📖 Surah 43 Az-Zukhruf Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. حم

  2. وَالْكِتَابِ الْمُبِينِ

  3. إِنَّا جَعَلْنَاهُ قُرْآنًا عَرَبِيًّا لَعَلَّكُمْ تَعْقِلُونَ

  4. وَإِنَّهُ فِي أُمِّ الْكِتَابِ لَدَيْنَا لَعَلِيٌّ حَكِيمٌ

  5. أَفَنَضْرِبُ عَنْكُمُ الذِّكْرَ صَفْحًا أَنْ كُنْتُمْ قَوْمًا مُسْرِفِينَ

  6. وَكَمْ أَرْسَلْنَا مِنْ نَبِيٍّ فِي الْأَوَّلِينَ

  7. وَمَا يَأْتِيهِمْ مِنْ نَبِيٍّ إِلَّا كَانُوا بِهِ يَسْتَهْزِئُونَ

  8. فَأَهْلَكْنَا أَشَدَّ مِنْهُمْ بَطْشًا وَمَضَىٰ مَثَلُ الْأَوَّلِينَ

  9. وَلَئِنْ سَأَلْتَهُمْ مَنْ خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ لَيَقُولُنَّ خَلَقَهُنَّ الْعَزِيزُ الْعَلِيمُ

  10. الَّذِي جَعَلَ لَكُمُ الْأَرْضَ مَهْدًا وَجَعَلَ لَكُمْ فِيهَا سُبُلًا لَعَلَّكُمْ تَهْتَدُونَ

  11. وَالَّذِي نَزَّلَ مِنَ السَّمَاءِ مَاءً بِقَدَرٍ فَأَنْشَرْنَا بِهِ بَلْدَةً مَيْتًا ۚ كَذَٰلِكَ تُخْرَجُونَ

  12. وَالَّذِي خَلَقَ الْأَزْوَاجَ كُلَّهَا وَجَعَلَ لَكُمْ مِنَ الْفُلْكِ وَالْأَنْعَامِ مَا تَرْكَبُونَ

  13. لِتَسْتَوُوا عَلَىٰ ظُهُورِهِ ثُمَّ تَذْكُرُوا نِعْمَةَ رَبِّكُمْ إِذَا اسْتَوَيْتُمْ عَلَيْهِ وَتَقُولُوا سُبْحَانَ الَّذِي سَخَّرَ لَنَا هَٰذَا وَمَا كُنَّا لَهُ مُقْرِنِينَ

  14. وَإِنَّا إِلَىٰ رَبِّنَا لَمُنْقَلِبُونَ

  15. وَجَعَلُوا لَهُ مِنْ عِبَادِهِ جُزْءًا ۚ إِنَّ الْإِنْسَانَ لَكَفُورٌ مُبِينٌ

  16. أَمِ اتَّخَذَ مِمَّا يَخْلُقُ بَنَاتٍ وَأَصْفَاكُمْ بِالْبَنِينَ

  17. وَإِذَا بُشِّرَ أَحَدُهُمْ بِمَا ضَرَبَ لِلرَّحْمَٰنِ مَثَلًا ظَلَّ وَجْهُهُ مُسْوَدًّا وَهُوَ كَظِيمٌ

  18. أَوَمَنْ يُنَشَّأُ فِي الْحِلْيَةِ وَهُوَ فِي الْخِصَامِ غَيْرُ مُبِينٍ

  19. وَجَعَلُوا الْمَلَائِكَةَ الَّذِينَ هُمْ عِبَادُ الرَّحْمَٰنِ إِنَاثًا ۚ أَشَهِدُوا خَلْقَهُمْ ۚ سَتُكْتَبُ شَهَادَتُهُمْ وَيُسْأَلُونَ

  20. وَقَالُوا لَوْ شَاءَ الرَّحْمَٰنُ مَا عَبَدْنَاهُمْ ۗ مَا لَهُمْ بِذَٰلِكَ مِنْ عِلْمٍ ۖ إِنْ هُمْ إِلَّا يَخْرُصُونَ

  21. أَمْ آتَيْنَاهُمْ كِتَابًا مِنْ قَبْلِهِ فَهُمْ بِهِ مُسْتَمْسِكُونَ

  22. بَلْ قَالُوا إِنَّا وَجَدْنَا آبَاءَنَا عَلَىٰ أُمَّةٍ وَإِنَّا عَلَىٰ آثَارِهِمْ مُهْتَدُونَ

  23. وَكَذَٰلِكَ مَا أَرْسَلْنَا مِنْ قَبْلِكَ فِي قَرْيَةٍ مِنْ نَذِيرٍ إِلَّا قَالَ مُتْرَفُوهَا إِنَّا وَجَدْنَا آبَاءَنَا عَلَىٰ أُمَّةٍ وَإِنَّا عَلَىٰ آثَارِهِمْ مُقْتَدُونَ

  24. قَالَ أَوَلَوْ جِئْتُكُمْ بِأَهْدَىٰ مِمَّا وَجَدْتُمْ عَلَيْهِ آبَاءَكُمْ ۖ قَالُوا إِنَّا بِمَا أُرْسِلْتُمْ بِهِ كَافِرُونَ

  25. فَانْتَقَمْنَا مِنْهُمْ ۖ فَانْظُرْ كَيْفَ كَانَ عَاقِبَةُ الْمُكَذِّبِينَ

  26. وَإِذْ قَالَ إِبْرَاهِيمُ لِأَبِيهِ وَقَوْمِهِ إِنَّنِي بَرَاءٌ مِمَّا تَعْبُدُونَ

  27. إِلَّا الَّذِي فَطَرَنِي فَإِنَّهُ سَيَهْدِينِ

  28. وَجَعَلَهَا كَلِمَةً بَاقِيَةً فِي عَقِبِهِ لَعَلَّهُمْ يَرْجِعُونَ

  29. بَلْ مَتَّعْتُ هَٰؤُلَاءِ وَآبَاءَهُمْ حَتَّىٰ جَاءَهُمُ الْحَقُّ وَرَسُولٌ مُبِينٌ

  30. وَلَمَّا جَاءَهُمُ الْحَقُّ قَالُوا هَٰذَا سِحْرٌ وَإِنَّا بِهِ كَافِرُونَ

  31. وَقَالُوا لَوْلَا نُزِّلَ هَٰذَا الْقُرْآنُ عَلَىٰ رَجُلٍ مِنَ الْقَرْيَتَيْنِ عَظِيمٍ

  32. أَهُمْ يَقْسِمُونَ رَحْمَتَ رَبِّكَ ۚ نَحْنُ قَسَمْنَا بَيْنَهُمْ مَعِيشَتَهُمْ فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا ۚ وَرَفَعْنَا بَعْضَهُمْ فَوْقَ بَعْضٍ دَرَجَاتٍ لِيَتَّخِذَ بَعْضُهُمْ بَعْضًا سُخْرِيًّا ۗ وَرَحْمَتُ رَبِّكَ خَيْرٌ مِمَّا يَجْمَعُونَ

  33. وَلَوْلَا أَنْ يَكُونَ النَّاسُ أُمَّةً وَاحِدَةً لَجَعَلْنَا لِمَنْ يَكْفُرُ بِالرَّحْمَٰنِ لِبُيُوتِهِمْ سُقُفًا مِنْ فِضَّةٍ وَمَعَارِجَ عَلَيْهَا يَظْهَرُونَ

  34. وَلِبُيُوتِهِمْ أَبْوَابًا وَسُرُرًا عَلَيْهَا يَتَّكِئُونَ

  35. وَزُخْرُفًا ۚ وَإِنْ كُلُّ ذَٰلِكَ لَمَّا مَتَاعُ الْحَيَاةِ الدُّنْيَا ۚ وَالْآخِرَةُ عِنْدَ رَبِّكَ لِلْمُتَّقِينَ

  36. وَمَنْ يَعْشُ عَنْ ذِكْرِ الرَّحْمَٰنِ نُقَيِّضْ لَهُ شَيْطَانًا فَهُوَ لَهُ قَرِينٌ

  37. وَإِنَّهُمْ لَيَصُدُّونَهُمْ عَنِ السَّبِيلِ وَيَحْسَبُونَ أَنَّهُمْ مُهْتَدُونَ

  38. حَتَّىٰ إِذَا جَاءَنَا قَالَ يَا لَيْتَ بَيْنِي وَبَيْنَكَ بُعْدَ الْمَشْرِقَيْنِ فَبِئْسَ الْقَرِينُ

  39. وَلَنْ يَنْفَعَكُمُ الْيَوْمَ إِذْ ظَلَمْتُمْ أَنَّكُمْ فِي الْعَذَابِ مُشْتَرِكُونَ

  40. أَفَأَنْتَ تُسْمِعُ الصُّمَّ أَوْ تَهْدِي الْعُمْيَ وَمَنْ كَانَ فِي ضَلَالٍ مُبِينٍ

  41. فَإِمَّا نَذْهَبَنَّ بِكَ فَإِنَّا مِنْهُمْ مُنْتَقِمُونَ

  42. أَوْ نُرِيَنَّكَ الَّذِي وَعَدْنَاهُمْ فَإِنَّا عَلَيْهِمْ مُقْتَدِرُونَ

  43. فَاسْتَمْسِكْ بِالَّذِي أُوحِيَ إِلَيْكَ ۖ إِنَّكَ عَلَىٰ صِرَاطٍ مُسْتَقِيمٍ

  44. وَإِنَّهُ لَذِكْرٌ لَكَ وَلِقَوْمِكَ ۖ وَسَوْفَ تُسْأَلُونَ

  45. وَاسْأَلْ مَنْ أَرْسَلْنَا مِنْ قَبْلِكَ مِنْ رُسُلِنَا أَجَعَلْنَا مِنْ دُونِ الرَّحْمَٰنِ آلِهَةً يُعْبَدُونَ

  46. وَلَقَدْ أَرْسَلْنَا مُوسَىٰ بِآيَاتِنَا إِلَىٰ فِرْعَوْنَ وَمَلَئِهِ فَقَالَ إِنِّي رَسُولُ رَبِّ الْعَالَمِينَ

  47. فَلَمَّا جَاءَهُمْ بِآيَاتِنَا إِذَا هُمْ مِنْهَا يَضْحَكُونَ

  48. وَمَا نُرِيهِمْ مِنْ آيَةٍ إِلَّا هِيَ أَكْبَرُ مِنْ أُخْتِهَا ۖ وَأَخَذْنَاهُمْ بِالْعَذَابِ لَعَلَّهُمْ يَرْجِعُونَ

  49. وَقَالُوا يَا أَيُّهَ السَّاحِرُ ادْعُ لَنَا رَبَّكَ بِمَا عَهِدَ عِنْدَكَ إِنَّنَا لَمُهْتَدُونَ

  50. فَلَمَّا كَشَفْنَا عَنْهُمُ الْعَذَابَ إِذَا هُمْ يَنْكُثُونَ

  51. وَنَادَىٰ فِرْعَوْنُ فِي قَوْمِهِ قَالَ يَا قَوْمِ أَلَيْسَ لِي مُلْكُ مِصْرَ وَهَٰذِهِ الْأَنْهَارُ تَجْرِي مِنْ تَحْتِي ۖ أَفَلَا تُبْصِرُونَ

  52. أَمْ أَنَا خَيْرٌ مِنْ هَٰذَا الَّذِي هُوَ مَهِينٌ وَلَا يَكَادُ يُبِينُ

  53. فَلَوْلَا أُلْقِيَ عَلَيْهِ أَسْوِرَةٌ مِنْ ذَهَبٍ أَوْ جَاءَ مَعَهُ الْمَلَائِكَةُ مُقْتَرِنِينَ

  54. فَاسْتَخَفَّ قَوْمَهُ فَأَطَاعُوهُ ۚ إِنَّهُمْ كَانُوا قَوْمًا فَاسِقِينَ

  55. فَلَمَّا آسَفُونَا انْتَقَمْنَا مِنْهُمْ فَأَغْرَقْنَاهُمْ أَجْمَعِينَ

  56. فَجَعَلْنَاهُمْ سَلَفًا وَمَثَلًا لِلْآخِرِينَ

  57. وَلَمَّا ضُرِبَ ابْنُ مَرْيَمَ مَثَلًا إِذَا قَوْمُكَ مِنْهُ يَصِدُّونَ

  58. وَقَالُوا أَآلِهَتُنَا خَيْرٌ أَمْ هُوَ ۚ مَا ضَرَبُوهُ لَكَ إِلَّا جَدَلًا ۚ بَلْ هُمْ قَوْمٌ خَصِمُونَ

  59. إِنْ هُوَ إِلَّا عَبْدٌ أَنْعَمْنَا عَلَيْهِ وَجَعَلْنَاهُ مَثَلًا لِبَنِي إِسْرَائِيلَ

  60. وَلَوْ نَشَاءُ لَجَعَلْنَا مِنْكُمْ مَلَائِكَةً فِي الْأَرْضِ يَخْلُفُونَ

  61. وَإِنَّهُ لَعِلْمٌ لِلسَّاعَةِ فَلَا تَمْتَرُنَّ بِهَا وَاتَّبِعُونِ ۚ هَٰذَا صِرَاطٌ مُسْتَقِيمٌ

  62. وَلَا يَصُدَّنَّكُمُ الشَّيْطَانُ ۖ إِنَّهُ لَكُمْ عَدُوٌّ مُبِينٌ

  63. وَلَمَّا جَاءَ عِيسَىٰ بِالْبَيِّنَاتِ قَالَ قَدْ جِئْتُكُمْ بِالْحِكْمَةِ وَلِأُبَيِّنَ لَكُمْ بَعْضَ الَّذِي تَخْتَلِفُونَ فِيهِ ۖ فَاتَّقُوا اللَّهَ وَأَطِيعُونِ

  64. إِنَّ اللَّهَ هُوَ رَبِّي وَرَبُّكُمْ فَاعْبُدُوهُ ۚ هَٰذَا صِرَاطٌ مُسْتَقِيمٌ

  65. فَاخْتَلَفَ الْأَحْزَابُ مِنْ بَيْنِهِمْ ۖ فَوَيْلٌ لِلَّذِينَ ظَلَمُوا مِنْ عَذَابِ يَوْمٍ أَلِيمٍ

  66. هَلْ يَنْظُرُونَ إِلَّا السَّاعَةَ أَنْ تَأْتِيَهُمْ بَغْتَةً وَهُمْ لَا يَشْعُرُونَ

  67. الْأَخِلَّاءُ يَوْمَئِذٍ بَعْضُهُمْ لِبَعْضٍ عَدُوٌّ إِلَّا الْمُتَّقِينَ

  68. يَا عِبَادِ لَا خَوْفٌ عَلَيْكُمُ الْيَوْمَ وَلَا أَنْتُمْ تَحْزَنُونَ

  69. الَّذِينَ آمَنُوا بِآيَاتِنَا وَكَانُوا مُسْلِمِينَ

  70. ادْخُلُوا الْجَنَّةَ أَنْتُمْ وَأَزْوَاجُكُمْ تُحْبَرُونَ

  71. يُطَافُ عَلَيْهِمْ بِصِحَافٍ مِنْ ذَهَبٍ وَأَكْوَابٍ ۖ وَفِيهَا مَا تَشْتَهِيهِ الْأَنْفُسُ وَتَلَذُّ الْأَعْيُنُ ۖ وَأَنْتُمْ فِيهَا خَالِدُونَ

  72. وَتِلْكَ الْجَنَّةُ الَّتِي أُورِثْتُمُوهَا بِمَا كُنْتُمْ تَعْمَلُونَ

  73. لَكُمْ فِيهَا فَاكِهَةٌ كَثِيرَةٌ مِنْهَا تَأْكُلُونَ

  74. إِنَّ الْمُجْرِمِينَ فِي عَذَابِ جَهَنَّمَ خَالِدُونَ

  75. لَا يُفَتَّرُ عَنْهُمْ وَهُمْ فِيهِ مُبْلِسُونَ

  76. وَمَا ظَلَمْنَاهُمْ وَلَٰكِنْ كَانُوا هُمُ الظَّالِمِينَ

  77. وَنَادَوْا يَا مَالِكُ لِيَقْضِ عَلَيْنَا رَبُّكَ ۖ قَالَ إِنَّكُمْ مَاكِثُونَ

  78. لَقَدْ جِئْنَاكُمْ بِالْحَقِّ وَلَٰكِنَّ أَكْثَرَكُمْ لِلْحَقِّ كَارِهُونَ

  79. أَمْ أَبْرَمُوا أَمْرًا فَإِنَّا مُبْرِمُونَ

  80. أَمْ يَحْسَبُونَ أَنَّا لَا نَسْمَعُ سِرَّهُمْ وَنَجْوَاهُمْ ۚ بَلَىٰ وَرُسُلُنَا لَدَيْهِمْ يَكْتُبُونَ

  81. قُلْ إِنْ كَانَ لِلرَّحْمَٰنِ وَلَدٌ فَأَنَا أَوَّلُ الْعَابِدِينَ

  82. سُبْحَانَ رَبِّ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ رَبِّ الْعَرْشِ عَمَّا يَصِفُونَ

  83. فَذَرْهُمْ يَخُوضُوا وَيَلْعَبُوا حَتَّىٰ يُلَاقُوا يَوْمَهُمُ الَّذِي يُوعَدُونَ

  84. وَهُوَ الَّذِي فِي السَّمَاءِ إِلَٰهٌ وَفِي الْأَرْضِ إِلَٰهٌ ۚ وَهُوَ الْحَكِيمُ الْعَلِيمُ

  85. وَتَبَارَكَ الَّذِي لَهُ مُلْكُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَمَا بَيْنَهُمَا وَعِنْدَهُ عِلْمُ السَّاعَةِ وَإِلَيْهِ تُرْجَعُونَ

  86. وَلَا يَمْلِكُ الَّذِينَ يَدْعُونَ مِنْ دُونِهِ الشَّفَاعَةَ إِلَّا مَنْ شَهِدَ بِالْحَقِّ وَهُمْ يَعْلَمُونَ

  87. وَلَئِنْ سَأَلْتَهُمْ مَنْ خَلَقَهُمْ لَيَقُولُنَّ اللَّهُ ۖ فَأَنَّىٰ يُؤْفَكُونَ

  88. وَقِيلِهِ يَا رَبِّ إِنَّ هَٰؤُلَاءِ قَوْمٌ لَا يُؤْمِنُونَ

  89. فَاصْفَحْ عَنْهُمْ وَقُلْ سَلَامٌ ۚ فَسَوْفَ يَعْلَمُونَ

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Haa-Meeem

  2. Wal Kitaabil Mubeen

  3. Innaa ja'alnaahu Quraanan 'Arabiyyal la'allakum ta'qiloon

  4. Wa innahoo feee Ummil Kitaabi Ladainaa la'aliyyun hakeem

  5. Afa nadribu 'ankumuz Zikra safhan an kuntum qawman musrifeen

  6. Wa kam arsalnaa min Nabiyyin fil awwaleen

  7. Wa maa yaateehim min Nabiyyin illaa kaanoo bihee yastahzi'oon

  8. Fa ahlaknaaa ashadda minhum batshanw wa madaa masalul awwaleen

  9. Wa la'in sa altahum man khalaqas samaawaati wal arda la yaqoolunna khalaqa hunnal 'Azeezul 'Aleem

  10. Allazee ja'ala lakumul arda mahdanw wa ja'ala lakum feehaa subulan la'allakum tahtadoon

  11. Wallazee nazzala minas samaaa'i maaa'am biqadarin fa ansharnaa bihee baldatam maitaa' kazaalika tukhrajoon

  12. Wallazee khalaqal azwaaja kullahaa wa ja'ala lakum minal fulki wal-an'aami maa tarkaboon

  13. Litastawoo 'alaa zuhoorihee summa tazkuroo ni'mata Rabbikum izastawaitum 'alaihi wa taqooloo Subhaanal lazee sakhkhara lana haaza wa maa kunnaa lahoo muqrineen

  14. Wa innaaa ilaa Rabbinaa lamunqaliboon

  15. Wa ja'aloo lahoo min 'ibaadihee juz'aa; innal insaana la kafoorun mubeen (section 1)

  16. Amit takhaza mimmaa yakhluqu banaatinw wa asfaakum bilbaneen

  17. Wa izaa bushshira ahaduhum bimaa daraba lir Rahmaani masalan zalla wajhuhoo muswaddanw wa huwa kazeem

  18. Awa mai yunashsha'u fil hilyati wa huwa fil khisaami ghairu mubeen

  19. Wa ja'alul malaaa'ikatal lazeena hum 'ibaadur Rahmaani inaasaa; 'a shahidoo khalqahum; satuktabu shahaadatuhum wa yus'aloon

  20. Wa qaaloo law shaaa'ar Rahmaanu maa 'abadnaahum; maa lahum bizaalika min 'ilmin in hum illaa yakhrusoon

  21. Am aatainaahum Kitaaban min qablihee fahum bihee mustamsikoon

  22. Bal qaalooo innaa wajadnaaa aabaaa'anaa 'alaaa ummatinw wa innaa 'alaaa aasaarihim muhtadoon

  23. Wa kazaalika maaa arsalnaa min qablika fee qaryatim min nazeerin illaa qaala mutrafoohaaa innaa wajadnaaa aabaaa'anaa 'alaaa ummatinw wa innaa 'alaaa aasaarihim muqtadoon

  24. Qaala awa law ji'tukum bi ahdaa mimmaa wajatdtum 'alaihi aabaaa'akum qaalooo innaa bimaaa ursiltum bihee kaafiroon

  25. Fantaqamnaa minhum fanzur kaifa kaana 'aaqibatul mukazzibeen (section 2)

  26. Wa iz qaala Ibraaheemu liabeehi wa qawmiheee innane baraaa'um mimmaa ta'budoon

  27. Illal lazee fataranee fa innahoo sa yahdeen

  28. Wa ja'alahaa kalimatan baaqiyatan fee 'aqibihee la 'allahum yarji'oon

  29. Bal matta'tu haaa'ulaaa'i wa aabaaa'ahum hattaa jaaa'a humul haqqu wa Rasoolun mubeen

  30. Wa lammaa jaaa'ahumul haqqu qaaloo haazaa sihrunw wa innaa bihee kaafiroon

  31. Wa qaaloo law laa nuzzila haazal Quraanu 'alaa rajulin minal qaryataini 'azeem

  32. 'A hum yaqsimoona rahmata Rabbik; Nahnu qasamnaa bainahum ma'eeshatahum fil hayaatid dunyaa wa rafa'naa ba'dahum fawqa ba'din darajaatin li yattakhiza ba'duhum ba'dan sukhriyyaa; wa rahmatu Rabbika khairun mimmaa yajma'oon

  33. Wa law laaa any yakoonan naasu ummatanw waahidatan laja'alnaa limany yakfuru bir Rahmaani li buyootihim suqufan min fiddatinw wa ma'aarija 'alaihaa yazharoon

  34. Wa li buyootihim abwaabanw wa sururan 'alaihaa yattaki'oon

  35. Wa zukhrufaa; wa in kullu zaalika lammaa mataa'ul hayaatid dunyaa; wal aakhiratu 'inda Rabbika lilmuttaqeen (section 3)

  36. Wa mai ya'shu 'an zikrir Rahmaani nuqaiyid lahoo Shaitaanan fahuwa lahoo qareen

  37. Wa innahum la yasuddoo nahum 'anis sabeeli wa yahsaboona annahum muhtadoon

  38. Hattaaa izaa jaaa'anaa qaala yaa laita bainee wa bainaka bu'dal mashriqaini fabi'sal qareen

  39. Wa lai yanfa'akumul Yawma iz zalamtum annakum fil 'azaabi mushtarikoon

  40. Afa anta tusmi'us summa aw tahdil 'umya wa man kaana fee dalaalin mubeen

  41. Fa immaa nazhabanna bika fa innaa minhum muntaqimoon

  42. Aw nuriyannakal lazee wa'adnaahum fa innaa 'alaihim muqtadiroon

  43. Fastamsik billazeee oohiya ilaika innaka 'alaa Siraatin Mustaqeem

  44. Wa innahoo la zikrun laka wa liqawmika wa sawfa tus'aloon

  45. Was'al man arsalnaa min qablika mir Rusulinaaa 'a ja'alnaa min doonir Rahmaani aalihatany yu'badoon (section 4)

  46. Wa laqad arsalnaa Moosaa bi aayaatinaaa ilaa Fir'awna wa mala'ihee faqaala innee Rasoolu Rabbil 'aalameen

  47. Falamma jaaa'ahum bi aayaatinaaa izaa hum minhaa yadhakoon

  48. Wa maa nureehim min aayatin illaa hiya akbaru min ukhtihaa wa akhaznaahum bil'azaabi la'allahum yarji'oon

  49. Wa qaaloo yaaa ayyuhas saahirud'u lanaa Rabbaka bimaa 'ahida 'indaka innanaa lamuhtadoon

  50. Falammaa kashafnaa 'anhumul 'azaaba izaa hum yankusoon

  51. Wa naadaa Fir'awnu fee qawmihee qaala yaa qawmi alaisa lee mulku Misra wa haazihil anhaaru tajree min tahtee afalaa tubsiroon

  52. Am ana khairun min haazal lazee huwa maheenunw wa laa yakaadu yubeen

  53. Falaw laa ulqiya 'alaihi aswiratun min zahabin aw jaaa'a ma'ahul malaaa'ikatu muqtarineen

  54. Fastakhaffa qawmahoo fa ataa'ooh; innahum kaanoo qawman faasiqeen

  55. Falammaaa aasafoonan taqamnaa minhum fa aghraqnaahum ajma'een

  56. Faja'alnaahum salafanw wa masalan lil aakhireen (section 5)

  57. Wa lammaa duribab nu Maryama masalan izaa qawmuka minhu yasiddoon

  58. Wa qaalooo 'a-aalihatunaa khairun am hoo; maa daraboohu laka illaa jadalaa; balhum qawmun khasimoon

  59. In huwa illaa 'abdun an'amnaa 'alaihi wa ja'alnaahu masalan li Baneee Israaa'eel

  60. Wa law nashaaa'u laja'alnaa minkum malaaa'ikatan fil ardi yakhlufoon

  61. Wa innahoo la 'ilmun lis Saa'ati fa laa tamtarunna bihaa wattabi'oon; haazaa Siraatun Mustaqeem

  62. Wa laa yasuddan nakumush Shaitaanu innahoo lakum 'aduwwun mubeen

  63. Wa lammaa jaaa'a 'Eesaa bilbaiyinaati qaala qad ji'tukum bil Hikmati wa li-ubaiyina lakum ba'dal lazee takhtalifoona feehi fattaqul laaha wa atee'oon

  64. Innal laaha Huwa Rabbee wa Rabbukum fa'budooh; haaza Siraatum Mustaqeem

  65. Fakhtalafal ahzaabu min bainihim fa wailun lil lazeena zalamoo min 'azaabi Yawmin aleem

  66. Hal yanzuroona illas Saa'ata an ta'tiyahum baghtatanw wa hum laa yash'uroon

  67. Al akhillaaa'u Yawma'izin ba'duhum liba'din 'aduwwun illal muttaqeen (section 6)

  68. Yaa 'ibaadi laa khawfun 'alaikumul Yawma wa laaa antum tahzanoon

  69. Allazeena aamanoo bi Aayaatinaa wa kaanoo muslimeen

  70. Udkhulul Jannata antum wa azwaajukum tuhbaroon

  71. Yutaafu 'alaihim bisihaa fim min zahabinw wa akwaab, wa feehaa maatashtaheehil anfusu wa talazzul a'yunu wa antum feehaa khaalidoon

  72. Wa tilkal jannatul lateee ooristumoohaa bimaa kuntum ta'maloon

  73. Lakum feehaa faakihatun kaseeratun minhaa ta'kuloon

  74. Innal mujrimeena fee 'azaabi jahannama khaalidoon

  75. Laa yufattaru 'anhum wa hum feehi mublisoon

  76. Wa maa zalamnaahum wa laakin kaanoo humuz zaalimeen

  77. Wa naadaw yaa Maaliku liyaqdi 'alainaa Rabbuka qaala innakum maakithoon

  78. Laqad ji'naakum bilhaqqi wa laakinna aksarakum lil haqqi kaarihoon

  79. Am abramooo amran fainnaa mubrimoon

  80. Am yahsaboona annaa laa nasma'u sirrahum wa najwaahum; balaa wa Rusulunaa ladaihim yaktuboon

  81. Qul in kaana lir Rahmaani walad; fa-ana awwalul 'aabideen

  82. Subhaana Rabbis samaawaati wal ardi Rabbil Arshi 'ammaa yasifoon

  83. Fazarhum yakhoodoo wa yal'aboo hattaa yulaaqoo Yawmahumul lazee yoo'adoon

  84. Wa Huwal lazee fissamaaa'i ilaahunw wa fil ardi ilaah; wa Huwal Hakeemul 'Aleem

  85. Wa tabaarakal lazee lahoo mulkus samaawaati wal ardi wa maa bainahumaa wa 'indahoo 'ilmus Saa'ati wa ilaihi turja'oon

  86. Wa laa yamlikul lazeena yad'oona min doonihish shafaa'ata illaa man shahida bilhaqqi wa hum ya'lamoon

  87. Wa la'in sa altahum man khalaqahum la yaqoolun nallaahu fa annaa yu'fakoon

  88. Wa qeelihee yaa Rabbi inna haaa'ulaaa'i qawmul laa yu'minoon

  89. Fasfah 'anhum wa qul salaam; fasawfa ya'lamoon (section 7)

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Haa Meem

2. Qasam hai is wazeh kitaab ki.

3. Ke humne isey arabi zubaan ka Quran banaya hai taa-ke tum log isey samjho.

4. Aur dar haqeeqat yeh ummul kitaab mein sabt(transcribed) hai, hamare haan badi buland maratba aur hikmat se labrez kitaab.

5. Ab kya hum tumse bezaar hokar yeh dars-e-naseehat tumhare yahan bhejna chodh dein sirf is liye ke tum hadd se guzare huey log ho?

6. Pehle guzri hui qaumon mein bhi baaraha (baar baar) humne Nabi bheje hain.

7. Kabhi aisa nahin hua ke koi Nabi unke haan (yahan) aaya ho aur unhon ne uska mazaaq na udaya ho.

8. Phir jo log inse badarja zyada taaqatwar thay unhein humne halaak kardiya. Pichli qaumon ki misaalien guzar chuki hain.

9. Agar tum in logon se pucho ke zameen aur aasmaano ko kisne paida kiya hai to yeh khud kahenge ke inhein usi zabardast ilmi hasti ne paida kiya hai.

10. Wahi na jisne tumhare liye is zameen ko gehwara (cradle) banaya aur is mein tumhari khatir raaste bana diye taa-ke tum apni manzil e maqsood ki raah paa sako.

11. Jisne ek khaas miqdar mein aasmaan se pani utara aur uske zariye se murda (dead) zameen ko jila uthaya. Isi tarah ek roz tum zameen se baramad kiye jaaoge.

12. Wahi jisne yeh tamaam jodey (pairs) paida kiye, aur jisne tumhare liye kashtiyon (ships) aur jaanwaron ko sawari banaya taa-ke tum unki pusht (backs) par chadho.

13. Aur jab unpar baitho (sit) to apne Rubb ka ehsan yaad karo aur kaho ke “paak hai woh jisne hamare liye in cheezon ko musakkhar(bas mein) kardiya warna hum unhein qaabu mein laane ki taaqat na rakhte thay.

14. Aur ek roz humein apne Rubb ki taraf palatna hai”

15. (Yeh sab kuch jaante aur maante huey bhi) in logon ne uske bandon (servants) mein se baaz ko uska juz (part) bana daala, haqeeqat yeh hai ke Insan khula ehsan faramosh hai.

16. Kya Allah ne apni makhlooq mein se apne liye betiyan intikhab (chose) ki aur tumhein beiton (sons) se nawaza?

17. Aur haal yeh hai ke jis aulad ko yeh log us khuda e Rehman ki taraf mansoob karte hain uski wiladat ka musda (tidings/news/khabar) jab khud in mein se kisi ko diya jata hai to uske mooh par siyahi(darkens) chaa jaati hai aur woh gham se bhar jata hai.

18. Kya Allah ke hisse mein woh aulad aayi jo zewaron (ornaments) mein paali jaati hai aur behas o hujjat mein apna mudda poori tarah wazeh bhi nahin kar sakti?

19. Unhon ne farishton ko, jo khuda e Rehman ke khaas banday hain, auratein karar de liya. Kya unke jism ki saakht inhon ne dekhi hai? Inki gawahi likh li jayegi aur inhein iski jawab-dahi karni hogi.

20. Yeh kehte hain “agar khuda-e-Rehman chahta (ke hum unki ibaadat na karein) to hum kabhi unko na poojhte” yeh is maamle ki haqeeqat ko qatai nahin jaante, mehaz teer tukkay ladate hain (are simply conjecturing /guess work).

21. Kya humne is se pehle koi kitaab inko di thi jiski sanad [apne is malaika (farihste) parasti ke liye] yeh apne paas rakhte hon?

22. Nahin, balke yeh kehte hain ke humne apne baap dada ko ek tarike par paya hai aur hum unhi ke nakshe qadam par chal rahe hain.

23. Isi tarah tumse pehle jis basti mein bhi humne koi nazeer(darane wala) bheja, uske khaate peete logon ne yahi kaha ke humne apne baap dada ko ek tareeqe par paya hai aur hum unhi ke naqshe qadam ki pairwi kar rahe hain.

24. Har Nabi ne unse pucha, kya tum usi dagar par cahle jaaoge khwa mein us raaste se zyada saheeh raasta tumhein bataun jispar tumne apne baap dada ko paya hai? Unhon ne saare Rasoolon ko yahi jawab diya ke jis deen ki taraf bulane ke liye tum bheje gaye ho hum uske kafir hain.

25. Aakhir e kaar humne unki khabar le daali aur dekh lo ke jhutlane walon ka kya anjaam hua.

26. Yaad karo woh waqt jab Ibrahim ne apne baap aur apni qaum se kaha tha ke “tum jinki bandagi karte ho mera unse koi taaq nahin.

27. Mera taaluq sirf us se hai jisne mujhe paida kiya, wahi meri rehnumayi karega”.

28. Aur Ibrahim yahi kalima apne pichey apni aulad mein chodh gaya taa-ke woh iski taraf ruju karein.

29. (Iske bawajood jab yeh log dusron ki bandagi karne lage to maine inko mita nahin diya) balke main inhein aur inke baap dada ko mata-e-hayat (sustenance) deta raha yahan tak ke inke paas haqq, aur khol khol kar bayan karne wala Rasool aa gaya.

30. Magar jab woh haqq inke paas aaya to inhon ne keh diya yeh to jaadu hai aur hum isko maanne se inkar karte hain.

31. Kehte hain, yeh Quran dono sheharon ke badey aadmiyon mein se kisi par kyun na naazil kiya gaya?

32. Kya tere Rubb ki rehmat yeh log takseem karte hain? Duniya ki zindagi mein inki guzar basar ke zaraye to humne inke darmiyan takseem kiye hain, Aur in mein se kuch logon ko kuch dusre logon par humne badarja-ha fauqiyat di hai taa-ke yeh ek dusre se khidmat lein aur tere Rubb ki rehmat us daulat se zyada keemati hai jo (inke rahees) sameit rahe hain.

33. Agar yeh andesha na hota ke saare log ek hi tareeqe ke ho jayenge to hum khuda e Rehman se kufr karne walon ke gharon ki chatein (canopy), aur unki seedhiyan (ladders) jinse woh apne baala khaano par chadte hain

34. Aur unke darwaze , aur unke takhat jinpar woh takiye (pillows) laga kar baithte hain

35. Sab chandi aur soney (gold) ke banwa dete .Yeh to mehaz hayat e duniya ki matah hai. Aur aakhirat tere Rubb ke haan sirf muttaqeen ke liye hai.

36. Jo shaks Rehman ke zikr se tagaful (gaflat) barat-ta hai, hum ispar ek shaytan musallat kardete hain aur woh uska rafiq ban jata hai.

37. Yeh shayateen aisay logon ko raah e raast par aane se roakte hain, aur woh apni jagah yeh samajhte hain ke hum theek jaa rahe hain.

38. Aakhir e kaar jab yeh shaks hamare haan pahuchega to apne shaytan se kahega “kaash mere aur tere darmiyan mashriq o magrib ka boadh (doori/ distance) hota, tu to badhtareen saathi nikla”

39. Us waqt in logon se kaha jayega ke jab tum zulm kar chuke to aaj yeh baat tumhare liye kuch bhi nafeh nahin hai ke tum aur tumahre shayateen azaab mein mushtarik hain.

40. Ab kya aey Nabi tum behron (deaf) ko sunaoge? Ya andhon (blind) aur sareeh gumraahi mein padey huey logon ko raah dihoge?

41. Ab to humein inko saza deni hai khwa tumhein duniya se utha lein.

42. Ya tumko aankhon se inka woh anjaam dikha dein jiska humne inse waada kiya hai. Humein inpar poori qudrat haasil hai.

43. Tum bahar-haal us kitaab ko mazbooti se thamay raho jo wahee ke zariye se tumhare paas bheji gayi hai, yaqeenan tum seedhe raaste par ho.

44. Haqeeqat yeh hai ke yeh kitaab tumahre liye aur tumhari qaum ke liye ek bahut bada sharaf hai aur anqareeb tum logon ko iski jawab-dahi karni hogi.

45. Tumse pehle humne jitne Rasool bheje thay un sabse puch dekho, kya humne khuda e Rehman ke siwa kuch dusre maabood bhi muqarrar kiye thay ke unki bandagi ki jaaye?

46. Humne Moosa ko apni nishaniyon ke saath Firoun aur uske ayaan-e-sultanat ke paas bheja, aur usne jaa kar kaha ke main Rubb ul aalamin ka Rasool hoon.

47. Phir jab usne hamari nishaniyan unke saamne pesh ki to woh thatte (laughter) maarne lage.

48. Hum ek par ek aisi nishani unko dikhate chale gaye jo pehli se badh chadh kar thi, aur humne unko azaab mein dhar liya taa-ke woh apni rawish se baaz aayein.

49. Har azaab ke mauqe par woh kehte, Aey saahir (Jaadugar/magician), apne Rubb ki taraf se jo mansab tujhe haasil hai uski bina par hamare liye us se duaa kar, hum zaroor raah-e-raast par aa jayenge.

50. Magar joonh hi ke hum unpar se azaab hata dete woh apni baat se phir jaatey thay.

51. Ek roz Firoun ne apni qaum ke darmiyan pukar kar kaha, “logon, kya misr (egypt) ki baadshahi meri nahin hai, aur yeh nehrein (streams) mere nichey nahin beh rahi hain? Kya tum logon ko nazar nahin aata?

52. Mein behtar hoon ya yeh shaks jo zaleel o haqeer hai aur apni baat bhi khol kar bayan nahin kar sakta?

53. Kyun na ispar soney (gold) ke kangan (bangles) utare gaye? Ya farishton ka ek dasta iski ardali mein na aaya?”

54. Usne apni qaum ko halka samjha aur unhon ne uski itaat ki, dar haqeeqat woh thay hi faasiq log.

55. Aakhir e kaar jab unhon ne humein gazabnaak kardiya to humne unse inteqam liya aur unko ikattha garq (drown) kiya.

56. Aur baad walon ke liye pesh-ro aur namoona ibrat banakar rakh diya.

57. Aur junhi ke ibne Maryam (Jesus) ki misaal di gayi, tumhari qaum ke logon ne uspar gul macha diya (chilla utthey/ raised a clamour).

58. Aur lage kehne ke hamare maabood acche hain ya woh? Yeh misaal woh tumhare saamne mehaz kach-behasi (argument/ contentiousness) ke liye laye hain, haqeeat yeh hai ke yeh hain hi jhagdalu log.

59. Ibne Maryam (Jesus) iske siwa kuch na tha ek banda tha jispar humne inaam kiya aur bani israel ke liye apni qudrat ka ek namuna bana diya.

60. Hum chahein to tumse Farishte paida kardein jo zameen mein tumhare janasheen(successors) hon.

61. Aur woh dar-asal qayamat ki ek nishani hai, pas tum usmein shakk na karo meri baat maan lo, yahi seedha raasta hai.

62. Aisa na ho shaytan tumko us se roak de ke woh tumhara khula dushman hai.

63. Aur jab Isa (Jesus) sareeh nishaniyan liye huey aaya tha to usne kaha tha ke “main tum logon ke paas hikmat lekar aaya hoon, aur is liye aaya hoon ke tumpar baaz un baaton ki haqeeqat khol doon jin mein tum ikhtilaf kar rahe ho, lihaza tum Allah se daro aur meri itaat karo.

64. Haqeeqat yeh hai ke Allah hi mera Rubb bhi hai aur tumhara Rubb bhi. Usi ki tum ibaadat karo, yahi seedha raasta hai”

65. Magar (uski is saaf taleem ke bawajood) girohon (factions) ne aapas mein ikhtilaf kiya, pas tabahi hai un logon ke liye jinhon ne zulm kiya ek dardnaak din ke azaab se.

66. Kya yeh log ab bas isi cheez ke muntazir hain ke achanak inpar qiyamat aa jaaye aur inhein khabar bhi na ho?

67. Woh din jab aayega to muttaqin ko chodh kar baki sab dost ek dursre ke dushman ho jayenge.

68. Us roz un logon se jo hamari aayaat par iman laye thay aur mutii-e-farmaan bankar rahe thay

69. Kaha jayega ke “aey mere bandon (servents), aaj tumhare liye koi khauf nahin aur na tumhein koi gham lahiq hoga.

70. Dakhil ho jao jannat mein tum aur tumhari biwiyan, tumhein khush kardiya jaayega”

71. Unke aagay soonay (golden) ke thaal (Platters) aur sagar gardish karaye jayenge aur har mann bhaati aur nigaahon ko lazzat dene wali cheez wahan maujood hogi. Unse kaha jayega, “tum ab yahan hamesha rahoge.

72. Tum is jannat ke waaris apne un aamal ki wajah se huey ho jo tum duniya mein karte rahe.

73. Tumhare liye yahan bakasrat fawake(abundant fruits) maujood hain jinhein tum khaogey”

74. Rahe mujrim , to woh hamesha jahannum ke azaab mein mubtala rahenge.

75. Kabhi unke azaab mein kami na hogi, aur woh us mein mayous padey honge.

76. Unpar humne zulm nahin kiya balke woh khud hi apne upar zulm karte rahe.

77. Woh pukarenge, “aey maalik (Jahannum ke Farishte ka naam), tera Rubb hamara kaam hi tamaam karde to accha hai” woh jawab dega “tum yun hi padey rahoge.

78. Hum tumhare paas haqq lekar aaye thay magar tum mein se aksar ko haqq hi nagawaar tha”

79. Kya in logon ne koi iqdam (plot) karne ka faisla karliya hai? Accha to hum bhi phir ek faisla kiye lete hain.

80. Kya inhon ne yeh samajh rakkha hai ke hum inki raaz ki baatein aur inki sargoshiyan sunte nahin hain? Hum sab kuch sun rahe hain aur hamare Farishte inke paas hi likh rahe hain.

81. Inse kaho, agar waqayi Rehman ki koi aulad hoti to sabse pehle Ibadat karne wala main hota”

82. Paak hai aasmaano aur zameen ka farma rawan, Arsh ka maalik, un saari baaton se jo yeh log uski taraf mansoob karte hain.

83. Accha, inhein apne baatil khayalat mein garq aur apne khel mein munhamik rehne do, yahan tak ke yeh apna woh din dekh lein jiska inhein khauf dilaya jaa raha hai.

84. Wahi ek aasmaan mein bhi khuda hai aur zameen mein bhi khuda, aur wahi hakeem o Aleem hai.

85. Bahut baala-o-bartar hai woh jiske qabze mein zameen aur aasmaano aur har us cheez ki baadshahi hai jo zameen o aasmaan ke darmiyan payi jaati hai. Aur wahi qayamat ki ghadi ka ilm rakhta hai, aur usi ki taraf tum sab paltaye jaane waale ho.

86. Usko chodh kar yeh log jinhein pukarte hain woh kisi shafaa-at ka ikhtiyar nahin rakhte, illa yeh ke koi ilm ki bina par haqq ki shahadat de.

87. Aur agar tum inse pucho ke inhein kisne paida kiya hai to yeh khud kahenge ke Allah ne. Phir kahan se yeh dhoka kha rahe hain.

88. Qasam hai Rasool ke is qaul ki ke aey Rubb, yeh woh log hain jo maan kar nahin dete.

89. Accha, aey nabi inse darguzar karo aur kehdo ke salaam hai tumhein, anqareeb inhein maloom ho jayega.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments