📖 Surah 37 As-Saffat Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- وَالصَّافَّاتِ صَفًّا
- فَالزَّاجِرَاتِ زَجْرًا
- فَالتَّالِيَاتِ ذِكْرًا
- إِنَّ إِلَٰهَكُمْ لَوَاحِدٌ
- رَبُّ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَمَا بَيْنَهُمَا وَرَبُّ الْمَشَارِقِ
- إِنَّا زَيَّنَّا السَّمَاءَ الدُّنْيَا بِزِينَةٍ الْكَوَاكِبِ
- وَحِفْظًا مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ مَارِدٍ
- لَا يَسَّمَّعُونَ إِلَى الْمَلَإِ الْأَعْلَىٰ وَيُقْذَفُونَ مِنْ كُلِّ جَانِبٍ
- دُحُورًا ۖ وَلَهُمْ عَذَابٌ وَاصِبٌ
- إِلَّا مَنْ خَطِفَ الْخَطْفَةَ فَأَتْبَعَهُ شِهَابٌ ثَاقِبٌ
- فَاسْتَفْتِهِمْ أَهُمْ أَشَدُّ خَلْقًا أَمْ مَنْ خَلَقْنَا ۚ إِنَّا خَلَقْنَاهُمْ مِنْ طِينٍ لَازِبٍ
- بَلْ عَجِبْتَ وَيَسْخَرُونَ
- وَإِذَا ذُكِّرُوا لَا يَذْكُرُونَ
- وَإِذَا رَأَوْا آيَةً يَسْتَسْخِرُونَ
- وَقَالُوا إِنْ هَٰذَا إِلَّا سِحْرٌ مُبِينٌ
- أَإِذَا مِتْنَا وَكُنَّا تُرَابًا وَعِظَامًا أَإِنَّا لَمَبْعُوثُونَ
- أَوَآبَاؤُنَا الْأَوَّلُونَ
- قُلْ نَعَمْ وَأَنْتُمْ دَاخِرُونَ
- فَإِنَّمَا هِيَ زَجْرَةٌ وَاحِدَةٌ فَإِذَا هُمْ يَنْظُرُونَ
- وَقَالُوا يَا وَيْلَنَا هَٰذَا يَوْمُ الدِّينِ
- هَٰذَا يَوْمُ الْفَصْلِ الَّذِي كُنْتُمْ بِهِ تُكَذِّبُونَ
- احْشُرُوا الَّذِينَ ظَلَمُوا وَأَزْوَاجَهُمْ وَمَا كَانُوا يَعْبُدُونَ
- مِنْ دُونِ اللَّهِ فَاهْدُوهُمْ إِلَىٰ صِرَاطِ الْجَحِيمِ
- وَقِفُوهُمْ ۖ إِنَّهُمْ مَسْئُولُونَ
- مَا لَكُمْ لَا تَنَاصَرُونَ
- بَلْ هُمُ الْيَوْمَ مُسْتَسْلِمُونَ
- وَأَقْبَلَ بَعْضُهُمْ عَلَىٰ بَعْضٍ يَتَسَاءَلُونَ
- قَالُوا إِنَّكُمْ كُنْتُمْ تَأْتُونَنَا عَنِ الْيَمِينِ
- قَالُوا بَلْ لَمْ تَكُونُوا مُؤْمِنِينَ
- وَمَا كَانَ لَنَا عَلَيْكُمْ مِنْ سُلْطَانٍ ۖ بَلْ كُنْتُمْ قَوْمًا طَاغِينَ
- فَحَقَّ عَلَيْنَا قَوْلُ رَبِّنَا ۖ إِنَّا لَذَائِقُونَ
- فَأَغْوَيْنَاكُمْ إِنَّا كُنَّا غَاوِينَ
- فَإِنَّهُمْ يَوْمَئِذٍ فِي الْعَذَابِ مُشْتَرِكُونَ
- إِنَّا كَذَٰلِكَ نَفْعَلُ بِالْمُجْرِمِينَ
- إِنَّهُمْ كَانُوا إِذَا قِيلَ لَهُمْ لَا إِلَٰهَ إِلَّا اللَّهُ يَسْتَكْبِرُونَ
- وَيَقُولُونَ أَئِنَّا لَتَارِكُو آلِهَتِنَا لِشَاعِرٍ مَجْنُونٍ
- بَلْ جَاءَ بِالْحَقِّ وَصَدَّقَ الْمُرْسَلِينَ
- إِنَّكُمْ لَذَائِقُو الْعَذَابِ الْأَلِيمِ
- وَمَا تُجْزَوْنَ إِلَّا مَا كُنْتُمْ تَعْمَلُونَ
- إِلَّا عِبَادَ اللَّهِ الْمُخْلَصِينَ
- أُولَٰئِكَ لَهُمْ رِزْقٌ مَعْلُومٌ
- فَوَاكِهُ ۖ وَهُمْ مُكْرَمُونَ
- فِي جَنَّاتِ النَّعِيمِ
- عَلَىٰ سُرُرٍ مُتَقَابِلِينَ
- يُطَافُ عَلَيْهِمْ بِكَأْسٍ مِنْ مَعِينٍ
- بَيْضَاءَ لَذَّةٍ لِلشَّارِبِينَ
- لَا فِيهَا غَوْلٌ وَلَا هُمْ عَنْهَا يُنْزَفُونَ
- وَعِنْدَهُمْ قَاصِرَاتُ الطَّرْفِ عِينٌ
- كَأَنَّهُنَّ بَيْضٌ مَكْنُونٌ
- فَأَقْبَلَ بَعْضُهُمْ عَلَىٰ بَعْضٍ يَتَسَاءَلُونَ
- قَالَ قَائِلٌ مِنْهُمْ إِنِّي كَانَ لِي قَرِينٌ
- يَقُولُ أَإِنَّكَ لَمِنَ الْمُصَدِّقِينَ
- أَإِذَا مِتْنَا وَكُنَّا تُرَابًا وَعِظَامًا أَإِنَّا لَمَدِينُونَ
- قَالَ هَلْ أَنْتُمْ مُطَّلِعُونَ
- فَاطَّلَعَ فَرَآهُ فِي سَوَاءِ الْجَحِيمِ
- قَالَ تَاللَّهِ إِنْ كِدْتَ لَتُرْدِينِ
- وَلَوْلَا نِعْمَةُ رَبِّي لَكُنْتُ مِنَ الْمُحْضَرِينَ
- أَفَمَا نَحْنُ بِمَيِّتِينَ
- إِلَّا مَوْتَتَنَا الْأُولَىٰ وَمَا نَحْنُ بِمُعَذَّبِينَ
- إِنَّ هَٰذَا لَهُوَ الْفَوْزُ الْعَظِيمُ
- لِمِثْلِ هَٰذَا فَلْيَعْمَلِ الْعَامِلُونَ
- أَذَٰلِكَ خَيْرٌ نُزُلًا أَمْ شَجَرَةُ الزَّقُّومِ
- إِنَّا جَعَلْنَاهَا فِتْنَةً لِلظَّالِمِينَ
- إِنَّهَا شَجَرَةٌ تَخْرُجُ فِي أَصْلِ الْجَحِيمِ
- طَلْعُهَا كَأَنَّهُ رُءُوسُ الشَّيَاطِينِ
- فَإِنَّهُمْ لَآكِلُونَ مِنْهَا فَمَالِئُونَ مِنْهَا الْبُطُونَ
- ثُمَّ إِنَّ لَهُمْ عَلَيْهَا لَشَوْبًا مِنْ حَمِيمٍ
- ثُمَّ إِنَّ مَرْجِعَهُمْ لَإِلَى الْجَحِيمِ
- إِنَّهُمْ أَلْفَوْا آبَاءَهُمْ ضَالِّينَ
- فَهُمْ عَلَىٰ آثَارِهِمْ يُهْرَعُونَ
- وَلَقَدْ ضَلَّ قَبْلَهُمْ أَكْثَرُ الْأَوَّلِينَ
- وَلَقَدْ أَرْسَلْنَا فِيهِمْ مُنْذِرِينَ
- فَانْظُرْ كَيْفَ كَانَ عَاقِبَةُ الْمُنْذَرِينَ
- إِلَّا عِبَادَ اللَّهِ الْمُخْلَصِينَ
- وَلَقَدْ نَادَانَا نُوحٌ فَلَنِعْمَ الْمُجِيبُونَ
- وَنَجَّيْنَاهُ وَأَهْلَهُ مِنَ الْكَرْبِ الْعَظِيمِ
- وَجَعَلْنَا ذُرِّيَّتَهُ هُمُ الْبَاقِينَ
- وَتَرَكْنَا عَلَيْهِ فِي الْآخِرِينَ
- سَلَامٌ عَلَىٰ نُوحٍ فِي الْعَالَمِينَ
- إِنَّا كَذَٰلِكَ نَجْزِي الْمُحْسِنِينَ
- إِنَّهُ مِنْ عِبَادِنَا الْمُؤْمِنِينَ
- ثُمَّ أَغْرَقْنَا الْآخَرِينَ
- وَإِنَّ مِنْ شِيعَتِهِ لَإِبْرَاهِيمَ
- إِذْ جَاءَ رَبَّهُ بِقَلْبٍ سَلِيمٍ
- إِذْ قَالَ لِأَبِيهِ وَقَوْمِهِ مَاذَا تَعْبُدُونَ
- أَئِفْكًا آلِهَةً دُونَ اللَّهِ تُرِيدُونَ
- فَمَا ظَنُّكُمْ بِرَبِّ الْعَالَمِينَ
- فَنَظَرَ نَظْرَةً فِي النُّجُومِ
- فَقَالَ إِنِّي سَقِيمٌ
- فَتَوَلَّوْا عَنْهُ مُدْبِرِينَ
- فَرَاغَ إِلَىٰ آلِهَتِهِمْ فَقَالَ أَلَا تَأْكُلُونَ
- مَا لَكُمْ لَا تَنْطِقُونَ
- فَرَاغَ عَلَيْهِمْ ضَرْبًا بِالْيَمِينِ
- فَأَقْبَلُوا إِلَيْهِ يَزِفُّونَ
- قَالَ أَتَعْبُدُونَ مَا تَنْحِتُونَ
- وَاللَّهُ خَلَقَكُمْ وَمَا تَعْمَلُونَ
- قَالُوا ابْنُوا لَهُ بُنْيَانًا فَأَلْقُوهُ فِي الْجَحِيمِ
- فَأَرَادُوا بِهِ كَيْدًا فَجَعَلْنَاهُمُ الْأَسْفَلِينَ
- وَقَالَ إِنِّي ذَاهِبٌ إِلَىٰ رَبِّي سَيَهْدِينِ
- رَبِّ هَبْ لِي مِنَ الصَّالِحِينَ
- فَبَشَّرْنَاهُ بِغُلَامٍ حَلِيمٍ
- فَلَمَّا بَلَغَ مَعَهُ السَّعْيَ قَالَ يَا بُنَيَّ إِنِّي أَرَىٰ فِي الْمَنَامِ أَنِّي أَذْبَحُكَ فَانْظُرْ مَاذَا تَرَىٰ ۚ قَالَ يَا أَبَتِ افْعَلْ مَا تُؤْمَرُ ۖ سَتَجِدُنِي إِنْ شَاءَ اللَّهُ مِنَ الصَّابِرِينَ
- فَلَمَّا أَسْلَمَا وَتَلَّهُ لِلْجَبِينِ
- وَنَادَيْنَاهُ أَنْ يَا إِبْرَاهِيمُ
- قَدْ صَدَّقْتَ الرُّؤْيَا ۚ إِنَّا كَذَٰلِكَ نَجْزِي الْمُحْسِنِينَ
- إِنَّ هَٰذَا لَهُوَ الْبَلَاءُ الْمُبِينُ
- وَفَدَيْنَاهُ بِذِبْحٍ عَظِيمٍ
- وَتَرَكْنَا عَلَيْهِ فِي الْآخِرِينَ
- سَلَامٌ عَلَىٰ إِبْرَاهِيمَ
- كَذَٰلِكَ نَجْزِي الْمُحْسِنِينَ
- إِنَّهُ مِنْ عِبَادِنَا الْمُؤْمِنِينَ
- وَبَشَّرْنَاهُ بِإِسْحَاقَ نَبِيًّا مِنَ الصَّالِحِينَ
- وَبَارَكْنَا عَلَيْهِ وَعَلَىٰ إِسْحَاقَ ۚ وَمِنْ ذُرِّيَّتِهِمَا مُحْسِنٌ وَظَالِمٌ لِنَفْسِهِ مُبِينٌ
- وَلَقَدْ مَنَنَّا عَلَىٰ مُوسَىٰ وَهَارُونَ
- وَنَجَّيْنَاهُمَا وَقَوْمَهُمَا مِنَ الْكَرْبِ الْعَظِيمِ
- وَنَصَرْنَاهُمْ فَكَانُوا هُمُ الْغَالِبِينَ
- وَآتَيْنَاهُمَا الْكِتَابَ الْمُسْتَبِينَ
- وَهَدَيْنَاهُمَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ
- وَتَرَكْنَا عَلَيْهِمَا فِي الْآخِرِينَ
- سَلَامٌ عَلَىٰ مُوسَىٰ وَهَارُونَ
- إِنَّا كَذَٰلِكَ نَجْزِي الْمُحْسِنِينَ
- إِنَّهُمَا مِنْ عِبَادِنَا الْمُؤْمِنِينَ
- وَإِنَّ إِلْيَاسَ لَمِنَ الْمُرْسَلِينَ
- إِذْ قَالَ لِقَوْمِهِ أَلَا تَتَّقُونَ
- أَتَدْعُونَ بَعْلًا وَتَذَرُونَ أَحْسَنَ الْخَالِقِينَ
- اللَّهَ رَبَّكُمْ وَرَبَّ آبَائِكُمُ الْأَوَّلِينَ
- فَكَذَّبُوهُ فَإِنَّهُمْ لَمُحْضَرُونَ
- إِلَّا عِبَادَ اللَّهِ الْمُخْلَصِينَ
- وَتَرَكْنَا عَلَيْهِ فِي الْآخِرِينَ
- سَلَامٌ عَلَىٰ إِلْ يَاسِينَ
- إِنَّا كَذَٰلِكَ نَجْزِي الْمُحْسِنِينَ
- إِنَّهُ مِنْ عِبَادِنَا الْمُؤْمِنِينَ
- وَإِنَّ لُوطًا لَمِنَ الْمُرْسَلِينَ
- إِذْ نَجَّيْنَاهُ وَأَهْلَهُ أَجْمَعِينَ
- إِلَّا عَجُوزًا فِي الْغَابِرِينَ
- ثُمَّ دَمَّرْنَا الْآخَرِينَ
- وَإِنَّكُمْ لَتَمُرُّونَ عَلَيْهِمْ مُصْبِحِينَ
- وَبِاللَّيْلِ ۗ أَفَلَا تَعْقِلُونَ
- وَإِنَّ يُونُسَ لَمِنَ الْمُرْسَلِينَ
- إِذْ أَبَقَ إِلَى الْفُلْكِ الْمَشْحُونِ
- فَسَاهَمَ فَكَانَ مِنَ الْمُدْحَضِينَ
- فَالْتَقَمَهُ الْحُوتُ وَهُوَ مُلِيمٌ
- فَلَوْلَا أَنَّهُ كَانَ مِنَ الْمُسَبِّحِينَ
- لَلَبِثَ فِي بَطْنِهِ إِلَىٰ يَوْمِ يُبْعَثُونَ
- فَنَبَذْنَاهُ بِالْعَرَاءِ وَهُوَ سَقِيمٌ
- وَأَنْبَتْنَا عَلَيْهِ شَجَرَةً مِنْ يَقْطِينٍ
- وَأَرْسَلْنَاهُ إِلَىٰ مِائَةِ أَلْفٍ أَوْ يَزِيدُونَ
- فَآمَنُوا فَمَتَّعْنَاهُمْ إِلَىٰ حِينٍ
- فَاسْتَفْتِهِمْ أَلِرَبِّكَ الْبَنَاتُ وَلَهُمُ الْبَنُونَ
- أَمْ خَلَقْنَا الْمَلَائِكَةَ إِنَاثًا وَهُمْ شَاهِدُونَ
- أَلَا إِنَّهُمْ مِنْ إِفْكِهِمْ لَيَقُولُونَ
- وَلَدَ اللَّهُ وَإِنَّهُمْ لَكَاذِبُونَ
- أَصْطَفَى الْبَنَاتِ عَلَى الْبَنِينَ
- مَا لَكُمْ كَيْفَ تَحْكُمُونَ
- أَفَلَا تَذَكَّرُونَ
- أَمْ لَكُمْ سُلْطَانٌ مُبِينٌ
- فَأْتُوا بِكِتَابِكُمْ إِنْ كُنْتُمْ صَادِقِينَ
- وَجَعَلُوا بَيْنَهُ وَبَيْنَ الْجِنَّةِ نَسَبًا ۚ وَلَقَدْ عَلِمَتِ الْجِنَّةُ إِنَّهُمْ لَمُحْضَرُونَ
- سُبْحَانَ اللَّهِ عَمَّا يَصِفُونَ
- إِلَّا عِبَادَ اللَّهِ الْمُخْلَصِينَ
- فَإِنَّكُمْ وَمَا تَعْبُدُونَ
- مَا أَنْتُمْ عَلَيْهِ بِفَاتِنِينَ
- إِلَّا مَنْ هُوَ صَالِ الْجَحِيمِ
- وَمَا مِنَّا إِلَّا لَهُ مَقَامٌ مَعْلُومٌ
- وَإِنَّا لَنَحْنُ الصَّافُّونَ
- وَإِنَّا لَنَحْنُ الْمُسَبِّحُونَ
- وَإِنْ كَانُوا لَيَقُولُونَ
- لَوْ أَنَّ عِنْدَنَا ذِكْرًا مِنَ الْأَوَّلِينَ
- لَكُنَّا عِبَادَ اللَّهِ الْمُخْلَصِينَ
- فَكَفَرُوا بِهِ ۖ فَسَوْفَ يَعْلَمُونَ
- وَلَقَدْ سَبَقَتْ كَلِمَتُنَا لِعِبَادِنَا الْمُرْسَلِينَ
- إِنَّهُمْ لَهُمُ الْمَنْصُورُونَ
- وَإِنَّ جُنْدَنَا لَهُمُ الْغَالِبُونَ
- فَتَوَلَّ عَنْهُمْ حَتَّىٰ حِينٍ
- وَأَبْصِرْهُمْ فَسَوْفَ يُبْصِرُونَ
- أَفَبِعَذَابِنَا يَسْتَعْجِلُونَ
- فَإِذَا نَزَلَ بِسَاحَتِهِمْ فَسَاءَ صَبَاحُ الْمُنْذَرِينَ
- وَتَوَلَّ عَنْهُمْ حَتَّىٰ حِينٍ
- وَأَبْصِرْ فَسَوْفَ يُبْصِرُونَ
- سُبْحَانَ رَبِّكَ رَبِّ الْعِزَّةِ عَمَّا يَصِفُونَ
- وَسَلَامٌ عَلَى الْمُرْسَلِينَ
- وَالْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Wassaaaffaati saffaa
- Fazzaajiraati zajraa
- Fattaaliyaati Zikra
- Inna Illaahakum la Waahid
- Rabbus samaawaati wal ardi wa maa bainahumaa wa Rabbul mashaariq
- Innaa zaiyannas samaaa 'ad dunyaa bizeenatinil kawaakib
- Wa hifzam min kulli Shaitaanim maarid
- Laa yassamma 'oona ilal mala 'il a'alaa wa yuqzafoona min kulli jaanib
- Duhooranw wa lahum 'azaabunw waasib
- Illaa man khatifal khatfata fa atba'ahoo shihaabun saaqib
- Fastaftihim ahum ashaddu khalqan am man khalaqnaa; innaa khalaqnaahum min teenil laazib
- Bal'ajibta wa yaskharoon
- Wa izaa zukkiroo laa yazkuroon
- Wa izaa ra aw Aayatany yastaskhiroon
- Wa qaalooo in haazaa illaa sihrum mubeen
- 'A-izaa mitnaa wa kunnaa turaabanw wa 'izaaman 'a innaa lamab'oosoon
- Awa aabaa'unal awwaloon
- Qul na'am wa antum daakhiroon
- Fa innamaa hiya zajra tunw waahidatun fa izaa hum yanzuroon
- Wa qaaloo yaa wailanaa haazaa Yawmud-Deen
- Haazaa Yawmul Faslil lazee kuntum bihee tukaziboon (section 1)
- Uhshurul lazeena zalamoo wa azwaajahum wa maa kaanoo ya'budoon
- Min doonil laahi fahdoohum ilaa siraatil Jaheem
- Wa qifoohum innahum mas'ooloon
- Maa lakum laa tanaasaroon
- Bal humul Yawma mustaslimoon
- Wa aqbala ba'duhum 'alaa ba'diny yatasaaa'aloon
- Qaalooo innakum kuntum taatoonanaa 'anil yameen
- Qaaloo bal lam takoonoo mu'mineen
- Wa maa kaana lanaa 'alaikum min sultaanim bal kuntum qawman taagheen
- Fahaqqa 'alainaa qawlu Rabbinaaa innaa lazaaa'iqoon
- Fa aghwainaakum innaa kunnaa ghaaween
- Fa innahum Yawma'izin fil'azaabi mushtarikoon
- Innaa kazaalika naf'alu bil mujrimeen
- Innahum kaanooo izaa qeela lahum laaa ilaaha illal laahu yastakbiroon
- Wa yaqooloona a'innaa lataarikooo aalihatinaa lishaa'irim majnoon
- bal jaaa'a bilhaqqi wa saddaqal mursaleen
- Innakum lazaaa'iqul 'azaabil aleem
- Wa maa tujzawna illaa maa kuntum ta'maloon
- Illaa 'ibaadal laahil mukhlaseen
- Ulaaa'ika lahum rizqum ma'loom
- Fa waakihu wa hum mukramoon
- Fee jannaatin Na'eem
- 'Alaa sururim mutaqaa bileen
- Yutaafu 'alaihim bikaasim mim ma'een
- Baidaaa'a laz zatil lish shaaribeen
- Laa feehaa ghawlunw wa laa hum 'anhaa yunzafoon
- Wa 'indahum qaasiraatut tarfi 'een
- Ka annahunna baidum maknoon
- Fa aqbala ba'duhum 'alaa badiny yatasaaa 'aloon
- Qaala qaaa'ilum minhum innee kaana lee qareen
- Yaqoolu 'a innaka laminal musaddiqeen
- 'A-izaa mitnaa wa kunnaa turaabanw wa 'izaaman 'a innaa lamadeenoon
- Qaala hal antum muttali'oon
- Fattala'a fara aahu fee sawaaa'il Jaheem
- Qaala tallaahi in kitta laturdeen
- Wa law laa ni'matu Rabbee lakuntu minal muhdareen
- Afamaa nahnu bimaiyiteen
- Illa mawtatanal oola wa maa nahnu bimu'azzabeen
- Inna haazaa lahuwal fawzul 'azeem
- Limisli haaza falya'ma lil 'aamiloon
- Azaalika khairun nuzulan am shajaratuz Zaqqoom
- Innaa ja'alnaahaa fitnatal lizzaalimeen
- Innahaa shajaratun takhruju feee aslil Jaheem
- Tal'uhaa ka annahoo ru'oosush Shayaateen
- Fa innahum la aakiloona minhaa famaali'oona minhal butoon
- Summa inna lahum 'alaihaa lashawbam min hameem
- Summa inna marji'ahum la ilal Jaheem
- Innahum alfaw aabaaa'ahum daaalleen
- Fahum 'alaa aasaarihim yuhra'oon
- Wa laqad dalla qablahum aksarul awwaleen
- Wa laqad arsalnaa feehim munzireen
- Fanzur kaifa kaana 'aaqibatul munzareen
- Illaa 'ibaadal laahil mukhlaseen (section 2)
- Wa laqad naadaanaa Noohun falani'mal mujeeboon
- Wa najjainaahu wa ahlahoo minal karbil 'azeem
- Wa ja'alnaa zurriyyatahoo hummul baaqeen
- Wa taraknaa 'alaihi fil aakhireen
- Salaamun 'alaa Noohin fil 'aalameen
- Innaa kazaalika najzil muhsineen
- Innahoo min 'ibaadinal mu'mineen
- Summa aghraqnal aakhareen
- Wa inna min shee'atihee la Ibraaheem
- Iz jaaa'a Rabbahoo bi qalbin saleem
- Iz qaala li abeehi wa qawmihee maazaa ta'budoon
- A'ifkan aalihatan doonal laahi tureedoon
- Famaa zannukum bi Rabbil'aalameen
- Fanazara nazratan finnujoom
- Faqaala innee saqeem
- Fatawallaw 'anhu mudbireen
- Faraagha ilaaa aalihatihim faqaala alaa taakuloon
- Maa lakum laa tantiqoon
- Faraagha 'alaihim darbam bilyameen
- Fa aqbalooo ilaihi yaziffoon
- Qaala ata'budoona maa tanhitoon
- Wallaahu khalaqakum wa maa ta'maloon
- Qaalub noo lahoo bun yaanan fa alqoohu fil jaheem
- Fa araadoo bihee kaidan faja 'alnaahumul asfaleen
- Wa qaala innee zaahibun ilaa Rabbee sa yahdeen
- Rabbi hab lee minas saaliheen
- Fabashsharnaahu bighulaamin haleem
- Falamma balagha ma'a hus sa'ya qaala yaa buniya inneee araa fil manaami anneee azbahuka fanzur maazaa taraa; qaala yaaa abatif 'al maa tu'maru satajidunee in shaaa'allaahu minas saabireen
- Falammaaa aslamaa wa tallahoo liljabeen
- Wa naadainaahu ai yaaaa Ibraheem
- Qad saddaqtar ru'yaa; innaa kazaalika najzil muhsineen
- Inna haazaa lahuwal balaaa'ul mubeen
- Wa fadainaahu bizibhin 'azeem
- Wa taraknaa 'alaihi fil aakhireen
- Salaamun 'alaaa Ibraaheem
- Kazaalika najzil muhsineen
- Innahoo min 'ibaadinal mu'mineen
- Wa bashsharnaahu bi Ishaaqa Nabiyam minas saaliheen
- Wa baaraknaa 'alaihi wa 'alaaa Ishaaq; wa min zurriyya tihimaa muhsinunw wa zaalimul linafsihee mubeen (section 3)
- Wa laqad mananna alaa Moosaa wa Haaroon
- Wa najjainaahumaa wa qawmahumaa minal karbil 'azeem
- Wa nasarnaahum fakaanoo humul ghaalibeen
- Wa aatainaahumal Kitaabal mustabeen
- Wa hadainaahumus Siraatal Mustaqeem
- Wa taraknaa 'alaihimaa fil aakhireen
- Salaamun 'alaa Moosaa wa Haaroon
- Innaa kazaalika najzil muhsineen
- Innahumaa min 'ibaadinal mu'mineen
- Wa inna Ilyaasa laminal mursaleen
- Iz qaala liqawmiheee alaa tattaqoon
- Atad'oona Ba'lanw wa tazaroona ahsanal khaaliqeen
- Allaaha Rabbakum wa Rabba aabaaa'ikumul awwaleen
- Fakazzaboohu fa inna hum lamuhdaroon
- Illaa 'ibaadal laahil mukhlaseen
- Wa taraknaa 'alaihi fil aakhireen
- Salaamun 'alaaa Ilyaaseen
- Innaa kazaalika najzil muhsineen
- Innahoo min 'ibaadinal mu'mineen
- Wa inna Lootal laminal mursaleen
- Iz najjainaahu wa ahlahooo ajma'een
- Illaa 'ajoozan fil ghaabireen
- Summa dammarnal aakhareen
- Wa innakum latamurroona 'alaihim musbiheen
- Wa billail; afalaa ta'qiloon (section 4)
- Wa inna Yoonusa laminal mursaleen
- Iz abaqa ilal fulkil mash hoon
- Fasaahama fakaana minal mudhadeen
- Faltaqamahul hootu wa huwa muleem
- Falaw laaa annahoo kaana minal musabbiheen
- Lalabisa fee batniheee ilaa Yawmi yub'asoon
- Fanabaznaahu bil'araaa'i wa huwa saqeem
- Wa ambatnaa 'alaihi shajaratam mai yaqteen
- Wa arsalnaahu ilaa mi'ati alfin aw yazeedoon
- Fa aamanoo famatta' naahum ilaa heen
- Fastaftihim ali Rabbikal banaatu wa lahumul banoon
- Am khalaqnal malaaa'i kata inaasanw wa hum shaahidoon
- Alaaa innahum min ifkihim la yaqooloon
- Waladal laahu wa innahum lakaaziboon
- Astafal banaati 'alal baneen
- Maa lakum kaifa tahkumoon
- Afalaa tazakkaroon
- Am lakum sultaanum mubeen
- Faatoo bi Kitaabikum in kuntum saadiqeen
- Wa ja'aloo bainahoo wa bainal jinnati nasabaa; wa laqad 'alimatil jinnatu innahum lamuhdaroon
- Subhaanal laahi 'ammaa yasifoon
- Illaa 'ibaadal laahil mukhlaseen
- Fa innakum wa maa ta'budoon
- Maaa antum 'alaihi bi faaatineen
- Illaa man huwa saalil jaheem
- Wa maa minnaaa illaa lahoo maqaamun ma'loom
- Wa innaa lanah nus saaffoon
- Wa innaa lanah nul musabbihoon
- Wa in kaanoo la yaqooloon
- Law anna 'indanaa zikram minal awwaleen
- Lakunna 'ibaadal laahil mukhlaseen
- Fakafaroo bihee fasawfa ya'lamoon
- Wa laqad sabaqat Kalimatunaa li'ibaadinal mursa leen
- Innaa hum lahumul mansooroon
- Wa inna jundana lahumul ghaaliboon
- Fatawalla 'anhum hatta heen
- Wa absirhum fasawfa yubsiroon
- Afabi'azaabinaa yasta'jiloon
- Fa izaa nazala bisaahatihim fasaaa'a sabaahul munzareen
- Wa tawalla 'anhum hattaa heen
- Wa absir fasawfa yubsiroon
- Subhaana Rabbika Rabbil 'izzati 'amma yasifoon
- Wa salaamun 'alalmursaleen
- Walhamdu lillaahi Rabbil 'aalameen (section 5)
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Qataar dar qataar saff baandhne walon ki qasam.2. Phir unki qasam jo daantne phatkaarne wale hain.
3. Phir unki qasam jo kalaam e naseehat sunane wale hain.
4. Tumhara mabood e haqiqi bas ek hi hai.
5. Woh jo zameen aur aasmaano ka aur tamaam un cheezon ka maalik hai jo zameen o aasmaan mein hain, aur saare mashrikon(easts) ka maalik.
6. Humne aasmaan e duniya ko taaron ki zeenat se aarasta (adorn) kiya hai.
7. Aur har shaytan sarkash se isko mehfooz kardiya hai.
8. Yeh shayateen mala-e-aala (High Council) ki baatein nahin sun saktey, har taraf se maare aur haankey jaate hain.
9. Aur inke liye paiham azaaab hai
10. Taaham agar koi inmein se kuch le uday to ek teiz shola uska peecha karta hai.
11. Ab inse pucho, inki paidaish zyada mushkil hai ya un cheezon ki jo humne paida kar rakkhi hain? Inko to humne leis daar gaaray(sticky clay/chickni mitti) se paida kiya hai.
12. Tum (Allah ki qudrat ke karishmon par) hairan ho aur yeh iska mazaaq uda rahe hain.
13. Samjhaya jata hai to samajh kar nahin dete.
14. Koi nishani dekhte hain to usey thatton (mazaaq/mock) mein udatey hain.
15. Aur kehte hain “ yeh to sareeh jaadu hai.
16. Bhala kahin aisa ho sakta hai ke jab hum mar chuke hon aur mitti ban jayein aur haddiyon ka panjar reh jaaye us waqt hum phir zinda karke utha khade kiye jayein?
17. Aur kya hamare agle waqton ke aaba o ajdaad bhi uthaye jayenge?”
18. (Inse kaho haan, aur tum) khuda ke muqable mein baybas ho.
19. Bas ek hi jhidki hogi aur yakayak yeh apni aankhon se (woh sab kuch jiski khabar di jaa rahi hai) dekh rahe honge.
20. Us waqt yeh kahengey “ haaye hamari kambakhti , yeh to yaum ul jaza hai”
21. “yeh wahi faisle ka din hai jise tum jhutlaya karte thay”
22. (Hukum hoga) gher lao sab zalimon aur unke saathiyon aur un maboodon ko jinki woh khuda ko chodh kar bandagi kiya karte thay.
23. Phir un sab ko jahannum ka raasta dikhao.
24. Aur zara inhein thehrao, inse kuch puchna hai.
25. “Kya ho gaya tumhein, ab kyun ek dusre ki madad nahin karte?
26. (Arey, aaj to yeh apne aap ko) aur ek dusre ko hawaliye (surrender) kiye de rahe hain”!
27. Iske baad yeh ek dusre ki taraf mudenge aur baham takrar shuru kar denge.
28. (Pairvi karne wale apne peshwaon[leaders] se) kahenge, “Tum hamare paas seedhe rukh se aate thay”
29. Woh jawaab denge “nahin balke tum khud iman laane wale na thay.
30. Hamara tumpar koi zoar na tha, tum khud hi sarkash log thay.
31. Aakhir e kaar hum apne Rubb ke is farmaan ke mustahiq ho gaye ke hum azaab ka maza chakhne wale hain.
32. So humne tumko behkaya, hum khud behke huey thay”
33. Is taraah woh sab us roz azaab mein mushtarik (shareek) honge.
34. Hum mujrimon ke saath yahi kuch kiya karte hain.
35. Yeh woh log thay ke jab unse kaha jata “Allah ke siwa koi maabood e barhaqq nahin hai” to yeh ghamand mein aa jaate thay.
36. Aur kehte thay “kya hum ek shayar majnoon (dewane) ki khaatir apne maboodon ko chodh dein?”
37. Halaanke woh haqq lekar aaya tha aur usne Rasoolon ki tasdeeq ki thi.
38. (Ab unse kaha jayega ke) tum laaziman dardnaak saza ka maza chakhne wale ho.
39. Aur tumhein jo badla bhi diya jaa raha hai unhi aamaal ka diya jaa raha hai jo tum karte rahe ho.
40. Magar Allah ke cheeda (chune huey/chosen) banday (is anjaam e badd se) mehfooz honge.
41. Unke liye jaana bujha rizq (known provision) hai.
42. Har tarah ki lazeez cheezein ,
43. Aur niyamat bhari jannatein.
44. Jinmein woh izzat ke saath rakkhe jayenge, takhaton par aamne saamne baithenge.
45. Sharaab ke chamson (springs) se sagar (cups) bhar bhar kar unke darmiyan phiraye jayenge.
46. Chamakti hui sharaab, jo peene walon ke liye lazzat hogi.
47. Na unke jism ko us se koi zarar hoga aur na unki aqal us se kharab hogi.
48. Aur unke paas nigaahein bachane wali, khoobsurat aankhon wali auratein hongi.
49. Aisi naazuk jaise andey (egg) ke chilke ke nichey chupi hui jhilli.
50. Phir woh ek dusre ki taraf mutawajjeh hokar halaat puchengey.
51. Unmein se ek kahega, “duniya mein mera ek hum nahseen (companion) tha.
52. Jo mujhse kaha karta tha, kya tum bhi tasdeeq karne walon mein se ho?
53. Kya waqayi jab hum mar chuke honge aur mitti ho jayenge aur haddiyon ka panjar bankar reh jayenge to humein jaza o saza di jayegi?
54. Ab kya aap log dekhna chahte hain ke woh sahib ab kahan hain?”
55. Yeh keh kar junhi woh jhukega to jahannum ki gehrayi mein usko dekh lega.
56. Aur us se khitaab karke kahega “khuda ki qasam, tu to mujhe tabaah hi kar dene wala tha.
57. Mere Rubb ka fazl shamil e haal na hota to aaj main bhi un logon mein se hota jo pakde huey aaye hain.
58. Accha to kya ab hum marne wale nahin hain?
59. Maut jo humein aani thi woh bas pehle aa chuki? Ab humein koi azaab nahin hona?”
60. Yakeenan yahi azeem o shaan kaamiyabi hai.
61. Aisi hi kamiyabi ke liye amal karne walon ko amal karna chahiye.
62. Bolo, yeh ziyafat acchi hai ya zakkhum ka darakht?
63. Humne us darakht ko zalimon ke liye fitna bana diya hai.
64. Woh ek darakht hai jo jahannum ki teh se nikalta hai.
65. Uske shagufe (emerging fruit) aise hain jaise shaytano ke sar.
66. Jahannum ke log usey khayenge aur usi se pait bharengey.
67. Phir ispar peene ke liye khaulta hua pani milega.
68. Aur iske baad unki wapsi usi aatish e dozakh (blazing Hell) ki taraf hogi.
69. Yeh woh log hain jinhon ne apne baap dada ko gumraah paya.
70. Aur unhi ke nakshe qadam par daud chale.
71. Halaanke unse pehle bahut se log gumraah ho chuke thay.
72. Aur unmein humne tambeeh (warn) karne wale Rasool bheje thay.
73. Ab dekhlo ke un tambeeh kiye jaane walon ka kya anjaam hua.
74. Is bad-anjaami se bas Allah ke wahi banday bachay hain jinhein usne apne liye khaalis karliya hai.
75. Humko (issey pehle) Nooh ne pukara tha, to dekho ke hum kaise acche jawab dene wale thay.
76. Humne usko aur uske ghar walon ko karb-e-azeem (badi museebat) se bacha liya.
77. Aur usi ki nasal ko baki rakkha.
78. Aur baad ki nasalon mein iski tareef o tausif chodh di.
79. Salaam hai Nooh par tamaam duniya walon mein.
80. Hum neki karne walon ko aisi hi jaza diya karte hain.
81. Dar haqeeqat woh hamare momin bandon mein se tha.
82. Phir dusre giroh ko humne garq (drown) kardiya
83. Aur Nooh hi ke tareeqey par chalne wala Ibrahim tha.
84. Jab woh apne Rubb ke huzur qalb e saleem lekar aaya.
85. Jab usne apne baap aur apni qaum se kaha “yeh kya cheezein hain jinki tum ibaadat kar rahe ho?
86. Kya Allah ko chodh kar jhoot ghadey huey maabood chahte ho?
87. Aakhir Allah Rubb-ul-Aalameen ke baare mein tumhara kya gumaan hai?”
88. Phir usne taaron par ek nigaah daali,
89. Aur kaha meri tabiyat kharaab hai.
90. Chunanche woh log usey chodh kar chale gaye.
91. Unke pichey woh chupke se unke maboodon ke mandir mein ghus gaya aur bola “aap log khate kyun nahin hain?
92. Kya ho gaya, aap log bolte bhi nahin?”
93. Iske baad woh unpar pil (toot) pada aur seedhe haath se khoob zarbein lagayi (todhna shuru kiya).
94. (Wapas aakar) woh log bhaage bhaage uske paas aaye.
95. Usne kaha “kya tum apni hi tarashi hui cheezon ko poojhte ho?
96. Halaanke Allah hi ne tumko bhi paida kiya hai aur un cheezon ko bhi jinhein tum banatey ho”
97. Unhon ne aapas mein kaha “ iske liya ek alaaw (pyre) tayyar karo aur isey dehakti hui aag ke dhair mein phenk do”
98. Unhon ne uske khilaf ek karawayi karna chahi thi, magar humne unhi ko nicha dikha diya.
99. Ibrahim ne kaha “ main apne Rubb ki taraf jata hoon, wahi meri rehnumayi karega.
100. Aey parwardigar , mujhe ek beta ata kar jo salihon (righteous) mein se ho”
101. (Is dua ke jawab mein) humne usko ek haleem (burdbaar) ladke ki basharat di.
102. Woh ladka jab uske saath daud dhoop karne ki umar ko pahunch gaya to (ek roz) Ibrahim ne us se kaha, “beta, main khwab mein dekhta hoon ke main tujhey zibah kar raha hoon, ab tu bata, tera kya khayal hai?” Usne kaha, “abbajan , jo kuch aapko hukm diya jaa raha hai usey kar daliye, aap insha Allah mujhe saabiron(sabr karne walon) mein se payenge”
103. Aakhir ko jab in dono ne sar-e-tasleem kham kardiya aur Ibrahim ne bete ko maathay ke bal gira diya.
104. Aur humne nida di ke “Aey Ibrahim
105. Tu ne khwab sach kar dikhaya hum neki karne walon ko aisi hi jaza deta hain.
106. Yaqeenan yeh ek khuli aazmaaish thi”
107. Aur humne ek badi qurbani fidiye mein dekar us bacche ko chuda liya.
108. Aur uski tareef o tauseef hamesha ke liye baad ki nasalon mein chodh di.
109. Salaam hai Ibrahim par.
110. Hum neki karne walon ko aisi hi jaza dete hain.
111. Yaqeenan woh hamare momin bandon mein se tha.
112. Aur humne usey Ishaq (Issac) ki basharat di, ek Nabi saliheen mein se.
113. Aur usey aur Ishaq ko barakat di. Ab in dono ki zurriyat mein se koi mohsin hai aur koi apne nafs par sareeh zulm karne wala hai.
114. Aur humne Moosa o Haroon par ehsan kiya.
115. Unko aur unki qaum ko karb-e-azeem (badi museebat) se najaat di.
116. Unhein nusrat bakshi jiski wajah se wahi gaalib rahe.
117. Unko nihayat wazeh kitaab ata ki.
118. Unhein raah-e-raast dikhayi.
119. Aur baad ki nasalon mein unka zikr e khair baki rakkha.
120. Salaam hai Moosa aur Haroon par.
121. Hum neki karne walon ko aisi hi jaza dete hain.
122. Dar haqeeqat woh hamare momin bandon mein se thay.
123. Aur Ilyas bhi yaqeenan mursaleen(messengers) mein se tha.
124. Yaad karo jab usne apni qaum se kaha tha ke “tum log darte nahin ho?
125. Kya tum BAAL ko pukarte ho aur ahsanul khaliqeen ko chodh dete ho.
126. Us Allah ko jo tumhara aur tumhare agle pichle aaba o ajdaad ka Rubb hai?”
127. Magar unhon ne usey jhutla diya, so ab yaqeenan woh saza ke liye pesh kiye jaane wale hain.
128. Bajuz un bandagaan e khuda ke jinko khaalis karliya gaya tha.
129. Aur Ilyas ka zikr e khair humne baad ki nasalon mein baki rakkha.
130. Salaam hai Ilyas par.
131. Hum neki karne walon ko aisi hi jaza dete hain.
132. Waqayi woh hamare momin bandon mein se tha.
133. Aur Lut bhi unhi logon mein se tha jo Rasool bana kar bheje gaye hain.
134. Yaad karo jab humne usko aur uske sab gar walon ko najaat di.
135. Siwaye ek budiya ke jo pichey reh jaane walon mein se thi.
136. Phir baki sabko tehas nehas kardiya
137. Aaj tum shab-o-roz unke ujday dayar (desolate habitations) par se guzarte ho.
138. Kya tumko aqal nahin aati?
139. Aur yaqeenan Yunus bhi Rasoolon mein se tha.
140. Yaad karo jab woh ek bhari kashti ki taraf bhaag nikla.
141. Phir quora andazi (cast lots) mein shareek hua aur usmein maath khayi (among the losers) .
142. Aakhir e kaar machli ne usey nigal liya aur woh malamat zada tha.
143. Ab agar woh tasbeeh karne walon mein se na hota to.
144. Roz-e-qayamat tak usi machli ke pait mein rehta.
145. Aakhir humne usey badi sakheem (bimar /ill) haalat mein ek chatiyal zameen par phenk diya.
146. Aur uspar ek bail-daar darakht (a spreading plant of the gourd kind) uga diya.
147. Iske baad humne usey ek lakh ya us se zayad logon ki taraf bheja.
148. Woh iman laye aur humne ek waqt e khaas tak unhein baki rakkha.
149. Phir zara in logon se pucho, kya (inke dil ko yeh baat lagti hai ke) tumhare Rubb ke liye to hon betiyan aur inke liye hon betay!
150. Kya waqayi humne malaika (farishton) ko auratein banaya hai aur yeh aankhon dekhi baat keh rahe hain?
151. Khoob sun rakkho, dar-asal yeh log apni mann ghadat se yeh baat kehte hain.
152. Ke Allah aulad rakhta hai, aur fil waqayi yeh jhootey hain.
153. Kya Allah ne beton ke bajaye betiyan apne liye pasand karli?
154. Tumhein kya ho gaya hai, kaise hukm laga rahe ho.
155. Kya tumhein hosh nahin aata.
156. Ya phir tumhare paas apni in baaton ke liye koi saaf sanad (daleel) hai
157. To lao apni woh kitaab agar tum sacche ho.
158. Inhon ne Allah aur malaika ke darmiyan nasab (kinship) ka rishta bana rakkha hai, halanke malaika khoob jaante hain ke yeh log mujrim ki haisiyat se pesh hone wale hain.
159. (aur woh kehte hain ke) “Allah un sifaat se paak hai.
160. Jo uske khaalis bandon ke siwa dusre log uski taraf mansoob karte hain.
161. Pas tum aur tumhare yeh mabood.
162. Allah se kisi ko pher nahin sakte.
163. Magar sifr usko jo dozakh ki bhadakti hui aag mein jhulasne wala ho.
164. Aur hamara haal to yeh hai ke hum mein se har ek ka ek muqaam mukarrar hai.
165. Aur hum saff basta (in rows) khidmatgaar hain.
166. Tasbeeh karne wale hain.”
167. Yeh log pehle to kaha karte thay
168. Ke kaash hamare paas woh “Zikr” hota jo pichli qaumon ko mila tha
169. To hum Allah ke cheedah (chune huey/chosen) banday hotay.
170. Magar (jab woh aa gaya) to inhon ne uska inkar kardiya, ab ankareeb inhein (is rawish ka natija) maloom ho jayega.
171. Apne bheje huey bandon se hum pehle hi waada kar chuke hain.
172. Ke yaqeenan unki madad ki jayegi.
173. Aur hamara lashkar hi gaalib hokar rahega.
174. Pas (aey Nabi) zara kuch muddat tak inhein inke haal par chodh do.
175. Aur dekhte raho, anqareeb yeh khud bhi dekh lenge.
176. Kya yeh hamare azaab ke liye jaldi macha rahe hain?
177. Jab woh inke sehan (maidan/open space) mein aa utrega woh din un logon ke liye bahut bura hoga jinhein mutanabbeh (warn) kiya jaa chuka hai.
178. Pas zara inhein kuch muddat ke liye chodh do.
179. Aur dekhte raho, anqareeb yeh khud dekh lenge.
180. Paak hai tera Rubb, izzat ka maalik, un tamaam baaton se jo yeh log bana rahe hain.
181. Aur salaam hai mursalin (messengers) par.
182. Aur saari tareef Allah Rabbul Aalameen hi ke liye hai.
Comments
Post a Comment