📖 Surah 38 Saad Roman

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

  1. ص ۚ وَالْقُرْآنِ ذِي الذِّكْرِ

  2. بَلِ الَّذِينَ كَفَرُوا فِي عِزَّةٍ وَشِقَاقٍ

  3. كَمْ أَهْلَكْنَا مِنْ قَبْلِهِمْ مِنْ قَرْنٍ فَنَادَوْا وَلَاتَ حِينَ مَنَاصٍ

  4. وَعَجِبُوا أَنْ جَاءَهُمْ مُنْذِرٌ مِنْهُمْ ۖ وَقَالَ الْكَافِرُونَ هَٰذَا سَاحِرٌ كَذَّابٌ

  5. أَجَعَلَ الْآلِهَةَ إِلَٰهًا وَاحِدًا ۖ إِنَّ هَٰذَا لَشَيْءٌ عُجَابٌ

  6. وَانْطَلَقَ الْمَلَأُ مِنْهُمْ أَنِ امْشُوا وَاصْبِرُوا عَلَىٰ آلِهَتِكُمْ ۖ إِنَّ هَٰذَا لَشَيْءٌ يُرَادُ

  7. مَا سَمِعْنَا بِهَٰذَا فِي الْمِلَّةِ الْآخِرَةِ إِنْ هَٰذَا إِلَّا اخْتِلَاقٌ

  8. أَأُنْزِلَ عَلَيْهِ الذِّكْرُ مِنْ بَيْنِنَا ۚ بَلْ هُمْ فِي شَكٍّ مِنْ ذِكْرِي ۖ بَلْ لَمَّا يَذُوقُوا عَذَابِ

  9. أَمْ عِنْدَهُمْ خَزَائِنُ رَحْمَةِ رَبِّكَ الْعَزِيزِ الْوَهَّابِ

  10. أَمْ لَهُمْ مُلْكُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَمَا بَيْنَهُمَا ۖ فَلْيَرْتَقُوا فِي الْأَسْبَابِ

  11. جُنْدٌ مَا هُنَالِكَ مَهْزُومٌ مِنَ الْأَحْزَابِ

  12. كَذَّبَتْ قَبْلَهُمْ قَوْمُ نُوحٍ وَعَادٌ وَفِرْعَوْنُ ذُو الْأَوْتَادِ

  13. وَثَمُودُ وَقَوْمُ لُوطٍ وَأَصْحَابُ الْأَيْكَةِ ۚ أُولَٰئِكَ الْأَحْزَابُ

  14. إِنْ كُلٌّ إِلَّا كَذَّبَ الرُّسُلَ فَحَقَّ عِقَابِ

  15. وَمَا يَنْظُرُ هَٰؤُلَاءِ إِلَّا صَيْحَةً وَاحِدَةً مَا لَهَا مِنْ فَوَاقٍ

  16. وَقَالُوا رَبَّنَا عَجِّلْ لَنَا قِطَّنَا قَبْلَ يَوْمِ الْحِسَابِ

  17. اصْبِرْ عَلَىٰ مَا يَقُولُونَ وَاذْكُرْ عَبْدَنَا دَاوُودَ ذَا الْأَيْدِ ۖ إِنَّهُ أَوَّابٌ

  18. إِنَّا سَخَّرْنَا الْجِبَالَ مَعَهُ يُسَبِّحْنَ بِالْعَشِيِّ وَالْإِشْرَاقِ

  19. وَالطَّيْرَ مَحْشُورَةً ۖ كُلٌّ لَهُ أَوَّابٌ

  20. وَشَدَدْنَا مُلْكَهُ وَآتَيْنَاهُ الْحِكْمَةَ وَفَصْلَ الْخِطَابِ

  21. وَهَلْ أَتَاكَ نَبَأُ الْخَصْمِ إِذْ تَسَوَّرُوا الْمِحْرَابَ

  22. إِذْ دَخَلُوا عَلَىٰ دَاوُودَ فَفَزِعَ مِنْهُمْ ۖ قَالُوا لَا تَخَفْ ۖ خَصْمَانِ بَغَىٰ بَعْضُنَا عَلَىٰ بَعْضٍ فَاحْكُمْ بَيْنَنَا بِالْحَقِّ وَلَا تُشْطِطْ وَاهْدِنَا إِلَىٰ سَوَاءِ الصِّرَاطِ

  23. إِنَّ هَٰذَا أَخِي لَهُ تِسْعٌ وَتِسْعُونَ نَعْجَةً وَلِيَ نَعْجَةٌ وَاحِدَةٌ فَقَالَ أَكْفِلْنِيهَا وَعَزَّنِي فِي الْخِطَابِ

  24. قَالَ لَقَدْ ظَلَمَكَ بِسُؤَالِ نَعْجَتِكَ إِلَىٰ نِعَاجِهِ ۖ وَإِنَّ كَثِيرًا مِنَ الْخُلَطَاءِ لَيَبْغِي بَعْضُهُمْ عَلَىٰ بَعْضٍ إِلَّا الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ وَقَلِيلٌ مَا هُمْ ۗ وَظَنَّ دَاوُودُ أَنَّمَا فَتَنَّاهُ فَاسْتَغْفَرَ رَبَّهُ وَخَرَّ رَاكِعًا وَأَنَابَ ۩

  25. فَغَفَرْنَا لَهُ ذَٰلِكَ ۖ وَإِنَّ لَهُ عِنْدَنَا لَزُلْفَىٰ وَحُسْنَ مَآبٍ

  26. يَا دَاوُودُ إِنَّا جَعَلْنَاكَ خَلِيفَةً فِي الْأَرْضِ فَاحْكُمْ بَيْنَ النَّاسِ بِالْحَقِّ وَلَا تَتَّبِعِ الْهَوَىٰ فَيُضِلَّكَ عَنْ سَبِيلِ اللَّهِ ۚ إِنَّ الَّذِينَ يَضِلُّونَ عَنْ سَبِيلِ اللَّهِ لَهُمْ عَذَابٌ شَدِيدٌ بِمَا نَسُوا يَوْمَ الْحِسَابِ

  27. وَمَا خَلَقْنَا السَّمَاءَ وَالْأَرْضَ وَمَا بَيْنَهُمَا بَاطِلًا ۚ ذَٰلِكَ ظَنُّ الَّذِينَ كَفَرُوا ۚ فَوَيْلٌ لِلَّذِينَ كَفَرُوا مِنَ النَّارِ

  28. أَمْ نَجْعَلُ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ كَالْمُفْسِدِينَ فِي الْأَرْضِ أَمْ نَجْعَلُ الْمُتَّقِينَ كَالْفُجَّارِ

  29. كِتَابٌ أَنْزَلْنَاهُ إِلَيْكَ مُبَارَكٌ لِيَدَّبَّرُوا آيَاتِهِ وَلِيَتَذَكَّرَ أُولُو الْأَلْبَابِ

  30. وَوَهَبْنَا لِدَاوُودَ سُلَيْمَانَ ۚ نِعْمَ الْعَبْدُ ۖ إِنَّهُ أَوَّابٌ

  31. إِذْ عُرِضَ عَلَيْهِ بِالْعَشِيِّ الصَّافِنَاتُ الْجِيَادُ

  32. فَقَالَ إِنِّي أَحْبَبْتُ حُبَّ الْخَيْرِ عَنْ ذِكْرِ رَبِّي حَتَّىٰ تَوَارَتْ بِالْحِجَابِ

  33. رُدُّوهَا عَلَيَّ ۖ فَطَفِقَ مَسْحًا بِالسُّوقِ وَالْأَعْنَاقِ

  34. وَلَقَدْ فَتَنَّا سُلَيْمَانَ وَأَلْقَيْنَا عَلَىٰ كُرْسِيِّهِ جَسَدًا ثُمَّ أَنَابَ

  35. قَالَ رَبِّ اغْفِرْ لِي وَهَبْ لِي مُلْكًا لَا يَنْبَغِي لِأَحَدٍ مِنْ بَعْدِي ۖ إِنَّكَ أَنْتَ الْوَهَّابُ

  36. فَسَخَّرْنَا لَهُ الرِّيحَ تَجْرِي بِأَمْرِهِ رُخَاءً حَيْثُ أَصَابَ

  37. وَالشَّيَاطِينَ كُلَّ بَنَّاءٍ وَغَوَّاصٍ

  38. وَآخَرِينَ مُقَرَّنِينَ فِي الْأَصْفَادِ

  39. هَٰذَا عَطَاؤُنَا فَامْنُنْ أَوْ أَمْسِكْ بِغَيْرِ حِسَابٍ

  40. وَإِنَّ لَهُ عِنْدَنَا لَزُلْفَىٰ وَحُسْنَ مَآبٍ

  41. وَاذْكُرْ عَبْدَنَا أَيُّوبَ إِذْ نَادَىٰ رَبَّهُ أَنِّي مَسَّنِيَ الشَّيْطَانُ بِنُصْبٍ وَعَذَابٍ

  42. ارْكُضْ بِرِجْلِكَ ۖ هَٰذَا مُغْتَسَلٌ بَارِدٌ وَشَرَابٌ

  43. وَوَهَبْنَا لَهُ أَهْلَهُ وَمِثْلَهُمْ مَعَهُمْ رَحْمَةً مِنَّا وَذِكْرَىٰ لِأُولِي الْأَلْبَابِ

  44. وَخُذْ بِيَدِكَ ضِغْثًا فَاضْرِبْ بِهِ وَلَا تَحْنَثْ ۗ إِنَّا وَجَدْنَاهُ صَابِرًا ۚ نِعْمَ الْعَبْدُ ۖ إِنَّهُ أَوَّابٌ

  45. وَاذْكُرْ عِبَادَنَا إِبْرَاهِيمَ وَإِسْحَاقَ وَيَعْقُوبَ أُولِي الْأَيْدِي وَالْأَبْصَارِ

  46. إِنَّا أَخْلَصْنَاهُمْ بِخَالِصَةٍ ذِكْرَى الدَّارِ

  47. وَإِنَّهُمْ عِنْدَنَا لَمِنَ الْمُصْطَفَيْنَ الْأَخْيَارِ

  48. وَاذْكُرْ إِسْمَاعِيلَ وَالْيَسَعَ وَذَا الْكِفْلِ ۖ وَكُلٌّ مِنَ الْأَخْيَارِ

  49. هَٰذَا ذِكْرٌ ۚ وَإِنَّ لِلْمُتَّقِينَ لَحُسْنَ مَآبٍ

  50. جَنَّاتِ عَدْنٍ مُفَتَّحَةً لَهُمُ الْأَبْوَابُ

  51. مُتَّكِئِينَ فِيهَا يَدْعُونَ فِيهَا بِفَاكِهَةٍ كَثِيرَةٍ وَشَرَابٍ

  52. وَعِنْدَهُمْ قَاصِرَاتُ الطَّرْفِ أَتْرَابٌ

  53. هَٰذَا مَا تُوعَدُونَ لِيَوْمِ الْحِسَابِ

  54. إِنَّ هَٰذَا لَرِزْقُنَا مَا لَهُ مِنْ نَفَادٍ

  55. هَٰذَا ۚ وَإِنَّ لِلطَّاغِينَ لَشَرَّ مَآبٍ

  56. جَهَنَّمَ يَصْلَوْنَهَا فَبِئْسَ الْمِهَادُ

  57. هَٰذَا فَلْيَذُوقُوهُ حَمِيمٌ وَغَسَّاقٌ

  58. وَآخَرُ مِنْ شَكْلِهِ أَزْوَاجٌ

  59. هَٰذَا فَوْجٌ مُقْتَحِمٌ مَعَكُمْ ۖ لَا مَرْحَبًا بِهِمْ ۚ إِنَّهُمْ صَالُو النَّارِ

  60. قَالُوا بَلْ أَنْتُمْ لَا مَرْحَبًا بِكُمْ ۖ أَنْتُمْ قَدَّمْتُمُوهُ لَنَا ۖ فَبِئْسَ الْقَرَارُ

  61. قَالُوا رَبَّنَا مَنْ قَدَّمَ لَنَا هَٰذَا فَزِدْهُ عَذَابًا ضِعْفًا فِي النَّارِ

  62. وَقَالُوا مَا لَنَا لَا نَرَىٰ رِجَالًا كُنَّا نَعُدُّهُمْ مِنَ الْأَشْرَارِ

  63. أَتَّخَذْنَاهُمْ سِخْرِيًّا أَمْ زَاغَتْ عَنْهُمُ الْأَبْصَارُ

  64. إِنَّ ذَٰلِكَ لَحَقٌّ تَخَاصُمُ أَهْلِ النَّارِ

  65. قُلْ إِنَّمَا أَنَا مُنْذِرٌ ۖ وَمَا مِنْ إِلَٰهٍ إِلَّا اللَّهُ الْوَاحِدُ الْقَهَّارُ

  66. رَبُّ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَمَا بَيْنَهُمَا الْعَزِيزُ الْغَفَّارُ

  67. قُلْ هُوَ نَبَأٌ عَظِيمٌ

  68. أَنْتُمْ عَنْهُ مُعْرِضُونَ

  69. مَا كَانَ لِيَ مِنْ عِلْمٍ بِالْمَلَإِ الْأَعْلَىٰ إِذْ يَخْتَصِمُونَ

  70. إِنْ يُوحَىٰ إِلَيَّ إِلَّا أَنَّمَا أَنَا نَذِيرٌ مُبِينٌ

  71. إِذْ قَالَ رَبُّكَ لِلْمَلَائِكَةِ إِنِّي خَالِقٌ بَشَرًا مِنْ طِينٍ

  72. فَإِذَا سَوَّيْتُهُ وَنَفَخْتُ فِيهِ مِنْ رُوحِي فَقَعُوا لَهُ سَاجِدِينَ

  73. فَسَجَدَ الْمَلَائِكَةُ كُلُّهُمْ أَجْمَعُونَ

  74. إِلَّا إِبْلِيسَ اسْتَكْبَرَ وَكَانَ مِنَ الْكَافِرِينَ

  75. قَالَ يَا إِبْلِيسُ مَا مَنَعَكَ أَنْ تَسْجُدَ لِمَا خَلَقْتُ بِيَدَيَّ ۖ أَسْتَكْبَرْتَ أَمْ كُنْتَ مِنَ الْعَالِينَ

  76. قَالَ أَنَا خَيْرٌ مِنْهُ ۖ خَلَقْتَنِي مِنْ نَارٍ وَخَلَقْتَهُ مِنْ طِينٍ

  77. قَالَ فَاخْرُجْ مِنْهَا فَإِنَّكَ رَجِيمٌ

  78. وَإِنَّ عَلَيْكَ لَعْنَتِي إِلَىٰ يَوْمِ الدِّينِ

  79. قَالَ رَبِّ فَأَنْظِرْنِي إِلَىٰ يَوْمِ يُبْعَثُونَ

  80. قَالَ فَإِنَّكَ مِنَ الْمُنْظَرِينَ

  81. إِلَىٰ يَوْمِ الْوَقْتِ الْمَعْلُومِ

  82. قَالَ فَبِعِزَّتِكَ لَأُغْوِيَنَّهُمْ أَجْمَعِينَ

  83. إِلَّا عِبَادَكَ مِنْهُمُ الْمُخْلَصِينَ

  84. قَالَ فَالْحَقُّ وَالْحَقَّ أَقُولُ

  85. لَأَمْلَأَنَّ جَهَنَّمَ مِنْكَ وَمِمَّنْ تَبِعَكَ مِنْهُمْ أَجْمَعِينَ

  86. قُلْ مَا أَسْأَلُكُمْ عَلَيْهِ مِنْ أَجْرٍ وَمَا أَنَا مِنَ الْمُتَكَلِّفِينَ

  87. إِنْ هُوَ إِلَّا ذِكْرٌ لِلْعَالَمِينَ

  88. وَلَتَعْلَمُنَّ نَبَأَهُ بَعْدَ حِينٍ

Bismillaahir Rahmaanir Raheem

  1. Saaad; wal-Qur-aani ziz zikr

  2. Balil lazeena kafaroo fee 'izzatinw wa shiqaaq

  3. Kam ahlaknaa min qablihim min qarnin fanaadaw wa laata heena manaas

  4. Wa 'ajibooo an jaaa'a hum munzirum minhum wa qaalal kaafiroona haazaa saahirun kazzaab

  5. Aja'alal aalihata Ilaahanw Waahidan inna haazaa lashai'un 'ujaab

  6. Wantalaqal mala-u minhum anim shoo wasbiroo 'alaaa aalihatikum innna haazaa lashai 'uny yuraad

  7. Maa sami'naa bihaazaa fil millatil aakhirati in haazaaa illakh tilaaq

  8. 'A-unzila 'alaihiz zikru min baininaa; bal hum fee shakkin min Zikree bal lammaa yazooqoo 'azaab

  9. Am'indahum khazaaa 'inu rahmati Rabbikal 'Azeezil Wahhab

  10. Am lahum mulkus samaawaati wal ardi wa maa bainahumaa falyartaqoo fil asbaab

  11. Jundum maa hunaalika mahzoomum minal Ahzaab

  12. Kazzabat qablahum qawmu Noohinw wa 'Aadunw wa Fir'awnu zul awtaad

  13. Wa Samoodu wa qawmu Lootinw wa Ashaabul 'Aykah; ulaaa'ikal Ahzaab

  14. In kullun illaa kazzabar Rusula fahaqqa 'iqaab (section 1)

  15. Wa maa yanzuru haaa ulaaa'i illaa saihatanw waahidatam maa lahaa min fawaaq

  16. Wa qaaloo Rabbanaa 'ajjil lanaa qittanaa qabla Yawmil Hisaab

  17. Isbir 'alaa maa yaqooloona wazkur 'abdanaa Daawooda zal aidi innahooo awwaab

  18. Innaa sakhkharnal jibaala ma'ahoo yusabbihna bil'ashiyyi wal ishraaq

  19. Wattayra mahshoorah; kullul lahooo awwaab

  20. Wa shadadnaa mulkahoo wa aatainaahul Hikmata wa faslal khitaab

  21. Wa hal ataaka naba'ul khasm; iz tasawwarul mihraab

  22. Iz dakhaloo 'alaa Daawooda fafazi'a minhum qaaloo laa takhaf khasmaani baghaa ba'dunaa 'alaa ba'din fahkum bainanaaa bilhaqqi wa laa tushtit wahdinaaa ilaa Sawaaa'is Siraat

  23. Inna haazaaa akhee lahoo tis'unw wa tis'oona na'jatanw wa liya na'jatunw waahidah; faqaala akfilneeha wa 'azzanee filkhitaab

  24. Qaala laqad zalamaka bisu 'aali na'jatika ilaa ni'aajih; wa inna kaseeran minal khulataaa'i la-yabghee ba'duhum 'alaa ba'din illal lazeena aamanoo wa 'amilus saalihaati wa qaleelun maa hum; wa zanna Daawoodu annamaa fatannaahu fastaghfara Rabbahoo wa kharra raaki'anw wa anaab (make sajdah)

  25. Faghafarnaa lahoo zaalik; wa inna lahoo 'indanaa lazulfaa wa husna ma aab

  26. Yaa Daawoodu innaa ja'alnaaka khaleefatan fil ardi fahkum bainan naasi bilhaqqi wa laa tattabi'il hawaa fayudillaka 'an sabeelil laah; innal lazeena yadilloona 'an sabeelil laah; lahum 'azaabun shadeedum bimaa nasoo Yawmal Hisaab (section 2)

  27. Wa maa khalaqnas samaaa'a wal arda wa maa bainahumaa baatilaa; zaalika zannul lazeena kafaroo; fa waylul lil lazeena kafaroo minan Naar

  28. Am naj'alul lazeena aamanoo wa 'amilus saalihaati kalmufisdeena fil ardi am naj'alul muttaqeena kalfujjaar

  29. Kitaabun anzalnaahu ilaika mubaarakul liyaddabbarooo Aayaatihee wa liyatazakkara ulul albaab

  30. Wa wahabnaa li Daawooda Sulaimaan; ni'mal 'abd; innahoo awwaab

  31. Iz 'urida 'alaihi bil'ashiy yis saafinaatul jiyaad

  32. Faqaala inneee ahbabtu hubbal khairi 'an zikri Rabbee hattaa tawaarat bilhijaab

  33. Ruddoohaa 'alaiya fa tafiqa mas-ham bissooqi wal a'naaq

  34. Wa laqad fatannaa Sulaimaana wa alqainaa 'alaa kursiyyihee jasadan summa anaab

  35. Qaala Rabbigh fir lee wa hab lee mulkal laa yambaghee li ahadin min ba'dee innaka Antal Wahhaab

  36. Fa sakharnaa lahur reeha tajree bi amrihee rukhaaa'an haisu asaab

  37. Wash Shayaateena kulla bannaaa'inw wa ghawwaas

  38. Wa aakhareena muqarraneena fil asfaad

  39. Haazaa 'ataaa'unaa famnun aw amsik bighairi hisaab

  40. Wa inna lahoo 'indanaa lazulfaa wa husna ma-aab (section 3)

  41. Wazkur 'abdanaaa Ayyoob; iz naada Rabbahooo annee massaniyash Shaitaanu bi nusbinw wa 'azaab

  42. Urkud bi rijlika haaza mughtasalun baaridunw wa sharaab

  43. Wa wahabnaa lahoo ahlahoo wa mislahum ma'ahum rahmatan minna wa zikraa li ulil albaab

  44. Wa khuz biyadika dighsan fadrib bihee wa laa tahnas, innaa wajadnaahu saabiraa; ni'mal 'abd; innahooo awwaab

  45. Wazkur 'ibaadanaaa Ibraaheema wa Is-haaqa wa Ya'qooba ulil-aydee walabsaar

  46. Innaaa akhlasnaahum bi khaalisatin zikrad daar

  47. Wa innahum 'indanaa laminal mustafainal akhyaar

  48. Wazkur Ismaa'eela wal Yasa'a wa Zal-Kifli wa kullun minal akhyaar

  49. Haazaa zikrun wa inna lil muttaqeena la husna ma aab

  50. Jannaati 'adnin mufattahatan lahumul abwaab

  51. Muttaki'eena feehaa yad'oona feehaa bifaakihatin kaseeratinw wa sharaab

  52. Wa 'indahum qaasiraatut tarfi atraab

  53. Haazaa maa too'adoona li Yawmil Hisaab

  54. Inna haazaa larizqunaa maa lahoo min nafaad

  55. Haazaa; wa inna littaagheena lasharra ma-aab

  56. Jahannama yaslawnahaa fa bi'sal mihaad

  57. Haazaa falyazooqoohu hameemunw wa ghassaaq

  58. Wa aakharu min shakliheee azwaaj

  59. Haazaa fawjun muqtahimun ma'akum laa marhaban bihim; innahum saalun Naar

  60. Qaaloo bal antum laa marhaban bikum; antum qaddamtumoohu lanaa fabi'sal qaraar

  61. Qaaloo Rabbanaa man qaddama lanaa haazaa fa zidhu 'azaaban di'fan fin Naar

  62. Wa qaaloo maa lanaa laa naraa rijaalan kunnaa na'udduhum minal ashraar

  63. Attakhaznaahum sikh riyyan am zaaghat 'anhumul absaar

  64. Inna zaalika lahaqqun takhaasumu Ahlin Naar (section 4)

  65. Qul innamaaa ana munzirunw wa maa min laahin illal laahul Waahidul Qahhaar

  66. Rabbus samaawaati wal ardi wa maa bainahumal 'Azeezul Ghaffaar

  67. Qul huwa naba'un 'azeem

  68. Antum 'anhu mu'ridoon

  69. Maa kaana liya min 'ilmin bil mala'il a'laaa iz yakhtasimoon

  70. Iny-yoohaaa ilaiya illaaa anna maaa ana nazeerun mubeen

  71. Iz qaala Rabbuka lilmalaaa'ikati innee khaaliqun basharan min teen

  72. Fa-iza sawwaituhoo wa nafakhtu feehi mir roohee faqa'oo lahoo saajideen

  73. Fasajadal malaaa'ikatu kulluhum ajma'oon

  74. Illaaa Iblees; stakbara wa kaana minal kaafireen

  75. Qaala yaaa Ibleesu maa mana'aka an tasjuda limaa khalaqtu bi yadaiya 'a stakbarta am kunta min al 'aaleen

  76. Qaala ana khairum minhu; khalaqtanee min naarinw wa khalaqtahoo min teen

  77. Qaala fakhruj minhaa fa innaka rajeem

  78. Wa inna 'alaika la'nateee ilaa Yawmid Deen

  79. Qaala Rabbi fa anzirneee ilaa Yawmi yub'asoon

  80. Qaala fa innaka minal munzareen

  81. Ilaa Yawmil waqtil ma'loom

  82. Qaala fa bi 'izzatika la ughwiyannahum ajma'een

  83. Illaa 'ibaadaka minhumul mukhlaseen

  84. Qaala falhaqq, walhaqqa aqool

  85. La amla'anna Jahannama minka wa mimman tabi'aka minhum ajma'een

  86. Qul maaa as'alukum 'alaihi min ajrinw wa maaa ana minal mutakallifeen

  87. In huwa illaa zikrul lil'aalameen

  88. Wa lata'lamunna naba ahoo ba'da heen (section 5)

Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.

1. Saad, qasam hai naseehat bhare Quran ki.

2. Balke yahi log, jinhon ne maanne se inkar kiya hai, sakht takabbur aur zidd mein mubtala hain.

3. Inse pehle hum aisi kitni hi qaumon ko halaak kar chuke hain (aur jab unki shamat aayi hai) to woh cheekh utthey hain, magar woh waqt bachne ka nahin hota.

4. In logon ko is baat par bada taajub hua ke ek darane wala khud inhi mein se aa gaya, munkireen kehne lage ke “yeh saahir (jaadugar) hai, sakht jhoota hai.

5. Kya isne saare khudaon ki jagah bas ek hi khuda bana dala? Yeh to badi ajeeb baat hai”

6. Aur sardaran e qaum yeh kehte huey nikal gaye ke “ chalo aur dat-tey raho apne maboodon ki ibaadat par. Yeh baat to kisi aur hi garaz se kahi jaa rahi hai

7. Yeh baat humne zamana e qareeb ki millat mein kisi se nahin suni. Yeh kuch nahin hai magar ek man-ghadat baat.

8. Kya hamare darmiyan bas yahi ek shaks reh gaya tha jispar Allah ka zikr naazil kardiya gaya?”Asal baat yeh hai ke yeh mere “Zikr” par shakk kar rahe hain , aur yeh saari baatein is liye kar rahe hain ke inhon ne mere azaab ka maza chakkha nahin hai.

9. Kya tere daata (great Bestower) aur gaalib parwardigar ki rehmat ke khazane inke kabze mein hain?

10. Kya yeh aasmaan o zameen aur inke darmiyan ki cheezon ke maalik hain? Accha to yeh aalam e asbaab ki bulandiyon par chadh kar dekhein!

11. Yeh to jatthon (armies) mein se ek choota sa jattha (army) hai jo isi jagah shikhast(defeat) khane wala hai.

12. Inse pehle Nooh ki qaum, aur Aad, aur mekhon (tent-pegs/stakes) wala Firoun.

13. Aur Samood, aur qaum e Lut, aur aika wale jhutla chuke hain, Jatthay woh thay.

14. Unmein se har ek ne Rasoolon ko jhutlaya aur meri uqubat ka faisla (decree of chastisement ) uspar chaspan hokar raha.

15. Yeh log bhi bas ek dhamake ke muntazir hain jiske baad koi dusra dhamaka na hoga.

16. Aur yeh kehte hain ke aey hamare Rubb, yaum ul hisaab (hisab ke din) se pehle hi hamara hissa humein jaldi se de de.

17. (Aey Nabi), sabr karo un baaton par jo yeh log banate hain, aur inke saamne hamare banday Dawood ka qissa bayan karo jo badi quwwaton ka maalik tha.Har maamle mein Allah ki taraf rujoo karne wala tha.

18. Humne pahadon ko uske saath musakkhar kar rakkha tha ke subah o shaam woh uske saath tasbeeh karte thay.

19. Parindey simat aate aur sabke sab uski tasbeeh ki taraf mutawajjeh ho jaate thay.

20. Humne uski sultanat mazboot kardi thi, usko hikmat ata ki thi aur faisla-kun baat kehne ki salahiyat bakshi thi.

21. Phir tumhein kuch khabar pahunchi hai un muqaddame walon ki jo deewaar chadh kar uske baala khaane (private chambers) mein ghus aaye thay?

22. Jab woh Dawood ke paas pahunche to woh unhein dekh kar ghabra gaya, unhon ne kaha “dariye nahin, hum do fareeq muqaddama hain jin mein se ek ne dusre par zyadati ki hai. Aap hamare darmiyan theek theek haqq ke saath faisla kardijiye, be-insafi na kijiye aur humein raah e raast bataiye.

23. Yeh mera bhai hai ,iske paas ninanve (ninety nine) dumbiyan(ewes) hai aur mere paas sirf ek hi dumbi (ewe) hai , isne mujhse kaha ke yeh ek dumbi bhi mere hawale karde aur isne guftagu mein mujhe daba liya”

24. Dawood ne jawab diya: “is shaks ne apni dumbiyon (ewes) ke saath teri dumbi mila lene ka mutalaba karke yaqeenan tujhpar zulm kiya, aur waqiya yeh hai ke mil-jhul kar saath rehne wale log aksar ek dusre par zyadatiyan karte rehte hain, bas wahi log is se bache huey hain jo iman rakhte hain aur amal e saleh karte hain, aur aise log kam hi hain.” (Yeh baat kehte kehte) Dawood samajh gaya ke yeh to humne dar-asal iski aazmaish ki hai, chunanche usne apne Rubb se maafi maangi aur sajde mein gir gaya aur rujoo karliya.

25. Tab humne iska woh kasoor maaf kiya aur yaqeenan hamare haan uske liye taqarrub ka muqaam aur behtar anjaam hai.

26. (Humne us se kaha) “Aey dawood, humne tujhey zameen mein khalifa banaya hai, lihaza tu logon ke darmiyan haqq ke saath hukumat kar, aur khwahish e nafs ki pairwi na kar ke woh tujhey Allah ki raah se bhatka degi. Jo log Allah ki raah se bhatakte hain yaqeenan unke liye sakht saza hai ke woh yaum ul hisaab ko bhool gaye.”

27. Humne is aasmaan aur zameen ko, aur is duniya ko jo inke darmiyan hai , fizool paida nahin kardiya hai, yeh to un logon ka gumaan hai jinhon ne kufr kiya hai aur aise kafiron ke liye barbadi hai jahannum ki aag se.

28. Kya hum un logon ko jo iman latey hain aur neik aamaal karte hain aur unko jo zameen mein fasad karne wale hain yaksan kardein? Kya muttaqiyon ko hum faajiron(wicked) jaisa kardein?

29. Yeh ek badi barakat wali kitaab hai jo (aey Muhammad) humne tumhari taraf naazil ki hai taa-ke yeh log iski aayaat par gaur karein aur aqal o fikr rakhne wale is se sabaq lein.

30. Aur Dawood ko humne Sulaiman (jaisa beta) ata kiya, behtareen banda, kasrat se apne Rubb ki taraf rujoo karne wala.

31. Kaabil e zikr hai woh mauqa jab shaam ke waqt us ke saamne khoob sidhey (well-trained) huey teiz-rau ghoday (horses) pesh kiye gaye.

32. To usne kaha “maine is maal ki muhabbat apne Rubb ki yaad ki wajah se ikhtiyar ki hai” yahan tak ke jab woh ghoday (horses) nigaah se ojhal ho gaye

33. To (usne hukm diya ke) inhein mere paas wapas laao, phir laga unki pindliyon (legs) aur gardano par haath pherne.

34. Aur (dekho ke) Sulaiman ko bhi humne aazmaish mein daala aur uski kursi par ek jasad (mere body/body without life) laa kar daal diya phir usne rujoo kiya.

35. Aur kaha ke “aey mere Rubb , mujhe maaf karde aur mujhe woh baadshahi de jo mere baad kisi ke liye sazawar na ho, beshak tu hi asal daata hai”

36. Tab humne uske liye hawa ko musakkhar kardiya jo uske hukm se narmi ke saath chalti thi jidhar woh chahta tha.

37. Aur shayateen ko musakkhar kardiya, har tarah ke meimaar(builders) aur gotakhor (divers)

38. Aur dusre jo paband e salasil thay (bound with chains).

39. (Humne us se kaha) “ yeh hamari bakshish hai, tujhey ikhtiyar hai jise chahe de aur jis se chahe roak le, koi hisaab nahin”

40. Yaqeenan uske liye hamare haan taqarrub ka muqaam aur behtar anjaam hai.

41. Aur hamare banday Ayub ka zikr karo, jab usne apne Rubb ko pukara ke shaytan ne mujhe sakht takleef aur azaab mein daal diya hai.

42. (Humne usey hukm diya) apna paaon (leg) zameen par maar, yeh hai thanda pani nahane ke liya aur peene ke liye.

43. Humne usey uske ahal-o-ayaal (family) wapas diye aur unke saath utnay hi aur, apni taraf se rehmat ke taur par, aur aqal o fikar rakhne walon ke liye dars ke taur par.

44. (Aur humne is se kaha) tinkon ka ek mutta le (bundle of rushes) aur us se maar de, apni qasam na toad, humne usey saabir paya, behtareen banda, apne Rubb ki taraf bahut rujoo karne wala.

45. Aur hamare bandon , Ibrahim aur Ishaq aur Yaqub ka zikr karo badi quwwat e amail rakhne wale aur deedhawar (strength and vision)log thay.

46. Humne unko ek khaalis siffat ki bina par barguzida kiya tha, aur woh daar-e-aakhirat ki yaad thi.

47. Yaqeenan hamare haan unka shumaar chune huey neik ashkhaas (excellent ones) mein hai.

48. Aur Ismail aur Al-yasa(Elisha) aur Zulkifl ka zikr karo, yeh sab neik logon mein se thay.

49. Yeh ek zikr tha. (Ab suno ke) muttaqi logon ke liye yaqeenan behtareen thikana hai.

50. Hamesha rehne wali jannatein jinke darwaze unke liye khule honge.

51. Unmein woh takiye lagaye baithe honge, khoob khoob fawake (fruits) aur mashroobat (drinks) talab kar rahe honge.

52. Aur unke paas sharmili humsin biwiyan hongi.

53. Yeh woh chezein hain jinhein hisaab ke din ata karne ka tumse waada kiya jaa raha hai.

54. Yeh hamara rizq hai jo kabhi khatam hone wala nahin.

55. Yeh to hai muttaqiyon ka anjaam aur sarkashon ke liye badhtareen (evil) thikana hai.

56. Jahannum jismein woh jhulse jayenge, Bahut hi buri qayamgaah.

57. Yeh hai unke liye, pas woh maza chakhein khautley (boiling) huey pani aur peep lahu (pus)

58. Aur isi qisam ki dusri talkhiyon (sufferings) ka.

59. (woh jahannum ki taraf apne pairawon ko aatey dekh kar aapas mein kahenge) “Yeh ek lashkar tumhare paas ghusa chala aa raha hai, koi khushamadeed (welcome) inke liye nahin hai, yeh aag mein jhulasne wale hain”

60. Woh unko jawab denge “ nahin balke tum hi jhulse jaa rahe ho, koi khair maqdam tumhare liye nahin. Tumhi to yeh anjaam hamare aage laye ho. Kaisi buri hai yeh jaaye qaraar”

61. Phir woh kahenge “Aey hamare Rubb, jisne humein is anjaam ko pahunchane ka bandobast kiya usko dozakh ka dohra azaab de”

62. Aur woh aapas mein kahenge “kya baat hai, hum un logon ko kahin nahin dekhte jinhein hum duniya mein bura samajte thay?

63. Hunme yunhi unka mazaaq bana liya tha, ya woh kahin nazaron se ojhal hain?”

64. Beshak yeh baat sacchi hai, ehle dozakh mein yahi kuch jhagde hone wale hain.

65. (Aey Nabi) inse kaho, “ main to bas khabardaar kardene wala hoon. Koi haqeeqi mabood nahin magar Allah, jo yakta hai, sab par gaalib.

66. Aasmaano aur zameen ka maalik aur un saari cheezon ka maalik jo inke darmiyan hain, zabardast aur darguzar karne wala”

67. Inse kaho “ yeh ek badi khabar hai

68. Jisko sunkar tum mooh pherte ho”

69. (Inse kaho) “Mujhe us waqt ki koi khabar na thi jab mala-e-aala (high council) mein jhagda ho raha tha.

70. Mujhko to wahee (revelation/inspiration) ke zariye se yeh baatein sirf is liye batayi jaati hain ke main khula khula khabardaar karne wala hoon”

71. Jab tere Rubb ne farishton se kaha “main mitti se ek bashar banane wala hoon.

72. Phir jab main usey poori tarah bana doon aur usmein apni rooh phoonk doon to tum uske aage sajde mein gir jao”

73. Is hukm ke mutaabiq Farishte sab ke sab sajde mein gir gaye.

74. Magar Iblis ne apni badayi ka ghamand kiya aur woh kafiron mein se ho gaya.

75. Rubb ne farmaya “Aey Iblis, tujhey kya cheez usko sajda karne se maane hui jise maine apne dono haathon se banaya hai? Tu bada ban raha hai ya tu hai hi kuch unchey darje ki hastiyon mein se?”

76. Usne jawab diya “main us se behtar hoon , aapne mujhko aag se paida kiya hai aur isko mitti se”

77. Farmaya “ accha to yahan se nikal jaa , tu mardood hai.

78. Aur tere upar yaum ul jaza tak meri laanat hai”

79. Woh bola “ aey mere Rubb , yeh baat hai to phir mujhe us waqt tak ke liye mohlat de de jab yeh log dobara uthaye jayenge”

80. Farmaya, “accha tujhey us roz tak ki mohlat hai.

81. Jiska waqt mujhe maloom hai”

82. Usne kaha “ teri izzat ki qasam, main in sab logon ko behka kar rahunga.

83. Bajuz tere un bandon ke jinhein tu ne khaalis karliya hai”

84. Farmaya “to haqq yeh hai, aur main haqq hi kaha karta hoon.

85. Ke main jahannum ko tujhse aur un sab logon se bhar dunga jo in Insano mein se teri pairwi karenge”

86. (Aey Nabi) inse kehdo ke main is tableeg par tumse koi ajar nahin maangta, aur na main banawati logon mein se hoon.

87. Yeh to ek naseehat hai tamaam jahaan walon ke liye.

88. Aur thodi muddat hi guzaregi ke tumhein iska haal khud maaloom ho jayega.

1. Tilawah & Tarjuma by Alafasyؒ / Jalandhariؒ

2. Tafsir by Imam Ibn Kathirؒ

3. Tafsir Bayanul Quran by Dr. Israr Ahmedؒ

Comments