📖 Surah 46 Al-Ahqaf Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- حم
- تَنْزِيلُ الْكِتَابِ مِنَ اللَّهِ الْعَزِيزِ الْحَكِيمِ
- مَا خَلَقْنَا السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ وَمَا بَيْنَهُمَا إِلَّا بِالْحَقِّ وَأَجَلٍ مُسَمًّى ۚ وَالَّذِينَ كَفَرُوا عَمَّا أُنْذِرُوا مُعْرِضُونَ
- قُلْ أَرَأَيْتُمْ مَا تَدْعُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ أَرُونِي مَاذَا خَلَقُوا مِنَ الْأَرْضِ أَمْ لَهُمْ شِرْكٌ فِي السَّمَاوَاتِ ۖ ائْتُونِي بِكِتَابٍ مِنْ قَبْلِ هَٰذَا أَوْ أَثَارَةٍ مِنْ عِلْمٍ إِنْ كُنْتُمْ صَادِقِينَ
- وَمَنْ أَضَلُّ مِمَّنْ يَدْعُو مِنْ دُونِ اللَّهِ مَنْ لَا يَسْتَجِيبُ لَهُ إِلَىٰ يَوْمِ الْقِيَامَةِ وَهُمْ عَنْ دُعَائِهِمْ غَافِلُونَ
- وَإِذَا حُشِرَ النَّاسُ كَانُوا لَهُمْ أَعْدَاءً وَكَانُوا بِعِبَادَتِهِمْ كَافِرِينَ
- وَإِذَا تُتْلَىٰ عَلَيْهِمْ آيَاتُنَا بَيِّنَاتٍ قَالَ الَّذِينَ كَفَرُوا لِلْحَقِّ لَمَّا جَاءَهُمْ هَٰذَا سِحْرٌ مُبِينٌ
- أَمْ يَقُولُونَ افْتَرَاهُ ۖ قُلْ إِنِ افْتَرَيْتُهُ فَلَا تَمْلِكُونَ لِي مِنَ اللَّهِ شَيْئًا ۖ هُوَ أَعْلَمُ بِمَا تُفِيضُونَ فِيهِ ۖ كَفَىٰ بِهِ شَهِيدًا بَيْنِي وَبَيْنَكُمْ ۖ وَهُوَ الْغَفُورُ الرَّحِيمُ
- قُلْ مَا كُنْتُ بِدْعًا مِنَ الرُّسُلِ وَمَا أَدْرِي مَا يُفْعَلُ بِي وَلَا بِكُمْ ۖ إِنْ أَتَّبِعُ إِلَّا مَا يُوحَىٰ إِلَيَّ وَمَا أَنَا إِلَّا نَذِيرٌ مُبِينٌ
- قُلْ أَرَأَيْتُمْ إِنْ كَانَ مِنْ عِنْدِ اللَّهِ وَكَفَرْتُمْ بِهِ وَشَهِدَ شَاهِدٌ مِنْ بَنِي إِسْرَائِيلَ عَلَىٰ مِثْلِهِ فَآمَنَ وَاسْتَكْبَرْتُمْ ۖ إِنَّ اللَّهَ لَا يَهْدِي الْقَوْمَ الظَّالِمِينَ
- وَقَالَ الَّذِينَ كَفَرُوا لِلَّذِينَ آمَنُوا لَوْ كَانَ خَيْرًا مَا سَبَقُونَا إِلَيْهِ ۚ وَإِذْ لَمْ يَهْتَدُوا بِهِ فَسَيَقُولُونَ هَٰذَا إِفْكٌ قَدِيمٌ
- وَمِنْ قَبْلِهِ كِتَابُ مُوسَىٰ إِمَامًا وَرَحْمَةً ۚ وَهَٰذَا كِتَابٌ مُصَدِّقٌ لِسَانًا عَرَبِيًّا لِيُنْذِرَ الَّذِينَ ظَلَمُوا وَبُشْرَىٰ لِلْمُحْسِنِينَ
- إِنَّ الَّذِينَ قَالُوا رَبُّنَا اللَّهُ ثُمَّ اسْتَقَامُوا فَلَا خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلَا هُمْ يَحْزَنُونَ
- أُولَٰئِكَ أَصْحَابُ الْجَنَّةِ خَالِدِينَ فِيهَا جَزَاءً بِمَا كَانُوا يَعْمَلُونَ
- وَوَصَّيْنَا الْإِنْسَانَ بِوَالِدَيْهِ إِحْسَانًا ۖ حَمَلَتْهُ أُمُّهُ كُرْهًا وَوَضَعَتْهُ كُرْهًا ۖ وَحَمْلُهُ وَفِصَالُهُ ثَلَاثُونَ شَهْرًا ۚ حَتَّىٰ إِذَا بَلَغَ أَشُدَّهُ وَبَلَغَ أَرْبَعِينَ سَنَةً قَالَ رَبِّ أَوْزِعْنِي أَنْ أَشْكُرَ نِعْمَتَكَ الَّتِي أَنْعَمْتَ عَلَيَّ وَعَلَىٰ وَالِدَيَّ وَأَنْ أَعْمَلَ صَالِحًا تَرْضَاهُ وَأَصْلِحْ لِي فِي ذُرِّيَّتِي ۖ إِنِّي تُبْتُ إِلَيْكَ وَإِنِّي مِنَ الْمُسْلِمِينَ
- أُولَٰئِكَ الَّذِينَ نَتَقَبَّلُ عَنْهُمْ أَحْسَنَ مَا عَمِلُوا وَنَتَجَاوَزُ عَنْ سَيِّئَاتِهِمْ فِي أَصْحَابِ الْجَنَّةِ ۖ وَعْدَ الصِّدْقِ الَّذِي كَانُوا يُوعَدُونَ
- وَالَّذِي قَالَ لِوَالِدَيْهِ أُفٍّ لَكُمَا أَتَعِدَانِنِي أَنْ أُخْرَجَ وَقَدْ خَلَتِ الْقُرُونُ مِنْ قَبْلِي وَهُمَا يَسْتَغِيثَانِ اللَّهَ وَيْلَكَ آمِنْ إِنَّ وَعْدَ اللَّهِ حَقٌّ فَيَقُولُ مَا هَٰذَا إِلَّا أَسَاطِيرُ الْأَوَّلِينَ
- أُولَٰئِكَ الَّذِينَ حَقَّ عَلَيْهِمُ الْقَوْلُ فِي أُمَمٍ قَدْ خَلَتْ مِنْ قَبْلِهِمْ مِنَ الْجِنِّ وَالْإِنْسِ ۖ إِنَّهُمْ كَانُوا خَاسِرِينَ
- وَلِكُلٍّ دَرَجَاتٌ مِمَّا عَمِلُوا ۖ وَلِيُوَفِّيَهُمْ أَعْمَالَهُمْ وَهُمْ لَا يُظْلَمُونَ
- وَيَوْمَ يُعْرَضُ الَّذِينَ كَفَرُوا عَلَى النَّارِ أَذْهَبْتُمْ طَيِّبَاتِكُمْ فِي حَيَاتِكُمُ الدُّنْيَا وَاسْتَمْتَعْتُمْ بِهَا فَالْيَوْمَ تُجْزَوْنَ عَذَابَ الْهُونِ بِمَا كُنْتُمْ تَسْتَكْبِرُونَ فِي الْأَرْضِ بِغَيْرِ الْحَقِّ وَبِمَا كُنْتُمْ تَفْسُقُونَ
- وَاذْكُرْ أَخَا عَادٍ إِذْ أَنْذَرَ قَوْمَهُ بِالْأَحْقَافِ وَقَدْ خَلَتِ النُّذُرُ مِنْ بَيْنِ يَدَيْهِ وَمِنْ خَلْفِهِ أَلَّا تَعْبُدُوا إِلَّا اللَّهَ إِنِّي أَخَافُ عَلَيْكُمْ عَذَابَ يَوْمٍ عَظِيمٍ
- قَالُوا أَجِئْتَنَا لِتَأْفِكَنَا عَنْ آلِهَتِنَا فَأْتِنَا بِمَا تَعِدُنَا إِنْ كُنْتَ مِنَ الصَّادِقِينَ
- قَالَ إِنَّمَا الْعِلْمُ عِنْدَ اللَّهِ وَأُبَلِّغُكُمْ مَا أُرْسِلْتُ بِهِ وَلَٰكِنِّي أَرَاكُمْ قَوْمًا تَجْهَلُونَ
- فَلَمَّا رَأَوْهُ عَارِضًا مُسْتَقْبِلَ أَوْدِيَتِهِمْ قَالُوا هَٰذَا عَارِضٌ مُمْطِرُنَا ۚ بَلْ هُوَ مَا اسْتَعْجَلْتُمْ بِهِ ۖ رِيحٌ فِيهَا عَذَابٌ أَلِيمٌ
- تُدَمِّرُ كُلَّ شَيْءٍ بِأَمْرِ رَبِّهَا فَأَصْبَحُوا لَا يُرَىٰ إِلَّا مَسَاكِنُهُمْ ۚ كَذَٰلِكَ نَجْزِي الْقَوْمَ الْمُجْرِمِينَ
- وَلَقَدْ مَكَّنَّاهُمْ فِيمَا إِنْ مَكَّنَّاكُمْ فِيهِ وَجَعَلْنَا لَهُمْ سَمْعًا وَأَبْصَارًا وَأَفْئِدَةً فَمَا أَغْنَىٰ عَنْهُمْ سَمْعُهُمْ وَلَا أَبْصَارُهُمْ وَلَا أَفْئِدَتُهُمْ مِنْ شَيْءٍ إِذْ كَانُوا يَجْحَدُونَ بِآيَاتِ اللَّهِ وَحَاقَ بِهِمْ مَا كَانُوا بِهِ يَسْتَهْزِئُونَ
- وَلَقَدْ أَهْلَكْنَا مَا حَوْلَكُمْ مِنَ الْقُرَىٰ وَصَرَّفْنَا الْآيَاتِ لَعَلَّهُمْ يَرْجِعُونَ
- فَلَوْلَا نَصَرَهُمُ الَّذِينَ اتَّخَذُوا مِنْ دُونِ اللَّهِ قُرْبَانًا آلِهَةً ۖ بَلْ ضَلُّوا عَنْهُمْ ۚ وَذَٰلِكَ إِفْكُهُمْ وَمَا كَانُوا يَفْتَرُونَ
- وَإِذْ صَرَفْنَا إِلَيْكَ نَفَرًا مِنَ الْجِنِّ يَسْتَمِعُونَ الْقُرْآنَ فَلَمَّا حَضَرُوهُ قَالُوا أَنْصِتُوا ۖ فَلَمَّا قُضِيَ وَلَّوْا إِلَىٰ قَوْمِهِمْ مُنْذِرِينَ
- قَالُوا يَا قَوْمَنَا إِنَّا سَمِعْنَا كِتَابًا أُنْزِلَ مِنْ بَعْدِ مُوسَىٰ مُصَدِّقًا لِمَا بَيْنَ يَدَيْهِ يَهْدِي إِلَى الْحَقِّ وَإِلَىٰ طَرِيقٍ مُسْتَقِيمٍ
- يَا قَوْمَنَا أَجِيبُوا دَاعِيَ اللَّهِ وَآمِنُوا بِهِ يَغْفِرْ لَكُمْ مِنْ ذُنُوبِكُمْ وَيُجِرْكُمْ مِنْ عَذَابٍ أَلِيمٍ
- وَمَنْ لَا يُجِبْ دَاعِيَ اللَّهِ فَلَيْسَ بِمُعْجِزٍ فِي الْأَرْضِ وَلَيْسَ لَهُ مِنْ دُونِهِ أَوْلِيَاءُ ۚ أُولَٰئِكَ فِي ضَلَالٍ مُبِينٍ
- أَوَلَمْ يَرَوْا أَنَّ اللَّهَ الَّذِي خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ وَلَمْ يَعْيَ بِخَلْقِهِنَّ بِقَادِرٍ عَلَىٰ أَنْ يُحْيِيَ الْمَوْتَىٰ ۚ بَلَىٰ إِنَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
- وَيَوْمَ يُعْرَضُ الَّذِينَ كَفَرُوا عَلَى النَّارِ أَلَيْسَ هَٰذَا بِالْحَقِّ ۖ قَالُوا بَلَىٰ وَرَبِّنَا ۚ قَالَ فَذُوقُوا الْعَذَابَ بِمَا كُنْتُمْ تَكْفُرُونَ
- فَاصْبِرْ كَمَا صَبَرَ أُولُو الْعَزْمِ مِنَ الرُّسُلِ وَلَا تَسْتَعْجِلْ لَهُمْ ۚ كَأَنَّهُمْ يَوْمَ يَرَوْنَ مَا يُوعَدُونَ لَمْ يَلْبَثُوا إِلَّا سَاعَةً مِنْ نَهَارٍ ۚ بَلَاغٌ ۚ فَهَلْ يُهْلَكُ إِلَّا الْقَوْمُ الْفَاسِقُونَ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Haa-Meeeem
- Tanzeelul Kitaabi minal laahil-'Azeezil Hakeem
- Maa khalaqnas samaawaati wal arda wa maa bainahumaaa illaa bilhaqqi wa ajalim musammaa; wallazeena kafaroo 'ammaaa unziroo mu'ridoon
- Qul ara'aytum maa tad'oona min doonil laahi aroonee maazaa khalaqoo minal ardi am lahum shirkun fis samaawaati eetoonee bi kitaabim min qabli haazaaa aw asaaratim min 'ilmin in kuntum saadiqeen
- Wa man adallu mimmany yad'oo min doonil laahi mallaa yastajeebu lahooo ilaa Yawmil Qiyaamati wa hum'an du'aaa'ihim ghaafiloon
- Wa izaa hushiran naasu kaanoo lahum a'daaa'anw wa kaanoo bi'ibaadatihim kaafireen
- Wa izaa tutlaa 'alaihim Aayaatunaa baiyinaatin qaalal lazeena kafaroo lilhaqqi lammaa jaaa'ahum haazaa sihrum mubeen
- Am yaqooloonaf taraahu qul inif taraituhoo falaa tamlikoona lee minal laahi shai'an Huwa a'lamu bimaa tufeedoona feehi kafaa bihee shaheedam bainee wa bainakum wa Huwal Ghafoorur Raheem
- Qul maa kuntu bid'am minal Rusuli wa maaa adreee ma yuf'alu bee wa laa bikum in attabi'u illaa maa yoohaaa ilaiya wa maaa ana illaa nazeerum mubeen
- Qul ara'aytum in kaana min 'indil laahi wa kafartum bihee wa shahida shaahidum mim Banee Israaa'eela 'alaa mislihee fa aamana wastak bartum innal laaha laa yahdil qawmaz zaalimeen (section 1)
- Wa qaalal lazeena kafaroo lillazeena aamanoo law kaana khairam maa sabaqoonaaa ilyh; wa iz lam yahtadoo bihee fasa yaqooloona haazaaa ifkun qadeem
- Wa min qablihee kitaabu Moosaaa imaamanw-wa rahmah; wa haazaa Kitaabum musad diqul lisaanan 'Arabiyyal liyunziral lazeena zalamoo wa bushraa lilmuhsineen
- Innal lazeena qaaloo Rabbunal laahu summas taqaamoo falaa khawfun 'alaihim wa laahum yahzanoon
- Ulaaa'ika Ashabul Jannati khaalideena feehaa jazaaa'am bimaa kaano ya'maloon
- Wa wassainal insaana biwaalidaihi ihsaana; hamalat hu ummuhoo kurhanw-wa wada'at hu kurhanw wa hamluhoo wa fisaaluhoo salaasoona shahraa; hattaaa izaa balagha ashuddahoo wa balagha arba'eena sanatan qaala Rabbi awzi' neee an ashkura ni'matakal lateee an'amta 'alaiya wa 'alaa waalidaiya wa an a'mala saalihan tardaahu wa aslih lee fee zurriyyatee; innee tubtu ilaika wa innee minal muslimeen
- Ulaaa'ikal lazeena nata qabbalu 'anhum ahsana maa 'amiloo wa natajaawazu 'an saiyiaatihim feee Ashaabil jannati Wa'das sidqil lazee kaanoo yoo'adoon
- Wallazee qaala liwaali daihi uffil lakumaaa ata'idanineee an ukhraja wa qad khalatil quroonu min qablee wa humaa yastagheesaanil laaha wailaka aamin inna wa'dal laahi haqq, fa yaqoolu maa haazaaa illaaa asaateerul awwaleen
- Ulaaa'ikal lazeena haqqa 'alaihimul qawlu feee umamin qad khalat min qablihim minal jinni wal insi innahum kaanoo khaasireen
- Wa likullin darajaatum mimmaa 'amiloo wa liyuwaf fiyahum a'maalahum wa hum laa yuzlamoon
- Wa Yawma yu'radul lazeena kafaroo 'alan Naari azhabtum taiyibaatikum fee hayaatikumud dunyaa wastam ta'tum bihaa fal Yawma tujzawna 'azaabal hooni bimaa kuntum tastakbiroona fil ardi bighairil haqqi wa bimaa kuntum tafsuqoon (section 2)
- Wazkur akhaa’Aadin iz anzara qawmahoo bil Ahqaafi wa qad khalatin nuzuru mim baini yadaihi wa min khalfiheee allaa ta'budooo illal laaha inneee akhaafu 'alaikum 'azaaba Yawmin 'azeem
- Qaaloo aji'tanaa li taa fikanaa 'an aalihatinaa fa'tinaa bimaa ta'idunaaa in kunta minas saadiqeen
- Qaala innamal 'ilmu indal laahi wa uballighukum maaa ursiltu bihee wa laakinneee araakum qawman tajhaloon
- Falammaa ra awhu 'aaridam mustaqbila awdiyatihim qaaloo haazaa 'aaridum mumtirunaa; bal huwa masta'jaltum bihee reehun feehaa 'azaabun aleem
- Tudammiru kulla shai'im bi-amri Rabbihaa fa asbahoo laa yuraaa illaa masaakinuhum; kazaalika najzil qawmal mujrimeen
- Wa laqad makkannaahum feemaaa im makkannaakum feehi waj'alnaa lahum sam'anw wa absaaranw wa af'idatan famaaa aghnaa 'anhum sam'uhum wa laaa absaaruhum wa laaa af'idatuhum min shai'in iz kaanoo yajhadoona bi Aayaatil laahi wa haaqa bihim maa kaanoo bihee yastahzi'oon (section 3)
- Wa laqad ahlaknaa ma hawlakum minal quraa wa sarrafnal Aayaati la'allahum yarji'oon
- Falaw laa nasarahumul lazeenat takhazoo min doonil laahi qurbaanan aalihatam bal dalloo 'anhum' wa zaalika ifkuhum wa maa kaanoo yaftaroon
- Wa iz sarafinaaa ilaika nafaram minal jinni yastami'oonal Quraana falammaa hadaroohu qaalooo ansitoo falammaa qudiya wallaw ilaa qawmihim munzireen
- Qaaloo yaa qawmanaaa innaa sami'naa Kitaaban unzila mim ba'di Moosa musaddiqal limaa baina yadihi yahdeee ilal haqqi wa ilaa Tareeqim Mustaqeem
- Yaa qawmanaaa ajeeboo daa'iyal laahi wa aaminoo bihee yaghfir lakum min zunoobikum wa yujirkum min 'azaabin aleem
- Wa mal laa yujib daa'iyal laahi falaisa bimu'jizin fil ardi wa laisa lahoo min dooniheee awliyaaa'; ulaaa ika fee dalaalim mubeen
- Awalam yaraw annal laahal lazee khalaqas samaawaati wal arda wa lam ya'ya bikhal qihinna biqaadirin 'alaaa aiyuhyiyal mawtaa; balaaa innahoo 'alaa kulli shai'in Qadeer
- Wa Yawma yu'radul lazeena kafaroo 'alan naari alaisa haaza bil haqq; qaaloo balaa wa Rabbinaa; qaala fazooqul 'azaaba bimaa kuntum takfuroon
- Fasbir kamaa sabara ulul 'azmi minar Rusuli wa laa tasta'jil lahum; ka annahum Yawma yarawna maa yoo'adoona lam yalbasooo illaa saa'atam min nahaar; balaagh; fahal yuhlaku illal qawmul faasiqoon (section 4)
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Haa meem2. Is kitaab ka nuzul Allah zabardast aur dana ki taraf se hai.
3. Humne zameen aur aasmaano ko aur un saari cheezon ko jo unke darmiyan hain bar-haqq aur ek muddat-e-khaas ke taayun ke saath paida kiya hai. Magar yeh kafir log us haqeeqat se mooh moade huey hain jisse unko khabardaar kiya gaya hai.
4. Aey Nabi, inse kaho, “kabhi tumne aankhein khol kar dekha bhi ke woh hastiyan hain kya jinhein tum khuda ko chodh kar pukarte ho? Zara mujhe dikhao to sahih ke zameen mein unhon ne kya paida kiya hai, ya aasmano ki takhleeq (creation) o tadbeer mein unka kya hissa hai. Isse pehle aayi hui kitaab ya ilm ka koi baqiyya (in aqaid ke sabot mein) tumhare paas ho to wahi le aao agar tum sacche ho”
5. Aakhir us shaks se zyada behka hua Insan aur kaun hoga jo Allah ko chodh kar unko pukare jo qayamat tak usey jawab nahin de sakte, balke is se bhi bekhabar hain ke pukarne wale unko pukar rahe hain.
6. Aur jab tamaam Insan jamaa kiye jayenge us waqt woh apne pukarne walon ke dushman aur unki ibaadat ke munkir honge.
7. In logon ko jab hamari saaf saaf aayaat sunayi jaati hain aur haqq inke saamne aa jata hai to yeh kafir log uske mutaaliq kehte hain ke yeh to khula jaadu hai.
8. Kya unka kehna yeh hai ke Rasool ne isey khud ghadh (fabricated) liya hai? inse kaho “ agar maine isey khud ghadh (fabricated) liya hai to tum mujhe khuda ki pakad se kuch bhi na bacha sakoge. Jo baatein tum banate ho Allah unko khoob jaanta hai, mere aur tumhare darmiyaan wahi gawahi dene ke liye kafi hai, aur woh bada darguzar karne wala aur Raheem hai”.
9. Inse kaho “main koi nirala Rasool to nahin hoon, main nahin jaanta ke kal tumhare saath kya hona hai aur mere saath kya. Main to sirf us wahee (revelation) ki pairwi karta hoon jo mere paas bheji jaati hai aur main ek saaf saaf khabardaar kardene wale ke siwa kuch nahin hoon”
10. Aey Nabi, inse kaho “ kabhi tumne socha bhi ke agar yeh kalaam Allah hi ki taraf se hua aur tumne iska inkar kardiya (to tumhara kya anjaam hoga)?Aur is jaise ek kalaam par to bani Israel ka ek gawah shahadat bhi de chuka hai. Woh iman le aaya aur tum apne ghamand (arrogant) mein padey rahe. aise zalimon ko Allah hidayat nahin diya karta”
11. Jin logon ne maanne se inkar kardiya hai woh iman laane walon ke mutaaliq kehte hain “ke agar is kitaab ko maan lena koi accha kaam hota to yeh log is maamle mein humse sabaqat na leja sakte thay”. Chunke inhon ne us se hidayat na paayi is liye ab yeh zaroor kahenge ke yeh to purana jhoot hai.
12. Halaanke is se pehle Moosa ki kitaab rehnuma aur rehmat bankar aa chuki hai, aur yeh kitaab uski tasdeeq karne wali zubaan-e-arabi mein aayi hai taa-ke zalimon ko mutanabbe (warn) karde aur neik rawish ikhtiyar karne walon ko basharat de de.
13. Yakeenan jin logon ne kehdiya ke Allah hi hamara Rubb hai, phir uspar jamm gaye, unke liye na koi khauf hai aur na woh ghamgheen honge.
14. Aise sab log Jannat mein jaane wale hain. Jahan woh hamesha rahenge apne un aamal ke badle jo woh duniya mein karte rahe hain.
15. Humne Insan ko hidayat ki ke woh apne walidain ke saath neik bartaao kare. Uski maa ne mushaqqat utha kar usey pait mein rakkha aur mushaqqat utha kar hi usko jana(delivered). Aur uske hamal aur doodh chudane mein tees (thirty) mahine lag gaye. Yahan tak ke jab woh apni poori taaqat ko pahuncha aur chaalis(forty) saal ka ho gaya to usne kaha “Aey mere Rubb mujhe taufiq de ke main teri un niyamaton ka shukar ada karoon jo tu ne mujhe aur mere walidain ko ata famayi, aur aisa neik amal karoon jisse tu raazi ho, aur meri aulad ko bhi neik bana kar mujhe sukh de, mein tere huzoor tauba karta hoon aur taabe farmaan (muslim)bandon mein se hoon”
16. Is tarah ke logon se hum unke behtreen aamaal ko qabool karte hain aur unki buraiyon se darguzar kar jaate hain. Yeh jannati logon mein shamil honge us sacche waade ke mutaabiq jo inse kiya jata raha hai.
17. Aur jis shaks ne apne waldain se kaha “ Uff, tang kardiya tumne” kya tum mujhe yeh khauf dilate ho ke main marne ke baad phir qabar se nikala jaunga halanke mujhse pehle bahut si nasalein(generations) guzar chuki hain (unmein se to koi uth kar na aaya)”Maa aur baap Allah ki duhayi dekar kehte hain “arey badnaseeb ,maan jaa , Allah ka waada saccha hai”. Magar woh kehta hai “ yeh sab agle waqton ki farsuda(fables) kahaniyan hai”
18. Yeh woh log hain jinpar azaab ka faisla chaspan ho chuka hai. Inse pehle Jinno aur Insano ke jo toley(communities) (isi qumash ke) ho guzre hain unhi mein yeh bhi jaa shamil honge. Beshak yeh ghaate (loss) mein reh jaane wale log hain.
19. Dono girohon mein se har ek ke darje unke aamal ke lihaz se hain taa-ke Allah unke kiye ka poora poora badla unko de. Unpar zulm hargiz na kiya jaaye.
20. Phir jab yeh kafir aag ke saame laa khade kiye jayenge to unse kaha jayega: “tum apne hissay ki niyamatein apni duniya ki zindagi mein khatam kar chuke aur unka lutf tumne utha liya, ab jo takabbur tum zameen mein kisi haqq ke bagair karte rahe aur jo nafarmaniyan tumne ki unke padash mein aaj tumko zillat ka azaab diya jayega”
21. Zara inhein Aad ke bhai (Hud) ka qissa sunao jabke usne ahqaf mein apni qaum ko khabardaar kiya tha aur aise khabardaar karne wale us se pehle bhi guzar chuke thay aur uske baad bhi aate rahe ke “Allah ke siwa kisi ki bandagi na karo , mujhe tumhare haqq mein ek badey haulnaak din ke azaab ka andesha hai”.
22. Unhon ne kaha “ kya tu is liye aaya hai ke humein behka kar hamare maboodon se bargashta karde? Accha to le aa apna woh azaab jis se tu humein darata hai agar waqayi tu saccha hai”
23. Usne kaha ke “iska ilm to Allah ko hai, main sirf woh paigam tumhein pahuncha raha hoon jise dekar mujhe bheja gaya hai. Magar main dekh raha hoon ke tum log jihalat barat rahe ho”
24. Phir jab unhon ne us azaab ko apni waadiyon (valleys) ki taraf aate dekha to kehne lage “yeh baadal hai jo humko sairaab kardega”. balke yeh wahi cheez hai jiske liye tum jaldi macha rahe thay, yeh hawa ka toofaan hai jismein dardnaak azaab chala aa raha hai.
25. Apne Rubb ke hukm se har cheez ko tabaah kar dalega”. Aakhir e kaar unka haal yeh hua ke unke rehne ke jaghon ke siwa wahan kuch nazar na aata tha. Is tarah hum mujrimon ko badla diya karte hain.
26. Unko humne woh kuch diya tha jo tum logon ko nahin diya hai. Unko humne kaan, aankehin aur dil sab kuch de rakkhe thay, magar na woh kaan unke kisi kaam aaye, na aankhein, na dil, kyunke woh Allah ki aayaat ka inkar karte thay, aur usi cheez ke phair mein woh aa gaye jiska woh mazaaq udate thay.
27. Tumhare gird o pesh ke ilakon mein bahut se bastiyon ko hum halaak kar chuke hain. Humne apni aayaat bhej kar baar baar tarah tarah se unko samjhaya, shayad ke woh baaz aa jayein.
28. Phir kyun na un hastiyon ne unki madad ki jinhein Allah ko chodh kar unhon ne taqarrub-e-ilallah ka zariya samajhte huey maabood bana liya tha? Balke woh to unse khoye gaye. Aur yeh tha unke jhoot aur un banawati aqeedon ka anjaam jo unhon ne ghadh rakkhe thay.
29. (Aur woh waqiya bhi qabil e zikr hai) jab hum Jinno ke ek girooh ko tumhari taraf le aaye thay taa-ke Quran sunein. Jab woh us jagaah pahunche (jahan tum Quraan padh rahe thay) to unhon ne aapas mein kaha khamosh ho jao, phir jab woh padha jaa chuka to woh khabardaar karne wale bankar apni qaum ki taraf palte(returned).
30. Unhon ne jaa kar kaha “aey hamari qaum ke logon, humne ek kitaab suni hai jo Moosa ke baad naazil ki gayi hai, tasdeeq(confirm) karne wali hai apne se pehle aayi hui kitaabon ki, rehnumayi karti hai haqq aur raah-e-raast ki taraf.
31. Aey hamari qaum ke logon, Allah ki taraf bulane wale ki dawat qabool karlo aur ispar iman le aao, Allah tumhare gunaahon se darguzar famayega aur tumhein azaab e aleem se bacha dega”
32. Aur jo koi Allah ke daai (one who calls to Allah) ki baat na maane woh na zameen mein khud koi bal boota rakhta hai ke Allah ko zach(frustrate) karde, aur na uske koi aise haami-o-sarparast (protector) hain ke Allah se usko bacha lein. Aise log khuli gumraahi mein padey huey hain.
33. Aur kya in logon ko yeh sujhayi nahin deta ke jis khuda ne yeh zameen aur aasmaan paida kiye hain aur inko banate huey jo na thaka, woh zaroor ispar qaadir hai ke murdon (dead) ko jila uthaye? Kyun nahin, yaqeenan woh har cheez ki qudrat rakhta hai.
34. Jis roz yeh kafir aag ke saamne laye jayenge , us waqt unse pucha jayega “ kya yeh haqq nahin hai?” Yeh kahenge “ haan, hamare Rubb ki qasam (yeh waqayi haqq hai)” Allah farmayega “ accha to ab azaab ka mazaa chakkho apne us inkar ki padash mein jo tum karte rahe thay”
35. Pas aey Nabi, sabr karo jis tarhan ulul azm (strong will) Rasoolon ne sabr kiya hai, aur inke maamle mein jaldi na karo. Jis roz yeh log us cheez ko dekh lenge jiska inhein khauf dilaya jaa raha hai to inhein yun maloon hoga ke jaise duniya mein din ki ek ghadi bhar se zyada nahin rahe thay. Baat pahuncha di gayi, ab kya nafarmaan logon ke siwa aur koi halaak hoga?
Comments
Post a Comment