📖 Surah 48 Al-Fath Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- إِنَّا فَتَحْنَا لَكَ فَتْحًا مُبِينًا
- لِيَغْفِرَ لَكَ اللَّهُ مَا تَقَدَّمَ مِنْ ذَنْبِكَ وَمَا تَأَخَّرَ وَيُتِمَّ نِعْمَتَهُ عَلَيْكَ وَيَهْدِيَكَ صِرَاطًا مُسْتَقِيمًا
- وَيَنْصُرَكَ اللَّهُ نَصْرًا عَزِيزًا
- هُوَ الَّذِي أَنْزَلَ السَّكِينَةَ فِي قُلُوبِ الْمُؤْمِنِينَ لِيَزْدَادُوا إِيمَانًا مَعَ إِيمَانِهِمْ ۗ وَلِلَّهِ جُنُودُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۚ وَكَانَ اللَّهُ عَلِيمًا حَكِيمًا
- لِيُدْخِلَ الْمُؤْمِنِينَ وَالْمُؤْمِنَاتِ جَنَّاتٍ تَجْرِي مِنْ تَحْتِهَا الْأَنْهَارُ خَالِدِينَ فِيهَا وَيُكَفِّرَ عَنْهُمْ سَيِّئَاتِهِمْ ۚ وَكَانَ ذَٰلِكَ عِنْدَ اللَّهِ فَوْزًا عَظِيمًا
- وَيُعَذِّبَ الْمُنَافِقِينَ وَالْمُنَافِقَاتِ وَالْمُشْرِكِينَ وَالْمُشْرِكَاتِ الظَّانِّينَ بِاللَّهِ ظَنَّ السَّوْءِ ۚ عَلَيْهِمْ دَائِرَةُ السَّوْءِ ۖ وَغَضِبَ اللَّهُ عَلَيْهِمْ وَلَعَنَهُمْ وَأَعَدَّ لَهُمْ جَهَنَّمَ ۖ وَسَاءَتْ مَصِيرًا
- وَلِلَّهِ جُنُودُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۚ وَكَانَ اللَّهُ عَزِيزًا حَكِيمًا
- إِنَّا أَرْسَلْنَاكَ شَاهِدًا وَمُبَشِّرًا وَنَذِيرًا
- لِتُؤْمِنُوا بِاللَّهِ وَرَسُولِهِ وَتُعَزِّرُوهُ وَتُوَقِّرُوهُ وَتُسَبِّحُوهُ بُكْرَةً وَأَصِيلًا
- إِنَّ الَّذِينَ يُبَايِعُونَكَ إِنَّمَا يُبَايِعُونَ اللَّهَ يَدُ اللَّهِ فَوْقَ أَيْدِيهِمْ ۚ فَمَنْ نَكَثَ فَإِنَّمَا يَنْكُثُ عَلَىٰ نَفْسِهِ ۖ وَمَنْ أَوْفَىٰ بِمَا عَاهَدَ عَلَيْهُ اللَّهَ فَسَيُؤْتِيهِ أَجْرًا عَظِيمًا
- سَيَقُولُ لَكَ الْمُخَلَّفُونَ مِنَ الْأَعْرَابِ شَغَلَتْنَا أَمْوَالُنَا وَأَهْلُونَا فَاسْتَغْفِرْ لَنَا ۚ يَقُولُونَ بِأَلْسِنَتِهِمْ مَا لَيْسَ فِي قُلُوبِهِمْ ۚ قُلْ فَمَنْ يَمْلِكُ لَكُمْ مِنَ اللَّهِ شَيْئًا إِنْ أَرَادَ بِكُمْ ضَرًّا أَوْ أَرَادَ بِكُمْ نَفْعًا ۚ بَلْ كَانَ اللَّهُ بِمَا تَعْمَلُونَ خَبِيرًا
- بَلْ ظَنَنْتُمْ أَنْ لَنْ يَنْقَلِبَ الرَّسُولُ وَالْمُؤْمِنُونَ إِلَىٰ أَهْلِيهِمْ أَبَدًا وَزُيِّنَ ذَٰلِكَ فِي قُلُوبِكُمْ وَظَنَنْتُمْ ظَنَّ السَّوْءِ وَكُنْتُمْ قَوْمًا بُورًا
- وَمَنْ لَمْ يُؤْمِنْ بِاللَّهِ وَرَسُولِهِ فَإِنَّا أَعْتَدْنَا لِلْكَافِرِينَ سَعِيرًا
- وَلِلَّهِ مُلْكُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۚ يَغْفِرُ لِمَنْ يَشَاءُ وَيُعَذِّبُ مَنْ يَشَاءُ ۚ وَكَانَ اللَّهُ غَفُورًا رَحِيمًا
- سَيَقُولُ الْمُخَلَّفُونَ إِذَا انْطَلَقْتُمْ إِلَىٰ مَغَانِمَ لِتَأْخُذُوهَا ذَرُونَا نَتَّبِعْكُمْ ۖ يُرِيدُونَ أَنْ يُبَدِّلُوا كَلَامَ اللَّهِ ۚ قُلْ لَنْ تَتَّبِعُونَا كَذَٰلِكُمْ قَالَ اللَّهُ مِنْ قَبْلُ ۖ فَسَيَقُولُونَ بَلْ تَحْسُدُونَنَا ۚ بَلْ كَانُوا لَا يَفْقَهُونَ إِلَّا قَلِيلًا
- قُلْ لِلْمُخَلَّفِينَ مِنَ الْأَعْرَابِ سَتُدْعَوْنَ إِلَىٰ قَوْمٍ أُولِي بَأْسٍ شَدِيدٍ تُقَاتِلُونَهُمْ أَوْ يُسْلِمُونَ ۖ فَإِنْ تُطِيعُوا يُؤْتِكُمُ اللَّهُ أَجْرًا حَسَنًا ۖ وَإِنْ تَتَوَلَّوْا كَمَا تَوَلَّيْتُمْ مِنْ قَبْلُ يُعَذِّبْكُمْ عَذَابًا أَلِيمًا
- لَيْسَ عَلَى الْأَعْمَىٰ حَرَجٌ وَلَا عَلَى الْأَعْرَجِ حَرَجٌ وَلَا عَلَى الْمَرِيضِ حَرَجٌ ۗ وَمَنْ يُطِعِ اللَّهَ وَرَسُولَهُ يُدْخِلْهُ جَنَّاتٍ تَجْرِي مِنْ تَحْتِهَا الْأَنْهَارُ ۖ وَمَنْ يَتَوَلَّ يُعَذِّبْهُ عَذَابًا أَلِيمًا
- لَقَدْ رَضِيَ اللَّهُ عَنِ الْمُؤْمِنِينَ إِذْ يُبَايِعُونَكَ تَحْتَ الشَّجَرَةِ فَعَلِمَ مَا فِي قُلُوبِهِمْ فَأَنْزَلَ السَّكِينَةَ عَلَيْهِمْ وَأَثَابَهُمْ فَتْحًا قَرِيبًا
- وَمَغَانِمَ كَثِيرَةً يَأْخُذُونَهَا ۗ وَكَانَ اللَّهُ عَزِيزًا حَكِيمًا
- وَعَدَكُمُ اللَّهُ مَغَانِمَ كَثِيرَةً تَأْخُذُونَهَا فَعَجَّلَ لَكُمْ هَٰذِهِ وَكَفَّ أَيْدِيَ النَّاسِ عَنْكُمْ وَلِتَكُونَ آيَةً لِلْمُؤْمِنِينَ وَيَهْدِيَكُمْ صِرَاطًا مُسْتَقِيمًا
- وَأُخْرَىٰ لَمْ تَقْدِرُوا عَلَيْهَا قَدْ أَحَاطَ اللَّهُ بِهَا ۚ وَكَانَ اللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرًا
- وَلَوْ قَاتَلَكُمُ الَّذِينَ كَفَرُوا لَوَلَّوُا الْأَدْبَارَ ثُمَّ لَا يَجِدُونَ وَلِيًّا وَلَا نَصِيرًا
- سُنَّةَ اللَّهِ الَّتِي قَدْ خَلَتْ مِنْ قَبْلُ ۖ وَلَنْ تَجِدَ لِسُنَّةِ اللَّهِ تَبْدِيلًا
- وَهُوَ الَّذِي كَفَّ أَيْدِيَهُمْ عَنْكُمْ وَأَيْدِيَكُمْ عَنْهُمْ بِبَطْنِ مَكَّةَ مِنْ بَعْدِ أَنْ أَظْفَرَكُمْ عَلَيْهِمْ ۚ وَكَانَ اللَّهُ بِمَا تَعْمَلُونَ بَصِيرًا
- هُمُ الَّذِينَ كَفَرُوا وَصَدُّوكُمْ عَنِ الْمَسْجِدِ الْحَرَامِ وَالْهَدْيَ مَعْكُوفًا أَنْ يَبْلُغَ مَحِلَّهُ ۚ وَلَوْلَا رِجَالٌ مُؤْمِنُونَ وَنِسَاءٌ مُؤْمِنَاتٌ لَمْ تَعْلَمُوهُمْ أَنْ تَطَئُوهُمْ فَتُصِيبَكُمْ مِنْهُمْ مَعَرَّةٌ بِغَيْرِ عِلْمٍ ۖ لِيُدْخِلَ اللَّهُ فِي رَحْمَتِهِ مَنْ يَشَاءُ ۚ لَوْ تَزَيَّلُوا لَعَذَّبْنَا الَّذِينَ كَفَرُوا مِنْهُمْ عَذَابًا أَلِيمًا
- إِذْ جَعَلَ الَّذِينَ كَفَرُوا فِي قُلُوبِهِمُ الْحَمِيَّةَ حَمِيَّةَ الْجَاهِلِيَّةِ فَأَنْزَلَ اللَّهُ سَكِينَتَهُ عَلَىٰ رَسُولِهِ وَعَلَى الْمُؤْمِنِينَ وَأَلْزَمَهُمْ كَلِمَةَ التَّقْوَىٰ وَكَانُوا أَحَقَّ بِهَا وَأَهْلَهَا ۚ وَكَانَ اللَّهُ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيمًا
- لَقَدْ صَدَقَ اللَّهُ رَسُولَهُ الرُّؤْيَا بِالْحَقِّ ۖ لَتَدْخُلُنَّ الْمَسْجِدَ الْحَرَامَ إِنْ شَاءَ اللَّهُ آمِنِينَ مُحَلِّقِينَ رُءُوسَكُمْ وَمُقَصِّرِينَ لَا تَخَافُونَ ۖ فَعَلِمَ مَا لَمْ تَعْلَمُوا فَجَعَلَ مِنْ دُونِ ذَٰلِكَ فَتْحًا قَرِيبًا
- هُوَ الَّذِي أَرْسَلَ رَسُولَهُ بِالْهُدَىٰ وَدِينِ الْحَقِّ لِيُظْهِرَهُ عَلَى الدِّينِ كُلِّهِ ۚ وَكَفَىٰ بِاللَّهِ شَهِيدًا
- مُحَمَّدٌ رَسُولُ اللَّهِ ۚ وَالَّذِينَ مَعَهُ أَشِدَّاءُ عَلَى الْكُفَّارِ رُحَمَاءُ بَيْنَهُمْ ۖ تَرَاهُمْ رُكَّعًا سُجَّدًا يَبْتَغُونَ فَضْلًا مِنَ اللَّهِ وَرِضْوَانًا ۖ سِيمَاهُمْ فِي وُجُوهِهِمْ مِنْ أَثَرِ السُّجُودِ ۚ ذَٰلِكَ مَثَلُهُمْ فِي التَّوْرَاةِ ۚ وَمَثَلُهُمْ فِي الْإِنْجِيلِ كَزَرْعٍ أَخْرَجَ شَطْأَهُ فَآزَرَهُ فَاسْتَغْلَظَ فَاسْتَوَىٰ عَلَىٰ سُوقِهِ يُعْجِبُ الزُّرَّاعَ لِيَغِيظَ بِهِمُ الْكُفَّارَ ۗ وَعَدَ اللَّهُ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ مِنْهُمْ مَغْفِرَةً وَأَجْرًا عَظِيمًا
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Innaa fatahnaa laka Fatham Mubeenaa
- Liyaghfira lakal laahu maa taqaddama min zambika wa maa ta akhkhara wa yutimma ni'matahoo 'alaika wa yahdiyaka siraatan mustaqeema
- Wa yansurakal laahu nasran 'azeezaa
- Huwal lazeee anzalas sakeenata fee quloobil mu'mineena liyazdaadooo eemaanamma'a eemaanihim; wa lillaahi junoodus samawaati wal ard; wa kaanal laahu 'Aleeman Hakeemaa
- Liyudkhilal mu'mineena walmu'minaati jannaatin tajree min tahtihal anhaaru khaalideena feehaa wa yukaffira 'anhum saiyi aatihim; wa kaana zaalika 'indal laahi fawzan 'azeemaa
- Wa yu'azzibal munaafiqeena walmunaafiqaati wal mushrikeena walmushrikaatiz zaaanneena billaahi zannas saw'; 'alaihim daaa'iratus saw'i wa ghadibal laahu 'alaihim wa la'anahum wa a'adda lahum jahannama wa saaa' at maseeraa
- Wa lillaahi junoodus samaawaati wal ard; wa kaanal laahu 'azeezan hakeema
- Innaaa arsalnaaka shaahi danw wa mubashshiranw wa nazeera
- Litu minoo billaahi wa Rasoolihee wa tu'azziroohu watuwaqqiroohu watusabbi hoohu bukratanw wa aseelaa
- Innal lazeena yubaayi'oonaka innamaa yubaayi'oonal laaha yadul laahi fawqa aydeehim; faman nakasa fainnamaa yankusu 'alaa nafsihee wa man awfaa bimaa 'aahada 'alaihullaaha fasa yu'teehi ajran 'azeemaa (section 1)
- Sa yaqoolu lakal mukhal lafoona minal-A'raabi shaighalatnaaa amwaalunaa wa ahloonaa fastaghfir lanaa; yaqooloona bi alsinatihim maa laisa fee quloobihim; qul famany yamliku lakum minal laahi shai'an in araada bikum darran aw araada bikum naf'aa; bal kaanal laahu bimaa ta'maloona Khabeeraa
- Bal zanantum al lany yanqalibar Rasoolu walmu'minoona ilaaa ahleehim abadanw wa zuyyina zaalika fee quloobikum wa zanantum zannnas saw'i wa kuntum qawmam booraa
- Wa mal lam yu'mim billaahi wa Rasoolihee fainnaaa a'tadnaa lilkaafireena sa'eeraa
- Wa lillaahii mulkus samaawaati wal ard; yaghfiru limany yashaaa'u wa yu'azzibu many yashaaa'; wa kaanal laahu Ghafoorar Raheemaa
- Sa yaqoolul mukhalla foona izan talaqtum ilaa maghaanima litaakhuzoohaa zaroonaa nattabi'kum yureedoona any yubaddiloo Kalaamallaah; qul lan tattabi'oonaa kazaalikum qaalal laahu min qablu fasa yaqooloona bal tahsudoonanna; bal kaanoo laa yafqahoona illaa qaleela
- Qul lilmukhallafeena minal A'raabi satud'awna ilaa qawmin ulee baasin shadeedin tuqaati loonahum aw yuslimoona fa in tutee'oo yu'tikumul laahu ajran hasananw wa in tatawallaw kamaa tawallaitum min qablu yu'azzibkum 'azaaban aleemaa
- Laisa 'alal a'maa harajunw wa laa 'alal a'raji harajunw wa laa 'alal mareedi haraj' wa many yutil'il laaha wa Rasoolahoo yudkhilhu jannaatin tajree min tahtihal anhaaru wa many yatawalla yu'azzibhu 'azaaban aleemaa (section 2)
- Laqad radiyal laahu 'anil mu'mineena iz yubaayi 'oonaka tahtash shajarati fa'alima maa fee quloobihim fa anzalas sakeenata 'alaihim wa asaa bahum fat han qareebaa
- Wa maghaanima kaseera tany yaakhuzoonahaa; wa kaanal laahu 'Azeezan Hakeemaa
- Wa'adakumul laahu ma ghaanima kaseeratan taakhuzoo nahaa fa'ajjala lakum haazihee wa kaffa aydiyan naasi 'ankum wa litakoona aayatal lilmu'mineena wa yahdiyakum siraatam mustaqeema
- Wa ukhraa lam taqdiroo 'alaihaa qad ahaatal laahu bihaa; wa kaanal laahu 'alaa kulli shai'in qadeera
- Wa law qaatalakumul lazeena kafaroo la wallawul adbaara summa laa yajidoona waliyanw-wa laa naseeraa
- Sunnatal laahil latee qad khalat min qablu wa lan tajida lisunnatil laahi tabdeelaa
- Wa Huwal lazee kaffa aydiyahum 'ankum wa aydiyakum 'anhum bibatni Makkata mim ba'di an azfarakum 'alaihim; wa kaanal laahu bimaa ta'maloona Baseera
- Humul lazeena kafaroo wa saddookum 'anil-Masjidil-Haraami walhadya ma'koofan any yablugha mahillah; wa law laa rijaalum mu'minoona wa nisaaa'um mu'minaatul lam ta'lamoohum an tata'oohum fatuseebakum minhum ma'arratum bighairi 'ilmin liyud khilal laahu fee rahmatihee many yashaaa'; law tazayyaloo la'azzabnal lazeena kafaroo minhum 'azaaban aleema
- Iz ja'alal lazeena kafaroo fee quloobihimul hamiyyata hamiyyatal jaahiliyyati fa anzalal laahu sakeenatahoo 'alaa Rasoolihee wa 'alal mu mineena wa alzamahum kalimatat taqwaa wa kaanooo ahaqqa bihaa wa ahlahaa; wa kaanal laahu bikulli shai'in Aleema (section 3)
- Laqad sadaqal laahu Rasoolahur ru'yaa bilhaqq, latadkhulunnal Masjidal-Haraama in shaaa'al laahu aamineena muhalliqeena ru'oosakum wa muqassireena laa takhaafoona fa'alima maa lam ta'lamoo faja'ala min dooni zaalika fathan qareebaa
- Huwal lazeee arsala Rasoolahoo bilhudaa wa deenil haqqi liyuzhirahoo 'alad deeni kullih; wa kafaa billaahi Shaheeda
- Muhammadur Rasoolul laah; wallazeena ma'ahooo ashiddaaa'u 'alal kuffaaari ruhamaaa'u bainahum taraahum rukka'an sujjadany yabtaghoona fadlam minal laahi wa ridwaana seemaahum fee wujoohihim min asaris sujood; zaalika masaluhum fit tawraah; wa masaluhum fil Injeeli kazar'in akhraja shat 'ahoo fa 'aazarahoo fastaghlaza fastawaa 'alaa sooqihee yu'jibuz zurraa'a liyagheeza bihimul kuffaar; wa'adal laahul lazeena aamanoo wa 'amilus saalihaati minhum maghfiratanw wa ajran 'azeemaa (section 4)
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Aey Nabi, humne tumko khuli fatah ata kardi.2. Taa-ke Allah tumhari agli pichli har Kotahi (shortcomings) se dargurzar farmaye, aur tumpar apni niyamat ki takmeel (poori) karde, aur tumhein seedha raasta dikhaye.
3. Aur tumko zabardast nusrat bakhshey
4. Wahi hai jisne momino ke dilon mein sakinat (Tranquility) naazil farmayi taa-ke apne iman ke saath woh ek iman aur bada lein. Zameen aur aasmano ke sab lashkar Allah ke kabza-e-qudrat mein hain, aur woh Aleem o Hakeem hai.
5. (Usne yeh kaam is liye kiya hai) taa-ke momin mardon aur auraton ko hamesha rehne ke liye aisi jannaton mein daakhil farmaye jinke nichey nehrein beh rahi hongi aur unki buraiyan unse dur karde. Allah ke nazdeek yeh badi kamiyabi hai.
6. Aur un munafiq mardon aur auraton aur mushrik mardon aur auraton ko saza de jo Allah ke mutaliq bure gumaan rakhte hain. Burayi ke phair mein woh khud hi aa gaye hain, Allah ka gazab unpar hua aur usne unpar laanat ki aur unke liye jahannum muhayya kardi jo bahut hi bura thikana hai.
7. Zameen aur aasamano ke lashkar Allah hi ke qabza-e-qudrat mein hain aur woh zabardast aur hakeem(wise) hai.
8. Aey Nabi hunme tumko shahadat(witness) dene wala basharat(good news) dene wala aur khabardaar kardene wala bana kar bheja hai.
9. Taa-ke aey logon , tum Allah aur uske Rasool par iman lao aur uska saath do, uski taazim-o-tauqeer(support him, and revere him ) karo aur subah o shaam uski tasbeeh karte raho.
10. Aey Nabi, jo log tumse bayt kar rahe thay (pledge allegiance to you) woh dar-asal Allah se bayt kar rahe thay. Unke haath par Allah ka haath tha. Ab jo is ahad ko todeyga uski ahad shikani ka wabal uski apni hi zaat par hoga, aur jo us ahad ko wafa karega jo usne Allah se kiya hai, Allah ankqareeb usko bada ajar ata farmayega.
11. Aey Nabi, badwi (bedouns) arabon mein se jo log pichey chodh diye gaye thay ab woh aa kar zaroor tumse kahenge ke humein apne amwal aur baal bacchon ki fikr ne mashgul kar rakkha tha. Aap hamare liye magfirat ki dua famayein. Yeh log apni zubaano se woh baatein kehte hain jo unke dilon mein nahin hoti. Unse kehna “acha, yahi baat hai to kaun tumhare maamle mein Allah ke faisle ko roak dene ka kuch bhi ikhtiyar rakhta hai agar woh tumhein koi nuksan pahunchana chahe ya nafa bakshna chahe? Tumhare aamal se to Allah hi ba-khabar hai.
12. (Magar asal baat woh nahin hai jo tum keh rahe ho) balke tumne yun samjha ke Rasool aur mominin apne ghar walon mein hargiz palat kar na aa sakenge aur yeh khayal tumhare dilon ko bahut bhala laga. Aur tumne bahut bure gumaan kiye aur tum sakht badh batin (immensely evil) log ho”.
13. Allah aur uske Rasool par jo log iman na rakhte hon aise kafiron ke liye humne bhadakti aag muhaiyya kar rakkhi hai.
14. Aasmano aur zameen ki badshahi ka maalik Allah hi hai. Jise chahe maaf kare aur jise chahe saza de. Aur woh Gafoor o Raheem hai.
15. Jab tum maal-e-ganimat haasil karne ke liye jaane lagoge to yeh pichey chodey jaane wale log tumse zaroor kahenge ke humein bhi apne saath chalne do. Yeh chahte hain ke Allah ke farmaan ko badal dein. Inse saaf keh dena ke “Tum hargiz hamare saath nahin chal sakte. Allah pehle hi yeh farma chuka hai” yeh kahenge ke “nahin, balke tum log humse hasad kar rahe ho” (halanke baat hasad ki nahin hai) balke yeh log sahih baat ko kam hi samajhte hain.
16. In pichey chodey jaane wale badwi(bedouin) arabon se kehna ke “ankareeb tumhein aise logon se ladne ke liye bulaya jayega jo badey zoarawar hain. Tumko unse jung karni hogi ya woh mutii (surrender) ho jayenge us waqt agar tumne hukm e jihad ki itaat ki to Allah tumhein accha ajar dega. Aur agar tum phir usi tarah mooh moad gaye jis tarah pehle moad chuke ho to Allah tumko dardnaak saza dega.
17. Agar andha aur langda aur mareez jihad ke liye na aaye to koi harj nahin. Jo koi Allah aur uske Rasool ki itaat karega Allah usey un jannaton mein daakhil karega jinke nichey nehrein beh rahi hongi, aur jo mooh pherega usey woh dardnaak azaab dega”
18. Allah momino se khush ho gaya jab woh darakht ke nichey tumse bayt (allegiance) kar rahe thay. Unke dilon ka haal usko maloom tha. is liye usne unpar sakinat(inner peace) naazil farmayi, unko inaam mein qareebi fatah bakshi.
19. Aur bahut sa maal-e-ganimat unhein ata kardiya jise woh (anqareeb) haasil karenge. Allah zabardast aur hakeem(wise) hai.
20. Allah tumse ba-kasrat amwal-e-ganimat ka waada karta hai jinhein tum haasil karoge. Fauri taur par to yeh fatah usne tumhein ata kardi aur logon ke haath tumhare khilaf uthne se roak diye, taa-ke yeh momino ke liye ek nishani ban jaaye aur Allah seedhe raaste ki taraf tumhein hidayat bakshe.
21. Iske alawa dusre aur ganimaton ka bhi woh tumse waada karta hai jinpar tum abhi tak qaadir nahin huey ho aur Allah ne inko gher rakkha hai, Allah har cheez par qaadir hai.
22. Yeh kafir log agar is waqt tumse ladd gaye hote to yaqeenan peeth pher jaate aur koi haami o madadgaar na paatey.
23. Yeh Allah ki sunnat hai jo pehle se chali aa rahi hai aur tum Allah ki sunnat mein koi tabdili na paoge.
24. Wahi hai jisne Makkah ki waadi mein unke haath tumse aur tumhare haath unse roak diye, halanke woh unpar tumhein galaba ata kar chuka tha aur jo kuch tum kar rahe thay Allah usey dekh raha tha.
25. Whai log to hain jinhon ne kufr kiya aur tumko masjid e haraam se roka aur haadi(qurbani) ke Unton (camels) ko unki qurbani ki jagah na pahunchne diya. Agar (Makkah mein) aise momin Mard o aurat maujood na hotay jinhein tum nahin jaante, aur yeh khatra na hota ke nadanastagi mein tum unhein pamaal kardoge aur us se tumpar haraf aayega (to jung na roaki jati. roaki woh is liye gayi) taa-ke Allah apni rehmat mein jisko chahe daakhil karle. Woh momin alag ho gaye hote to (ehle Makkah mein se) jo kafir thay unko hum zaroor sakht saza dete.
26. (Yahi wajah hai ke) jab in kafiron ne apne dilon mein jaahilana(ignorant) hamiyat bitha li to Allah ne apne Rasool aur momino par sakinat naazil farmayi aur momino ko taqwa ki baat ka paband rakkha, ke wahi uske zyada haqqdar aur uske ahel thay. Allah har cheez ka ilm rakhta hai.
27. Fil waqeh Allah ne apne Rasool ko saccha khwab dikhaya tha jo theek theek haqq ke mutabiq tha. Insha Allah tum zaroor masjid e haraam mein pooray aman ke saath daakhil honge, apne sar mundwaogey (shave) aur baal tarashwaogey aur tumhein koi khauf na hoga. Woh us baat ko jaanta tha jise tum na jaante thay is liye woh khwab poora hone se pehle usne yeh qareebi fatah tumko ata farmadi.
28. Woh Allah hi hai jisne apne Rasool ko hidayat aur deen e haqq ke saath bheja hai taa-ke usko pooray jins-e-din par gaalib karde (prevail over every religion) aur is haqeeqat par Allah ki gawahi kafi hai.
29. Muhammad Allah ke Rasool hain, aur jo log unke saath hain woh kuffar par sakht aur aapas mein raheem hain. Tum jab dekhoge unhein ruku va sujood aur Allah ke fazl aur uski khushnudi ki talab mein mashgul paoge. Sujood ke asarat unke chehron par maujood hain jinse woh alag pehchane jaate hain. Yeh hai unki sifat Taurat mein. Aur Injeel mein unki misaal yun di gayi hai ke goya ek kheti hai jisne pehle kopal (sprout) nikali, phir usko taqviyat (strength) di, phir woh gadhrayi, phir apne tanay (stem) par khadi ho gayi. Kaasht (sowers) karne walon ko woh khush karti hai taa-ke kuffar inke phalne phoolne par jalein (enraged). Is giroh ke log jo iman laye hain aur jinhon ne neik amal kiye hain Allah ne unse magfirat aur bade ajar ka waada farmaya hai.
Comments
Post a Comment