📖 Surah 49 Al-Hujurat Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تُقَدِّمُوا بَيْنَ يَدَيِ اللَّهِ وَرَسُولِهِ ۖ وَاتَّقُوا اللَّهَ ۚ إِنَّ اللَّهَ سَمِيعٌ عَلِيمٌ
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَرْفَعُوا أَصْوَاتَكُمْ فَوْقَ صَوْتِ النَّبِيِّ وَلَا تَجْهَرُوا لَهُ بِالْقَوْلِ كَجَهْرِ بَعْضِكُمْ لِبَعْضٍ أَنْ تَحْبَطَ أَعْمَالُكُمْ وَأَنْتُمْ لَا تَشْعُرُونَ
- إِنَّ الَّذِينَ يَغُضُّونَ أَصْوَاتَهُمْ عِنْدَ رَسُولِ اللَّهِ أُولَٰئِكَ الَّذِينَ امْتَحَنَ اللَّهُ قُلُوبَهُمْ لِلتَّقْوَىٰ ۚ لَهُمْ مَغْفِرَةٌ وَأَجْرٌ عَظِيمٌ
- إِنَّ الَّذِينَ يُنَادُونَكَ مِنْ وَرَاءِ الْحُجُرَاتِ أَكْثَرُهُمْ لَا يَعْقِلُونَ
- وَلَوْ أَنَّهُمْ صَبَرُوا حَتَّىٰ تَخْرُجَ إِلَيْهِمْ لَكَانَ خَيْرًا لَهُمْ ۚ وَاللَّهُ غَفُورٌ رَحِيمٌ
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِنْ جَاءَكُمْ فَاسِقٌ بِنَبَإٍ فَتَبَيَّنُوا أَنْ تُصِيبُوا قَوْمًا بِجَهَالَةٍ فَتُصْبِحُوا عَلَىٰ مَا فَعَلْتُمْ نَادِمِينَ
- وَاعْلَمُوا أَنَّ فِيكُمْ رَسُولَ اللَّهِ ۚ لَوْ يُطِيعُكُمْ فِي كَثِيرٍ مِنَ الْأَمْرِ لَعَنِتُّمْ وَلَٰكِنَّ اللَّهَ حَبَّبَ إِلَيْكُمُ الْإِيمَانَ وَزَيَّنَهُ فِي قُلُوبِكُمْ وَكَرَّهَ إِلَيْكُمُ الْكُفْرَ وَالْفُسُوقَ وَالْعِصْيَانَ ۚ أُولَٰئِكَ هُمُ الرَّاشِدُونَ
- فَضْلًا مِنَ اللَّهِ وَنِعْمَةً ۚ وَاللَّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٌ
- وَإِنْ طَائِفَتَانِ مِنَ الْمُؤْمِنِينَ اقْتَتَلُوا فَأَصْلِحُوا بَيْنَهُمَا ۖ فَإِنْ بَغَتْ إِحْدَاهُمَا عَلَى الْأُخْرَىٰ فَقَاتِلُوا الَّتِي تَبْغِي حَتَّىٰ تَفِيءَ إِلَىٰ أَمْرِ اللَّهِ ۚ فَإِنْ فَاءَتْ فَأَصْلِحُوا بَيْنَهُمَا بِالْعَدْلِ وَأَقْسِطُوا ۖ إِنَّ اللَّهَ يُحِبُّ الْمُقْسِطِينَ
- إِنَّمَا الْمُؤْمِنُونَ إِخْوَةٌ فَأَصْلِحُوا بَيْنَ أَخَوَيْكُمْ ۚ وَاتَّقُوا اللَّهَ لَعَلَّكُمْ تُرْحَمُونَ
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا يَسْخَرْ قَوْمٌ مِنْ قَوْمٍ عَسَىٰ أَنْ يَكُونُوا خَيْرًا مِنْهُمْ وَلَا نِسَاءٌ مِنْ نِسَاءٍ عَسَىٰ أَنْ يَكُنَّ خَيْرًا مِنْهُنَّ ۖ وَلَا تَلْمِزُوا أَنْفُسَكُمْ وَلَا تَنَابَزُوا بِالْأَلْقَابِ ۖ بِئْسَ الِاسْمُ الْفُسُوقُ بَعْدَ الْإِيمَانِ ۚ وَمَنْ لَمْ يَتُبْ فَأُولَٰئِكَ هُمُ الظَّالِمُونَ
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اجْتَنِبُوا كَثِيرًا مِنَ الظَّنِّ إِنَّ بَعْضَ الظَّنِّ إِثْمٌ ۖ وَلَا تَجَسَّسُوا وَلَا يَغْتَبْ بَعْضُكُمْ بَعْضًا ۚ أَيُحِبُّ أَحَدُكُمْ أَنْ يَأْكُلَ لَحْمَ أَخِيهِ مَيْتًا فَكَرِهْتُمُوهُ ۚ وَاتَّقُوا اللَّهَ ۚ إِنَّ اللَّهَ تَوَّابٌ رَحِيمٌ
- يَا أَيُّهَا النَّاسُ إِنَّا خَلَقْنَاكُمْ مِنْ ذَكَرٍ وَأُنْثَىٰ وَجَعَلْنَاكُمْ شُعُوبًا وَقَبَائِلَ لِتَعَارَفُوا ۚ إِنَّ أَكْرَمَكُمْ عِنْدَ اللَّهِ أَتْقَاكُمْ ۚ إِنَّ اللَّهَ عَلِيمٌ خَبِيرٌ
- قَالَتِ الْأَعْرَابُ آمَنَّا ۖ قُلْ لَمْ تُؤْمِنُوا وَلَٰكِنْ قُولُوا أَسْلَمْنَا وَلَمَّا يَدْخُلِ الْإِيمَانُ فِي قُلُوبِكُمْ ۖ وَإِنْ تُطِيعُوا اللَّهَ وَرَسُولَهُ لَا يَلِتْكُمْ مِنْ أَعْمَالِكُمْ شَيْئًا ۚ إِنَّ اللَّهَ غَفُورٌ رَحِيمٌ
- إِنَّمَا الْمُؤْمِنُونَ الَّذِينَ آمَنُوا بِاللَّهِ وَرَسُولِهِ ثُمَّ لَمْ يَرْتَابُوا وَجَاهَدُوا بِأَمْوَالِهِمْ وَأَنْفُسِهِمْ فِي سَبِيلِ اللَّهِ ۚ أُولَٰئِكَ هُمُ الصَّادِقُونَ
- قُلْ أَتُعَلِّمُونَ اللَّهَ بِدِينِكُمْ وَاللَّهُ يَعْلَمُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ ۚ وَاللَّهُ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيمٌ
- يَمُنُّونَ عَلَيْكَ أَنْ أَسْلَمُوا ۖ قُلْ لَا تَمُنُّوا عَلَيَّ إِسْلَامَكُمْ ۖ بَلِ اللَّهُ يَمُنُّ عَلَيْكُمْ أَنْ هَدَاكُمْ لِلْإِيمَانِ إِنْ كُنْتُمْ صَادِقِينَ
- إِنَّ اللَّهَ يَعْلَمُ غَيْبَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۚ وَاللَّهُ بَصِيرٌ بِمَا تَعْمَلُونَ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Yaa ayyuhal lazeena aamanoo la tuqaddimoo baina yada yil laahi wa Rasoolihee wattaqul laah; innal laaha samee'un 'Aleem
- Yaa ayyuhal lazeena aamanoo laa tarfa'ooo aswaatakum fawqa sawtin Nabiyi wa laa tajharoo lahoo bilqawli kajahri ba'dikum liba 'din an tahbata a 'maalukum wa antum laa tash'uroon
- Innal lazeena yaghud doona aswaatahum 'inda Rasoolil laahi ulaaa'ikal lazeenam tah anal laahu quloobahum littaqwaa; lahum maghfiratunw wa'ajrun 'azeem
- Innal lazeena yunaadoo naka minw waraaa'il hujuraati aksaruhum laa ya'qiloon
- Wa law annahum sabaroo hatta takhruja ilaihim lakaana khairal lahum; wallaahu Ghafoorur Raheem
- Yaaa ayyuhal lazeena aamanoo in jaaa'akum faasiqum binaba in fatabaiyanooo an tuseeboo qawmam bijahalatin fatusbihoo 'alaa maa fa'altum naadimeen
- Wa'lamooo anna feekum Rasoolal laah; law yutee'ukum fee kaseerim minal amrila'anittum wa laakinnal laaha habbaba ilaikumul eemaana wa zaiyanahoo fee quloobikum wa karraha ilaikumul kufra walfusooqa wal'isyaan; ulaaaika humur raashidoon
- Fadlam minal laahi wa ni'mah; wallaahu 'Aleemun Hakeem
- Wa in taaa'ifataani minal mu'mineena naqtataloo fa aslihoo bainahumaa; fa-im baghat ihdaahumaa 'alal ukhraa faqaatilul latee tabghee hattaa tafeee'a ilaaa amril laah; fa-in faaa'at fa aslihoo bainahumaa bil'adli wa aqsitoo, innal laaha yuhibbul muqsiteen
- Innamal mu'minoona ikhwatun fa aslihoo baina akhawaykum wattaqul laaha la'allakum turhamoon (section 1)
- Yaaa ayyuhal lazeena aamanoo laa yaskhar qawmum min qawmin 'asaaa anyyakoonoo khairam minhum wa laa nisaaa'um min nisaaa'in 'Asaaa ay yakunna khairam minhunna wa laa talmizooo anfusakum wa laa tanaabazoo bil alqaab; bi'sal ismul fusooqu ba'dal eemaan; wa mal-lam yatub fa-ulaaa'ika humuz zaalimoon
- Yaaa ayyuhal lazeena aamanuj taniboo kaseeram minaz zanni inna ba'daz zanniismunw wa laa tajassasoo wa la yaghtab ba'dukum ba'daa; a yuhibbu ahadukum any yaakula lahma akheehi maitan fakarih tumooh; wattaqul laa; innal laaha tawwaabur Raheem
- Yaaa ayyuhan naasu innaa khalaqnaakum min zakarinw wa unsaa wa ja'alnaakum shu'oobanw wa qabaaa'ila lita'aarafoo inna akramakum 'indal laahi atqaakum innal laaha 'Aleemun khabeer
- Qaalatil-A 'raabu aamannaa qul lam tu'minoo wa laakin qoolooo aslamnaa wa lamma yadkhulil eemaanu fee quloobikum wa in tutee'ul laaha wa Rasoolahoo laa yalitkum min a'maalikum shai'aa; innal laaha Ghafoorur Raheem
- Innamal muu'minoonal lazeena aamanoo billaahi wa Rasoolihee summa lam yartaaboo wa jaahadoo biamwaalihim wa anfusihim fee sabeelil laah; ulaaaika humus saadiqoon
- Qul atu'allimoonal laaha bideenikum wallaahu ya'lamu maa fis samaawaati wa maa fil ard; wallaahu bikulli shai'in 'Aleem
- Yamunnoona 'alaika an aslamoo qul laa tamunnoo 'alaiya Islaamakum balillaahu yamunnu 'alaikum an hadaakum lil eemaani in kuntum saadiqeen
- Innal laaha ya'lamu ghaibas samaawaati wal ard; wallaahu baseerum bimaa ta'maloon (section 2)
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Aey logon jo iman laye ho, Allah aur uske Rasool ke aage pesh qadmi na karo aur Allah se daro, Allah sab kuch sunne aur jaanne wala hai.2. Aey logon jo iman laye ho, apni aawaz Nabi ki awaaz se buland na karo, aur na Nabi ke saath unchi aawaz se baat kiya karo jis tarah tum aapas mein ek dusre se karte ho, kahin aisa na ho ke tumhara kiya karaya sab gharat ho jaaye (deeds become vain) aur tumhein khabar bhi na ho.
3. Jo log Rasool-e-khuda ke huzoor baat karte huey apni aawaz pastt rakhte hain woh dar haqeeqat wahi log hai jinke dilon ko Allah ne takwa ke liye jaanch liya hai. Unke liye magfirat hai aur ajr-e- azeem.
4. Aey Nabi, jo log tumhein hujron(apartments) ke bahar se pukarte hain unmein se aksar be-aqal hain.
5. Agar woh tumhare baramad hone tak sabr karte to unhi ke liye behtar tha, Allah darguzar karne wala aur Raheem hai.
6. Aey logon jo iman laye ho, agar koi faasiq tumhare paas koi khabar lekar aaye to tehqeek karliya karo, kahin aisa na ho ke tum kisi giroh ko nadanishta(unintentionally) nuksaan pahuncha baitho aur phir apne kiye par pashemaan ho.
7. Khoob jaan rakkho ke tumhare darmiyaan Allah ka Rasool maujood hai. Agar woh bahut se maamelaat mein tumhari baat maan liya kare, to tum khud hi mushkilaat mein mubtala ho jao. Magar Allah ne tumko iman ki muhabbat di aur usko tumhare liye dil pasand bana diya, aur kufr-o-fusuk aur nafarmani se tumko mutanaffir(abhorrent) kardiya.
8. Aise hi log Allah ke fazl o ehsaan se raast-ro hain aur Allah Aleem-o-Hakeem(All-Knowing, All-Wise) hai.
9. Aur agar ehle iman mein se do giroh aapas mein ladh jayein, to unke darmiyan sulah (peace) karao. Phir agar unmein se ek giroh dusre giroh se zyadati kare, to zyadati karne wale se ladho yahan tak ke woh Allah ke hukm ki taraf palat aaye. Phir agar woh palat aaye, to unke darmiyan adal ke saath sulah kara do, aur insaaf karo ke Allah insaaf karne walon ko pasand karta hai.
10. Momin to ek dusre ke bhai hain, lihaza apne bhaiyon ke darmiyaan taaluqat ko durust karo aur Allah se daro, umeed hai ke tumpar reham kiya jayega.
11. Aey logon jo iman laye ho, na mard dusre mardon ka mazaaq udayein, ho sakta hai ke woh unse behtar hon, aur na auratein dusri auraton ka mazaaq udayein, ho sakta hai ke woh unse behtar hon. Aapas mein ek dusre par taan na karo, aur na ek dusre ko bure alaqab (titles) se yaad karo. iman laane ke baad fisq mein naam paida karna bahut buri baat hai. Jo log is rawish se baaz na aayein wahi zalim hain.
12. Aey logon jo iman laye ho, bahut gumaan (suspicion) karne se parheiz karo ke baaz gumaan (suspicion) gunaah hote hain. Tajassus (jasusi) na karo aur tum mein se koi kisi ki geebat na kare. kya tumhare andar koi aisa hai jo apne mare (dead) huey bhai ka gosht khana pasand karega? Dekho, tum khud is se gheen khate ho. Allah se daro, Allah bada tauba qabool karne wala aur Raheem hai.
13. Logon, humne tumko ek Mard aur ek Aurat se paida kiya aur phir tumhari qaumein aur biradariyan bana di taa-ke tum ek dusre ko pehchano. Dar haqeeqat Allah ke nazdeek tum mein sabse zyada izzat wala woh hai jo tumhare andar sabse zyada parheizgaar hai. Yaqeenan Allah sab kuch jaan-ne wala aur baakhabar hai.
14. Yeh badwi (Bedouins) kehte hain ke “hum iman laye” inse kaho: “tum iman nahin laye, balke yun kaho ke hum muti (submissive) ho gaye” iman abhi tumhare dilon mein daakhil nahin hua hai. Agar tum Allah aur uske Rasool ki farmabardaari ikhtiyar karlo to woh tumhare amaal ke ajr mein koi kami na karega.Yakeenan Allah bada darguzar karne wala aur Raheem hai.
15. Haqeeqat mein to momin woh hain jo Allah aur uske Rasool par iman laye phir unhon ne koi shakk na kiya aur apne jaano aur maalon se Allah ki raah mein jihad kiya, wahi sacche log hain.
16. Aey Nabi, In [mudaiyaan e iman (pretenders to faith)] se kaho, kya tum Allah ko apne deen ki ittilah de rahe ho? Halanke Allah zameen aur Aasmano ki har cheez ko jaanta hai aur woh har shay ka ilm rakhta hai.
17. Yeh log tumpar ehsan jatate hain ke inhon ne Islam qabool karliya. inse kaho apne Islam ka ehsan mujhpar na rakkho , balke Allah tumpar apna ehsan rakhta hai ke usne tumhein iman ki hidayat di agar tum waqayi apne daawa-e-imaan mein sacche ho.
18. Allah zameen aur aasmano ki har poshida(hidden) cheez ka ilm rakhta hai aur jo kuch tum karte ho woh sab uski nigaah mein hai.
Comments
Post a Comment