📖 Surah 40 Ghafir Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. حم

  2. تَنْزِيلُ الْكِتَابِ مِنَ اللَّهِ الْعَزِيزِ الْعَلِيمِ

  3. غَافِرِ الذَّنْبِ وَقَابِلِ التَّوْبِ شَدِيدِ الْعِقَابِ ذِي الطَّوْلِ ۖ لَا إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ ۖ إِلَيْهِ الْمَصِيرُ

  4. مَا يُجَادِلُ فِي آيَاتِ اللَّهِ إِلَّا الَّذِينَ كَفَرُوا فَلَا يَغْرُرْكَ تَقَلُّبُهُمْ فِي الْبِلَادِ

  5. كَذَّبَتْ قَبْلَهُمْ قَوْمُ نُوحٍ وَالْأَحْزَابُ مِنْ بَعْدِهِمْ ۖ وَهَمَّتْ كُلُّ أُمَّةٍ بِرَسُولِهِمْ لِيَأْخُذُوهُ ۖ وَجَادَلُوا بِالْبَاطِلِ لِيُدْحِضُوا بِهِ الْحَقَّ فَأَخَذْتُهُمْ ۖ فَكَيْفَ كَانَ عِقَابِ

  6. وَكَذَٰلِكَ حَقَّتْ كَلِمَتُ رَبِّكَ عَلَى الَّذِينَ كَفَرُوا أَنَّهُمْ أَصْحَابُ النَّارِ

  7. الَّذِينَ يَحْمِلُونَ الْعَرْشَ وَمَنْ حَوْلَهُ يُسَبِّحُونَ بِحَمْدِ رَبِّهِمْ وَيُؤْمِنُونَ بِهِ وَيَسْتَغْفِرُونَ لِلَّذِينَ آمَنُوا رَبَّنَا وَسِعْتَ كُلَّ شَيْءٍ رَحْمَةً وَعِلْمًا فَاغْفِرْ لِلَّذِينَ تَابُوا وَاتَّبَعُوا سَبِيلَكَ وَقِهِمْ عَذَابَ الْجَحِيمِ

  8. رَبَّنَا وَأَدْخِلْهُمْ جَنَّاتِ عَدْنٍ الَّتِي وَعَدْتَهُمْ وَمَنْ صَلَحَ مِنْ آبَائِهِمْ وَأَزْوَاجِهِمْ وَذُرِّيَّاتِهِمْ ۚ إِنَّكَ أَنْتَ الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ

  9. وَقِهِمُ السَّيِّئَاتِ ۚ وَمَنْ تَقِ السَّيِّئَاتِ يَوْمَئِذٍ فَقَدْ رَحِمْتَهُ ۚ وَذَٰلِكَ هُوَ الْفَوْزُ الْعَظِيمُ

  10. إِنَّ الَّذِينَ كَفَرُوا يُنَادَوْنَ لَمَقْتُ اللَّهِ أَكْبَرُ مِنْ مَقْتِكُمْ أَنْفُسَكُمْ إِذْ تُدْعَوْنَ إِلَى الْإِيمَانِ فَتَكْفُرُونَ

  11. قَالُوا رَبَّنَا أَمَتَّنَا اثْنَتَيْنِ وَأَحْيَيْتَنَا اثْنَتَيْنِ فَاعْتَرَفْنَا بِذُنُوبِنَا فَهَلْ إِلَىٰ خُرُوجٍ مِنْ سَبِيلٍ

  12. ذَٰلِكُمْ بِأَنَّهُ إِذَا دُعِيَ اللَّهُ وَحْدَهُ كَفَرْتُمْ ۖ وَإِنْ يُشْرَكْ بِهِ تُؤْمِنُوا ۚ فَالْحُكْمُ لِلَّهِ الْعَلِيِّ الْكَبِيرِ

  13. هُوَ الَّذِي يُرِيكُمْ آيَاتِهِ وَيُنَزِّلُ لَكُمْ مِنَ السَّمَاءِ رِزْقًا ۚ وَمَا يَتَذَكَّرُ إِلَّا مَنْ يُنِيبُ

  14. فَادْعُوا اللَّهَ مُخْلِصِينَ لَهُ الدِّينَ وَلَوْ كَرِهَ الْكَافِرُونَ

  15. رَفِيعُ الدَّرَجَاتِ ذُو الْعَرْشِ يُلْقِي الرُّوحَ مِنْ أَمْرِهِ عَلَىٰ مَنْ يَشَاءُ مِنْ عِبَادِهِ لِيُنْذِرَ يَوْمَ التَّلَاقِ

  16. يَوْمَ هُمْ بَارِزُونَ ۖ لَا يَخْفَىٰ عَلَى اللَّهِ مِنْهُمْ شَيْءٌ ۚ لِمَنِ الْمُلْكُ الْيَوْمَ ۖ لِلَّهِ الْوَاحِدِ الْقَهَّارِ

  17. الْيَوْمَ تُجْزَىٰ كُلُّ نَفْسٍ بِمَا كَسَبَتْ ۚ لَا ظُلْمَ الْيَوْمَ ۚ إِنَّ اللَّهَ سَرِيعُ الْحِسَابِ

  18. وَأَنْذِرْهُمْ يَوْمَ الْآزِفَةِ إِذِ الْقُلُوبُ لَدَى الْحَنَاجِرِ كَاظِمِينَ ۚ مَا لِلظَّالِمِينَ مِنْ حَمِيمٍ وَلَا شَفِيعٍ يُطَاعُ

  19. يَعْلَمُ خَائِنَةَ الْأَعْيُنِ وَمَا تُخْفِي الصُّدُورُ

  20. وَاللَّهُ يَقْضِي بِالْحَقِّ ۖ وَالَّذِينَ يَدْعُونَ مِنْ دُونِهِ لَا يَقْضُونَ بِشَيْءٍ ۗ إِنَّ اللَّهَ هُوَ السَّمِيعُ الْبَصِيرُ

  21. أَوَلَمْ يَسِيرُوا فِي الْأَرْضِ فَيَنْظُرُوا كَيْفَ كَانَ عَاقِبَةُ الَّذِينَ كَانُوا مِنْ قَبْلِهِمْ ۚ كَانُوا هُمْ أَشَدَّ مِنْهُمْ قُوَّةً وَآثَارًا فِي الْأَرْضِ فَأَخَذَهُمُ اللَّهُ بِذُنُوبِهِمْ وَمَا كَانَ لَهُمْ مِنَ اللَّهِ مِنْ وَاقٍ

  22. ذَٰلِكَ بِأَنَّهُمْ كَانَتْ تَأْتِيهِمْ رُسُلُهُمْ بِالْبَيِّنَاتِ فَكَفَرُوا فَأَخَذَهُمُ اللَّهُ ۚ إِنَّهُ قَوِيٌّ شَدِيدُ الْعِقَابِ

  23. وَلَقَدْ أَرْسَلْنَا مُوسَىٰ بِآيَاتِنَا وَسُلْطَانٍ مُبِينٍ

  24. إِلَىٰ فِرْعَوْنَ وَهَامَانَ وَقَارُونَ فَقَالُوا سَاحِرٌ كَذَّابٌ

  25. فَلَمَّا جَاءَهُمْ بِالْحَقِّ مِنْ عِنْدِنَا قَالُوا اقْتُلُوا أَبْنَاءَ الَّذِينَ آمَنُوا مَعَهُ وَاسْتَحْيُوا نِسَاءَهُمْ ۚ وَمَا كَيْدُ الْكَافِرِينَ إِلَّا فِي ضَلَالٍ

  26. وَقَالَ فِرْعَوْنُ ذَرُونِي أَقْتُلْ مُوسَىٰ وَلْيَدْعُ رَبَّهُ ۖ إِنِّي أَخَافُ أَنْ يُبَدِّلَ دِينَكُمْ أَوْ أَنْ يُظْهِرَ فِي الْأَرْضِ الْفَسَادَ

  27. وَقَالَ مُوسَىٰ إِنِّي عُذْتُ بِرَبِّي وَرَبِّكُمْ مِنْ كُلِّ مُتَكَبِّرٍ لَا يُؤْمِنُ بِيَوْمِ الْحِسَابِ

  28. وَقَالَ رَجُلٌ مُؤْمِنٌ مِنْ آلِ فِرْعَوْنَ يَكْتُمُ إِيمَانَهُ أَتَقْتُلُونَ رَجُلًا أَنْ يَقُولَ رَبِّيَ اللَّهُ وَقَدْ جَاءَكُمْ بِالْبَيِّنَاتِ مِنْ رَبِّكُمْ ۖ وَإِنْ يَكُ كَاذِبًا فَعَلَيْهِ كَذِبُهُ ۖ وَإِنْ يَكُ صَادِقًا يُصِبْكُمْ بَعْضُ الَّذِي يَعِدُكُمْ ۖ إِنَّ اللَّهَ لَا يَهْدِي مَنْ هُوَ مُسْرِفٌ كَذَّابٌ

  29. يَا قَوْمِ لَكُمُ الْمُلْكُ الْيَوْمَ ظَاهِرِينَ فِي الْأَرْضِ فَمَنْ يَنْصُرُنَا مِنْ بَأْسِ اللَّهِ إِنْ جَاءَنَا ۚ قَالَ فِرْعَوْنُ مَا أُرِيكُمْ إِلَّا مَا أَرَىٰ وَمَا أَهْدِيكُمْ إِلَّا سَبِيلَ الرَّشَادِ

  30. وَقَالَ الَّذِي آمَنَ يَا قَوْمِ إِنِّي أَخَافُ عَلَيْكُمْ مِثْلَ يَوْمِ الْأَحْزَابِ

  31. مِثْلَ دَأْبِ قَوْمِ نُوحٍ وَعَادٍ وَثَمُودَ وَالَّذِينَ مِنْ بَعْدِهِمْ ۚ وَمَا اللَّهُ يُرِيدُ ظُلْمًا لِلْعِبَادِ

  32. وَيَا قَوْمِ إِنِّي أَخَافُ عَلَيْكُمْ يَوْمَ التَّنَادِ

  33. يَوْمَ تُوَلُّونَ مُدْبِرِينَ مَا لَكُمْ مِنَ اللَّهِ مِنْ عَاصِمٍ ۗ وَمَنْ يُضْلِلِ اللَّهُ فَمَا لَهُ مِنْ هَادٍ

  34. وَلَقَدْ جَاءَكُمْ يُوسُفُ مِنْ قَبْلُ بِالْبَيِّنَاتِ فَمَا زِلْتُمْ فِي شَكٍّ مِمَّا جَاءَكُمْ بِهِ ۖ حَتَّىٰ إِذَا هَلَكَ قُلْتُمْ لَنْ يَبْعَثَ اللَّهُ مِنْ بَعْدِهِ رَسُولًا ۚ كَذَٰلِكَ يُضِلُّ اللَّهُ مَنْ هُوَ مُسْرِفٌ مُرْتَابٌ

  35. الَّذِينَ يُجَادِلُونَ فِي آيَاتِ اللَّهِ بِغَيْرِ سُلْطَانٍ أَتَاهُمْ ۖ كَبُرَ مَقْتًا عِنْدَ اللَّهِ وَعِنْدَ الَّذِينَ آمَنُوا ۚ كَذَٰلِكَ يَطْبَعُ اللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ قَلْبِ مُتَكَبِّرٍ جَبَّارٍ

  36. وَقَالَ فِرْعَوْنُ يَا هَامَانُ ابْنِ لِي صَرْحًا لَعَلِّي أَبْلُغُ الْأَسْبَابَ

  37. أَسْبَابَ السَّمَاوَاتِ فَأَطَّلِعَ إِلَىٰ إِلَٰهِ مُوسَىٰ وَإِنِّي لَأَظُنُّهُ كَاذِبًا ۚ وَكَذَٰلِكَ زُيِّنَ لِفِرْعَوْنَ سُوءُ عَمَلِهِ وَصُدَّ عَنِ السَّبِيلِ ۚ وَمَا كَيْدُ فِرْعَوْنَ إِلَّا فِي تَبَابٍ

  38. وَقَالَ الَّذِي آمَنَ يَا قَوْمِ اتَّبِعُونِ أَهْدِكُمْ سَبِيلَ الرَّشَادِ

  39. يَا قَوْمِ إِنَّمَا هَٰذِهِ الْحَيَاةُ الدُّنْيَا مَتَاعٌ وَإِنَّ الْآخِرَةَ هِيَ دَارُ الْقَرَارِ

  40. مَنْ عَمِلَ سَيِّئَةً فَلَا يُجْزَىٰ إِلَّا مِثْلَهَا ۖ وَمَنْ عَمِلَ صَالِحًا مِنْ ذَكَرٍ أَوْ أُنْثَىٰ وَهُوَ مُؤْمِنٌ فَأُولَٰئِكَ يَدْخُلُونَ الْجَنَّةَ يُرْزَقُونَ فِيهَا بِغَيْرِ حِسَابٍ

  41. وَيَا قَوْمِ مَا لِي أَدْعُوكُمْ إِلَى النَّجَاةِ وَتَدْعُونَنِي إِلَى النَّارِ

  42. تَدْعُونَنِي لِأَكْفُرَ بِاللَّهِ وَأُشْرِكَ بِهِ مَا لَيْسَ لِي بِهِ عِلْمٌ وَأَنَا أَدْعُوكُمْ إِلَى الْعَزِيزِ الْغَفَّارِ

  43. لَا جَرَمَ أَنَّمَا تَدْعُونَنِي إِلَيْهِ لَيْسَ لَهُ دَعْوَةٌ فِي الدُّنْيَا وَلَا فِي الْآخِرَةِ وَأَنَّ مَرَدَّنَا إِلَى اللَّهِ وَأَنَّ الْمُسْرِفِينَ هُمْ أَصْحَابُ النَّارِ

  44. فَسَتَذْكُرُونَ مَا أَقُولُ لَكُمْ ۚ وَأُفَوِّضُ أَمْرِي إِلَى اللَّهِ ۚ إِنَّ اللَّهَ بَصِيرٌ بِالْعِبَادِ

  45. فَوَقَاهُ اللَّهُ سَيِّئَاتِ مَا مَكَرُوا ۖ وَحَاقَ بِآلِ فِرْعَوْنَ سُوءُ الْعَذَابِ

  46. النَّارُ يُعْرَضُونَ عَلَيْهَا غُدُوًّا وَعَشِيًّا ۖ وَيَوْمَ تَقُومُ السَّاعَةُ أَدْخِلُوا آلَ فِرْعَوْنَ أَشَدَّ الْعَذَابِ

  47. وَإِذْ يَتَحَاجُّونَ فِي النَّارِ فَيَقُولُ الضُّعَفَاءُ لِلَّذِينَ اسْتَكْبَرُوا إِنَّا كُنَّا لَكُمْ تَبَعًا فَهَلْ أَنْتُمْ مُغْنُونَ عَنَّا نَصِيبًا مِنَ النَّارِ

  48. قَالَ الَّذِينَ اسْتَكْبَرُوا إِنَّا كُلٌّ فِيهَا إِنَّ اللَّهَ قَدْ حَكَمَ بَيْنَ الْعِبَادِ

  49. وَقَالَ الَّذِينَ فِي النَّارِ لِخَزَنَةِ جَهَنَّمَ ادْعُوا رَبَّكُمْ يُخَفِّفْ عَنَّا يَوْمًا مِنَ الْعَذَابِ

  50. قَالُوا أَوَلَمْ تَكُ تَأْتِيكُمْ رُسُلُكُمْ بِالْبَيِّنَاتِ ۖ قَالُوا بَلَىٰ ۚ قَالُوا فَادْعُوا ۗ وَمَا دُعَاءُ الْكَافِرِينَ إِلَّا فِي ضَلَالٍ

  51. إِنَّا لَنَنْصُرُ رُسُلَنَا وَالَّذِينَ آمَنُوا فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا وَيَوْمَ يَقُومُ الْأَشْهَادُ

  52. يَوْمَ لَا يَنْفَعُ الظَّالِمِينَ مَعْذِرَتُهُمْ ۖ وَلَهُمُ اللَّعْنَةُ وَلَهُمْ سُوءُ الدَّارِ

  53. وَلَقَدْ آتَيْنَا مُوسَى الْهُدَىٰ وَأَوْرَثْنَا بَنِي إِسْرَائِيلَ الْكِتَابَ

  54. هُدًى وَذِكْرَىٰ لِأُولِي الْأَلْبَابِ

  55. فَاصْبِرْ إِنَّ وَعْدَ اللَّهِ حَقٌّ وَاسْتَغْفِرْ لِذَنْبِكَ وَسَبِّحْ بِحَمْدِ رَبِّكَ بِالْعَشِيِّ وَالْإِبْكَارِ

  56. إِنَّ الَّذِينَ يُجَادِلُونَ فِي آيَاتِ اللَّهِ بِغَيْرِ سُلْطَانٍ أَتَاهُمْ ۙ إِنْ فِي صُدُورِهِمْ إِلَّا كِبْرٌ مَا هُمْ بِبَالِغِيهِ ۚ فَاسْتَعِذْ بِاللَّهِ ۖ إِنَّهُ هُوَ السَّمِيعُ الْبَصِيرُ

  57. لَخَلْقُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ أَكْبَرُ مِنْ خَلْقِ النَّاسِ وَلَٰكِنَّ أَكْثَرَ النَّاسِ لَا يَعْلَمُونَ

  58. وَمَا يَسْتَوِي الْأَعْمَىٰ وَالْبَصِيرُ وَالَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ وَلَا الْمُسِيءُ ۚ قَلِيلًا مَا تَتَذَكَّرُونَ

  59. إِنَّ السَّاعَةَ لَآتِيَةٌ لَا رَيْبَ فِيهَا وَلَٰكِنَّ أَكْثَرَ النَّاسِ لَا يُؤْمِنُونَ

  60. وَقَالَ رَبُّكُمُ ادْعُونِي أَسْتَجِبْ لَكُمْ ۚ إِنَّ الَّذِينَ يَسْتَكْبِرُونَ عَنْ عِبَادَتِي سَيَدْخُلُونَ جَهَنَّمَ دَاخِرِينَ

  61. اللَّهُ الَّذِي جَعَلَ لَكُمُ اللَّيْلَ لِتَسْكُنُوا فِيهِ وَالنَّهَارَ مُبْصِرًا ۚ إِنَّ اللَّهَ لَذُو فَضْلٍ عَلَى النَّاسِ وَلَٰكِنَّ أَكْثَرَ النَّاسِ لَا يَشْكُرُونَ

  62. ذَٰلِكُمُ اللَّهُ رَبُّكُمْ خَالِقُ كُلِّ شَيْءٍ لَا إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ ۖ فَأَنَّىٰ تُؤْفَكُونَ

  63. كَذَٰلِكَ يُؤْفَكُ الَّذِينَ كَانُوا بِآيَاتِ اللَّهِ يَجْحَدُونَ

  64. اللَّهُ الَّذِي جَعَلَ لَكُمُ الْأَرْضَ قَرَارًا وَالسَّمَاءَ بِنَاءً وَصَوَّرَكُمْ فَأَحْسَنَ صُوَرَكُمْ وَرَزَقَكُمْ مِنَ الطَّيِّبَاتِ ۚ ذَٰلِكُمُ اللَّهُ رَبُّكُمْ ۖ فَتَبَارَكَ اللَّهُ رَبُّ الْعَالَمِينَ

  65. هُوَ الْحَيُّ لَا إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ فَادْعُوهُ مُخْلِصِينَ لَهُ الدِّينَ ۗ الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ

  66. قُلْ إِنِّي نُهِيتُ أَنْ أَعْبُدَ الَّذِينَ تَدْعُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ لَمَّا جَاءَنِيَ الْبَيِّنَاتُ مِنْ رَبِّي وَأُمِرْتُ أَنْ أُسْلِمَ لِرَبِّ الْعَالَمِينَ

  67. هُوَ الَّذِي خَلَقَكُمْ مِنْ تُرَابٍ ثُمَّ مِنْ نُطْفَةٍ ثُمَّ مِنْ عَلَقَةٍ ثُمَّ يُخْرِجُكُمْ طِفْلًا ثُمَّ لِتَبْلُغُوا أَشُدَّكُمْ ثُمَّ لِتَكُونُوا شُيُوخًا ۚ وَمِنْكُمْ مَنْ يُتَوَفَّىٰ مِنْ قَبْلُ ۖ وَلِتَبْلُغُوا أَجَلًا مُسَمًّى وَلَعَلَّكُمْ تَعْقِلُونَ

  68. هُوَ الَّذِي يُحْيِي وَيُمِيتُ ۖ فَإِذَا قَضَىٰ أَمْرًا فَإِنَّمَا يَقُولُ لَهُ كُنْ فَيَكُونُ

  69. أَلَمْ تَرَ إِلَى الَّذِينَ يُجَادِلُونَ فِي آيَاتِ اللَّهِ أَنَّىٰ يُصْرَفُونَ

  70. الَّذِينَ كَذَّبُوا بِالْكِتَابِ وَبِمَا أَرْسَلْنَا بِهِ رُسُلَنَا ۖ فَسَوْفَ يَعْلَمُونَ

  71. إِذِ الْأَغْلَالُ فِي أَعْنَاقِهِمْ وَالسَّلَاسِلُ يُسْحَبُونَ

  72. فِي الْحَمِيمِ ثُمَّ فِي النَّارِ يُسْجَرُونَ

  73. ثُمَّ قِيلَ لَهُمْ أَيْنَ مَا كُنْتُمْ تُشْرِكُونَ

  74. مِنْ دُونِ اللَّهِ ۖ قَالُوا ضَلُّوا عَنَّا بَلْ لَمْ نَكُنْ نَدْعُو مِنْ قَبْلُ شَيْئًا ۚ كَذَٰلِكَ يُضِلُّ اللَّهُ الْكَافِرِينَ

  75. ذَٰلِكُمْ بِمَا كُنْتُمْ تَفْرَحُونَ فِي الْأَرْضِ بِغَيْرِ الْحَقِّ وَبِمَا كُنْتُمْ تَمْرَحُونَ

  76. ادْخُلُوا أَبْوَابَ جَهَنَّمَ خَالِدِينَ فِيهَا ۖ فَبِئْسَ مَثْوَى الْمُتَكَبِّرِينَ

  77. فَاصْبِرْ إِنَّ وَعْدَ اللَّهِ حَقٌّ ۚ فَإِمَّا نُرِيَنَّكَ بَعْضَ الَّذِي نَعِدُهُمْ أَوْ نَتَوَفَّيَنَّكَ فَإِلَيْنَا يُرْجَعُونَ

  78. وَلَقَدْ أَرْسَلْنَا رُسُلًا مِنْ قَبْلِكَ مِنْهُمْ مَنْ قَصَصْنَا عَلَيْكَ وَمِنْهُمْ مَنْ لَمْ نَقْصُصْ عَلَيْكَ ۗ وَمَا كَانَ لِرَسُولٍ أَنْ يَأْتِيَ بِآيَةٍ إِلَّا بِإِذْنِ اللَّهِ ۚ فَإِذَا جَاءَ أَمْرُ اللَّهِ قُضِيَ بِالْحَقِّ وَخَسِرَ هُنَالِكَ الْمُبْطِلُونَ

  79. اللَّهُ الَّذِي جَعَلَ لَكُمُ الْأَنْعَامَ لِتَرْكَبُوا مِنْهَا وَمِنْهَا تَأْكُلُونَ

  80. وَلَكُمْ فِيهَا مَنَافِعُ وَلِتَبْلُغُوا عَلَيْهَا حَاجَةً فِي صُدُورِكُمْ وَعَلَيْهَا وَعَلَى الْفُلْكِ تُحْمَلُونَ

  81. وَيُرِيكُمْ آيَاتِهِ فَأَيَّ آيَاتِ اللَّهِ تُنْكِرُونَ

  82. أَفَلَمْ يَسِيرُوا فِي الْأَرْضِ فَيَنْظُرُوا كَيْفَ كَانَ عَاقِبَةُ الَّذِينَ مِنْ قَبْلِهِمْ ۚ كَانُوا أَكْثَرَ مِنْهُمْ وَأَشَدَّ قُوَّةً وَآثَارًا فِي الْأَرْضِ فَمَا أَغْنَىٰ عَنْهُمْ مَا كَانُوا يَكْسِبُونَ

  83. فَلَمَّا جَاءَتْهُمْ رُسُلُهُمْ بِالْبَيِّنَاتِ فَرِحُوا بِمَا عِنْدَهُمْ مِنَ الْعِلْمِ وَحَاقَ بِهِمْ مَا كَانُوا بِهِ يَسْتَهْزِئُونَ

  84. فَلَمَّا رَأَوْا بَأْسَنَا قَالُوا آمَنَّا بِاللَّهِ وَحْدَهُ وَكَفَرْنَا بِمَا كُنَّا بِهِ مُشْرِكِينَ

  85. فَلَمْ يَكُ يَنْفَعُهُمْ إِيمَانُهُمْ لَمَّا رَأَوْا بَأْسَنَا ۖ سُنَّتَ اللَّهِ الَّتِي قَدْ خَلَتْ فِي عِبَادِهِ ۖ وَخَسِرَ هُنَالِكَ الْكَافِرُونَ

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Haa-Meeem

  2. Tanzeelul Kitaabi minal laahil Azeezil 'Aleem

  3. Ghaafiriz zambi wa qaabilit tawbi shadeedil 'iqaabi zit tawli laaa ilaaha illaa Huwa ilaihil maseer

  4. Maa yujaadilu feee Aayaatil laahi illal lazeena kafaroo falaa yaghrurka taqallubuhum fil bilaad

  5. Kazzabat qablahum qawmu Noohinw wal Ahzaabu min ba'dihim wa hammat kullu ummatin bi Rasoolihim li ya'khuzoohu wa jaadaloo bilbaatili li yud hidoo bihil haqqa fa akhaztuhum fa kaifa kaana 'iqaab

  6. Wa kazaalika haqqat Kalimatu Rabbika 'alal lazeena kafarooo annahum Ashaabun Naar

  7. Allazeena yahmiloonal 'Arsha wa man hawlahoo yusabbihoona bihamdi Rabbihim wa yu'minoona bihee wa yastaghfiroona lillazeena aamanoo Rabbanaa wasi'ta kulla shai'ir rahmatanw wa 'ilman faghfir lillazeena taaboo wattaba'oo sabeelaka wa qihim 'azaabal Jaheem

  8. Rabbanaa wa adkhilhum Jannaati 'adninil latee wa'attahum wa man salaha min aabaaa'ihim wa azwaajihim wa zurriyyaatihim; innaka Antal 'Azeezul Hakeem

  9. Wa qihimus saiyi-aat; wa man taqis saiyi-aati Yawma'izin faqad rahimtah; wa zaalika huwal fawzul 'azeem (section 1)

  10. Innal lazeena kafaroo yunaadawna lamaqtul laahi akbaru mim maqtikum anfusakum iz tud'awna ilal eemaani fatakfuroon

  11. Qaaloo Rabbanaaa amat tanasnataini wa ahyaitanas nataini fa'tarafnaa bizunoo binaa fahal ilaa khuroojim min sabeel

  12. Zaalikum bi annahooo izaa du'iyal laahu wahdahoo kafartum wa iny yushrak bihee tu'minoo; falhukmu lillaahil 'Aliyyil Kabeer

  13. Huwal lazee yureekum Aayaatihee wa yunazzilu lakum minas samaaa'i rizqaa; wa maa yatazakkaru illaa mai yuneeb

  14. Fad'ul laaha mukhliseena lahud deena wa law karihal kaafiroon

  15. Rafee'ud darajaati zul 'Arshi yulqir rooha min amrihee 'alaa mai yashaaa'u min 'ibaadihee liyunzira yawmat talaaq

  16. Yawma hum baarizoona laa yakhfaa 'alal laahi minhum shai; limanil mulkul Yawma lillaahil Waahidil Qahaar

  17. Al-Yawma tujzaa kullu nafsim bimaa kasabat; laa zulmal Yawm; innal laaha saree'ul hisaab

  18. Wa anzirhum yawmal aazifati izil quloobu ladal hanaajiri kaazimeen; maa lizzaalimeena min hameeminw wa laa shafee'iny-yutaa'

  19. Ya'lamu khaaa'inatal a'yuni wa maa tukhfis sudoor

  20. Wallaahu yaqdee bilhaqq, wallazeena yad'oona min doonihee laa yaqdoona bishai'; innal laaha Huwas Samee'ul Baseer (section 2)

  21. Awalam yaseeroo fil ardi fa yanzuroo kaifa kaana 'aaqibatul lazeena kaanoo min qablihim; kaanoo hum ashadda minhum quwwatanw wa aasaaran fil ardi fa akhazahumul laahu bizunoobihim wa maa kaana lahum minal laahi minw waaq

  22. Zaalika bi annahum kaanat taateehim Rusuluhum bilbaiyinaati fakafaroo fa akhazahumul laah; innahoo qawiyyun shadeedul 'iqaab

  23. Wa laqad arsalnaa Moosaa bi Aayaatinaa wa sultaanim mubeen

  24. Ilaa Fir'awna wa Haamaana wa Qaaroona faqaaloo saahirun kazzaab

  25. Falamma jaaa'ahum bil haqqi min 'indinaa qaaluq tulooo abnaaa'al lazeena aamanoo ma'ahoo wastahyoo nisaaa'ahum; wa maa kaidul kaafireena illaa fee dalaal

  26. Wa qaala Fir'awnu zarooneee aqtul Moosaa walyad'u Rabbahoo inneee akhaafu ai yubaddila deenakum aw ai yuzhira fil ardil fasaad

  27. Wa qaala Moosaaaa innee 'uztu bi Rabbee wa Rabbikum min kulli mutakabbiril laayu'minu bi Yawmil Hisaab (section 3)

  28. Wa qaala rajulum mu'minummin Aali Fir'awna yaktumu eemaanahooo ataqtuloona rajulan ai yaqoola Rabbi yal laahu wa qad jaaa'akum bil baiyinaati mir Rabbikum wa iny yaku kaaziban fa'alaihi kazibuh wa iny yaku saadiqany yasibkum ba'dul lazee ya'idukum innal laaha laa yahdee man huwa musrifun kazzaab

  29. Yaa qawmi lakumul mulkul yawma zaahireena fil ardi famai yansurunaa mim baasil laahi in jaaa'anaa; qaala Fir'awnu maaa ureekum illaa maaa araa wa maaa ahdeekum illaa sabeelar Rashaad

  30. Wa qaalal lazee aamana yaa qawmi inneee akhaafu 'alaikum misla yawmil Ahzaab

  31. Misla daabi qawmi Noohinw wa 'aadinw wa Samooda wallazeena mim ba'dihim; wa mal laahu yureedu zulmal lil'ibaad

  32. Wa yaa qawmi inneee akhaafu 'alaikum yawmat tanaad

  33. Yawma tuwalloona mud bireena maa lakum minal laahi min 'aasim; wa mai yudlilil laahu famaa lahoo min haad

  34. Wa laqad jaaa'akum Yoosufu min qablu bil baiyinaati famaa ziltum fee shakkim mimmaa jaaa'akum bihee hattaaa izaa halaka qultum lai yab asal laahu mim ba'dihee Rasoolaa; kazaalika yudillul laahu man huwa Musrifum murtaab

  35. Allazeena yujaadiloona feee Aaayaatil laahi bighairi sultaanin ataahum kabura maqtan 'indal laahi wa 'indal lazeena aamanoo; kazaalika yatbahul laahu 'alaa kulli qalbi mutakabbirin jabbaar

  36. Wa qaala Fir'awnu yaa Haamaanub-ni lee sarhal la'alleee ablughul asbaab

  37. Asbaabas samaawaati faattali'a ilaaa ilaahi Moosaa wa innee la azunnuhoo kaazibaa; wa kazaalika zuyyina li-Fir'awna sooo'u 'amalihee wa sudda 'anis sabeel; wa maa kaidu Fir'awna illaa fee tabaab (section 4)

  38. Wa qaalal lazeee aamana yaa qawmit tabi'ooni ahdikum sabeelar rashaad

  39. Yaa qawmi innamaa haazihil hayaatud dunyaa mataa'unw wa innal Aakhirata hiya daarul qaraar

  40. Man 'amila saiyi'atan falaa yujzaaa illaa mislahaa wa man 'amila saaliham min zakarin aw unsaa wa huwa mu'minun fa ulaaa'ika yadkhuloonal Jannata yurzaqoona feehaa bighairi hisaab

  41. Wa yaa qawmi maa leee ad'ookum ilan najaati wa tad'oonaneee ilan Naar

  42. Tad'oonanee li-akfura billaahi wa ushrika bihee maa laisa lee bihee 'ilmunw wa ana ad'ookum ilal'Azeezil Ghaffaar

  43. Laa jarama annamaa tad'oonanee ilaihi laisa lahoo da'watun fid dunyaa wa laa fil Aakhirati wa anna maraddanaaa ilal laahi wa annal musrifeenahum Ashaabun Naar

  44. Fasatazkuroona maaa aqoolu lakum; wa ufawwidu amreee ilal laah; innallaaha baseerum bil'ibaad

  45. Fa waqaahul laahu saiyiaati maa makaroo wa haaqa bi Aali-Fir'awna sooo'ul 'azaab

  46. An Naaru yu'radoona 'alaihaa ghuduwwanw wa 'ashiyyanw wa Yawma taqoomus Saa'aatu adkhilooo Aala Fir'awna ashaddal 'azaab

  47. Wa iz yatahaaajjoona fin Naari fa-yaqoolud du'afaaa'u lillazeenas takbarooo innaa kunnaa lakum taba'an fahal antum mughnoona annaa naseebam minan Naar

  48. Qaalal lazeenas takbarooo innaa kullun feehaaa innal laaha qad hakama baynal'ibaad

  49. Wa qaalal lazeena fin Naari likhazanati Jahannamad-'oo Rabbakum yukhaffif 'annaa yawmam minal 'azaab

  50. Qaalooo awalam taku taateekum Rusulukum bilbaiyinaati qaaloo balaa' qaaloo fad'oo; wa maa du'aaa'ul kaafireena illaa fee dalaal (section 5)

  51. Innaa lanansuru Rusulanaa wallazeena aamanoo fil hayaatid dunyaa wa Yawma yaqoomul ashhaad

  52. Yawma laa yanfa'uz zaalimeena ma'ziratuhum wa lahumul la'natu wa lahum soooud daar

  53. Wa laqad aatainaa Moosal hudaa wa awrasnaa Baneee Israaa 'eelal Kitaab

  54. Hudanw wa zikraa li ulil albaab

  55. Fasbir inna wa'dal laahi haqqunw wastaghfir lizambika wa sabbih bihamdi Rabbika bil'ashiyyi wal ibkaar

  56. Innal lazeena yujaadi loona feee Aayaatil laahi bighairi sultaanin ataahum in fee sudoorihim illaa kibrum maa hum bibaaligheeh; fasta'iz billaahi innahoo Huwas Samee'ul Baseer

  57. Lakhalqus samaawaati wal ardi akbaru min khalqin naasi wa laakinna aksaran naasi laa ya'lamoon

  58. Wa maa yastawil a'maa walbaseeru wallazeena aamanoo wa 'amilus saalihaati wa lal museee'; qaleelam maa tatazakkaroon

  59. Innas Saa'ata la aatiyatul laa raiba feehaa wa laakinna aksaran naasi laa yu'minoon

  60. Wa qaala Rabbukumud 'ooneee astajib lakum; innal lazeena yastakbiroona an 'ibaadatee sa yadkhuloona jahannama daakhireen (Section 6)

  61. Allaahul lazee ja'ala lakumul laila littaskunoo feehi wannahaara mubsiraa; innal laaha lazoo fadlin 'alan naasi wa laakinna aksaran naasi laa yashkuroon

  62. Zaalikumul laahu Rabbukum khaaliqu kulli shai'in; laaa ilaaha illaa Huwa fa annaa tu'fakoon

  63. Kazaalika yu'fakul lazeena kaanoo bi Aayaatil laahi yajhadoon

  64. Allaahul lazee ja'ala lakumul arda qaraaranw wassa maaa'a binaaa'anw wa sawwarakum fa ahsana suwarakum wa razaqakum minat taiyibaat; zaalikumul laahu Rabbukum fatabaarakal laahu Rabbul 'aalameen

  65. Huwal Hayyu laaa ilaaha illaa Huwa fad'oohu mukh liseena lahud-deen; alhamdu lillaahi Rabbil 'aalameen

  66. Qul innee nuheetu an a'budal lazeena tad'oona min doonil laahi lammaa jaaa'a niyal baiyinaatu mir Rabbee wa umirtu an uslima li Rabbil 'aalameen

  67. Huwal lazee khalaqakum min turaabin summa min nutfatin summa min 'alaqatin summa yukhrijukum tiflan summa litablughooo ashuddakum summa litakoonoo shuyookhaa; wa minkum mai yutawaffaa min qablu wa litablughooo ajalam musam manw-wa la'allakum ta'qiloon

  68. Huwal lazee yuhyee wa yumeetu fa izaa qadaaa amran fa innamaa yaqoolu lahoo kun fa yakoon (section 7)

  69. Alam tara ilal lazeena yujaadiloona feee Aayaatil laahi annaa yusrafoon

  70. Allazeena kazzaboo bil Kitaabi wa bimaa arsalnaa bihee Rusulanaa fasawfa ya'lamoon

  71. Izil aghlaalu feee a'naaqi-him wassalaasilu yushaboon

  72. Fil hameemi summa fin Naari Yasjaroon

  73. Summaa qeela lahum ayna maa kuntum tushrikoon

  74. Min doonil laahi qaaloo dalloo 'annaa bal lam nakun nad'oo min qablu shai'aa; kazaalika yudillul laahul kaafireen

  75. Zaalikum bimaa kuntum tafrahoona fil ardi bighairil haqqi wa bimaa kuntum tamrahoon

  76. Udkhulooo abwaaba Jahannama khaalideena feehaa fabi'sa maswal mutakabbireen

  77. Fasbir inna wa'dal laahi haqq; fa immaa nuriyannak ba'dal lazee na'i duhum aw natawaffayannaka fa ilainaa yurja'oon

  78. Wa laqad arsalnaa Rusulam min qablika minhum man qasasnaa 'alaika wa minhum mal lam naqsus 'alaik; wa maa kaana li Rasoolin any yaatiya bi Aayatin illaa bi iznil laah; fa izaa jaaa'a amrul laahi qudiya bilhaqqi wa khasira hunaalikal mubtiloon (section 8)

  79. Allaahul lazee ja'ala lakumul an'aama litarkaboo minhaa wa minhaa taakuloon

  80. Wa lakum feehaa manaafi'u wa litablughoo 'alaihaa haajatan fee sudoorikum wa 'alaihaa wa 'alal fulki tuhmaloon

  81. Wa yureekum Aayaatihee fa ayya Aayaatil laahi tunkiroon

  82. Afalam yaseeroo fil ardi fa yanzuroo kaifa kaana 'aaqibatul lazeena min qablihim; kaanoo aksara minhum wa ashadda quwwatanw wa aasaaran fil ardi famaaa aghnaa 'anhum maa kaanoo yaksiboon

  83. Falammaa jaaa'at hum Rusuluhum bilbaiyinaati farihoo bimaa 'indahum minal 'ilmi wa haaqa bihim maa kaanoo bihee yastahzi'oon

  84. Falammaa ra aw baasanaa qaalooo aamannaa billaahi wahdahoo wa kafarnaa bimaa kunnaa bihee mushrikeen

  85. Falam yaku yanfa 'uhum eemaanuhum lammaa ra-aw ba'sana sunnatal laahil latee qad khalat fee 'ibaadihee wa khasira hunaalikal kaafiroon (section 9)

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Haa Meem.

2. Is kitaab ka nuzul Allah ki taraf se hai jo zabardast hai, sab kuch jaanne wala hai.

3. Gunaah maaf karne wala aur tauba qabool karne wala hai, sakht saza dene wala aur bada sahib e fazl hai. Koi mabood uske siwa nahin, usi ki taraf sabko palatna hai.

4. Allah ki aayaat mein jhagde nahin karte magar sirf woh log jinhon ne kufr kiya hai. Iske baad duniya ke mulkon mein unki chalat phirat tumhein kisi dhoke mein na daale.

5. Inse pehle Nooh ki qaum bhi jhutla chuki hai, aur uske baad bahut se dusre jatthon (groups) ne bhi yeh kaam kiya hai. Har qaum apne Rasool par jhapti taa-ke usey giraftar kare, un sab ne baatil ke hathiyaaron se haqq ko neecha dikhane ki koshish ki. Magar aakhir e kaar maine unko pakad liya, phir dekhlo ke meri saza kaisi sakht thi.

6. Isi tarah tere Rubb ka yeh faisla bhi un sab logon par chaspan ho chuka hai jo kufr ke murtakib huey hain ke woh wasil-ba-jahannum hone wale hain.

7. Arsh e ilahi ke haamil Farishte aur woh jo arsh ke gird o pesh haazir rehte hain, sab apne Rubb ki hamd ke saath uski tasbeeh kar rahe hain, woh uspar iman rakhte hain aur iman laane walon ke haqq mein dua e magfirat karte hain, woh kehte hain : “Aey hamare Rubb, tu apni rehmat aur apne ilm ke saath har cheez par chaya hua hai, pas maaf karde aur azaab e dozakh se bacha le un logon ko jinhon ne tauba ki hai aur tera raasta ikhtiyar karliya hai.

8. Aey hamare Rubb, aur daakhil kar unko hamesha rehne wali un jannaton mein jinka tu ne unse waada kiya hai, aur unke waldain aur biwiyon aur aulad mein se jo saleh (righteous) hon (unko bhi wahan unke saath pahuncha de). Tu bila shubah qaadir e multaq (Most Mighty) aur hakeem(most wise) hai.

9. Aur bacha de unko buraiyon se. Jisko tu ne qayamat ke din buraiyon se bacha diya uspar tu ne bada reham kiya. Yahi badi kamiyabi hai.

10. Jin logon ne kufr kiya hai, qayamat ke roz unko pukaar kar kaha jayega “Aaj tumhein jitna shadeed gussa apne upar aa raha hai , Allah tumpar us se zyada gazabnaak us waqt hota tha jab tumhein iman ki taraf bulaya jata tha aur tum kufr karte thay”

11. Woh kahenge “Aey hamare Rubb, tu ne waqayi humein do dafa maut aur do dafa zindagi dedi. Ab hum apne kasooron ka aitraaf karte hain.Kya ab yahan se nikalne ki bhi koi sabeel hai?”

12. (jawab milega) “yeh haalat jismein tum mubtala ho, is wajah se hai ke jab akele Allah ki taraf bulaya jata tha to tum maanne se inkar kardete thay aur jab uske saath dusron ko milaya jata tha to tum maan lete thay. Ab faisla Allah buzurg o bartar ke haath hai”

13. Wahi hai jo tumko apni nishaniyan dikhata hai aur aasmaan se tumhare liye rizq naazil karta hai, magar (in nihsaniyon ke mushahidey se)sabaq sirf wahi shaks leta hai jo Allah ki taraf rujoo karne wala ho.

14. (pas aey rujoo karne walon) Allah hi ko pukaro apne deen ko uske liye khaalis karke, khwa tumhara yeh fail(kaam/amal) kafiron ko kitna hi nagawaar ho.

15. Woh buland darjon wala, Maalik e Arsh hai apne bandon mein se jispar chahta hai apne hukm se rooh naazil kardeta hai taa-ke woh mulaqat ke din se khabardaar karde.

16. Woh din jabke sab log bay purda honge, Allah se unki koi baat bhi chupi hui na hogi (us roz pukar kar poochca jayega) aaj baadshahi kiski hai? (saara aalam pukar utthega) Allah waahid-e-qahhar (the One the Overpowering) ki.

17. (Kaha jayega) aaj har mutanaffis ko us kamayi ka badla diya jayega jo usne ki thi. Aaj kisi par koi zulm na hoga aur Allah hisaab lene mein bahut teiz hai.

18. (Aey Nabi) dara do in logon ko usdin se jo qareeb aa laga hai, jab kalijey (livers) mooh ko aa rahe honge aur log chup chaap gham ke ghoont peay khaday honge. Zalimon ka na koi mushfiq dost hoga aur na koi shafee jiski baat maani jaaye.

19. Allah nigaahon ki chori tak se waaqif hai aur woh raaz tak jaanta hai jo seeno ne chupa rakkhe hain.

20. Aur Allah theek theek bay-laag(with justice) faisla karega .Rahe woh jinko (yeh mushrikeen) Allah ko chodh kar pukarte hain, woh kisi cheez ka bhi faisla karne wale nahin hain. Bila shubah Allah hi sabkuch sunney aur dekhne wala hai.

21. Kya yeh log kabhi zameen mein chale phiray nahin hain ke inhein un logon ka anjaam nazar aata jo inse pehle guzar chuke hain? Woh inse zyada taaqatwar thay aur inse zyada zabardast aasaar zameen mein chodh gaye hain. Magar Allah ne unke gunahon par unhein pakad liya aur unko Allah se bachane wala koi na tha.

22. Yeh unka anjaam is liye hua ke unke paas unke

Rasool bayyinaat(clear proofs) lekar aaye aur unhon ne maanne se inkar kardiya. Aakhir e kaar Allah ne unko pakad liya. Yaqeenan woh badi quwwat-wala(strong) aur saza deney mein bahut sakht hai.

23. Humne Moosa ko

24. Firoun aur Haaman aur Qaroon ki taraf apni nishaniyon aur numaya sanad-e-maamoriyat ke saath bheja. Magar unhon ne kaha “saahir (jaadugar) hai, kazzab(jhoota) hai”

25. Phir jab woh hamari taraf se haqq unke saamne le aaya to unhon ne kaha “jo log iman laa kar iske saath shamil huey hain in sabke ladkon ko qatal karo aur ladkiyon ko jeeta (zinda) chodh do”. Magar kafiron ki chaal akarat (vain) hi gayi.

26. Ek roz Firoun ne apne darbariyon se kaha “chodo mujhe main is Moosa ko qatal kiye deta hoon, aur pukar dekhe yeh apne Rubb ko.Mujhe andesha hai ke yeh tumhara deen badal daalega, ya mulk mein fasaad barpa karega”

27. Moosa ne kaha “maine to har us mutakabbir (ghamandi) ke muqable mein jo yaum ul hisaab par iman nahin rakhta apne Rubb aur tumhare Rubb ki panaah le li hai”

28. Is mauqe par aale Firoun mein se ek momin shaks, jo apna iman chupaye huey tha, bol utha: “Kya tum ek shaks ko sirf is bina par qatal kardoge ke woh kehta hai mera Rubb Allah hai? Halaanke woh tumhare Rubb ki taraf se tumhare paas bayyinat (signs/proofs) le aaya, agar woh jhoota hai to uska jhoot khud usi par palat padega, lekin agar woh saccha hai to jin haulnaak nataij ka woh tumko khauf dilata hai unmein se kuch to tumpar zaroor hi aa jayenge. Allah kisi aise shaks ko hidayat nahin deta jo hadd se guzar jaane wala aur kazzab (jhoota) ho.

29. Aey meri qaum ke logon! Aaj tumhein baadshahi haasil hai aur zameen mein tum gaalib ho, lekin agar khuda ka azaab humpar aa gaya to phir kaun hai jo hamari madad kar sakega?” Firoun ne kaha “Main to tum logon ko wahi rai de raha hoon jo mujhe munasib nazar aati hai aur main usi raaste ki taraf tumhari rehnumayi karta hoon jo theek hai”

30. Woh shaks jo iman laaya tha usne kaha “Aey meri qaum ke logon, Mujhe khauf hai ke kahin tumpar bhi woh din na aa jaaye jo is se pehle bahut se jatthon (parties) par aa chuka hai.

31. Jaisa din qaum e Nooh aur Aad aur Samood, aur unke baad wali qaumon par aaya tha. Aur yeh haqeeqat hai ke Allah apne bandon par zulm ka koi irada nahin rakhta.

32. Aey Qaum, mujhe darr hai ke kahin tumpar fariyad o fugaan ka din (day of calling) na aa jaaye.

33. Jab tum ek dusre ko pukaroge aur bhaagay bhaagay phirogey, magar us waqt Allah se bachane wala koi na hoga.Sach yeh hai ke jise Allah bhatka de usey phir koi raasta dikhane wala nahin hota.

34. Isse pehle Yusuf tumhare paas bayyinat lekar aaye thay magar tum unki layi hui taleem ki taraf se shakk hi mein paday rahe. Phir jab unka inteqal ho gaya to tumne kaha ab unke baad Allah koi Rasool hargiz na bhejega.” Isi tarah Allah un sab logon ko gumraahi mein daal deta hai jo hadd se guzarne wale aur shakki(doubting) hote hain.

35. Aur Allah ki aayaat mein jhagade karte hain bagair iske ke unke paas koi sanad ya daleel aayi ho.Yeh rawayya Allah aur iman laane walon ke nazdeek sakht mabguz (na-pasand) hai.Isi tarah Allah har mutakabbir o Jabbar ke dil par thappa laga deta hai.

36. Firoun ne kaha “Aey Haamaan, mere liye ek buland imarat bana taa-ke main raaston tak pahuch sakun.

37. Aasmaano ke raaston tak, aur Moosa ke khuda ko jhaank kar dekhun.Mujhe to yeh Moosa jhoota hi maloom hota hai.” Is tarah Firoun ke liye uski badh-amali khushnuma bana di gayi aur woh raah e raast se roak diya gaya. Firoun ki saari chaalbaazi (uski apni) tabahi ke raaste hi mein sarf (use/istemal) hui.

38. Woh shaks jo iman laya tha bola “ Aey meri qaum ke logon, meri baat maano, main tumhein saheeh raasta batata hoon.

39. Aey qaum, yeh duniya ki zindagi to chandh roza hai, hamesha ke liye qayam (permanent abode) ki jagah aakhirat hi hai.

40. Jo burayi karega usko utna hi badla milega jitni usne burayi ki hogi aur jo neik amal karega, khwa woh mard ho ya aurat, bashart yeh ke ho woh momin, aise sab log jannat mein daakhil honge jahan unko bay hisaab rizq diya jayega.

41. Aey qaum, aakhir yeh kya maajra hai ke main to tum logon ko najaat (salvation) ki taraf bulata hoon aur tum log mujhe aag ki taraf dawat dete ho!

42. Tum mujhe is baat ki dawat dete ho ke main Allah se kufr karoon aur uske saath un hastiyon ko shareek thehraun jinhein main nahin jaanta Halaanke main tumhein us zabardast magfirat karne wale khuda ki taraf bula raha hoon.

43. Nahin, haqq yeh hai aur iske khilaf nahin ho sakta ke jinki taraf tum mujhe bula rahe ho unke liye na duniya mein koi dawat hai na aakhirat mein, aur hum sabko palatna Allah hi ki taraf hai, aur hadd se guzarne wale aag mein jaane wale hain.

44. Aaj jo kuch main keh raha hoon , anqareeb woh waqt aayega jab tum usey yaad karoge aur apna maamla main Allah ke supurd karta hoon, woh apne bandon ka nigehbaan hai”

45. Aakhir e kaar un logon ne jo buri se buri chalein us momin ke khilaf chalin, Allah ne un sabse usko bacha liya, aur Firoun ke saathi khud badtareen azaab ke pher mein aa gaye.

46. Dozakh ki aag hai jiske saamney subah o shaam woh pesh kiye jaate hain, aur jab qayamat ki ghadi aa jayegi to hukm hoga ke aale Firoun ko shadeed-tarr azaab mein daakhil karo.

47. Phir zara khayal karo us waqt ka jab yeh log dozakh mein ek dusre se jhagad rahe honge. Duniya mein jo log kamzoar thay woh badey ban-ney walon se kahenge ke “hum tumhare tabey(followers) thay, ab kya yahan tum naar-e-jahannum (hell fire) ki takleef ke kuch hisse se humko bacha loge?

48. Woh badey banney wale jawab denge “ hum sab yahan ek haal mein hain,aur Allah bandon ke darmiyan faisla kar chuka hai”

49. Phir yeh dozakh mein padey huey log jahannum ke ahal-kaaron (keepers of Hell) se kahenge “ Apne Rubb se dua karo ke hamare azaab mein bas ek din ki takhfif karde”

50. Woh poochenge “kya tumhare paas tumhare Rasool bayyinaat (clear proofs) lekar nahin aatey rahe thay?” woh kahenge “haan” jahannum ke ahalkar bolenge: “phir tum hi dua karo, aur kafiron ki dua akarat (vain) hi jaane wali hai.”

51. Yaqeen jaano ke hum apne Rasoolon aur iman laane walon ki madad is duniya ki zindagi mein bhi laaziman karte hain, aur us roz bhi karenge jab gawah khade honge.

52. Jab zalimon ko unki maazrat(excuses) kuch bhi faiyda na degi aur unpar laanat padegi aur badhtareen thikana unke hissay mein aayega.

53. Aakhir dekhlo ke Moosa ki humne rehnumayi ki aur bani Israel ko us kitaab ka waris bana diya.

54. Jo aqal o danish rakhne walon ke liye hidayat o naseehat hai.

55. Pas (aey Nabi), sabr karo, Allah ka waada bar-haqq hai, apne kasoor ki maafi chaho aur subah o shaam apne Rubb ki hamd ke saath uski tasbeeh karte raho.

56. Haqeeqat yeh hai ke jo log kisi sanad o hujjat ke bagair jo unke paas aayi ho, Allah ki aayaat mein jhagade kar rahe hain unke dilon mein kibr (ghamand /pride) bhara hua hai. Magar woh us badayi ko pahunchne wale nahin hain jiska woh ghamand rakhte hain. Bas Allah ki panaah maang lo, woh sabkuch dekhta aur sunta hai.

57. Aasmano aur zameen ka paida karna Insano ko paida karne ki ba-nisbat yaqeenan zyada bada kaam hai, magar aksar log jaante nahin hai.

58. Aur yeh nahin ho sakta ke andha (blind) aur beena (dekhne wala) yaksan ho jaaye, aur imandaar o saleh aur badhkaar barabar thehrein. Magar tum log kam hi kuch samajhte ho.

59. Yaqeenan qayamat ki ghadi aane wali hai. Uske aane mein koi shakk nahin, magar aksar log nahin maante.

60. Tumhara Rubb kehta hai “ Mujhe pukaro, main tumhari duaein qabool karunga. Jo log ghamand mein aa kar meri ibaadat se mooh moadte hain, zaroor woh zaleel o khwar hokar jahannum mein daakhil honge”

61. Woh Allah hi to hai jisne tumhare liye raat banayi taa-ke tum usmein sukoon haasil karo, Aur din ko roshan kiya. Haqeeqat yeh hai ke Allah logon par bada fazl farmane wala hai magar aksar log shukar ada nahin karte.

62. Wahi Allah (jisne tumhare liye yeh kuch kiya hai) tumhara Rubb hai. Har cheez ka khaliq uske siwa koi mabood nahin. Phir tum kidhar se behkaye jaa rahe ho?

63. Isi tarah woh sab log behkaye jaate rahe hain jo Allah ki aayaat ka inkar karte thay.

64. Woh Allah hi to hai jisne tumhare liye zameen ko jaaye qaraar (dwelling place) banaya aur upar Aasmaan ka gumbadh (canopy) bana diya, jisne tumhari surat banayi aur badi hi umdah banayi. Jisne tumhein paakeeza cheezon ka rizq diya. Wahi Allah (jiske yeh kaam hai) tumhara Rubb hai, Bay hisaab barakaton wala hai woh qayanaat ka Rubb.

65. Wahi zinda hai uske siwa koi mabood nahin.Usi ko tum pukaro apne deen ko uske liye khaalis karke. Saari tareef Allah Rabbul aalameen hi ke liye hai.

66. (Aey Nabi), In logon se kehdo ke “mujhe to un hastiyon ki ibaadat se manah kardiya gaya hai jinhein tum Allah ko chodh kar pukarte ho. (main yeh kaam kaise kar sakta hoon) jabke mere paas mere Rubb ki taraf se bayyinat aa chuki hain. Mujhe hukm diya hai ke main Rubb ul aalameen ke aage sar-e-tasleem kham kardun.”

67. Wahi to hai jisne tumko mitti se paida kiya, phir nutfe se, phir khoon ke lothdey se, phir woh tumhein bachhe ki shakal mein nilkalta hai, phir tumhein badhata hai taa-ke tum apni poori taaqat ko pahunch jao, phir aur badhata hai taa-ke tum budhape ko pahuncho aur tum mein se koi pehle hi wapas bula liya jata hai. Yeh sab kuch is liye kiya jata hai taa-ke tum apne muqarrar waqt tak pahunch jao, Aur is liye ke tum haqeeqat ko samjho.

68. Wahi hai zindagi denay wala, aur wahi maut denay wala hai. Woh jis baat ka bhi faisla karta hai, bas ek hukm deta hai ke woh ho jaaye aur woh jo jaati hai.

69. Tumne dekha un logon ko jo Allah ki aayaat mein jhagade karte hain, kahan se woh phiraye jaa rahe hain?

70. Yeh log jo is kitaab ko aur un saari kitaabon ko jhutlate hain jo humne apne Rasoolon ke saath bheji thi anqareeb unhein maaloom ho jayega.

71. Jab tauq (fetters) unki gardano mein honge, aur zanjeerein, jinse pakad kar

72. Woh khaulte huey pani ki taraf kheenche jayenge aur phir dozakh ki aag mein jhonk diye jayenge.

73. Phir unse pucha jayega ke ab kahan hai Allah ke siwa woh dusre khuda jinko tum shareek karte thay?

74. Woh jawab denge “khoye gaye woh humse, balke hum is se pehle kisi cheez ko na pukarte thay”. Is tarah Allah kafiron ka gumraah hona mutahaqqiq (to stumble in error) kardega.

75. Unse kaha jayega “yeh tumhara anjaam is liye hua hai ke tum zameen mein gair haqq par magan thay aur phir uspar itratay thay.

76. Ab jao, Jahannum ke darwazon mein daakhil ho jao hamesha tumko wahin rehna hai, bahut hi bura thikana hai mutakabbirin (proud) ka”

77. Pas aey Nabi, sabr karo Allah ka waada barhaqq hai. Ab khwa hum tumhare saamne hi inko un buray nataij ka koi hissa dikha dein jinse hum inhein dara rahe hain, ya (us se pehle) tumhein duniya se utha lein, palat kar aana to inhein hamari hi taraf hai.

78. Aey Nabi, tumse pehle hum bahut se Rasool bhej chuke hain jinmein se baaz ke haalat humne tumko bataye hain aur baaz ke nahin bataye. Kisi Rasool ki bhi yeh taaqat na thi ke Allah ke izan ke bagair khud koi nishani le aata. Phir jab Allah ka hukm aa gaya to haqq ke mutabiq faisla kardiya gaya aur us waqt galat-kaar log khasare (loss) mein padh gaye.

79. Allah hi ne tumhare liye yeh maweshi jaanwar banaye hain taa-ke in mein se kisi par tum sawar ho aur kisi ka gosht khao.

80. Inke andar tumhare liye aur bhi bahut se munafe (faidey) hain, woh is kaam bhi aate hain ke tumhare dilon mein jahan jaane ki haajat ho wahan tum unpar pahunch sako, unpar bhi aur kashtiyon par bhi tum sawar kiye jaate ho.

81. Allah apni yeh nishaniyan tumhein dikha raha hai, Aakhir tum uski kin kin nishaniyon ka inkar karoge?

82. Phir kya yeh zameen mein chale phire nahin hain ke inko un logon ka anjaam nazar aata jo inse pehle guzar chuke hain? Woh inse taadaad mein zyada thay, inse badhkar taaqatwar thay, aur zameen mein inse zyada shaandaar aasaar chodh gaye hain.Jo kuch kamayi unhon ne ki thi aakhir woh unke kisi kaam aayi?

83. Jab unke Rasool unke paas bayyinaat (clear proofs) lekar aaye to woh usi ilm mein magan rahe jo unke apne paas tha, aur phir usi cheez ke phair mein aa gaye jiska woh mazaaq udate thay.

84. Jab unhon ne hamara azaab dekh liya to pukar utthey ke humne maan liya Allah wahdahu laa shareek ko aur hum inkar karte hain un sab maaboodon ka jinhein hum shareek thehrate thay.

85. Magar hamara azaab dekh lene ke baad unka iman unke liye kuch bhi naafeh (faydamand) na ho sakta tha, kyunke yahi Allah ka muqarrar zaabta hai jo hamesha uske bandon mein jaari raha hai, aur us waqt kafir log khasare (nuksan) mein padh gaye.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments