📖 Surah 41 Fussilat Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. حم

  2. تَنْزِيلٌ مِنَ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  3. كِتَابٌ فُصِّلَتْ آيَاتُهُ قُرْآنًا عَرَبِيًّا لِقَوْمٍ يَعْلَمُونَ

  4. بَشِيرًا وَنَذِيرًا فَأَعْرَضَ أَكْثَرُهُمْ فَهُمْ لَا يَسْمَعُونَ

  5. وَقَالُوا قُلُوبُنَا فِي أَكِنَّةٍ مِمَّا تَدْعُونَا إِلَيْهِ وَفِي آذَانِنَا وَقْرٌ وَمِنْ بَيْنِنَا وَبَيْنِكَ حِجَابٌ فَاعْمَلْ إِنَّنَا عَامِلُونَ

  6. قُلْ إِنَّمَا أَنَا بَشَرٌ مِثْلُكُمْ يُوحَىٰ إِلَيَّ أَنَّمَا إِلَٰهُكُمْ إِلَٰهٌ وَاحِدٌ فَاسْتَقِيمُوا إِلَيْهِ وَاسْتَغْفِرُوهُ ۗ وَوَيْلٌ لِلْمُشْرِكِينَ

  7. الَّذِينَ لَا يُؤْتُونَ الزَّكَاةَ وَهُمْ بِالْآخِرَةِ هُمْ كَافِرُونَ

  8. إِنَّ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ لَهُمْ أَجْرٌ غَيْرُ مَمْنُونٍ

  9. قُلْ أَئِنَّكُمْ لَتَكْفُرُونَ بِالَّذِي خَلَقَ الْأَرْضَ فِي يَوْمَيْنِ وَتَجْعَلُونَ لَهُ أَنْدَادًا ۚ ذَٰلِكَ رَبُّ الْعَالَمِينَ

  10. وَجَعَلَ فِيهَا رَوَاسِيَ مِنْ فَوْقِهَا وَبَارَكَ فِيهَا وَقَدَّرَ فِيهَا أَقْوَاتَهَا فِي أَرْبَعَةِ أَيَّامٍ سَوَاءً لِلسَّائِلِينَ

  11. ثُمَّ اسْتَوَىٰ إِلَى السَّمَاءِ وَهِيَ دُخَانٌ فَقَالَ لَهَا وَلِلْأَرْضِ ائْتِيَا طَوْعًا أَوْ كَرْهًا قَالَتَا أَتَيْنَا طَائِعِينَ

  12. فَقَضَاهُنَّ سَبْعَ سَمَاوَاتٍ فِي يَوْمَيْنِ وَأَوْحَىٰ فِي كُلِّ سَمَاءٍ أَمْرَهَا ۚ وَزَيَّنَّا السَّمَاءَ الدُّنْيَا بِمَصَابِيحَ وَحِفْظًا ۚ ذَٰلِكَ تَقْدِيرُ الْعَزِيزِ الْعَلِيمِ

  13. فَإِنْ أَعْرَضُوا فَقُلْ أَنْذَرْتُكُمْ صَاعِقَةً مِثْلَ صَاعِقَةِ عَادٍ وَثَمُودَ

  14. إِذْ جَاءَتْهُمُ الرُّسُلُ مِنْ بَيْنِ أَيْدِيهِمْ وَمِنْ خَلْفِهِمْ أَلَّا تَعْبُدُوا إِلَّا اللَّهَ ۖ قَالُوا لَوْ شَاءَ رَبُّنَا لَأَنْزَلَ مَلَائِكَةً فَإِنَّا بِمَا أُرْسِلْتُمْ بِهِ كَافِرُونَ

  15. فَأَمَّا عَادٌ فَاسْتَكْبَرُوا فِي الْأَرْضِ بِغَيْرِ الْحَقِّ وَقَالُوا مَنْ أَشَدُّ مِنَّا قُوَّةً ۖ أَوَلَمْ يَرَوْا أَنَّ اللَّهَ الَّذِي خَلَقَهُمْ هُوَ أَشَدُّ مِنْهُمْ قُوَّةً ۖ وَكَانُوا بِآيَاتِنَا يَجْحَدُونَ

  16. فَأَرْسَلْنَا عَلَيْهِمْ رِيحًا صَرْصَرًا فِي أَيَّامٍ نَحِسَاتٍ لِنُذِيقَهُمْ عَذَابَ الْخِزْيِ فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا ۖ وَلَعَذَابُ الْآخِرَةِ أَخْزَىٰ ۖ وَهُمْ لَا يُنْصَرُونَ

  17. وَأَمَّا ثَمُودُ فَهَدَيْنَاهُمْ فَاسْتَحَبُّوا الْعَمَىٰ عَلَى الْهُدَىٰ فَأَخَذَتْهُمْ صَاعِقَةُ الْعَذَابِ الْهُونِ بِمَا كَانُوا يَكْسِبُونَ

  18. وَنَجَّيْنَا الَّذِينَ آمَنُوا وَكَانُوا يَتَّقُونَ

  19. وَيَوْمَ يُحْشَرُ أَعْدَاءُ اللَّهِ إِلَى النَّارِ فَهُمْ يُوزَعُونَ

  20. حَتَّىٰ إِذَا مَا جَاءُوهَا شَهِدَ عَلَيْهِمْ سَمْعُهُمْ وَأَبْصَارُهُمْ وَجُلُودُهُمْ بِمَا كَانُوا يَعْمَلُونَ

  21. وَقَالُوا لِجُلُودِهِمْ لِمَ شَهِدْتُمْ عَلَيْنَا ۖ قَالُوا أَنْطَقَنَا اللَّهُ الَّذِي أَنْطَقَ كُلَّ شَيْءٍ وَهُوَ خَلَقَكُمْ أَوَّلَ مَرَّةٍ وَإِلَيْهِ تُرْجَعُونَ

  22. وَمَا كُنْتُمْ تَسْتَتِرُونَ أَنْ يَشْهَدَ عَلَيْكُمْ سَمْعُكُمْ وَلَا أَبْصَارُكُمْ وَلَا جُلُودُكُمْ وَلَٰكِنْ ظَنَنْتُمْ أَنَّ اللَّهَ لَا يَعْلَمُ كَثِيرًا مِمَّا تَعْمَلُونَ

  23. وَذَٰلِكُمْ ظَنُّكُمُ الَّذِي ظَنَنْتُمْ بِرَبِّكُمْ أَرْدَاكُمْ فَأَصْبَحْتُمْ مِنَ الْخَاسِرِينَ

  24. فَإِنْ يَصْبِرُوا فَالنَّارُ مَثْوًى لَهُمْ ۖ وَإِنْ يَسْتَعْتِبُوا فَمَا هُمْ مِنَ الْمُعْتَبِينَ

  25. وَقَيَّضْنَا لَهُمْ قُرَنَاءَ فَزَيَّنُوا لَهُمْ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ وَحَقَّ عَلَيْهِمُ الْقَوْلُ فِي أُمَمٍ قَدْ خَلَتْ مِنْ قَبْلِهِمْ مِنَ الْجِنِّ وَالْإِنْسِ ۖ إِنَّهُمْ كَانُوا خَاسِرِينَ

  26. وَقَالَ الَّذِينَ كَفَرُوا لَا تَسْمَعُوا لِهَٰذَا الْقُرْآنِ وَالْغَوْا فِيهِ لَعَلَّكُمْ تَغْلِبُونَ

  27. فَلَنُذِيقَنَّ الَّذِينَ كَفَرُوا عَذَابًا شَدِيدًا وَلَنَجْزِيَنَّهُمْ أَسْوَأَ الَّذِي كَانُوا يَعْمَلُونَ

  28. ذَٰلِكَ جَزَاءُ أَعْدَاءِ اللَّهِ النَّارُ ۖ لَهُمْ فِيهَا دَارُ الْخُلْدِ ۖ جَزَاءً بِمَا كَانُوا بِآيَاتِنَا يَجْحَدُونَ

  29. وَقَالَ الَّذِينَ كَفَرُوا رَبَّنَا أَرِنَا اللَّذَيْنِ أَضَلَّانَا مِنَ الْجِنِّ وَالْإِنْسِ نَجْعَلْهُمَا تَحْتَ أَقْدَامِنَا لِيَكُونَا مِنَ الْأَسْفَلِينَ

  30. إِنَّ الَّذِينَ قَالُوا رَبُّنَا اللَّهُ ثُمَّ اسْتَقَامُوا تَتَنَزَّلُ عَلَيْهِمُ الْمَلَائِكَةُ أَلَّا تَخَافُوا وَلَا تَحْزَنُوا وَأَبْشِرُوا بِالْجَنَّةِ الَّتِي كُنْتُمْ تُوعَدُونَ

  31. نَحْنُ أَوْلِيَاؤُكُمْ فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا وَفِي الْآخِرَةِ ۖ وَلَكُمْ فِيهَا مَا تَشْتَهِي أَنْفُسُكُمْ وَلَكُمْ فِيهَا مَا تَدَّعُونَ

  32. نُزُلًا مِنْ غَفُورٍ رَحِيمٍ

  33. وَمَنْ أَحْسَنُ قَوْلًا مِمَّنْ دَعَا إِلَى اللَّهِ وَعَمِلَ صَالِحًا وَقَالَ إِنَّنِي مِنَ الْمُسْلِمِينَ

  34. وَلَا تَسْتَوِي الْحَسَنَةُ وَلَا السَّيِّئَةُ ۚ ادْفَعْ بِالَّتِي هِيَ أَحْسَنُ فَإِذَا الَّذِي بَيْنَكَ وَبَيْنَهُ عَدَاوَةٌ كَأَنَّهُ وَلِيٌّ حَمِيمٌ

  35. وَمَا يُلَقَّاهَا إِلَّا الَّذِينَ صَبَرُوا وَمَا يُلَقَّاهَا إِلَّا ذُو حَظٍّ عَظِيمٍ

  36. وَإِمَّا يَنْزَغَنَّكَ مِنَ الشَّيْطَانِ نَزْغٌ فَاسْتَعِذْ بِاللَّهِ ۖ إِنَّهُ هُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ

  37. وَمِنْ آيَاتِهِ اللَّيْلُ وَالنَّهَارُ وَالشَّمْسُ وَالْقَمَرُ ۚ لَا تَسْجُدُوا لِلشَّمْسِ وَلَا لِلْقَمَرِ وَاسْجُدُوا لِلَّهِ الَّذِي خَلَقَهُنَّ إِنْ كُنْتُمْ إِيَّاهُ تَعْبُدُونَ

  38. فَإِنِ اسْتَكْبَرُوا فَالَّذِينَ عِنْدَ رَبِّكَ يُسَبِّحُونَ لَهُ بِاللَّيْلِ وَالنَّهَارِ وَهُمْ لَا يَسْأَمُونَ ۩

  39. وَمِنْ آيَاتِهِ أَنَّكَ تَرَى الْأَرْضَ خَاشِعَةً فَإِذَا أَنْزَلْنَا عَلَيْهَا الْمَاءَ اهْتَزَّتْ وَرَبَتْ ۚ إِنَّ الَّذِي أَحْيَاهَا لَمُحْيِي الْمَوْتَىٰ ۚ إِنَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ

  40. إِنَّ الَّذِينَ يُلْحِدُونَ فِي آيَاتِنَا لَا يَخْفَوْنَ عَلَيْنَا ۗ أَفَمَنْ يُلْقَىٰ فِي النَّارِ خَيْرٌ أَمْ مَنْ يَأْتِي آمِنًا يَوْمَ الْقِيَامَةِ ۚ اعْمَلُوا مَا شِئْتُمْ ۖ إِنَّهُ بِمَا تَعْمَلُونَ بَصِيرٌ

  41. إِنَّ الَّذِينَ كَفَرُوا بِالذِّكْرِ لَمَّا جَاءَهُمْ ۖ وَإِنَّهُ لَكِتَابٌ عَزِيزٌ

  42. لَا يَأْتِيهِ الْبَاطِلُ مِنْ بَيْنِ يَدَيْهِ وَلَا مِنْ خَلْفِهِ ۖ تَنْزِيلٌ مِنْ حَكِيمٍ حَمِيدٍ

  43. مَا يُقَالُ لَكَ إِلَّا مَا قَدْ قِيلَ لِلرُّسُلِ مِنْ قَبْلِكَ ۚ إِنَّ رَبَّكَ لَذُو مَغْفِرَةٍ وَذُو عِقَابٍ أَلِيمٍ

  44. وَلَوْ جَعَلْنَاهُ قُرْآنًا أَعْجَمِيًّا لَقَالُوا لَوْلَا فُصِّلَتْ آيَاتُهُ ۖ أَأَعْجَمِيٌّ وَعَرَبِيٌّ ۗ قُلْ هُوَ لِلَّذِينَ آمَنُوا هُدًى وَشِفَاءٌ ۖ وَالَّذِينَ لَا يُؤْمِنُونَ فِي آذَانِهِمْ وَقْرٌ وَهُوَ عَلَيْهِمْ عَمًى ۚ أُولَٰئِكَ يُنَادَوْنَ مِنْ مَكَانٍ بَعِيدٍ

  45. وَلَقَدْ آتَيْنَا مُوسَى الْكِتَابَ فَاخْتُلِفَ فِيهِ ۗ وَلَوْلَا كَلِمَةٌ سَبَقَتْ مِنْ رَبِّكَ لَقُضِيَ بَيْنَهُمْ ۚ وَإِنَّهُمْ لَفِي شَكٍّ مِنْهُ مُرِيبٍ

  46. مَنْ عَمِلَ صَالِحًا فَلِنَفْسِهِ ۖ وَمَنْ أَسَاءَ فَعَلَيْهَا ۗ وَمَا رَبُّكَ بِظَلَّامٍ لِلْعَبِيدِ

  47. إِلَيْهِ يُرَدُّ عِلْمُ السَّاعَةِ ۚ وَمَا تَخْرُجُ مِنْ ثَمَرَاتٍ مِنْ أَكْمَامِهَا وَمَا تَحْمِلُ مِنْ أُنْثَىٰ وَلَا تَضَعُ إِلَّا بِعِلْمِهِ ۚ وَيَوْمَ يُنَادِيهِمْ أَيْنَ شُرَكَائِي قَالُوا آذَنَّاكَ مَا مِنَّا مِنْ شَهِيدٍ

  48. وَضَلَّ عَنْهُمْ مَا كَانُوا يَدْعُونَ مِنْ قَبْلُ ۖ وَظَنُّوا مَا لَهُمْ مِنْ مَحِيصٍ

  49. لَا يَسْأَمُ الْإِنْسَانُ مِنْ دُعَاءِ الْخَيْرِ وَإِنْ مَسَّهُ الشَّرُّ فَيَئُوسٌ قَنُوطٌ

  50. وَلَئِنْ أَذَقْنَاهُ رَحْمَةً مِنَّا مِنْ بَعْدِ ضَرَّاءَ مَسَّتْهُ لَيَقُولَنَّ هَٰذَا لِي وَمَا أَظُنُّ السَّاعَةَ قَائِمَةً وَلَئِنْ رُجِعْتُ إِلَىٰ رَبِّي إِنَّ لِي عِنْدَهُ لَلْحُسْنَىٰ ۚ فَلَنُنَبِّئَنَّ الَّذِينَ كَفَرُوا بِمَا عَمِلُوا وَلَنُذِيقَنَّهُمْ مِنْ عَذَابٍ غَلِيظٍ

  51. وَإِذَا أَنْعَمْنَا عَلَى الْإِنْسَانِ أَعْرَضَ وَنَأَىٰ بِجَانِبِهِ وَإِذَا مَسَّهُ الشَّرُّ فَذُو دُعَاءٍ عَرِيضٍ

  52. قُلْ أَرَأَيْتُمْ إِنْ كَانَ مِنْ عِنْدِ اللَّهِ ثُمَّ كَفَرْتُمْ بِهِ مَنْ أَضَلُّ مِمَّنْ هُوَ فِي شِقَاقٍ بَعِيدٍ

  53. سَنُرِيهِمْ آيَاتِنَا فِي الْآفَاقِ وَفِي أَنْفُسِهِمْ حَتَّىٰ يَتَبَيَّنَ لَهُمْ أَنَّهُ الْحَقُّ ۗ أَوَلَمْ يَكْفِ بِرَبِّكَ أَنَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ شَهِيدٌ

  54. أَلَا إِنَّهُمْ فِي مِرْيَةٍ مِنْ لِقَاءِ رَبِّهِمْ ۗ أَلَا إِنَّهُ بِكُلِّ شَيْءٍ مُحِيطٌ

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Haa Meeem

  2. Tanzeelum Minar-Rahmaanir-Raheem

  3. Kitaabun fussilat Aayaatuhoo Qur-aanan 'Arabiyyal liqawminy ya'lamoon

  4. Basheeranw wa nazeeran fa-a'rada aksaruhum fahum laa yasma'oon

  5. Wa qaaloo quloobunaa feee akinnatim mimmaa tad'oonaaa ilaihi wa feee aazaaninaa waqrunw wa mim baininaa wa bainika hijaabun fa'mal innanaa 'aamiloon

  6. Qul innamaaa ana basharum mislukum yoohaaa ilaiya annamaaa ilaahukum Ilaahunw Waahidun fastaqeemooo ilaihi wastaghfirooh; wa wailul lil mushrikeen

  7. Allazeena laa yu'toonaz Zakaata wa hum bil-Aakhiratihum kaafiroon

  8. Innal lazeena aamanoo wa 'amilus saalihaati lahum ajrun ghairu mamnoon (section 1)

  9. Qul a'innakum latakfuroona billazee khalaqal arda fee yawmaini wa taj'aloona lahooo andaadaa; zaalika Rabbul 'aalameen

  10. Wa ja'ala feehaa rawaa siya min fawqihaa wa baaraka feehaa wa qaddara feehaaaa aqwaatahaa feee arba'ati ayyaamin sawaaa'al lissaaa'ileen

  11. Summas tawaaa ilas-samaaa'i wa hiya dukhaanun faqaala lahaa wa lil ardi'tiyaaa taw'an aw karhan qaalataaa atainaa taaa'i'een

  12. Faqadaahunna sab'a samaawaatin fee yawmaini wa awhaa fee kulli samaaa'in amarahaa; wa zaiyannassa maaa'ad dunyaa bimasaabeeha wa hifzaa; zaalika taqdeerul 'Azeezil 'Aleem

  13. Fa-in a'radoo faqul anzartukum saa'iqatam misla saa'iqati 'Aadinw wa Samood

  14. Iz jaaa'at humur Rusulu mim baini aydeehim wa min khalfihim allaa ta'budooo illal laaha qaaloo law shaaa'a Rabunaa la anzala malaaa 'ikatan fa innaa bimaaa ursiltum bihee kaafiroon

  15. Fa ammaa 'Aadun fastak baroo fil ardi bighairul haqqi wa qaaloo man ashaddu minnaa quwwatan awalam yaraw annal laahal lazee khalaqahum Huwa ashaddu minhum quwwatanw wa kaanoo bi Aayaatinaa yajhadoon

  16. Fa arsalnaa 'alaihim reehan sarsaran feee ayyaamin nahisaatil linuzeeqahum 'azaabal khizyi fil hayaatid dunyaa wa la'azaabul Aakhirati akhzaa wa hum laa yunsaroon

  17. Wa ammaa Samoodu fahadinaahum fastahabbul 'ama 'alal huda fa akhazathum saa'iqatul 'azaabil hooni bimaa kaanoo yaksiboon

  18. Wa najjainal lazeena aamanoo wa kaanoo yattaqoon (section 2)

  19. Wa yawma yuhsharu a'daaa'ul laahi ilan Naari fahum yooza'oon

  20. Hattaaa izaa maa jaaa'oohaa shahida 'alaihim samu'uhum wa absaaruhum wa julooduhum bimaa kaanoo ya'maloon

  21. Wa qaaloo lijuloodihim lima shahittum 'alainaa qaaloo antaqanal laahul lazeee antaqa kulla shai'inw wa Huwa khalaqakum awwala marratinw wa ilaihi turja'oon

  22. Wa maa kuntum tastatiroona ai-yashhada 'alaikum sam'ukum wa laaa absaarukum wa laa juloodukum wa laakin zanantum annal laaha laa ya'lamu kaseeram mimmaa ta'maloon

  23. Wa zaalikum zannukumul lazee zanantum bi-Rabbikum ardaakum fa asbahtum minal khaasireen

  24. Fa-iny yasbiroo fan Naaru maswal lahum wa iny-yasta'tiboo famaa hum minal mu'tabeen

  25. Wa qaiyadnaa lahum quranaaa'a fazaiyanoo lahum maa baina aideehim wa maa khalfahum wa haqqa 'alaihimul qawlu feee umamin qad khalat min qablihim minal jinni wal insi innahum kaanoo khaasireen (section 3)

  26. Wa qaalal lazeena kafaroo laa tasma'oo lihaazal Quraani walghaw feehi la'allakum taghliboon

  27. Falanuzeeqannal lazeena kafaroo 'azaaban shadeedanw wa lanajziyannahum aswallazee kaanoo ya'maloon

  28. Zaalika jazaaa'u a'daaa'il laahin Naaru lahum feehaa daarul khuld, jazaaa'am bimaa kaanoo bi aayaatinaa yajhadoon

  29. Wa qaalal lazeena kafaroo Rabbanaaa arinal lazaini adal laanaa minal jinni wal insi naj'alhumaa tahta aqdaaminaa liyakoonaa minal asfaleen

  30. Innal lazeena qaaloo Rabbunal laahu summas taqaamoo tatanazzalu 'alaihimul malaaa 'ikatu allaa takhaafoo wa laa tahzanoo wa abshiroo bil Jannnatil latee kuntum too'adoon

  31. Nahnu awliyaaa'ukum fil hayaatid dunyaa wa fil Aakhirati wa lakum feehaa maa tashtaheee anfusukum wa lakum feehaa ma tadda'oon

  32. Nuzulam min Ghafoorir Raheem (section 4)

  33. Wa man ahsanu qawlam mimman da'aaa ilal laahi wa 'amila saalihanw wa qaala innanee minal muslimeen

  34. Wa laa tastawil hasanatu wa las saiyi'ah; idfa' billatee hiya ahsanu fa'izal lazee bainaka wa bainahoo 'adaawatun ka'annahoo waliyun hameem

  35. Wa maa yulaqqaahaaa illal lazeena sabaroo wa maa yulaqqaahaaa illaa zoo hazzin 'azeem

  36. Wa immaa yanzaghannaka minash Shaitaani nazghun fasta'iz billaahi innahoo Huwas Samee'ul 'Aleem

  37. Wa min Aayaatihil lailu wannahaaru washshamsu walqamar; laa tasjudoo lishshamsi wa laa lilqamari wasjudoo lillaahil lazee khala qahunna in kuntum iyyaahu ta'budoon

  38. Fa inis-takbaroo fallazee na 'inda Rabbika yusabbihoona lahoo billaili wannnahaari wa hum laa yas'amoon (make sajda)

  39. Wa min Aayaatiheee annaka taral arda khaashi'atan fa izaaa anzalna 'alaihal maaa'ah tazzat wa rabat; innal lazeee ahyaahaa lamuhiyil mawtaa; innahoo 'alaa kulli shai-in Qadeer

  40. Innal lazeena yulhidoona feee Aayaatina laa yakhfawna 'alainaa' afamai yulqaa fin Naari khayrun am mai yaateee aaminai Yawmal Qiyaamah; i'maloo ma shi'tum innahoo bimaa ta'maloona Baseer

  41. Innal Lazeena kafaroo biz Zikri lammaa jaa'ahum wa innahoo la Kitaabun 'Azeez

  42. Laa yaateehil baatilu mim baini yadaihi wa laa min khalfihee tanzeelum min Hakeemin Hameed

  43. Maa yuqaalu laka illaa maa qad qeela lir Rusuli min qablik; inna Rabbaka lazoo maghfiratinw wa zoo 'iqaabin aleem

  44. Wa law ja'alnaahu Qur-aanan A'jamiyyal laqaaloo law laa fussilat Aayaatuhoo 'a A'jamiyyunw wa 'Arabiyy; qul huwa lillazeena aamanoo hudanw wa shifaaa'unw wallazeena la yu'minoona feee aazaanihim waqrunw wa huwa 'alaihim 'amaa; ulaaa'ika yunaadawna mim maakaanim ba'eed (section 5)

  45. Wa laqad aatainaa Moosal Kitaaba fakhtulifa fee; wa lawlaa Kalimatun sabaqat mir Rabbika laqudiya bainahum; wa innahum lafee shakkim minhu mureeb

  46. Man 'amila salihan falinafsihee wa man asaaa'a fa'alaihaa; wamaa rabbuka bizallaamil lil 'abeed (End Juz 24)

  47. Ilaihi yuraddu 'ilmus Saaa'ah; wa maa takhruju min samaraatim min akmaamihaa wa maa tahmilu min unsaa wa laa tada'u illaa bi'ilmih; wa Yawma yunaadeehim aina shurakaaa'ee qaalooo aazannaaka maa minnaa min shaheed

  48. Wa dalla 'anhum maa kaanoo yad'oona min qablu wa zannoo maa lahum mim mahees

  49. Laa yas'amul insaanu min du'aaa'il khairi wa im massa hush sharru fa ya'oosun qanoot

  50. Wa la in azaqnaahu rahmatam minnaa mim ba'di dar raaa'a massat hu la yaqoolanna haazaa lee wa maaa azunnus Saa'ata qaaa'imatanw wa la'in ruji'tu ilaa Rabbeee inna lee 'indahoo lalhusnaa; falanu nabbi'annal lazeena kafaroo bimaa 'amiloo wa lanuzeeqan nahum min 'azaabin ghaleez

  51. Wa izaaa an'amnaa 'alal insaani a'rada wa na-aa bijaani bihee wa izaa massahush sharru fazoo du'aaa'in 'areed

  52. Qul araaitum in kaana min 'indil laahi summa kafar tum bihee man adallu mimman huwa fee shiqaqim ba'eed

  53. Sanureehim Aayaatinaa fil aafaaqi wa feee anfusihim hattaa yatabaiyana lahum annahul haqq; awa lam yakfi bi Rabbika annahoo 'alaa kulli shai-in Shaheed

  54. Alaaa innahum fee miryatim mil liqaaa'i Rabbihim; alaaa innahoo bikulli shai'im muheet (section 6)

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Haa Meem.

2. Yeh khuda e Rehman o Raheem ki taraf se naazil karda cheez hai.

3. Ek aisi kitaab jiski aayaat khoob khol kar bayan ki gayi hain, Arabi zubaan ka Quran, un logon ke liye jo ilm rakhte hain.

4. Basharat (khush-khabri) dene wala aur dara dene wala magar in logon mein se aksar ne is se ru-gardani ki aur woh sunkar nahin dete.

5. Kehte hain “Jis cheez ki taraf tu humein bula raha hai uske liye hamare dilon par gilaf (purde) chade huey hain, hamare kaan behre (deaf) ho gaye hain, aur hamare aur tere darmiyaan ek hijab hayal ho gaya hai. Tu apna kaam kar, hum apna kaam kiye jayenge”

6. Aey Nabi , inse kaho, mein to ek bashar hoon tum jaisa. Mujhe wahee ke zariye se bataya jata hai ke tumhara khuda to bas ek hi khuda hai, Lihaza tum seedhe usi ka rukh ikhtiyar karo aur us se maafi chaho. Tabahi hai un mushrikon ke liye.

7. Jo zakat nahin dete aur aakhirat ke munkir hain.

8. Rahe woh log jinhon ne maan liya aur neik aamaal kiye, unke liye yaqeenan aisa ajar hai jiska silsila kabhi tootne wala nahin hai.

9. Aey Nabi! Inse kaho, kya tum us khuda se kufr karte ho aur dusron ko uska humsar (shareek / equals) thehratey ho jisne zameen ko do (two) dino mein bana diya? Wahi to saare jahan walon ka Rubb hai.

10. Usne (zameen ko wajood mein laane ke baad) upar se ispar pahad (mountains) jamaa diye aur is mein barakatein rakh di aur iske andar sab maangne walon ke liye har ek ki talab o haajat ke mutaabiq theek andaze se khuraak ka saaman muhaiyya kardiya. Yeh sab kaam chaar (four) din mein ho gaye.

11. Phir woh aasmaan ki taraf mutwajjeh huwa Jo us waqt mehaz dhuwan (smoke) tha. Usne aasmaan aur zameen se kaha “wajood mein aa jao, khwa tum chaho ya na chaho.” Dono ne kaha “ hum aa gaye farma bardaron ki tarah”

12. Tab usne do din ke andar saath (seven) aasmaan bana diye, aur har aasmaan mein uska kanoon wahee (reveal) kardiya. Aur aasmaan e duniya ko humne chiraagon (lamps) se aarasta (adorn) kiya aur isey khoob mehfooz kardiya. Yeh sab kuch ek zabardast hasti ka mansooba (plan) hai.

13. Ab agar yeh log mooh moadte hain to inse kehdo ke “main tumko usi tarah ke ek achanak toot padne wale azaab se darata hoon jaisa Aad aur Samood par naazil hua tha.”

14. Jab khuda ke Rasool unke paas aage aur pichey, har taraf se aaye aur unhein samjhaya ke Allah ke siwa kisi ki bandagi na karo to unhon ne kaha “hamara Rubb chahta to Farishte bhejta, lihaza hum us baat ko nahin maante jiske liye tum bheje gaye ho.”

15. Aad ka haal yeh tha ke woh zameen mein kisi haqq ke bagair badey ban baithe aur kehne lage: “ kaun hai humse zyada zoorawar?” Unko yeh na soojha ke jis khuda ne unko paida kiya hai woh unse zyada zoorawar hai? Woh hamari aayaat ka inkaar hi karte rahe.

16. Aakhir e kaar humne chandh manhoos dino mein sakht toofaani hawa unpar bhej di taa-ke unhein duniya hi ki zindagi mein zillat o ruswayi ke azaab ka maza chakha dein. Aur aakhirat ka azaab to is se bhi zyada ruswa-kun hai. Wahan koi unki madad karne wala na hoga.

17. Rahe Samood, to unke saamne humne raah e raast pesh ki magar unhon ne raasta dekhne ke bajaye andha (blind) bana rehna pasand kiya. Aakhir unke kartooton ki badaulat zillat ka azaab unpar toot pada.

18. Aur humne un logon ko bacha liya jo iman laye thay aur gumraahi o bad-amali se parheiz karte thay.

19. Aur zara us waqt ka khayal karo jab Allah ke yeh dushman dozakh ki taraf jaane ke liye ghair laye jayenge unke agalon ko pichlon ke aane tak roak rakkha jayega,

20. Phir jab sab wahan pahunch jayenge to unke kaan aur unki aankhein aur unke jism ki khaalein (skins) unpar gawahi dengi ke woh duniya mein kya kuch karte rahe hain.

21. Woh apne jism ki khaalon se kahenge “ tumne hamare khilaf kyun gawahi di? “ woh jawab dengi “ humein usi khuda ne goyaii (speech) di hai jisne har cheez ko goya(speech) kardiya hai. Usi ne tumko pehli martaba paida kiya tha aur ab usi ki taraf tum wapas laye jaa rahe ho.

22. Tum duniya mein jarahim (crime) karte waqt chupte thay to tumhein yeh khayal na tha ke kabhi tumhare apne kaan aur tumhari aankhein aur tumhare jism ki khaalein (skins) tumpar gawahi dengi, balke tumne yeh samajha tha ke tumhare bahut se aamal ki Allah ko bhi khabar nahin hai.

23. Tumhara yahi gumaan jo tumne apne Rubb ke saath kiya tha, tumhein le dooba aur isi ki badaulat tum khasare(loss) mein padh gaye”

24. Is haalat mein woh sabr karein (ya na karein) aag hi unka thikana hogi, aur agar rujoo ka mauqa chahenge to koi mauqa unhein na diya jayega.

25. Humne unpar aise saathi musallat kardiye thay jo unhein aage aur pichey har cheez khushnuma banakar dikhate thay. Aakhir e kaar unpar bhi wahi faisla e azaab chaspan hokar raha jo un se pehle guzray huey Jinno aur Insano ke girohon par chaspan ho chuka tha, yaqeenan woh khasare (loss) mein reh jaane wale thay.

26. Yeh munkireen e haqq kehte hain “is Quran ko hargiz na sunoo aur jab yeh sunaya jaaye to is mein khalal daalo, shayad ke is tarah tum gaalib aa jao”

27. In kafiron ko hum sakht azaab ka maza chakha kar rahenge aur jo badhtareen harakaat yeh karte rahe hain unka poora poora badla inhein denge.

28. Woh dozakh hai jo Allah ke dushmano ko badley mein milegi, usi mein hamesha hamesha ke liye inka ghar hoga. Yeh hai saza is jurm ki ke woh hamari aayaat ka inkar karte rahe.

29. Wahan yeh kafir kahenge ke “aey hamare Rubb, zara humein dikha de un Jinno aur Insano ko jinhon ne humein gumraah kiya tha, hum unhein paon (legs) taley roondh daalein taa-ke woh khoob zaleel o khwar hon.”

30. Jin logon ne kaha ke Allah hamara Rubb hai aur phir woh ispar saabit qadam rahe, yaqeenan unpar Farishte naazil hotay hain, aur unse kehte hain ke “na daro, na gham karo, aur khush ho jao us jannat ki basharat (khush-khabri) se jiska tumse waada kiya gaya hai.

31. Hum is duniya ki zindagi mein bhi tumhare saathi hain aur aakhirat mein bhi. Wahan jo kuch tum chahoge tumhein milega aur har cheez jiski tum tamanna karoge woh tumhari hogi.

32. Yeh hai samaan e ziyafat us hasti ki taraf se jo Gafoor aur Raheem hai”

33. Aur us shakhs ki baat se acchi baat aur kiski hogi jisne Allah ki taraf bulaya aur neik amal kiya aur kaha ke main musalman hoon.

34. [Aur aey Nabi], Neki aur badi yaksan (barabar) nahin hai, tum badi ko us neki se dafa karo jo behtareen ho, tum dekhoge ke tumhare saath jiski adawat (dushmani) padi hui thi woh jigri dost bangaya hai.

35. Yeh sifat naseeb nahin hoti magar un logon ko jo sabr karte hain, aur yeh muqaam haasil nahin hota magar un logon ko jo badey naseebey wale hain.

36. Aur agar tum shaytan ki taraf se koi uksahat (temptation) mehsoos karo to Allah ki panaah maang lo, woh sabkuch sunta aur jaanta hai.

37. Allah ki nishaniyon mein se hain yeh raat aur din aur Suraj aur Chand. Suraj ko aur chaand ko sajda na karo balke us khuda ko sajda karo jisne unhein paida kiya hai agar fil waqayi tum usi ki ibaadat karne wale ho.

38. Lekin agar yeh log guroor mein aa kar apni hi baat par adey rahein to parwah nahin, jo Farishte tere Rubb ke muqarrab hain woh shab-o-roz(night and day) uski tasbeeh kar rahe hain aur kabhi nahin thakte.

39. Aur Allah ki nishaniyon mein se ek yeh hai ke tum dekhte ho zameen sooni (barren) padi hui hai, phir joon-hi ke humne uspar pani barsaya, yakayak woh phabak uthti hai aur phool jaati hai (quivers and wells).Yakeenan jo khuda is mari (dead) hui zameen ko jila(zinda) uthata hai woh murdon ko bhi zindagi bakshne wala hai.Yaqeenan woh har cheez par qudrat rakhta hai.

40. Jo log hamari aayaat ko ultay maani pehnatay hain (pervert Our Signs) woh humse kuch chupe huey nahin hain. Khud hi sochlo ke aaya woh shaks behtar hai jo aag mein jhonka jaane wala hai ya woh jo Qayamat ke roz aman ki haalat mein haazir hoga? Karte raho jo kuch tum chaho, tumhari saari harkaton ko Allah dekh raha hai.

41. Yeh woh log hain jinke saamne kalaam-e-naseehat aaya to unhon ne isey maanne se inkar kardiya, magar haqeeqat yeh hai ke yeh ek zabardast kitaab hai.

42. Baatil na saamne se ispar aa sakta hai na pichey se, yeh ek hakeem (most wise) o Hameed(Immensely Praiseworthy) ki naazil karda cheez hai.

43. Aey Nabi, tumse jo kuch kaha jaa raha hai usmein koi cheez bhi aisi nahin hai jo tumse pehle guzre huey Rasoolon se na kahi jaa chuki ho. Beshak tumhara Rubb bada darguzar karne wala hai, aur uske saath badi dardnaak saza dene wala hai.

44. Agar hum isko ajami(non arabic) Quraan bana kar bhejte to yeh log kehte “Kyun na iski aayaat khol kar bayan ki gayi? Kya ajeeb baat hai ke kalaam ajami (non-arabic) hai aur mukhatib arabi”.Inse kaho yeh quran iman laanay walon ke liye to hidayat aur shifaa hai, magar jo log iman nahin latey unke liye yeh kaano ki daat (plug / behrapan) aur aankhon ki patti (covering) hai .Unka haal to aisa hai jaise unko door se pukara jaa raha ho.

45. Isse pehle humne Moosa ko kitaab di thi aur uske maamle mein bhi yahi ikhtilaf hua tha. Agar tere Rubb ne pehle hi ek baat tai na kardi hoti to in ikhtilaf karne walon ke darmiyan faisla chuka diya jata, aur haqeeqat yeh hai ke yeh log uski taraf se sakht iztaraab angeiz (sakht bechain karne wale/disquieting) shakk mein paday huey hain.

46. Jo koi neik amal karega apne hi liye accha karega, jo badi (evil) karega uska wabal usi par hoga, aur tera Rubb apne bandon ke haqq mein zalim nahin hai.

47. Us sa-ath (hour/Qayamat) ka ilm Allah hi ki taraf raajeh hota hai, wahi un saare phalon (fruits) ko jaanta hai jo apne shagufon (coverings/sheath) mein se nilakte hain, usi ko maaloom hai ke kaunsi maada (female) hamila (conceive) hui hai aur kisne baccha janaa (give birth) hai. Phir jis roz woh in logon ko pukarega ke kahan hain mere woh shareek? Yeh kahenge, “hum arz kar chuke hain, aaj hum mein se koi iski gawahi dene wala nahin hai.”

48. Us waqt woh saare maabood inse ghum ho jaayenge jinhein yeh is se pehle pukarte thay, aur yeh log samajh lenge ke inke liye ab koi jaaye panaah nahin hai.

49. Insaan kabhi bhalayi ki dua maangte nahin thakta, aur jab koi aafat ispar aa jaati hai to mayoos o dil shikasta ho jata hai.

50. Magar junhi ke sakht waqt guzar jaane ke baad hum isey apni rehmant ka mazaa chakhate hain, yeh kehta hai ke “main isi ka mustahiq hoon, aur main nahin samajhta ke qayamat kabhi aayegi, lekin agar waqayi main apne Rubb ki tarf paltaya gaya to wahan bhi mazey karunga”. Halanke kufr karne walon ko laziman hum bata kar rahenge ke woh kya karke aaye hain, aur unhein hum badey gandey azaab ka maza chakhayenge.

51. Insaan ko jab hum niyamat dete hain to woh mooh pherta hai aur akad jata hai, aur jab usey koi aafat choo jaati hai to lambi chowdi duaein karne lagta hai.

52. (Aey Nabi), inse kaho, kabhi tumne yeh bhi socha ke agar waqayi yeh Quran khuda hi ki taraf se hua aur tum iska inkar karte rahe to us shaks se badh kar bhatka hua aur kaun hoga jo iski mukhalifat mein door tak nikal gaya ho?

53. Anqareeb hum unko apni nishaniyan aafaq (horizons)mein bhi dikhayenge aur inke apne nafs mein bhi yahan tak ke inpar yeh baat khul jayegi ke yeh Quran waqayi barhaqq hai, kya yeh baat kafi nahin hai ke tera Rubb har cheez ka shahid(witness) hai?

54. Aagaah raho, yeh log apne Rubb ki mulaqaat mein shakk rakhte hain. Sun rakkho woh har cheez par muheet(fully encompasses everything) hai.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments