📖 Surah 36 YaSeen Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- يس
- وَالْقُرْآنِ الْحَكِيمِ
- إِنَّكَ لَمِنَ الْمُرْسَلِينَ
- عَلَىٰ صِرَاطٍ مُسْتَقِيمٍ
- تَنْزِيلَ الْعَزِيزِ الرَّحِيمِ
- لِتُنْذِرَ قَوْمًا مَا أُنْذِرَ آبَاؤُهُمْ فَهُمْ غَافِلُونَ
- لَقَدْ حَقَّ الْقَوْلُ عَلَىٰ أَكْثَرِهِمْ فَهُمْ لَا يُؤْمِنُونَ
- إِنَّا جَعَلْنَا فِي أَعْنَاقِهِمْ أَغْلَالًا فَهِيَ إِلَى الْأَذْقَانِ فَهُمْ مُقْمَحُونَ
- وَجَعَلْنَا مِنۢ بَيْنِ أَيْدِيهِمْ سَدًّۭا وَمِنْ خَلْفِهِمْ سَدًّۭا فَأَغْشَيْنَـٰهُمْ فَهُمْ لَا يُبْصِرُونَ
- وَسَوَاءٌ عَلَيْهِمْ أَأَنْذَرْتَهُمْ أَمْ لَمْ تُنْذِرْهُمْ لَا يُؤْمِنُونَ
- إِنَّمَا تُنْذِرُ مَنِ اتَّبَعَ الذِّكْرَ وَخَشِيَ الرَّحْمَٰنَ بِالْغَيْبِ ۖ فَبَشِّرْهُ بِمَغْفِرَةٍ وَأَجْرٍ كَرِيمٍ
- إِنَّا نَحْنُ نُحْيِي الْمَوْتَىٰ وَنَكْتُبُ مَا قَدَّمُوا وَآثَارَهُمْ ۚ وَكُلَّ شَيْءٍ أَحْصَيْنَاهُ فِي إِمَامٍ مُبِينٍ
- وَاضْرِبْ لَهُمْ مَثَلًا أَصْحَابَ الْقَرْيَةِ إِذْ جَاءَهَا الْمُرْسَلُونَ
- إِذْ أَرْسَلْنَا إِلَيْهِمُ اثْنَيْنِ فَكَذَّبُوهُمَا فَعَزَّزْنَا بِثَالِثٍ فَقَالُوا إِنَّا إِلَيْكُمْ مُرْسَلُونَ
- قَالُوا مَا أَنْتُمْ إِلَّا بَشَرٌ مِثْلُنَا وَمَا أَنْزَلَ الرَّحْمَٰنُ مِنْ شَيْءٍ إِنْ أَنْتُمْ إِلَّا تَكْذِبُونَ
- قَالُوا رَبُّنَا يَعْلَمُ إِنَّا إِلَيْكُمْ لَمُرْسَلُونَ
- وَمَا عَلَيْنَا إِلَّا الْبَلَاغُ الْمُبِينُ
- قَالُوا إِنَّا تَطَيَّرْنَا بِكُمْ ۖ لَئِنْ لَمْ تَنْتَهُوا لَنَرْجُمَنَّكُمْ وَلَيَمَسَّنَّكُمْ مِنَّا عَذَابٌ أَلِيمٌ
- قَالُوا طَائِرُكُمْ مَعَكُمْ ۚ أَئِنْ ذُكِّرْتُمْ ۚ بَلْ أَنْتُمْ قَوْمٌ مُسْرِفُونَ
- وَجَاءَ مِنْ أَقْصَى الْمَدِينَةِ رَجُلٌ يَسْعَىٰ قَالَ يَا قَوْمِ اتَّبِعُوا الْمُرْسَلِينَ
- اتَّبِعُوا مَنْ لَا يَسْأَلُكُمْ أَجْرًا وَهُمْ مُهْتَدُونَ
- وَمَا لِيَ لَا أَعْبُدُ الَّذِي فَطَرَنِي وَإِلَيْهِ تُرْجَعُونَ
- أَأَتَّخِذُ مِنْ دُونِهِ آلِهَةً إِنْ يُرِدْنِ الرَّحْمَٰنُ بِضُرٍّ لَا تُغْنِ عَنِّي شَفَاعَتُهُمْ شَيْئًا وَلَا يُنْقِذُونِ
- إِنِّي إِذًا لَفِي ضَلَالٍ مُبِينٍ
- إِنِّي آمَنْتُ بِرَبِّكُمْ فَاسْمَعُونِ
- قِيلَ ادْخُلِ الْجَنَّةَ ۖ قَالَ يَا لَيْتَ قَوْمِي يَعْلَمُونَ
- بِمَا غَفَرَ لِي رَبِّي وَجَعَلَنِي مِنَ الْمُكْرَمِينَ
- وَمَا أَنْزَلْنَا عَلَىٰ قَوْمِهِ مِنْ بَعْدِهِ مِنْ جُنْدٍ مِنَ السَّمَاءِ وَمَا كُنَّا مُنْزِلِينَ
- إِنْ كَانَتْ إِلَّا صَيْحَةً وَاحِدَةً فَإِذَا هُمْ خَامِدُونَ
- يَا حَسْرَةً عَلَى الْعِبَادِ ۚ مَا يَأْتِيهِمْ مِنْ رَسُولٍ إِلَّا كَانُوا بِهِ يَسْتَهْزِئُونَ
- أَلَمْ يَرَوْا كَمْ أَهْلَكْنَا قَبْلَهُمْ مِنَ الْقُرُونِ أَنَّهُمْ إِلَيْهِمْ لَا يَرْجِعُونَ
- وَإِنْ كُلٌّ لَمَّا جَمِيعٌ لَدَيْنَا مُحْضَرُونَ
- وَءَايَةٌۭ لَّهُمُ ٱلْأَرْضُ ٱلْمَيْتَةُ أَحْيَيْنَـٰهَا وَأَخْرَجْنَا مِنْهَا حَبًّۭا فَمِنْهُ يَأْكُلُونَ
- وَجَعَلْنَا فِيهَا جَنَّاتٍ مِنْ نَخِيلٍ وَأَعْنَابٍ وَفَجَّرْنَا فِيهَا مِنَ الْعُيُونِ
- لِيَأْكُلُوا مِنْ ثَمَرِهِ وَمَا عَمِلَتْهُ أَيْدِيهِمْ ۖ أَفَلَا يَشْكُرُونَ
- سُبْحَانَ الَّذِي خَلَقَ الْأَزْوَاجَ كُلَّهَا مِمَّا تُنْبِتُ الْأَرْضُ وَمِنْ أَنْفُسِهِمْ وَمِمَّا لَا يَعْلَمُونَ
- وَآيَةٌ لَهُمُ اللَّيْلُ نَسْلَخُ مِنْهُ النَّهَارَ فَإِذَا هُمْ مُظْلِمُونَ
- وَالشَّمْسُ تَجْرِي لِمُسْتَقَرٍّ لَهَا ۚ ذَٰلِكَ تَقْدِيرُ الْعَزِيزِ الْعَلِيمِ
- وَالْقَمَرَ قَدَّرْنَاهُ مَنَازِلَ حَتَّىٰ عَادَ كَالْعُرْجُونِ الْقَدِيمِ
- لَا الشَّمْسُ يَنْبَغِي لَهَا أَنْ تُدْرِكَ الْقَمَرَ وَلَا اللَّيْلُ سَابِقُ النَّهَارِ ۚ وَكُلٌّ فِي فَلَكٍ يَسْبَحُونَ
- وَآيَةٌ لَهُمْ أَنَّا حَمَلْنَا ذُرِّيَّتَهُمْ فِي الْفُلْكِ الْمَشْحُونِ
- وَخَلَقْنَا لَهُمْ مِنْ مِثْلِهِ مَا يَرْكَبُونَ
- وَإِنْ نَشَأْ نُغْرِقْهُمْ فَلَا صَرِيخَ لَهُمْ وَلَا هُمْ يُنْقَذُونَ
- إِلَّا رَحْمَةً مِنَّا وَمَتَاعًا إِلَىٰ حِينٍ
- وَإِذَا قِيلَ لَهُمُ اتَّقُوا مَا بَيْنَ أَيْدِيكُمْ وَمَا خَلْفَكُمْ لَعَلَّكُمْ تُرْحَمُونَ
- وَمَا تَأْتِيهِمْ مِنْ آيَةٍ مِنْ آيَاتِ رَبِّهِمْ إِلَّا كَانُوا عَنْهَا مُعْرِضِينَ
- وَإِذَا قِيلَ لَهُمْ أَنْفِقُوا مِمَّا رَزَقَكُمُ اللَّهُ قَالَ الَّذِينَ كَفَرُوا لِلَّذِينَ آمَنُوا أَنُطْعِمُ مَنْ لَوْ يَشَاءُ اللَّهُ أَطْعَمَهُ إِنْ أَنْتُمْ إِلَّا فِي ضَلَالٍ مُبِينٍ
- وَيَقُولُونَ مَتَىٰ هَٰذَا الْوَعْدُ إِنْ كُنْتُمْ صَادِقِينَ
- مَا يَنْظُرُونَ إِلَّا صَيْحَةً وَاحِدَةً تَأْخُذُهُمْ وَهُمْ يَخِصِّمُونَ
- فَلَا يَسْتَطِيعُونَ تَوْصِيَةً وَلَا إِلَىٰ أَهْلِهِمْ يَرْجِعُونَ
- وَنُفِخَ فِي الصُّورِ فَإِذَا هُمْ مِنَ الْأَجْدَاثِ إِلَىٰ رَبِّهِمْ يَنْسِلُونَ
- قَالُوا يَا وَيْلَنَا مَنْ بَعَثَنَا مِنْ مَرْقَدِنَا ۜ ۗ هَٰذَا مَا وَعَدَ الرَّحْمَٰنُ وَصَدَقَ الْمُرْسَلُونَ
- إِنْ كَانَتْ إِلَّا صَيْحَةً وَاحِدَةً فَإِذَا هُمْ جَمِيعٌ لَدَيْنَا مُحْضَرُونَ
- فَالْيَوْمَ لَا تُظْلَمُ نَفْسٌ شَيْئًا وَلَا تُجْزَوْنَ إِلَّا مَا كُنْتُمْ تَعْمَلُونَ
- إِنَّ أَصْحَابَ الْجَنَّةِ الْيَوْمَ فِي شُغُلٍ فَاكِهُونَ
- هُمْ وَأَزْوَاجُهُمْ فِي ظِلَالٍ عَلَى الْأَرَائِكِ مُتَّكِئُونَ
- لَهُمْ فِيهَا فَاكِهَةٌ وَلَهُمْ مَا يَدَّعُونَ
- سَلَامٌ قَوْلًا مِنْ رَبٍّ رَحِيمٍ
- وَامْتَازُوا الْيَوْمَ أَيُّهَا الْمُجْرِمُونَ
- أَلَمْ أَعْهَدْ إِلَيْكُمْ يَا بَنِي آدَمَ أَنْ لَا تَعْبُدُوا الشَّيْطَانَ ۖ إِنَّهُ لَكُمْ عَدُوٌّ مُبِينٌ
- وَأَنِ اعْبُدُونِي ۚ هَٰذَا صِرَاطٌ مُسْتَقِيمٌ
- وَلَقَدْ أَضَلَّ مِنْكُمْ جِبِلًّا كَثِيرًا ۖ أَفَلَمْ تَكُونُوا تَعْقِلُونَ
- هَٰذِهِ جَهَنَّمُ الَّتِي كُنْتُمْ تُوعَدُونَ
- اصْلَوْهَا الْيَوْمَ بِمَا كُنْتُمْ تَكْفُرُونَ
- الْيَوْمَ نَخْتِمُ عَلَىٰ أَفْوَاهِهِمْ وَتُكَلِّمُنَا أَيْدِيهِمْ وَتَشْهَدُ أَرْجُلُهُمْ بِمَا كَانُوا يَكْسِبُونَ
- وَلَوْ نَشَاءُ لَطَمَسْنَا عَلَىٰ أَعْيُنِهِمْ فَاسْتَبَقُوا الصِّرَاطَ فَأَنَّىٰ يُبْصِرُونَ
- وَلَوْ نَشَاءُ لَمَسَخْنَاهُمْ عَلَىٰ مَكَانَتِهِمْ فَمَا اسْتَطَاعُوا مُضِيًّا وَلَا يَرْجِعُونَ
- وَمَنْ نُعَمِّرْهُ نُنَكِّسْهُ فِي الْخَلْقِ ۖ أَفَلَا يَعْقِلُونَ
- وَمَا عَلَّمْنَاهُ الشِّعْرَ وَمَا يَنْبَغِي لَهُ ۚ إِنْ هُوَ إِلَّا ذِكْرٌ وَقُرْآنٌ مُبِينٌ
- لِيُنْذِرَ مَنْ كَانَ حَيًّا وَيَحِقَّ الْقَوْلُ عَلَى الْكَافِرِينَ
- أَوَلَمْ يَرَوْا أَنَّا خَلَقْنَا لَهُمْ مِمَّا عَمِلَتْ أَيْدِينَا أَنْعَامًا فَهُمْ لَهَا مَالِكُونَ
- وَذَلَّلْنَاهَا لَهُمْ فَمِنْهَا رَكُوبُهُمْ وَمِنْهَا يَأْكُلُونَ
- وَلَهُمْ فِيهَا مَنَافِعُ وَمَشَارِبُ ۖ أَفَلَا يَشْكُرُونَ
- وَاتَّخَذُوا مِنْ دُونِ اللَّهِ آلِهَةً لَعَلَّهُمْ يُنْصَرُونَ
- لَا يَسْتَطِيعُونَ نَصْرَهُمْ وَهُمْ لَهُمْ جُنْدٌ مُحْضَرُونَ
- فَلَا يَحْزُنْكَ قَوْلُهُمْ ۘ إِنَّا نَعْلَمُ مَا يُسِرُّونَ وَمَا يُعْلِنُونَ
- أَوَلَمْ يَرَ الْإِنْسَانُ أَنَّا خَلَقْنَاهُ مِنْ نُطْفَةٍ فَإِذَا هُوَ خَصِيمٌ مُبِينٌ
- وَضَرَبَ لَنَا مَثَلًا وَنَسِيَ خَلْقَهُ ۖ قَالَ مَنْ يُحْيِي الْعِظَامَ وَهِيَ رَمِيمٌ
- قُلْ يُحْيِيهَا الَّذِي أَنْشَأَهَا أَوَّلَ مَرَّةٍ ۖ وَهُوَ بِكُلِّ خَلْقٍ عَلِيمٌ
- الَّذِي جَعَلَ لَكُمْ مِنَ الشَّجَرِ الْأَخْضَرِ نَارًا فَإِذَا أَنْتُمْ مِنْهُ تُوقِدُونَ
- أَوَلَيْسَ الَّذِي خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ بِقَادِرٍ عَلَىٰ أَنْ يَخْلُقَ مِثْلَهُمْ ۚ بَلَىٰ وَهُوَ الْخَلَّاقُ الْعَلِيمُ
- إِنَّمَا أَمْرُهُ إِذَا أَرَادَ شَيْئًا أَنْ يَقُولَ لَهُ كُنْ فَيَكُونُ
- فَسُبْحَانَ الَّذِي بِيَدِهِ مَلَكُوتُ كُلِّ شَيْءٍ وَإِلَيْهِ تُرْجَعُونَ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Yaa-Seeen
- Wal-Qur-aanil-Hakeem
- Innaka laminal mursaleen
- 'Alaa Siraatim Mustaqeem
- Tanzeelal 'Azeezir Raheem
- Litunzira qawmam maaa unzira aabaaa'uhum fahum ghaafiloon
- Laqad haqqal qawlu 'alaaa aksarihim fahum laa yu'minoon
- Innaa ja'alnaa feee a'naaqihim aghlaalan fahiya ilal azqaani fahum muqmahoon
- Wa ja'alnaa min baini aydeehim saddanw-wa min khalfihim saddan fa aghshai naahum fahum laa yubsiroon
- Wa sawaaa'un 'alaihim 'a-anzartahum am lam tunzirhum laa yu'minoon
- Innamaa tunziru manit taba 'az-Zikra wa khashiyar Rahmaana bilghaib, fabashshirhu bimaghfiratinw-wa ajrin kareem
- Innaa Nahnu nuhyil mawtaa wa naktubu maa qaddamoo wa aasaarahum; wa kulla shai'in ahsainaahu feee Imaamim Mubeen
- Wadrib lahum masalan Ashaabal Qaryatih; iz jaaa'ahal mursaloon
- Iz arsalnaaa ilaihimusnaini fakazzaboohumaa fa'azzaznaa bisaalisin faqaalooo innaaa ilaikum mursaloon
- Qaaloo maaa antum illaa basharum mislunaa wa maaa anzalar Rahmaanu min shai'in in antum illaa takziboon
- Qaaloo Rabbunaa ya'lamu innaaa ilaikum lamursaloon
- Wa maa 'alainaaa illal balaaghul mubeen
- Qaaloo innaa tataiyarnaa bikum la'il-lam tantahoo lanar jumannakum wa la-yamassan nakum minnaa 'azaabun aleem
- Qaaloo taaa'irukum ma'akum; a'in zukkirtum; bal antum qawmum musrifoon
- Wa jaaa'a min aqsal madeenati rajuluny yas'aa qaala yaa qawmit tabi'ul mursaleen
- Ittabi'oo mal-laa yas'alukum ajranw-wa hum muhtadoon
- Wa maa liya laaa a'budul lazee fataranee wa ilaihi turja'oon
- 'A-attakhizu min dooniheee aalihatan iny-yuridnir Rahmaanu bidurril-laa tughni 'annee shafaa 'atuhum shai 'anw-wa laa yunqizoon
- Inneee izal-lafee dalaa-lim-mubeen
- Inneee aamantu bi Rabbikum fasma'oon
- Qeelad khulil Jannnah; qaala yaa laita qawmee ya'lamoon
- Bimaa ghafara lee Rabbee wa ja'alanee minal mukrameen (End Juz 22)
- Wa maaa anzalnaa 'alaa qawmihee mim ba'dihee min jundim minas-samaaa'i wa maa kunnaa munzileen
- In kaanat illaa saihatanw waahidatan fa-izaa hum khaamidoon
- Yaa hasratan 'alal 'ibaaad; maa ya'teehim mir Rasoolin illaa kaanoo bihee yastahzi 'oon
- Alam yaraw kam ahlak naa qablahum minal qurooni annahum ilaihim laa yarji'oon
- Wa in kullul lammaa jamee'ul-ladainaa muhdaroon
- Wa Aayatul lahumul ardul maitatu ahyainaahaa wa akhrajnaa minhaa habban faminhu ya'kuloon
- Wa ja'alnaa feehaa jannaatim min nakheelinw wa a'naabinw wa fajjarnaa feeha minal 'uyoon
- Li ya'kuloo min samarihee wa maa 'amilat-hu aideehim; afalaa yashkuroon
- Subhaanal lazee khalaqal azwaaja kullahaa mimmaa tumbitul ardu wa min anfusihim wa mimmaa laa ya'lamoon
- Wa Aayatul lahumul lailu naslakhu minhun nahaara fa-izaa hum muzlimoon
- Wash-shamsu tajree limustaqarril lahaa; zaalika taqdeerul 'Azeezil Aleem
- Walqamara qaddarnaahu manaazila hattaa 'aada kal'ur joonil qadeem
- Lash shamsu yambaghee lahaaa an tudrikal qamara walal lailu saabiqun nahaar; wa kullun fee falaki yasbahoon
- Wa Aayatul lahum annaa hamalnaa zurriyatahum fil fulkil mashhoon
- Wa khalaqnaa lahum mim-mislihee maa yarkaboon
- Wa in nashaa nughriqhum falaa sareekha lahum wa laa hum yunqazoon
- Illaa rahmatam minnaa wa mataa'an ilaa heen
- Wa izaa qeela lahumuttaqoo maa baina aideekum wa maa khalfakum la'allakum turhamoon
- Wa maa ta'teehim min aayatim min Aayaati Rabbihim illaa kaanoo 'anhaa mu'rideen
- Wa izaa qeela lahum anfiqoo mimmaa razaqakumul laahu qaalal lazeena kafaroo lillazeena aamanooo anut'imu mal-law yashaaa'ul laahu at'amahooo in antum illaa fee dalaalim mubeen
- Wa yaqooloona mataa haazal wa'du in kuntum saadiqeen
- Maa yanzuroona illaa saihatanw waahidatan ta'khuzuhum wa hum yakhissimoon
- Falaa yastatee'oona taw siyatanw-wa laaa ilaaa ahlihim yarji'oon
- Wa nufikha fis-soori faizaa hum minal ajdaasi ilaa Rabbihim yansiloon
- Qaaloo yaa wailanaa mam ba'asanaa mim marqadinaa; haaza maa wa'adar Rahmanu wa sadaqal mursaloon
- In kaanat illaa saihatanw waahidatan fa-izaa hum jamee'ul ladainaa muhdaroon
- Fal-Yawma laa tuzlamu nafsun shai'anw-wa laa tujzawna illaa maa kuntum ta'maloon
- Inna Ashaabal jannatil Yawma fee shughulin faakihoon
- Hum wa azwaajuhum fee zilaalin 'alal araaa'iki muttaki'oon
- Lahum feehaa faakiha tunw-wa lahum maa yadda'oon
- Salaamun qawlam mir Rabbir Raheem
- Wamtaazul Yawma ayyuhal mujrimoon
- Alam a'had ilaikum yaa Baneee Aadama al-laa ta'budush Shaitaana innahoo lakum 'aduwwum mubeen
- Wa ani'budoonee; haazaa Siraatum Mustaqeem
- Wa laqad adalla minkum jibillan kaseeraa; afalam takoonoo ta'qiloon
- Haazihee Jahannamul latee kuntum too'adoon
- Islawhal Yawma bimaa kuntum takfuroon
- Al-Yawma nakhtimu 'alaaa afwaahihim wa tukallimunaaa aideehim wa tashhadu arjuluhum bimaa kaanoo yaksiboon
- Wa law nashaaa'u lata masna 'alaaa aiyunihim fasta baqus-siraata fa-annaa yubsiroon
- Wa law nashaaa'u lamasakhnaahum 'alaa makaanatihim famas-tataa'oo mudiyyanw-wa laa yarji'oon
- Wa man nu 'ammirhu nunakkishu fil-khalq; afalaa ya'qiloon
- Wa maa 'allamnaahush shi'ra wa maa yambaghee lah; in huwa illaa zikrunw-wa Qur-aanum mubeen
- Liyunzira man kaana haiyanw-wa yahiqqal qawlu 'alal-kaafireen
- Awalam yaraw annaa khalaqnaa lahum mimmaa 'amilat aideenaaa an'aaman fahum lahaa maalikoon
- Wa zallalnaahaa lahum faminhaa rakoobuhum wa minhaa ya'kuloon
- Wa lahum feehaa manaa fi'u wa mashaarib; afalaa yashkuroon
- Wattakhazoo min doonil laahi aalihatal la'allahum yunsaroon
- Laa yastatee'oona nasrahum wa hum lahum jundum muhdaroon
- Falaa yahzunka qawluhum; innaa na'lamu maa yusirroona wa maa yu'linoon
- Awalam yaral insaanu annaa khalaqnaahu min nutfatin fa-izaa huwa khaseemum mubeen
- Wa daraba lanaa maslanw-wa nasiya khalqahoo qaala mai-yuhyil'izaama wa hiya rameem
- Qul yuh yeehal lazeee ansha ahaaa awwala marrah; wa Huwa bikulli khalqin 'Aleem
- Allazee ja'ala lakum minash shajaril akhdari naaran fa-izaaa antum minhu tooqidoon
- Awa laisal lazee khalaqas samaawaati wal arda biqaadirin 'alaaa ai-yakhluqa mislahum; balaa wa Huwal Khallaaqul 'Aleem
- Innamaa amruhooo izaaa araada shai'an ai-yaqoola lahoo kun fa-yakoon
- Fa Subhaanal lazee biyadihee malakootu kulli shai-inw-wa ilaihi turja'oon
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Yasin2. Qasam hai Quran e Hakeem ki.
3. Ke tum yaqeenan Rasoolon mein se ho.
4. Seedhe raaste par ho.
5. (Aur yeh Quran) gaalib aur Raheem hasti ka naazil karda hai.
6. Taa-ke tum khabardaar karo ek aisi qaum ko jiske baap dada khabardaar na kiye gaye thay aur is wajah se woh gaflat mein padey huey hain.
7. Inmein se aksar log faisla-e-azaab ke mustahiq ho chuke hain, isi liye woh iman nahin latey.
8. Humne unki gardano mein tauq (bedi /fetters) daal diye hain jinse woh thodiyon (chins) tak jakade gaye hain, is liye woh sar uthaye khade hain.
9. Humne ek deewar unke aage khadi kardi hai aur ek deewar unke pichey, humne unhein dhaank diya hai, unhein ab kuch nahin soojhta.
10. Unke liye yaksan hai, tum unhein khabardaar karo ya na karo, yeh na maanengey.
11. Tum to usi shaks ko khabardaar kar sakte ho jo naseehat ki pairvi kare aur bay-dekhe khuda e rehman se dare, usey magfirat aur ajr-e-karim ki basharat (khush-khabri) de do.
12. Hum yaqeenan ek roz murdon ko zinda karne wale hain, jo kuch afaal (aamal) unhon ne kiye hain woh sab hum likhte rahe hain, aur jo kuch aasaar unhon ne pichey chodhey hain woh bhi hum sabt (likh) rahe hain. Har cheez ko humne ek khuli kitaab mein darj kar rakkha hai.
13. Inhein misaal ke taur par us basti walon ka qissa sunao jabke usmein Rasool aaye thay
14. Humne unki taraf do Rasool bheje aur unhon ne dono ko jhutla diya phir humne teesra madad ke liye bheja aur unsab ne kaha “Hum tumhari taraf Rasool ki haisiyat se bheje gaye hain”
15. Basti walon ne kaha “ tum kuch nahin ho magar hum jaise chandh Insan, aur khuda e rehman ne hargiz koi cheez naazil nahin ki hai, tum mehaz jhoot boltey ho.”
16. Rasoolon ne kaha “ hamara Rubb jaanta hai ke hum zarooor tumhari taraf Rasool bana kar bheje gaye hain.
17. Aur humpar saaf saaf paigam pahuncha dene ke siwa koi zimmedari nahin hai”
18. Basti wale kehne lage “hum to tumhein apne liye faal-e-badd (manhoos) samajhte hain , agar tum baaz na aaye to hum tumko sangsaar(stoning) kar denge aur humse tum badi dardnaak saza paoge”
19. Rasoolon ne jawab diya “tumhari faal-e-badd (nahusat) to tumhare apne saath lagi hui hai , kya yeh baatein tum is liye karte ho ke tumhein naseehat ki gayi? Asal baat yeh hai ke tum hadd se guzre huey log ho”
20. Itne mein shehar ke door daraaz goshey se ek shaks daudta hua aaya aur bola “Aey meri qaum ke logon, Rasoolon ki pairwi ikhtiyar karlo.
21. Pairwi karo un logon ki jo tumse koi ajar nahin chahte aur theek raaste par hain.
22. Aakhir kyun na main us hasti ki bandagi karoon jisne mujhe paida kiya hai aur jiski taraf tum sabko palat kar jana hai?
23. Kya main usey chodh kar dusre ko mabood bana loon? Halaanke agar khuda e Rehman mujhe koi nuksaan pahunchana chahe to na unki shafaa-at mere kisi kaam aa sakti hai aur na woh mujhe chuda hi sakte hain.
24. Agar main aisa karoon to main sareeh gumraahi mein mubtala ho jaunga.
25. Main to tumhare Rubb par iman le aaya, tum bhi meri baat maan lo.”
26. (aakhir e kaar un logon ne usey qatal kardiya aur) us shaks se kehdiya gaya ke “daakhil hoja jannat mein” usne kaha “kaash meri qaum ko maaloom hota.
27. Ke mere Rubb ne kis cheez ki badaulat meri magfirat farma di aur mujhe ba-izzat logon mein daakhil farmaya”
28. Iske baad uski qaum par humne aasmaan se koi lashkar nahin utara , humein lashkar bhejne ki koi haajat na thi.
29. Bas ek dhamaka hua aur yakayak woh sab boojh kar reh gaye.
30. Afsos bandon ke haal par, jo Rasool bhi unke paas aaya uska woh mazaaq hi udatey rahe.
31. Kya unhon ne dekha nahin ke unse pehle kitni hi qaumon ko hum halaak kar chuke hain aur iske baad woh phir kabhi unki taraf palat kar na aaye?
32. Un sab ko ek roz hamare saamne haazir kiya jaana hai.
33. In logon ke liye be-jaan zameen ek nishani hai, humne isko zindagi bakshi aur is se galla (anaaj / grain) nikala jise yeh khaate hain.
34. Humne is mein khajuron aur angooron ke baagh paida kiye aur uske andar chashme (springs) phodh nikale.
35. Taa-ke yeh uske phal khayein, yeh sab kuch inke apne haathon ka paida kiya hua nahin hai phir kya yeh shukar ada nahin karte?
36. Paak hai woh zaat jisne jumla aqsaam ke joday paida kiye khwa woh zameen ki nabataat mein se hon ya khud inki apni jins (yani naw-e-Insani) mein se ya un ashyah mein se jinko yeh jaante tak nahin hain.
37. Inke liye ek aur nishani raat hai, hum uske upar se din hata dete hain to inpar andhera chaa jata hai.
38. Aur Suraj, woh apne thikane ki taraf chala jaa raha hai, yeh zabardat aleem(All-Knowing) hasti ka bandha hua hisaab hai.
39. Aur chand, uske liye humne manzilein muqarrar kardi hain yahan tak ke inse guzarta hua woh phir khajur ki sukhi shaakh (dry old branch) ke manind reh jata hai.
40. Na Suraj ke bas mein yeh hai ke woh chaand ko jaa pakde aur na raat din par sabqat le jaa sakti hai. Sab ek ek falak mein tair rahe hain.
41. Inke liye yeh bhi ek nishani hai ke humne inki nasal ko bhari hui kashti mein sawaar kardiya.
42. Aur phir inke liye waisi hi kashtiyan aur paida ki jinpar yeh sawaar hotay hain.
43. Hum chahein to inko garq kardein, koi inki fariyad sunne wala na ho aur kisi tarah yeh na bachaye jaa sakein.
44. Bas hamari rehmat hi hai jo inhein paar lagati aur ek waqt e khaas tak zindagi se mutamatta (enjoyment) hone ka mauqa deti hai.
45. In logon se jab kaha jata hai ke bacho us anjaam se jo tumhare aage aa raha hai aur tumhare pichey guzar chuka hai, shayad ke tumpar reham kiya jaaye (to yeh suni an suni kar jaate hain)
46. Inke saamne inke Rubb ki aayaat(nishani) mein se jo ayat(nishani) bhi aati hai yeh iski taraf iltifaat nahin karte
47. Aur jab inse kaha jata hai ke Allah ne jo rizq tumhein ata kiya hai usmein se kuch Allah ki raah mein bhi kharch karo to yeh log jinhon ne kufr kiya hai iman laane walon ko jawab dete hain “ kya hum unko khilayein jinhein agar Allah chahta to khud khila deta? Tum to bilkul hi behak gaye ho”
48. Yeh log kehte hain ke “yeh qayamat ki dhamki aakhir kab poori hogi? Batao agar tum sacche ho”
49. Dar-asal yeh jis cheez ki raah takk rahe hain woh bas ek dhamaka hai jo yakayak inhein ain us haalat mein dhar lega jab yeh (apne dunyavi maamlaat mein) jhagad rahe honge.
50. Aur us waqt yeh wasiyat tak na kar sakenge, na apne gharon ko palat sakenge.
51. Phir ek soor (trumpet) phoonka jayega aur yakayak yeh apne Rubb ke huzur pesh hone ke liye apni qabaron se nikal padenge.
52. Ghabra kar kahenge : “Arey, yeh kisne humein hamari khwab-gaah se utha khada kiya?” Yeh wahi cheez hai jiska khuda e rehman ne waada kiya tha aur Rasoolon ki baat sacchi thi.”
53. Ek hi zoar ki aawaz hogi aur sab ke sab hamare saamne haazir kardiye jayenge.
54. Aaj kisi par zarra barabar zulm na kiya jayega aur tumhein waisa hi badla diya jayega jaise amal tum karte rahe thay.
55. Aaj jannati log mazey karne mein mashgul hain.
56. Woh aur unki biwiyan ghanay saayon (shades) mein hain masnadon par takiye lagaye huey.
57. Har qisam ki lazeez cheezein khane peene ko unke liye wahan maujood hain, jo kuch woh talab karein unke liye haazir hai.
58. Rubb e Raheem ki taraf se unko salaam kaha gaya hai.
59. Aur aey mujrimon, aaj tum chatt kar alag ho jao.
60. Adam ke bacchon, kya maine tumko hidayat na ki thai ke shaytan ki bandagi na karo, woh tumhara khula dushman hai,
61. Aur meri hi bandagi karo, yeh seedha raasta hai?
62. Magar iske bawajood usne tum mein se ek giroh-e-kaseer (great multitude of you) ko gumraah kardiya, kya tum aqal nahin rakhte thay?
63. Yeh wahi jahannum hai jis se tumko daraya jata raha tha.
64. Jo kufr tum duniya mein karte rahe ho uski padaish mein ab iska indhan (fuel) bano.
65. Aaj hum inke mooh bandh kiye dete hain, inke haath humse bolenge aur inke paon gawahi denge ke yeh duniya mein kya kamayi karte rahe hain.
66. Hum chahein to inki aankhein moond dein(obliterated their eyes), phir yeh raaste ki taraf lapak kar dekhein, kahan se inhein raasta sujhayi dega?
67. Hum chahein to inhein inki jagah hi par is tarah maskh (transform) karke rakh dein ke yeh na aage chal sakein na pichey palat sakein.
68. Jis shaks ko hum lambi umar dete hain iski saakht ko hum ulat hi dete hain (we reverse in creation), kya (yeh halaat dekh kar) inhein aqal nahin aati?
69. Humne is (Nabi) ko sher nahin sikhaya hai aur na shayari isko zeib hi deti hai, yeh to ek naseehat hai aur saaf padi jaane wali kitaab.
70. Taa-ke woh har us shaks ko khabardaar karde jo zinda ho aur inkar karne walon par hujjat qayam ho jaaye.
71. Kya yeh log dekhte nahin hain ke humne apne haathon ki banayi hui cheezon mein se inke liye maweshi(cattle) paida kiye aur ab yeh inke maalik hain.
72. Humne unhein is tarah inke bas mein kardiya hai ke unmein se kisi par yeh sawaar hote hain, kisika yeh gosht khate hain.
73. Aur unke andar inke liye tarah tarah ke fawaid (benefits) aur mashrubaat (drinks) hain phir kya yeh shukar-guzar nahin hotay?
74. Yeh sabkuch hote huey inhon ne Allah ke siwa dusre khuda bana liye hain aur yeh umeed rakhte hain ke inki madad ki jayegi.
75. Woh inki koi madad nahin kar sakte balke yeh log ultey unke liye haazir-baash lashkar (army in waiting ) baney huey hain.
76. Accha, jo baatein yeh bana rahe hain woh tumhein ranjeeda na karein, inki chupi aur khuli sab baaton ko hum jaante hain.
77. Kya Insan dekhta nahin hai ke humne usey nutfe(sperm drop) se paida kiya aur phir woh sareeh jhagdalu bankar khada ho gaya?
78. Ab woh humpar misaalein chaspan karta hai aur apni paidaish ko bhool jata hai , kehta hai “kaun in haddiyon ko zinda karega jabke yeh boseeda (rotten) ho chuki hon?”
79. Ussey kaho,inhein wahi zinda karega jisne pehle inhein paida kiya tha, aur woh takhleeq (creation) ka har kaam jaanta hai.
80. Wahi jisne tumhare liye harey bhare (green) darakht se aag paida kardi aur tum us se apne chuleh (stoves) roshan karte ho.
81. Kya woh jisne aasmaano aur zameen ko paida kiya ispar qaadir nahin hai ke in jaison ko paida kar sakey? Kyun nahin, jabke woh maahir khallaq (superb creator) hai.
82. Woh to jab kisi cheez ka irada karta hai to uska kaam bas yeh hai ke usey hukm de ke hoja aur woh jo jaati hai.
83. Paak hai woh jiske haath mein har cheez ka mukammal iqtedar (full control) hai, aur usi ki taraf tum paltaye jaane waale ho.
Comments
Post a Comment