📖 Surah 32 As-Sajdah Roman
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
- الم
- تَنْزِيلُ الْكِتَابِ لَا رَيْبَ فِيهِ مِنْ رَبِّ الْعَالَمِينَ
- أَمْ يَقُولُونَ افْتَرَاهُ ۚ بَلْ هُوَ الْحَقُّ مِنْ رَبِّكَ لِتُنْذِرَ قَوْمًا مَا أَتَاهُمْ مِنْ نَذِيرٍ مِنْ قَبْلِكَ لَعَلَّهُمْ يَهْتَدُونَ
- اللَّهُ الَّذِي خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ وَمَا بَيْنَهُمَا فِي سِتَّةِ أَيَّامٍ ثُمَّ اسْتَوَىٰ عَلَى الْعَرْشِ ۖ مَا لَكُمْ مِنْ دُونِهِ مِنْ وَلِيٍّ وَلَا شَفِيعٍ ۚ أَفَلَا تَتَذَكَّرُونَ
- يُدَبِّرُ الْأَمْرَ مِنَ السَّمَاءِ إِلَى الْأَرْضِ ثُمَّ يَعْرُجُ إِلَيْهِ فِي يَوْمٍ كَانَ مِقْدَارُهُ أَلْفَ سَنَةٍ مِمَّا تَعُدُّونَ
- ذَٰلِكَ عَالِمُ الْغَيْبِ وَالشَّهَادَةِ الْعَزِيزُ الرَّحِيمُ
- الَّذِي أَحْسَنَ كُلَّ شَيْءٍ خَلَقَهُ ۖ وَبَدَأَ خَلْقَ الْإِنْسَانِ مِنْ طِينٍ
- ثُمَّ جَعَلَ نَسْلَهُ مِنْ سُلَالَةٍ مِنْ مَاءٍ مَهِينٍ
- ثُمَّ سَوَّاهُ وَنَفَخَ فِيهِ مِنْ رُوحِهِ ۖ وَجَعَلَ لَكُمُ السَّمْعَ وَالْأَبْصَارَ وَالْأَفْئِدَةَ ۚ قَلِيلًا مَا تَشْكُرُونَ
- وَقَالُوا أَإِذَا ضَلَلْنَا فِي الْأَرْضِ أَإِنَّا لَفِي خَلْقٍ جَدِيدٍ ۚ بَلْ هُمْ بِلِقَاءِ رَبِّهِمْ كَافِرُونَ
- قُلْ يَتَوَفَّاكُمْ مَلَكُ الْمَوْتِ الَّذِي وُكِّلَ بِكُمْ ثُمَّ إِلَىٰ رَبِّكُمْ تُرْجَعُونَ
- وَلَوْ تَرَىٰ إِذِ الْمُجْرِمُونَ نَاكِسُو رُءُوسِهِمْ عِنْدَ رَبِّهِمْ رَبَّنَا أَبْصَرْنَا وَسَمِعْنَا فَارْجِعْنَا نَعْمَلْ صَالِحًا إِنَّا مُوقِنُونَ
- وَلَوْ شِئْنَا لَآتَيْنَا كُلَّ نَفْسٍ هُدَاهَا وَلَٰكِنْ حَقَّ الْقَوْلُ مِنِّي لَأَمْلَأَنَّ جَهَنَّمَ مِنَ الْجِنَّةِ وَالنَّاسِ أَجْمَعِينَ
- فَذُوقُوا بِمَا نَسِيتُمْ لِقَاءَ يَوْمِكُمْ هَٰذَا إِنَّا نَسِينَاكُمْ ۖ وَذُوقُوا عَذَابَ الْخُلْدِ بِمَا كُنْتُمْ تَعْمَلُونَ
- إِنَّمَا يُؤْمِنُ بِآيَاتِنَا الَّذِينَ إِذَا ذُكِّرُوا بِهَا خَرُّوا سُجَّدًا وَسَبَّحُوا بِحَمْدِ رَبِّهِمْ وَهُمْ لَا يَسْتَكْبِرُونَ ۩
- تَتَجَافَىٰ جُنُوبُهُمْ عَنِ الْمَضَاجِعِ يَدْعُونَ رَبَّهُمْ خَوْفًا وَطَمَعًا وَمِمَّا رَزَقْنَاهُمْ يُنْفِقُونَ
- فَلَا تَعْلَمُ نَفْسٌ مَا أُخْفِيَ لَهُمْ مِنْ قُرَّةِ أَعْيُنٍ جَزَاءً بِمَا كَانُوا يَعْمَلُونَ
- أَفَمَنْ كَانَ مُؤْمِنًا كَمَنْ كَانَ فَاسِقًا ۚ لَا يَسْتَوُونَ
- أَمَّا الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ فَلَهُمْ جَنَّاتُ الْمَأْوَىٰ نُزُلًا بِمَا كَانُوا يَعْمَلُونَ
- وَأَمَّا الَّذِينَ فَسَقُوا فَمَأْوَاهُمُ النَّارُ ۖ كُلَّمَا أَرَادُوا أَنْ يَخْرُجُوا مِنْهَا أُعِيدُوا فِيهَا وَقِيلَ لَهُمْ ذُوقُوا عَذَابَ النَّارِ الَّذِي كُنْتُمْ بِهِ تُكَذِّبُونَ
- وَلَنُذِيقَنَّهُمْ مِنَ الْعَذَابِ الْأَدْنَىٰ دُونَ الْعَذَابِ الْأَكْبَرِ لَعَلَّهُمْ يَرْجِعُونَ
- وَمَنْ أَظْلَمُ مِمَّنْ ذُكِّرَ بِآيَاتِ رَبِّهِ ثُمَّ أَعْرَضَ عَنْهَا ۚ إِنَّا مِنَ الْمُجْرِمِينَ مُنْتَقِمُونَ
- وَلَقَدْ آتَيْنَا مُوسَى الْكِتَابَ فَلَا تَكُنْ فِي مِرْيَةٍ مِنْ لِقَائِهِ ۖ وَجَعَلْنَاهُ هُدًى لِبَنِي إِسْرَائِيلَ
- وَجَعَلْنَا مِنْهُمْ أَئِمَّةً يَهْدُونَ بِأَمْرِنَا لَمَّا صَبَرُوا ۖ وَكَانُوا بِآيَاتِنَا يُوقِنُونَ
- إِنَّ رَبَّكَ هُوَ يَفْصِلُ بَيْنَهُمْ يَوْمَ الْقِيَامَةِ فِيمَا كَانُوا فِيهِ يَخْتَلِفُونَ
- أَوَلَمْ يَهْدِ لَهُمْ كَمْ أَهْلَكْنَا مِنْ قَبْلِهِمْ مِنَ الْقُرُونِ يَمْشُونَ فِي مَسَاكِنِهِمْ ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَاتٍ ۖ أَفَلَا يَسْمَعُونَ
- أَوَلَمْ يَرَوْا أَنَّا نَسُوقُ الْمَاءَ إِلَى الْأَرْضِ الْجُرُزِ فَنُخْرِجُ بِهِ زَرْعًا تَأْكُلُ مِنْهُ أَنْعَامُهُمْ وَأَنْفُسُهُمْ ۖ أَفَلَا يُبْصِرُونَ
- وَيَقُولُونَ مَتَىٰ هَٰذَا الْفَتْحُ إِنْ كُنْتُمْ صَادِقِينَ
- قُلْ يَوْمَ الْفَتْحِ لَا يَنْفَعُ الَّذِينَ كَفَرُوا إِيمَانُهُمْ وَلَا هُمْ يُنْظَرُونَ
- فَأَعْرِضْ عَنْهُمْ وَانْتَظِرْ إِنَّهُمْ مُنْتَظِرُونَ
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
- Alif-Laaam-Meeem
- Tanzeelul Kitaabi laa raiba feehi mir rabbil 'aalameen
- Am yaqooloonaf taraahu bal huwal haqqu mir rabbika litunzira qawma maaa ataahum min nazeerim min qablika la'allahum yahtadoon
- Allaahul lazee khalaqas samaawaati wal arda wa maa bainahumaa fee sittati ayyaamin thummas tawaa 'alal 'arsh; maa lakum min doonihee minw-waliyyinw-wala shafee'; afalaa tatazakkaroon
- Yudabbirul amra minas samaaa'i ilal ardi thumma ya'ruju ilaihi fee yawmin kaana miqdaaruhooo alfa sanatim mimmaa ta'uddoon
- Zaalika 'aalimul ghaybi wash shahaadatil 'azeezur raheem
- Allazee ahsana kulla shai in khalaqa; wa bada a khalqal insaani min teen
- Thumma ja'ala naslahoo min sulaalatim mim maaa'immaheen
- Thumma sawwaahu wa nafakha feehi mir roohihih; wa ja'ala lakumus sam'a wal-absaara wal-af'idah; qaleelam maa tashkuroon
- Wa qaalooo 'a-izaa dalalnaa fil ardi 'a-innaa lafee khalqin jadeed; bal hum biliqaaa'i rabbihim kaafiroon
- Qul yatawaffaakum malakul mawtil lazee wukkila bikum Thumma ilaa rabbikum turja'oon (section 1)
- Wa law taraaa izil mujrimoona naakisoo ru'oosihim 'inda rabbihim rabbanaaa absarnaa wa sami'naa farji'naa na'mal saalihan innaa mooqinoon
- Wa law shi'naa la-aatainaa kulla nafsin hudaahaa wa laakin haqqal qawlu minnee la amla'anna jahannama minal jinnati wannaasi ajma'een
- Fazooqoo bimaa naseetum liqaaa'a yawmikum haaza innaa naseenaakum wa zooqoo 'azaabal khuldi bimaa kuntum ta'maloon
- Innamaa yu'minu bi aayaatinal lazeena izaa zukkiroo bihaa kharroo sujjadanw wa sabbahoo bihamdi rabbihim wa hum laa yastakbiroon (make sajda)
- Tatajaafaa junoobuhum 'anil madaaji'i yad'oona rabbahum khawfanw wa tama'anw wa mimmaa razaqnaahum yunfiqoon
- Falaa ta'lamu nafsum maaa ukhfiya lahum min qurrati a'yunin jazaaa'am bimaa kaanoo ya'maloon
- Afaman kaana mu'minan kaman kaana faasiqaa; laa yasta woon
- Ammal lazeena aamanoo wa 'amilus saalihaati falahum jannaatul ma'waa nuzulam bimaa kaanoo ya'maloon
- Wa ammal lazeena fasaqoo fama'waahumun Naaru kullamaaa araadooo any yakhrujoo minhaaa u'eedoo feehaa wa qeela lahum zooqoo 'azaaaban Naaril lazee kuntum bihee tukazziboon
- Wa lanuzeeqan nahum minal 'azaabil adnaa doonal 'azaabil akbari la'allahum yarji'oon
- Wa man azlamu mimman zukkira bi aayaati rabbihee summa a'rada 'anhaa; innaa minal mujrimeena muntaqimoon (section 2)
- Wa laqad aatainaa Moosal Kitaaba falaa takun fee miryatim mil liqaaa'ihee wa ja'alnaahu hudal li Baneee Israaa'eel
- Wa ja'alnaa minhum a'immatany yahdoona bi amrinaa lammaa sabaroo wa kaanoo bi aayaatinaa yooqinoon
- Inna rabbaka huwa yafsilu bainahum yawmal qiyaamati feemaa kaanoo feehi yakhtalifoon
- Awalam yahdi lahum kam ahlaknaa min qablihim minal qurooni yamshoona fee masaakinihim; inna fee zaalika la aayaatin afalaa yasma'oon
- Awalam yaraw annaa nasooqul maaa'a ilal ardil juruzi fanukhriju bihee zar'an ta'kulu minhu an'aamuhum wa anfusuhum afalaa yubsiroon
- Wa yaqooloona mataa haazal fath hu in kuntum saadiqeen
- Qul yawmal fath hi laa yanfa'ul lazeena kafarooo eemaanuhum wa laa hum yunzaroon
- Fa a'rid 'anhum wantazir innahum muntaziroon (section 3)
Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Alif Laam Meem2. Is kitaab ki tanzil (nuzul/revelation) bila shubha Rubb ul aalameen ki taraf se hai.
3. Kya yeh log kehte hain ke is shaks ne isey khud ghadh liya hai? Nahin, balke yeh haqq hai tere Rubb ki taraf se taa-ke tu mutanabbeh (warn) kare ek aisi qaum ko jiske paas tujhse pehle koi mutanabbeh (warn) karne nahin aaya. Shayad ke woh hidayat paa jayein.
4. Woh Allah hi hai jisne aasmaano aur zameen ko aur un saari cheezon ko jo inke darmiyan hain chey (six) dino mein paida kiya aur iske baad arsh par jalwa farma hua. Uske siwa na tumhara koi haami o madadgar hai aur na koi uske aage sifarish karne wala. Phir kya tum hosh mein na aaoge?
5. Woh aasmaan se zameen tak duniya ke maamlaat ki tadbeer (planning) karta hai aur is tadbeer ki rudad (record) upar uske huzur jaati hai ek aise din mein jiski miqdaar tumhare shumaar se ek hazaar saal hai.
6. Wahi hai har posheeda (chupi hui) aur zaahir ka janne wala. Zabardast, aur raheem.
7. Jo cheez bhi usne banayi khoob hi (acchi tarah) banayi. Usne Insan ki takhleeq ki ibtida gaare (mitti /clay) se ki.
8. Phir uski nasal ek aisi saat se chalayi jo hakeer pani (fluid despised) ki tarah ka hai.
9. Phir usko nik-suk se durust kiya aur uske andar apni rooh phoonk di. Aur tumko kaan diye, aankhein di aur dil diye. Tum log kam hi shukar guazar hote ho.
10. Aur yeh log kehte hain: “jab hum mitti mein ral-mil chuke honge to kya hum phir naye sirey se paida kiye jayenge?” Asal baat yeh hai ke yeh apne Rubb ki mulaqaat ke munkir hain.
11. Inse kaho “Maut ka woh farishta jo tumpar muqarrar kiya gaya hai tumko poora ka poora apne qabze mein le lega aur phir tum apne Rubb ki taraf palta laye jaaoge”
12. Kaash tum dekho woh waqt jab yeh mujrim sar jhukaye apne Rubb ke huzur khade honge. (Us waqt yeh keh rahe honge) “ Aey hamare Rubb, humne khoob dekh liya aur sun liya , ab humein wapas bhej de taa-ke hum neik amal karein. Humein ab yaqeen aa gaya hai.”
13. (Jawab mein irshad hoga) “Agar hum chahte to pehle hi har nafs ko iski hidayat de dete, magar meri woh baat poori ho gayi jo maine kahi thi ke main jahannum ko Jinno aur Insano sabse bhar dunga.
14. Pas ab chakkho maza apni is harakat ka ke tumne is din ki mulaqat ko faramosh kardiya. Humne bhi ab tumhein faramosh kardiya hai. Chakkho hameshgi ke azaab ka maza apne kartooton ki padash mein”
15. Hamari aayaat par to woh log iman latey hain jinhein yeh aayaat suna kar jab naseehat ki jaati hai to sajde mein gir padte hain aur apne Rubb ki hamd ke saath uski tasbeeh karte hain aur takabbur nahin karte.
16. Unki peethein (backs) bistaron se alag rehti hain, apne Rubb ko khauf aur tamaa (umeed) ke saath pukarte hain. Aur jo kuch rizq humne unhein diya hai usmein se kharch karte hain.
17. Phir jaisa kuch aankhon ki thandak ka saamaan unke aamaal ki jaza mein unke liye chupa kar rakkha gaya hai uski kisi mutanaffis (person/soul) ko khabar nahin hai.
18. Bhala kahin yeh ho sakta hai ke jo shaks momin ho woh us shaks ki tarah ho jaaye jo faasiq (nafarman/evil doer) ho? Yeh dono barabar nahin ho saktey.
19. Jo log iman laye hain aur jinhon ne neik amal kiye hain unke liye to jannaton ki qayam-gahein (hospitable homes) hain. Ziyafat ke taur par unke aamal ke badle mein.
20. Aur jinhon ne fisq (na-farmani) ikhtiyar kiya hai unka thikana dozakh hai.Jab kabhi woh us se nikalna chahenge usi mein dhakail diye jayenge aur unse kaha jayega ke chakkho ab usi aag ke azaab ka maza jisko tum jhutlaya karte thay.
21. Us badey azaab se pehle hum isi duniya mein (kisi na kisi chote) azaab ka maza inhein chakhate rahenge. Shayad ke yeh (apne baagiyana [transgression] rawish se) baaz aa jayein.
22. Aur us se bada zalim kaun hoga jise uske Rubb ki aayaat ke zariye se naseehat ki jaaye aur phir woh inse mooh pher le. Aise mujrimon se to hum inteqam lekar rahenge.
23. Isse pehle hum Moosa ko kitaab de chuke hain. Lihaza usi cheez ke milne par tumhein koi shakk na hona chahiye. Us kitaab ko humne bani Israel ke liye hidayat banaya tha.
24. Aur jab unhon ne sabr kiya aur hamari aayaat par yaqeen latey rahe to unke andar humne aise peshwa paida kiye jo hamare hukm se rehnumayi (hidayat/guidance) karte thay.
25. Yaqeenan tera Rubb hi qayamat ke roz un baaton ka faisla karega jinmein (bani Israel) baaham(aapas mein) ikhtilaf karte rahe hain.
26. Aur kya in logon ko (in tareekhi (historical) waqiyat mein) koi hidayat nahin mili ke unse pehle kitni qaumon ko hum halaak kar chuke hain jinke rehne ki jaghon mein aaj yeh chalte phirte hain? is mein badi nishaniyan hain. Kya yeh sunte nahin hain?
27. Aur kya in logon ne yeh manzar kabhi nahin dekha ke hum ek bay-aab o gayah (banjar) zameen ki taraf pani baha latey hain, aur phir usi zameen se woh fasal ugati hai jis se unke jaanwaron ko bhi chara milta hai aur yeh khud bhi khate hain? To kya inhein kuch nahin soojhta?
28. Yeh log kehte hain ke “yeh faisla kab hoga agar tum sacche ho?”
29. Inse kaho “faisle ke din iman laana un logon ke liye kuch bhi nafeh (faidemand) na hoga jinhon ne kufr kiya hai aur phir unko koi mohlat na milegi.”
30. Accha, inhein inke haal par chodh do aur intezar karo, yeh bhi muntazir (intezar kar rahe) hain.
Comments
Post a Comment