📖 Surah 44 Ad-Dukhan Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. حم

  2. وَالْكِتَابِ الْمُبِينِ

  3. إِنَّا أَنْزَلْنَاهُ فِي لَيْلَةٍ مُبَارَكَةٍ ۚ إِنَّا كُنَّا مُنْذِرِينَ

  4. فِيهَا يُفْرَقُ كُلُّ أَمْرٍ حَكِيمٍ

  5. أَمْرًا مِنْ عِنْدِنَا ۚ إِنَّا كُنَّا مُرْسِلِينَ

  6. رَحْمَةً مِنْ رَبِّكَ ۚ إِنَّهُ هُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ

  7. رَبِّ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَمَا بَيْنَهُمَا ۖ إِنْ كُنْتُمْ مُوقِنِينَ

  8. لَا إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ يُحْيِي وَيُمِيتُ ۖ رَبُّكُمْ وَرَبُّ آبَائِكُمُ الْأَوَّلِينَ

  9. بَلْ هُمْ فِي شَكٍّ يَلْعَبُونَ

  10. فَارْتَقِبْ يَوْمَ تَأْتِي السَّمَاءُ بِدُخَانٍ مُبِينٍ

  11. يَغْشَى النَّاسَ ۖ هَٰذَا عَذَابٌ أَلِيمٌ

  12. رَبَّنَا اكْشِفْ عَنَّا الْعَذَابَ إِنَّا مُؤْمِنُونَ

  13. أَنَّىٰ لَهُمُ الذِّكْرَىٰ وَقَدْ جَاءَهُمْ رَسُولٌ مُبِينٌ

  14. ثُمَّ تَوَلَّوْا عَنْهُ وَقَالُوا مُعَلَّمٌ مَجْنُونٌ

  15. إِنَّا كَاشِفُو الْعَذَابِ قَلِيلًا ۚ إِنَّكُمْ عَائِدُونَ

  16. يَوْمَ نَبْطِشُ الْبَطْشَةَ الْكُبْرَىٰ إِنَّا مُنْتَقِمُونَ

  17. وَلَقَدْ فَتَنَّا قَبْلَهُمْ قَوْمَ فِرْعَوْنَ وَجَاءَهُمْ رَسُولٌ كَرِيمٌ

  18. أَنْ أَدُّوا إِلَيَّ عِبَادَ اللَّهِ ۖ إِنِّي لَكُمْ رَسُولٌ أَمِينٌ

  19. وَأَنْ لَا تَعْلُوا عَلَى اللَّهِ ۖ إِنِّي آتِيكُمْ بِسُلْطَانٍ مُبِينٍ

  20. وَإِنِّي عُذْتُ بِرَبِّي وَرَبِّكُمْ أَنْ تَرْجُمُونِ

  21. وَإِنْ لَمْ تُؤْمِنُوا لِي فَاعْتَزِلُونِ

  22. فَدَعَا رَبَّهُ أَنَّ هَٰؤُلَاءِ قَوْمٌ مُجْرِمُونَ

  23. فَأَسْرِ بِعِبَادِي لَيْلًا إِنَّكُمْ مُتَّبَعُونَ

  24. وَاتْرُكِ الْبَحْرَ رَهْوًا ۖ إِنَّهُمْ جُنْدٌ مُغْرَقُونَ

  25. كَمْ تَرَكُوا مِنْ جَنَّاتٍ وَعُيُونٍ

  26. وَزُرُوعٍ وَمَقَامٍ كَرِيمٍ

  27. وَنَعْمَةٍ كَانُوا فِيهَا فَاكِهِينَ

  28. كَذَٰلِكَ ۖ وَأَوْرَثْنَاهَا قَوْمًا آخَرِينَ

  29. فَمَا بَكَتْ عَلَيْهِمُ السَّمَاءُ وَالْأَرْضُ وَمَا كَانُوا مُنْظَرِينَ

  30. وَلَقَدْ نَجَّيْنَا بَنِي إِسْرَائِيلَ مِنَ الْعَذَابِ الْمُهِينِ

  31. مِنْ فِرْعَوْنَ ۚ إِنَّهُ كَانَ عَالِيًا مِنَ الْمُسْرِفِينَ

  32. وَلَقَدِ اخْتَرْنَاهُمْ عَلَىٰ عِلْمٍ عَلَى الْعَالَمِينَ

  33. وَآتَيْنَاهُمْ مِنَ الْآيَاتِ مَا فِيهِ بَلَاءٌ مُبِينٌ

  34. إِنَّ هَٰؤُلَاءِ لَيَقُولُونَ

  35. إِنْ هِيَ إِلَّا مَوْتَتُنَا الْأُولَىٰ وَمَا نَحْنُ بِمُنْشَرِينَ

  36. فَأْتُوا بِآبَائِنَا إِنْ كُنْتُمْ صَادِقِينَ

  37. أَهُمْ خَيْرٌ أَمْ قَوْمُ تُبَّعٍ وَالَّذِينَ مِنْ قَبْلِهِمْ ۚ أَهْلَكْنَاهُمْ ۖ إِنَّهُمْ كَانُوا مُجْرِمِينَ

  38. وَمَا خَلَقْنَا السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ وَمَا بَيْنَهُمَا لَاعِبِينَ

  39. مَا خَلَقْنَاهُمَا إِلَّا بِالْحَقِّ وَلَٰكِنَّ أَكْثَرَهُمْ لَا يَعْلَمُونَ

  40. إِنَّ يَوْمَ الْفَصْلِ مِيقَاتُهُمْ أَجْمَعِينَ

  41. يَوْمَ لَا يُغْنِي مَوْلًى عَنْ مَوْلًى شَيْئًا وَلَا هُمْ يُنْصَرُونَ

  42. إِلَّا مَنْ رَحِمَ اللَّهُ ۚ إِنَّهُ هُوَ الْعَزِيزُ الرَّحِيمُ

  43. إِنَّ شَجَرَتَ الزَّقُّومِ

  44. طَعَامُ الْأَثِيمِ

  45. كَالْمُهْلِ يَغْلِي فِي الْبُطُونِ

  46. كَغَلْيِ الْحَمِيمِ

  47. خُذُوهُ فَاعْتِلُوهُ إِلَىٰ سَوَاءِ الْجَحِيمِ

  48. ثُمَّ صُبُّوا فَوْقَ رَأْسِهِ مِنْ عَذَابِ الْحَمِيمِ

  49. ذُقْ إِنَّكَ أَنْتَ الْعَزِيزُ الْكَرِيمُ

  50. إِنَّ هَٰذَا مَا كُنْتُمْ بِهِ تَمْتَرُونَ

  51. إِنَّ الْمُتَّقِينَ فِي مَقَامٍ أَمِينٍ

  52. فِي جَنَّاتٍ وَعُيُونٍ

  53. يَلْبَسُونَ مِنْ سُنْدُسٍ وَإِسْتَبْرَقٍ مُتَقَابِلِينَ

  54. كَذَٰلِكَ وَزَوَّجْنَاهُمْ بِحُورٍ عِينٍ

  55. يَدْعُونَ فِيهَا بِكُلِّ فَاكِهَةٍ آمِنِينَ

  56. لَا يَذُوقُونَ فِيهَا الْمَوْتَ إِلَّا الْمَوْتَةَ الْأُولَىٰ ۖ وَوَقَاهُمْ عَذَابَ الْجَحِيمِ

  57. فَضْلًا مِنْ رَبِّكَ ۚ ذَٰلِكَ هُوَ الْفَوْزُ الْعَظِيمُ

  58. فَإِنَّمَا يَسَّرْنَاهُ بِلِسَانِكَ لَعَلَّهُمْ يَتَذَكَّرُونَ

  59. فَارْتَقِبْ إِنَّهُمْ مُرْتَقِبُونَ

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Haa Meeem

  2. Wal Kitaabil Mubeen

  3. Innaaa anzalnaahu fee lailatim mubaarakah; innaa kunnaa munzireen

  4. Feehaa yufraqu kullu amrin hakeem

  5. Amram min 'indinaaa; innaa kunnaa mursileen

  6. Rahmatam mir rabbik; innahoo Huwas Samee'ul 'Aleem

  7. Rabbis samaawaati wal ardi wa maa bainahumaa; in kuntum mooqineen

  8. Laaa ilaaha illaa Huwa yuhyee wa yumeetu Rabbukum wa Rabbu aabaaa'ikumul awwaleen

  9. Bal hum fee shakkiny yal'aboon

  10. Fartaqib Yawma ta'tis samaaa'u bi dukhaanin mubeen

  11. Yaghshan naasa haazaa 'azaabun aleem

  12. Rabbanak shif 'annal 'azaaba innaa mu'minoon

  13. Annaa lahumuz zikraa wa qad jaaa'ahum Rasoolum mubeen

  14. Summaa tawallaw 'anhu wa qaaloo mu'allamum majnoon

  15. Innaa kaashiful 'azaabi qaleelaa; innakum 'aaa'idoon

  16. Yawma nabtishul batsha tal kubraa innaa muntaqimoon

  17. Wa laqad fatannaa qablahum qawma Fir'awna wa jaaa'ahum Rasoolun kareem

  18. An addooo ilaiya 'ibaadal laahi innee lakum Rasoolun ameen

  19. Wa al laa ta'loo 'alal laahi innee aateekum bisultaanim mubeen

  20. Wa innee 'uztu bi Rabbee wa rabbikum an tarjumoon

  21. Wa il lam tu'minoo lee fa'taziloon

  22. Fada'aa rabbahooo anna haaa'ulaaa'i qawmum mujrimoon

  23. Fa asri bi'ibaadee lailan innakum muttaba'oon

  24. Watrukil bahra rahwan innahum jundum mughraqoon

  25. Kam tarakoo min jannaatinw wa 'uyoon

  26. Wa zuroo'inw wa maqaa min kareem

  27. Wa na'matin kaanoo feehaa faakiheen

  28. Kazaalika wa awrasnaahaa qawman aakhareen

  29. Famaa bakat 'alaihimus samaaa'u wal ardu wa maa kaanoo munzareen

  30. Wa laqad najjainaa Baneee Israaa'eela minal'azaabil muheen

  31. Min Fir'awn; innahoo kaana 'aaliyam minal musrifeen

  32. Wa laqadikh tarnaahum 'alaa 'ilmin 'alal 'aalameen

  33. Wa aatainaahum minal aayaati maa feehi balaaa'um mubeen

  34. Inna haaa'ulaaa'i la yaqooloon

  35. In hiya illaa mawtatunal oolaa wa maa nahnu bimun shareen

  36. Fa'too bi aabaaa'inaaa inkuntum saadiqeen

  37. Ahum khayrun am qawmu Tubba'inw wallazeena min qablihim; ahlaknaahum innahum kaanoo mujrimeen

  38. Wa maa khalaqnas samaawaati wal arda wa maa baina humaa laa'ibeen

  39. Maa khalaqnaahumaaa illaa bilhaqqi wa laakinna aksarahum laa ya'lamoon

  40. Inna yawmal fasli meeqaatuhum ajma'een

  41. Yawma laa yughnee mawlan 'am mawlan shai'anw wa laa hum yunsaroon

  42. Illaa mar rahimal laah' innahoo huwal 'azeezur raheem

  43. Inna shajarataz zaqqoom

  44. Ta'aamul aseem

  45. Kalmuhli yaghlee filbutoon

  46. Kaghalyil hameem

  47. Khuzoohu fa'tiloohu ilaa sawaaa'il Jaheem

  48. Summa subboo fawqa ra'sihee min 'azaabil hameem

  49. Zuq innaka antal 'azeezul kareem

  50. Inna haazaa maa kuntum bihee tamtaroon

  51. Innal muttaqeena fee maqaamin ameen

  52. Fee jannaatinw wa 'uyoon

  53. Yalbasoona min sundusinw wa istabraqim mutaqaabileen

  54. Kazaalika wa zawwajnaahum bihoorin 'een

  55. Yad'oona feehaa bikulli faakihatin aamineen

  56. Laa yazooqoona feehal mawtaa illal mawtatal oolaa wa waqaahum 'azaabal jaheem

  57. Fadlam mir rabbik; zaalika huwal fawzul 'azeem

  58. Fa innamaa yassarnaahu bilisaanika la'allahum yatazakkaroon

  59. Fartaqib innahum murta qiboon

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Haa Meem

2. Qasam hai is kitaab e Mubeen ki

3. Ke humne isey ek badi khair o barakat wali raat mein naazil kiya hai, kyunke hum logon ko mutanabbeh (warning) karne ka irada rakhte thay.

4. Yeh woh raat thi jismein har maamle ka hakeemana faisla

5. Hamare hukm se sadir kiya jata hai. Hum ek Rasool bhejne wale thay.

6. Tere Rubb ki rehmat ke taur par.Yaqeenan wahi sab kuch sunne aur jaanne wala hai.

7. Aasmano aur zameen ka Rubb aur har us cheez ka Rubb jo aasmaan o zameen ke darmiyan hai agar tum log waqayi yakeen rakhne wale ho.

8. Koi maabood uske siwa nahin hai. Wahi zindagi ata karta hai aur wahi maut deta hai.Tumhara Rubb aur tumhare un aslaaf (forefathers) ka Rubb jo pehle guzar chuke hain.

9. (Magar fil-waqeh in logon ko yaqeen nahin hai) balke yeh apne shakk mein paday khel rahe hain.

10. Accha intezar karo us din ka jab aasmaan sareeh dhuwan (smoke) liye huey aayega.

11. Aur woh logon par chaa jayega, yeh hai dardnaak saza.

12. (Ab kehte hain ke) “ parwardigar , humpar se yeh azaab taal de, hum iman latey hain”

13. Inki gaflat kahan dur hoti hai? Inka haal to yeh hai ke inke paas Rasool e mubeen aa gaya.

14. Phir bhi yeh uski taraf multafit na huey aur kaha ke “ yeh to sikhaya padaya bawla hai (well-tutored madman)”

15. Hum zara azaab hataye dete hain, tum log phir wahi kuch karoge jo pehle kar rahe thay.

16. Jis roz hum badi zarb (assault) lagayenge woh din hoga jab hum tumse inteqaam lenge.

17. Hum inse pehle Firaun ki qaum ko isi aazmaish mein daal chuke hain. Unke paas ek nihayat shareef Rasool aaya.

18. Aur usne kaha “Allah ke bandon ko mere hawale karo, main tumhare liye ek amanat-daar Rasool hoon.

19. Allah ke muqable mein sarkashi na karo. Main tumhare saamne (apni maamuriyat ki) sareeh sanad (clear authority) pesh karta hoon.

20. Aur main apne Rubb aur tumhare Rubb ki panaah le chuka hoon is se ke tum mujhpar hamla-awar (attack) ho.

21. Agar tum meri baat nahin maante to mujhpar haath daalne se baaz raho”

22. Aakhir e kaar usne apne Rubb ko pukara ke yeh log mujrim hain.

23. (Jawab diya gaya) accha to raat-o-raat mere bandon (servants) ko lekar chal padh. Tum logon ka peecha kiya jayega.

24. Samandar ko uske haal par khula chodh de.Yeh saara lashkar garq (drown) hone wala hai.

25. Kitne hi baag aur chashme.

26. Aur kheit (gardens) aur shaandaar mahal thay jo woh chodh gaye.

27. Kitne hi aish ke sar-o-samaan, jin mein woh mazey kar rahe thay unke pichey dharay reh gaye.

28. Yeh hua unka anjaam, aur humne dusron ko in cheezon ka waris bana diya.

29. Phir na aasmaan unpar roya na zameen, aur zara si mohalat bhi unko na di gayi.

30. Is taraah bani Israel ko humne sakht zillat ke azaab,

31. Firoun se najaat di jo hadd se guzar jaane walon mein fil waqeh badey unchey darje ka aadmi tha.

32. Aur unki haalat jaante huey, unko duniya ki dursi qaumon par tarjeeh di.

33. Aur unhein aisi nishaniya dikhayi jin mein sareeh aazmaish thi.

34. Yeh log kehte hain

35. “hamari pehli maut ke siwa aur kuch nahin uske baad hum dobara uthaye jaane wale nahin hai

36. Agar tum sacche ho to utha lao hamare baap dada ko”

37. Yeh behtar hai ya tubbah ki qaum aur us se pehle ke log? Humne unko isi bina par tabah kiya ke woh mujrim ho gaye thay.

38. Yeh aasmaan o zameen aur inke darmiyan ki cheezein humne kuch khel ke taur par nahin bana di hai.

39. Inko humne bar-haqq paida kiya hai, magar aksar log jaante nahin hai.

40. In sabke uthaye jaane ke liye tai-shudha waqt faisle ka din hai.

41. Woh din jab koi azeez kareeb apne kisi azeez kareeb ke kuch bhi kaam nahin aayega. Aur na kahin se unhein koi madad pahunchegi.

42. Siwaye iske ke Allah hi kisi par reham kare, woh zabardast aur Raheem hai.

43. Zakkhum ka darakht (tree).

44. Gunahgaar ka kha-ja (khana /food) hoga.

45. Tail (oil) ki tiljhat (dregs) jaisa, pait (bellies) mein is tarah josh khayega.

46. Jaise khaulta (boiling) hua pani josh khata hai.

47. Pakado isey aur raged-te (dragging) huey le jao isko jahannum ke beechon beech.

48. Aur undhail (pour) do iske sar par khaulte (boiling) pani ka azaab.

49. Chakkh iska maza, bada zabardast izzatdaar aadmi hai tu.

50. Yeh wahi cheez hai jiske aane mein tum log shakk rakhte thay”

51. Khuda tars log aman ki jagah mein honge.

52. Baaghon (gardens) aur chashmo mein.

53. Hareer-o-deeba (silk and brocade) ke libaas pehne, aamne saamne baithe honge.

54. Yeh hogi inki shaan aur hum gori gori aah-o-chashm auratein unse biyah denge.

55. Wahan woh itminaan se har tarah ki lazeez cheezein talab karenge.

56. Wahan maut ka maza woh kabhi na chakhenge . Bas duniya mein jo maut aa chuki so aa chuki aur Allah apne fazl se

57. Unko jahannum ke azaab se bacha dega yahi badi kamiyabi hai.

58. Aey Nabi (s.a.s) humne is kitaab ko tumhari zubaan mein sahal (easy / aasaan) bana diya hai taa-ke yeh log naseehat haasil karein.

59. Ab tum bhi intezar karo, yeh bhi muntazir (intezar kar rahe) hain.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments