.
11. Yeh intizaam hai bandon ko rizq dene ka, is pani se hum ek murda zameen ko zindagi baksh dete hain (mare huey Insano ka zameen se) nikalna bhi isi tarah hoga.
12. Inse pehle Nooh ki qaum, aur ashab-ur-rass ,aur Samood
13. Aur Aad, aur Firoun , aur Lut ke bhai
14. Aur aykah (Companions of the Wood/thick forest") wale, aur tubba ki qaum ke log bhi jhutla chuke hain har ek ne Rasoolon ko jhutlaya , aur aakhir e kaar meri waeed (threat) unpar chaspan ho gayi.
15. Kya pehli baar ki takhleeq (creation) se hum aajiz (worn out) thay? Magar ek nayi takhleeq ki taraf se yeh log shakk mein padey huey hain.
16. Humne Insan ko paida kiya hai aur uske dil mein ubharne wale waswason tak ko hum jaante hain. Hum to uski rag-e-gardan (jugular vein) se bhi zyada us se qareeb hain.
17. (aur hamare is barah-e-raast ilm ke alawa)do kaatib (Likhne wale) uske dayein aur bayein baithe (farishte) har cheez sabt (likh) kar rahe hain.
18. Koi lafz uski zubaan se nahin nikalta jise mehfooz karne ke liye ek haazir baash nigraan maujood na ho.
19. Phir dekho, woh maut ki jaan-kani (agony of death) haqq lekar aa pahunchi, yeh wahi cheez hai jisse tu bhaaghta tha.
20. Aur phir sur (trumpet) phoonka gaya, yeh hai woh din jiska tujhe khauf dilaya jata tha.
21. Har shaks is haal mein aa gaya ke uske saath ek hank (drive) kar laane wala hai aur ek gawahi dene wala.
22. Is cheez ki taraf se tu gaflat mein tha, humne woh purda hata diya jo tere aage pada hua tha aur aaj teri nigaah khoob teiz hai.
23. Uske saathi ne arz kiya yeh jo meri supurdgi mein tha haazir hai.
24. Hukum diya gaya “phenk do jahannum mein har katte (hardened, stubborn) kafir ko jo haqq se inaad rakhta tha
25. Khair ko roakne wala aur hadd se tajawuz (exceeds the limits) karne wala tha, shakk mein pada hua tha.
26. Aur Allah ke saath kisi dusre ko khuda banaye baitha tha. Daal do usey sakht azaab mein”
27. Uske saathi ne arz kiya “khuda-wanda, maine isko sarkash nahin banaya balke yeh khud hi parle darje ki gumraahi mein pada hua tha”
28. Jawab mein irshad hua “mere huzoor jhagda na karo, main tumko pehle hi anjaam-e-badd se khabardaar kar chuka tha.
29. Mere haan (yahan) baat palti nahin jaati aur main apne bandon par zulm todhne wala nahin hoon”
30. Woh din jabke hum jahannum se puchenge kya tu bhar gayi? Aur woh kahegi kya aur kuch hai?
31. Aur Jannat muttaqin ke qareeb le aayi jayegi, kuch bhi dur na hogi.
32. Irshad hoga “yeh hai woh cheez jiska tumse waada kiya jata tha, har us shaks ke liye jo bahut rujoo karne wala aur badi nigehdaasht (watchful of his conduct) karne wala tha.
33. Jo bay dekhe Rehman se darta tha, aur jo dil-e-girwida liye huey aaya hai,
34. Dakhil ho jao Jannat mein salamati ke saath” woh din hayat-e-abadi (eternity) ka din hoga.
35. Wahan unke liye woh sab kuch hoga jo woh chahenge, aur hamare paas is se zyada bhi bahut kuch unke liye hai.
36. Hum unse pehle bahut si qaumon ko halaak kar chuke hain jo inse bahut zyada taaqatwar thi aur duniya ke mulkon ko unhon ne chaan maara tha phir kya woh koi jaaye panaah paa sakey?
37. Is tareekh mein ibrat ka sabaq hai har us shaks ke liye jo dil rakhta ho, ya jo tawajju se baat ko suney.
38. Humne zameen aur aasmaano ko aur unke darmiyan ki saari cheezon ko chey(six) dino mein paida kardiya aur humein koi thakaan laahiq na hui.
39. Pas aey Nabi, jo baatein yeh log banate hain unpar sabr karo, aur apne Rubb ki hamd ke saath uski tasbeeh karte raho, tulu-e-aftaab (rising of the sun ) aur guroob-e-aftaab (before its setting ) se pehle.
40. Aur raat ke waqt phir uski tasbeeh karo aur sajda reizion se faarig hone ke baad bhi (wake of prostration).
41. Aur suno, jis din munadi (pukaar) karne wala (har shaks ke) qareeb hi se pukarega.
42. Jis din sab log aawaza-e-hashar ko theek theek sun rahe honge, woh zameen se murdon ke nikalne ka din hoga.
43. Hum hi zindagi bakshte hain aur hum hi maut dete hain, aur hamari hi taraf us din sabko palatna hai.
44. Jab zameen phategi log uske andar se nikal kar teiz teiz bhage jaa rahe honge. Yeh hashar hamare liye bahut aasaan hai.
45. Aey Nabi, jo baatein yeh log bana rahe hain unhein hum khoob jaante hain, aur tumhara kaam inse jabran (zabardasti) baat manwana nahin hai. Bas tum is Quran ke zariye se har us shaks ko naseehat kardo jo meri tambeeh (warning) se dare.
Comments
Post a Comment