📖 Surah 33 Al-Ahzab Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- يَا أَيُّهَا النَّبِيُّ اتَّقِ اللَّهَ وَلَا تُطِعِ الْكَافِرِينَ وَالْمُنَافِقِينَ ۗ إِنَّ اللَّهَ كَانَ عَلِيمًا حَكِيمًا
- وَاتَّبِعْ مَا يُوحَىٰ إِلَيْكَ مِنْ رَبِّكَ ۚ إِنَّ اللَّهَ كَانَ بِمَا تَعْمَلُونَ خَبِيرًا
- وَتَوَكَّلْ عَلَى اللَّهِ ۚ وَكَفَىٰ بِاللَّهِ وَكِيلًا
- مَا جَعَلَ اللَّهُ لِرَجُلٍ مِنْ قَلْبَيْنِ فِي جَوْفِهِ ۚ وَمَا جَعَلَ أَزْوَاجَكُمُ اللَّائِي تُظَاهِرُونَ مِنْهُنَّ أُمَّهَاتِكُمْ ۚ وَمَا جَعَلَ أَدْعِيَاءَكُمْ أَبْنَاءَكُمْ ۚ ذَٰلِكُمْ قَوْلُكُمْ بِأَفْوَاهِكُمْ ۖ وَاللَّهُ يَقُولُ الْحَقَّ وَهُوَ يَهْدِي السَّبِيلَ
- ادْعُوهُمْ لِآبَائِهِمْ هُوَ أَقْسَطُ عِنْدَ اللَّهِ ۚ فَإِنْ لَمْ تَعْلَمُوا آبَاءَهُمْ فَإِخْوَانُكُمْ فِي الدِّينِ وَمَوَالِيكُمْ ۚ وَلَيْسَ عَلَيْكُمْ جُنَاحٌ فِيمَا أَخْطَأْتُمْ بِهِ وَلَٰكِنْ مَا تَعَمَّدَتْ قُلُوبُكُمْ ۚ وَكَانَ اللَّهُ غَفُورًا رَحِيمًا
- النَّبِيُّ أَوْلَىٰ بِالْمُؤْمِنِينَ مِنْ أَنْفُسِهِمْ ۖ وَأَزْوَاجُهُ أُمَّهَاتُهُمْ ۗ وَأُولُو الْأَرْحَامِ بَعْضُهُمْ أَوْلَىٰ بِبَعْضٍ فِي كِتَابِ اللَّهِ مِنَ الْمُؤْمِنِينَ وَالْمُهَاجِرِينَ إِلَّا أَنْ تَفْعَلُوا إِلَىٰ أَوْلِيَائِكُمْ مَعْرُوفًا ۚ كَانَ ذَٰلِكَ فِي الْكِتَابِ مَسْطُورًا
- وَإِذْ أَخَذْنَا مِنَ النَّبِيِّينَ مِيثَاقَهُمْ وَمِنْكَ وَمِنْ نُوحٍ وَإِبْرَاهِيمَ وَمُوسَىٰ وَعِيسَى ابْنِ مَرْيَمَ ۖ وَأَخَذْنَا مِنْهُمْ مِيثَاقًا غَلِيظًا
- لِيَسْأَلَ الصَّادِقِينَ عَنْ صِدْقِهِمْ ۚ وَأَعَدَّ لِلْكَافِرِينَ عَذَابًا أَلِيمًا
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اذْكُرُوا نِعْمَةَ اللَّهِ عَلَيْكُمْ إِذْ جَاءَتْكُمْ جُنُودٌ فَأَرْسَلْنَا عَلَيْهِمْ رِيحًا وَجُنُودًا لَمْ تَرَوْهَا ۚ وَكَانَ اللَّهُ بِمَا تَعْمَلُونَ بَصِيرًا
- إِذْ جَاءُوكُمْ مِنْ فَوْقِكُمْ وَمِنْ أَسْفَلَ مِنْكُمْ وَإِذْ زَاغَتِ الْأَبْصَارُ وَبَلَغَتِ الْقُلُوبُ الْحَنَاجِرَ وَتَظُنُّونَ بِاللَّهِ الظُّنُونَا
- هُنَالِكَ ابْتُلِيَ الْمُؤْمِنُونَ وَزُلْزِلُوا زِلْزَالًا شَدِيدًا
- وَإِذْ يَقُولُ الْمُنَافِقُونَ وَالَّذِينَ فِي قُلُوبِهِمْ مَرَضٌ مَا وَعَدَنَا اللَّهُ وَرَسُولُهُ إِلَّا غُرُورًا
- وَإِذْ قَالَتْ طَائِفَةٌ مِنْهُمْ يَا أَهْلَ يَثْرِبَ لَا مُقَامَ لَكُمْ فَارْجِعُوا ۚ وَيَسْتَأْذِنُ فَرِيقٌ مِنْهُمُ النَّبِيَّ يَقُولُونَ إِنَّ بُيُوتَنَا عَوْرَةٌ وَمَا هِيَ بِعَوْرَةٍ ۖ إِنْ يُرِيدُونَ إِلَّا فِرَارًا
- وَلَوْ دُخِلَتْ عَلَيْهِمْ مِنْ أَقْطَارِهَا ثُمَّ سُئِلُوا الْفِتْنَةَ لَآتَوْهَا وَمَا تَلَبَّثُوا بِهَا إِلَّا يَسِيرًا
- وَلَقَدْ كَانُوا عَاهَدُوا اللَّهَ مِنْ قَبْلُ لَا يُوَلُّونَ الْأَدْبَارَ ۚ وَكَانَ عَهْدُ اللَّهِ مَسْئُولًا
- قُلْ لَنْ يَنْفَعَكُمُ الْفِرَارُ إِنْ فَرَرْتُمْ مِنَ الْمَوْتِ أَوِ الْقَتْلِ وَإِذًا لَا تُمَتَّعُونَ إِلَّا قَلِيلًا
- قُلْ مَنْ ذَا الَّذِي يَعْصِمُكُمْ مِنَ اللَّهِ إِنْ أَرَادَ بِكُمْ سُوءًا أَوْ أَرَادَ بِكُمْ رَحْمَةً ۚ وَلَا يَجِدُونَ لَهُمْ مِنْ دُونِ اللَّهِ وَلِيًّا وَلَا نَصِيرًا
- قَدْ يَعْلَمُ اللَّهُ الْمُعَوِّقِينَ مِنْكُمْ وَالْقَائِلِينَ لِإِخْوَانِهِمْ هَلُمَّ إِلَيْنَا ۖ وَلَا يَأْتُونَ الْبَأْسَ إِلَّا قَلِيلًا
- أَشِحَّةً عَلَيْكُمْ ۖ فَإِذَا جَاءَ الْخَوْفُ رَأَيْتَهُمْ يَنْظُرُونَ إِلَيْكَ تَدُورُ أَعْيُنُهُمْ كَالَّذِي يُغْشَىٰ عَلَيْهِ مِنَ الْمَوْتِ ۖ فَإِذَا ذَهَبَ الْخَوْفُ سَلَقُوكُمْ بِأَلْسِنَةٍ حِدَادٍ أَشِحَّةً عَلَى الْخَيْرِ ۚ أُولَٰئِكَ لَمْ يُؤْمِنُوا فَأَحْبَطَ اللَّهُ أَعْمَالَهُمْ ۚ وَكَانَ ذَٰلِكَ عَلَى اللَّهِ يَسِيرًا
- يَحْسَبُونَ الْأَحْزَابَ لَمْ يَذْهَبُوا ۖ وَإِنْ يَأْتِ الْأَحْزَابُ يَوَدُّوا لَوْ أَنَّهُمْ بَادُونَ فِي الْأَعْرَابِ يَسْأَلُونَ عَنْ أَنْبَائِكُمْ ۖ وَلَوْ كَانُوا فِيكُمْ مَا قَاتَلُوا إِلَّا قَلِيلًا
- لَقَدْ كَانَ لَكُمْ فِي رَسُولِ اللَّهِ أُسْوَةٌ حَسَنَةٌ لِمَنْ كَانَ يَرْجُو اللَّهَ وَالْيَوْمَ الْآخِرَ وَذَكَرَ اللَّهَ كَثِيرًا
- وَلَمَّا رَأَى الْمُؤْمِنُونَ الْأَحْزَابَ قَالُوا هَٰذَا مَا وَعَدَنَا اللَّهُ وَرَسُولُهُ وَصَدَقَ اللَّهُ وَرَسُولُهُ ۚ وَمَا زَادَهُمْ إِلَّا إِيمَانًا وَتَسْلِيمًا
- مِنَ الْمُؤْمِنِينَ رِجَالٌ صَدَقُوا مَا عَاهَدُوا اللَّهَ عَلَيْهِ ۖ فَمِنْهُمْ مَنْ قَضَىٰ نَحْبَهُ وَمِنْهُمْ مَنْ يَنْتَظِرُ ۖ وَمَا بَدَّلُوا تَبْدِيلًا
- لِيَجْزِيَ اللَّهُ الصَّادِقِينَ بِصِدْقِهِمْ وَيُعَذِّبَ الْمُنَافِقِينَ إِنْ شَاءَ أَوْ يَتُوبَ عَلَيْهِمْ ۚ إِنَّ اللَّهَ كَانَ غَفُورًا رَحِيمًا
- وَرَدَّ اللَّهُ الَّذِينَ كَفَرُوا بِغَيْظِهِمْ لَمْ يَنَالُوا خَيْرًا ۚ وَكَفَى اللَّهُ الْمُؤْمِنِينَ الْقِتَالَ ۚ وَكَانَ اللَّهُ قَوِيًّا عَزِيزًا
- وَأَنْزَلَ الَّذِينَ ظَاهَرُوهُمْ مِنْ أَهْلِ الْكِتَابِ مِنْ صَيَاصِيهِمْ وَقَذَفَ فِي قُلُوبِهِمُ الرُّعْبَ فَرِيقًا تَقْتُلُونَ وَتَأْسِرُونَ فَرِيقًا
- وَأَوْرَثَكُمْ أَرْضَهُمْ وَدِيَارَهُمْ وَأَمْوَالَهُمْ وَأَرْضًا لَمْ تَطَئُوهَا ۚ وَكَانَ اللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرًا
- يَا أَيُّهَا النَّبِيُّ قُلْ لِأَزْوَاجِكَ إِنْ كُنْتُنَّ تُرِدْنَ الْحَيَاةَ الدُّنْيَا وَزِينَتَهَا فَتَعَالَيْنَ أُمَتِّعْكُنَّ وَأُسَرِّحْكُنَّ سَرَاحًا جَمِيلًا
- وَإِنْ كُنْتُنَّ تُرِدْنَ اللَّهَ وَرَسُولَهُ وَالدَّارَ الْآخِرَةَ فَإِنَّ اللَّهَ أَعَدَّ لِلْمُحْسِنَاتِ مِنْكُنَّ أَجْرًا عَظِيمًا
- يَا نِسَاءَ النَّبِيِّ مَنْ يَأْتِ مِنْكُنَّ بِفَاحِشَةٍ مُبَيِّنَةٍ يُضَاعَفْ لَهَا الْعَذَابُ ضِعْفَيْنِ ۚ وَكَانَ ذَٰلِكَ عَلَى اللَّهِ يَسِيرًا
- وَمَنْ يَقْنُتْ مِنْكُنَّ لِلَّهِ وَرَسُولِهِ وَتَعْمَلْ صَالِحًا نُؤْتِهَا أَجْرَهَا مَرَّتَيْنِ وَأَعْتَدْنَا لَهَا رِزْقًا كَرِيمًا
- يَا نِسَاءَ النَّبِيِّ لَسْتُنَّ كَأَحَدٍ مِنَ النِّسَاءِ ۚ إِنِ اتَّقَيْتُنَّ فَلَا تَخْضَعْنَ بِالْقَوْلِ فَيَطْمَعَ الَّذِي فِي قَلْبِهِ مَرَضٌ وَقُلْنَ قَوْلًا مَعْرُوفًا
- وَقَرْنَ فِي بُيُوتِكُنَّ وَلَا تَبَرَّجْنَ تَبَرُّجَ الْجَاهِلِيَّةِ الْأُولَىٰ ۖ وَأَقِمْنَ الصَّلَاةَ وَآتِينَ الزَّكَاةَ وَأَطِعْنَ اللَّهَ وَرَسُولَهُ ۚ إِنَّمَا يُرِيدُ اللَّهُ لِيُذْهِبَ عَنْكُمُ الرِّجْسَ أَهْلَ الْبَيْتِ وَيُطَهِّرَكُمْ تَطْهِيرًا
- وَاذْكُرْنَ مَا يُتْلَىٰ فِي بُيُوتِكُنَّ مِنْ آيَاتِ اللَّهِ وَالْحِكْمَةِ ۚ إِنَّ اللَّهَ كَانَ لَطِيفًا خَبِيرًا
- إِنَّ الْمُسْلِمِينَ وَالْمُسْلِمَاتِ وَالْمُؤْمِنِينَ وَالْمُؤْمِنَاتِ وَالْقَانِتِينَ وَالْقَانِتَاتِ وَالصَّادِقِينَ وَالصَّادِقَاتِ وَالصَّابِرِينَ وَالصَّابِرَاتِ وَالْخَاشِعِينَ وَالْخَاشِعَاتِ وَالْمُتَصَدِّقِينَ وَالْمُتَصَدِّقَاتِ وَالصَّائِمِينَ وَالصَّائِمَاتِ وَالْحَافِظِينَ فُرُوجَهُمْ وَالْحَافِظَاتِ وَالذَّاكِرِينَ اللَّهَ كَثِيرًا وَالذَّاكِرَاتِ أَعَدَّ اللَّهُ لَهُمْ مَغْفِرَةً وَأَجْرًا عَظِيمًا
- وَمَا كَانَ لِمُؤْمِنٍ وَلَا مُؤْمِنَةٍ إِذَا قَضَى اللَّهُ وَرَسُولُهُ أَمْرًا أَنْ يَكُونَ لَهُمُ الْخِيَرَةُ مِنْ أَمْرِهِمْ ۗ وَمَنْ يَعْصِ اللَّهَ وَرَسُولَهُ فَقَدْ ضَلَّ ضَلَالًا مُبِينًا
- وَإِذْ تَقُولُ لِلَّذِي أَنْعَمَ اللَّهُ عَلَيْهِ وَأَنْعَمْتَ عَلَيْهِ أَمْسِكْ عَلَيْكَ زَوْجَكَ وَاتَّقِ اللَّهَ وَتُخْفِي فِي نَفْسِكَ مَا اللَّهُ مُبْدِيهِ وَتَخْشَى النَّاسَ وَاللَّهُ أَحَقُّ أَنْ تَخْشَاهُ ۖ فَلَمَّا قَضَىٰ زَيْدٌ مِنْهَا وَطَرًا زَوَّجْنَاكَهَا لِكَيْ لَا يَكُونَ عَلَى الْمُؤْمِنِينَ حَرَجٌ فِي أَزْوَاجِ أَدْعِيَائِهِمْ إِذَا قَضَوْا مِنْهُنَّ وَطَرًا ۚ وَكَانَ أَمْرُ اللَّهِ مَفْعُولًا
- مَا كَانَ عَلَى النَّبِيِّ مِنْ حَرَجٍ فِيمَا فَرَضَ اللَّهُ لَهُ ۖ سُنَّةَ اللَّهِ فِي الَّذِينَ خَلَوْا مِنْ قَبْلُ ۚ وَكَانَ أَمْرُ اللَّهِ قَدَرًا مَقْدُورًا
- الَّذِينَ يُبَلِّغُونَ رِسَالَاتِ اللَّهِ وَيَخْشَوْنَهُ وَلَا يَخْشَوْنَ أَحَدًا إِلَّا اللَّهَ ۗ وَكَفَىٰ بِاللَّهِ حَسِيبًا
- مَا كَانَ مُحَمَّدٌ أَبَا أَحَدٍ مِنْ رِجَالِكُمْ وَلَٰكِنْ رَسُولَ اللَّهِ وَخَاتَمَ النَّبِيِّينَ ۗ وَكَانَ اللَّهُ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيمًا
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اذْكُرُوا اللَّهَ ذِكْرًا كَثِيرًا
- وَسَبِّحُوهُ بُكْرَةً وَأَصِيلًا
- هُوَ الَّذِي يُصَلِّي عَلَيْكُمْ وَمَلَائِكَتُهُ لِيُخْرِجَكُمْ مِنَ الظُّلُمَاتِ إِلَى النُّورِ ۚ وَكَانَ بِالْمُؤْمِنِينَ رَحِيمًا
- تَحِيَّتُهُمْ يَوْمَ يَلْقَوْنَهُ سَلَامٌ ۚ وَأَعَدَّ لَهُمْ أَجْرًا كَرِيمًا
- يَا أَيُّهَا النَّبِيُّ إِنَّا أَرْسَلْنَاكَ شَاهِدًا وَمُبَشِّرًا وَنَذِيرًا
- وَدَاعِيًا إِلَى اللَّهِ بِإِذْنِهِ وَسِرَاجًا مُنِيرًا
- وَبَشِّرِ الْمُؤْمِنِينَ بِأَنَّ لَهُمْ مِنَ اللَّهِ فَضْلًا كَبِيرًا
- وَلَا تُطِعِ الْكَافِرِينَ وَالْمُنَافِقِينَ وَدَعْ أَذَاهُمْ وَتَوَكَّلْ عَلَى اللَّهِ ۚ وَكَفَىٰ بِاللَّهِ وَكِيلًا
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِذَا نَكَحْتُمُ الْمُؤْمِنَاتِ ثُمَّ طَلَّقْتُمُوهُنَّ مِنْ قَبْلِ أَنْ تَمَسُّوهُنَّ فَمَا لَكُمْ عَلَيْهِنَّ مِنْ عِدَّةٍ تَعْتَدُّونَهَا ۖ فَمَتِّعُوهُنَّ وَسَرِّحُوهُنَّ سَرَاحًا جَمِيلًا
- يَا أَيُّهَا النَّبِيُّ إِنَّا أَحْلَلْنَا لَكَ أَزْوَاجَكَ اللَّاتِي آتَيْتَ أُجُورَهُنَّ وَمَا مَلَكَتْ يَمِينُكَ مِمَّا أَفَاءَ اللَّهُ عَلَيْكَ وَبَنَاتِ عَمِّكَ وَبَنَاتِ عَمَّاتِكَ وَبَنَاتِ خَالِكَ وَبَنَاتِ خَالَاتِكَ اللَّاتِي هَاجَرْنَ مَعَكَ وَامْرَأَةً مُؤْمِنَةً إِنْ وَهَبَتْ نَفْسَهَا لِلنَّبِيِّ إِنْ أَرَادَ النَّبِيُّ أَنْ يَسْتَنْكِحَهَا خَالِصَةً لَكَ مِنْ دُونِ الْمُؤْمِنِينَ ۗ قَدْ عَلِمْنَا مَا فَرَضْنَا عَلَيْهِمْ فِي أَزْوَاجِهِمْ وَمَا مَلَكَتْ أَيْمَانُهُمْ لِكَيْلَا يَكُونَ عَلَيْكَ حَرَجٌ ۗ وَكَانَ اللَّهُ غَفُورًا رَحِيمًا
- تُرْجِي مَنْ تَشَاءُ مِنْهُنَّ وَتُؤْوِي إِلَيْكَ مَنْ تَشَاءُ ۖ وَمَنِ ابْتَغَيْتَ مِمَّنْ عَزَلْتَ فَلَا جُنَاحَ عَلَيْكَ ۚ ذَٰلِكَ أَدْنَىٰ أَنْ تَقَرَّ أَعْيُنُهُنَّ وَلَا يَحْزَنَّ وَيَرْضَيْنَ بِمَا آتَيْتَهُنَّ كُلُّهُنَّ ۚ وَاللَّهُ يَعْلَمُ مَا فِي قُلُوبِكُمْ ۚ وَكَانَ اللَّهُ عَلِيمًا حَلِيمًا
- لَا يَحِلُّ لَكَ النِّسَاءُ مِنْ بَعْدُ وَلَا أَنْ تَبَدَّلَ بِهِنَّ مِنْ أَزْوَاجٍ وَلَوْ أَعْجَبَكَ حُسْنُهُنَّ إِلَّا مَا مَلَكَتْ يَمِينُكَ ۗ وَكَانَ اللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ رَقِيبًا
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَدْخُلُوا بُيُوتَ النَّبِيِّ إِلَّا أَنْ يُؤْذَنَ لَكُمْ إِلَىٰ طَعَامٍ غَيْرَ نَاظِرِينَ إِنَاهُ وَلَٰكِنْ إِذَا دُعِيتُمْ فَادْخُلُوا فَإِذَا طَعِمْتُمْ فَانْتَشِرُوا وَلَا مُسْتَأْنِسِينَ لِحَدِيثٍ ۚ إِنَّ ذَٰلِكُمْ كَانَ يُؤْذِي النَّبِيَّ فَيَسْتَحْيِي مِنْكُمْ ۖ وَاللَّهُ لَا يَسْتَحْيِي مِنَ الْحَقِّ ۚ وَإِذَا سَأَلْتُمُوهُنَّ مَتَاعًا فَاسْأَلُوهُنَّ مِنْ وَرَاءِ حِجَابٍ ۚ ذَٰلِكُمْ أَطْهَرُ لِقُلُوبِكُمْ وَقُلُوبِهِنَّ ۚ وَمَا كَانَ لَكُمْ أَنْ تُؤْذُوا رَسُولَ اللَّهِ وَلَا أَنْ تَنْكِحُوا أَزْوَاجَهُ مِنْ بَعْدِهِ أَبَدًا ۚ إِنَّ ذَٰلِكُمْ كَانَ عِنْدَ اللَّهِ عَظِيمًا
- إِنْ تُبْدُوا شَيْئًا أَوْ تُخْفُوهُ فَإِنَّ اللَّهَ كَانَ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيمًا
- لَا جُنَاحَ عَلَيْهِنَّ فِي آبَائِهِنَّ وَلَا أَبْنَائِهِنَّ وَلَا إِخْوَانِهِنَّ وَلَا أَبْنَاءِ إِخْوَانِهِنَّ وَلَا أَبْنَاءِ أَخَوَاتِهِنَّ وَلَا نِسَائِهِنَّ وَلَا مَا مَلَكَتْ أَيْمَانُهُنَّ ۗ وَاتَّقِينَ اللَّهَ ۚ إِنَّ اللَّهَ كَانَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ شَهِيدًا
- إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ ۚ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا
- إِنَّ الَّذِينَ يُؤْذُونَ اللَّهَ وَرَسُولَهُ لَعَنَهُمُ اللَّهُ فِي الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ وَأَعَدَّ لَهُمْ عَذَابًا مُهِينًا
- وَالَّذِينَ يُؤْذُونَ الْمُؤْمِنِينَ وَالْمُؤْمِنَاتِ بِغَيْرِ مَا اكْتَسَبُوا فَقَدِ احْتَمَلُوا بُهْتَانًا وَإِثْمًا مُبِينًا
- يَا أَيُّهَا النَّبِيُّ قُلْ لِأَزْوَاجِكَ وَبَنَاتِكَ وَنِسَاءِ الْمُؤْمِنِينَ يُدْنِينَ عَلَيْهِنَّ مِنْ جَلَابِيبِهِنَّ ۚ ذَٰلِكَ أَدْنَىٰ أَنْ يُعْرَفْنَ فَلَا يُؤْذَيْنَ ۗ وَكَانَ اللَّهُ غَفُورًا رَحِيمًا
- لَئِنْ لَمْ يَنْتَهِ الْمُنَافِقُونَ وَالَّذِينَ فِي قُلُوبِهِمْ مَرَضٌ وَالْمُرْجِفُونَ فِي الْمَدِينَةِ لَنُغْرِيَنَّكَ بِهِمْ ثُمَّ لَا يُجَاوِرُونَكَ فِيهَا إِلَّا قَلِيلًا
- مَلْعُونِينَ ۖ أَيْنَمَا ثُقِفُوا أُخِذُوا وَقُتِّلُوا تَقْتِيلًا
- سُنَّةَ اللَّهِ فِي الَّذِينَ خَلَوْا مِنْ قَبْلُ ۖ وَلَنْ تَجِدَ لِسُنَّةِ اللَّهِ تَبْدِيلًا
- يَسْأَلُكَ النَّاسُ عَنِ السَّاعَةِ ۖ قُلْ إِنَّمَا عِلْمُهَا عِنْدَ اللَّهِ ۚ وَمَا يُدْرِيكَ لَعَلَّ السَّاعَةَ تَكُونُ قَرِيبًا
- إِنَّ اللَّهَ لَعَنَ الْكَافِرِينَ وَأَعَدَّ لَهُمْ سَعِيرًا
- خَالِدِينَ فِيهَا أَبَدًا ۖ لَا يَجِدُونَ وَلِيًّا وَلَا نَصِيرًا
- يَوْمَ تُقَلَّبُ وُجُوهُهُمْ فِي النَّارِ يَقُولُونَ يَا لَيْتَنَا أَطَعْنَا اللَّهَ وَأَطَعْنَا الرَّسُولَا
- وَقَالُوا رَبَّنَا إِنَّا أَطَعْنَا سَادَتَنَا وَكُبَرَاءَنَا فَأَضَلُّونَا السَّبِيلَا
- رَبَّنَا آتِهِمْ ضِعْفَيْنِ مِنَ الْعَذَابِ وَالْعَنْهُمْ لَعْنًا كَبِيرًا
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَكُونُوا كَالَّذِينَ آذَوْا مُوسَىٰ فَبَرَّأَهُ اللَّهُ مِمَّا قَالُوا ۚ وَكَانَ عِنْدَ اللَّهِ وَجِيهًا
- يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اتَّقُوا اللَّهَ وَقُولُوا قَوْلًا سَدِيدًا
- يُصْلِحْ لَكُمْ أَعْمَالَكُمْ وَيَغْفِرْ لَكُمْ ذُنُوبَكُمْ ۗ وَمَنْ يُطِعِ اللَّهَ وَرَسُولَهُ فَقَدْ فَازَ فَوْزًا عَظِيمًا
- إِنَّا عَرَضْنَا الْأَمَانَةَ عَلَى السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَالْجِبَالِ فَأَبَيْنَ أَنْ يَحْمِلْنَهَا وَأَشْفَقْنَ مِنْهَا وَحَمَلَهَا الْإِنْسَانُ ۖ إِنَّهُ كَانَ ظَلُومًا جَهُولًا
- لِيُعَذِّبَ اللَّهُ الْمُنَافِقِينَ وَالْمُنَافِقَاتِ وَالْمُشْرِكِينَ وَالْمُشْرِكَاتِ وَيَتُوبَ اللَّهُ عَلَى الْمُؤْمِنِينَ وَالْمُؤْمِنَاتِ ۗ وَكَانَ اللَّهُ غَفُورًا رَحِيمًا
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Yaa aiyuhan Nabiyyut taqil laaha wa laa tuti'il kaafireena wal munaafiqeen; innal laaha kaana 'aleeman Hakeemaa
- Wattabi' maa yoohaaa ilaika mir Rabbik; innal laaha kaana bimaa ta'maloona Khabeera
- Wa tawakkal 'alal laah; wa kafaa billaahi Wakeelaa
- Maa ja'alal laahu lirajulim min qalbaini fee jawfih; wa maa ja'ala azwaajakumul laaa'ee tuzaahiroona minhunna ummahaatikum; wa maa ja'ala ad'iyaaa'akum abnaaa'akum; zaalikum qawlukum bi afwaa hikum wallaahu yaqoolul haqqa wa Huwa yahdis sabeel
- Ud'oohum li aabaaa'ihim huwa aqsatu 'indal laah; fa illam ta'lamooo aabaaa'ahum fa ikhwaanukum fid deeni wa mawaaleekum; wa laisa 'alaikum junaahun feemaaa akhtaatum bihee wa laakim maa ta'ammadat quloobukum; wa kaanal laahu Ghafoorar Raheemaa
- An-Nabiyyu awlaa bil mu'mineena min anfusihim wa azwaajuhoo ummahatuhum wa ulul arhaami ba'duhum awlaa biba'din fee Kitaabil laahi minal mu'meneena wal Muhaajireena illaaa an taf'alooo ilaaa awliyaaa'ikum ma'roofaa; kaana zaalika fil kitaabi mastooraa
- Wa iz akhaznaa minan Nabiyyeena meesaaqahum wa minka wa min Noohinw wa Ibraaheema wa Moosaa wa Eesab-ni-Maryama wa akhaznaa minhum meesaaqan ghaleezaa
- Liyas'alas saadiqeena 'an sidqihim; wa a'adda lilkaa fireena 'azaaban aleemaa (section 1)
- Yaaa aiyuhal lazeena aamanuz kuroo ni'matal laahi 'alaikum iz jaaa'atkum junoodun fa arsalnaa 'alaihim reehanw wa junoodal lam tarawhaa; wa kaanal laahu bimaa ta'maloona Baseera
- Iz jaaa'ookum min fawqikum wa min asfala minkum wa iz zaaghatil absaaru wa balaghatil quloobul hanaajira wa tazunnoona billaahiz zunoonaa
- Hunaalikab tuliyal mu'minoona wa zulziloo zilzaalan shadeedaa
- Wa iz yaqoolul munaafiqoona wallazeena fee quloobihim maradum maa wa'adanal laahu wa Rasooluhooo illaa ghurooraa
- Wa iz qaalat taaa'ifatum minhum yaaa ahla Yasriba laa muqaamaa lakum farji'oo; wa yastaazinu fareequm minhumun Nabiyya yaqooloona inna buyootanaa 'awrah; wa maa hiya bi'awratin iny yureedoona illaa firaaraa
- Wa law dukhilat 'alaihim min aqtaarihaa summa su'ilul fitnata la aatawhaa wa maa talabbasoo bihaaa illaa yaseeraa
- Wa laqad kaanoo 'aahadul laaha min qablu laa yuwal loonal adbaar; wa kaana 'ahdul laahi mas'oolaa
- Qul lany yanfa'akumul firaaru in farartum minal mawti awil qatli wa izal laa tumatta'oona illaa qaleelaa
- Qul man zal lazee ya'simukum minal laahi in araada bikum sooo'an aw araada bikum rahmah; wa laa yajidoona lahum min doonil laahi waliyyanw wa laa naseeraa
- Qad ya'lamul laahul mu'awwiqeena minkum walqaaa'ileena li ikhwaanihim halumma ilainaa, wa laa yaatoonal baasa illaa qaleelaa
- Ashihhatan 'alaikum faizaa jaaa'al khawfu ra aytahum yanzuroona ilaika tadooru a'yunuhum kallazee yughshaa 'alaihi minal mawti fa izaa zahabal khawfu salqookum bi alsinatin hidaadin ashihhatan 'alal khayr; ulaaa'ika lam yu'minoo fa ahbatal laahu a'maalahum; wa kaana zaalika 'alal laahi yaseeraa
- Yahsaboonal Ahzaaba lam yazhaboo wa iny yaatil Ahzaabu yawaddoo law annahum baadoona fil A'raabi yasaloona 'an ambaaa'ikum wa law kaanoo feekum maa qaatalooo illaa qaleela (section 2)
- Laqad kaana lakum fee Rasoolil laahi uswatun hasanatul liman kaana yarjul laaha wal yawmal Aakhira wa zakaral laaha kaseeraa
- Wa lammaa ra al mu'minoonal Ahzaaba qaaloo haazaa maa wa'adanal laahu wa Rasooluh; wa sadaqal laahu wa Rasooluh; wa maa zaadahum illaaa eemaananw wa tasleemaa
- Minal mu'mineena rijaalun sadaqoo maa 'aahadul laaha 'alaihi faminhum man qadaa nahbahoo wa minhum mai yantaziru wa maa baddaloo tabdeelaa
- Li yajziyAllahus saadiqeena bisidqihim wa yu'azzibal munaafiqeena in shaaa'a aw yatooba 'alaihim; innal laaha kaana Ghafoorar Raheemaa
- Wa raddal laahul lazeena kafaroo bighaizihim lam yanaaloo khairaa; wa kafal laahul mu'mineenal qitaal; wa kaanal laahu Qawiyyan 'Azeezaa
- Wa anzalal lazeena zaaha roohum min Ahlil Kitaabi min sa yaaseehim wa qazafa fee quloobihimm mur ru'ba fareeqan taqtuloona wa taasiroona fareeqaaa
- Wa awrasakum ardahum wa diyaarahum wa amwaalahum wa ardal lam tata'oohaa; wa kaanal laahu 'alaa kulli shai'in Qadeeraa (section 3)
- Yaaa aiyuhan Nabiyyu qul li azwaajika in kuntunna turidnal hayaatad dunyaa wa zeenatahaa fata'aalaina umatti'kunna wa usarrihkunna saraahan jameela
- Wa in kuntunna turidnal laaha wa Rasoolahoo wad Daaral Aakhirata fa innal laaha a'adda lil muhsinaati min kunna ajjran 'azeemaa
- Yaa nisaaa'an Nabiyyi mai yaati minkunna bifaa hishatim mubaiyinatiny yudaa'af lahal 'azaabu di'fain wa kaana zaalika 'alal laahi yaseera (End Juz 21)
- Wa mai yaqnut minkunna lillaahi wa Rasoolihee wa ta'mal saalihan nu'tihaaa ajrahaa marratayni wa a'tadnaa lahaa rizqan kareema
- Yaa nisaaa'an Nabiyyi lastunna ka ahadim minan nisaaa'i init taqaitunna falaa takhda'na bilqawli fa yatma'al lazee fee qalbihee maradunw wa qulna qawlam ma'roofaa
- Wa qarna fee bu yoo tikunna wa laa tabarrajna tabarrujal Jaahiliyyatil oolaa wa aqimnas Salaata wa aaateenaz Zakaata wa ati'nal laaha wa Rasoolah; innamaa yureedul laahu liyuzhiba 'ankumur rijsa Ahlal Bayti wa yutahhirakum tatheeraa
- Wazkurna maa yutlaa fee bu yootikunna min aayaatil laahi wal Hikmah; innal laaha kaana lateefan Khabeera (section 4)
- Innal muslimeena wal muslimaati wal mu'mineena wal mu'minaati walqaaniteena walqaanitaati wassaadiqeena wassaadiqaati wassaabireena wassaabiraati walkhaashi'eena walkhaashi'aati walmutasaddiqeena walmutasaddiqaati wassaaa'imeena wassaaa'imaati walhaafizeena furoojahum walhaafizaati waz zaakireenal laaha kaseeranw waz zaakiraati a'addal laahu lahum maghfiratanw wa ajran 'azeemaa
- Wa maa kaana limu'mininw wa laa mu'minatin izaa qadal laahu wa Rasooluhooo amran ai yakoona lahumul khiyaratu min amrihim; wa mai ya'sil laaha wa Rasoolahoo faqad dalla dalaalam mubeenaa
- Wa iz taqoolu lillazeee an'amal laahu 'alaihi wa an'amta 'alaihi amsik 'alaika zawjaka wattaqil laaha wa tukhfee fee nafsika mal laahu mubdeehi wa takhshan naasa wallaahu ahaqqu an takhshaah; falammaa qadaa Zaidum minhaa wataran zawwajnaa kahaa likay laa yakoona 'alal mu'mineena harajun feee azwaaji ad'iyaaa'ihim izaa qadaw minhunna wataraa; wa kaana amrul laahi maf'oolaa
- Maa kaana 'alan nabiyyyi min harajin feemaa faradal laahu lahoo sunnatal laahi fil lazeena khalaw min qabl; wa kaana amrul laahi qadaram maqdooraa
- Allazeena yuballighoona Risaalaatil laahi wa yakhshaw nahoo wa laa yakkhshawna ahadan illal laah; wa kafaa billaahi Haseebaa
- Maa kaana Muhammmadun abaaa ahadim mir rijaalikum wa laakir Rasoolal laahi wa Khaataman Nabiyyeen; wa kaanal laahu bikulli shai'in 'Aleema (section 5)
- Yaaa aiyuhal lazeena aamanuz kurul laaha zikran kaseera
- Wa sabbihoohu bukratanw wa aseela
- Huwal lazee yusallee 'alaikum wa malaaa'ikatuhoo liyukhrijakum minazzulumaati ilan-noor wa kaana bilmu'mineena Raheemaa
- Tahiyyatuhum Yawma yalqawnahoo salaamunw wa a'adda lahum ajran kareemaa
- Yaaa aiyuhan Nabiyyu innaaa arsalnaaka shaahidanw wa mubashshiranw wa nazeeraa
- Wa daa'iyan ilal laahi bi iznihee wa siraajam muneeraa
- Wa bashshiril mu'mineena bi annna lahum minal laahi fadlan kabeera
- Wa laa tuti'il kaafireena walmunaafiqeena wa da'azaahum wa tawakkal 'alallaah; wa kafaa billaahi Wakeelaa
- Yaaa aiyuhal lazeena aamanooo izaa nakahtumul mu'minaati summa tallaqtu moohunna min qabli an tamas soohunna famaa lakum 'alaihinna min 'iddatin ta'taddoonahaa famatti'oohunna wa sarri hoohunna saraahan jameelaa
- Yaaa aiyuhan Nabiyyu innaaa ahlalnaa laka azwaa jakal laatee aataiyta ujoora hunna wa maa malakat yameenuka mimmaaa afaaa'al laahu 'alaika wa banaati 'ammika wa banaati 'ammaatika wa banaati khaalika wa banaati khaalaa tikal laatee haajarna ma'aka wamra' atan mu'minatan inw wahabat nafsahaa lin Nabiyyi in araadan Nabiyyu ai yastan kihahaa khaalisatan laka min doonil mu'mineen; qad 'alimnaa maa faradnaa 'alaihim feee azwaajihim wa maa malakat aimaanuhum li kailaa yakoona 'alaika haraj; wa kaanal laahu Ghafoorar Raheema
- Turjee man tashaaa'u minhunna wa tu'weee ilaika man tashaaa'u wa manibta ghaita mimman 'azalta falaa junaaha 'alaik; zaalika adnaaa an taqarra a'yunuhunna wa laa yahzanna wa yardaina bimaa aataitahunna kulluhunn; wal laahu ya'lamu maa fee quloo bikum; wa kaanal laahu 'Aleeman haleemaa
- Laa yahillu lakan nisaaa'u mim ba'du wa laaa an tabaddala bihinna min azwaajinw wa law ajabaka husnuhunna illaa maa malakat yameenukk; wa kaanal laahu 'alaa kulli shai'ir Raqeeba (section 6)
- Yaaa aiyuhal lazeena aamanoo laa tadkhuloo bu yootan Nabiyyi illaaa ai yu'zana lakum ilaa ta'aamin ghaira naazireena inaahu wa laakin izaa du'eetum fadkhuloo fa izaa ta'imtum fantashiroo wa laa mustaaniseena lihadees; inna zaalikum kaana yu'zin Nabiyya fa yastahyee minkum wallaahu laa yastahyee minal haqq; wa izaa sa altumoohunna mataa'an fas'aloohunna minw waraaa'i hijaab; zaalikum atharu liquloobikum wa quloobihinn; wa maa kaana lakum an tu'zoo Rasoolal laahi wa laaa an tankihooo azwaajahoo mim ba'diheee abadaa; inna zaalikum kaana 'indal laahi 'azeema
- In tubdoo shai'an aw tukhfoohu fa innal laaha kaana bikulli shai'in 'Aleemaa
- Laa junaaha 'alaihinna feee aabaaa'ihinna wa laaa abnaaa'ihinna wa laaa ikhwaanihinnna wa laaa abnaaa'i ikhwaanihinna wa laaa abnaaa'i akhawaatihinna wa laa nisaaa'i hinna wa laa Maa malakat aimaanuhunn; wattaqeenal laah; innal laaha kaana 'alaa kulli shai'in Shaheedaa
- Innal laaha wa malaaa'i katahoo yusalloona 'alan Nabiyy; yaaa aiyuhal lazeena aamanoo salloo 'alaihi wa sallimoo tasleemaa
- Innal lazeena yu'zoonal laaha wa Rasoolahoo la'anahumul laahu fid dunyaa wal Aakhirati wa a'adda lahum 'azaabam muheenaa
- Wallazeena yu'zoonal mu'mineena wal mu'minaati bighairi mak tasaboo faqadih tamaloo buhtaananw wa ismam mubeenaa (section 7)
- Yaaa aiyuhan Nabiyyu qul li azwaajika wa banaatika wa nisaaa'il mu'mineena yudneena 'alaihinna min jalaabee bihinn; zaalika adnaaa ai yu'rafna falaa yu'zain; wa kaanal laahu Ghafoorar Raheemaa
- La'il lam yantahil munaafiqoona wallazeena fee quloobihim maradunw walmur jifoona fil madeenati lanughri yannaka bihim summa laa yujaawiroonaka feehaaa illaa qaleela
- Mal'ooneena ainamaa suqifoo ukhizoo wa quttiloo taqteelaa
- Sunnatal laahi fil lazeena khalaw min qablu wa lan tajida lisunnatil laahi tabdeelaa
- Yas'alukan naasu 'anis Saa'ati qul innamaa 'ilmuhaa 'indal laah; wa maa yudreeka la'allas Saa'ata takoonu qareebaa
- Innal laaha la'anal kaafireena wa a'adda lahum sa'eeraa
- Khaalideena feehaaa abadaa, laa yajidoona waliyyanw wa laa naseeraa
- Yawma tuqallabu wujoohuhum fin Naari yaqooloona yaa laitanaaa ata'nal laaha wa ata'nar Rasoolaa
- Wa qaaloo Rabbanaaa innaaa ata'naa saadatanaa wa kubaraaa'anaa fa adalloonas sabeelaa
- Rabbanaaa aatihim di'fai ni minal 'azaabi wal'anhum la nan kabeera (section 8)
- Yaa aiyuhal lazeena aamanoo laa takoonoo kalla zeena aazaw Moosaa fa barra ahul laahu mimma qaaloo; wa kaana 'indal laahi wajeehaa
- Yaaa aiyuhal lazeena aamanut taqul laaha wa qooloo qawlan sadeedaa
- Yuslih lakum a'maalakum wa yaghfir lakum zunoobakum; wa mai yuti'il laaha wa Rasoolahoo faqad faaza fawzan 'azeemaa
- Innaa 'aradnal amaanata 'alas samaawaati walardi wal jibaali fa abaina ai yahmil nahaa wa ashfaqna minhaa wa hamalahal insaanu innahoo kaana zalooman jahoolaa
- Liyu 'azzibal laahul munaafiqeena wal munaafiqaati walmushrikeena wal mushrikaati wa yatoobal laahu 'alal mu'mineena walmu'minaat; wa kaanal laahu Ghafoorar Raheema (section 9)
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Aey Nabi! Allah se daro aur kuffar o munafiqeen ki itaat (obey) na karo, haqeeqat mein Aleem(all knowing) aur Hakeem to Allah hi hai.2. Pairvi karo us baat ki jiska ishara tumhare Rubb ki taraf se tumhein kiya jaa raha hai. Allah har us baat se bakhabar hai jo tum log karte ho.
3. Allah par tawakkul (bharosa) karo, Allah hi wakeel hone ke liye kafi hai.
4. Allah ne kisi shaks (Mard) ke dhadh (jism/body) mein do dil nahin rakkhe hain, na usne tum logon ki un biwiyon ko jinse tum zihaar [whom you compare to your mothers’ backs (to divorce them)] karte ho tumhari Maa bana diya hai, aur na usne tumhare mooh bole beton ko tumhara haqiqi beta banaya hai. Yeh to woh baatein hain jo tum log apne mooh se nikal dete ho, magar Allah woh baat kehta hai jo mabni bar haqeeqat hai. Aur wahi saheeh tareeqe ki taraf rehnumayi karta hai.
5. Mooh bole beton(adopted sons) ko unke baapon (fathers) ki nisbat se pukaro, yeh Allah ke nazdeek zyada munsifana (equitable) baat hai. Aur agar tumhein maloom na ho ke unke baap kaun hain to woh tumhare deeni bhai aur rafeeq hain. Na danishta jo baat tum kaho iske liye tumpar koi giraft(pakad) nahin hai, lekin us baat par zaroor giraft hai jiska tum dil se irada karo. Allah darguzar karne wala aur raheem hai.
6. Bila shubah Nabi to ehle iman ke liye unki apni zaat par muqaddam hai, aur Nabi ki biwiyan unki maaein (mothers) hain. Magar kitaabullah ki rooh se aam momineen aur muhajireen ki ba-nisbat rishtedar ek dusre ke zyada haqqdar hain. Albatta apne rafiqon ke saath tum koi bhalayi (karna chaho to) kar sakte ho. Yeh hukm kitaab e ilahi mein likha hua hai.
7. Aur (aey Nabi) yaad rakkho us ahad-o-paiman (covenant) ko jo humne sab paigambaron se liya hai, tumse bhi aur Nooh aur Ibrahim aur Moosa aur Isa ibne Maryam se bhi.Sabse pukhta ahad le chuke hain.
8. Taa-ke sacche logon se (unka Rubb) unki sachhayi ke baare mein sawal kare, aur kafiron ke liye to usne dardnaak azaab muhaiyya kar hi rakkha hai.
9. Aey logon, jo iman laye ho, yaad karo Allah ke ehsan ko jo (abhi abhi) usne tumpar kiya hai jab lashkar tumpar chadh aaye to humne unpar ek sakht aandhi (wind) bhej di aur aisi faujein rawana ki jo tumko nazar na aati thi. Allah woh sab kuch dekh raha tha jo tum log us waqt kar rahe thay.
10. Jab woh upar se aur nichey se tumpar chadh aaye, jab khauf ke maare aankhein pathra gayi, kaleejey mooh ko aa gaye, aur tum log Allah ke baare mein tarah tarah ke gumaan karne lage.
11. Us waqt iman laane wale khoob aazmaaye (tested) gaye aur buri tarah hila maare gaye.
12. Yaad karo woh waqt jab munafiqeen aur woh sab log jinke dilon mein roag tha saaf saaf keh rahe thay ke Allah aur uske Rasool ne jo wadey humse kiye thay woh fareb ke siwa kuch na thay.
13. Jab un mein se ek giroh ne kaha ke “aey yathrib ke logon, tumhare liye ab theharne ka koi mauqa nahin hai, palat chalo” jab unka ek fareeq yeh keh kar Nabi se ruksat talab kar raha tha ke “hamare ghar khatre mein hain,” halanke woh khatre mein na thay. Dar-asal woh (muhaz e jung se[from the battle-front]) bhagna chahte thay.
14. Agar shehar ke atraaf se dushman ghus aaye hotay aur us waqt unhein fitne ki taraf dawat di jaati to yeh usmein jaa padte aur mushkil hi se unhein shareek e fitna hone mein koi taamul (reluctance) hota.
15. In logon ne is se pehle Allah se ahad kiya tha ke yeh peeth na pherenge. Aur Allah se kiye huey ahad ki baaz- purs (questioning) to honi hi thi.
16. (Aey Nabi!) Inse kaho, agar tum maut ya qatal se bhago to yeh bhagna tumhare liye kuch bhi nafa-baksh na hoga, Iske baad zindagi ke mazey lootne ka thoda hi mauqa tumhein mil sakega.
17. Inse kaho, kaun hai jo tumhein Allah se bacha sakata ho agar woh tumhein nuqsan pahunchana chahe? Aur kaun uski rehmat ko roak sakta hai agar woh tumpar meharbani karna chahe? Allah ke muqable mein to yeh log koi haami o madadgar (protector or helper) nahin paa saktey hain.
18. Allah tum mein se un logon ko khoob jaanta hai jo (jung ke kaam mein) rukawatein daalne wale hain, jo apne bhaiyon se kehte hain ke “aao hamari taraf.” Jo ladayi mein hissa lete bhi hain to bas naam ginane ko.
19. Jo tumhara saath dene mein sakht bakheel hain. Khatre ka waqt aa jaaye to is tarah deedhe phira phira kar tumhari taraf dekhte hain jaise kisi marne wale par gashi taari ho rahi ho. Magar jab khatra guzar jata hai to yahi log faiydon ke harees bankar kainchi ki tarah (scissor-like) chalti hui zubaane liye tumhare isteqbal ko aa jaate hain. Yeh log hargiz iman nahin laye, isi liye Allah ne inke saare aamal zaya kardiye. Aur aisa karna Allah ke liye bahut asaan hai.
20. Yeh samajh rahe hain ke hamla-aawar giroh abhi gaye nahin hain aur agar woh phir hamla awar ho jayein to inka ji chahta hai ke us mauqe par yeh kahin sehra (desert) mein badduon (bedouin) ke darmiyan jaa baithein aur wahin se tumhare halaat puchte rahein.Taaham agar yeh tumhare darmiyan rahe bhi to ladayi mein kam hi hissa lenge.
21. Dar haqeeqat tum logon ke liye Allah ke Rasoool mein ek behtareen namuna tha, har us shaks ke liye jo Allah aur yaum e aakhir ka umeedwar ho aur kasrat se Allah ko yaad kare.
22. Aur sacche momino (ka haal us waqt yeh tha ke) jab unhon ne hamla-awar lashkaron ko dekha to pukar utthey ke “ yeh wahi cheez hai jiska Allah aur uske Rasool ne humse waada kiya tha. Allah aur uske Rasool ki baat bilkul sacchi thi.” Is waqiye ne unke iman aur unki supurdagi (submission) ko aur zyada badha diya.
23. Iman laane walon mein aise log maujood hain jinhon ne Allah se kiye huey ahad ko saccha kar dikhaya hai. In mein se koi apni nazar poori kar chuka aur koi waqt aane ka muntazir hai. Inhon ne apne rawaiyye mein koi tabdili nahin ki.
24. (Yeh sabkuch is liye hua) taa-ke Allah sacchon ko unki sacchayi ki jaza de aur munafiqon ko chahe to saza de aur chahe to unki tauba qabool karle. Beshak Allah gafoor o raheem hai.
25. Allah ne kuffar ka mooh pher diya, woh koi faiyda haasil kiye bagair apne dil ki jalan liye yunhi palat gaye, aur momineen ki taraf se Allah hi ladne ke liye kafi ho gaya. Allah badi quwwat wala aur zabardast hai.
26. Phir ehle kitaab mein se jin logon ne in hamla-awaron ka saath diya tha, Allah unki gadiyon(fortresses) se unhein utaar laya aur unke dilon mein usne aisa roab (terror) daal diya ke aaj unmein se ek giroh ko tum qatal kar rahe ho aur dusre giroh ko qaid kar rahe ho.
27. Usne tumko unki zameen mein aur unke gharon aur unke amwal (maal) ka waris bana diya aur woh ilaka tumhein diya jise tumne kabhi pamaal (tread) na kiya tha. Allah har cheez par qaadir hai.
28. Aey Nabi! Apni biwiyon se kaho, agar tum duniya aur uski zeenat chahti ho to aao, main tumhein kuch de dila kar bhale tareeqe se ruksat kardoon.
29. Aur agar tum Allah aur uske Rasool aur daar-e-aakhirat (aakhirat ke ghar) ki talib ho to jaan lo ke tum mein se jo neiko-kar hain Allah ne unke liye bada ajar muhaiyya kar rakkha hai.
30. Nabi ki biwiyon, tum mein se Jo kisi sareeh fahash harakat ka irtiqab karegi usey dohra (double) azaab diya jayega. Allah ke liye yeh bahut aasaan kaam hai.
31. Aur tum mein se jo Allah aur uske Rasool ki itaat karegi aur neik amal karegi, usko hum dohra ajar denge. Aur humne uske liye rizq e kareem muhaiyya kar rakkha hai.
32. Nabi ki biwiyon, tum aam auraton ki tarah nahin ho. Agar tum Allah se darne wali ho to dabi zubaan se baat na kiya karo ke dil ki kharabi ka mubtala koi shaks lalach mein padh jaaye, balke saaf seedhi baat karo.
33. Apne gharon mein tik kar raho aur sabiq daur e jahiliyat ki si sajh-dhaj na dikhati phiro. Namaz qayam karo, zakat do aur Allah aur uske Rasool ki itaat karo. Allah to yeh chahta hai ke ehle bayt e Nabi se gandagi ko dur kare aur tumhein poori tarah paak karde.
34. Yaad rakkho Allah ki aayaat aur hikmat ki un baaton ko jo tumhare gharon mein sunayi jaati hain. Beshak Allah lateef (Subtle/gentle) aur ba-khabar hai.
35. Bil yaqeen jo mard aur jo auratein muslim hain, momin hain, mutii-e-farmaan hain, raast baaz hain, saabir(patient) hain, Allah ke aage jhukne wale hain, sadaqa denay wale hain, roza rakhne wale hain, apni sharamgaahon ki hifazat karne wale hain, aur Allah ko kasrat se yaad karne wale hain, Allah ne unke liye magfirat aur bada ajar muhaiyya kar rakkha hai.
36. Kisi momin mard aur kisi momin aurat ko yeh haqq nahin hai ke jab Allah aur uska Rasool kisi maamle ka faisla karde to phir usey apne us maamle mein khud faisla karne ka ikhtiyar haasil rahe. Aur jo koi Allah aur uske Rasool ki na-farmani kare to woh sareeh gumraahi mein padh gaya.
37. (Aey Nabi), yaad karo woh mauqa jab tum us shaks se keh rahe thay jispar Allah ne aur tumne ehsan kiya tha ke “Apni biwi ko na chodh aur Allah se darr” us waqt tum apne dil mein woh baat chupaye huey thay jise Allah kholna chahta tha. Tum logon se darr rahe thay, halaanke Allah iska zyada haqqdar hai ke tum us se daro. Phir jab zaid us se apni haajat poori kar chuka to humne us (mutallaqa khatun) ka tumse nikah kardiya, taa-ke momino par apne mooh bole beton(sons) ki biwiyon ke maamle mein koi tanggi na rahe jabke woh unse apni haajat poori kar chuke hon. Aur Allah ka hukm to amal mein aana hi chahiye tha.
38. Nabi par kisi aise kaam mein koi rukawat nahin hai jo Allah ne uske liye muqarrar kardiya ho. Yahi Allah ki sunnat un sab ambiya (prophets) ke maamle mein rahi hai jo pehle guzar chuke hain aur Allah ka hukm ek qataii tai-shuda faisla hota hai.
39. (Yeh Allah ki sunnat hai un logon ke liye) jo Allah ke paigamat pahunchate hain aur usi se darte hain aur ek khuda ke siwa kisi se nahin darte, aur muhasibe (accountability) ke liye bas Allah hi kafi hai.
40. (Logon) Muhammad tumhare mardon mein se kisi ke baap nahin hain, magar woh Allah ke Rasool aur khatim-un-Nabiyeen hain, Aur Allah har cheez ka ilm rakhne wala hai.
41. Aey logon! jo iman laye ho, Allah ko kasrat se yaad karo.
42. Aur subah o shaam uski tasbeeh karte raho.
43. Wahi hai jo tumpar rehmat farmata hai aur uske malaika tumhare liye dua e rehmat karte hain taa-ke woh tumhein tareekiyon (andhere) se roshni mein nikal laye. Woh momino par bahut meharbaan hai.
44. Jis roz woh us se milenge unka isteqbal salaam se hoga aur unke liye Allah ne bada baa-izzat ajar faraham kar rakkha hai.
45. Aey Nabi, humne tumhein bheja hai gawah bana kar, basharat (khush-khabri) dene wala aur darane wala bana kar.
46. Allah ki ijazat se uski taraf dawat dene wala bana kar aur roshan chiraag bana kar.
47. Basharat dedo un logon ko jo (tumpar) iman laye hain ke unke liye Allah ki taraf se bada fazl hai.
48. Aur hargiz na daboo kuffar-o-munafiqeen se, koi parwah na karo unki aziyat rasani (taklif/ hurt) ki aur bharosa karlo Allah par. Allah hi iske liye kafi hai ke aadmi apne maamlaaat uske supurd karde.
49. Aey logon jo iman laye ho, jab tum momin auraton se nikah karo aur phir unhein haath lagane se pehle talaq de do to tumhari taraf se unpar koi iddat (waiting period) lazim nahin hai jiske pooray hone ka tum mutalba kar sako. Lihaza unhein kuch maal do aur bhale tareeqe se ruksat kardo.
50. Aey Nabi, humne tumhare liye halal kardi tumhari woh biwiyan jinke mehar tumne ada kiye hain, aur woh auratein jo Allah ki ata karda laundiyan (slave-girls) mein se tumhari milkiyat mein aayein.Aur tumhari woh chacha-zaad aur phupi-zaad aur mamu-zaad aur khala-zaad behnein jinhon ne tumhare saath hijrat ki hai. Aur woh momin aurat jisne apne aap ko Nabi ke liye heba kiya ho agar Nabi usey nikah mein lena chahe. Yeh riayat (privilege) khaalisatan tumhare liye hai, dusre momino ke liye nahin hai. Humko maloom hai ke aam momino par unki biwiyon aur laundiyon (slave-girls) ke baare mein humne kya hudood (restrictions) aayad kiye hain. (Tumhein in hudood se humne is liye mustsna (exempted) kiya hai) taa-ke tumhare upar koi tanggi na rahe. Aur Allah gafoor o raheem hai.
51. Tumko ikhtiyar diya jata hai ke apni biwiyon mein se jisko chaho apne se alag rakkho, jise chaho apne saath rakkho aur jise chaho alag rakhne ke baad apne paas bula lo. Is maamle mein tumpar koi muzaiqa (blame) nahin hai. Is tarah zyada mutawaqqe (likely) hai ke unki aankhein thandi rahengi aur woh ranjeeda (grieve) na hongi. Aur jo kuch bhi tum unko dogey uspar woh sab raazi rahengi. Allah jaanta hai jo kuch tum logon ke dilon mein hai, aur Allah aleem o haleem(All-Forbearing) hai.
52. Iske baad tumhare liye dusri auratein halal nahin hain. Aur na iski ijazat hai ke unki jagah aur biwiyan le aao khwa unka husn (beauty) tumhein kitna hi pasand ho.Albatta laundiyon ki tumhein ijazat hai. Allah har cheez par nigraan hai.
53. Aey logon jo imaa laye ho, Nabi ke gharon mein bila ijazat na chale aaya karo, na khane ka waqt taakte raho. Haan agar tumhein khane par bulaya jaaye to zaroor aao, magar jab khana khalo to muntashir (disperse) ho jaao, baatein karne mein na lage raho. Tumhari yeh harkatein Nabi ko takleef deti hain, magar woh sharam ki wajah se kuch nahin kehte aur Allah haqq baat kehne mein nahin sharmata. Nabi ki biwiyon se agar tumhein kuch maangna ho to purday ke pichey se maanga karo. Yeh tumhare aur unke dilon ki paakeezgi ke liye zyada munasib tareeqa hai. Tumhare liye yeh hargiz jayiz nahin ke Allah ke Rasool ko takleef do, aur na yeh jayiz hai ke unke baad unki biwiyon se nikah karo.Yeh Allah ke nazdeek bahut bada gunaah hai.
54. Tum khwa koi baat zaahir karo ya chupao, Allah ko har baat ka ilm hai.
55. Azwaj (wives) Nabi ke liye is mein koi muzahiqa (blameworthy) nahin hai ke unke baap, unke betey, unke bhai, unke bhatije, unke bhanje, unke mail-jol ki auratein aur unke mamluk gharon mein aayein. (Aey auraton) tumhein Allah ki nafarmani se parheiz karna chahiye. Allah har cheez par nigaah rakhta hai.
56. Allah aur uske malaika (Farishte) Nabi par darood bhejte hain, Aey logon jo iman laye ho, tum bhi unpar darood o salaam bhejo.
57. Jo log Allah aur uske Rasool ko aziyat(annoyance ) dete hain unpar duniya aur aakhirat mein Allah ne laanat farmayi hai aur unke liye ruswa-kun azaab muhaiyya kardiya hai.
58. Aur jo log momin mardon aur auraton ko be-kasoor aziyat (hurt) dete hain unhon ne ek badey bohtan (slander/calumny) aur sareeh gunaah ka wabal apne sar le liya hai.
59. Aey Nabi, apni biwiyon aur betiyon aur ehle iman ki auraton se kehdo ke apne upar apni chadaron ke pallu latka liya karein. Yeh zyada munasib tareeqa hai taa-ke woh pehchan li jayein aur na satayi jayein. Allah taala gafoor o raheem hai.
60. Agar munafiqeen, aur woh log jinke dilon mein kharabi hai, aur woh jo Medina mein hijaan angez afwahein(scandal mongers) phaylane wale hain, apni harakaton se baaz na aayein to hum unke khilaf karawai karne ke liye tumhein utha khada karenge. Phir woh is shehar mein mushkil hi se tumhare saath reh sakenge.
61. Unpar har taraf se laanat ki bochar hogi, jahan kahin paye jayenge pakde jayenge aur buri tarah maare jayenge.
62. Yeh Allah ki sunnat hai jo aise logon ke maamle mein pehle se chali aa rahi hai, aur tum Allah ki sunnat mein koi tabdili na paoge.
63. Log tumse puchte hain ke qayamat ki ghadi kab aayegi. Kaho uska ilm to Allah hi ko hai , tumhein kya khabar?shayad ke woh qareeb hi aa lagi ho.
64. Bahr-e-haal yeh yaqeeni amar hai ke Allah ne kafiron par laanat ki hai aur unke liye bhadakti hui aag muhaiyya kardi hai.
65. Jismein woh hamesha rahenge. Koi haami o madadgar na paa sakenge.
66. Jis roz unke chehre aag par ulat palat kiye jayenge us waqt woh kahenge ke “ kaash humne Allah aur Rasool ki itaat ki hoti”
67. Aur kahenge “Aey Rubb hamare, humne apne sardaron aur apne badon (great ones) ki itaat ki aur unhon ne humein raah-e-raast se bay-raah kardiya.
68. Aey Rubb, unko dohra(double) azaab de aur unpar sakht laanat kar”
69. Aey logon jo iman laye ho, un logon ki tarah na ban jao jinhon ne Moosa ko aziyatein (ranj pahuncha) di thin, phir Allah ne unki banayi hui baaton se uski baraat farmayi(cleared him) aur woh Allah ke nazdeek ba-izzat tha.
70. Aey iman laane walon, Allah se daro aur theek baat kiya karo.
71. Allah tumhare aamal durust kardega aur tumhare kasooron se darguzar famayega. Jo shaks Allah aur uske Rasool ki itaat kare usne badi kamiyabi haasil ki.
72. Humne is amanat ko aasmano aur zameen aur pahadon ke saamne pesh kiya to woh usey uthane ke liye tayyar na huey, aur is se darr gaye. Magar Insan ne isey utha liya, beshak woh bada zalim aur jahil (ignorant) hai.
73. Is baar-e-amanat ko uthane ka laazmi nateeja yeh hai ke Allah munafiq mardon aur auraton, aur mushrik mardon aur auraton ko saza de aur momin mardon aur auraton ki tauba qabool kare. Allah darguzar farmane wala aur raheem hai.
Comments
Post a Comment