📖 Surah 35 Fatir Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- الْحَمْدُ لِلَّهِ فَاطِرِ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ جَاعِلِ الْمَلَائِكَةِ رُسُلًا أُولِي أَجْنِحَةٍ مَثْنَىٰ وَثُلَاثَ وَرُبَاعَ ۚ يَزِيدُ فِي الْخَلْقِ مَا يَشَاءُ ۚ إِنَّ اللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
- مَا يَفْتَحِ اللَّهُ لِلنَّاسِ مِنْ رَحْمَةٍ فَلَا مُمْسِكَ لَهَا ۖ وَمَا يُمْسِكْ فَلَا مُرْسِلَ لَهُ مِنْ بَعْدِهِ ۚ وَهُوَ الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ
- يَا أَيُّهَا النَّاسُ اذْكُرُوا نِعْمَتَ اللَّهِ عَلَيْكُمْ ۚ هَلْ مِنْ خَالِقٍ غَيْرُ اللَّهِ يَرْزُقُكُمْ مِنَ السَّمَاءِ وَالْأَرْضِ ۚ لَا إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ ۖ فَأَنَّىٰ تُؤْفَكُونَ
- وَإِنْ يُكَذِّبُوكَ فَقَدْ كُذِّبَتْ رُسُلٌ مِنْ قَبْلِكَ ۚ وَإِلَى اللَّهِ تُرْجَعُ الْأُمُورُ
- يَا أَيُّهَا النَّاسُ إِنَّ وَعْدَ اللَّهِ حَقٌّ ۖ فَلَا تَغُرَّنَّكُمُ الْحَيَاةُ الدُّنْيَا ۖ وَلَا يَغُرَّنَّكُمْ بِاللَّهِ الْغَرُورُ
- إِنَّ الشَّيْطَانَ لَكُمْ عَدُوٌّ فَاتَّخِذُوهُ عَدُوًّا ۚ إِنَّمَا يَدْعُو حِزْبَهُ لِيَكُونُوا مِنْ أَصْحَابِ السَّعِيرِ
- الَّذِينَ كَفَرُوا لَهُمْ عَذَابٌ شَدِيدٌ ۖ وَالَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ لَهُمْ مَغْفِرَةٌ وَأَجْرٌ كَبِيرٌ
- أَفَمَنْ زُيِّنَ لَهُ سُوءُ عَمَلِهِ فَرَآهُ حَسَنًا ۖ فَإِنَّ اللَّهَ يُضِلُّ مَنْ يَشَاءُ وَيَهْدِي مَنْ يَشَاءُ ۖ فَلَا تَذْهَبْ نَفْسُكَ عَلَيْهِمْ حَسَرَاتٍ ۚ إِنَّ اللَّهَ عَلِيمٌ بِمَا يَصْنَعُونَ
- وَاللَّهُ الَّذِي أَرْسَلَ الرِّيَاحَ فَتُثِيرُ سَحَابًا فَسُقْنَاهُ إِلَىٰ بَلَدٍ مَيِّتٍ فَأَحْيَيْنَا بِهِ الْأَرْضَ بَعْدَ مَوْتِهَا ۚ كَذَٰلِكَ النُّشُورُ
- مَنْ كَانَ يُرِيدُ الْعِزَّةَ فَلِلَّهِ الْعِزَّةُ جَمِيعًا ۚ إِلَيْهِ يَصْعَدُ الْكَلِمُ الطَّيِّبُ وَالْعَمَلُ الصَّالِحُ يَرْفَعُهُ ۚ وَالَّذِينَ يَمْكُرُونَ السَّيِّئَاتِ لَهُمْ عَذَابٌ شَدِيدٌ ۖ وَمَكْرُ أُولَٰئِكَ هُوَ يَبُورُ
- وَاللَّهُ خَلَقَكُمْ مِنْ تُرَابٍ ثُمَّ مِنْ نُطْفَةٍ ثُمَّ جَعَلَكُمْ أَزْوَاجًا ۚ وَمَا تَحْمِلُ مِنْ أُنْثَىٰ وَلَا تَضَعُ إِلَّا بِعِلْمِهِ ۚ وَمَا يُعَمَّرُ مِنْ مُعَمَّرٍ وَلَا يُنْقَصُ مِنْ عُمُرِهِ إِلَّا فِي كِتَابٍ ۚ إِنَّ ذَٰلِكَ عَلَى اللَّهِ يَسِيرٌ
- وَمَا يَسْتَوِي الْبَحْرَانِ هَٰذَا عَذْبٌ فُرَاتٌ سَائِغٌ شَرَابُهُ وَهَٰذَا مِلْحٌ أُجَاجٌ ۖ وَمِنْ كُلٍّ تَأْكُلُونَ لَحْمًا طَرِيًّا وَتَسْتَخْرِجُونَ حِلْيَةً تَلْبَسُونَهَا ۖ وَتَرَى الْفُلْكَ فِيهِ مَوَاخِرَ لِتَبْتَغُوا مِنْ فَضْلِهِ وَلَعَلَّكُمْ تَشْكُرُونَ
- يُولِجُ اللَّيْلَ فِي النَّهَارِ وَيُولِجُ النَّهَارَ فِي اللَّيْلِ وَسَخَّرَ الشَّمْسَ وَالْقَمَرَ كُلٌّ يَجْرِي لِأَجَلٍ مُسَمًّى ۚ ذَٰلِكُمُ اللَّهُ رَبُّكُمْ لَهُ الْمُلْكُ ۚ وَالَّذِينَ تَدْعُونَ مِنْ دُونِهِ مَا يَمْلِكُونَ مِنْ قِطْمِيرٍ
- إِنْ تَدْعُوهُمْ لَا يَسْمَعُوا دُعَاءَكُمْ وَلَوْ سَمِعُوا مَا اسْتَجَابُوا لَكُمْ ۖ وَيَوْمَ الْقِيَامَةِ يَكْفُرُونَ بِشِرْكِكُمْ ۚ وَلَا يُنَبِّئُكَ مِثْلُ خَبِيرٍ
- يَا أَيُّهَا النَّاسُ أَنْتُمُ الْفُقَرَاءُ إِلَى اللَّهِ ۖ وَاللَّهُ هُوَ الْغَنِيُّ الْحَمِيدُ
- إِنْ يَشَأْ يُذْهِبْكُمْ وَيَأْتِ بِخَلْقٍ جَدِيدٍ
- وَمَا ذَٰلِكَ عَلَى اللَّهِ بِعَزِيزٍ
- وَلَا تَزِرُ وَازِرَةٌ وِزْرَ أُخْرَىٰ ۚ وَإِنْ تَدْعُ مُثْقَلَةٌ إِلَىٰ حِمْلِهَا لَا يُحْمَلْ مِنْهُ شَيْءٌ وَلَوْ كَانَ ذَا قُرْبَىٰ ۗ إِنَّمَا تُنْذِرُ الَّذِينَ يَخْشَوْنَ رَبَّهُمْ بِالْغَيْبِ وَأَقَامُوا الصَّلَاةَ ۚ وَمَنْ تَزَكَّىٰ فَإِنَّمَا يَتَزَكَّىٰ لِنَفْسِهِ ۚ وَإِلَى اللَّهِ الْمَصِيرُ
- وَمَا يَسْتَوِي الْأَعْمَىٰ وَالْبَصِيرُ
- وَلَا الظُّلُمَاتُ وَلَا النُّورُ
- وَلَا الظِّلُّ وَلَا الْحَرُورُ
- وَمَا يَسْتَوِي الْأَحْيَاءُ وَلَا الْأَمْوَاتُ ۚ إِنَّ اللَّهَ يُسْمِعُ مَنْ يَشَاءُ ۖ وَمَا أَنْتَ بِمُسْمِعٍ مَنْ فِي الْقُبُورِ
- إِنْ أَنْتَ إِلَّا نَذِيرٌ
- إِنَّا أَرْسَلْنَاكَ بِالْحَقِّ بَشِيرًا وَنَذِيرًا ۚ وَإِنْ مِنْ أُمَّةٍ إِلَّا خَلَا فِيهَا نَذِيرٌ
- وَإِنْ يُكَذِّبُوكَ فَقَدْ كَذَّبَ الَّذِينَ مِنْ قَبْلِهِمْ جَاءَتْهُمْ رُسُلُهُمْ بِالْبَيِّنَاتِ وَبِالزُّبُرِ وَبِالْكِتَابِ الْمُنِيرِ
- ثُمَّ أَخَذْتُ الَّذِينَ كَفَرُوا ۖ فَكَيْفَ كَانَ نَكِيرِ
- أَلَمْ تَرَ أَنَّ اللَّهَ أَنْزَلَ مِنَ السَّمَاءِ مَاءً فَأَخْرَجْنَا بِهِ ثَمَرَاتٍ مُخْتَلِفًا أَلْوَانُهَا ۚ وَمِنَ الْجِبَالِ جُدَدٌ بِيضٌ وَحُمْرٌ مُخْتَلِفٌ أَلْوَانُهَا وَغَرَابِيبُ سُودٌ
- وَمِنَ النَّاسِ وَالدَّوَابِّ وَالْأَنْعَامِ مُخْتَلِفٌ أَلْوَانُهُ كَذَٰلِكَ ۗ إِنَّمَا يَخْشَى اللَّهَ مِنْ عِبَادِهِ الْعُلَمَاءُ ۗ إِنَّ اللَّهَ عَزِيزٌ غَفُورٌ
- إِنَّ الَّذِينَ يَتْلُونَ كِتَابَ اللَّهِ وَأَقَامُوا الصَّلَاةَ وَأَنْفَقُوا مِمَّا رَزَقْنَاهُمْ سِرًّا وَعَلَانِيَةً يَرْجُونَ تِجَارَةً لَنْ تَبُورَ
- لِيُوَفِّيَهُمْ أُجُورَهُمْ وَيَزِيدَهُمْ مِنْ فَضْلِهِ ۚ إِنَّهُ غَفُورٌ شَكُورٌ
- وَالَّذِي أَوْحَيْنَا إِلَيْكَ مِنَ الْكِتَابِ هُوَ الْحَقُّ مُصَدِّقًا لِمَا بَيْنَ يَدَيْهِ ۗ إِنَّ اللَّهَ بِعِبَادِهِ لَخَبِيرٌ بَصِيرٌ
- ثُمَّ أَوْرَثْنَا الْكِتَابَ الَّذِينَ اصْطَفَيْنَا مِنْ عِبَادِنَا ۖ فَمِنْهُمْ ظَالِمٌ لِنَفْسِهِ وَمِنْهُمْ مُقْتَصِدٌ وَمِنْهُمْ سَابِقٌ بِالْخَيْرَاتِ بِإِذْنِ اللَّهِ ۚ ذَٰلِكَ هُوَ الْفَضْلُ الْكَبِيرُ
- جَنَّاتُ عَدْنٍ يَدْخُلُونَهَا يُحَلَّوْنَ فِيهَا مِنْ أَسَاوِرَ مِنْ ذَهَبٍ وَلُؤْلُؤًا ۖ وَلِبَاسُهُمْ فِيهَا حَرِيرٌ
- وَقَالُوا الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَذْهَبَ عَنَّا الْحَزَنَ ۖ إِنَّ رَبَّنَا لَغَفُورٌ شَكُورٌ
- الَّذِي أَحَلَّنَا دَارَ الْمُقَامَةِ مِنْ فَضْلِهِ لَا يَمَسُّنَا فِيهَا نَصَبٌ وَلَا يَمَسُّنَا فِيهَا لُغُوبٌ
- وَالَّذِينَ كَفَرُوا لَهُمْ نَارُ جَهَنَّمَ لَا يُقْضَىٰ عَلَيْهِمْ فَيَمُوتُوا وَلَا يُخَفَّفُ عَنْهُمْ مِنْ عَذَابِهَا ۚ كَذَٰلِكَ نَجْزِي كُلَّ كَفُورٍ
- وَهُمْ يَصْطَرِخُونَ فِيهَا رَبَّنَا أَخْرِجْنَا نَعْمَلْ صَالِحًا غَيْرَ الَّذِي كُنَّا نَعْمَلُ ۚ أَوَلَمْ نُعَمِّرْكُمْ مَا يَتَذَكَّرُ فِيهِ مَنْ تَذَكَّرَ وَجَاءَكُمُ النَّذِيرُ ۖ فَذُوقُوا فَمَا لِلظَّالِمِينَ مِنْ نَصِيرٍ
- إِنَّ اللَّهَ عَالِمُ غَيْبِ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۚ إِنَّهُ عَلِيمٌ بِذَاتِ الصُّدُورِ
- هُوَ الَّذِي جَعَلَكُمْ خَلَائِفَ فِي الْأَرْضِ ۚ فَمَنْ كَفَرَ فَعَلَيْهِ كُفْرُهُ ۖ وَلَا يَزِيدُ الْكَافِرِينَ كُفْرُهُمْ عِنْدَ رَبِّهِمْ إِلَّا مَقْتًا ۖ وَلَا يَزِيدُ الْكَافِرِينَ كُفْرُهُمْ إِلَّا خَسَارًا
- قُلْ أَرَأَيْتُمْ شُرَكَاءَكُمُ الَّذِينَ تَدْعُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ أَرُونِي مَاذَا خَلَقُوا مِنَ الْأَرْضِ أَمْ لَهُمْ شِرْكٌ فِي السَّمَاوَاتِ أَمْ آتَيْنَاهُمْ كِتَابًا فَهُمْ عَلَىٰ بَيِّنَتٍ مِنْهُ ۚ بَلْ إِنْ يَعِدُ الظَّالِمُونَ بَعْضُهُمْ بَعْضًا إِلَّا غُرُورًا
- إِنَّ اللَّهَ يُمْسِكُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ أَنْ تَزُولَا ۚ وَلَئِنْ زَالَتَا إِنْ أَمْسَكَهُمَا مِنْ أَحَدٍ مِنْ بَعْدِهِ ۚ إِنَّهُ كَانَ حَلِيمًا غَفُورًا
- وَأَقْسَمُوا بِاللَّهِ جَهْدَ أَيْمَانِهِمْ لَئِنْ جَاءَهُمْ نَذِيرٌ لَيَكُونُنَّ أَهْدَىٰ مِنْ إِحْدَى الْأُمَمِ ۖ فَلَمَّا جَاءَهُمْ نَذِيرٌ مَا زَادَهُمْ إِلَّا نُفُورًا
- اسْتِكْبَارًا فِي الْأَرْضِ وَمَكْرَ السَّيِّئِ ۚ وَلَا يَحِيقُ الْمَكْرُ السَّيِّئُ إِلَّا بِأَهْلِهِ ۚ فَهَلْ يَنْظُرُونَ إِلَّا سُنَّتَ الْأَوَّلِينَ ۚ فَلَنْ تَجِدَ لِسُنَّتِ اللَّهِ تَبْدِيلًا ۖ وَلَنْ تَجِدَ لِسُنَّتِ اللَّهِ تَحْوِيلًا
- أَوَلَمْ يَسِيرُوا فِي الْأَرْضِ فَيَنْظُرُوا كَيْفَ كَانَ عَاقِبَةُ الَّذِينَ مِنْ قَبْلِهِمْ وَكَانُوا أَشَدَّ مِنْهُمْ قُوَّةً ۚ وَمَا كَانَ اللَّهُ لِيُعْجِزَهُ مِنْ شَيْءٍ فِي السَّمَاوَاتِ وَلَا فِي الْأَرْضِ ۚ إِنَّهُ كَانَ عَلِيمًا قَدِيرًا
- وَلَوْ يُؤَاخِذُ اللَّهُ النَّاسَ بِمَا كَسَبُوا مَا تَرَكَ عَلَىٰ ظَهْرِهَا مِنْ دَابَّةٍ وَلَٰكِنْ يُؤَخِّرُهُمْ إِلَىٰ أَجَلٍ مُسَمًّى ۖ فَإِذَا جَاءَ أَجَلُهُمْ فَإِنَّ اللَّهَ كَانَ بِعِبَادِهِ بَصِيرًا
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Alhamdu lillaahi faatiris samaawaati wal ardi jaa'ilil malaaa'ikati rusulan uleee ajnihatim masnaa wa sulaasa wa rubaa'; yazeedu fil khalqi maa yashaaa'; innal laaha 'alaa kulli shai'in Qadeer
- Maa yaftahil laahu linnaaasi mir rahmatin falaa mumsika lahaa wa maa yumsik falaa mursila lahoo mimba'dihi; wa Huwal 'Azeezul Hakeem
- Yaaa ayyuhan naasuzkuroo ni'matal laahi 'alaikum; hal min khaaliqin ghairul laahi yarzuqukum minas samaaa'i wal ard; laaa ilaaha illaa Huwa fa annaa tu'fakoon
- Wa iny yukazzibooka faqad kuzzibat Rusulum min qablik; wa ilal laahi turja'ul umoor
- Yaaa ayyuhan naasu inna wa'dal laahi haqqun falaa taghurrannakumul hayaatud dunyaa; wa laa yaghurran nakum billaahil gharoor
- Innash shaitaana lakum 'aduwwun fattakhizoohu 'aduwwaa; innamaa yad'oo hizbahoo liyakoonoo min ashaabis sa'eer
- Allazeena kafaroo lahum 'azaabun shadeed; wallazeena aamanoo wa 'amilus saalihaati lahum maghfiratunw wa ajrun kabeer (section 1)
- Afaman zuyyina lahoo sooo'u 'amalihee fara aahu hasanaa; fa innal laaha yudillu mai yashaaa'u wa yahdee mai yashaaa'u falaa tazhab nafsuka 'alaihim hasaraat; innal laaha 'aleemun bimaa yasna'oon
- Wallaahul lazeee arsalar riyaaha fatuseeru sa haaban fasuqnaahu ilaa baladim maiyitin fa ahyaynaa bihil arda ba'da mawtihaa; kazaalikan nushoor
- Man kaana yureedul 'izzata falillaahil 'izzatu jamee'aa; ilaihi yas'adul kalimut taiyibu wal'amalus saalihu yarfa'uh; wallazeena yamkuroonas sayyiaati lahum 'azaabun shadeed; wa makru ulaaa'ika huwa yaboor
- Wallaahu khalaqakum min turaabin summa min nutfatin summa ja'alakum azwaajaa; wa maa tahmilu min unsaa wa laa tada'u illaa bi'ilmih; wa maa yu'ammaru mim mu'ammarinw wa laa yunqasu min 'umuriheee illaa fee kitaab; inna zaalika 'alal laahi yaseer
- Wa maa yastawil bahraani haaza 'azbun furaatun saaa'ighun sharaabuhoo wa haazaa milhun ujaaj; wa min kullin ta'kuloona lahman tariyyanw wa tastakhrijoona hilyatan talbasoonahaa wa taral fulka feehi mawaakhira litabtaghoo min fadlihee wa la'allakum tashkuroon
- Yoolijul laila fin nahaari wa yoolijun nahaara fil laili wa sakhkharash shamsa wal qamara kulluny yajree li ajalim musammaa; zaalikumul laahu Rabbukum lahul mulk; wallazeena tad'oona min doonihee maa yamlikoona min qitmeer
- In tad'oohum laa yasma'oo du'aaa'akum wa law sami'oo mas tajaaboo lakum; wa Yawmal Qiyaamati Yakfuroona bishirkikum; wa laa yunabbi'uka mislu khabeer (section 2)
- Yaaa ayyunhan naasu antumul fuqaraaa'u ilallaahi wallaahu Huwal Ghaniyyul Hameed
- Iny yasha' yuzhibkum wa ya'ti bikhalqin jadeed
- Wa maa zaalika 'alal laahi bi'azeez
- Wa laa taziru waaziratun wizra ukhraa; wa in tad'u musqalatun ilaa himlihaa laa yuhmal minhu shai'unw wa law kaana zaa qurbaa; innamaa tunzirul lazeena yakhshawna Rabbahum bilghaibi wa aqaamus Salaah; wa man tazakkaa fa innamaa yatazakkaa linafsih; wa ilal laahil maseer
- Wa maa yastawil a'maa wal baseer
- Wa laz zulumaatu wa lan noor
- Wa laz zillu wa lal haroor
- Wa maa yastawil ahyaaa'u wa lal amwaat; innal laaha yusmi'u mai yashaaa'u wa maaa anta bi musmi'im man fil quboor
- In anta illaa nazeer
- Innaa arsalnaaka bil haqqi basheeranw wa nazeeraa; wa im min ummatin illaa khalaa feehaa nazeer
- Wa iny yukazzibooka faqad kazzabal lazeena min qablihim jaaa'at hum Rusuluhum bilbaiyinaati wa biz Zuburi wa bil Kitaabil Muneer
- Summa akhaztul lazeena kafaroo fakaifa kaana nakeer (section 3)
- Alam tara annal laaha anzala minas samaaa'i maaa'an fa akhrajnaa bihee samaraatim mukhtalifan alwaanuhaa; wa minal jibaali judadum beedunw wa humrum mukhtalifun alwaanuhaa wa gharaabeebu sood
- Wa minan naasi wadda waaabbi wal an'aami mukhtalifun alwaanuhoo kazalik; innamaa yakhshal laaha min 'ibaadihil 'ulamaaa'; innal laaha 'Azeezun Ghafoor
- Innal lazeena yatloona Kitabbal laahi wa aqaamus Salaata wa anfaqoo mimmaa razaqnaahum sirranw wa 'alaa niyatany yarjoona tijaaratal lan taboor
- Liyuwaffiyahum ujoorahum wa yazeedahum min fadlih; innahoo Ghafoorun Shakoor
- Wallazeee awhainaaa ilaika minal Kitaabi huwal haqqu musaddiqal limaa baina yadayh; innal laaha bi'ibaadihee la khabeerum Baseer
- Summa awrasnal Kitaaballazeenas tafainaa min 'ibaadinaa faminhum zaalimul linafsihee wa minhum muqtasidu, wa minhum saabiqum bilkhairaati bi iznil laah; zaalika huwal fadlul kabeer
- Jannaatu 'adniny yad khuloonahaa yuhallawna feeha min asaawira min zahabinw wa lu'lu'anw wa libaa suhum feehaa hareer
- Wa qaalul hamdu lillaahil lazeee azhaba 'annal hazan; inna Rabbanaa la Ghafoorun Shakoor
- Allazeee ahallanaa daaral muqaamati min fadlihee laa yamassunaa feehaa nasabunw wa laa yamassunaa feehaa lughoob
- Wallazeena kafaroo lahum naaru Jahannama laa yuqdaa 'alaihim fa yamootoo wa laa yukhaffafu 'anhum min 'azaabihaa; kazaalika najzee kulla kafoor
- Wa hum yastarikhoona feehaa Rabbanaa akhrijnaa na'mal saalihan ghairal lazee kunnaa na'mal; awa lamnu 'ammirkum maa yatazak karu feehi man tazakkara wa jaaa'akumun nazeeru fazooqoo famaa lizzaalimeena min naseer (section 4)
- Innal laaha 'aalimu ghaibis samaawaati wal ard; innahoo 'aleemum bizaatis sudoor
- Huwal lazee ja'alakum khalaaa'ifa fil ard; faman kafara fa'alaihi kufruhoo; wa laa yazeedul kaafireena kufruhum 'inda Rabbihim illaa maqtanw wa laa yazeedul kaafireena kufruhum illaa khasaaraa
- Qul ara'aytum shurakaaa'a kumul lazeena tad'oona min doonil laahi; aroonee maazaa khalaqoo minal ardi am lahum shirkun fis samaawaati am aatainaahum Kitaaban fahum 'alaa baiyinatim minh; bal iny ya'iduz zaalimoona ba 'duhum ba'dan illaa ghurooraa
- Innal laaha yumsikus samaawaati wal arda an tazoolaaa; wa la'in zaalataaa in amsa kahumaa min ahadim mim ba'dih; innahoo kaana Haleeman Ghafooraa
- Wa aqsamoo billaahi jahda aymaanihim la'in jaaa'ahum nazeerul layakoonunna ahdaa min ihdal umami falam maa jaaa'ahum nazeerum maa zaadahum illaa nufooraa
- Istikbaaran fil ardi wa makras sayyi'; wa laa yaheequl makrus sayyi'u illaa bi ahlih; fahal yanzuroona illaa sunnatal awwaleen; falan tajida lisunnatil laahi tabdeelanw wa lan tajida lisunnatil laahi tahweela
- Awalam yaseeroo fil ardi fa yanzuroo kaifa kaana 'aaqibatul lazeena min Qablihim wa kaanoo ashadda minhum quwwah; wa maa kaanal laahu liyu'jizahoo min shai'in fis samaawaati wa laa fil ard; innahoo kaana 'Aleeman Qadeeraa
- Wa law yu'aakhizul laahun naasa bima kasaboo maa taraka 'alaa zahrihaa min daaabbatinw wa laakiny yu'akhkhiruhum ilaaa ajalim musamman fa izaa jaaa'a ajaluhum fa innal laaha kaana bi'ibaadihee Baseeraa (section 5)
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Tareef Allah hi ke liye hai jo aasmaano aur zameen ka banane wala aur Farishton ko paigam rasaan muqarrar karne wala hai. (Aise Farishte ) jinke do do aur teen teen aur chaar chaar baazu (wings) hain. Woh apni makhooq ki saakht mein jaisa chahta hai izafa karta hai. Yaqeenan Allah har cheez par qaadir hai.2. Allah jis rehmat ka darwaza bhi logon ke liye khol de usey koi roakne wala nahin, aur jise woh bandh karde usey Allah ke baad phir koi dusra kholne wala nahin. Woh zabardast aur hakeem hai.
3. Logon, tumpar Allah ke jo ehsanaat hain unhein yaad rakkho, kya Allah ke siwa koi aur khaliq bhi hai jo tumhein aasmaan aur zameen se rizq deta ho? Koi mabood uske siwa nahin, Aakhir tum kahan se dhoka kha rahe ho?
4. Ab agar (aey Nabi) yeh log tumhein jhutlate hain (to yeh koi nayi baat nahin), tumse pehle bhi bahut se Rasool jhutlaye jaa chuke hain, aur saare maamlaat aakhir e kaar Allah hi ki taraf rujoo hone wale hain.
5. Logon, Allah ka waada yaqeenan barhaqq (saccha) hai, lihaza duniya ki zindagi tumhein dhoke mein na daale aur na woh bada dhokebaaz tumhein Allah ke baare mein dhoka dene paye.
6. Dar haqeeqat shaytan tumhara dushman hai is liye tum bhi usey apna dushman hi samjho, woh to apne pairawon ko apni raah par is liye bula raha hai ke woh dozakhiyon mein shamil ho jayein.
7. Jo log kufr karenge unke liye sakht azaab hai aur jo iman layenge aur neik amal karenge unke liye magfirat aur bada ajar hai.
8. (Bhala kuch thikana hai us shaks ki gumraahi ka) jiske liye uska bura amal khushnuma bana diya gaya ho aur woh usey accha samajh raha ho? Haqeeqat yeh hai ke Allah jise chahta hai gumraahi mein daal deta hai aur jise chahta hai raah e raast dikha deta hai.Pas (aey Nabi) khwa-ma-khwa tumhari jaan in logon ki khatir gham-o-afsos mein na ghulay. Jo kuch yeh kar rahe hain Allah usko khoob jaanta hai.
9. Woh Allah hi to hai jo hawaon ko bhejta hai, phir woh baadal uthati hain, phir hum usey ek ujadh (banjar) ilakey ki taraf le jaate hain aur usi zameen ko jila uthate hain jo mari padi thi. Mare huey Insano ka jee uthna bhi isi tarah hoga.
10. Jo koi izzat chahta ho usey maloom hona chahiye ke izzat saari ki saari Allah ki hai. Uske haan jo cheez upar chadhti hai woh sirf pakeezah qaul(baat/words) hai, aur amal e saleh usko upar chadhata hai. Rahe woh log jo behuda chaal baaziyan karte hain, unke liye sakht azaab hai aur unka makar (plotting) khud hi gaarat hone wala hai.
11. Allah ne tumko mitti se paida kiya, phir nutfe (drop of sperm) se, phir tumhare joday bana diye (yani mard aur aurat). Koi aurat hamila (conceive) nahin hoti aur na baccha janti hai magar yeh sab kuch Allah ke ilm mein hota hai. Koi umar paane wala umar nahin paata aur na kisi ki umar mein kuch kami hoti hai magar yeh sab kuch ek kitaab mein likha hota hai. Allah ke liye yeh bahut aasaan kaam hai.
12. Aur pani ke dono zakheere yaksan nahin hain. Ek meetha aur pyaas bujhane wala hai, peene mein khushgawar, aur dusra sakht khari (salty) ke halaq sheel de(bitter on the tongue), magar dono se tum tar-o-taaza gosht haasil karte ho. Pehanne ke liye zeenat ka samaan nikalte ho, aur isi pani mein tum dekhte ho ke kashtiyan uska seena cheerti chali jaa rahi hain taa-ke tum Allah ka fazl talash karo aur uske shukar-guzar bano.
13. Woh din ke andar raat ko aur raat ke andar din ko pirota hua le aata hai.Chand aur Suraj ko usne musakkhar kar rakkha hai. Yeh sab kuch ek waqt-e-muqarrar tak chale jaa raha hain. Wahi Allah (jiske yeh saare kaam hai) tumhara Rubb hai, baadshahi usi ki hai usey chodh kar jin dusron ko tum pukarte ho woh ek parekaah (skin of a date-stone) ke maalik bhi nahin hai.
14. Inhein pukaro to woh tumhari duaein sun nahin sakte.Aur sun lein to unka tumhein koi jawab nahin de sakte.Aur qayamat ke roz woh tumhare shirk ka inkar kardenge. Haqeeqat e haal ki aisi saheeh khabar tumhein ek khabardaar ke siwa koi nahin de sakta.
15. Logon, Tum hi Allah ke mohtaj ho aur Allah to Gani(Self-Sufficient) o Hameed (Immensely Praiseworthy) hai.
16. Woh chahe to tumhein hata kar koi nayi khalqat (creation) tumhari jagah le aaye.
17. Aisa karna Allah ke liye kuch bhi dushwar nahin.
18. Koi boojh uthane wala kisi dusre ka boojh na uthayega.Aur agar koi ladha hua (heavily laden) nafs apna boojh uthane ke liye pukarega to uske baar ka ek adna (chota) hissa bhi batane ke liye koi na aayega chahe woh kareeb-tareen rishtedar hi kyun na ho. (Aey Nabi) tum sirf unhi logon ko mutanabbeh (warn) kar sakte ho jo bay-dekhe apne Rubb se darte hain aur namaz qayam karte hain. Jo shaks bhi pakeezgi ikhtiyar karta hai apne hi bhalayi ke liye karta hai aur palatna sabko Allah hi ki taraf hai.
19. Andha aur aankhon wala barabar nahin hai.
20. Na tareekiyan (darkness) aur roshni yaksan hain.
21. Na thandi chaaon aur dhoop ki tapish ek jaisi hai.
22. Aur na zinde aur murde musavi (barabar) hain. Allah jise chahta hai sunwata (hear) hai, magar (aey Nabi) tum un logon ko nahin suna sakte ho qabaron mein madfoon hain.
23. Tum to bas ek khabardaar karne wale ho.
24. Humne tumko haqq ke saath bheja hai. Basharat (khush-khabri) dene wala aur darane wala banakar. Aur koi ummat aisi nahin guzri hai jismein koi mutanabbeh (warn) karne wala na aaya ho.
25. Ab agar yeh log tumhein jhutlate hain to inse pehle guzre huey log bhi jhutla chuke hain. Unke paas unke Rasool khule dalail (proofs) aur saheefay (scriptures) aur roshan hidayaat (guidance) dene wali kitaab lekar aaye thay.
26. Phir jin logon ne na maana unko maine pakad liya aur dekhlo ke meri saza kaisi sakht thi.
27. Kya tum dekhte nahin ho ke Allah aasmaan se pani barsata hai aur phir iske zariye se hum tarah tarah ke phal nikal latey hain jinke rang mukhtalif hote hain. Pahadon mein bhi safed (white), surkh (red) aur gehri siyah(pitchy black) dhariyan payi jaati hain jinke rang mukhtalif hotay hain.
28. Aur isi tarah Insano aur jaanwaron aur maweshiyon ke rang bhi mukhtalif hain. Haqeeqat yeh hai ke Allah ke bandon mein se sirf ilm rakhne wale log hi us se darte hain. Beshak Allah zabardast aur darguzar farmane wala hai.
29. Jo log kitaabullah ki tilawat karte hain aur namaz qayam karte hain, aur jo kuch humne unhein rizq diya hai usmein se khule aur chupey kharch karte hain, yaqeenan woh ek aisi tijarat ke mutawaqqeh (umeedwaar) hain jismein hargiz khasara (nuksan) na hoga.
30. (Is tijarat mein unhon ne apna sabkuch is liye khapaya hai) taa-ke Allah unke ajar pooray ke pooray unko de aur mazeed apne fazl se unko ata farmaye. Beshak Allah bakshne wala aur qadardaan (appreciative) hai.
31. (Aey Nabi) jo kitaab humne tumhari taraf wahee ke zariye se bheji hai wahi haqq hai, tasdeeq (confirm) karti hui aayi hai un kitaabon ki jo is se pehle aayi thin. Beshak Allah apne bandon ke haal se bakhabar hai, aur har cheez par nigaah rakhne wala hai.
32. Phir humne is kitaab ka waris bana diya un logon ko jinhein humne (is virasat ke liye) apne bandon mein se chun liya. Ab koi to inmein se apne nafs par zulm karne wala hai, aur koi beach ki raas hai (medium course), aur koi Allah ke izan se nekiyon mein sabaqat karne wala (aage badne wala) hai, yahi bahut bada fazl hai.
33. Hamesha rehne wali jannatein hain jinmein yeh log daakhil honge, wahan inhein soonay (gold) ke kangano (bracelets) aur motiyon (pearls) se aarasta (adorn) kiya jayega, wahan inka libaas resham hoga.
34. Aur woh kahenge ke shukar hai us khuda ka jisne humse gham door kardiya, yaqeenan hamara Rubb maaf karne wala aur qadar farmane wala hai.
35. Jisne humein apne fazl se abadi (hamesha ke) qayam ki jagah thehra diya, ab yahan na humein koi mushaqqat pesh aati hai aur na thakaan lahiq hoti hai.
36. Aur jin logon ne kufr kiya hai unke liye jahannum ki aag hai, na unka qissa paak kardiya jayega ke marr jayein aur na unke liye jahannum ke azaab mein koi kami ki jayegi. Is tarah hum badla dete hain har us shaks ko jo kufr karne wala hai.
37. Woh wahan cheekh cheekh kar kahenge ke “Aey hamare Rubb humein yahan se nikal le taa-ke hum neik amal karein, un aamaal se mukhtalif jo pehle karte rahe thay.” (unhein jawab diya jayega) “Kya humne tumko itni umar na di thi jismein koi sabaq lena chahta to sabaq le sakta tha? Aur tumhare paas mutanabbeh (warn) karne wala bhi aa chuka tha. Ab maza chakkho. Zalimon ka yahan koi madadgaar nahin hai.
38. Beshak Allah aasmaano aur zameen ki har posheeda (chupi) cheez se waqif hai.Woh to seeno ke chupey huey raaz tak jaanta hai.
39. Wahi to hai jisne tumko zameen mein khalifa banaya hai. Ab jo koi kufr karta hai uske kufr ka wabal (burden) usi par hai, aur kafiron ko unka kufr iske siwa koi taraqqi nahin deta ke unke Rubb ka gazab unpar zyada se zyada bhadakta chala jata hai. kafiron ke liye khasare (nuksan) mein izafey ke siwa koi taraqqi nahin.
40. (Aey Nabi) inse kaho, “kabhi tumne dekha bhi hai apne un shareekon ko jinhein tum khuda ko chodh kar pukara karte ho? Mujhe batao, unhon ne zameen mein kya paida kiya hai? Ya aasmaano mein unki kya shirkat hai?” (Agar yeh nahin bata sakte to inse pucho) kya humne inhein koi tehrir (written) likh kar di hai jiski bina par yeh (apne is shareek ke liye) koi saaf sanad rakhte hon? Nahin, balke yeh zalim ek dusre ko mehaz fareb ke jhanse diye jaa rahe hain.
41. Haqeeqat yeh hai ke Allah hi hai jo aasmaano aur zameen ko tal (displace) jaane se roakey huey hai, aur agar woh tal (displace) jayein to Allah ke baad koi dusra inhein thamnay (hold) wala nahin hai. Beshak Allah bada haleem (Forbearing) aur darguzar farmane wala hai.
42. Yeh log kadi kadi qasmein kha kar kaha karte thay ke agar koi khabardaar karne wala unke haan aa gaya hota to yeh duniya ki har dusri qaum se badh kar raast-ro(better-guided ) hotay. Magar jab khabardaar karne wala inke paas aa gaya to uski aamad (coming) ne inke andar haqq se farar ke siwa kisi cheez mein izafa na kiya.
43. Yeh zameen mein aur zyada istakbaar (guroor) karne lage aur buri buri chaalein chalne lage, halanke buri chaalein chalne walon hi ko le baithti hai. Ab kya yeh log iska intezar kar rahe hain ke pichli qaumon ke saath Allah ka jo tareeqa raha hai wahi inke saath bhi barta jaaye? Yahi baat hai to tum Allah ke tareeqe mein hargiz koi tabdili na paoge aur tum kabhi na dekhoge ke Allah ki sunnat ko uske muqarrar raaste se koi taaqat pher sakti hai.
44. Kya yeh log zameen mein kabhi chale phire nahin hain ke inhein un logon ka anjaam nazar aata jo inse pehle guzar chuke hain, aur inse bahut zyada taaqatwar thay? Allah ko koi cheez aajiz (frustrate) karne wali nahin hai, na aasmaano mein aur na zameen mein. Woh sab kuch jaanta hai aur har cheez par qudrat rakhta hai.
45. Agar kahin woh logon ko unke kiye kartooton par pakadta to zameen par kisi mutanaffis (living creature) ko jeeta (zinda) na chodhta. Magar woh unhein ek muqarrar waqt tak ke liye mohlat de raha hai, phir jab unka waqt aan poora hoga to Allah apne bandon ko dekh lega.
Comments
Post a Comment