📖 Surah 45 Al-Jathiyah Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. حم

  2. تَنْزِيلُ الْكِتَابِ مِنَ اللَّهِ الْعَزِيزِ الْحَكِيمِ

  3. إِنَّ فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ لَآيَاتٍ لِلْمُؤْمِنِينَ

  4. وَفِي خَلْقِكُمْ وَمَا يَبُثُّ مِنْ دَابَّةٍ آيَاتٌ لِقَوْمٍ يُوقِنُونَ

  5. وَاخْتِلَافِ اللَّيْلِ وَالنَّهَارِ وَمَا أَنْزَلَ اللَّهُ مِنَ السَّمَاءِ مِنْ رِزْقٍ فَأَحْيَا بِهِ الْأَرْضَ بَعْدَ مَوْتِهَا وَتَصْرِيفِ الرِّيَاحِ آيَاتٌ لِقَوْمٍ يَعْقِلُونَ

  6. تِلْكَ آيَاتُ اللَّهِ نَتْلُوهَا عَلَيْكَ بِالْحَقِّ ۖ فَبِأَيِّ حَدِيثٍ بَعْدَ اللَّهِ وَآيَاتِهِ يُؤْمِنُونَ

  7. وَيْلٌ لِكُلِّ أَفَّاكٍ أَثِيمٍ

  8. يَسْمَعُ آيَاتِ اللَّهِ تُتْلَىٰ عَلَيْهِ ثُمَّ يُصِرُّ مُسْتَكْبِرًا كَأَنْ لَمْ يَسْمَعْهَا ۖ فَبَشِّرْهُ بِعَذَابٍ أَلِيمٍ

  9. وَإِذَا عَلِمَ مِنْ آيَاتِنَا شَيْئًا اتَّخَذَهَا هُزُوًا ۚ أُولَٰئِكَ لَهُمْ عَذَابٌ مُهِينٌ

  10. مِنْ وَرَائِهِمْ جَهَنَّمُ ۖ وَلَا يُغْنِي عَنْهُمْ مَا كَسَبُوا شَيْئًا وَلَا مَا اتَّخَذُوا مِنْ دُونِ اللَّهِ أَوْلِيَاءَ ۖ وَلَهُمْ عَذَابٌ عَظِيمٌ

  11. هَٰذَا هُدًى ۖ وَالَّذِينَ كَفَرُوا بِآيَاتِ رَبِّهِمْ لَهُمْ عَذَابٌ مِنْ رِجْزٍ أَلِيمٌ

  12. اللَّهُ الَّذِي سَخَّرَ لَكُمُ الْبَحْرَ لِتَجْرِيَ الْفُلْكُ فِيهِ بِأَمْرِهِ وَلِتَبْتَغُوا مِنْ فَضْلِهِ وَلَعَلَّكُمْ تَشْكُرُونَ

  13. وَسَخَّرَ لَكُمْ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ جَمِيعًا مِنْهُ ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَاتٍ لِقَوْمٍ يَتَفَكَّرُونَ

  14. قُلْ لِلَّذِينَ آمَنُوا يَغْفِرُوا لِلَّذِينَ لَا يَرْجُونَ أَيَّامَ اللَّهِ لِيَجْزِيَ قَوْمًا بِمَا كَانُوا يَكْسِبُونَ

  15. مَنْ عَمِلَ صَالِحًا فَلِنَفْسِهِ ۖ وَمَنْ أَسَاءَ فَعَلَيْهَا ۖ ثُمَّ إِلَىٰ رَبِّكُمْ تُرْجَعُونَ

  16. وَلَقَدْ آتَيْنَا بَنِي إِسْرَائِيلَ الْكِتَابَ وَالْحُكْمَ وَالنُّبُوَّةَ وَرَزَقْنَاهُمْ مِنَ الطَّيِّبَاتِ وَفَضَّلْنَاهُمْ عَلَى الْعَالَمِينَ

  17. وَآتَيْنَاهُمْ بَيِّنَاتٍ مِنَ الْأَمْرِ ۖ فَمَا اخْتَلَفُوا إِلَّا مِنْ بَعْدِ مَا جَاءَهُمُ الْعِلْمُ بَغْيًا بَيْنَهُمْ ۚ إِنَّ رَبَّكَ يَقْضِي بَيْنَهُمْ يَوْمَ الْقِيَامَةِ فِيمَا كَانُوا فِيهِ يَخْتَلِفُونَ

  18. ثُمَّ جَعَلْنَاكَ عَلَىٰ شَرِيعَةٍ مِنَ الْأَمْرِ فَاتَّبِعْهَا وَلَا تَتَّبِعْ أَهْوَاءَ الَّذِينَ لَا يَعْلَمُونَ

  19. إِنَّهُمْ لَنْ يُغْنُوا عَنْكَ مِنَ اللَّهِ شَيْئًا ۚ وَإِنَّ الظَّالِمِينَ بَعْضُهُمْ أَوْلِيَاءُ بَعْضٍ ۖ وَاللَّهُ وَلِيُّ الْمُتَّقِينَ

  20. هَٰذَا بَصَائِرُ لِلنَّاسِ وَهُدًى وَرَحْمَةٌ لِقَوْمٍ يُوقِنُونَ

  21. أَمْ حَسِبَ الَّذِينَ اجْتَرَحُوا السَّيِّئَاتِ أَنْ نَجْعَلَهُمْ كَالَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ سَوَاءً مَحْيَاهُمْ وَمَمَاتُهُمْ ۚ سَاءَ مَا يَحْكُمُونَ

  22. وَخَلَقَ اللَّهُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ بِالْحَقِّ وَلِتُجْزَىٰ كُلُّ نَفْسٍ بِمَا كَسَبَتْ وَهُمْ لَا يُظْلَمُونَ

  23. أَفَرَأَيْتَ مَنِ اتَّخَذَ إِلَٰهَهُ هَوَاهُ وَأَضَلَّهُ اللَّهُ عَلَىٰ عِلْمٍ وَخَتَمَ عَلَىٰ سَمْعِهِ وَقَلْبِهِ وَجَعَلَ عَلَىٰ بَصَرِهِ غِشَاوَةً فَمَنْ يَهْدِيهِ مِنْ بَعْدِ اللَّهِ ۚ أَفَلَا تَذَكَّرُونَ

  24. وَقَالُوا مَا هِيَ إِلَّا حَيَاتُنَا الدُّنْيَا نَمُوتُ وَنَحْيَا وَمَا يُهْلِكُنَا إِلَّا الدَّهْرُ ۚ وَمَا لَهُمْ بِذَٰلِكَ مِنْ عِلْمٍ ۖ إِنْ هُمْ إِلَّا يَظُنُّونَ

  25. وَإِذَا تُتْلَىٰ عَلَيْهِمْ آيَاتُنَا بَيِّنَاتٍ مَا كَانَ حُجَّتَهُمْ إِلَّا أَنْ قَالُوا ائْتُوا بِآبَائِنَا إِنْ كُنْتُمْ صَادِقِينَ

  26. قُلِ اللَّهُ يُحْيِيكُمْ ثُمَّ يُمِيتُكُمْ ثُمَّ يَجْمَعُكُمْ إِلَىٰ يَوْمِ الْقِيَامَةِ لَا رَيْبَ فِيهِ وَلَٰكِنَّ أَكْثَرَ النَّاسِ لَا يَعْلَمُونَ

  27. وَلِلَّهِ مُلْكُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۚ وَيَوْمَ تَقُومُ السَّاعَةُ يَوْمَئِذٍ يَخْسَرُ الْمُبْطِلُونَ

  28. وَتَرَىٰ كُلَّ أُمَّةٍ جَاثِيَةً ۚ كُلُّ أُمَّةٍ تُدْعَىٰ إِلَىٰ كِتَابِهَا الْيَوْمَ تُجْزَوْنَ مَا كُنْتُمْ تَعْمَلُونَ

  29. هَٰذَا كِتَابُنَا يَنْطِقُ عَلَيْكُمْ بِالْحَقِّ ۚ إِنَّا كُنَّا نَسْتَنْسِخُ مَا كُنْتُمْ تَعْمَلُونَ

  30. فَأَمَّا الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ فَيُدْخِلُهُمْ رَبُّهُمْ فِي رَحْمَتِهِ ۚ ذَٰلِكَ هُوَ الْفَوْزُ الْمُبِينُ

  31. وَأَمَّا الَّذِينَ كَفَرُوا أَفَلَمْ تَكُنْ آيَاتِي تُتْلَىٰ عَلَيْكُمْ فَاسْتَكْبَرْتُمْ وَكُنْتُمْ قَوْمًا مُجْرِمِينَ

  32. وَإِذَا قِيلَ إِنَّ وَعْدَ اللَّهِ حَقٌّ وَالسَّاعَةُ لَا رَيْبَ فِيهَا قُلْتُمْ مَا نَدْرِي مَا السَّاعَةُ إِنْ نَظُنُّ إِلَّا ظَنًّا وَمَا نَحْنُ بِمُسْتَيْقِنِينَ

  33. وَبَدَا لَهُمْ سَيِّئَاتُ مَا عَمِلُوا وَحَاقَ بِهِمْ مَا كَانُوا بِهِ يَسْتَهْزِئُونَ

  34. وَقِيلَ الْيَوْمَ نَنْسَاكُمْ كَمَا نَسِيتُمْ لِقَاءَ يَوْمِكُمْ هَٰذَا وَمَأْوَاكُمُ النَّارُ وَمَا لَكُمْ مِنْ نَاصِرِينَ

  35. ذَٰلِكُمْ بِأَنَّكُمُ اتَّخَذْتُمْ آيَاتِ اللَّهِ هُزُوًا وَغَرَّتْكُمُ الْحَيَاةُ الدُّنْيَا ۚ فَالْيَوْمَ لَا يُخْرَجُونَ مِنْهَا وَلَا هُمْ يُسْتَعْتَبُونَ

  36. فَلِلَّهِ الْحَمْدُ رَبِّ السَّمَاوَاتِ وَرَبِّ الْأَرْضِ رَبِّ الْعَالَمِينَ

  37. وَلَهُ الْكِبْرِيَاءُ فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۖ وَهُوَ الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Haa-Meeem

  2. Tanzeelul Kitaabi minal laahil 'Azeezil Hakeem

  3. Innaa fis samaawaati wal ardi la Aayaatil lilmu'mineen

  4. Wa fee khalaqikum wa maa yabussu min daaabbatin Aayaatul liqawminy-yooqinoon

  5. Wakhtilaafil laili wannahaari wa maaa anzalal laahu minas samaaa'i mir rizqin fa ahyaa bihil arda ba'da mawtihaa wa tasreefir riyaahi Aayaatul liqawminy ya'qiloon

  6. Tilka Aayatul laahi natloohaa 'alaika bil haqq, fabiayyi hadeesim ba'dal laahi wa Aayaatihee yu'minoon

  7. Wailul likulli affaakin aseem

  8. Yasma'u Aayaatil laahi tutlaa 'alaihi summa yusirru mustakbiran ka-al lam yasma'haa fabashshirhu bi'azaabin aleem

  9. Wa izaa 'alima min Aayaatinaa shai' 'anit takhazahaa huzuwaa; ulaaa'ika lahum 'azaabum muheen

  10. Minw waraaa'ihim Jahannamu wa laa yughnee 'anhum maa kasaboo shai'anw wa laa mat takhazoo min doonil laahi awliyaaa; wa lahum 'azaabun 'azeem

  11. Haazaa hudaa; wal lazeena kafaroo bi aayaati Rabbihim lahum 'azaabum mir rijzin 'aleem (section 1)

  12. Allaahul lazee sahkhara lakumul bahra litajriyal fulku feehi bi amrihee wa litabtaghoo min fadlihee wa la'allakum tashkuroon

  13. Wa sakhkhara lakum maa fis samaawaati wa maa fil ardi jamee'am minhu; inna feezaalika la Aayaatil liqawminy yatafakkaroon

  14. Qul lillazeena aamanoo yaghfiroo lillazeena laa yarjoona ayyaamal laahi liyajziya qawmam bimaa kaanoo yaksiboon

  15. Man 'amila saalihan falinafsihee wa man asaaa'a fa'alaihaa summa ilaa Rabbikum turja'oon

  16. Wa laqad aatainaa Baneee Israaa'eelal Kitaaba walhukma wan Nubuwwata wa razaqnaahum minat taiyibaati wa faddalnaahum;alal 'aalameen

  17. Wa aatainaahum baiyinaatim minal amri famakh talafooo illaa mim ba'di maa jaaa'ahumul 'ilmu baghyam bainahum; inna Rabbaka yaqdee bainahum Yawmal Qiyaamati feemaa kaanoo feehi yakhtalifoon

  18. Summa ja'alnaaka 'alaa sharee'atim minal amri fattabi'haa wa laa tattabi'ahwaaa'al-lazeena laa ya'lamoon

  19. Innahum lany yughnoo 'anka minal laahi shai'aa; wa innaz zaalimeena ba'duhum awliyaaa'u ba'dinw wallaahu waliyyul muttaqeen

  20. Haazaa basaaa'iru linnaasi wa hudanw wa rahmatul liqawminy yooqinoon

  21. Am hasibal lazeenaj tarahus saiyiaati an naj'alahum kallazeena aamanoo wa 'amilu saalihaati sawaaa'am mahyaahum wa mamaatuhum; saaa'a maa yahkumoon (section 2)

  22. Wa khalaqal laahus samaawaati wal arda bilhaqqi wa litujzaa kullu nafsim bimaa kasabat wa hum laa yuzlamoon

  23. Afara'ayta manit takhaza ilaahahoo hawaahu wa adal lahul laahu 'alaa 'ilminw wa khatama 'alaa sam'ihee wa qalbihee wa ja'ala 'alaa basarihee ghishaawatan famany yahdeehi mim ba'dil laah; afalaa tazakkaroon

  24. Wa qaaloo maa hiya illaa hayaatunad dunyaa namootu wa nahyaa wa maa yuhlikunaaa illad dahr; wa maa lahum bizaalika min 'ilmin in hum illaayazunnoon

  25. Wa izaa tutlaa 'alaihim aayaatuna baiyinaatim maa kaana hujjatahum illaaa an qaalu'too bi aabaaa'inaaa in kuntum saadiqeen

  26. Qulil laahu yuhyeekum summa yumeetukum summa yajma'ukum ilaa Yawmil Qiyaamati laa raiba feehi wa laakinna aksaran naasi laa ya'lamoon (section 3)

  27. Wa lillaahi mulkus samaawaati wal ard; wa Yawma taqoomus Saa'atu Yawma 'iziny yakhsarul mubtiloon

  28. Wa taraa kulla ummatin jaasiyah; kullu ummatin tud'aaa ilaa kitaabihaa al Yawma tujzawna maa kuntum ta'maloon

  29. Haazaa kitaabunaa yantiqu 'alaikum bilhaqq; innaa kunnaa nastansikhu maa kuntum ta'maloon

  30. Fa ammal lazeena aamaanoo wa 'amilus saalihaati fayudkhiluhum Rabbuhum fee rahmatih; zaalika huwal fawzul mubeen

  31. Wa ammal lazeena kafarooo afalam takun Aayaatee tutlaa 'alaikum fastakbartum wa kuntum qawmam mujrimeen

  32. Wa izaa qeela inna wa'dallaahi haqqunw was Saa'atu laa raiba feehaa qultum maa nadree mas Saa'atu in nazunnu illaa zannanw wa maa nahnu bimustaiqineen

  33. Wa badaa lahum saiyiaatu maa 'amiloo wa haaqa bihim maa kaanoo bihee yastahzi'oon

  34. Wa qeelal yawma nansaakum kamaa naseetum liqaaa'a yawmikum haazaa wa maawaakumun Naaru wa maa lakum min naasireen

  35. Zaalikum bi annakumut takhaztum aayaatil laahi huzuwanw wa gharratkumul hayaatud dunyaa; fal yawma laa yukhrajoona minhaa wa laahum yusta'taboon

  36. Falillaahil hamdu Rabbis samaawaati wa Rabbil ardi Rabbil-'aalameen

  37. Wa lahul kibriyaaa'u fissamaawaati wal ardi wa Huwal 'Azeezul Hakeem (section 4) (End Juz 25)

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Haa Meem

2. Is kitaab ka nuzul Allah ki taraf se hai jo zabardast aur Hakeem hai.

3. Haqeeqat yeh hai ke aasmaano aur zameen mein beshumaar nishaniyan hain iman laane walon ke liye

4. Aur tumhari apni paidaish mein, aur un haiwanaat (jaanwaron) mein jinko Allah (zameen mein) phayla raha hai, badi nishaniyan hain un logon ke liye jo yaqeen laane wale hain.

5. Aur shab-o-roz (night and day) ke farq o ikhtilaf mein, aur us rizq mein jise Allah aasmaan se naazil farmata hai phir uske zariye se murda zameen ko jila uthata hai, aur hawaon ki gardish mein bahut nishaniyan hain un logon ke liye jo aqal se kaam lete hain.

6. Yeh Allah ki nishaniyan hain jinhein hum tumhare saamne theek theek bayan kar rahe hain. Ab aakhir Allah aur uski aayaat ke baad aur kaunsi baat hai jispar yeh log iman layenge.

7. Tabahi hai har us jhoote badh amal shaks ke liye

8. Jiske saamne Allah ki aayaat padi jaati hain, aur woh unko sunta hai, phir pooray istakbar ke saath apne kufr par is tarah ada rehta hai goya usne unko suna hi nahin. aise shaks ko dardnaak azaab ka musda suna do.

9. Hamari aayaat mein se koi baat jab uske ilm mein aati hai to woh unka mazaaq bana leta hain. Aise sab logon ke liye zillat ka azaab hai.

10. Unke aage jahannum hai. Jo kuch bhi unhon ne duniya mein kamaya hai usmein se koi cheez unke kisi kaam na aayegi. Na unke woh sarparast hi unke liye kuch kar sakenge jinhein Allah ko chodh kar unhon ne apna wali bana rakkha hai. Unke liye bada azaab hai.

11. Yeh Quran sarasar hidayat hai, aur un logon ke liye balaa ka dardnaak azaab hai jinhon ne apne Rubb ki aayaat ko maanne se inkar kiya.

12. Woh Allah hi to hai jisne tumhare liye samandar ko musakkhar kiya taa-ke uske hukm se kashtiyan usmein chalein aur tum uska fazl talash karo aur shukar-guzar ho.

13. Usne zameen aur aasmaano ki saari hi cheezon ko tumhare liye musakkhar kardiya, sab kuch apne paas se. is mein badi nishaniyan hain un logon ke liye jo gaur o fikr karne wale hain.

14. (Aey Nabi) iman laane walon se kehdo ke jo log Allah ki taraf se bure din aane ka koi andesha nahin rakhte, unki harakaton par darguzar se kaam lein taa-ke Allah khud ek giroh ko uski kamayi ka badla de.

15. Jo koi neik amal karega apne hi liye karega, aur jo burayi karega woh aap hi uska khumyaza (consequence) bhugtega. Phir jaana to sabko apne Rubb hi ki taraf hai.

16. Isse pehle bani Israel ko humne kitaab aur hukm aur nabuwat ata ki thi, unko humne umda samaan e zeist se nawaza, duniya bhar ke logon par unhein fazilat ata ki.

17. Aur deen ke maamle mein unhein wazeh hidayat de di.Phir jo ikhtilaf unke darmiyan runama hua woh (nawaqifiyat ki wajah se nahin balke) ilm aa jaane ke baad hua aur is bina par hua ke woh aapas mein ek dusre par zyadati karna chahte thay. Allah qayamat ke roz un maamlaat ka faisla farmadega jinmein woh ikhtilaf karte rahe hain.

18. Iske baad aey Nabi humne tumko deen ke maamley mein ek saaf shah-raah(shariyat) par qayam kiya hai. Lihaza tum usi par chalo aur un logon ki khwahishaat ka ittiba na karo jo ilm nahin rakhte.

19. Allah ke muqable mein woh tumhare kuch bhi kaam nahin aa sakte. Zalim log ek dusre ke saathi hain, aur muttaaqiyon ka saathi Allah hai.

20. Yeh basirat ki roshiniyan hain sab logon ke liye aur hidayat aur rehmat un logon ke liye jo yaqeen layein.

21. Kya woh log jinhon ne buraiyon ka irtiqaab kiya hai yeh samjhe baithe hain ke hum unhein aur iman laane walon aur neik amal karne walon ko ek jaisa kardenge ke inka jeena aur marna yaksan ho jaye? Bahut bure hukm hain jo yeh log lagate hain.

22. Allah ne to Aasmaano aur zameen ko barhaqq paida kiya hai aur is liye kiya hai ke har mutannafis ko uski kamayi ka badla diya jaaye. Logon par zulm hargiz na kiya jayega.

23. Phir kya tumne kabhi us shaks ke haal par bhi gaur kiya jisne apni khwahish e nafs ko apna khuda bana liya aur Allah ne ilm ke bawajood usey gumraahi mein phenk diya aur uske dil aur kaano (ears) par mohar laga di aur uski aankhon par purda daal diya? Allah ke baad ab aur kaun hai jo usey hidayat de? Kya tum log koi sabaq nahin lete?

24. Yeh log kehte hain ke “zindagi bas yahi hamari duniya ki zindagi hai, yahin hamara marna aur jeena hai aur gardish-e-ayyam (passage of time) ke siwa koi cheez nahin jo humein halaak karti ho.” Dar haqeeqat is maamle mein inke paas koi ilm nahin hai yeh mehaz gumaan ki bina par yeh baatein karte hain.

25. Aur jab hamari wazeh aayaat unhein sunayi jaati hain to inke paas koi hujjat iske siwa nahin hoti ke utha lao hamare baap dada ko agar tum sacche ho.

26. Aey Nabi inse kaho Allah hi tumhein zindagi bakashta hai, phir wahi tumhein maut deta hai , phir wahi tumko us qayamat ke din jamaa karega jiske aane mein koi shakk nahin. Magar aksar log jaante nahin hain.

27. Zameen aur aasmaano ki badshahi Allah hi ki hai, aur jis roz qayamat ki ghadi aa khadi hogi us din baatil parast khasare (nuksan) mein padh jayenge.

28. Us waqt tum har girooh ko ghuthano (knees) ke bal gira dekhoge. Har girooh ko pukara jayega ke aaye aur apna naame aamal dekhe. Unse kaha jayega: “aaj tum logon ko un aamal ka badla diya jayega jo tum karte rahe thay.

29. Yeh hamara tayyar karaya hua aamal naama hai jo tumhare upar theek theek shahadat de raha hai, jo kuch bhi tum karte thay usey hum likhwate jaa rahe thay”.

30. Phir jo log iman laye thay aur neik aamal karte rahe thay unhein unka Rubb apni rehmat mein daakhil karega. Aur yahi sareeh kaamiyabi hai.

31. Aur jin logon ne kufr kiya tha unse kaha jayega “kya meri aayaat tumko nahin sunayi jaati thin? Magar tumne takabbur kiya aur mujrim bankar rahe.

32. Aur jab kaha jata tha ke Allah ka waada bar- haqq hai aur qayamat ke aane mein koi shakk nahin, to tum kehte thay ke hum nahin jaante qayamat kya hoti hai, hum to bas ek gumaan sa rakhte hain , yaqeen hum ko nahin hai”

33. Us waqt unpar unke aamal ki buraiyan khul jayengi aur woh usi cheez ke pher mein aa jayenge jiska woh mazaaq udaya karte thay.

34. Aur inse kehdiya jayega ke “Aaj hum bhi usi tarah tumhein bhulaye dete hain jis tarah tum is din ki mulaqaat ko bhool gaye thay.Tumhara thikana ab dozakh hai aur koi tumhari madad karne wala nahin hai.

35. Yeh tumhara anjaam is liye hua hai ke tumne Allah ki aayaat ka mazaaq bana liya tha aur tumhein duniya ki zindagi ne dhoke mein daal diya tha. Lihaza aaj na yeh log dozakh se nikale jayenge aur na inse kaha jayega ke maafi maang kar apne Rubb ko raazi karo”

36. Pas tareef Allah hi ke liye hai jo zameen aur aasmaano ka maalik aur saare jahan walon ka parwardigar hai.

37. Zameen aur aasmaano mein badayi usi ke liye hai aur wahi zabardast (most mighty) aur daana (most wise) hai.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments