📖 Surah 39 Az-Zumar Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- تَنْزِيلُ الْكِتَابِ مِنَ اللَّهِ الْعَزِيزِ الْحَكِيمِ
- إِنَّا أَنْزَلْنَا إِلَيْكَ الْكِتَابَ بِالْحَقِّ فَاعْبُدِ اللَّهَ مُخْلِصًا لَهُ الدِّينَ
- أَلَا لِلَّهِ الدِّينُ الْخَالِصُ ۚ وَالَّذِينَ اتَّخَذُوا مِنْ دُونِهِ أَوْلِيَاءَ مَا نَعْبُدُهُمْ إِلَّا لِيُقَرِّبُونَا إِلَى اللَّهِ زُلْفَىٰ إِنَّ اللَّهَ يَحْكُمُ بَيْنَهُمْ فِي مَا هُمْ فِيهِ يَخْتَلِفُونَ ۗ إِنَّ اللَّهَ لَا يَهْدِي مَنْ هُوَ كَاذِبٌ كَفَّارٌ
- لَوْ أَرَادَ اللَّهُ أَنْ يَتَّخِذَ وَلَدًا لَاصْطَفَىٰ مِمَّا يَخْلُقُ مَا يَشَاءُ ۚ سُبْحَانَهُ ۖ هُوَ اللَّهُ الْوَاحِدُ الْقَهَّارُ
- خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ بِالْحَقِّ ۖ يُكَوِّرُ اللَّيْلَ عَلَى النَّهَارِ وَيُكَوِّرُ النَّهَارَ عَلَى اللَّيْلِ ۖ وَسَخَّرَ الشَّمْسَ وَالْقَمَرَ ۖ كُلٌّ يَجْرِي لِأَجَلٍ مُسَمًّى ۗ أَلَا هُوَ الْعَزِيزُ الْغَفَّارُ
- خَلَقَكُمْ مِنْ نَفْسٍ وَاحِدَةٍ ثُمَّ جَعَلَ مِنْهَا زَوْجَهَا وَأَنْزَلَ لَكُمْ مِنَ الْأَنْعَامِ ثَمَانِيَةَ أَزْوَاجٍ ۚ يَخْلُقُكُمْ فِي بُطُونِ أُمَّهَاتِكُمْ خَلْقًا مِنْ بَعْدِ خَلْقٍ فِي ظُلُمَاتٍ ثَلَاثٍ ۚ ذَٰلِكُمُ اللَّهُ رَبُّكُمْ لَهُ الْمُلْكُ ۖ لَا إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ ۖ فَأَنَّىٰ تُصْرَفُونَ
- إِنْ تَكْفُرُوا فَإِنَّ اللَّهَ غَنِيٌّ عَنْكُمْ ۖ وَلَا يَرْضَىٰ لِعِبَادِهِ الْكُفْرَ ۖ وَإِنْ تَشْكُرُوا يَرْضَهُ لَكُمْ ۗ وَلَا تَزِرُ وَازِرَةٌ وِزْرَ أُخْرَىٰ ۗ ثُمَّ إِلَىٰ رَبِّكُمْ مَرْجِعُكُمْ فَيُنَبِّئُكُمْ بِمَا كُنْتُمْ تَعْمَلُونَ ۚ إِنَّهُ عَلِيمٌ بِذَاتِ الصُّدُورِ
- وَإِذَا مَسَّ الْإِنْسَانَ ضُرٌّ دَعَا رَبَّهُ مُنِيبًا إِلَيْهِ ثُمَّ إِذَا خَوَّلَهُ نِعْمَةً مِنْهُ نَسِيَ مَا كَانَ يَدْعُو إِلَيْهِ مِنْ قَبْلُ وَجَعَلَ لِلَّهِ أَنْدَادًا لِيُضِلَّ عَنْ سَبِيلِهِ ۚ قُلْ تَمَتَّعْ بِكُفْرِكَ قَلِيلًا ۖ إِنَّكَ مِنْ أَصْحَابِ النَّارِ
- أَمَّنْ هُوَ قَانِتٌ آنَاءَ اللَّيْلِ سَاجِدًا وَقَائِمًا يَحْذَرُ الْآخِرَةَ وَيَرْجُو رَحْمَةَ رَبِّهِ ۗ قُلْ هَلْ يَسْتَوِي الَّذِينَ يَعْلَمُونَ وَالَّذِينَ لَا يَعْلَمُونَ ۗ إِنَّمَا يَتَذَكَّرُ أُولُو الْأَلْبَابِ
- قُلْ يَا عِبَادِ الَّذِينَ آمَنُوا اتَّقُوا رَبَّكُمْ ۚ لِلَّذِينَ أَحْسَنُوا فِي هَٰذِهِ الدُّنْيَا حَسَنَةٌ ۗ وَأَرْضُ اللَّهِ وَاسِعَةٌ ۗ إِنَّمَا يُوَفَّى الصَّابِرُونَ أَجْرَهُمْ بِغَيْرِ حِسَابٍ
- قُلْ إِنِّي أُمِرْتُ أَنْ أَعْبُدَ اللَّهَ مُخْلِصًا لَهُ الدِّينَ
- وَأُمِرْتُ لِأَنْ أَكُونَ أَوَّلَ الْمُسْلِمِينَ
- قُلْ إِنِّي أَخَافُ إِنْ عَصَيْتُ رَبِّي عَذَابَ يَوْمٍ عَظِيمٍ
- قُلِ اللَّهَ أَعْبُدُ مُخْلِصًا لَهُ دِينِي
- فَاعْبُدُوا مَا شِئْتُمْ مِنْ دُونِهِ ۗ قُلْ إِنَّ الْخَاسِرِينَ الَّذِينَ خَسِرُوا أَنْفُسَهُمْ وَأَهْلِيهِمْ يَوْمَ الْقِيَامَةِ ۗ أَلَا ذَٰلِكَ هُوَ الْخُسْرَانُ الْمُبِينُ
- لَهُمْ مِنْ فَوْقِهِمْ ظُلَلٌ مِنَ النَّارِ وَمِنْ تَحْتِهِمْ ظُلَلٌ ۚ ذَٰلِكَ يُخَوِّفُ اللَّهُ بِهِ عِبَادَهُ ۚ يَا عِبَادِ فَاتَّقُونِ
- وَالَّذِينَ اجْتَنَبُوا الطَّاغُوتَ أَنْ يَعْبُدُوهَا وَأَنَابُوا إِلَى اللَّهِ لَهُمُ الْبُشْرَىٰ ۚ فَبَشِّرْ عِبَادِ
- الَّذِينَ يَسْتَمِعُونَ الْقَوْلَ فَيَتَّبِعُونَ أَحْسَنَهُ ۚ أُولَٰئِكَ الَّذِينَ هَدَاهُمُ اللَّهُ ۖ وَأُولَٰئِكَ هُمْ أُولُو الْأَلْبَابِ
- أَفَمَنْ حَقَّ عَلَيْهِ كَلِمَةُ الْعَذَابِ أَفَأَنْتَ تُنْقِذُ مَنْ فِي النَّارِ
- لَٰكِنِ الَّذِينَ اتَّقَوْا رَبَّهُمْ لَهُمْ غُرَفٌ مِنْ فَوْقِهَا غُرَفٌ مَبْنِيَّةٌ تَجْرِي مِنْ تَحْتِهَا الْأَنْهَارُ ۖ وَعْدَ اللَّهِ ۖ لَا يُخْلِفُ اللَّهُ الْمِيعَادَ
- أَلَمْ تَرَ أَنَّ اللَّهَ أَنْزَلَ مِنَ السَّمَاءِ مَاءً فَسَلَكَهُ يَنَابِيعَ فِي الْأَرْضِ ثُمَّ يُخْرِجُ بِهِ زَرْعًا مُخْتَلِفًا أَلْوَانُهُ ثُمَّ يَهِيجُ فَتَرَاهُ مُصْفَرًّا ثُمَّ يَجْعَلُهُ حُطَامًا ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَذِكْرَىٰ لِأُولِي الْأَلْبَابِ
- أَفَمَنْ شَرَحَ اللَّهُ صَدْرَهُ لِلْإِسْلَامِ فَهُوَ عَلَىٰ نُورٍ مِنْ رَبِّهِ ۚ فَوَيْلٌ لِلْقَاسِيَةِ قُلُوبُهُمْ مِنْ ذِكْرِ اللَّهِ ۚ أُولَٰئِكَ فِي ضَلَالٍ مُبِينٍ
- اللَّهُ نَزَّلَ أَحْسَنَ الْحَدِيثِ كِتَابًا مُتَشَابِهًا مَثَانِيَ تَقْشَعِرُّ مِنْهُ جُلُودُ الَّذِينَ يَخْشَوْنَ رَبَّهُمْ ثُمَّ تَلِينُ جُلُودُهُمْ وَقُلُوبُهُمْ إِلَىٰ ذِكْرِ اللَّهِ ۚ ذَٰلِكَ هُدَى اللَّهِ يَهْدِي بِهِ مَنْ يَشَاءُ ۚ وَمَنْ يُضْلِلِ اللَّهُ فَمَا لَهُ مِنْ هَادٍ
- أَفَمَنْ يَتَّقِي بِوَجْهِهِ سُوءَ الْعَذَابِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ ۚ وَقِيلَ لِلظَّالِمِينَ ذُوقُوا مَا كُنْتُمْ تَكْسِبُونَ
- كَذَّبَ الَّذِينَ مِنْ قَبْلِهِمْ فَأَتَاهُمُ الْعَذَابُ مِنْ حَيْثُ لَا يَشْعُرُونَ
- فَأَذَاقَهُمُ اللَّهُ الْخِزْيَ فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا ۖ وَلَعَذَابُ الْآخِرَةِ أَكْبَرُ ۚ لَوْ كَانُوا يَعْلَمُونَ
- وَلَقَدْ ضَرَبْنَا لِلنَّاسِ فِي هَٰذَا الْقُرْآنِ مِنْ كُلِّ مَثَلٍ لَعَلَّهُمْ يَتَذَكَّرُونَ
- قُرْآنًا عَرَبِيًّا غَيْرَ ذِي عِوَجٍ لَعَلَّهُمْ يَتَّقُونَ
- ضَرَبَ اللَّهُ مَثَلًا رَجُلًا فِيهِ شُرَكَاءُ مُتَشَاكِسُونَ وَرَجُلًا سَلَمًا لِرَجُلٍ هَلْ يَسْتَوِيَانِ مَثَلًا ۚ الْحَمْدُ لِلَّهِ ۚ بَلْ أَكْثَرُهُمْ لَا يَعْلَمُونَ
- إِنَّكَ مَيِّتٌ وَإِنَّهُمْ مَيِّتُونَ
- ثُمَّ إِنَّكُمْ يَوْمَ الْقِيَامَةِ عِنْدَ رَبِّكُمْ تَخْتَصِمُونَ
- فَمَنْ أَظْلَمُ مِمَّنْ كَذَبَ عَلَى اللَّهِ وَكَذَّبَ بِالصِّدْقِ إِذْ جَاءَهُ ۚ أَلَيْسَ فِي جَهَنَّمَ مَثْوًى لِلْكَافِرِينَ
- وَالَّذِي جَاءَ بِالصِّدْقِ وَصَدَّقَ بِهِ ۙ أُولَٰئِكَ هُمُ الْمُتَّقُونَ
- لَهُمْ مَا يَشَاءُونَ عِنْدَ رَبِّهِمْ ۚ ذَٰلِكَ جَزَاءُ الْمُحْسِنِينَ
- لِيُكَفِّرَ اللَّهُ عَنْهُمْ أَسْوَأَ الَّذِي عَمِلُوا وَيَجْزِيَهُمْ أَجْرَهُمْ بِأَحْسَنِ الَّذِي كَانُوا يَعْمَلُونَ
- أَلَيْسَ اللَّهُ بِكَافٍ عَبْدَهُ ۖ وَيُخَوِّفُونَكَ بِالَّذِينَ مِنْ دُونِهِ ۚ وَمَنْ يُضْلِلِ اللَّهُ فَمَا لَهُ مِنْ هَادٍ
- وَمَنْ يَهْدِ اللَّهُ فَمَا لَهُ مِنْ مُضِلٍّ ۗ أَلَيْسَ اللَّهُ بِعَزِيزٍ ذِي انْتِقَامٍ
- وَلَئِنْ سَأَلْتَهُمْ مَنْ خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ لَيَقُولُنَّ اللَّهُ ۚ قُلْ أَفَرَأَيْتُمْ مَا تَدْعُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ إِنْ أَرَادَنِيَ اللَّهُ بِضُرٍّ هَلْ هُنَّ كَاشِفَاتُ ضُرِّهِ أَوْ أَرَادَنِي بِرَحْمَةٍ هَلْ هُنَّ مُمْسِكَاتُ رَحْمَتِهِ ۚ قُلْ حَسْبِيَ اللَّهُ ۖ عَلَيْهِ يَتَوَكَّلُ الْمُتَوَكِّلُونَ
- قُلْ يَا قَوْمِ اعْمَلُوا عَلَىٰ مَكَانَتِكُمْ إِنِّي عَامِلٌ ۖ فَسَوْفَ تَعْلَمُونَ
- مَنْ يَأْتِيهِ عَذَابٌ يُخْزِيهِ وَيَحِلُّ عَلَيْهِ عَذَابٌ مُقِيمٌ
- إِنَّا أَنْزَلْنَا عَلَيْكَ الْكِتَابَ لِلنَّاسِ بِالْحَقِّ ۖ فَمَنِ اهْتَدَىٰ فَلِنَفْسِهِ ۖ وَمَنْ ضَلَّ فَإِنَّمَا يَضِلُّ عَلَيْهَا ۖ وَمَا أَنْتَ عَلَيْهِمْ بِوَكِيلٍ
- اللَّهُ يَتَوَفَّى الْأَنْفُسَ حِينَ مَوْتِهَا وَالَّتِي لَمْ تَمُتْ فِي مَنَامِهَا ۖ فَيُمْسِكُ الَّتِي قَضَىٰ عَلَيْهَا الْمَوْتَ وَيُرْسِلُ الْأُخْرَىٰ إِلَىٰ أَجَلٍ مُسَمًّى ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَاتٍ لِقَوْمٍ يَتَفَكَّرُونَ
- أَمِ اتَّخَذُوا مِنْ دُونِ اللَّهِ شُفَعَاءَ ۚ قُلْ أَوَلَوْ كَانُوا لَا يَمْلِكُونَ شَيْئًا وَلَا يَعْقِلُونَ
- قُلْ لِلَّهِ الشَّفَاعَةُ جَمِيعًا ۖ لَهُ مُلْكُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۖ ثُمَّ إِلَيْهِ تُرْجَعُونَ
- وَإِذَا ذُكِرَ اللَّهُ وَحْدَهُ اشْمَأَزَّتْ قُلُوبُ الَّذِينَ لَا يُؤْمِنُونَ بِالْآخِرَةِ ۖ وَإِذَا ذُكِرَ الَّذِينَ مِنْ دُونِهِ إِذَا هُمْ يَسْتَبْشِرُونَ
- قُلِ اللَّهُمَّ فَاطِرَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ عَالِمَ الْغَيْبِ وَالشَّهَادَةِ أَنْتَ تَحْكُمُ بَيْنَ عِبَادِكَ فِي مَا كَانُوا فِيهِ يَخْتَلِفُونَ
- وَلَوْ أَنَّ لِلَّذِينَ ظَلَمُوا مَا فِي الْأَرْضِ جَمِيعًا وَمِثْلَهُ مَعَهُ لَافْتَدَوْا بِهِ مِنْ سُوءِ الْعَذَابِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ ۚ وَبَدَا لَهُمْ مِنَ اللَّهِ مَا لَمْ يَكُونُوا يَحْتَسِبُونَ
- وَبَدَا لَهُمْ سَيِّئَاتُ مَا كَسَبُوا وَحَاقَ بِهِمْ مَا كَانُوا بِهِ يَسْتَهْزِئُونَ
- فَإِذَا مَسَّ الْإِنْسَانَ ضُرٌّ دَعَانَا ثُمَّ إِذَا خَوَّلْنَاهُ نِعْمَةً مِنَّا قَالَ إِنَّمَا أُوتِيتُهُ عَلَىٰ عِلْمٍ ۚ بَلْ هِيَ فِتْنَةٌ وَلَٰكِنَّ أَكْثَرَهُمْ لَا يَعْلَمُونَ
- قَدْ قَالَهَا الَّذِينَ مِنْ قَبْلِهِمْ فَمَا أَغْنَىٰ عَنْهُمْ مَا كَانُوا يَكْسِبُونَ
- فَأَصَابَهُمْ سَيِّئَاتُ مَا كَسَبُوا ۚ وَالَّذِينَ ظَلَمُوا مِنْ هَٰؤُلَاءِ سَيُصِيبُهُمْ سَيِّئَاتُ مَا كَسَبُوا وَمَا هُمْ بِمُعْجِزِينَ
- أَوَلَمْ يَعْلَمُوا أَنَّ اللَّهَ يَبْسُطُ الرِّزْقَ لِمَنْ يَشَاءُ وَيَقْدِرُ ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَاتٍ لِقَوْمٍ يُؤْمِنُونَ
- قُلْ يَا عِبَادِيَ الَّذِينَ أَسْرَفُوا عَلَىٰ أَنْفُسِهِمْ لَا تَقْنَطُوا مِنْ رَحْمَةِ اللَّهِ ۚ إِنَّ اللَّهَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ جَمِيعًا ۚ إِنَّهُ هُوَ الْغَفُورُ الرَّحِيمُ
- وَأَنِيبُوا إِلَىٰ رَبِّكُمْ وَأَسْلِمُوا لَهُ مِنْ قَبْلِ أَنْ يَأْتِيَكُمُ الْعَذَابُ ثُمَّ لَا تُنْصَرُونَ
- وَاتَّبِعُوا أَحْسَنَ مَا أُنْزِلَ إِلَيْكُمْ مِنْ رَبِّكُمْ مِنْ قَبْلِ أَنْ يَأْتِيَكُمُ الْعَذَابُ بَغْتَةً وَأَنْتُمْ لَا تَشْعُرُونَ
- أَنْ تَقُولَ نَفْسٌ يَا حَسْرَتَا عَلَىٰ مَا فَرَّطْتُ فِي جَنْبِ اللَّهِ وَإِنْ كُنْتُ لَمِنَ السَّاخِرِينَ
- أَوْ تَقُولَ لَوْ أَنَّ اللَّهَ هَدَانِي لَكُنْتُ مِنَ الْمُتَّقِينَ
- أَوْ تَقُولَ حِينَ تَرَى الْعَذَابَ لَوْ أَنَّ لِي كَرَّةً فَأَكُونَ مِنَ الْمُحْسِنِينَ
- بَلَىٰ قَدْ جَاءَتْكَ آيَاتِي فَكَذَّبْتَ بِهَا وَاسْتَكْبَرْتَ وَكُنْتَ مِنَ الْكَافِرِينَ
- وَيَوْمَ الْقِيَامَةِ تَرَى الَّذِينَ كَذَبُوا عَلَى اللَّهِ وُجُوهُهُمْ مُسْوَدَّةٌ ۚ أَلَيْسَ فِي جَهَنَّمَ مَثْوًى لِلْمُتَكَبِّرِينَ
- وَيُنَجِّي اللَّهُ الَّذِينَ اتَّقَوْا بِمَفَازَتِهِمْ لَا يَمَسُّهُمُ السُّوءُ وَلَا هُمْ يَحْزَنُونَ
- اللَّهُ خَالِقُ كُلِّ شَيْءٍ ۖ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ وَكِيلٌ
- لَهُ مَقَالِيدُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۗ وَالَّذِينَ كَفَرُوا بِآيَاتِ اللَّهِ أُولَٰئِكَ هُمُ الْخَاسِرُونَ
- قُلْ أَفَغَيْرَ اللَّهِ تَأْمُرُونِّي أَعْبُدُ أَيُّهَا الْجَاهِلُونَ
- وَلَقَدْ أُوحِيَ إِلَيْكَ وَإِلَى الَّذِينَ مِنْ قَبْلِكَ لَئِنْ أَشْرَكْتَ لَيَحْبَطَنَّ عَمَلُكَ وَلَتَكُونَنَّ مِنَ الْخَاسِرِينَ
- بَلِ اللَّهَ فَاعْبُدْ وَكُنْ مِنَ الشَّاكِرِينَ
- وَمَا قَدَرُوا اللَّهَ حَقَّ قَدْرِهِ وَالْأَرْضُ جَمِيعًا قَبْضَتُهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ وَالسَّمَاوَاتُ مَطْوِيَّاتٌ بِيَمِينِهِ ۚ سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ عَمَّا يُشْرِكُونَ
- وَنُفِخَ فِي الصُّورِ فَصَعِقَ مَنْ فِي السَّمَاوَاتِ وَمَنْ فِي الْأَرْضِ إِلَّا مَنْ شَاءَ اللَّهُ ۖ ثُمَّ نُفِخَ فِيهِ أُخْرَىٰ فَإِذَا هُمْ قِيَامٌ يَنْظُرُونَ
- وَأَشْرَقَتِ الْأَرْضُ بِنُورِ رَبِّهَا وَوُضِعَ الْكِتَابُ وَجِيءَ بِالنَّبِيِّينَ وَالشُّهَدَاءِ وَقُضِيَ بَيْنَهُمْ بِالْحَقِّ وَهُمْ لَا يُظْلَمُونَ
- وَوُفِّيَتْ كُلُّ نَفْسٍ مَا عَمِلَتْ وَهُوَ أَعْلَمُ بِمَا يَفْعَلُونَ
- وَسِيقَ الَّذِينَ كَفَرُوا إِلَىٰ جَهَنَّمَ زُمَرًا ۖ حَتَّىٰ إِذَا جَاءُوهَا فُتِحَتْ أَبْوَابُهَا وَقَالَ لَهُمْ خَزَنَتُهَا أَلَمْ يَأْتِكُمْ رُسُلٌ مِنْكُمْ يَتْلُونَ عَلَيْكُمْ آيَاتِ رَبِّكُمْ وَيُنْذِرُونَكُمْ لِقَاءَ يَوْمِكُمْ هَٰذَا ۚ قَالُوا بَلَىٰ وَلَٰكِنْ حَقَّتْ كَلِمَةُ الْعَذَابِ عَلَى الْكَافِرِينَ
- قِيلَ ادْخُلُوا أَبْوَابَ جَهَنَّمَ خَالِدِينَ فِيهَا ۖ فَبِئْسَ مَثْوَى الْمُتَكَبِّرِينَ
- وَسِيقَ الَّذِينَ اتَّقَوْا رَبَّهُمْ إِلَى الْجَنَّةِ زُمَرًا ۖ حَتَّىٰ إِذَا جَاءُوهَا وَفُتِحَتْ أَبْوَابُهَا وَقَالَ لَهُمْ خَزَنَتُهَا سَلَامٌ عَلَيْكُمْ طِبْتُمْ فَادْخُلُوهَا خَالِدِينَ
- وَقَالُوا الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي صَدَقَنَا وَعْدَهُ وَأَوْرَثَنَا الْأَرْضَ نَتَبَوَّأُ مِنَ الْجَنَّةِ حَيْثُ نَشَاءُ ۖ فَنِعْمَ أَجْرُ الْعَامِلِينَ
- وَتَرَى الْمَلَائِكَةَ حَافِّينَ مِنْ حَوْلِ الْعَرْشِ يُسَبِّحُونَ بِحَمْدِ رَبِّهِمْ ۖ وَقُضِيَ بَيْنَهُمْ بِالْحَقِّ وَقِيلَ الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Tanzeelul Kitaabi minal laahil 'Azeezil Hakeem
- Innaaa anzalnaaa ilaikal Kitaaba bilhaqqi fa'budil laaha mukhlisal lahud deen
- Alaa lillaahid deenul khaalis; wallazeenat takhazoo min dooniheee awliyaaa'a maa na'buduhum illaa liyuqar riboonaaa ilal laahi zulfaa; innal laaha yahkumu baina hum fee maa hum feehi yakhtalifoon; innal laaha laa yahdee man huwa kaazibun kaffaar
- Law araadal laahu aiyattakhiza waladal lastafaa mimmaa yakhluqu maa yashaaa'; Subhaanahoo Huwal laahul Waahidul Qahhaar
- Khalaqas samaawaati wal arda bilhaqq; yukawwirul laila 'alan nahaari wa yukawwirun nahaara 'alaal laili wa sakhkharash shamsa walqamara kulluny yajree li ajalim musammaa; alaa Huwal 'Azeezul Ghaffaar
- Khalaqakum min nafsinw waahidatin summa ja'ala minhaa zawjahaa wa anzala lakum minal-an'aami samaani yata azwaaj; yakhlu qukum fee butooni ummahaatikum khalqam mim ba'di khalqin fee zulumaatin salaas; zaalikumul laahu Rabbukum lahul mulk; laaa ilaaha illaa Huwa fa annaa tusrafoon
- In takfuroo fa innal laaha ghaniyyun 'ankum; wa laa yardaa li'ibaadihil kufra wa in tashkuroo yardahu lakum; wa laa taziru waaziratunw wizra ukhraa; summa ilaa Rabikum marji'ukum fa-yunabbi'ukum bimaa kuntum ta'maloon; innahoo 'aleemum bizaatissudoor
- Wa izaa massal insaana durrun da'aa Rabbahoo muneeban ilaihi summa izaa khawwalahoo ni'matam minhu nasiya maa kaana yad'ooo ilaihi min qablu wa ja'ala lillaahi andaadal liyudilla 'ansabeelih; qul tamatta' bikufrika qaleelan innaka min Ashaabin Naar;
- Amman huwa qaanitun aanaaa'al laili saajidanw wa qaaa'imai yahzarul Aakhirata wa yarjoo rahmata Rabbih; qul hal yastawil lazeena ya'lamoona wallazeena laa ya'lamoon; innamaa yatazakkaru ulul albaab (section 1)
- Qul yaa 'ibaadil lazeena aamanut taqoo Rabbakum; lillazeena ahsanoo fee haazihid dunyaa hasanah; wa ardul laahi waasi'ah; innamaa yuwaffas saabiroona ajrahum bighayri hisab
- Qul inneee umirtu an a'budal laaha mukhlisal lahud deen
- Wa umirtu li an akoona awwalal muslimeen
- Qul inneee akhaafu in 'asaitu Rabbee 'azaaba Yawmin 'azeem
- Qulil laaha a'budu mukhlisal lahoo deenee
- Fa'budoo maa shi'tum min doonih; qul innal khaasireenal lazeena khasirooo anfusahum wa ahleehim yawmal qiyaamah; alaa zaalika huwal khusraanul mubeen
- Lahum min fawqihim zulalum minan Naari wa min tahtihim zulal; zaalika yukhaw wiful laahu bihee 'ibaadah; yaa 'ibaadi fattaqoon
- Wallazeenaj tanabut Taaghoota ai ya'budoohaa wa anaabooo ilal laahi lahumul bushraa; fabashshir 'ibaad
- Allazeena yastami'oonal qawla fayattabi'oona ahsanah; ulaaa'ikal lazeena hadaahumul laahu wa ulaaa'ika hum ulul albaab
- Afaman haqqa 'alaihi kalimatul 'azaab; afa anta tunqizu man fin Naar
- Laakinil lazeenat taqaw Rabbahum lahum ghurafum min fawqihaa ghurafum mabniyyatun tajree min tahtihal anhaar; wa'dal laah; laa yukhliful laahul mee'aad
- Alam tara annal laaha anzala minas samaaa'i maaa'an fasalakahoo yanaabee'a fil ardi summa yukhriju bihee zar'am mukhtalifan alwaanuhoo summa yaheeju fatarahu musfarran summa yaj'aluhoo hutaamaa; inna fee zaalika lazikraa li ulil albaab (section 2)
- Afaman sharahal laahu sadrahoo lil Islaami fahuwa 'alaa noorim mir Rabbih; fa wailul lilqaasiyati quloobuhum min zikril laah; ulaaa'ika fee dalaalim mubeen
- Allahu nazzala ahsanal hadeesi Kitaabam mutashaa biham masaaniy taqsha'irru minhu juloodul lazeena yakhshawna Rabbahum summa taleenu julooduhum wa quloo buhum ilaa zikril laah; zaalika hudal laahi yahdee bihee mai yashaaa'; wa mai yudlilil laahu famaa lahoo min haad
- Afamai yattaqee biwaj hihee sooo'al 'azaabi Yawmal Qiyaamah; wa qeela lizzaali meena zooqoo maa kuntum taksiboon
- Kazzabal lazeena min qablihim fa ataahumul 'azaabu min haisu laa yash'uroon
- Fa azaaqahumul laahul khizya fil hayaatid dunyaa wa la'azaabul Aakhirati akbar; law kaanoo ya'lamoon
- Wa laqad darabnaa linnaasi fee haazal Qur-aani min kulli masalil la'allahum yatazakkaroon
- Qur-aanan 'Arabiyyan ghaira zee 'iwajil la'allahum yattaqoon
- Darabal laahu masalar rajulan feehi shurakaaa'u mutashaakisoona wa rajulan salamal lirajulin hal yastawi yaani masalaa; alhamdu lillaah; bal aksaruhum laa ya'lamoon
- Innaka maiyitunw wa inna hum maiyitoon
- Summa innakum Yawmal Qiyaamati 'inda Rabbikum takhtasimoon (section 3) (End Juz 23)
- Faman azlamu mimman kazaba 'alal laahi wa kazzaba bissidqi iz jaaa'ah; alaisa fee Jahannama maswal lilkaafireen
- Wallazee jaaa'a bissidqi wa saddaqa biheee ulaaa'ika humul muttaqoon
- Lahum maa yashaaa'oona 'inda Rabbihim; zaalika jazaaa'ul muhsineen
- Liyukaffiral laahu 'anhum aswa allazee 'amiloo wa yajziyahum ajrahum bi ahsanil lazee kaano ya'maloon
- Alaisal laahu bikaafin 'abdahoo wa yukhawwi foonaka billazeena min doonih; wa mai yudlilil laahu famaa lahoo min haad
- Wa mai yahdil laahu famaa lahoo min mudil; alai sal laahu bi'azeezin zin tiqaam
- Wa la'in sa altahum man khalaqas samaawaati wal arda la yaqoolunal laah; qul afara'aitum maa tad'oona min doonil laahi in araadaniyal laahu bidurrin hal hunna kaashi faatu durriheee aw araadanee birahmatin hal hunna mumsikaatu rahmatih; qul hasbiyal laahu 'alaihi yatawakkalul mutawakkiloon
- Qul yaa qawmi'maloo 'alaa makaanatikum innee 'aamilun fasawfa ta'lamoon
- Mai yaateehi 'azaabuny yukhzeehi wa yahillu 'alaihi 'azaabum muqeem
- Innaa anzalnaa 'alaikal Kitaaba linnaasi bilhaqq; famanih tadaa falinafsihee wa man dalla fa innamaa yadillu 'alaihaa wa maaa anta 'alaihim biwakeel (section 4)
- Allaahu yatawaffal anfusa heena mawtihaa wallatee lam tamut fee manaamihaa fa yumsikul latee qadaa 'alaihal mawta wa yursilul ukhraaa ilaaa ajalim musammaa; inna fee zaalika la Aayaatil liqawmai yatafakkarroon
- Amit takhazoo min doonillaahi shufa'aaa'; qul awalaw kaanoo laa yamlikoona shai'aw wa laa ya'qiloon
- Qul lillaahish shafaa'atu jamee'aa; lahoo mulkus samaawaati wal ardi summa ilaihi turja'oon
- Wa izaa zukiral laahu wahdahush ma azzat quloobul lazeena laa yu'minoona bil Aakhirati wa izaa zukiral lazeena min dooniheee izaa hum yastabshiroon
- Qulil laahumma faatiras samaawaati wal ardi 'Aalimal Ghaibi washshahaadati Anta tahkumu baina 'ibaadika fee maa kaanoo feehee yakhtalifoon
- Wa law anna lillazeena zalamoo maa fil ardi jamee'anw wa mislahoo ma'ahoo laftadaw bihee min sooo'il azaabi Yawmal Qiyaamah; wa badaa lahum minal laahi maa lam yakoonoo yahtasiboon
- Wa badaa lahum saiyiaatu maa kasaboo wa haaqa bihim maa kaanoo bihee yastahzi'oon
- Fa izaa massal insaana durrun da'aanaa summa izaa khawwalnaahu ni'matam minna qaala innamaaa ootee tuhoo 'alaa 'ilm; bal hiya fitna tunw wa laakinna aksarahum laa ya'lamoon
- Qad qaalahal lazeena min qablihim famaaa aghnaa 'anhum maa kaanoo yaksiboon
- Fa asaabahum saiyi aatu maa kasaboo; wallazeena zalamoo min haaa'ulaaa'i sa yuseebuhum saiyi aatu maa kasaboo wa maa hum bimu'jizeen
- Awalam ya'lamooo annal laaha yabsutur rizqa limai yashaaa'u wa yaqdir; inna fee zaalika la Aayaatil liqawminy yu'minoon (section 5)
- Qul yaa'ibaadiyal lazeena asrafoo 'alaaa anfusihim laa taqnatoo mirrahmatil laah; innal laaha yaghfiruz zunooba jamee'aa; innahoo Huwal Ghafoorur Raheem
- Wa aneebooo ilaa Rabbikum wa aslimoo lahoo min qabli any yaatiyakumul 'azaabu summa laa tunsaroon
- Wattabi'ooo ahsana maaa unzila ilaikum mir Rabbikum min qabli aiyaatiyakumal 'azaabu baghtatanw wa antum laa tash'uroon
- An taqoola nafsuny yaahasrataa 'alaa maa farrattu fee jambil laahi wa in kuntu laminas saakhireen
- Aw taqoola law annal laaha hadaanee lakuntu minal muttaqeen
- Aw taqoola heena taral 'azaaba law anna lee karratan fa akoona minal muhsineen
- Balaa qad jaaa'atka aayaatee fa kazzabta bihaa wa stakbarta wa kunta minal kaafireen
- Wa Yawmal Qiyaamati taral lazeena kazaboo 'alallaahi wujoohuhum muswaddah; alaisa fee Jahannama maswal lilmutakabbireen
- Wa yunajjil laahul lazee nat taqaw bimafaazatihim laa yamassuhumus sooo'u wa laa hum yahzanoon
- Allaahu khaaliqu kulli shai'inw wa Huwa 'alaa kulli shai'inw Wakeel
- Lahoo maqaaleedus sa maawaati wal ard; wallazeena kafaroo bi ayaatil laahi ulaaa'ika humul khaasiroon (section 6)
- Qul afaghairal laahi taamurooonneee a'budu ayyuhal jaahiloon
- Wa laqad oohiya ilaika wa ilal lazeena min qablika la in ashrakta la yahbatanna 'amalu ka wa latakoonanna minal khaasireen
- Balil laahha fa'bud wa kum minash shaakireen
- Wa maa qadarul laaha haqqa qadrihee wal ardu jamee 'an qabdatuhoo Yawmal Qiyaamati wassamaawaatu matwiyyaatum biyameenih; Subhaanahoo wa Ta'aalaa 'amma yushrikoon
- Wa nufikha fis Soori fasa'iqa man fis samaawaati wa man fil ardi illaa man shaa'al lahu summa nufikha feehi ukhraa fa izaa hum qiyaamuny yanzuroon
- Wa ashraqatil ardu binoori Rabbihaa wa wudi'al Kitaabu wa jeee'a bin nabiyyeena wash shuhadaaa'i wa qudiya bainahum bilhaqqi wa hum laa yuzlamoon
- Wa wuffiyat kullu nafsim maa 'amilat wa Huwa a'lamu bimaa yaf'aloon (section 7)
- Wa seeqal lazeena kafaroo ilaa jahannama zumaraa hattaaa izaa jaaa'oohaa futihat abwaabuhaa wa qaala lahum khazanatuhaaa alam ya'tikum Rusulun minkum yatloona 'alaikum Aayaati Rabbikum wa yunziroonakum liqaaa'a Yawmikum haazaa; qaaloo balaa wa laakin haqqat kalimatul 'azaabi 'alal kaafireen
- Qeelad khuloo abwaaba jahannama khaalideena feeha fabi'sa maswal mutakabbireen
- Wa seeqal lazeenat taqaw Rabbahum ilal Jannati zumaraa hattaaa izaa jaaa'oohaa wa futihat abwaabuhaa wa qaala lahum khazanatuhaa salaamun 'alaikum tibtum fadkhuloohaa khaalideen
- Wa qaalull hamdulillaahil lazee sadaqanaa wa'dahoo wa awrasanal arda natabaw wa-u minal jannati haisu nashaaa'u fani'ma ajrul 'aamileen
- Wa taral malaaa'ikata haaaffeena min hawlil 'Arshi yusabbihoona bihamdi Rabbihim wa qudiya bainahum bilhaqqi wa qeelal hamdu lillaahi Rabbil 'aalameen (section 8)
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Is kitaab ka nuzul Allah zabardast aur dana (hikmat wale/full of Wisdom) ki taraf se hai.2. (Aey Muhammad) yeh kitaab humne tumhari taraf barhaqq naazil ki hai, lihaza tum Allah hi ki bandagi karo deen ko usi ke liye khaalis karte huey.
3. Khabardar, deen e khaalis Allah ka haqq hai.Rahe woh log jinhon ne uske siwa dusre sarparast bana rakkhe hain (aur apne is fail ki taujeeh yeh karte hain ke) hum to unki ibaadat sirf is liye karte hain ke woh Allah tak hamari rasayi karadein (bring us nearer to Allah).Allah yaqeenan unke darmiyan un tamaam baaton ka faisla kardega jin mein woh ikhtilaf kar rahe hain. Allah kisi aise shaks ko hidayat nahin deta jo jhoota aur munkir e haqq ho.
4. Agar Allah kisi ko beta banana chahta to apni makhlooq mein se jisko chahta barguzida karleta, Paak hai woh is se (ke koi uska beta ho), woh Allah hai akela aur sab par gaalib.
5. Usne aasmano aur zameen ko barhaqq paida kiya hai.Wahi din par raat aur raat par din ko lapeit-ta hai.Usi ne Suraj aur chaand ko is tarah musakkhar kar rakkha hai ke har ek ek waqt-e-muqarrar tak chale jaa raha hai. Jaan rakkho, woh zabardast hai aur darguzar karne wala hai.
6. Usi ne tumko ek jaan se paida kiya, phir wahi hai jisne us jaan se iska joda banaya aur usi ne tumhare liye maweshiyon mein se aath (eight) nar o maada paida kiye. Woh tumhari Maaon (mothers) ke paithon mein teen teen tareekh (andhere) paradon ke andar tumhein ek ke baad ek shakal deta chala jata hai. Yahi Allah (jiske yeh kaam hain) tumhara Rubb hai, baadshahi usi ki hai, koi mabood uske siwa nahin hai, phir tum kidhar se phiraye jaa rahe ho?
7. Agar tum kufr karo to Allah tumse be niyaz hai, lekin woh apne bandon ke liye kufr ko pasand nahin karta. Aur agar tum shukar karo to usey woh tumhare liye pasand karta hai. Koi boojh uthane wala kisi dusre ka boojh na uthayega.Aakhir e kaar tum sab ko apne Rubb ki taraf palatna hai, phir woh tumhein bata dega ke tum kya karte rahe ho, woh to dilon ka haal tak jaanta hai.
8. Insaan par jab koi aafat aati hai to woh apne Rubb ki taraf rujoo (return) karke usey pukarta hai, phir jab uska Rubb usey apni niyamat se nawaz deta hai to woh us museebat ko bhool jata hai jispar woh pehle pukar raha tha aur dusron ko Allah ka humsar thehrata hai taa-ke uski raah se gumraah kare. (Aey Nabi) us se kaho ke thode din apne kufr se lutf utha le, yaqeenan tu dozakh mein jaane wala hai.
9. (kya is shaks ki rawish behtar hai ya us shaks ki) jo mutii-e-farmaan hai, raat ki ghadiyon mein khada rehta hai aur sajdey karta hai, aakhirat se darta aur apne Rubb ki rehmat se umeed lagata hai? inse pucho, kya jaanne wale aur na jaanne wale dono kabhi yaksan ho sakte hain? Naseehat to aqal rakhne wale hi qabool karte hain.
10. (Aey Nabi) kaho ke aey mere bandon jo iman laye ho, apne Rubb se daro. Jin logon ne is duniya mein neik rawayya ikhtiyar kiya hai unke liye bhalayi hai. Aur khuda ki zameen waseeh hai, sabr karne walon ko to unka ajar be-hisaab diya jayega.
11. (Aey Nabi) inse kaho, mujhe hukm diya gaya hai ke deen ko Allah ke liye khaalis karke uski bandagi karoon.
12. Aur mujhe hukm diya gaya hai ke sabse pehle main khud muslim banoon.
13. Kaho, agar mein apne Rubb ki nafarmaani karoon to mujhe ek badey din ke azaab ka khauf hai
14. Kehdo ke main to apne deen ko Allah ke liye khaalis karke usi ki bandagi karunga.
15. Tum uske siwa jis jis ki bandagi karna chaho karte raho. Kaho asal diwaliye (losers) to wahi hain jinhon ne qayamat ke roz apne aap ko aur apne ahal-o-aayal ko ghaate (loss) mein daal diya. khoob sun rakkho, yahi khula diwala (loss) hai.
16. Unpar aag ki chatriyan upar se bhi chayi hongi aur nichey se bhi. Yeh woh anjaam hai jis se Allah apne bandon ko darata hai, pas aey mere bandon, mere gazab se bacho.
17. Ba-khilaf iske jin logon ne tagut(false gods) ki bandagi se ijtinab kiya aur Allah ki taraf rujoo karliya unke liye khush-khabri hai .Pas (Aey Nabi) basharat dedo mere un bandon ko.
18. Jo baat ko gaur se sunte hain aur uske behtareen pehlu ki pairwi karte hain, yeh woh log hain jinko Allah ne hidayat bakshi hai aur yahi danishmand (with understanding) hain.
19. (Aey Nabi) us shaks ko kaun bacha sakta hai jispar azaab ka faisla chaspan ho chuka ho? Kya tum usey bacha sakte ho jo aag mein gir chuka ho?
20. Albatta jo log apne Rubb se darr kar rahe unke liye buland imaratein hain manzil par manzil bani hui jinke nichey nehrein beh rahi hongi. yeh Allah ka waada hai, Allah kabhi apne wadey ki khilaf warzi nahin karta
21. Kya tum nahin dekhte ke Allah ne aasmaan se pani barsaya, phir usko soton aur chashmon (springs and streams )aur dariyaon ki shakal mein zameen ke andar jaari kiya. Phir is pani ke zariye se woh tarah tarah ki khetiyan nikalta hai jinki kismein mukhtalif hain, phir woh khetiyan pakk kar sukh jaati hai, phir tum dekhte ho ke woh zard (yellow) padh gayi, phir aakhir e kaar Allah unko bhus bana deta hai. Dar haqeeqat is mein ek sabak hai aqal rakhne walon ke liye.
22. Ab kya woh shaks jiska seena Allah ne Islam ke liye khol diya aur woh apne Rubb ki taraf se ek roshni par chal raha hai (us shaks ki tarah ho sakta hai jisne in baaton se koi sabaq na liya)? Tabahi hai un logon ke liye jinke dil Allah ki naseehat se aur zyada sakht ho gaye. Woh khuli gumraahi mein padey huey hain.
23. Allah ne behtareen kalaam utara hai, ek aisi kitaab jiske tamaam ajzah humrang hain aur jismein baar baar mazameen(contents) dohraye gaye hain, usey sunkar un logon ke rongtey khade ho jaate hain jo apne Rubb se darne wale hain, aur phir unke jism aur unke dil naram hokar Allah ke zikr ki taraf raagib ho jaate hain. Yeh Allah ki hidayat hai jis se woh raah e raast par le aata hai jise chahta hai aur jise Allah hi hidayat na de uske liye phir koi haadi (guide) nahin hai.
24. Ab us shaks ki badh-haali ka tum kya andaza kar sakte ho jo qayamat ke roz azaab ki sakht maar apne mooh par lega? Aise zalimon se to kehdiya jayega ke ab chakko maza us kamayi ka jo tum karte rahe thay.
25. Inse pehle bhi bahut se log isi tarah jhutla chuke hain. Aakhir unpar azaab aise rukh se aaya jidhar unka khayal bhi na jaa sakta tha.
26. Phir Allah ne unko duniya hi ki zindgai mein ruswayi ka maza chakhaya, aur aakhirat ka azaab to is se shadeed tarr hai, kaash yeh log jaante.
27. Humne is Quran mein logon ko tarah tarah ki misaalein di hain ke yeh hosh mein aayein.
28. Aisa Quraan jo arabi zubaan mein hai, jismein koi tedh (croockedness) nahin hai, taa-ke yeh bure anjaam se bachein.
29. Allah ek misaal deta hai ek shaks to woh hai jiski milkiyat mein bahut se kaj khulq (several quarrelsome masters) aaqaa shareek hain jo usey apni apni taraf kheenchte hain aur dusra shaks poora ka poora ek hi aaqaa ka gulaam hai. Kya in dono ka haal yaksan ho sakta hai? Alhamdulillah, magar aksar log nadaani mein padey huey hain.
30. (Aey Nabi) tumhein bhi marna hai aur in logon ko bhi marna hai.
31. Aakhir e kaar qayamat ke roz tum sab apne Rubb ke huzur apna apna muqaddama pesh karoge.
32. Phir us shaks se bada zalim aur kaun hoga jisne Allah par jhoot baandha aur jab sacchayi uske saamne aayi to usey jhutla diya. Kya aise kafiron ke liye jahannum mein koi thikana nahin hai?
33. Aur jo shaks sacchayi lekar aaya aur jinhon ne usko sach maana, wahi azaab se bachne wale hain.
34. Unhein apne Rubb ke haan woh sab kuch milega jiski woh khwahish karenge. Yeh hai neki karne walon ki jaza.
35. Taa-ke jo badhtareen aamaal unhon ne kiye thay unhein Allah unke hisaab se saaqit (remit ) karde aur jo behtareen aamaal woh karte rahe unke lihaz se unko ajar ata farmaye.
36. (Aey Nabi) kya Allah apne banday ke liye kafi nahin hai? Yeh log uske siwa dusron se tumko daratey hain, halaanke Allah jise gumraahi mein daal de usey koi raasta dikhane wala nahin.
37. Aur jise woh hidayat de usey bhatkane wala bhi koi nahin. Kya Allah zabardast aur inteqaam lene wala nahin hai?
38. In logon se agar tum pucho ke zameen aur aasmaano ko kisne paida kiya hai to yeh khud kahenge ke Allah ne. Inse kaho, jab haqeeqat yeh hai to tumhara kya khayal hai ke agar Allah mujhe koi nuksaan pahunchana chahe to kya tumhari yeh dewiyan (godess) jinhein tum Allah ko chodh kar pukarte ho, mujhe uske pahunchaye huey nuksaan se bacha lengi? Ya Allah mujh par meharbani karna chahe to kya yeh uski rehmat ko roak sakengi? Bas inse kehdo ke mere liye Allah hi kafi hai, bharosa karne wale usi par bharosa karte hain.
39. Inse saaf kaho ke “ aey meri qaum ke logon, tum apni jagah apna kaam kiye jao, main apna kaam karta rahunga, anqareeb tumhein maloom ho jayega
40. ke kispar ruswa-kun azaab aata hai aur kisey woh saza milti hai jo kabhi talne wali nahin”
41. (Aey Nabi) humne sab Insano ke liye yeh kitaabe bar-haqq tumpar naazil kardi hai. Ab jo seedha raasta ikhtiyar karega apne liye karega aur jo bhatkega uske bhatakne ka wabal usi par hoga. Tum unke zimmedaar nahin ho.
42. Woh Allah hi hai jo maut ke waqt roohein qabz karta hai aur jo abhi nahin mara hai uski rooh neend mein qabz karleta hai, phir jispar woh maut ka faisla naafiz karta hai usey roak leta hai aur dusron ki roohein ek waqt e muqarrar ke liye wapas bhej deta hai. is mein badi nishaniyan hain un logon ke liye jo gaur o fikar karne wale hain.
43. Kya us khuda ko chodh kar in logon ne dusron ko shafee (intercessors) bana rakkha hai? Inse kaho, kya woh shafaa-at karenge khwa unke ikhtiyar mein kuch na ho aur woh samajhte bhi na hon?
44. Kaho, shafaa-at (intercession) saari ki saari Allah ke ikhtiyar mein hai. Aasmaano aur zameen ki baadshahi ka wahi maalik hai, phir usiki taraf tum paltaye jaane wale ho.
45. Jab akele Allah ka zikr kiya jata hai to aakhirat par iman na rakhne walon ke dil kudne(contract with bitterness) lagte hain. Aur jab uske siwa dusron ka zikr hota hai to yakayak woh khushi se khil uthte hain.
46. Kaho, khudaya! Aasmaano aur zameen ke paida karne wale, haazir o gaib ke jaan-ne wale, tu hi apne bandon ke darmiyan us cheez ka faisla karega jismein woh ikhtilaf karte rahe hain.
47. Agar in zalimon ke paas zameen ki saari daulat bhi ho, aur utni hi aur bhi, to yeh roz-e-qayamat ke buray azaab se bachne ke liye sab kuch fidiye (expiation/ redeem) mein dene ke liye tayyar ho jayenge. Wahan Allah ki taraf se inke saamne woh kuch aayega jiska inhon ne kabhi andaza hi nahin kiya hai.
48. Wahan apni kamayi ke saare bure nataij inpar khul jayenge aur wahi cheez inpar musallat ho jayegi jiska yeh mazaaq udatay rahe hain.
49. Yahi Insan jab zara si museebat isey choo jaati hai to humein pukarta hai, aur jab hum isey apni taraf se niyamat dekar aphar dete (favour from us) hain to kehta hai ke yeh to mujhe ilm ki bina par diya gaya hai. Nahin! balke yeh aazmiash hai, magar in mein se aksar log jaante nahin hain.
50. Yahi baat inse pehle guzre huey log bhi keh chuke hain, magar jo kuch woh kamaate thay woh unke kisi kaam na aaya.
51. Phir apni kamayi ke buray nataij unhon ne bhugtey, aur in logon mein se bhi jo zalim hain woh anqareeb apni kamayi kay buray nataij bhugtenge.Yeh humein aajiz (frustrate) kardene wale nahin hain.
52. Aur kya inhein maloom nahin hai ke Allah jiska chahta hai rizq kushada (enlarge) kardeta hai aur jiska chahta hai tangg kardeta hai? is mein nishaniyan hain un logon ke liye jo iman latey hain.
53. (Aey Nabi) kehdo ke aey mere bandon, jinhon ne apni jaano par zyadti (excesses) ki hai, Allah ki rehmat se mayous na ho jao, yaqeenan Allah saare gunaah maaf kardeta hai, woh to gafoor o Raheem hai(Most Forgiving, Most Merciful).
54. Palat aao apne Rubb ki taraf aur mutii (submissive) ban jao uske, qabl iske ke tumpar azaab aa jaaye aur phir kahin se tumhein madad na mil sakey.
55. Aur pairwi ikhtiyar karlo apne Rubb ki bhejhi hui kitaab ke behtareen pehlu ki, qabl iske ke tumpar achanak azaab aaye aur tumko khabar bhi na ho.
56. Kahin aisa na ho ke baad mein koi shaks kahey “ Afsos meri us taqsir (negligence) par jo main Allah ki janaab mein karta raha, balke main to ulta mazaaq udane walon mein shamil tha”
57. Ya kahey “kaash Allah ne muhjey hidayat bakshi hoti to main bhi muttaqiyon mein se hota”
58. Ya azaab dekh kar kahey “kaash mujhe ek mauqa aur mil jaaye aur main bhi neik amal karne walon mein shamil ho jaun.”
59. (Aur us waqt usey yeh jawab mile ke) “kyoun nahin meri aayaat tere paas aa chuki thin , phir tu ne unhein jhutlaya aur taqabbur kiya aur tu kafiron mein se tha”
60. Aaj jin logon ne khuda par jhoot baandhe hain qayamat ke roz tum dekhoge ke unke mooh kaley honge. Kya janahhum mein mutakabbiron (haughty) ke liye kafi jagah nahin hai?
61. Iske bar-aks jin logon ne yahan taqwa kiya hai unke asbaab-e-kamiyabi ki wajah se Allah unko najaat dega, unko na koi gaznad (harm) pahunchega na woh ghumgeen honge.
62. Allah har cheez ka khaliq (creator) hai aur wahi har cheez par nigehbaan hai.
63. Zameen aur aasmaano ke khazano ki kunjiyan (keys) usi ke paas hain aur jo log Allah ki aayaat se kufr karte hain wahi ghaate (loss) mein rehne wale hain.
64. (Aey Nabi) inse kaho “phir kya aey jaahilon (ignorant), tum Allah ke siwa kisi aur ki bandagi karne ke liye mujhse kehte ho?”
65. (yeh baat tumhein unse saaf keh deni chahiye kyunke) tumhari taraf aur tumse pehle guzre huey tamaam ambiya ki taraf yeh wahee (revelation) bheji jaa chuki hai ke agar tumne shirk kiya to tumhara amal zaya ho jayega aur tum khasare (nuksan) mein rahoge.
66. Lihaza (Aey Nabi) tum bas Allah hi ki bandagi karo aur shukar-guzar bandon mein se ho jao.
67. In logon ne Allah ki qadar hi na ki jaisa ke uski qadar karne ka haqq hai (uski qudrat e kaamila ka haal to yeh hai ke) qayamat ke roz poori zameen uski mutti mein hogi aur aasmaan uske dast e raast (right hand) mein liptey huey honge. Paak aur baala-tarr hai woh us shirk se jo yeh log karte hain.
68. Aur us roz sur (trumpet) phoonka jayega aur woh sab markar gir jayenge jo aasmaano aur zameen mein hain siwaye unke jinhein Allah zinda rakhna chahe. Phir ek dusra sur (trumpet) phoonka jayega aur yakayak sabke sab uth kar dekhne lagenge.
69. Zameen apne Rubb kay Noor se chamak uthegi, kitaab e aamal laa kar rakh di jayegi, Ambiya aur tamaam gawah haazir kardiye jayenge, logon ke darmiyan theek theek haqq ke saath faisla kardiya jayega aur unpar koi zulm na hoga.
70. Aur har mutanaffis ko jo kuch bhi usne amal kiya tha uska poora poora badla diya jayega. Log jo kuch bhi karte hain Allah usko khoob jaanta hai.
71. (Is faisle ke baad) woh log jinhon ne kufr kiya tha jahannum ki taraf giroh dar giroh haanke jayenge, yahan tak ke jab woh wahan pahunchenge to uske darwaze kholay jayenge aur uske kaarinde (keepers) unse kahenge “kya tumhare paas tumhare apne logon mein se aise Rasool nahin aaye thay, jinhon ne tumko tumhare Rubb ki aayaat sunayi hon aur tumhein us baat se daraya ho ke ek waqt tumhein yeh din bhi dekhna hoga?” Woh jawab denge “haan, aaye thay , magar azaab ka faisla kafiron par chipak gaya”
72. Kaha jayega, daakhil ho jao jahannum ke darwazon mein, yahan ab tumhein hamesha rehna hai, bada hi bura thikana hai yeh mutakabbiron (arrogant) ke liye.
73. Aur jo log apne Rubb ki nafarmani se parheiz karte thay unhein giroh dar giroh jannat ki taraf le jaya jaayega yahan tak ke jab woh wahan pahunchenge, aur uske darwaze pehle hi kholay jaa chuke honge, to uske muntazimin unse kahenge ke “Salaam ho tumpar , bahut acche rahe, daakhil ho jao is mein hamesha ke liye”
74. Aur woh kahenge “shukar hai us khuda ka jisne hamare saath apna waada sach kar dikaya aur humko zameen ka waris bana diya, ab hum jannat mein jahan chahein apni jagah bana sakte hain” Pas behtareen ajar hai amal karne walon ke liye.
75. Aur tum dekhoge ke Farishte arsh ke gird halqa(circle) banaye huey apne Rubb ki hamd aur tasbeeh kar rahe honge, aur logon ke darmiyan theek theek haqq ke saath faisla chuka diya jayega, aur pukar diya jayega ke hamd hai Allah Rabbul Aalameen ke liye.
Comments
Post a Comment