📖 Surah 47 Muhammad Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- الَّذِينَ كَفَرُوا وَصَدُّوا عَنْ سَبِيلِ اللَّهِ أَضَلَّ أَعْمَالَهُمْ
- وَالَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ وَآمَنُوا بِمَا نُزِّلَ عَلَىٰ مُحَمَّدٍ وَهُوَ الْحَقُّ مِنْ رَبِّهِمْ ۙ كَفَّرَ عَنْهُمْ سَيِّئَاتِهِمْ وَأَصْلَحَ بَالَهُمْ
- ذَٰلِكَ بِأَنَّ الَّذِينَ كَفَرُوا اتَّبَعُوا الْبَاطِلَ وَأَنَّ الَّذِينَ آمَنُوا اتَّبَعُوا الْحَقَّ مِنْ رَبِّهِمْ ۚ كَذَٰلِكَ يَضْرِبُ اللَّهُ لِلنَّاسِ أَمْثَالَهُمْ
- فَإِذَا لَقِيتُمُ الَّذِينَ كَفَرُوا فَضَرْبَ الرِّقَابِ حَتَّىٰ إِذَا أَثْخَنْتُمُوهُمْ فَشُدُّوا الْوَثَاقَ فَإِمَّا مَنًّا بَعْدُ وَإِمَّا فِدَاءً حَتَّىٰ تَضَعَ الْحَرْبُ أَوْزَارَهَا ۚ ذَٰلِكَ وَلَوْ يَشَاءُ اللَّهُ لَانْتَصَرَ مِنْهُمْ وَلَٰكِنْ لِيَبْلُوَ بَعْضَكُمْ بِبَعْضٍ ۗ وَالَّذِينَ قُتِلُوا فِي سَبِيلِ اللَّهِ فَلَنْ يُضِلَّ أَعْمَالَهُمْ
- سَيَهْدِيهِمْ وَيُصْلِحُ بَالَهُمْ
- وَيُدْخِلُهُمُ الْجَنَّةَ عَرَّفَهَا لَهُمْ
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِنْ تَنْصُرُوا اللَّهَ يَنْصُرْكُمْ وَيُثَبِّتْ أَقْدَامَكُمْ
- وَالَّذِينَ كَفَرُوا فَتَعْسًا لَهُمْ وَأَضَلَّ أَعْمَالَهُمْ
- ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمْ كَرِهُوا مَا أَنْزَلَ اللَّهُ فَأَحْبَطَ أَعْمَالَهُمْ
- أَفَلَمْ يَسِيرُوا فِي الْأَرْضِ فَيَنْظُرُوا كَيْفَ كَانَ عَاقِبَةُ الَّذِينَ مِنْ قَبْلِهِمْ ۚ دَمَّرَ اللَّهُ عَلَيْهِمْ ۖ وَلِلْكَافِرِينَ أَمْثَالُهَا
- ذَٰلِكَ بِأَنَّ اللَّهَ مَوْلَى الَّذِينَ آمَنُوا وَأَنَّ الْكَافِرِينَ لَا مَوْلَىٰ لَهُمْ
- إِنَّ اللَّهَ يُدْخِلُ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ جَنَّاتٍ تَجْرِي مِنْ تَحْتِهَا الْأَنْهَارُ ۖ وَالَّذِينَ كَفَرُوا يَتَمَتَّعُونَ وَيَأْكُلُونَ كَمَا تَأْكُلُ الْأَنْعَامُ وَالنَّارُ مَثْوًى لَهُمْ
- وَكَأَيِّنْ مِنْ قَرْيَةٍ هِيَ أَشَدُّ قُوَّةً مِنْ قَرْيَتِكَ الَّتِي أَخْرَجَتْكَ أَهْلَكْنَاهُمْ فَلَا نَاصِرَ لَهُمْ
- أَفَمَنْ كَانَ عَلَىٰ بَيِّنَةٍ مِنْ رَبِّهِ كَمَنْ زُيِّنَ لَهُ سُوءُ عَمَلِهِ وَاتَّبَعُوا أَهْوَاءَهُمْ
- مَثَلُ الْجَنَّةِ الَّتِي وُعِدَ الْمُتَّقُونَ ۖ فِيهَا أَنْهَارٌ مِنْ مَاءٍ غَيْرِ آسِنٍ وَأَنْهَارٌ مِنْ لَبَنٍ لَمْ يَتَغَيَّرْ طَعْمُهُ وَأَنْهَارٌ مِنْ خَمْرٍ لَذَّةٍ لِلشَّارِبِينَ وَأَنْهَارٌ مِنْ عَسَلٍ مُصَفًّى ۖ وَلَهُمْ فِيهَا مِنْ كُلِّ الثَّمَرَاتِ وَمَغْفِرَةٌ مِنْ رَبِّهِمْ ۖ كَمَنْ هُوَ خَالِدٌ فِي النَّارِ وَسُقُوا مَاءً حَمِيمًا فَقَطَّعَ أَمْعَاءَهُمْ
- وَمِنْهُمْ مَنْ يَسْتَمِعُ إِلَيْكَ حَتَّىٰ إِذَا خَرَجُوا مِنْ عِنْدِكَ قَالُوا لِلَّذِينَ أُوتُوا الْعِلْمَ مَاذَا قَالَ آنِفًا ۚ أُولَٰئِكَ الَّذِينَ طَبَعَ اللَّهُ عَلَىٰ قُلُوبِهِمْ وَاتَّبَعُوا أَهْوَاءَهُمْ
- وَالَّذِينَ اهْتَدَوْا زَادَهُمْ هُدًى وَآتَاهُمْ تَقْوَاهُمْ
- فَهَلْ يَنْظُرُونَ إِلَّا السَّاعَةَ أَنْ تَأْتِيَهُمْ بَغْتَةً ۖ فَقَدْ جَاءَ أَشْرَاطُهَا ۚ فَأَنَّىٰ لَهُمْ إِذَا جَاءَتْهُمْ ذِكْرَاهُمْ
- فَاعْلَمْ أَنَّهُ لَا إِلَٰهَ إِلَّا اللَّهُ وَاسْتَغْفِرْ لِذَنْبِكَ وَلِلْمُؤْمِنِينَ وَالْمُؤْمِنَاتِ ۗ وَاللَّهُ يَعْلَمُ مُتَقَلَّبَكُمْ وَمَثْوَاكُمْ
- وَيَقُولُ الَّذِينَ آمَنُوا لَوْلَا نُزِّلَتْ سُورَةٌ ۖ فَإِذَا أُنْزِلَتْ سُورَةٌ مُحْكَمَةٌ وَذُكِرَ فِيهَا الْقِتَالُ ۙ رَأَيْتَ الَّذِينَ فِي قُلُوبِهِمْ مَرَضٌ يَنْظُرُونَ إِلَيْكَ نَظَرَ الْمَغْشِيِّ عَلَيْهِ مِنَ الْمَوْتِ ۖ فَأَوْلَىٰ لَهُمْ
- طَاعَةٌ وَقَوْلٌ مَعْرُوفٌ ۚ فَإِذَا عَزَمَ الْأَمْرُ فَلَوْ صَدَقُوا اللَّهَ لَكَانَ خَيْرًا لَهُمْ
- فَهَلْ عَسَيْتُمْ إِنْ تَوَلَّيْتُمْ أَنْ تُفْسِدُوا فِي الْأَرْضِ وَتُقَطِّعُوا أَرْحَامَكُمْ
- أُولَٰئِكَ الَّذِينَ لَعَنَهُمُ اللَّهُ فَأَصَمَّهُمْ وَأَعْمَىٰ أَبْصَارَهُمْ
- أَفَلَا يَتَدَبَّرُونَ الْقُرْآنَ أَمْ عَلَىٰ قُلُوبٍ أَقْفَالُهَا
- إِنَّ الَّذِينَ ارْتَدُّوا عَلَىٰ أَدْبَارِهِمْ مِنْ بَعْدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُمُ الْهُدَى ۙ الشَّيْطَانُ سَوَّلَ لَهُمْ وَأَمْلَىٰ لَهُمْ
- ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمْ قَالُوا لِلَّذِينَ كَرِهُوا مَا نَزَّلَ اللَّهُ سَنُطِيعُكُمْ فِي بَعْضِ الْأَمْرِ ۖ وَاللَّهُ يَعْلَمُ إِسْرَارَهُمْ
- فَكَيْفَ إِذَا تَوَفَّتْهُمُ الْمَلَائِكَةُ يَضْرِبُونَ وُجُوهَهُمْ وَأَدْبَارَهُمْ
- ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمُ اتَّبَعُوا مَا أَسْخَطَ اللَّهَ وَكَرِهُوا رِضْوَانَهُ فَأَحْبَطَ أَعْمَالَهُمْ
- أَمْ حَسِبَ الَّذِينَ فِي قُلُوبِهِمْ مَرَضٌ أَنْ لَنْ يُخْرِجَ اللَّهُ أَضْغَانَهُمْ
- وَلَوْ نَشَاءُ لَأَرَيْنَاكَهُمْ فَلَعَرَفْتَهُمْ بِسِيمَاهُمْ ۚ وَلَتَعْرِفَنَّهُمْ فِي لَحْنِ الْقَوْلِ ۚ وَاللَّهُ يَعْلَمُ أَعْمَالَكُمْ
- وَلَنَبْلُوَنَّكُمْ حَتَّىٰ نَعْلَمَ الْمُجَاهِدِينَ مِنْكُمْ وَالصَّابِرِينَ وَنَبْلُوَ أَخْبَارَكُمْ
- إِنَّ الَّذِينَ كَفَرُوا وَصَدُّوا عَنْ سَبِيلِ اللَّهِ وَشَاقُّوا الرَّسُولَ مِنْ بَعْدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُمُ الْهُدَىٰ لَنْ يَضُرُّوا اللَّهَ شَيْئًا وَسَيُحْبِطُ أَعْمَالَهُمْ
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا أَطِيعُوا اللَّهَ وَأَطِيعُوا الرَّسُولَ وَلَا تُبْطِلُوا أَعْمَالَكُمْ
- إِنَّ الَّذِينَ كَفَرُوا وَصَدُّوا عَنْ سَبِيلِ اللَّهِ ثُمَّ مَاتُوا وَهُمْ كُفَّارٌ فَلَنْ يَغْفِرَ اللَّهُ لَهُمْ
- فَلَا تَهِنُوا وَتَدْعُوا إِلَى السَّلْمِ وَأَنْتُمُ الْأَعْلَوْنَ وَاللَّهُ مَعَكُمْ وَلَنْ يَتِرَكُمْ أَعْمَالَكُمْ
- إِنَّمَا الْحَيَاةُ الدُّنْيَا لَعِبٌ وَلَهْوٌ ۚ وَإِنْ تُؤْمِنُوا وَتَتَّقُوا يُؤْتِكُمْ أُجُورَكُمْ وَلَا يَسْأَلْكُمْ أَمْوَالَكُمْ
- إِنْ يَسْأَلْكُمُوهَا فَيُحْفِكُمْ تَبْخَلُوا وَيُخْرِجْ أَضْغَانَكُمْ
- هَا أَنْتُمْ هَٰؤُلَاءِ تُدْعَوْنَ لِتُنْفِقُوا فِي سَبِيلِ اللَّهِ فَمِنْكُمْ مَنْ يَبْخَلُ ۖ وَمَنْ يَبْخَلْ فَإِنَّمَا يَبْخَلُ عَنْ نَفْسِهِ ۚ وَاللَّهُ الْغَنِيُّ وَأَنْتُمُ الْفُقَرَاءُ ۚ وَإِنْ تَتَوَلَّوْا يَسْتَبْدِلْ قَوْمًا غَيْرَكُمْ ثُمَّ لَا يَكُونُوا أَمْثَالَكُمْ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Allazeena kafaroo wa saddoo'an sabeelil laahi adalla a'maalahum
- Wallazeena aamanoo wa 'amilus saalihaati wa aamanoo bimaa nuzzila 'alaa Muhammadinw-wa huwal haqqu mir Rabbihim kaffara 'anhum saiyiaatihim wa aslaha baalahum
- Zaalika bi annal lazeena kafarut taba'ul baatila wa annal lazeena aamanut taba'ul haqqa mir Rabbihim; kazaalika yadribul laahu linnaasi amsaalahum
- Fa-izaa laqeetumul lazeena kafaroo fadarbar riqaabi, hattaaa izaa askhan tumoohum fashuddul wasaaqa, fa immaa mannnam ba'du wa immaa fidaaa'an hattaa tada'al harbu awzaarahaa; zaalika wa law yashaaa'ul laahu lantasara minhum wa laakin li yabluwa ba'dakum bi ba'd; wallazeena qutiloo fee sabeelil laahi falany yudilla a'maalahum
- Sa-yahdeehim wa yuslihu baalahum
- Wa yudkhiluhumul jannata 'arrafahaa lahum
- Yaaa ayyuhal lazeena aamanooo in tansurul laaha yansurkum wa yusabbit aqdaamakum
- Wallazeena kafaroo fata' sal lahum wa adalla a'maalahum
- Zaalika bi annahum karihoo maaa anzal allaahu fa ahbata a'maalahum
- Afalam yaseeroo fil ardi fayanzuroo kaifa kaana 'aaqibatul lazeena min qablihim; dammaral laahu 'alaihim wa lilkaafireena amsaaluhaa
- Zaalika bi annal laaha mawlal lazeena aamanoo wa annal kaafireena laa mawlaa lahum (section 1)
- Innal-laaha yudkhilul lazeena aamanoo wa 'amilus saalihaati Jannaatin tajree min tahtihal anhaaru wallazeena kafaroo yatamatta'oona wa ya'kuloona kamaa ta'kulul an'aamu wan Naaru maswan lahum
- Wa ka ayyim min qaryatin hiya ashaddu quwwatam min qaryatikal lateee akhrajatka ahlaknaahum falaa naasira lahum
- Afaman kaana 'alaa baiyinatim mir Rabbihee kaman zuyyina lahoo sooo'u 'amalihee wattaba'ooo ahwaaa'ahum
- Masalul jannatil latee wu'idal muttaqoona feehaaa anhaarum min maaa'in ghayri aasininw wa anhaarum mil labanil lam yataghaiyar ta'muhoo wa anhaarum min khamril lazzatin li shaaribeena wa anhaarum min 'asalim musaffanw wa lahum feeha min kullis samaraati wa maghfiratum mir Rabbihim kaman huwa khaalidun fin naari wa suqoo maaa'an hameeman faqatta'a am'aaa'ahum
- Wa minhum mai yastami'u ilaika hattaaa izaa kharajoo min 'indika qaaloo lil lazeena ootul 'ilma maazaa qaala aanifaa; ulaaa'ikal lazeena taba'al laahu 'alaa quloobihim wattaba'ooo ahwaaa'ahum
- Wallazeenah tadaw zaadahum hudanw wa aataahum taqwaahum
- Fahal yanzuroona illas Saa'ata an ta'tiyahum baghtatan faqad jaaa'a ashraatuhaa; fa annaa lahum izaa jaaa'at hum zikraahum
- Fa'lam annahoo laaa ilaaha illal laahu wastaghfir lizambika wa lilmu'mineena walmu'minaat; wallaahu ya'lamu mutaqallabakum wa maswaakum (section 2)
- Wa yaqoolul lazeena aamanoo law laa nuzzilat Sooratun fa izaaa unzilat Sooratum Muhkamatunw wa zukira feehal qitaalu ra aytal lazeena fee quloobihim maraduny yanzuroona ilaika nazaral maghshiyyi 'alaihi minal mawti fa'awlaa lahum
- Taa'atunw wa qawlum ma'roof; fa izaa 'azamal amru falaw sadaqul laaha lakaana khairal lahum
- Fahal 'asaitum in tawallaitum an tufsidoo fil ardi wa tuqatti'ooo arhaamakum
- Ulaaa'ikal lazeena la'anahumul laahu fa asammahum wa a'maaa absaarahum
- Afalaa yatadabbaroonal Qur-aana am 'alaa quloobin aqfaaluhaa
- Innal lazeenar taddoo 'alaaa adbaarihim min ba'di maa tabaiyana lahumul hudash Shaitaanu sawwala lahum wa amlaa lahum
- Zaalika bi annahum qaaloo lillazeena karihoo maa nazzalal laahu sanutee'ukum fee ba'dil amri wallaahu ya'lamu israarahum
- Fakaifa izaa tawaffat humul malaaa'ikatu yadriboona wujoohahum wa adbaa rahum
- Zaalika bi annahumut taba'oo maaa askhatal laaha wa karihoo ridwaanahoo fa ahbata a'maalahum (section 3)
- Am hasibal lazeena fee quloobihim maradun al lany yukhrijal laahu adghaanahum
- Wa law nashaaa'u la-arainaakahum fala 'araftahum bi seemaahum; wa lata'rifan nahum fee lahnil qawl; wallaahu ya'lamu a'maalakum
- Wa lanabluwannakum hattaa na'lamal mujaahideena minkum wassaabireena wa nabluwa akhbaarakum
- Innal lazeena kafaroo wa saddoo 'an sabeelil laahi wa shaaaqqur Rasoola min ba'di maa tabaiyana lahumul hudaa lany yadurrul laaha shai'anw wa sa yuhbitu a'maalahum
- Yaaa ayyuhal lazeena aamanoo atee'ul laaha wa atee'ur Rasoola wa laa tubtilooo a'maalakum
- Innal lazeena kafaroo wa saddoo 'an sabeelil laahi summa maatoo wa hum kuffaarun falany yaghfirallaahu lahum
- Falaa tahinoo wa tad'ooo ilas salmi wa antumul a'lawna wallaahu ma'akum wa lany yatirakum a'maalakum
- Innamal hayaatud dunyaa la'ibunw wa lahw; wa in tu'minoo wa tattaqoo yu'tikum ujoorakum wa laa yas'alkum amwaalakum
- Iny yas'alkumoohaa fa yuhfikum tabkhaloo wa yukhrij adghaanakum
- Haaa antum haaa'ulaaa'i tud'awna litunfiqoo fee sabeelillaahi faminkum many yabkhalu wa many yabkhal fa innamaa yabkhalu 'an nafsih; wallaahu Ghaniyyu wa antumul fuqaraaa'; wa in tatawallaw yastabdil qawman ghairakum summa laa yakoonooo amsaalakum (section 4)
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Jin logon ne kufr kiya aur Allah ke raaste se roka Allah ne unke aamal ko raigaan (waste /vain) kardiya.2. Aur jo log iman laye aur jinhon ne neik aamal kiye aur us cheez ko maan liya jo Muhammad par naazil hui hai aur hai woh sarasar haqq unke Rubb ki taraf se Allah ne unki burayian (evil deeds) unse dur kardi aur unka haal durust kardiya.
3. Yeh is liye ke kufr karne walon ne baatil (falsehood) ki pairwi ki aur iman laane walon ne us haqq ki pairwi ki jo unke Rubb ki taraf se aaya hai. Is tarhaan Allah logon ko unki theek theek haisiyat bataye deta hai.
4. Pas jab in kafiron se tumhari muth-bhaid (battle) ho to pehla kaam gardanein (necks) maarna hai, yahan tak ke jab tum unko acchi tarah kuchal do tab qaidiyon (captives) ko mazboot baandho. Iske baad (tumhein ikhtiyar hai) ehsan karo ya fidiye (ransom) ka muaamla karlo, taa-ke ladayi apne hatiyar daal de. Yeh hai tumhare karne ka kaam. Allah chahta to khud hi unse nimat leta, magar (yeh tareeqa usne is liye ikhtiyar kiya hai) taa-ke tum logon ko ek dusre ke zariye se aazmaye aur jo log Allah ki raah mein maare jayenge Allah unke aamal ko hargiz zaya na karega.
5. Woh unki rehnumayi farmayega, unka haal durust kardega.
6. Aur unko us jannat mein daakhil karega jis se woh unko waqif kara chuka hai.
7. Aey logon jo iman laye ho, agar tum Allah ki madad karoge to woh tumhari madad karega aur tumhare qadam mazboot jamaa dega.
8. Rahe woh log jinhon ne kufr kiya hai, to unke liye halakat hai aur Allah ne unke aamal ko bhatka diya hai.
9. Kyunke unhon ne us cheez ko napasand kiya jise Allah ne naazil kiya hai, lihaza Allah ne unke aamal zaya (waste) kardiye.
10. Kya woh zameen mein chale phire na thay ke un logon ka anjaam dekhte jo unse pehle guzar chuke hain? Allah ne unka sab kuch unpar ulat diya, aur aise hi nataij in kafiron ke liye muqaddar hain.
11. Yeh is liye ke iman laane walon ka haami o nasir (Protector) Allah hai aur kafiron ka haami o nasir (Protector) koi nahin.
12. Iman laane walon aur neik amal karne walon ko Allah un jannaton mein daakhil karega jinke nichey nehrein behti hain, aur kufr karne wale bas duniya ki chandh roza zindagi ke mazey loot rahe hain, jaanwaron ki tarah kha pee rahe hain, aur unka aakhri thikana jahannum hai.
13. Aey Nabi (s.a.s) kitni hi bastiyan aisi guzar chuki hain jo tumhare us basti se bahut zyada zoarawar thin jisne tumhein nikal diya hai? Unhein humne is tarhaan halaak kardiya ke koi unka bachane wala na tha.
14. Bhala kahin aisa ho sakta hai ke jo apne Rubb ki taraf se ek saaf o sareeh hidayat par ho, woh un logon ki tarah ho jaaye jinke liye unka bura amal khushnuma bana diya gaya hai aur woh apni khwahishaat ke pairo ban gaye hain?
15. Parheizgaron ke liye jis jannat ka waada kiya gaya hai uski shaan to yeh hai ke usmein nehrein beh rahi hongi nithre (incorruptible /unpolluted) huey pani ki, nehrein beh rahi hongi aise doodh ki jiske mazay(taste) mein zara farq na aaya hoga, nehrein beh rahi hongi aisi sharaab ki jo peene walon ke liye lazeez (delicious) hongi, nehrein beh rahi hongi saaf shafaaf shehad (honey) ki. Usmein unke liye har taraah ke phal honge aur unke Rubb ki taraf se bakshish. (kya woh shaks jiske hisse mein yeh jannat aane wali hai) un logon ki taraah ho sakta hai jo jahannum mein hamesha rahenge aur jinhein aisa garam pani pilaya jayega jo unke aantein (bowels) tak kaat dega?
16. In mein se kuch log aise hain jo kaan laga kar tumhari baat sunte hain aur phir jab tumhare paas se nikalte hain un logon se jinhein ilm ki niyamat bakshi gayi hai puchte hain ke abhi abhi inhon ne kya kaha tha?yeh woh log hain jinke dilon par Allah ne thappa (seal) laga diya hai aur yeh apni apni khwahishaat ke pairo bane huey hain.
17. Rahe woh log jinhon ne hidayat payi hai, Allah unko aur zyada hidayat deta hai aur unhein unke hisse ka taqwa ata farmata hai.
18. Ab kya yeh log bas qayamat hi ke muntazir hain ke woh achanak inpar aa jaye? Uski alamaat to aa chuki hai jab woh khud aa jayegi to inke liye naseehat kabool karne ka kaunsa mauqa baki reh jayega?
19. Pas aey Nabi, khoob jaan lo ke Allah ke siwa koi ibaadat ka mustahiq nahin hai, aur maafi maango apne kasoor ke liye bhi aur momin mardon aur auraton ke liye bhi. Allah tumhari sargarmiyon ko bhi jaanta hai aur tumhare thikane se bhi waqif hai.
20. Jo log iman laye hain woh keh rahe thay ke koi surat kyun nahin naazil ki jaati (jis mein jung ka hukm diya jaye) magar jab ek mohkam surat naazil kardi gayi jismein jung ka zikr tha to tumne dekha ke jinke dilon mein bimari thi woh tumhari taraf is tarah dekh rahe hain jaise kisi par maut chaa gayi ho. Afsos unke haal par.
21. (Unki zubaan par hai) itaat ka ikrar aur acchi acchi batein. Magar jab qataii hukm de diya gaya us waqt woh Allah se apne ahad mein sacche nikalte to unhi ke liye accha tha.
22. Ab kya tum logon se iske siwa kuch aur tawaqqu ki jaa sakti hai ke agar tum ulte mooh phir gaye to zameen mein phir fasad barpa karoge aur aapas mein ek dusre ke galay (throats) kaatoge?
23. Yeh log hain jinpar Allah ne laanat ki aur inko andha (blind) aur behra bana diya.
24. Kya un logon ne Quran par gaur nahin kiya, ya dilon par unke qufal (locks) chade huey hain?
25. Haqeeqat yeh hai ke jo log hidayat wazeh ho jaane ke baad us se phir gaye unke liye shaytan ne is rawish ko sahal (aasaan) bana diya hai aur jhuti tawaqquat ka silsila unke liye daraaz kar rakkha hai
26. Isliye unhon ne Allah ke naazil karda deen ko napasand karne walon se kehdiya ke baaz maamlaat mein hum tumhari manenge.Allah unki yeh khufiya baatein khoob jaanta hai.
27. Phir us waqt kya haal hoga jab Farishte inki roohein qabz karenge aur inke mooh aur peethon (backs) par maarte huey inhein le jayenge?
28. Yeh isi liye to hoga ke inhon ne us tariqe ki pairwi ki jo Allah ko naraaz karne wala hai aur uski raza ka raasta ikhtiyar karna pasand na kiya. Isi bina par usne inke sab aamaal zaya kardiye.
29. Kya woh log jinke dilon mein bimari hai, yeh samjhe baithe hain ke Allah unke dilon ke khot (keena) zaahir nahin karega?
30. Hum chahein to unhein tumko aankhon se dikha dein aur unke chehron se tum unko pehchaan lo magar unke andaaz e kalaam se to tum unko jaan hi logay.Allah tum sabke aamal se khoob waqif hai.
31. Hum zaroor tum logon ko aazmaish mein dalenge taa-ke tumhare halaat ki jaanch karein aur dekh lein ke tum mein mujahid aur saabit qadam kaun hain.
32. Jin logon ne kufr kiya aur Allah ki raah se roka aur Rasool se jhagda kiya jabke unpar raah e raast wazeh ho chuki thi, dar haqeeqat woh Allah ka koi nuksan bhi nahin kar sakte, balke Allah hi unka sab kiya karaya gaarat (null / fruitless) kardega.
33. Aey logon jo iman laye ho, Tum Allah ki itaat karo aur Rasool ki itaat karo aur apne aamal ko barbaad na karlo.
34. Kufr karne walon aur raah e khuda se roakne walon aur marte dum tak kufr par jamey rehne walon ko to Allah hargiz maaf na karega.
35. Pas tum bodeyh (faint-hearted) na bano aur sulah ki darkhwast na karo. Tum hi gaalib rehne wale ho. Allah tumhare saath hai aur tumhare aamal ko woh hargiz zaya na karega.
36. Yeh duniya ki zindagi to ek khel aur tamasha hai agar tum iman rakkho aur taqwe ki rawish par chalte raho to Allah tumhare ajar tumko dega aur woh tumhare maal tumse na maange ga.
37. Agar kahin woh tumhare maal tumse maang le aur sab ke sab tumse talab karle to tum bukhal (kanjoosi) karoge aur woh tumhare khot (failings) ubhar layega.
38. Dekho, tum logon ko dawat di jaa rahi hai ke Allah ki raah mein maal kharch karo ispar tum mein se kuch log hain jo bukhal (kanjoosi) kar rahe hain. Halaanke jo bukhal (kanjoosi) karta hai woh dar haqeeqat apne aap hi se bukhal kar raha hai. Allah to Gani (all-Sufficient) hai, tumhi uske mohtaj ho. Agar tum mooh moadoge to Allah tumhari jagah kisi aur qaum ko le aayega aur woh tum jaise na honge.
Comments
Post a Comment